UPDATE*87
Ruchi aur Payal baki police walo ke sath jungle ki bhul bhulaiya me kho gayi….kahi se koi rasta hi nazar nahi aa raha tha ki kidhar jaye….
Ki tabhi unke kano me kuch logo ki bhayanak dard bhari cheekhe sunayi dene lagi…sabhi awaz ki disha me doud pade….
TBM ko Ruchi aur Payal ki khabar uske chamcho ne pahucha di us tak….
TBM—Ab ayega maza…..Ab mai Khelunga….hahaha
Ab Aage……….
Ruchi aur Payal jaldi se un cheekho ke pass tak pahuchna chahti thi….
unke mann me Raj ko lekar kayi tarah ke vichar paida ho rahe the…jinhe soch kar hi dono ki vyakulta har gujarte pal ke sath badhti hi ja rahi thi….
Lekin jungle ghana hone ke kaaran unhe aage badhne me dikkat pesh ho rahi thi….aur vo cheekhe bhi band ho gayi….jisse unko sahi disha ka andaza lagana mushkil ho gaya….
Unhe ab ye darr satane laga ki kahi raj ke sath koi anhoni na ho gayi ho….kahi unka raj kisi musibat me na ho..
vo jitna jaldi ho sake raj ki madad ke liye us tak pahuchna chahti thi…magar Pari ke is maya jaal me ulajh gayi…
Kuch hi der me ye cheekhne aur dard me chillane ki awaze charo taraf se aane lagi…..
Ab to unko ye decide karna mushkil ho gaya ki vo kis taraf jaye…..
apni vivashta par dono bahno ki rulayi phoot padi….vo lakh koshish ke baad bhi raj tak nahi pahuch pa rahi thi…..
Payal(rote huye)—didi ab hum kya kare….mera raj musibat me hai…..kuch bhi kar ke mere raj ko bacha lo agar usko kuch bhi ho gaya…to mai jeekar kya karungi aur kiske liye jiyungi…..jab mere sath mera raj hi nahi hoga to…..
Ruchi (rote huye)—ro mat meri bahan…raj mujhe bhi to utna hi pyara hai jitna tujhe….par ham kidhar jaye…. Kuch bhi samajh nahi aa raha…upar se itna andhera aur ghana jungle bhi hai…
Chandan—madam hame charo disha me phail jana chahiye….ek taraf Payal ji handle kar legi kuch police valo ke sath aur ek taraf mai aur aap mil ke search karte hain…..
Ruchi—theek hai jaldi bhejo logo ko searching ke liye
Chandan ne kuch logo ko Payal ke sath bhej diya aur kuch ko apne aur ruchi ke sath lekar aage badh gaye….
Udhar veer aur avni ko mandir me thahra kar vo sadhu apna bhesh badal kar jungle me andar ki or chala gaya..
Udhar baki log ulti disha me bahar ki taraf bhag rahe the lekin unhe bahar nikalne ka koi marg hi nahi mil raha tha
Vo sabhi ghum firkar phir vahi par aa jate the….tabhi unhe apne pass ke ped ke upar se kisi ki awaz sunayi di
“Uncle mujhe mere papa ko dhudne me madad karo na meri”….
Sabhi ne upar nazar utha kar dekha to vahi ladki ped par baithi huyi thi….lekin ab ki baar uski ankhe bilkul koyla ki tarah ekdam kaali thi….
Ye dekhkar vo sab phir bhaybheet hokar bachao..bachao chillate huye idhar udhar bhagne lage….
Magar us ladki ne ek ek karke sab ko maar diya…un sabhi ki dard bhari cheekhe aur vo ladki ki hasi us kaali andheri raat me gunjati rahi raat bhar…..
Ye cheekhe ruchi aur Payal bhi sun rahi thi aur har goonjti cheekh ke sath unke antar mann me raj ke liye chinta badhti ja rahi thi…..
Payal aage badhti ja rahi thi ekayak usko abhas hua ki koi pichhe hai to turant palat gayi lekin use pichhe koi nahi dikhayi diya…..
Payal (apne aap se)—Ye police wale sab ke sab kaha gayab ho gaye….?
Usne thoda pichhe jake dekha to use do police valo ki sar kati lash dikhayi di…..
Ye manzar torch ki roshni me dekh kar Payal bhi buri tarah se ghabra gayi aur ruchi ki or doudne lagi….
Idhar sonu monu log bhi jungle me yaha se vaha bhatak rahe the…
Unhe bhi raste me vo ladki mil gayi..jise dekh vo bhagne lage…lekin jidhar bhi jate vahi vo samne khadi milti…
Mohan (ghabraye huye)—maine kitna samjhaya tha lekin tum shahri logo ko to sab kuch majak lag raha tha…tum logo ko science hi sabse badi taqat lagti hai…ab maro sab
Sonu—mc…yaha jaan bachane ki lagi hai aur tu lecture jhad raha hai...ye raj aur veer bhi nahi mil rahe hain…
Anil—(gidgidate huye)dekho mujhe chhod do..mai ab kabhi yaha nahi aunga…mai kya meri aane wali pidhi me se bhi koi kabhi nahi ayega yaha….
Ratna—hahahaha…tum logo ne yaha akar is jungle ki shanti ko bhang karne ka apradh kiya hai…theek hai mai tum logo ko chhod sakti hu kewal shart par…
Monu—kaisi shart…?
Mohan—mujhe manjur hai…
Ratna—mujhe tum logo me se kisi ek ka khoon pina hai ab tum log me se koi ek mujhe apna khoon pila do aur baki chale jao….
Ratna ki ye shart sunkar un charo ki gand phat gayi… bhala koun jaan bhujhkar mout ke muh me jayega…
Ratna—jaldi faisla karo nahi to mai sabka khoon pi jaungi…
Sab ye sunn kar darr se phir bhagne lage lekin vo vahi vahi bhag rahe ek kadam bhi aage nahi ja pa rahe the….
Ratna unki haalat par has rahi thi…charo ko apni mout aaj nishchit nazar aane lagi….
Ratna abhi unko hath lagati ki vaha ek awaz ne usko rok diya….
“Ruk jao Pari….kyo nirdosh logo ki jaan le rahi ho…chhod do unhe”….
Ratna (Pari) ne awaz ki disha me dekha vaha vahi sadhu khada tha hath me trishul aur kamandal liye…..
Pari—aao Aghori Narpati tum bhi aa gaye….magar mere kaam me rukavat mat bano..nahi to anjaam theek nahi hoga…..
Ji ha ye sadhu aghori narpati hi tha jisne veer aur avni ko mandir me rok kar surakshit kiya …..
Narpati—mere hote huye tum aisa hargij nahi kar sakti abhi bhi waqt hai tyag do apni nafrat…..
Pari—kyo tyag du …kya kasoor tha mera…kya galti thi mere Pita ji ki …tab tum kaha the aghori…? Aur tum mujhe rokoge…hahaha…koshish kar ke dekh lo..jitne saal ki tumhari aayu nahi hai abhi mai usse hazaro saal se pahle se yaha hu….tumhari taqat mere samne ek cheeti ke barabar bhi nahi hai…
Narpati—theek hai tumhe muqabla hi karna hai to yahi sahi….mai abhi tumhe tumhari uddanta ka dand deta hu
Un bechare charo log ko aghori ke beech me aa jane se apne jeevan ki ummid ki kiran dikhayi dene lagi….aghori unke jeevan me dubte huye ko tinke ka sahara ban ke aaya tha….
Magar unki ye ummid ka diya jaldi hi bujh gaya..kyon ki aghori jitne bhi vaar Pari par karta us par unka koi asar nahi ho raha tha….
Ant me Pari ne aghori ke jo chele chapati uske sath the unki gardan ek jhatke me sharir se alag kar di aur aghori ko ped par ulta latka diya……
Pari—hahaha…dekh liya aghori meri taqat ka ek chhota sa namuna….mera ek hi maqsad hai shakti (saajan) ko maarna aur jo bhi mere maqsad ke beech ayega uska yahi anjaam hoga……
Pari sonu monu ki or badhne lagi …ye dekh charo darr se kaampte huye ek no. do no. kapdo me hi kar diya…..
Narpati—aaaahhhh….Pari tumko tumhare sachhe Pyar ki kasam…agar tumhara Prem sachchha tha..tumne sach me kabhi Prem kiya hai to tumhe usi Prem ka vasta deta hu….chhod do inhe….chhod do…
Pari ne tab tak monu ko gardan se pakad ke utha liya tha narpati ki baat sunte hi usne monu ko achanak chhod diya…vo dhadam se niche jamin par ja gira….
Pari (chillate huye)—nahiiiii…..ye tumne theek nahi kiya aghori…mujhe mere Prem ka vasta dekar…maine bhi Pyar kiya hai…ha..maine bhi pyar kiya hai….
Aur vo niche baith kar jor jor se rone lagi....
Pari (jor se)—chaie jao yaha se...chale jao...jao aghori tum bhi jao...
Idhar ghar me abhi tak Payal aur ruchi nahi pahuchi thi sabhi gharwale pareshan the…unka no. bhi nahi lag raha tha...
Nikalte samay ruchi aur Payal ka dhyan poori tarah se Raj par kendrit tha jisse vo ghar me kuch bhi batana bhool gayi....
Sabhi chinta me hall me baithe huye the…kisi ne dinner bhi nahi kiya tha aaj….
Mamta ne police station bhi phone kiya lekin vaha se bhi koi jankari hasil nahi huyi...kyon ki ruchi ek khatarnak mission par gayi thi to kewal kuch logo ko hi malum tha
Paridhi bhi do din se ghar par nahi thi....raj ke jate hi vo bhi business ke silsile me company tour par nikal gayi thi
Abhi sab chinta me baithe hi huye the ki darwaje ki ghanti baji…mitaly ne bhag kar darwaja khola..to samne ek hawaldar khada tha….
Mitaly—Ji kahiye…kya kaam hai….?
Hawaldar—aapne thane phone kiya tha na…pata chal gaya hai…
Ye sunte hi sabhi bhag kar darwaje par aa gaye....
Mamta (ghabrayi huyi)—kya pata chala.. ? kaha hain meri bachchiya... ?
Hawaldar—dekhiye Rajgarh me Raj ka accident ho gaya hai…Ruchi aur Payal vahi gayi hain...aap sab ko jaldi hi bulaya hai...Raj ki haalat bahut nazuk hai...
Ye sunte hi jaise sabhi ke upar vajrapat ho gaya....
Mamta (jor se)—nahiiiiiiiiiiiiiii.....
Aur vo fafak fafak kar buri tarah se jor jor se chhati peetkar rone lagi.......
Neha(rote huye)—chalo jaldi chalo.....
Aise hi sabhi rote huye aanan faanan me jo jis haalat me tha vaise hi turant us hawaldar ke sath nikal gaye….
Ruchi lagatar aage badhti ja rahi thi….tabhi kisi ne upar se uske sar par vaar kiya jisse vo niche gir gayi....
"Tum bahut hi khubsurat ho Ruchi" ……
Hahaha…hahaha….hahaha….
Ruchi ne kisi tarah us taraf palat ke dekha to use apni ankho par yakin hi nahi hua...
Ruchi--Tum....Yahan.....
Lekin sar me chot ki vajah se vo jaldi hi behosh ho gayi....
"Kya hua Ruchi The Bad Man ko nahi pakdogi, Mujhe pakdo Ruchi"....hahahaha
“Ahinsa Parmo Dharmah”
Divya apne Saajan ki baho me leti huyi thi….dono apne gile shikwe ek duje se share kar rahe the…..
Raj ne jaise hi Divya ke larajte hotho par apne hoth rakhne ja raha tha…Divya bhi na jane is pal ka kab se intazar kar rahi thi….
Ki tabhi Raj ke kaano me ek awaz gunji jisse vo turant uthkar baith gaya….
“Raaaaaajjjjjjj Bachaaaaoooooo” …….
Raj—Ye awaz to Payal didi ki hai…….
Vo turant vaha se jungle ki or tezi se bhag gaya…..