If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Teeno ko baat karte huye abhi aadha ek ghanta hi hua tha ki unke kano me kisi ke jor se cheekhne ki awaz sunayi padi..jise sunte hi vo chounk gayi…sath hi iss cheekh se baki sab ki neend bhi toot gayi…aur vo sab apne apne rooms se bahar hadbadate huye nikal aaye..
Cheekhne ki lagatar awaz mamta ke kamre se aa rahi thi…sab ghabra kar turant vaha pahuch gaye…veer ne ek dhakke me hi darwaja tod diya…aur phir jo scene sab ki ankho ne dekha vo dekhte hi unke pairo tale jamin khisak gayi…
Ab aage…..
Jaise hi sab mamta ke kamre me darwaja tod kar pahuche to samne ka drishya dekhte hi unke chehre ka rang phika pad gaya… kisi ko bhi yakin nahi ho raha tha ki unki ankhe jo nazara pesh kar rahi hain vo haqiqat hai ya phir koi khwab…? Nazara tha hi kuch aisa, samne raj aur mamta behad aapatti janak sthiti me the..mamta khud ko raj ki pakad se chhutne ki koshish kar rahi thi lekin raj tha ki usko kisi bhi kimat par chhodne ko taiyar nahi tha..apni vivashta par mamta rote huye jor jor se apne bachaav me chillaye ja rahi thi.
Mamta (chillate huye)—bachaooo…chhod mujheee…ye paap main tujhe nahi karne dungi…aaaaaaa….chhod papi…chhod mujhe… koi bachao mujhe iss papi se….aaaaaaaa
Raj—chatttaaakkk…chup…aise kaise chhod du tujhe…aaj to main tujhe bhog kar hi rahunga…
Samne ka drishya dekh kar sabhi ke pairo tale jamin hi khisak chuki thi…kisi ne ye kabhi khwab me bhi nahi socha tha ki jis raj ko vo sab apne dilo jaan se chahte hain, jisko iss dharti par laane ke liye har mandir, masjid, guru dwaro aur dargaho ki khak chhani thi, vahi raj unhe ek din ye sab dikhayega…?
Sabhi ki bhavnao ko bahut gahri chot lagi thi…dhire dhire ye chot, kroadh aur nafrat ka swaroop leti ja rahi thi…mamta ki cheekh ne unhe hosh me la diya aur sabhi usko chhudane ke liye aage badhne lage.,,.kewal divya bhar ki halat baki sabhi se bhinn thi…vo darwaje se tik kar khadi ho kar mand mand mushkura rahi thi…jaise ki use raj ki iss jaghanya paap poorn harkat se koi dukh na hua ho…? Iss drishya ko dekh kar divya tanik bhi vichalit nahi huyi thi.
Meera (jor se)—rajjjj….chhod bhabhi ko…
Ruchi—betuuu....maa ko chhod...
Neha (gusse me)—rajjjj…
Veer (jor se)—rajjj…chhod de maa ko….warna aaj ke baad teri meri dosti khatam….
Paridhi—gudiya, tum alag karo raj ko badi maa se..
Paridhi ki baat sun kar divya mushkurate huye raj ko mamta se alag karne ki koshish karne lagi..lekin dono ko ek dusre se chhudane ke iss chakkar me raj apni baho me mamta ko liye huye bistar se niche gir gaya lekin usne mamta ko nahi chhoda to divya mushkurate huye phir se door ja khadi huyi.
Divya (haste huye)—hihihihhi…chhodna mat aaj…bilkul mat chhodna…hihihihi
Payal (gusse me)—gudiyaa…raj ko rokne ki jagah tum has rahi ho…? Sharam aani chahiye tujhe…(phir aage badh kar)..rajjj, main kahti hu, chhod maa ko….chhod jaldi se…tujhe meri kasam hai..chhod…
Payal ki awaz sunte hi raj ne palat kar dekha to vaha sabhi ko khade paya…vo turant mamta ko chhod kar hadbadate huye khada ho gaya aur jaldi jaldi apne kapde pahanne laga…mamta bhi rote huye apne kapde utha kar tezi se snanagar me ghus gayi.
Payal (gusse me)—chattaaakkk…chatttaaakkk…yahi hai tera sab ke liye pyar…?
Raj—didi..vo..vo..
Payal (gusse me)—door ho ja..meri nazro ke samne se….mar gayi payal aaj se tere liye…aur tu mere liye…
Ruchi (gusse me)—chattaaakkk…hum sab kya sochte the tere baare me, aur tu kya nikla…? Chhee, aaj to mujhe tujhe apna bhai kahte huye bhi sharam aa rahi hai…
Divya (haste huye)—hihihihihi…hihihihihihi….ek meri taraf se bhi maro…hihihihi
Iske baad sabhi gusse me bari bari se apne hath raj ke gaalo par saaf karte gaye...sirf divya, sandhya, priyadarshini aur mrinal ko chhod kar..baki har kisi ne chahe vo chota ho ya bada, usne apne hath saaf kar liye…kapde pahan kar aane ke baad mamta ne bhi apna gussa uske gaalo par nikal diya…raj anshu bahate huye aur gusse me mamta ko ghurte huye vaha se bahar nikal gaya.
Sab ke hriday ko gahra aghat pahucha tha…payal rote huye bhag kar apne kamre me ghus gayi aur darwaja bhitar se band kar liya…jab ki divya apne room me mushkurate huye chali gayi…priyadarshini aur mrinal apne room me..baki sab vahi mamta ke paas baith kar apna dukh vyakt karne lage.
Priyadarshini (dukhi)—maine kabhi socha bhi nahi tha ki mujhe saajan ka ye roop bhi dekhne ko milega….? Maa gouri ne jis saajan ko mere liye chuna hai, vo saajan aisa jaghanya maha paap bhi kar sakta hai, kabhi kalpana nahi ki thi..apni hi janam dayini mata ke sath aisa krurta poorn vyavhar kaise kar sakta hai saajan…? Ye paap kar ke saajan ne to sirf apni mata ka hi apman nahi kiya balki maa bete ke pavitra rishte ko hi kalankit kar diya..
Mrinal—main to khud hi sadme me hu sakhi…
Priyadarshini—mujhe to divya par bhi bahut gussa aa raha tha…saajan ko samjhane ki jagah vo use aur iss paap ke liye uksa rahi thi…kya yahi vo saajan hai, jiski sab tarif karte nahi thak rahe the…? Mrinal, hum abhi aur issi waqt dev lok lout jayenge..ab yaha rukna mere vash me nahi hai…yaha ab mera dum ghut raha hai…mujhe apne aap se bhi nafrat ho rahi hai ki iss saajan ko pane ke liye main sadiyo se bhatak rahi thi…? Pahle hi uska apni bahno ko apni patni banane jaisa paap kya kam tha jo ab maa ko bhi nahi chhoda..?
Mrinal—lekin ek bar jane se pahle saajan se mil to lo…? Kam se kam ye to pata chal jayega ki saajan ne aisa kyo kiya…?
Priyadarshini—nahi sakhi, yaha mujhse ek pal bhi ruka nahi jayega ab…tum rukna chaho to ruk sakti ho, main ja rahi hu..
Mrinal—agar tum nahi rukogi to main ruk ke kya karungi yaha…? Main to aayi hi tumhare karan thi..lekin phir bhi main yahi kahungi ki ek bar saajan se baat karne ke baad jao to jyada behtar rahega..kahi aisa na ho ki baad me pachtati raho..? aur abhi to tumhe saajan ko swayamvar me aane ka nimantran patra bhi dena hai..
Priyadarshini—nahi sakhi, maine ab yaha se jane ka faisla kar liya hai..ab saajan ko swayamvar me aane ka nimantran patra dene ki jarurat nahi hai..
Mrinal—theek hai..jaisi tumhari marzi..chalo..
Iske dono dono apne apne vastavik swaroop me aa kar vaha se antardhyan ho ke swarg lok chali gayi...jaise hi devraj ko ye baat pata chali ki priyadarshini vapis dev lok lout aayi hai to vah turant usse milne pahuch gaye..jabki uski mata apni putri ko dekh kar apne gale se laga li...lekin priyadarshini ke antar mann me iss samay khushi ka koi bhaav nahi tha...uska mann bahut vyathit tha.
P’ mata—putri tum achanak kaha chali gayi thi, bina kuch bataye... ? tumhe malum hai ki tum poore chhah (six) ghante se dev lok se gayab ho..tumhare pita ji kitni bar tumhe puch chuke hain..
(Note :- Prachin bhartiya dharmaik grantho, vedo, purano me varnit samay chakra ke vivaran ke anusar dharti me rahne wale manav ke 1 saal ke barabar swarg lok ke devtao ka 1 din hota hai…iss hisab se priyadarshini ko dharti ke samay anusar 3 mahine huye jabki dev lok ke hisab se kewal six hours....matlab ki jab dharti me 1 saal ka samay poora hota hai tab ja kar devtao ka 1 din poora hota hai....time calculation ke liye aaj bhi poori duniya me ussi paddhati ka upyog kiya jata hai.)
Priyadarshini (udas)—kshama chahti hu mata sri...bas aise hi ghumne nikal gayi thi..
Tabhi vaha bhawan me devraj ka pravesh hota hai...priyadarshini ko dekh kar vah bhi khush ho jate hain, kintu unke mann me abhi bhi kayi sawal the jinka uttar vo priyadarshini se janna chahte the.
Devraj—rajkumari, kya main puch sakta hu ki tumhe prithwi lok par jane ki kya avashyakta aan padi thi, jo tum bina kisi ko suchit kiye chali gayi.... ?
Priyadarshini—main kshama chahti hu pita sri..
Devraj—dubara aisi bhul nahi honi chahiye..iss baat ka dhyan rakhna..
Priyadarshini—ji pita sri..
Devraj—aur ek baat, tumhara swayamvar hone ja raha hai..isliye uss tutchh manav ko bhul kar apne chehre par aayi iss malinta ko shighra door karo..
Priyadarshini (nazre jhukaye)—ji pita sri..
Malay—tumhare liye usko bhul jana hi achcha rahega..warna main uski jindagi nark se bhi badtar kar dunga..
Priyadarshini ne koi jawab nahi diya balki sidhe apne kaksh me chali gayi aur darwaja band kar ke rone lagi...jab rona kuch kam hua to usne mann hi mann kuch soch kar dhyan yog me baith gayi..
Priyadarshini (mann me)—maa aadi shakti, maha gouri mujhe darshan do maa..
Kafi der tak dhyan me rah kar priyadarshini mata parvati ka avahan karti rahi..antatah uski pukar safal huyi aur uske antah sthal me ek divya jyoti punj prakashman hone laga…dhire dhire iss prakash me se ek akriti prakat huyi singh vahini mata gouri ki..
“Kaho putri, kis liye mera smaran kiya..?” mata ne prakat hote huye kaha.
Priyadarshini (dhyan me rote huye)—maa, aap se mere hriday ki vyatha chhupi nahi hai …aapne saajan ko mere liye chuna tha, lekin vo ek dev kanya ke layak to kya, ek manav kanya ke yogya bhi nahi hai..phir aap ne use mere liye kyo chuna maa…? Aapne mere liye aise maha paapi ka chunaav kyo kiya maa, kyo…?
“Mujhe batao to putri ki akhir kya hua…? Jiski vajah se tum itni vyathit ho rahi ho.” Mata ne kaha.
Priyadarshini (dhyan yog me)—sab kuch jante huye bhi agar aap mujhse hi sunna chahti hain to theek hai maa, suniye..(phir usne jo kuch dekha tha vo bata diya. )..aur to aur saajan ki iss galti par use rokne ki jagah divya has rahi thi aur usko iss paap ke liye uksa rahi thi..
Maa Gouri—hmm..putri, tumne divya se pucha nahi ki vo saajan ko rokne ki jagah has kyo rahi thi... ?
Priyadarshini—sab kuch dekhne ke baad puchne ki jarurat hi kaha rah gayi thi maa..
Maa Gouri—to jao pahle divya se hasne ki vajah pucho... ? usse pucho ki iss ghatna se vo vichalit kyo nahi huyi... ? uske pashchat mujhe yaad karna, main avashya tumhare sawalo ke jawab dungi putri..
Uske pashchat mata gouri antardhyan ho gayi....unke jate hi priyadarshini ne mann hi mann mrinal se sampark gaya aur phir uske sath turant dev lok se adrishya ho kar divya ke paas pahuch gayi...jo ki apne bistar par ankhe band kiye huye baithi thi.
Priyadarshini—divya, main tumse kuch baat karna chahti hu.... ?
Divya (ankhe khol kar)—aaiye, didi baithiye na..
Mrinal—so rahi thi kya….?
Divya—nahi, bas apne saajan ki yaado me khoyi huyi thi…aap mujhse kuch puchne aayi thi…? Puchiye na.. aap dono ke chehro par ye udasi kaisi….?
Priyadarshini—main tumse aaj ki hi ghatna par baat karna chahti hu..
Divya—kya baat karna chahti ho didi…?
Priyadarshini—jaha saajan ki iss nindniya harkat se sabhi sharmashar ho gaye, vahi tum jara bhi vichalit nahi huyi aisa kyo…? Jabki tumhe o sabse adhik taklif honi chahiye thi…
Divya (mushkura kar)—kya aap waqai me meri khushi ka karan janna chahti hain didi…ya..phir mera uphas kar rahi hain…?
Piyadarshini—main tumhari hasi ka karan janna chahti hu, divya..
Divya—mere vichalit na hone ki vajah ye hai didi kyon ki jo bhi sabne dekha vo mahaj ankho ka ek dhokha tha jise sab ne sach samajh liya.
Priyadarshini/ Mrinal (shocked)—ankho ka dhokhaaa…‼
Mrinal (hairan)—akhir tum kahna kya chahti ho…?
Divya—main kahna ye chahti hu ki jise aap saajan samajh rahi hain, vastav me vo saajan tha hi nahi aur na hi vo maa thi.. main ye to nahi janti ki vo dono koun the lekin itna jarur kah sakti hu ki vo saajan aur meri maa to bilkul bhi nahi the.
Priyadarshini (shocked)—ye baat tum itne vishwash ke sath kaise kah sakti ho…?
Divya—didi, saajan mere rom rom me basa hai..meri antaraatma, meri ruh me samaya hua…mera dil saajan ki aahat ko 1000 km door se bhi mahsoos kar leta hai…uske karib pahuchte hi mere dil tezi se dhadakne lagta hai…main apne saajan ki dhadkano ko bhali bhanti mahsoos kar sakti hu..theek aisa hi kuch saajan ke sath bhi hota hai..kintu kab main uss kamre me pahuchi to aisa kuch bhi mujhe mahsoos nahi hua aur na hi usko…tabhi main samajh gayi thi ki ye mera saajan nahi hai.
Mrinal—magar isse ye siddh to nahi ho jata ki vo saajan nahi tha balki koi aur tha…?
Divya—iski dusri vajah bhi hai…aap itne din se saajan ke sath ho, to kya dekha aapne saajan me…? Jo aapne aisa soch soch liya saajan ke baare me…main apne saajan ko sadiyo se janti hu…uski ek ek dhadkan se parichit hu…mera saajan kabhi khwab me bhi itni giri huyi harkat karne ke vishay me soch bhi nahi sakta kabhi, karna to bahut door ki baat hai…mujhe apne saajan aur uske prem par itna vishwash hai ki agar swayam sakshat bhagwan bhi aa kar kah de ki vo saajan hi tha, tab bhi main nahi manungi…agar prem kiya hai to sabse pahle apne prem par vishwash karna bhi aana chahiye..jis prem me aapas me vishwash hi na ho, vo pani ke uss bulbule ki tarah hota hai jo ek kankad maarte hi pal bhar me hi banta hai aur agle hi pal mit jata hai.
Priyadarshini—ye tumhara apne prem par andha vishwash bhi to ho sakta hai…?
Divya—main iski teesri vajah bhi batati hu…jo saajan hamesha apne se bado ka samman karta aaya ho hardam..jisne kabhi kisi ko dukh dene ke baare me socha bhi na ho..vo achanak hi aisi ghinoni harkat kaise kar sakta hai…vo bhi apni maa ke sath…? Kabhi ye socha aap sab ne…? saajan ka swabhav kaisa hai, ye aap bhi to dekh rahi thi itne din se…? bataiye, aap ko koun si burayi nazar aayi thi mere saajan me…?
Priyadarshini—nahi, aaj se pahle to koi burayi nazar nahi aayi..vo sab ka bahut aadar karta tha..
Divya—agar koi burayi nahi dikhi thi to khud hi socho, agar vo saajan hota to sab ke uss kamre me pahuchne ke baad bhi kya uss aurat, jisko aap sab uski maa kah rahe ho..usse aise hi besharmo ki tarah lipta rahta... ? turant chhod kar door nahi ho jata usse... ? apni galti par sharminda nahi hua hota... ?
Priyadarshini—tumhari iss baat me to jarur dum hai divya..lekin phir bhi...
Divya—phir bhi kya didi…?
Mrinal—ye bhi to sambhav hai ki kisi ne apni shakti se saajan ko sammohit kar diya ho, jiske karan usse ye apradh ho gaya... ?
Divya—koi bhi eshwariya shakti, kisi ko iss tarah ke apradh ke liye kabhi sammohit kar ke prerit karegi nahi aur brahmand ki kisi buri shakti me itni taqat nahi ko vo saajan ko sammohit kar sake..isliye aap ka ye tark niradhar hai.
Priyadarshini—phir bhi divya, isse ye to pramanit nahi hota ki vo saajan nahi tha…?
Divya—chaliye aap ko ek aur vajah bata deti hu..usse to pramanit hoga na..aap ko dhyan to hai na ki main unn dono ko chhudane ke liye gayi thi…?
Mrinal—haan, aur phir vo dono bistar se niche gir gaye the..
Divya—bistar se niche gir nahi gaye the balki mere hath lagate hi unko bijli ka jhatka laga tha…uss bijli ke jhatke ke karan dono niche gir gaye the…aur mere chhune se saajan ko kabhi jhatka nahi lagta hai, samajh gayi aap..baki sab ko jhatka lagta hai siwaye saajan ke…usko mere chhute hi bijli ka jhatka lagna ye sabit karta hai ki vo mera saajan nahi tha…kya ab bhi kisi praman ki avashyakta hai aap ko…?
Mrinal (shocked)—lekin..tumne to ye bhi kaha hai ki vo aurat tumhari maa nahi thi…?
Divya—bilkul kaha hai..baat sidhi si hai ki agar vo saajan nahi tha to vo aurat meri ya saajan ki maa bhi nahi ho sakti..kyon ki rajgarh se judi kisi bhi ladki ya aurat ko saajan ke alawa dusra koi galat niyat se hath bhi nahi laga sakta…yahi rajgarh ka shrap aur abhishap hai rajgarh se jude logo ke liye..jabki uss aurat ke sath vo admi jo kuch kar raha tha ..agar vo aurat maa hoti to usko hath lagate hi vo turant napunsak ban gaya hota…iska matlab saaf hai ki uss aurat ka rajgarh se koi sambandh nahi hai aur na hi uss admi ka..
Divya—ab bhi agar kisi praman ki avashyakta ho to priyadarshini didi, aap to dev kanya ho…aap ke paas bahut si shaktiya hain.. apni ankhe band kar ke khud hi apni shaktiyo se kya sach hai aur kya jhuth…khud hi dekh lo…?
Priyadarshini aur mrinal par to jaise divya ki baato ne vajrapat hi kar diya tha…dono ke paas divya ki baato ka koi jawab nahi tha.. dono niruttar ho chuki thi…phir bhi apni tasalli ke liye priyadarshini ne ankhe band kar ke sach ko dekhne ka prayas karne lagi..
Agle hi pal priyadarshini ki ankho se chhal chhal karte huye anshu bahne lage…uska rom rom pashchatap ki aag me jhulasne laga…aur vo dono hath jod kar rote huye divya ke samne ghutno par baith gayi.
Priyadarshini (rote huye)—ye mujhse kaisa apradh ho gaya…? Jis saajan ko paane ke liye main sadiyo se idhar udhar bhatak rahi thi…aur jab vo aur uska pyar mujhe mil gaya to apne uss saajan ke charitra par hi sandeh kar baithi….mujhe maaf kar do divya.. main tumhari aur saajan ki gunahgar hu…mujhe maaf kar do…lekin mujhe saajan se door mat karo…main saajan ke bina nahi jee paungi…
Divya—didi, aap mujhse har tarah se badi ho…aap ek dev kanya ho aur main ek sadharan manav kanya…aap mere samne hath mat jodiye…ek dev kanya ko kisi sadharan manav ke samne iss tarah hath jodna shobha nahi deta, aap apni mahatta ko kam mat kijiye…aap na meri apradhini hain aur na hi saajan ki…isliye aap ko mujhse ya saajan se kshama maangne ki koi avashyakta nahi hai…lekin ye bhi sach hai ki aapne apradh to kiya hai..aapne apradh kiya hai apne prem ka, apne devattav ka…aur usse se badi apradhini hain aap aadi shakti maa gouri ki…jinke vachano par vishwash na kar ke aapne maa gouri ko bhi jhutha samajh ke unka tiraskar kiya hai…aap ko kshama karne ya na karne ka adhikar unka hai…agar aap ko kshama hi maangni hai to jaiye didi, unn mata parvati ji se kshama yachna kijiye..aur apni galti ka prayashchit kijiye..
Divya ki baat sunte hi priyadarshini ghor apradh bhavna se grasit ho gayi…mrinal ke samjhane ke bavjud bhi uski ankho se bahte anshu rukne ka naam hi nahi le rahe the..vo vaha se turant adrishya ho kar kailash shikhar par pahuch gayi aur rote huye mata parvati ka avahan karne lagi.
Apni bhaktini ka karun krandan sun kar mata parvati apni aloukik chhata bikherte huye vaha prakat ho gayi…unko apne samne dekhte hi priyadarshini maa gouri ke charno me gir kar apne apradh ke liye kshama yachna karne lagi.
Priyadarshini (rote huye)—mujhe maaf kar do maa..mujhse bahut bada apradh ho gaya jo maine aap ke vachno par sandeh kiya mujhe kshama karo maa..
Gouri—utho putri…
Priyadarshini (bahte anshu)—nahi maa, main aap ki apradhini hu…jab tak aap mujhe kshama nahi karengi, main nahi uthungi..
Gouri—putri, main maan aur apmaan se pare hu...isliye utho..tumhe apni bhul ka smaran karane ke uddeshya se hi maine tumhe divya ke paas jane ko kaha tha…taaki tum prem ka vastavik arth samajh sako…jis prem me vishwash na ho vah sachcha prem kabhi nahi ho sakta…jo prem hawa ke ek jhoke se vichalit ho jaye, vo pem badi badi aandhiyo aur chakrawat ka samna nahi kar sakta…ab to tumhe samajh aa hi haya hoga ki divya aur saajan ka prem teeno loko me amar kyo hai…divya ka prem sabse alag aur adbhut kyo hai..kyon ki use apne prem aur premi par atoot vishwash hai… uska yahi apne saajan ke prati vishwash uske prem ko sabse shrestha banata hai..saajan se prem to tum bhi karti ho, pari bhi karti hai, aur bhi kayi hain jo usse prem karti hain..lekin phir bhi kisi ki tulna divya se sambhav nahi hai kyon ki jo atoot vishwash divya ko saajan par hai vo vishwash kisi ke andar nahi hai…yahi vishwash divya ke prem ko sabhi se mahan sabit karta hai.
Gouri—tumhara apradh baki sab se kahi adhik hai…sadharan manav usko hi sach manta hai jisko uski ankhe dekhti hain aur uske kaan sunte hain..isliye unki galti swabhavik hai…kintu tum to sadharan kanya nahi ho, tum dev kanya ho..tum turant sach jaan sakti thi..kintu tumne bhi ankho dekhi aur kaano suni baat par vishwash kar liya…ye tumhare prem ki aparipakwata ko sabit karta hai…sachcha prem kya hota hai, ye samajhna hai to koi divya se samjhe..divya ek sadharan manav kanya hote huye bhi dekhte hi samajh gayi ki ye uska saajan nahi hai..uski yahi vishesta use sadharan kanya hote huye bhi asadharan banati hai.
Gouri—tumhare apradh me kahi na kahi tumhare andar chhupa hua ek dev kanya hone ka ahankar bhi shamil hai…iss ahankar ke karan hi tum na to aaj tak saajan ko samajh payi aur na hi uski kshamta ko…tumne hamesha saajan ko sirf ek manav samajh kar uski kabiliyat par sandeh kiya…yaha tak ki tumhe iss baat par bhi sandeh tha ki saajan tumhare swayamvar me swarg log tak pahuch bhi payega ya nahi..aur apne issi dev kanya hone ke ahankar ke karan saajan ko ek thoda shaktishali manav samajhne ki vajah se tumhe mere vachan par bhi sandeh hota raha hamesha…devta manav se sirf isliye uttam kahlate hain kyon ki devtao ke paas shaktiya hoti hain..lekin kisi ko mahan uske karm banate hain, aur ye adhikar to dharti vasiyo ke paas hai.
Gouri—tumne ye kaise soch liya putri ki main tumhare liye kisi galat var ka chayan karungi..? main to har kisi ka bhala hi chahti hu..phir tum to meri priya bhakt ho….putri agar sirf devta hone se koi sreshth hota to devtao ko yuddh me apni vijay ke liye ayodhya naresh maharah dashrath ke aage hath jod kar vinti nahi karni padti…? Vrittasur ka vadh karne ke liye devtao ko maharshi dadhichi ke samne jholi nahi phailani padti..
Priyadarshini—mujhe kshama kar do maa…main aaj tak saajan ko samajh hi nahi payi..
Gouri—tumhe apni galti ka ehsaas ho gaya..yahi kafi hai putri..main tumhe aaj saajan se juda ek atyant goodh rahasya batati hu jise tridevo, devarshi narad aur mere atirikt aur koi nahi janta..yaha tak ki khud saajan bhi nahi…kintu ye rahasya gupt hi rahna chahiye..isme hi sab ka kalyan hai…ye rahasya janne ke baad tumhare mann me chhaye sabhi sandeh ke badal chhant jayenge..kintu yaha se jate hi tumhare manas patal se iss rahasya se judi baate vismrit ho jayengi…kintu unke prabhav se tumhara gyan yathawat rahega.
Priyadarshini—ye mera saubhagya hoga maa..
Gouri—to suno...baat uss samay ki hai jab...******************* (Ye rahasya priyadarshini ke swayamvar ke samay ujagar hoga.)
Priyadarshini—main aaj dhanya ho gayi maa..mere mann ki sabhi shankaye door ho gayi aaj…pranam maa
Gouri—tumhara kalyan ho putri…
Uske baad priyadarshini khushi khushi divya ke paas lout aayi lekin uske mann me saajan ka samna karne me hichak ho rahi thi. Vo bar bar yahi soch rahi thi ki saajan use maaf karega ya nahi…?
Jaha aaj sabhi raj ki iss ghatiya harkat se behad dukhi the, lekin divya ko chhod kar..vahi koi aisa bhi tha jo behad khush tha aaj ki iss ghatna se….