Naik
Well-Known Member
- 20,995
- 76,659
- 258
Excellent update brother keep posting waiting your next update
Thank you
Thank you
Thanks aman bhai for Reading & Supporting.amazing update anand bhai,
behad hi shandaar aur lajawab update hai bhai,
divya ne aaj sabko aaina dikha diya hai,
guru maa ne raj ka margdarshan kar use sahi aur galat ka antar bata diya hai,
aur idhar payal didi to ek baar phir se kulhari lekar sabke upar chadh dauri hai,
Vahi ab ye tarajoo ne kya jhanjhat laga kar rakh diya hai,
ab to saajan ko samajh bhi nahi aa raha hai ki vo kaun sa punya daan kare,
ab dekhte hain ki aage kya hota hai,
Waiting for next update
Thanks for Reading & Supporting.
Thanks Naik bhai for Reading & Supporting.Excellent update brother keep posting waiting your next update
Thank you
amazing update anand bhai,SAAJAN
UPDATE- 305
Phir maine apne har janam me musibat me phanse huye logo ki madad karne ke punya ka smaran kiya..lekin jab hath hataya to dimag ghum gaya..kyon ki vo palda tas se mas nahi ho raha tha apni jagah se...
Raj—baba, ye kya... ? kya logo ki madad karna bhi punya nahi kahlata…?
Praja—ye jhutha hai..tarazu jhutha hai..
Mahatma—tarazu jhutha nahi hai...saajan, tumhe shaktiya mili hi logo ki madad karne ke liye hain...isliye musibat me phanse logo ki madad karna tumhara dharm bhi hai aur kartavya bhi...ye punya karm me nahi gina ja sakta..apne kisi aur punya karm ka smaran karo saajan...
Ab aage......
Mahatma—kya baat hai bahut soch vichar me dikh rahe ho saajan... ? tumhare paas to punya karmo ka bhandar hai putra.. apne punya karmo ke karan tum devtao ke liye bhi ajey ho…apne kisi bhi punya karm ka smaran karo saajan..
Raj—theek hai sadhu maharaj..
Phir maine tarazu ke uss palde par hath rakh kar kayi anath kanyayo ke kanya dan karne ke punya ka smaran kiya…aur phir ankhe khol kar hath hata liya…agle hi ye dekh kar sab chounk gaye ki ab unn aatmao wala palda bilkul halka ho kar upar uth gaya tha aur punya karma wala palda bhari ho kar jamin se ja laga tha.
Main abhi kuch samajh pata ki kayi roshniya ek sath charo dishao se nikal kar mere andar samahit hone lagi aur phir kuch der pashchat sab kuch pahle jaisa ho gaya….sirf aakriti meri mann me ubhar kar aayi jo ki rajlaxmi ki thi.
Rajlaxmi—mujhe mukti dene ke liye dhanyawad saajan…main jane se pahle apne kiye apradho ki aapse kshama mangti hu..?
Raj—maine to tumhe uss din hi kshama kar diya tha rajlaxmi jis din tumne ye apradh kiya tha…kintu kisi ko kshama kar dene ka ye arth kadapi nahi hota hai ki vo apne kiye gaye apradh ke karm phal se bach gaya…? Use apne apradho ka karm phal to bhogna hi padta hai, phir chahe vo koi bhi ho…kisi ko kshama karne ka matlab sirf yahi hota hai ki unn apradho ka karm phal bhogne ke baad uska bhavishya ujjwal ho jata hai, andhakar me dooba nahi rahta…uski bhavna shuddh ho jati hai…ye karm lok hai, yaha karm hi pradhan hai..apna karm karne ke liye sabhi swatantra hain..unke karm me koi hastakshep nahi kar sakta..na to koi devta aur na hi koi shakti..yahi srasti ka niyam hai….isliye hi karm yoni ko dev yoni se bhi uttam mana jata hai..
Rajlaxmi—meri ek antim ichcha poori kar do saajan…
Raj—bolo..agar mere vash me hua to avashya karne ki koshish karunga….?
Rajlaxmi—main aap ki patni ke roop me iss yoni se mukt hona chahti hu..meri yahi antim ichcha hai ki main pratyek janam me sirf aap ki hi patni banu…meri ye antim ichcha poorn kar do saajan…
Raj—bhavishya mere hath me nahi hai rajlaxmi isliye bhavishya me kya hoga, ye main kaise bata sakta hu…? Iske liye to sirf vidhata se prarthna hi kar sakta hu ki vo tumhari manokamna poori kare…Haan, main tumhe vachan deta hu ki tum meri patni roop me mukt hogi…
Rajlaxmi—aap ka dhanyawad saajan..
Raj—vivah aur rajyabhishek ke baad main tumhari ashthiyo ka vidhiwat daah sanskar karunga aur apne pati dharm ka uttar dayitva nibhaunga..
Uske baad rajlaxmi vaha se gayab ho gayi aur main phir se unn mahatma ji ki taraf dekhne laga..mujhe na jane kyo aisa pratit ho raha tha ki main unhe pahle bhi kahi dekh chuka hu ya phir sakshat mil chuka hu, kintu kaha..? ye smaran nahi ho raha tha.
Mahatma—dekha saajan, maine kaha tha na ki tumhare paas punya karm ka bhandar hai…vastav me putra kartavya karm, punya karm ki shreni me nahi aata hai…kintu apna kartavya palan na karna paap hota hai..tumne pahle apne rajya me praja ke liye nadi, nahar, guru kul banwane ke karm ka smaran kiya..lekin kya uss sab ke liye banwane me jo dhan upyog hua, vo tumhari apni mehant ka tha..? jawab hai..nahi..vastav me vo dhan to praja ka hi tha, jo tumne ek raja hone ke naate kar (tax) ke roop me unse vasool kiya tha..iss tarah unka dhan tumne unke hi kaam me laga diya, ye karm nihswarth to nahi tha balki ye sab ek raja apna naam, apna yash, aur apni keerti badhane ke liye karte hain, phir isme punya kaisa…?
Mahatma—phir tumne hazaro brahmano ko daan dakshina dene ka karm ka smaran kiya..lekin vo tumne daan kiya vo bhi tumhari khud ki mehant se arjit kiya hua nahi tha..uss daan me bhi apna naam banaye rakhne ka swarth nihit tha..
Mahatma—phir tumne mata pita aur bado ki sewa karne ke karm ka smaran kiya…lekin vats, ye sharir bhi to tumhara khud ki mehnat se arjit kiya hua nahi hai..ye to tumhare mata pita ki hi den hai..unki sewa karna to putra ka param kartavya hai..mata pita ki sewa karne se jo phal milta hai vo ati uttam hota hai..
Mahatma—ant me tumne garib aur anath kanyayo ke kanya daan karne ke karm ka smaran kiya..jisme tumhara koi swarth nahi tha..ye karm tumhari apni achchi soch ka natiza tha..iska faisla tumhara apna tha..unn anath kanyayo ko vivah ke samay tumne unhe pita ki kami mahsoos nahi hone di..isliye ye tumhara punya hai..
Mahatma—iske alawa bhi tumne bahut se punya kiye hain..jaise ki tumne uss andhi ladki shikha ki jaan bachayi aur use netra heenta ke dukh se ubar liya..ye bhi punya hai…tumne ek anjan aurat ko apni kidney daan karne ka bhi punya kamaya hai.. laakho matao ko unki santan se milwaya hai, ye bhi punya hai….anaath bachcho ke rahne, khane pine aur padhne ki vyavastha ki, ye bhi punya hai.....khud bhukhe rah kar uss aurat ko bhojan karaya, ye bhi punya hai....jab tumhara dost bimar tha, tab tumne usko bachane ke liye jo dawaiya laye the, unse apne dost ki jagah vo dawaiya tumne ek aurat ke bachche ki jaan bachane ke liye usko de di..ye bhi punya hai, kyon ki uske pariwar me uss aurat aur uski betito ka vahi eklouta sahara tha, iss tarah tumne apne dost ki ek jindagi bachane ke sthan par uss aurat ke pariwar me rahne wale kayi logo ki jindagi bacha li….apne poorv janam me ek sherni ke nanhe shawak jo ki bhookh se mar rahe the aur jinki maa ko shikari pakad le gaye the, inko tumne apne hi sharir ka maans kaat kar khilaya jisse unn do shawako ki jaan bach gayi…ye bhi tumhara maha punya hai…tumne itni galtiyo ke baad bhi apni nani aur mousi ko apne sath kiye gaye duskarm ke liye kshama kar diya, ye bhi punya hai..tumne tapasya se punya arjit kiya…yagya, hawan aadi se punya kamaya…tumne dus chudailo ko unki chudail yoni se shrapt mukti di, vo bhi punya hai…ab ranhavi ko bhi mukti doge, ye bhi punya hi hai..kyon ki ye sabhi tumhari jimmedariya nahi thi…tumhare punya karmo ki gatha bahut lambi hai..tumhare jaisa punyatma sansar me bar bar janam nahi leta, agar leta bhi hai to kisi na kisi shrap ke phalswaroop, saajan…
Mahatma—kintu tumse ek maha paap bhi hua hai..jo tumne pari ke sath kiya..vo sarasar galat tha…uss galti ki saza tum aaj tak bhog rahe ho…pari ke shrap ne tumhare punya karmo ke phal ko phalit hone se rok diya..iss tarah tum har janam me punya karm karte gaye aur vo punya karm tumhare andar sanchit hote rahe..tumne jitne bhi logo ko apni shaktiyo ka prayog kiye bina bachaya, vo sabhi tumhare punya karm me sanchit ho gaye …itne saare punya karm tumhare andar ekattha hone ke karan hi tum bina shaktiyo ke bhi kisi ke liye bhi ajey ho….tumhare andar sanchit punya karmo ka hi pratap hai ki koi bhi shakti tumhe nuksan nahi pahucha sakti, jab tak ki tum khud na chaho…tumhare upar jo bhi shakti prahar karega, vo shakti tumhare sharir se takra kar prahar karne wale ka hi vinash kar degi…tumhare ajey hone ka ek pramukh karan aur bhi hai, aur vo hai, divya ka tumhare prati nishchhal niskam nisswarth prem jo ki tumhare liye abhedya kawach ka kaam karta hai…shrap ki awadhi samapt hone ke pashchat hi tumhare dwara sanchit inn punya karmo ke phal ka uday hoga…
Mahatma—vastav me niskam bhav se swayam kasht sah kar dusre ke bhale ke liye kiya gaya karm hi punya hota hai…kartavya karm, punya karm ki shreni me nahi aata lekin kartavya karm ka palan na karna paap hai…ahanhar poorvak aur swarth bhav se kiya gaya daan ya punya karm bhi karta ko ichchhit phal nahi deta.
Mamta—lekin maharaj ye roshni kaisi thi…?
Mahatma—vo sabhi aatmaye mukt ho gayi hain..unn aatmao ne saajan ko apni mukti ke liye ashirwad diya hai..ye uski hi roshni thi..ye bhi ek punya hi hai..kyon ki isme tumhara koi niji swarth nahi tha..unki mukti ke liye tumne apne ek punya karm ka daan kar diya..
Sadhu maharaj ki baate sun kar main gadgad ho gaya…aur unke charno me jhuk gaya…sabhi ne unhe pranam kiya…unke chehre ka tez hi kuch aisa tha ki jo bhi dekhe to bas dekhta hi rah jaye….main unn ati vishist mahatma ji ko andar ek kaksh me le aaya aur unke charan dho kar unka charnodak liya…sath me sabhi ko diya..uss kamre me mere pariwar walo ke siwa anya koi nahi tha….unka charnamrit lene ke baad maine vidhiwat unki pooja ki aur arti utari…sabhi mere iss tarah karne se hairan the..
Raj (mann me)—mujhe kshama kare …main mand buddhi aap ko pahchan nahi paya…mere iss apradh ke liye mujhe kshama kare…
Mahatma (mann me)—utho putra…isme tumhara tanik maatra bhi apradh nahi hai…
Mamta—sadhu maharaj, aap mere bete ke baare me itna sab kaise jante hain….?
Mahatma—main kya aur kaise janta hu, ye mayne nahi rakhta…main ye kyo bata raha hu, ye adhik mayne rakhta hai…maine jo bhi tumhare putra ke vishay me bataya vo ekdam satya hai…kyon ki yaha bahut se log aise hain jo use galat samajhte hain ab bhi…to jara socho, jo itne punya karmo wala ho, nek dil aur paropkari ho, vo koi galat kaam kaise kar sakta hai, bina kisi thos vajah ke…?
Unn aatmao ki mukti ke tatpashchat vivah ka karya kram aayojit kiya gaya…janhavi ke mann me abhi bhi sandeh ke badal the.. kintu divya ke prashno ne use niruttar kar diya tha….aisa hi sawal sabhi ke mann me tha kintu unke paas kuch kahne ki himmat nahi rah gayi thi ab.
Uske baad kuch der aur baate kar ke hum sab vivah mandap me aa gaye..jaha sabhi hamari pratiksha kar rahe the…janhavi ne bina kisi pratirodh ke mujhse vivah karna swikar kar liya tha aur thodi hi der baad vo apni saheliyo ke sath vivah mandap par aa gayi.
Tatpashchat sumadhurit mantrochcharo ke sath vivah ka vidhiwat shubharambh ho gaya….kanyadan uske mata pita ne hi kiya… varmala pahnane aur paanigrahan ke sath hi vivah sampann ho gaya…hum dono ne sabhi bade jan aur guru jano ka ashirwad liya..sirf paridhi aur neha chachi ko chhod kar kyon ki vo meri patni thi…sath hi unn maha tejaswi mahatma ji ka bhi ashirwad liya..unka ashirwad mere liye mrit sanjivani ke hi samaan tha,
Halanki iss dauran payal didi behosh hi rahi..unhe maine maa ki god me lita diya tha…ye ek tarah se achcha bhi tha lekin unki kami mujhe barabar khalti rahi..sab log the vaha lekin phir bhi sab kuch ho kar bhi mere liye jaise kuch nahi tha…agar vo hosh me hoti to vivah mandap me hungama khada kar deti janhavi ko dekh kar..
Lekin main chahta tha ki vo mere rajyabhishek me mere paas upasthit rahe…khair rajyabhishek bhi sampann ho hi gaya..mere sath janhavi ki bhi taajposhi ho gayi…hum dono ne apni kul devi mata maha kali ka ashirwad liya…poori sabha me saajan aur divya ke naam ka jaykar goonj utha…jo ki sandhya se bardast nahi ho raha tha…phir bhi vaha par chup rahna hi usne behtar samjha…janhavi ko praja ne maharani ke roop me swikar liya lekin mere bagal wale singhasan me baithne ka adhikar nahi diya, unke anusar vo singhasan sirf divya ka hai jis par sirf divya ka hi adhikar hai..lekin maine janhavi ko uss singhasan par baithaya.
Raj—main aap sabhi ki bhavnao ka samman karta hu..kintu ek baat aap sab bhi samajh le ki saajan aur divya do nahi hainm balki ek hi hain…saajan hi divya hai aur divya hi saajan hai..saajan me divya hai aur divya me saajan hai…sirf jism do hain lekin vastutah dono jismo me jaan ek hi hai..dono jismo me ruh ek hi hai..dono jismo me aatma ek hi hai..phir divya aur saajan ke liye singhasan, do kaise ho sakte hain…? Main samajhta hu ki iss aupacharikta ki koi avashyakta nahi hai…rajkumari janhavi, jo ki ab meri patni bhi hain, unko unka adhikar milna chahiye..
Mahatma—ati uttam vichar hai..main saajan ki baat ka samarthan karta hu..
Rajguru—sarvatha upyukt baat kahi hai maharaj aapne..
Ek bar phir se charo taraf hamare naam ka jayghosh goonjne laga…Vo tejaswi mahatma hame apna ashirwad pradan kar ke chale gaye…maine rajlaxmi ki ashthiyo ko dulhan ke roop me shringar kar ke uska antim sanskar kar diya…phir sab ke paas vapis lout aaya.
Mahal me sabhi ke liye bhojan ka prabandh kiya gaya tha..sab ko bhojan mil sake, iski jimmedari maine mrinal aur veer ko sounp rakhi thi..jise dono ne poori tanmayta ke sath nibhaya..
Raj—kya baat hai, sab ke sab chup kyo hain….?
Mrinal (dhire se)—sakhi, saajan se sab ke samne apni galti ki mafi maang lo..maine to pahle hi kaha tha ki yaha ek bimar hai aur uske piche sau anaar hain…dekh liya na…?
Priyadarshini (mann me)—shayad tum theek kahti ho..mujhe saajan se mafi mang leni chahiye..lekin agar usne mujhe maaf nahi kiya to..?
Mrinal (dhire se)—vo sab saajan par chhod do…
Roopaly—raj, maine jo kuch tumhe galat kaha uske liye mafi chahti hu.. lekin mujhe ek baat samajh me nahi aayi ki ye jante bhi ki neha didi tumhari chachi hain, aur paridhi tumhari bahan, bhale hi tumne dubara use naya jeevan diya ho, par hai to vo neha didi ki beti hi na..to tumne unke sath rishta kaise bana liya..? aur diksha to choti bahan hai tumhari…kya tumne teeno se shadi ki hai…? Kya ye paap nahi hai…?
Sandhya (mann me)—ye sahi mouka lag raha hai..ek bar phir koshish karti hu..sab ko bhadkane ki…
Sandhya (gussa)—aap sahi kahti ho mami…raj ne to meri maa ko bhi nahi chhoda, meera mousi ko bhi nahi…unki to chhodo apni sagi bahan ruchi didi ko bhi apne pyar ke jaal me phansa liya…isme inn logo ki kya galti hai..? raj ke paas shaktiya jo hain, apni shaktiyo se usne vash me kar liya sab ko, bechari kya kar sakti thi…raj ne apni hawash bujhane ke liye ye sab kiya hai..
Maine dekha ki kisi ne sandhya ki baat ka virodh nahi kiya…divya kuch bolne wali thi lekin maine ishare se use rok diya..baki sab apna sir jhukaye baithi rahi..na to virodh kiya aur na hi kuch bola kisi ne..
Raj—main sab ke sawalo ke jawab dunga lekin payal didi ke hosh me aane ke baad….uske baad jo faisla aap sabhi ka hoga, vo mujhe manzur hoga….
Main vaha se uth kar bahar nikal kar payal didi ke paas gaya jaha maa aur saloni baithi huyi thi..payal didi abhi bhi behosh hi padi thi..kuch der tak unke chehre ko dekhte rahne ke baad main bahar aa gaya..mera mann kuch vyathit sa ho raha tha to main mahal ke bahar bane upvan me ek ekant jagah par aa kar baith gaya.
Na jane kitni der tak main vaha jad chetan bana akela baitha raha…jab kisi ne piche se mere kandhe par hath rakh kar awaz di tab meri chetna bhang huyi aur main punah iss chetna may sansar me vapis lout aaya…ye priyadarshini thi jo mujhe dhoondte huye yaha tak aa pahuchi thi.
Priyadarshini—saajan, yaha baith kar ekant me kya kar rahe ho…? Maine kaha kaha nahi dhoonda aapko mahal me…?
Raj—kyo... ? tumhe bhi kuch kahna hai kya ab... ? bol do, tum kyo piche raho..
Priyadarshini (tadap kar)—mujhe kshama kar do saajan..mujhse bhul ho gayi thi..main aap ko samajh hi nahi payi thi.. kintu mera vishwash karo, mere prem me koi khot nahi hai..bas kuch der ke liye sahi raste se bhatak gayi thi..
Raj—tum ek dev kanya ho priya darshini…tum chahti to sach janna tumhare liye choti si baat thi aur bakiyo ko bhi gumrah hone se bacha sakti thi..
Priyadarshini (nam ankhe)—main to khud hi gumrah ho gayi thi..mujhe kshama kar do saajan..maa gouri ne meri ankhe khol di hain…ab bhavishya me main aisi galti nahi karungi saajan..
Raj—ohhh..to iska matlab ki tumhari ankhe maa gouri ne kholi hain, tumhare prem ne nahi..yahi na..? phir tum ye kaise kah sakti ho ki bhavishya me aisi galti nahi hogi…?
Priyadarshini (nam ankhe)—mujhe kshama kar do saajan…main tumhare bina nahi jee sakti…tum mere rom rom me sama chuke ho…mere prem par sandeh mat karo saajan…mat karo..
Raj—mera khyal hai priyadarshini ki tumhe swarg lok lout jana chahiye…warna vaha sabhi ko pata chal jayega ki tum yaha ho..? aur ye na to tumhare hit me hoga aur na hi kisi ke…
Priyadarshini (bhigi palke)—to kya ab tum mujhe swikar nahi karoge…?
Raj—meri juban patthar ki lakir hai priyadarshini…ek bar vachan dene ke baad main apni laabh aur haani ke bare me nahi sochta…sirf apne vachan palan par dhyan deta hu..phir chahe anzam kuch bhi ho…tumhara prem to main pahle hi swikar kar chuka hu isliye ab aswikar karne ka sawal hi paida nahi hota…
Priyadarshini (sisakte huye)—vaha pita shree mera swayamvar karne wale hain…bahut hi jaldi..
Raj—agar tumhe apne prem par aur mujh par vishwash hai to chinta kyo karti ho…? Saajan swayamvar me jarur ayega.. lekin tab tak tumhe apne prem ki pariksha se gujarna hoga..vahi swarg lok me rah kar…
Priyadarshini (nam ankhe)—theek hai, main tumhe paane ke liye har pariksha se gujarne ko taiyar hu…agar tum chahte ho ki main swarg lok lout jaau to main aaj hi lout jaungi…lekin ab tum Mahal lout chalo..shayad aap bhul rahe hain ki aaj aap ki suhag raat hai..janhavi aap ka suhag sez par intazar kar rahi hai…
Raj—abhi se intazar kyo kar rahi hai..? abhi to bahut samay hai..
"Abhi Suraj Nahi Dooba, Jara Si Shaam To Hone Do,
Main Khud Lout Jaunga, Mujhe Nakaam To Hone Do,
Mujhe Badnam Karne Ka Bahana Dhoondte Ho Kyo..?
Main Khud Ho Jaunga Badnam, Pahle Naam To Hone Do."
(3368 Words)
Bilkul sahi kaha hai bhai aapne,Thanks aman bhai for Reading & Supporting.
Iss khubsurat prati kriya ke liye main aapka hriday se abhari hu dost.
Guru maa ne sahi kiya bhai, mere aisa likhne ki ek vajah ye bhi hai ki..ye likhne se pahle maine sabhi puran, ved, upnishad, geeta, manu smriti, kuran, bible, jain granth, bouddh granth sabhi me chhan kar dekh liya..kisi me bhi sage bhai bahan ya maa bete ke beech sharirik sambandh ko sahi nahi bataya gaya hai...har jagah isko maha paap hi bataya gaya hai....inn rishto ke beech sharirik sambandh ka na to koi samajik praman hai aur na hi pouradik praman..
Aise me inn rishto ke beech sharirik sambandh ya unke rishte se hatkar premi premika ka sambandh dikhana aur usme bhi kisi devi devta ki sahmati batana mujhe theek nahi laga..kisi devi devta ka naam inn rishto ke sath joda jana mujhe nahi jama isliye maine vo akhyan dikhaya.
Stay with us.
Today's update is on page.....1623