If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
UPDATE * 147
Iske sath hi maine philhal abhi ke liye diary padhna band kar diya ya haqiqat kahu to is samay aage padh sakne ki mujhme himmat hi shesh nahi rah gayi thi
Main vahi let kar paridhi didi ke bare me sochta raha…..
Main (mann me)—itna bada dhokha….?..itna bada chhal mere sath…?..har kisi ne mere sath dhokha kiya….maa aapne bhi itni badi baat aaj tak mujh se chhupa kar rakhi…akhir kyo…..?
Ab aage………….
Mai kuch der tak sochta raha ki itni badi baat ko chhupane ke piche kya prayojan ho sakta hai….?..kabhi na kabhi to ye sachchayi sab ke samne aati hi…
Mere itna puchne par bhi sab gol matol jawab de rahe hain paridhi didi ke bare me…..maine fir aage padhna chalu kiya…lekin aage ek do page ke baad diary ke page phade huye the…mere mann me kayi tarah ke sawal umadne lage
Mai (mann me)—aage ke page kaha hain….?..kisne phade yaha ke page..... ?...ye Locket yaha kaise pahucha... ?..Ya didi us benam aurat ka raaz jaan gayi thi..... ?…ya didi ki mout ke piche koi sazish ki gayi hai…..?…mujhe is gutthi ko suljhana hi hoga….
Mai (mann me)—kahi paridhi didi ne hi to ye page nahi phade the…?..lekin agar vo phadti to ye injection wala page bhi jarur phadti ..to iska matlab koi aisa hai jo is diary aur is Locket ke bare me janta hai…..
Agar aisa hai to usne ye Locket yaha kyo rakha…..?..shayad gumrah karne ke liye…jisse sabhi ka dhyan unki mout se hatkar is locket ka pata lagane me chala jaye….??
Nishchit hi ye kisi shatir khiladi ka kaam hai…..Jise is ghar ki har cheez ki jankari hai…..ya phir kahi aisa to nahi ki in sab ke piche vajah kuch aur hi ho athva inme se koi vajah hi na ho…?
Vajah koi dusri ho paridhi didi ki mout ke piche aur ye sab ek chhalava ho gumrah hokar inhi karno ke piche bhatakne ke liye….?..mere paas sawal to bahut the kintu jawab unme se ek bhi sawal ka nahi tha
Maine mann hi mann soch liya ki main ab is baat ki tah tak jaunga….mujhe is diary ke rahasya ka pata lagana hi hoga…..aur ye kaam main ab khud hi karunga vo bhi kisi ki nazar me aaye….lagta hai ab mujhe pahle wala raj phir banna padega
Ye faisla karne ke baad maine diary ko ussi jagah jyo ki tyo rakh diya …uske sabhi cheeze jo maine bahar nikali thi locket sahit sab rakhne ke baad use phir se lock kar diya
Magar is samay Raj ke alawa paridhi ke room me koi aur bhi moujud tha jiski do ankhe kafi der se tak taki lagaye Raj ki har gatividhi ko chup chap chhup kar dekh rahi thi
Baki sabhi saman jo bhi maine almirah aur anya jagah se nikala tha unko bhi yatha sthan set karne ke baad room ki light off kar ke darwaje ko lock kiya aur apne room me jakar so gaya
Raj ke room se nikalte hi us anjan shakhs ne almirah khol kar remote bahar nikala aur phir usse khufiya almari ko khol kar kuch talash kiya aur phir band karke remote ko apni purani jagah rakh kar door open karke bahar nikal aaya aur vaha se chala gaya
Subah Sote huye mujhe aisa laga ki koi mere hoth chus raha hai aur apne hatho maine kisi ki chuchiyo ko mahsus kiya to….…jaise hu angdayi lete huye ankhe kholi to maine apne kamre se diksha ko bhagte dekha
Mai (mann me)—ye ladki bhi na......bandar kitna bhi buddha kyo na ho jaye par vo gulati marna kabhi nahi chhodta... yahi iska bhi hai….. samajhdari to aayi hai lekin jism ki pyas vahi ki vahi hain…..iska kuch na kuch karna padega.. aaj baat karta hu diksha se
Main bed se uth kar fresh hone chala gaya…bahar aaya to payal didi mere liye coffee le aayi thi….hum dono vahi baith gaye bate karte…vo hamesha mere hi cup me coffee piti thi…ek ghoont mai phir vo
Payal—chal nasta kar le….phir college chalenge
Mai—aap chalo mai tab tak ruchi didi aur divya ke room se aata hu
Payal—ek min ruk…idhar aa
Mai—kya hua….?
Payal—ye tere hoth se khoon kaise nikal raha hai…?..kiski harkat hai ye….?
Mai—mujhe kya pata…mai jb so raha tha to kisi ne vaha kaat diya mujhe laga ki aap ho maine ankhe kholi hi nahi
Payal—meri hi galti hai mujhe room bahar se lock kar ke jana chahiye tha…..pata nahi kis ke itni khujli machi huyi hai
Mai—mai abhi aata hu
Payal—theek hai….lekin jaldi aana
Mai apne room se nikal kar ruchi didi ke room me gaya lekin vo maa ke pass thi to main apni jaane gul badan ke pass chala gaya jo abhi bhi so rahi thi
Main jakar bed par uske sirahne baith gaya aur uske khubsurat chehre ka deedar karne laga…. ….maine uske chehre par latak rahi zulfo ko hata kar phir se uske chehre ko dekhne me kho gaya
Chand Se Bhi Khubsurat Hai Tumhara Chehra Humne Sou Baar Nigaho Mein Utara Tumhara Chehra
Sabki Nazro Se Mehfil Mein Bachakar Nazre Chupke Chupke Har Nazar Mein Nihara Tumhara Chehra
Dekhkar Aapko Kuch Wo Bhi To Hairaan Hoga Aapne Aaine Mein Jis Waqt Nihara Khud Ka Chehra
Tere Chehre Ke Siva Kuch Bhi Mujhe Yaad Nahi Meri Nazro Ko Nahi Duja Gawara Chehra
Fir Kisi Shakhs Ke Chehre Ki Tamanna Na Rahi Ek Nazar Dekh liya Jisne Tumhara Chehra
Uske lal surkh gulabi hotho ki gulab jaisi pankhudiyo ko dekh kar mera mann unhe chumne ko machal utha…mujh se nahi raha gaya to maine jhuk kar uske in larajte hotho par apne hoth mila ke hotho ka sangam karne laga
Kabhi niche wale ko chumta to kabhi upar wale hoth ko….divya ne kasmasa kar mere gale me apni bahe daal di par bina ankhe khole chup chap leti rahi
Main aise hi uske upar khuk kar divya ke hotho ka ras pite huye apni pyas bujhata raha….vo abhi bhi sone ka natak kar rahi thi….to maine uske hotho ko chumte huye kaat liya
Mai—kaat nahi raha balki apne pyase hotho ki pyas bujha raha hu
Divya—pyas lagi hai to pani pi lo……inhe to mat kaato
Mai—‘’Tere in surkh hotho ko cooma to ye Ehsaas hua, Ki Ek Pani hi to jaruri nahi kisi ki pyas bujhane ke liye’’
Divya—bas bas jyada shayrana hone ki jarurat nahi hai
Mai—theek hai nahi karta shayri ek baar aur pyas hi bujha leta hu
Divya—pyas bujhane ke liye itna hi kafi hai
Lekin maine uski baat ko ansuna karte huye ek baar phir se uske adhro ka ras pine laga....usne apne hatho ko mere baalo me ghumate huye mera sath dene lagi.....kuch der tak is kshanik prem krida ke uprant hum alag huye
Divya—mujhe guru maa se milna hai
Mai—hunnnnn....milenge.....pahle kal hum Ratna se milne jayenge
Divya (khushi se)—sachhhh....
Mai—haan..
Divya (lipat kar)—uuummmmmm……hisab barabar
Mai—gaal me kaata kyo.... ?
Divya—kata kaha vo to main apni pyas bujha rahi thi
Mai—pyas lagi hai to mere paas special item hai….dikhau…..?
Divya—uuunnhuuunnn…..na…..shadi ke baad
mai kuch kahne wala tha ki tabhi chandni nasta karne ke liye bulane aa gayi…..divya ne thodi der baad aane ko kaha to main niche chala gaya
Mai—kya kar rahi ho didi…?…sab darling log ko good morning.
Payal (ghur kar)—kya kaha…..?
Mai—na…na..na…maine kaha dare ing log….aap na didi kuch jyada hi sunti ho aaj kal
Payal—chup chap nasta kar.
Ruchi—g.m. betu……utha gaya….maine diksha ko bheja tha uthane
Ye sun ke payal didi ghur ke diksha ko dekhne lagi to vo apna sar jhuka ke jaldi jaldi nasta karne me jut gayi…phir mujhe ghurne lagi….to mai bhi chup chap baith ke nasta karne laga
Mitali—raj..vo chandni ka admission ka bhi dekh lena…kaha karna hai….?
Mai—theek hai…mai aaj hi dekh leta hu
Nasta kar ke college ke liye ready hone laga…..payal didi bhi vahi ready hokar aa gayi…aur aate hi mere chehre ko dono hatho se pakad ke dekhne lagi
Mai—aise kya dekh rahi ho….?
Payal—ab ye gaal me tere kisne kaat liya...... ?
Mai—achcha ye….ye….ha yaad aaya…vo kya hai ki jab main naha kar pooja kar raha tha tabhi kisi ne kaat liya…mai dhyan me baitha tha to dekh nahi paya
Payal (daant kar)—kabhi tere gaal me koi kaat leta to kabhi hotho par…yaha tak ki tujhe nahate huye koi nanga bhi dekh jati hain lekin tu apni ankhe band kiye rahta hai……sidhe sidhe ye kyo nahi kahta ki tu bhi vishwamitra ban gaya hai
Mai—vishwamitra……koun vishwamitra…..?
Payal—vahi rishi vishwamitra jo tapasya karne baithe the tabhi vaha menka aa gayi to use dekhte hi tapasya karna chhod uske upar chadh gaye aur matlab poora ho jane ke baad phir se tapasya karne baith gaye
Mai—to mera unse kya lena dena…?
Payal (daant kar)—kyon ki tu bhi vaisa hi hai….mere pith piche chup chap bahti ganga me hath dhokar mere samne aakar bilkul sharif ban jata hai
Mai—aisa bolo na ki kuch chahiye…itna lecture dene ki kya jarurat hai
Didi ke kuch bolne se pahle hi maine unhe pakad ke apne paas khich liya aur unke hotho ko chumne laga...pahle to unhone mujhe door hatane ki koshish ki lekin phir unhone mera poora sath dena shuru kar diya....jab tak saans nahi phulne lagi tab tak dono ek dusre ke hotho ko chuste rahe
Mai—ab koi shikayat.... ?
Payal—nahi...
Mai—to ab college chale
Payal—pahle apna muh pochh le…..nahi to sab ko malum ho jayega
Mai—ok..my didi darling
Mai college jane se pahle ruchi didi ke room me unse milne gaya..jaha vo bed par baithi koi album dekh rahi thi..mai bhi jakar unke paas baith gaa
Mai—kya dekh rahi ho didi….?
Ruchi (mushkura kar)—tere bachpan ki photo….dekh jab tu chhota tha tab bilkul nanga ghumta tha..ye dekh …ye wali photo
Mai—didi ye kya kar rahi ho….agar aur kisi ne ye photo dekh li to sab mil kar meri izzat ka kachra kar dengi….ise permanently pack kar ke rakh do kahi
Ruchi—lekin ye bahut pasand hai mujhe
Mai—jab apke samne ye 6’ ft ka jawan already hai to is chhote se bachche ki photo ki kya jarurat hai
Ruchi—mujhe dono pasand hain…..kyon ki ye bachcha meri jaan…mera bhai hai aur ye jawan mera..py……….
Mai—adhura kyo chhod diya... ?
Ruchi—nahi kuch nahi.....
Mai—achcha agar shaam ko aap free ho to kahi long drive par chale….?
Ruchi (khush hokar)—sach
Mai—koi shaq
Ruchi—nahi….bilkul free hu betu….aur koun ja raha hai
Mai—bas mai aur aap....aap aur main...kewal hum dono
Ruchi—mai intazar karungi tera
Mai—ok..bye di...
Ruchi didi se milne ke baad hum sab college nikal gaye….payal di ko unke medical college drop kar ke hum apne college me aa gaye jaha aaj kuch alag hi mahoul tha
Vahi dusri taraf Priyadarshini aur Mrinal us ladki ko lekar hospital me thi jaha uska ilaz chal raha tha….karib ek ghante baad doctor cabin se bahar aaya
Priyadarshini—ab kaisi tabiyat hai us ladki ki….?
Doctor—dekhiye us ladki ki halat bahut critical hai….
Mrinal—vo behosh kyo huyi thi….?
Doctor—kyon ki unhe blood cancer hai…..aur vo bhi last stage me…..agar uska koi contact ho to aap unke ghar walo ko immediate inform kar do….us ladki ke paas samay bahut kam bacha hai…philhal abhi to behosh hai vo do ghante baad hosh aa jayega use
Mrinal—ye vaidhya kya bol kar gaya…? Meri to kuch samajh me hi nahi aaya….pata nahi koun si bhasa me baat kar raha tha….?
Priyadarshini—chal kisi se puchte hain…?
Mrinal—kyo itni fikar kar rahi ho tum... ? hum yaha apna kaam karne aaye hain ya kisi dusre ka…..?
Priyadarshini—kisi musibat me phanse besahara ki madad karna bhi ek kaam hai sakhi....kya pata iski madad karne ke liye mata rani ne hi mujhe yaha bheja ho ya phir ye bhi to ho sakta hai ki is ladki ke dwara hi mera aage ka marg nikalta ho
Mrinal—hum yaha kisi musibat me na pad jaye teri is dariya dili ke chakkar me...aur hame yaha koi pahchanta bhi nahi hai jo ki bachane ayega
Priyadarshini—chal kisi se pata karte hain us ladki ke bare me
Dono ICU se bahar nikali nurse ko pakad leti hain
Mrinal—us ladki ko kya hua hai... ? kyo behosh ho gayi thi vo…?..vo koun hai…..?…kab tak bolegi vo…….?..vo takla vaidhya kya bol raha tha.... ?
Nurse (chid kar)—mujhe nahi pata....mai doctor nahi hu.....jakar unse baat karo
Priyadarshini—ye to bina kuch bataye hi chali gayi
Mrinal—meri samajh me kuch kuch aaya hai……..koi hame kisi dhonk….tarr se baat karne ko bol rahi thi aur kah rahi thi ki mai dhonk…..tarr nahi hu
Priyadarshini—to phir chal jaldi is dhonk…..tarr ko khojte hain
Mrinal (countar par)—suniye ye dhonk……tarr kaha milega
Receptionist—whatttt….?..dhonk…tarr…..?…
Priyadarshini—ab ye kya gitir pitir bol rahi hai….?
Mrinal—lagta hai hame ashabhya bhasa me kuch gaali de rahi hai
Priyadarshini—kyaaa... ?
Mrinal—haa...lag to aisa hi raha hai....tum chinta na karo mai abhi ise sabhya bhasa sikhati hu........suniyeee
Receptionist—kya kaam hai.... ?
Mrinal—chatttttaaakkkkk......chatttaakkkkk.....hamse ashabhya bhasa me baat karti hai
Vo receptionist ek achchi moti tazi aurat thi lekin mrinal ke ek thappad ne use din me hi taare dikha diye...vo dhadam se niche giri aur kuch der me behosh ho gayi
Mrinal—to iska matlab hai ki vo ladki bhi isi tarah se behosh huyi hogi pakka….jaise ye mere maarne se huyi hai…ab aaya samajh me
Priyadarshini—achcha…ab samajhi
Tabhi vaha kuch security guards doudte huye aaye hath me danda liye…..kuch nurse aakar us receptionist ko utha kar andar le gayi….guards ne aate hi dono ko chillane laga
Priyadarshini—dekhiye usne hame gaali di isliye hamne use mara
Guard—ye tumhare baap ka hospital nahi hai samajhi….chalo niklo bahar yaha se…nahi to dhakke maar ke bahar phek dunga….aukat do koudi ki nahi hai aur chale aate hain yaha
Mrinal (gusse me)—chattaaakkkk….chatttaaakkkk…….kya kaha tune suwar ki aulad
Priyadarshini (mrinal ko khichte huye)—chal yaha se….hum yaha se chalte hain
Hospital me achcha khasa tamasha ban gaya....poori bheed jama ho gayi.....priyadarshini khich kar mrinal ko bahar le jane lagi aur mrinal gusse me vapis lout kar baar baar us guard ko thappad jad deti jo ki adhmara hoke behosh ho chuka tha ab tak
Poora vaha ka staff dono ko pakadne ki koshish karne me laga hua tha jisse jhagda khatam kiya ja sake magar kaha ye dev kanya aur kaha vo sab samanya manushya....jo bhi paas me aata ..turant uchhal ke dur girte dikhayi deta
Priyadarshini—shant ho ja sakhi
Mrinal (gusse me)—hamari aukat ki baat karta hai.....mujhe gaali deta to mai bardast kar leti lekin usne tumhe apshabd kahne ki himakat kaise ki....vo moti kaha gayi uski chatni banati hu abhi....maine to bas itna hi to puchha tha ki dhonk….tarr kaha hai…gaali deti hai
Priyadarshini use khichte huye bahar le jane lagi tabhi ek nurse vaha bhagte huye aayi...aur jaise hi dono par nazar padi to turant inke paas aa gayi
Nurse—suno...us ladki ke sath tum dono hi ho na
Mrinal (jor se)—nahi…hum uske sath nahi hain samajhi
Nurse—use hosh aa raha hai
Mrinal—to kya karu….yaha nachu…?
Nurse—mai to sirf ye batane aayi thi ki use hosh aa raha hai vo baar baar kisi saajan ka naam le rahi hai
Ye saajan shabd sunte hi priyadarshini aur mrinal ke aage badhte kadam yaka yak vahi ke vahi tham gaye priyadarshini ka dil joro se dhadakne laga……uske dil me ajab si bechaini uthne lagi…uski ankho me nami utar aayi saajan ka naam sunte hi
Priyadarshini (shocked)—saajannnn………saajan…
Priyadarshini (phir jor se bhigi ankho ke sath)—suna mrinal saajannn…saajannn….mata rani ne meri pukar sun li sakhi
Bas phir kya tha priyadarshini badahawash hokar hospital ke andar turant doud laga di…..mrinal bhi turant uske hi bhag chali….vo nurse kuch aur kah rahi thi unse kintu ab dono ke kaano me koi awaz nahi pahuch rahi thi
Priyadarshini to aise bhag rahi thi jaise koi race chal rahi ho…sab ankhe phade un dono ko aise paglo ki tarah bhagte dekh ashcharya chakit ho rahe the