- 28,992
- 64,487
- 173
UPDATE*84
Ham awaz ki disha me turant palat gaye …aur samne wale ko dekhte hi……
Dono ek sath—aaaaaappppp…………
“Ha tum dono mujhe ….Pari ko kaise bhool sakte ho”……
Ab Aage ………….
Samne behad khubsurat si ladki khadi thi…uske chehre par bahut tez jhalak raha tha…sundar itni ki koi bhi use dekhte hi apna dil haar baithe…..
Uska pahnava kafi alag tha….mai to uski sundarta me hi kho gaya tha….lekin divya nahi khoyi thi…
Divya Pari ko dekh kar bahut darr gayi…use sapna jo yaad aa gaya tha…
Divya—dekho mere saajan ko kuch nahi karna….tum kyo maarna chahti ho saajan ko….? Kya bigada hai usne tumhara…..?
Pari—aisi bhi kya jaldi hai divya rani...abhi to raat baki hai poori baat baki hai…?
Mai—lekin jaha tak mujhe yaad hai... mai to aaj se pahle kabhi apko nahi mila….to phir kaise…?
Pari—Ye aaj ki nahi sadiyo purani dastan hai jise shuru to tumne kiya lekin khatam mai karungi……
Mai—Ye kya bakwas hai….? Aisa kuch bhi nahi hota hai ye sab phaltu bate hain….
Pari—achchha meri bate phaltu hain….to phir ye dono tasweer aaj tak yaha kyo hain….yaha bhi to tum aaj pahli baar hi aaye ho…….bolo Raj kumar Shakti Singh…
Mai—koun Shakti Singh…? Ab ye koun hai….?
Pari—tumhe to apna naam tak dhyan nahi…ki ye tumhara hi naam tha kabhi…Shakti Singh urf Divya ka saajan….
Divya—dekho inka naam saajan hai....mai maanti hu ki hamara pichhle janam ka koi rishta hai...mai ye to nahi janti ki tumhari hamse kya dushmani hai... ? lekin mere saajan ko mat maarna....mai tumhare hath jodti hu...mai bahut tadpi hu saajan ke liye...
Pari (jor se)—agar tum tadpi ho to maine bhi intazar kiya hai is pal ka….agar tumne pyar kiya hai to maine bhi kiya hai….aur daro mat itna jaldi nahi maarungi tere saajan ko....tadpa tadpa ke maarungi....jaise mai tadap rahi hu aaj tak....
Mai—mujhe maarne ka khyal apne dimag se nikal do Pari....mar gaye mujhe maarne wale.....aur kyo tum ye sab karna chahti ho.... ?
Pari—kyo....kyo....kyo...ye aaj Rajgarh ka jo haal hai uske jimmedar tum ho ....tumhare hi kaaran meri hasti khelti zindagi barbad ho gayi....kitno ko nahi barbad kiya tumne
Mai—mai kuch samjha nahi.....kya kiya maine...
Divya—Rajgarh ko kya hua....sabhi to khush hain..
Pari—kya kiya tumne mere sath to suno….
(aage ki kahani…. Pari ki jubani)
Is kahani ki shuruaat aaj se lagbhag 5000 saal pahle huyi thi….
Mere Pita Rishi Mugdal bahut tapasvi the aur Rajgarh ke Maharaj Chitrangad ke kul guru bhi…
meri maa Vrinda aashram me padhne vale shisyo ka dhyan rakhti thi…
Mai bachpan se hi sundar thi to mere mata pita ne mera naam Pari rakh diya….
Mere janam ke kuch ek saal baad hi meri maa ka dehant ho gaya….mai maa se bahut prem karti thi…
Is jungle me maa aadi shakti ka ek bahut purana chhota mandir hai….jaha meri maa aksar pooja karne aati thi..
Mai maa ke gum me dukhi rahne lagi thi...halanki pitaji mujhe behad sneh karte the...to unhone meri udasi ka kaaran puchha...
Mugdal—Putri kya baat hai…aap itna chintit kyo rahti ho…?
Mai(bhole pan se)—Pita ji sab ki maa hain meri nahi hai…mujhe maa ki bahut yaad aati hai…meri maa kab vapis ayegi bhagwan ji ke ghar se…
Mugdal—(kuch soch kar) Putri jaha apki maa pooja karne jati thi aaj se vahi tumhari maa hain…tum bhi unki pooja kiya karo…vo tumhari pooja se khush hokar apki maa ko vapis bhej dengi apke pass….
Meri balak buddhi me Pita ji ki ye baat ghar kar gayi.. ab mai us din se apna jyadatar samay ussi mandir me bitane lagi....
Aise hi karte huye pata hi nahi chala ki mai kab jawan ho gayi...kitne hi saal yu hi pooja me nikal diye...
Mera sharir ab poori tarah se ek bharpoor nav-youvana me badal chuka tha...ab aur bhi meri sundarta nikhar gayi thi….
Meri sakhiya jab bhi kisi ka Prem Prasang chhedti to mere mann me bhi Prem tarange hilore maarne lagti…
Mai bhi apne hone wale pati ke sapne dekhne lagi thi aur khud hi sharma jati thi aisa soch kar….
Tabhi hamare aashram me Rajgarh ke Yuvraj Shakti ne Pita ji se shiksha grahan karna aarambh kiya….
Shakti shiksha grahan karte samay bhi mujhe hi ghurta rahta….mai bhi uski sundarta me khichi ja rahi thi….
Uska ye roj ka mujhe ghur ghur kar dekhna jaise niyam sa ban gaya tha….
Mai bhi shayad shakti ko apne mann mandir me basa chuki thi…kab kyo aur kaise mai uski ek nazar pane ke liye bekarar rahne lagi mujhe khud hi malum nahi hua…
Khushbu Bankar Teri Saanso me sama Jayenge,
Sukun Bankar Tere Dil mein Utar Jayenge,
Mahsus Karne ki Koshish to Kijiye,
Door Rahte Huye bhi Pass Nazar Ayenge….
Tera Intazar Mujhe Har Pal Rahta Hai,
Har Lamha Mujhe Tera Ehsaas Rahta Hai,
Tujh Bin Dhadkane Ruk si jaati Hain,
Ki Tu Mere Dil mein Meri Dhadkan Ban ke Rahta Hai...
Is Dil ko Agar Tera Ehsaas nahi Hota,
Tu Door bhi Rahkar ke Yu Pass nahi Hota,
Is Dil ne Teri Chahat Kuch Aise Basa Li Hai,
Ek Lamha bhi Tujh Bin kuch Khas nahi Hota......
Teri Awaz Sunne ko Tarse hai Mann Mera,
Teri Ek Jhalak Pane ko Bekarar hai Mann Mera,
Apni Zindagi ka Har Lamha Tere Sath Gujaaru,
Har Pal Bas Yehi Chahta hai Mann Mera.....
Ek Tu aur Teri Awaz Yaad Ayegi,
Teri Kahi Huyi Har Baat Yaad Ayegi,
Din Dhal Jayega Raat Yaad Ayegi,
Har Lamha Pahli Mulaqat Yaad Ayegi……
Zindagi Ab Tere Bina Katati Nahi Hai,
Teri Yaad Mere Dil Se Mitati Nahi Hai,
Tum Base Ho Meri Nigaho Mein,
Ankho Se Teri Soorat Hatati Nahi Hai....
Mai shakti se baate karna chahti thi...use apne dil ka haal bayan karna chahti thi...lekin stri sulabh swabhav ke kaaran Lajja vash kuch bhi nahi kah pati thi...
Mandir me jakar Prati Din Maa se apne liye Shakti ko maangti thi...ab meri pooja ka ek hi vishay hota tha shakti....
Jab bhi vo nazar nahi aata to mai pagal si ho uthati thi.. kisi kaam me mera mann hi nahi lagta tha...
Yaha tak ki apni sakhi saheliyo ke sath bhi aana jana, uthana baithna chhod diya tha...
Har samay bas shakti ko hi dekhti rahna chahti thi apni ankho ke samne....
Lekin ek din.....Next Update 11.30 pm Tak