SAAJAN
UPDATE—160
Ek Amar Prem Gaatha Continues………..
Padmini (Divya) us saat khando wale bhavan me apni sakhi saheliyo ke sath rahne aa gayi….vo sabhi Padmini ke paas aise lagti thi jaise ki kamalini ke paas kumudniya viksit ho rahi ho
Padmini ke rahne ke us bhawan me ek shuk (tota) bhi rahta tha, vah maha pandit tha, us shuk ka naam Heera mani tha…..vidhata ne us shuk ko aisi jyoti di thi ki uske netro se rakta aur mukh se manikya mukta vakya nikalte the.. vah kanchan varn ka shuk atyant lavanya purna tha, usme panditya ke sath sath aise lavanya ka hona theek vaisa hi tha jaise ki sone pe suhaga mil gaya ho
Padmini ki us shuk se bahut jaldi hi mitrata ho gayi…..dono sath sath rahte aur ved shastra padhte the…..unki shastra charcha sun kar har koi hatprabh rah jata
Bhawan me rahte huye Padmini rupini vatika unnamit huyi, kyon ki uski tano aur shakhao ne kaliya saja li…Padmini ke tan aur vibhinn ang pratyang me yauvan ka lavanya prasfutit ho gaya
Padmini ke ango ki sugandh se poora singhal dwip mohit ho gaya aur patange aa aakar uske charo oor phirne lage.. uski malay giri sadrash pith par naag ke roop me uski veni, aur dwitiya ke chaand ke roop me shashi uske mashtak par akar baitha
Uski bhounhe dhanush ho gayi jin par vah kataksh ke baan rakh kar unhe pherne lagi…uske netra kamal ke saman sundar the to nasika ke roop me shuk uske kamal mukh par shobhit hua
Vahi dusri taraf dev lok me Priyadarshini bhi yuva ho chuki thi….uske soundarya ke prakash se poora dev lok prakashit ho gaya….uske saman dev lok me koi bhi apoorva sundari aisi nahi thi jo ki priyadarshini ki samanta kar sake…yaha tak ki swarg lok ki apsaraye bhi Priyadarshini ke roop aur tez ke sammukh malin pad jati thi
Uske anupam soundarya se mohit hokar samast dev, gandharv,yaksh, naag, kinnar, rakshas sabhi usse vivah karne ke liye lalayit aur kamandh ho chuke the
Idhar dharti par Padmini aur swarg me Priyadarshini, dono ka anupam roop soundarya dekh kar samast sansar un par mohit ho gaya
Unke adhar (hoth) mano manikya the, daant mano heere the aur dono ke hriday par unke kuch (stan ya uroj) is prakar khade hokar ullasit (chamakdar) ho rahe the jaise ki koi sone ki jambhir (bada nibu) ho
Unhone keshri ki kati tatha gajo ki gati haran kar li….yah dekh kar devtao aur manushyo ne unke sammukh mashtak bhumi par tek diye
Dharti par koi bhi Padmini ke layak nazar nahi aa raha tha, isliye logo ki drashti akash par ja lagi thi….yogi, yati, sanyasi usi asha me akash ki oor drashti lagaye tap sadhna karne lage
Udhar swarg me bhi Priyadarshini ke yogya koi bhi nahi dikh raha tha……to usne Mata Parvati ki tap sadhna karni aarambh kar di
Padmini ko heera mani apni salah deta rahta tha jaha bhi usko avashyakta hoti thi….ek din ye khabar maharaj tak kisi ne mirch masala lagakar unko heera mani ke khilaf bhadka diya ki ye tota raj kumari ko ulti sidhi anargal baate sikhata hai
Isliye Rajagya huyi ki "Heera mani ko maar dalo, anyatha jaha chandrama (Premika) ka uday hua hai vaha vah surya (Premi) ko bhi sanayega"
Kuch log jo heera mani ke shatru ho gaye the kyon ki vah Padmini ka muh laga ho gaya tha, yeh Rajagya sunte hi is prakar doude jaise Billi chuhe ko dekh kar doudti hai
Padmini ko jaise hi maharaj ke is agya ki suchna mili usne turant heera mani ko chhupa diya….jisse vo maharaj ke sainiko ko nahi mil saka
Padmini—maharaj ka adesh mere mashtak par hai, kintu unse jakar itna kahna ki apki putri hath jod kar ye nivedan karti hai ki koi bhi pakshi gyanvan nahi hota hai, vah ya to bhojan janta hai ya phir udna, tota jo kuch bhi padhta hai vah apni buddhi se nahi padhta hai balki dusro ke padhaye vachan hi padhta hai……usko kya buddhi ho sakti hai jiske hriday me gyan netra na ho….?, aur iska praman yah hai ki kisi tote ko manikya-moti dikhao to hriday me vah unki vastavikta kagyan nahi karega balki unko anar aur angoor samajh kar apni chonch me bhar lega
Sainik—jo agya rajkumari
Iske baad heera mani ko maarne aaye raj sevak ko Padmini ka aisa uttar pakar lout gaye parantu is ghatna se heera mani atyant darr gaya to usne Padmini se vinti ki
Heera mani—Rahkumari tumhari yug yugantar ki sukh purna aayu ho…..mujhe ab agya dijiye ki mai ab vanvas ke liye prasthan karu….kyon ki moti ki chamak agar malin ho gayi to punah us moti ka pani kaha nirmal ho sakta hai….? Theek vaise me mere ujjawal charitra ke sambandh me sandeh kiya gaya hai to ab mere charitra par kiya sandeh kaise dur ho sakta hai…
Heera mani—Yadi swami maarna hi chahe to sevak ka unse bachav kaha tak sambhav hai…..? jis pakshi ke ghar me kaal roopi dayan nachti phirti ho us pakshi ka jeevan nahi bach sakta
Heera mani—maine tumhare rajya aur tumhari chhatra chhaya me bahut sukh dekha hai aur itna adhik dekha hai ki yadi tum pucho to uska vivran nahi diya ja sakta hai….maine mann me jis padarth ki ichchha ki use khaya… pachhtava to is baat ka ho raha hai ki mai tumhari seva na kar saka…….yadi mere prati raja ke mann me is prakar ka durbhav bana raha aur raj sevak mere pran lene ke liye mere piche pade hi rahe to kya mai yaha sukh se rah sakta hu….?
Padmini—yadi jeev hi chala gaya to kaya kis prakar rah sakti hai….yadi tum hi chale gaye to mai kaise jivit rahungi..? heera mani tu mera pran pakshi hai, meri seva karne me tujhse dhokha nahi hua hai, isliye mai tumhe jane ko nahi kah sakti…mai manushya hu aur tu mera sneh priya pakshi hai
Padmini ne heera mani ko bahut samjhaya kintu vo yaha rukne ko taiyar nahi hua kyon ki uske mann me ye khatka bana hua tha ki kaal abhi ya kisi bhi samay aa sakta hai
Heera mani (mann me)—Yadi karndhar hi shatru hai to vah kabhi bhi nauka ko duba sakta hai…theek vaise hi jab is rajya ka raja hi mera shatru hai to vo kabhi bhi mujhe yaha rahne par marwa sakta hai
Ek din koi tyohar tha to Padmini mansarodak me snan karne ke liye chal padi…usne apni sabhi sakhi saheliyo bhi bulaya…sabhi aise aa gayi jaise koi pushpa vatika hi aa gayi ho…
Koi saheli champa thi to koi gulab, koi kewda to koi muchkund, koi chameli to koi mogra, sabhi ke jism se alag alag phoolo ki sugandh aa rahi thi
Vo sabhi jab Padmini ke sath chalne lagi to aisa laga ki kamalini aur kumudniya phool uthi ho….marg se nikalne wale sabhi unke sugandh, parimal aur aamod se sammohit hote ja rahe the
Sabhi khelti huyi mansanorad ko gayi aur pahuch kar sarovar ke kinare bane baandh par khadi ho gayi…..sarovar ko dekh kar vo sabhi usme tairne ka anand lene lagi…..
Ek sakhi—Padmini..apne mann me vichar kar ke dekho, pita ke ghar me ginti ke char din rahna hai, isliye jab tak pita ka ghar aur unki chhatrachhaya hai to jee bhar ke khel lo
Dusri saheli—aur nahi to kya….kal ko hum apne sasural me sasur ke ghar chali jayengi phir kaha hum hongi aur kaha ye sarovar ke baandh ka anand hoga….?
Teesri sakhi—phir yaha aana bhi kaha apne vash me hoga aur kaha hum sab ka ek sath milkar khelna is prakar sambhav hoga….?
Chouthi saheli—sasur ke ghar me saas aur nanade apne vyangya purna vachno se hamare pran hi le lengi aur nishthur sasur hame yaha aane nahi denge
Ek aur sakhi—aur jo pyara pati hoga vo hamare liye sabse adhik manya hoga……vah pata nahi kya karega…? Pata nahi vah hame sukh purvak rakhega ya dukh purvak aur pata nahi kis prakar jeevan ka nirvah hoga….?
INTERVAL
Priyadarshini ko divya ki amar prem kahani padhte padhte saajan ki yaad aa gayi to usne kitab ko band karke apne saajan ki vahi tasveer nikal kar usse pyar karne lagi, us tasveer ko paglo ki tarah chumne lagi
Usi samay mrinal kamre me aayi to usne priyadarshini ke is prem bhare pagalpan ko dekh kar uski bhi ankho me anshu chhalak aaye
Mrinal—sakhi is prakar kab tak chalega……maine mahsus kiya hai ki dev lok me jaldi hi hamari khoj been hone wali hai agar aisa hua to tumhara ye saajan prem hum dono ko bhari pad sakta hai aur dev lok me pata chala to vo ttumhare saajan ko bhi maar denge
Priyadarshini—sakhi….mera saajan ke liye jo prem hai vah dharma prem hai….mere rahte koun mere saajan ko maar sakta hai….? Vah prem hi kya jiski vidayi sharir rahte ho jaye…? Prem to vah hai jo jeev ke sath sath parlok tak jaye .. prem ka bhaar kandho par lene ke baad hriday me yah soch nahi hota hai ki ab prem ke marg me bhala hoga ya bura……
Priyadarshini—ek bar prem ka parvat tulya bhaar jab kandhe par le liya to vah bhaar bhala kaise chhut sakta hai jo prano se laga kar baandh diya gaya hai..vo to prano ke sath hi dur ho sakta hai…saajan meri saanso me basa hai bhala koi saans lena kaise bhul sakta hai….?
Mrinal—tumhari ye prem shastra ki baate meri to samajh me hi nahi aati hain….achcha hua ki mujhe kisi se prem nahi hua warna mai bhi tumhari tarah pagal ho jati
Priyadarshini—prem to har koi karta hai, chahe devta ho ya manav, rakshas ho ya yaksh ya phir koi janwar, yaha tak ki ped pudhe bhi prem karte hain, farak sirf itna hai ki koi tan se prem karta hai to koi mann se
Mrinal—mai tumhare hath jodti hu mujhe bhi pagal mat bana dena kisi din..mujhe baksh de…aur chal uth bahar ghumte hain bagiche me
Priyadarshini—theek hai chal
Do kamre se bahar nikal aayi, gardan me jane ke liye lekin haal me sab ko kisi ki photo album dekhte dekh kar vahi ruk gayi
Mrinal—achcha achcha yaha fuck chal raha hai
Mitali (apna sar pakad)—hey bhagwan….is ladki ko iske maa baap ne koun se muhurt me kya kha pi kar paida kiya tha…?
Mrinal—mujhe bhi dikhao…aap log kya dekh rahi ho….? Kahi us din wali boor zara to nahi dekh rahi…? Mujhe bhi dikhao…mujhe bhi boor zara dekhna hai
Sarita—hey bhagwan….ye to hamari naak katwa degi agar kabhi sath me kahi gayi to
Payal—raj ke samne aisi bate mat karna…..baat kya uske paas bhi mat jana tu kabhi
Mrinal—kyo vo lund kar denge
Vidhya (jor se)—chup besharam ladki
Roopa—didi..jaldi se isko album dikha do nahi to aur kya kya sunna padega iske muh se
Payal (mann me)—ye raj ke sath bhi aise hi baat karti hogi….ye bigad degi mere raj ko…is par nazar rakhni padegi mujhe
Kajal—main album ke page palta rahi hu tu dekh jaldi jaldi aur yaha se jaldi khisak le
Kajal album ke page jaldi jaldi palatne lagi....to priyadarshini ne mrinal ka hath pakad kar chalne ko kaha..jaise hi dono chalne ko huyi tabhi ek photo par priyadarshini ki nazar chali gayi....uske dil ki dhadkan aur bechaini achanak hi bahut tez ho gayi ..aur phir...........
Udhar ek jagah koi aur bhi thi jo is samay saajan ki tasveer ko apne sine se lagaye huye thi....uski ankho me bhi pani bah raha tha
Mere Dil ki Chahat,
Kal bhi tum the aur Aaj bhi tum ho
Meri Jarurat,
Kal bhi tum the aur Aaj bhi tum ho
Tumne to Mujhe Kab ka Bhula Diya
Meri Aadat,
Kal bhi tum the aur Aaj bhi tum ho
Tumne Na Jana Kitna, Tumko Pyar Kiya
Meri Ebadat,
Kal bhi tum the aur Aaj bhi tum ho
Bekhabar Bante Ho, Khabar Ho Ke bhi
Meri Kismat,
Kal bhi tum the aur Aaj bhi tum ho