Hamesha ki tarah shandar aur khubsoorat update
To ye payal thi jisne nani ko dara diya aur sab ko bhi
Neha payal aur paridhi ki kissing dekh kar nani ki baato ko yaad kar soch me pad gayi
Lekin usne raj par hi vishwash karne ka faisla kiya
Raj agar paheli ko solve karne me tukka lagane ki jagah usko solve karta to jyada better rahta
Salakho ka bhi rahasya samajh me nahi aaya
Ye sadhu to kafi rahasyamay malum hota hai
Kumar vishwash ki poetry shandar thi
Tilism ka behad sundar varnan kiya hai aapne
Grah nakshatro aur rasayan vigyan ka adbhut mel hai tilism
Ye description behad shandar laga
Payal kisko dekh kar cheekh uthi...?
Shayad ye baag bhi tilism ka hi koi hissa hoga
Ab yaha se sab kaise aage niklega....?
Overall Excellent update
Waiting for next one