• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
40,698
103,362
304

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,485
173
SAAJAN
UPDATE- 264

Raj—theek hai tum apne sawal pucho...

‘’Theek hai mera pahla sawal iss dulhan se hai aur kewal usko hi jawab dena hai..dhyan rahe ye…sawal dhyan se sunna’’

"Aisa Koun Sa Jeev Hai Jo Pratah Kaal (subah) Char Pairo Se Chalta Hai, Dophar Me Do Pairo Se, Aur Shaam Ko Teen Pairo Se Chalta Hai….?"

Ab aage…..

Neha ghabra kar raj ki taraf dekhne lagi madad ke liye…ghabrahat aur darr ke karan uska dimag hi sankuchit ho gaya tha, usko kuch samajh me nahi aa raha tha ki kya jawab de…?

“Itna samay nahi hai, ab bhi agat tumne jawab nahi diya to parinam ke liye taiyyar ho jao.” Uss pahredar ne chetavni dete huye saaf shabdo me kaha.

Neha—aisa koi jeev nahi hota hai…tumhara sawal hi galat hai…koi dusra sawal pucho.

“Sawal bilkul sahi hai..tum jawab do warna parinam tumhe bhi pata hai.” Pahredar ne neha ki baat ko kharij karte huye jawab diya.

Neha (mann me)—aisa jeev to maine kahi nahi dekha…TV me bhi aaj tak nahi dikhaya…General Knowledge ki books me bhi aisa sawal nahi padha tha…discovery channel wale baki sab janwar dikhate hain lekin kamine aise janwar ko kabhi nahi dikhaye…ab kya karu…kya bolu….haan, kutta ho sakta hai…vo subah subah apne charo pairo se chalta hai….aur paltu ho to vah do pairo me bhi khada ho hata hai, maine circus me dekha hai…aur agar koi uske ek pair me patthar maar de to vah ek pair utha ke apne teen pairo se bhi daud laga deta hai….yahi hoga pakka….raj bhi kuch help nahi kar raha ab…kutta hi bol deti hu.

“Jawab do jaldi…lagta haiki ab tumhe patthar banana hi padega.” Pahredar ne phir se hadkaya.

Neha (jaldi se)—nahi....nahiii....patthar mat banana main bata rahi hu na....kutta hai iska sahi jawab.

Raj (mann me)—lo doob gayi lutiya.

"Bilkul Galat Jawab....hihihihihi." Pahredar ne khush hote huye kaha.

Agle hi pal neha ka sharir patthar me badalne laga..aur kuch der me hi vo ek pasaan pratima ban kar rah gayi…sab ye dekh kar stabdh rah gaye.

"Ab iss sawal ka jawab tum do." Pahredar ne priyadarshini ki taraf ishara karte huye kaha.

Priyadarshini—iska jawab hai ‘ADMI’.

"Sahi jawab diya hai tumne...tum tahkhane me sidhiyo ki madad se ja sakti ho." Usne priyadarshini ke jawab ko sahi thahrate huye kaha.

Priyadarshini—shukriya...lekin main baki sab ke sath me hi jaungi.

“Aasakti kya hai…?” iss bar usne vidhi se sawal kiya.

Vidhi iska koi jawab nahi de payi, jiske phalswaroop vah bhi patthar me tabdil ho gayi…to usne yahi sawal divya se dohraya.

Divya—Prem me maang karna, apeksha karna, apna adhikar jatana hi aasakti hai.

“Bilkul satya uttar diya hai tumne, tum bhi aage ja sakti ho.” Pahredar ne divya ke jawab ko sahi bataya.

"Mera agla sawal tumse hai..." iss bar uska ishara meri taraf tha.

Raj—theek hai pucho.

"Mrityu paryant tak yatna koun deta hai…?" usne mujhse prashna puchte huye kaha.

Raj—Gupt roop se kiya gaya apradh hi hame aajeevan andar hi andar yatna deta rahta hai.

"Tumhara jawab bhi bilkul sahi hai..tum bhi ja sakte ho…ab agle sawal ka jawab tum dogi" agle sawal ke jawab ke liye usne paridhi ka naam liya.

"Agyan kya hai…?"

Paridhi aur uske baad payal didi bhi sahi jawab nahi de saki aur unhe bhi patthar banna pad gaya…ye dekh mujhe behad dukh hua…unki ye dasha dekh kar meri ankhe nam ho aayi jise divya ne dekh liya aur mera hath pakad kar dhairya rakhne ka sanket diya….

Raj—kya inn sab ko phir se pahle jaisi avastha me lane ka koi upay hai…?

Pahredar—haan hai, sirf ek hi upay hai….lekin vo behad kathin hai.

Raj—kya hai vo upay….?

Pahredar—mere saat sawalo ke sahi sahi jawab dene par iss surang me ek darwaja nazar ayega… tumhe uss darwaje se bahar nikal kar uttar disha me jana hai…uss disha me ek bahut purana qila hai…uss qile ke andar hi ek tilismi paheli likhi huyi hai...uss paheli ko hal karte hi tumhe tilismi talab ka pata chal jayega ki vah kaha par hai…vaha uss talab ki gahrayi me ek adbhut moti hai..tumhe usko hasil karna hoga aur sath me uss tilismi talab ka pani la kar inke upar dalna hoga..kintu iss kaam me kadam kadam par bhayanak khatre hi khatre hain.....aur dhyan rahe ki vo tilismi talab sirf chaand ki roshni padne par hi dikhayi deta hai.

Divya—uss talab ke pani se jab ye theek ho sakti hain to uss tilismi talab ki gahrayi me jane ki kya jarurat hai.... ?

Pahredar—jarurat hai…tilismi talab ke pani se inn sab ko apna sharir to mil jayega kintu inke ankho ki roshni uss tilismi moti ko inki ankho par sparsh karne ke baad hi ayegi..warna ye andhi rah jayengi.

Priyadarshini—ohhh…to ye baat hai.

Raj—tilism ke toot jane par bhi to ye sab apni poorv avastha me aa sakti hain…?

Pahredar—Ye sabhi iss tilism me qid ho chuki hain ab…agar tilism khatam ho gaya to ye bhi uske sath hi khatam ho jayengi….isliye inhe tilism tootne se pahle theek karna hoga tabhi ye apni poorv avastha me aa sakti hain.

Raj—agar aisa hai to aap apne sawal pucho…

Pahredar—pahla sawal….bhay se mukti kaise sambhav hai…?

Raj—vairagya se

Pahredar—dusra sawal...mukt koun hai... ?

Raj—jo agyan se pare hai.

Pahredar—agyan kya hai... ?

Raj—aatm gyan ka abhav hi agyan hai.

Pahredar—vah kya hai jo astitva me hai aur nahi bhi... ?

Raj—maya

Pahredar—maya kya hai.... ?

Raj—naam aur roopdhari nashwan jagat hi maya hai.

Pahredar—kisi ka brahman hona kis baat par nirbhar karta hai.... ? uske janam par ya sheel swabhav par.. ?

Raj—kul ya vidya ke karan bramhnatva prapt nahi ho jata…bramhnatv sheel aur swabhav par hi nirbhar hai...jisme sheel nahi ho aisa vyakti brahman nahi ho sakta....jisme bure vyasan ho, chahe vo kitna hi padha likha kyo na ho vah brahman nahi ho sakta.

Pahredar—sthayitva kise kahte hain... ? dhairya kya hai…? Snan kise kahte hain…? Aur daan ka vastavik arth kya hai….?

Raj—apne dharm me sthir rahna hi sthayitva hai….apni indriyo par niyantran rakhna hi dhairya hai…mann ke mail ka tyag karna hi snan hai…aur prani matra ki raksha ka bhav hi vastav me daan hai.

Pahredar—tumne mere sabhi sawalo ke sahi sahi jawab diye hain…

Agle hi pal uss surang me samne ki deewar apni jagah se thoda hat gayi aur vaha ek chota sa darwaja ban gaya bilkul gufa type me…yaha se bahar nikalne ke liye.

Priyadarshini—saajan, main bhi sath chalungi.

Divya—main bhi.

Mrinal (jaldi se chillate huye)—sakhiii, ruko..ruko..main bhi chalungi tum logo ke sath..

Pahredar—aise kaise tum jaogi..? abhi to tumne mere sawal ka jawab diya hi nahi hai…tum nahi ja sakti.

Mrinal (jor se)—to puch na...apni maa ke shraddh me puchega kya.... ?

Pahredar—puch raha hu…itna bhadak kyo rahi hai…pagal hai kya…?

Mrinal—main uttar tabhi dungi jab tum mere samne aa kar sawal puchoge..

Pahredar—theek hai..

Aur tabhi ek bada sa bhayanak dikhne wala shakhs mrinal ke samne aa gaya…samne aate hi vo jor jor hasne laga.

Pahredar—hahahaha…darr gayi na pagal ladki..chal bata ki sansar me sabse bade ashcharya ki baat kya hai….?

Mrinal—abhi batati hu…..Taaddddaaakkkkkk….mil gaya jawab.

Pahredar—aaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhh…tummm apneee pairoooo par nahii ja paogiiiiiiiiii…

Priyadarshini—mrinallll ye kya kiya tumne…..?

Mrinal—to kyo bola vo ki main tum logo ke sath nahi ja sakti…? Ab nahi puchega koi sawal..chalo

Raj—tum teeno yahi ruko..inn logo ka khyal bi to rakhna padega.

Priyadarshini—vo to patthar ban chuki hain…kahi nahi jayengi yaha se.

Divya—nahi, hum sath jayenge…hamesha apni manmani mat kiya karo saajan ..hmmm

Mrinal—haan main bhi sath jaungi.

Raj—tumhe ye surang bahar jane degi tab na…?

Mrinal—to tumhari god me chadh kar yaha se nikal jaungi.

Raj—uffff..kya musibat hai…?

Maine pahredar ki taraf dekha aur usko bahut hilaya dulaya lekin vah behosh ho chuka tha..aur phir hum vaha se bahar nikal gaye uss gufa roopi dwar se…

Chalte chalte hum ek ghane jungle me pahuch gaye….abhi hum uss jungle me kuch kadam hi andar gaye the ki tabhi achanak……
 
Status
Not open for further replies.
Top