Awesome update anand bhai,
behad hi lajawab update hai bhai,
sach me bhai ye minakshi aur paridhi ke beach ka mamla bahot hi uljha hua hai,
ab pata chala hai ki ratna ke sharir se jo dusri shakti punj nikali thi usi ki vajah se pari aajad hui hai,
aakhir vo kaun hai jisne paridhi se minakshi ko interchange kiya hai,
Raj ne saloni ko minakshi ki raksha karne ke liye kaha hai,
Raj aur saloni ki baato se bahot si shankao ka samadhan hua hai,
vahi dusri taraf ghar me neha chachi ab shaant dimag se vichar kar rahi hai ki ho sakta hai ki Raj sahi kah raha ho,
aur idhar payal didi ne to pura ghar hi utha rakha hai, payal didi ki sabse khas baat ye hai ki vo khud Raj ko chahe kitna bhi daate lekin koi aur agar uske baare me ek lavj bhi kahta hai to vo use chhodti nhi hai,
raj ne divya ko chaukane ke liye use achanak pichhe se aakar hug kiya hai, lekin divya to Raj ki har dhadkan ko mahsus kar sakti hai,
aakhir kar Raj ab divya ko lekar guru maa ke paas jane hi wala hai,
payal didi ka gussa shant karne ka bahot hi sahi upay raj ne dhundh nikala hai,
vahi priyadarshani apne kamre me baithi sajan se virah ki agni me jal rahi hai,
bhai aapne priyadarshani ke bhavnao ko vyakt karne ke liye jo shabd chune hai vah adbhut hai,
itne shandaar tarike se aapne uski manodasha ka chitran kiya hai ki mai mantramugdha ho gaya,
priyadarshani ko mata parwati ab saajan aur divya ki amar prem kahani sunane ja rahi hai,
dekhte hai ki aage kya hota hai,
Waiting for next update