SAAJAN
UPDATE—177
Ratnesh aur Padmini vivahoparant sukhamay jeevan vyateet karne lage….har gujarte din ke sath dono ke beech prem ka sanchar aur bhi gaharata chala gaya…dono do jism aur ek jaan hote chale gaye.
Ratnesh—Padmini tum sach me divya ho…aaj se main tumhe divya hi kahunga…agar tum mujhe nahi milti to shayad main ab tak jivit bhi nahi hota….tumse virah hone par ye jeevan ka tyag kar deta.
Padmini—Pata nahi koun si mohini tum me thi ki jo virah vyatha tum ko huyi thi vahi mujh me bhi uttapann ho gayi main bina jal ki machhali ke jaisi tapt huyi aur ‘pi-pi’ pukarti huyi chatki ban gayi….main virah me ussi prakar jal rahi thi jaise ki deepak ki batti jalti hai.
Ratnesh—ab hum ek ho chuke hain..ab tumko mujhse koi juda nahi kar sakta.
Ratnesh ne padmini ko aise apne gale se laga liya….jaise kanchan me suhaga mil gaya ho....Jis ratnesh me chourasi aasno ka bal tha, aisa yogi, khatras ka gyata aur chatur bhogi ban gaya tha
Singhal garh me iss samay ghar ghar me sukh bhog ho raha tha aur dukh ka koi charan chinha nahi rah gaya tha.. Jaha stri aur purush hote hain vaha thandi nahi lagti hai….vaha thandi iss prakar bhag jati hai jaise ki sher ko dekh kar hiran bhag jata hai.
Ratnesh ko singhal garh me rahte huye ek varsh se bhi adhik ka samay ho chuka tha….Jabki vahi ayodhya me Pari ratnesh ke prem me vyakul hokar uski virah agni me jhulas rahi thi.,,aur raat din ratnesh ko yaad kar uss virahagni me tadapte huye vilap karti rahti thi.
Pari subah se shaam tak mata rani ke charno me sir rakhe roti rahti aur usse yaad karti rahti….uski dasha behad dayniya ho gayi thi.
Ratnesh ke singhal jane ke baad pari kayi din tak uski raah dekhti rahi…kintu jab vo nahi aaya to uske virah me pari ka mann aisa bawla hua ki vah papihe ke saman ‘priy priy’ pukarne lagi…..virah ka baan usse aisa laga ki vah hil na saki….virah ki aag me jalte huye vo bilkul sukh kar kaanta ho gayi thi.
Pari (anshu bahate huye mann me)—mere priyatam, jo gaye to lout kar hi nahi aaye….lagta hai ki vo kisi dusre nagar ki ladki ke vash me pad gaye aur uske roop jaal me phans kar mujhse apna chitt hata liya hai athwa uss ladki ne meri oor se unka dhyan hata kar unka chitt har liya hai…vah heera man tota mera kaal ban ke aaya aur mere ratnesh ko mujh se door kar diya…kash vah ratnesh ko mujhse na chheenta bhale hi chahe to mere pran le leta…hey vyadh sadrash tote tune meri saras ki jodi ko kyo har liya…? Tu iss khagi ko kya na maar gaya…? Virah ki aag lagne ke karan usme jal jal kar yeh pari ab panjar ho gayi hai.
Uski sakhiyo ne apne hriday me dekha ki madan ke dwara mari gayi yeh bala pati viyog me pran tyagne ko tatpar hai.. ek kshan uske seene me saans aa jati hai to dusre hi kshan chali jati hai., jisse sab nirash ho jati hain.
Pari ki aisi halat dekh kar vo sab usko hawa karne lagti hain aur pani se uska chehra bhigoti rahti hain…..phir jaise hi usko hosh aata to phir se virah me tadapte huye rone chillane lagti.
Pari (hosh aane par rote huye)—mere pran nikle ja rahe hain...main unse kaise milungi...koi unhe khoj lao....mere priyatam ko le aao...main jindagi bhar tum logo ki sewa karungi.
Ek sakhi—pari, tum hriday me haar na mano aur khud ko sambhalo…. bhramar kamalini ke sath hone par bhi paraya nahi ho jata hai…..apni sangini ka smaran hote hi vah punah lout aata hai…..jaisi preeti papihe ki swati se hoti hai..tu bhi unke darshano ki pyas ko tek aur hriday me sthirta la…jis prakar dharti akash ke sneh me rahti hai to megj vapis aa kar varsha ritu me usse pani se bhar deta hai..naval basant ritu punah ayegi aur vahi ras, vahi madhu kar, aur vahi bel punah honge…jo mrigshira nakshatra ki tapan sahte hain vo aadra nakshatra me phir se pallawit ho uthate hain..isliye tum mann me dheeraj rakho, vo avashya ayenge.
Issi tarah vo sab usse samjhati rahti lekin jab varsha ritu bhi aa gayi to phir se vo pagal hone lagi..usko samjhana ab bahut mushkil ho chuka tha.
Pari (tadapte huye)—dekho ab to aasadh (varsha ritu) ne bhi chadhayi kar di hai…badal akash me garjan kar rahe hain. Dhumil, shyam aur dhawal megh doud pade hain..bijli charo oor chamak rahi hai…aur varsha ki bunde bhi girne lagi hain….aardra nakshatra bhi lag gaya aur bhumi beej grahan karne lagi hai..kintu vo abhi tak nahi aaye…? Mere pati ke bina mujhe koun aadar de…? Charo oor ghata avanamit ho aayi hai..hey mere saajan mujhe ubaro, main madan se ghiri huyi hu…medhak, mayur, kokil aur papiha sab mera uphas kar rahe hain..mere sharir me ab jeev shesh nahi rah gaya hai…jinke gharo me unke swami hain vo sukhi hain, unhe gurutva aur garv hai…pyare saajan ke bina mera samast sukh bhula hua hai…saawan me megh ativarni hokar baras rahe hain kintu main virah me sukh rahi hu… punarvasu nakshatra lag gaya lekin maine abhi tak apne saajan ko nahi dekha..main bawli ho chuki hu..aap kaha ho ratnesh…? Ab to mere netro se rakta ke anshu bhi toot pade hain.
Pyar Karte Hain Tumse Kitna Dikha Na Sake,
Tum Kya Ho Humare Liye Bata Na Sake,
Tum Sath Nahi Ho Fir Bhi,
Tumhari Yaad Ko Hum Bhula Na Sake.
Aise hi ratnesh ke intazar me jab ek varsh nikal gaya to maharaj aur maharani ko bhi chinta hone lagi…antatah unhone apne guptachar chahuoor phaila diye.
Ek din ratnesh shikar khelne gaya hua tha jaha uski mulaqat ek guptachar se ho gayi…usne ayodhya aur Pari ki dukh bhari virah katha ratnesh ko batayi.
Pari ka haal sunte hi ratnesh ka mann singhal garh se uchat ho gaya….usko apni galti ka ehsaas hone laga…usne mann hi mann ayodhya loutne ka nirnay kar liya.
Ratnesh ke vastavik pahchan ke baare me singhal garh ke maharaj gandharv sen abhi tak anjan the….vo to usko ek jogi hi samajh rahe the..bhesh bhi to usne vaisa hi bana rakha tha.
Ratnesh ne shikar se loutne ke baad padmini se ayodhya vapis loutne ke apne faisle ke vishay me avgat kara diya. Padmini bhi uske sath hi jane ko uddhyat ho gayi.
Lekin jab gandharv sen ko ye baat pata chali ki ye jogi koi aur nahi balki uska shatru ratnesh hai jisne uski putri ka chhadam roop se varan kiya hai to unke kroadh ka koi parawar nahi raha.
Usne turant ratnesh ko girftar kar ke karagar me band karne ka adesh de diya…lekin padmini unke samne akar khadi ho gayi….majburan gandharv sen ne iss rishte ko swikar kar liya aur bahut sara dhan dekar apni putri ko ratnesh ke sath uski sasural ayodhya vida kiya.
Ayodhya loutne par ratnesh aur padmini ka khoob swagat satkar hua.....pari vapis ratnesh ko aaya dekh bahut khush huyi…uske sharir me jaise punah prano ka sanchar hone laga kintu uske sath ek atyant roopvati kanya ko dekh kar uski ye prasannata dhumil pad gayi.
Ratnesh dono raniyo ke sath sukh poorvak rahne laga….lekin uska lagav padmini se adhik hone ke karan vah apna jyadatar samay uske paas hi vyateet karta tha
Iss baat se pari pareshan rahne lagi….padmini ke prati uske hriday me soutan bhav prabal hone laga…..padmini ko vo ratnesh ka pyar apne liye kam hone ka jimmedar samajhne lagi.
Unn dino rajgarh me Dev Pal ka rajya tha jo vastav me pari ka rishte me bhai hone ke sath sath ratnesh ka ek achcha mitra bhi tha.
Ek bar vah ayodhya ratnesh se milne aaya to ratnesh ne padmini se uska parichay karaya….padmini ne dev pal ko ratnesh ka dost jaan kar apne hath ka ek kangan usse uphar swaroop pradan kiya…halanki padmini parde me thi phir bhi uske chehre ki ek jhalak dev pal ko mil gayi.
Padmini ke roop soundarya ki jhalak pate hi dev pal apni sudh budh kho baitha…aur khinn mann se raj garh lout aaya kintu uske mann me padmini ke atulniya soundarya ki chhavi baith chuki thi.
Vo raat din iss soch me dooba rahne laga ki kis tarah se padmini ko hasil kiya jaye…..iske liye usne pari ko mohra banane ka nirnay kiya.
Vahi padmini ke jane ke baad singhal garh me ek ghatna ghati….ek din maharaj gandharv sen ne apne rajya ke pandito se pucha ki ‘dooj kab hai’ to raghav chetan ke muh se akasmat hi nikal gaya ki ‘aaj’.
Baki sab pandito ne ek swar me kaha ki ‘Aaj nahi ho sakti, kal hogi’ to raghav bhi apni jid par ading ho gaya.
Raghav—agar aaj dooj na ho to main pandit nahi.
Ek pandit—arey bhai raghav vaam margi hai….Yakshini ki ppja karta hai…jo chahe so kar kar dikhaye lekin aaj dooj to nahi ho sakti.
Raghav ne yakshini ke prabhav se ussi din sandhya ke samay dwitiya ka chandrama dikha diya….par jab dusre din chandrama dekha gaya to tab vah bhi dwitiya ka hi chandrama tha….iss par sabhi pandito ne maharaj ke paas jakar kaha.
Pandit—dekhiye maharaj, agar kal dooj rahi hoti to aaj chandrama ki kala kuch adhik hoti, aap khud hi jhooth aur sach ki parakh kar lijiye.
Raghav ka bhed maharaj ke samne khul gaya aur vah ved viruddh acharan karne wala pramanit hua…maharaj gandharv sen ne raghav chetan ko singhal garh se bahar nikal jane ka dand diya.
Raghav to pahle se hi padmini ko hasil na kar pane se vikshipt tha…ab desh nikala diye jane se usne badle ki bhavna se tantrik kriya prarambh kar di.
Samay gujarta raha, dev pal aur raghav apne apne maksad ki prapti ke liye lagatar yatna karte rahe…pari jab bhi rajgarh mata rani ke darshan karne aati tab dev pal uske mann me padmini ke liye jahar gholta raha to raghav apni kriya me varsho tak kho gaya.
Iss douran padmini aur pari dono ne ek ek sundar rajkumaro ko janam diya….kintu pari ke mann me ye darr ho gaya ki kahi jo mere sath hua hai vahi sab bhed bhav mere putra ke bhi sath na ho jaye.
Padmini aur ratnesh ka prem dino din badhta hi gaya…sath hi ratnesh ke sath padmini ko dekh pari ki jalan bhi badhti gayi…vo ratnesh par apna ekadhikar samajhti thi.
Agli baar jab vo rajgarh gayi to apni vyatha dev pal se kah sunayi…uski baate sun kar dev pal ne apni chaal chal di usne pari ke samaksh prastav rakh diya ki vo padmini ko ratnesh se door karne uski madad kar sakta hai kintu iske liye usse padmini ko hasil karna hoga aur isme pari ki bhi madad chahiye.
Pari ne bina kuch soche samjhe ki iska anjam aage chal kar kya hoga…dev pal ki har sambhav madad karne ka vachan de diya.
Dev pal ne apne mitra rajao se hath mila kar unhe ayodhya par hamla karne ko kaha....udhar raghav ki tantrik kriya bhi poori ho chuki thi...usne bhi dev pal se hath mila liya.
Sabhi rajao ne milkar ayodhya par akraman kar diya lekin vo sab ratnesh ke yuddh koushal ke samne nahi tik sake aur unhe apni jaan bacha kar bhagna pada.
Kayi bar dev pal ne ayodhya par hamla karvaya kintu har bar parajay ka hi muh dekhna pada…ratnesh ki iss jeet me uske mastak me lagi surya chinha ki shakti ka bada yogdan tha.
Dev pal—phir se hamari haar huyi….samajh nahi aata kya karu…?
Raghav—meri itni shaktiya bhi uska kuch bigad nahi pa rahi hain…..aisa kaise ho sakta hai….?
Dev pal—aisa isliye hai ki uske mastak me janam jaat surya mani hai, jiske karan vo behad shakti shali ho jata hai ladayi ke samay.
Raghav—khair tum chinta mat karo…uski in shaktiyo ka tod bhi hai mere paas…ab ki bar hamla din me nahi balki raat me hoga, baki sab mujh par chhod do…phir dekho main kaisi maya rachta hu.
Usne ek doot bhej kar ye sandesha bheja ki agar apne rajya ko bachana chahte ho to hame padmini sounp do ratnesh ka chehra gusse se lal ho gaya..usne yuddh ki chunouti swikar kar li.
Agli bar ek bahut badi sena ekatthi kar ke hamla kiya gaya…..ratnesh ko ye nahi pata tha ki raghav ne kya chaal chali hai…usne hamle ka jawab dete huye yuddh bhumi me utar gaya.
Idhar padmini ne heera mani ko yuddh ka samachar lene bheja..vo akhir kar ratnesh tak pahuch hi gaya.
Heera mani ko dekh kar ratnesh ke chehre par mushkan aa gayi lekin ye sirf dard ko chhipane ki koshish thi.. usne ek patra likh kar heera mani ko de diya.
Ratnesh—heera mani, ye patra tum kaise bhi kar ke padmini tak pahucha dena.
Heera mani ratnesh se vo patra lekar chupke se vaha se nikal gaya…vapis aate samay usne raghav aur dev pal ko ek sarh dekh kar uska matha thanka....
Usne ayodhya pahuch kar padmini ko ratnesh ka diya hua patra de diya, jise padhte hi padmini ki ankho se anshu bahne lage…
Hey Priyatame, Patra Ye Mera Tumhe Milega Jab Tak,
Hey Priyatame, Patra Ye Mera Tumhe Milega Jab Tak,
Pata Nahi, Pata Nahi, Pata Nahi Main Rahoon Na Rahoon,
ss Duniya Mein Tab Tak, Hey Priyatame…..
Dharma Bhoomi Yeh Karm Kshetra Ki, Kal Ranbhoomi Banegi
Bhai Bhai Ka Rakta Bahega, Chandi Lahoo Piyegi
Chandi Lahoo Piyegi,
Jane Kiska Jeevan Deepak, Jala Rahega Kab Tak
Pata Nahi, Pata Nahi, Pata Nahi Main Rahoon Na Rahoon,
Iss Duniya Mein Tab Tak, Hey Priyatame……
Kiska Kiska Lahoo Girega Pahchanega Koun
Lahoo, Lahoo Mein Mil Jayega, Mout Rahegi Moun
Mout Rahegi Moun
Ban Anath Jeevan Bhatkega, Bhav Liye Par marte Tak
Pata Nahi, Pata Nahi, Pata Nahi Main Rahoon Na Rahoon,
Iss Duniya Mein Tab Tak, Hey Priyatame…….
Par Hum Sainik Hain, Ladna Aavashyak Hai
Par Dharma Ki Raksha Ke Hit Hamko Marna Aavashyak Hai
Marna Aavashyak Hai
Mar Kar Hi Jeena Hota Hai, Jeene Se Aavashyak
Pata Nahi, Pata Nahi, Pata Nahi Main Rahoon Na Rahoon,
Iss Duniya Mein Tab Tak, Hey Priyatame…….
Hey Priyatame, Patra Ye Mera Tumhe Milega Jab Tak,
Pata Nahi, Pata Nahi, Pata Nahi Main Rahoon Na Rahoon,
Iss Duniya Mein Tab Tak, Hey Priyatame…….
Vahi yuddh bhumi me ratnesh jitne bhi sainik vo marta usse dugune paida ho jate, sath hi mare huye sainik bhi phir se khade hokar ladne lagte…ratnesh iss mayajal me ulajh gaya aur iss mouke ka fayda utha kar raghav ne Yakshini ki madad se ratnesh ko bandi bana liya. Aur usko rajgarh le jaya gaya….ratnesh ab tak ye nahi samajh saka tha ki ye jagah koun si hai aur iska asli khiladi koun hai.
Idhar yuddh bhumi se koi samachar na milta dekh kar padmini ko kisi apshakun ki ashanka hone lagi….usne heera mani ko ratnesh ki khoj me bheja.
Heera mani khojte khojte rajgarh ja pahucha jaha usse sachchayi pata chali ki ratnesh yahi raghav ki qaid me hai vo kisi tarah ratnesh tak pahuch gaya…jaha ratnesh ke sharir me jagah jagah par chot ke nishan the aur vo buri tarah se ghayal avashtha me tha.
Heera mani—apki ye halat kaise huyi…?
Ratnesh—mujhe dhokhe se phasaya gaya hai….mujhe padmini ki chinta ho rahi hai…unka asli maksad usse hasil karna hai..tum koi upay karo aur usse kisi surakshit sthan par le jao....
Lekin jaise heera mani ne uske rajgarh me qaid hone aur ghayal hone ki jankari di sath me bataya ki ye sab raghav aur dev pal ne kiya hai to uski ankhe gusse se tamtama gayi.
Jin ankho me abhi anshu bah rahe the, unme se aag ki chingari nikalne lagi…..usne rajshi vashtra tyag kar ek veerangana ki tarah hatho me talwar lekar ghode par sawar ho ke yuddh bhumi ki taraf nikal padi.
Idhar dev pal ne pari ki madad se padmini ke putra ko apne kabze me le liya ki agar padmini na nukur kare to iss bachche ko jaan se maarne ki dhamki se vo khud ko hamare hawale kar de…sath hi usne pari ko ye jhootha ashwasan diya ki padmini ko hasil kar lene ke uparant vo ratnesh ko qaid mukt kar denge.
Padmini iss samay ankho me toofan liye rajgarh me ghus gayi aur vaha kahar machana shuru kar diya…jo bhi uske samne aata vo gajar muli ki tarah kat jata.
Vo iss samay durga ka naya avtar lag rahi thi….poori tarah se ran chandi ban chuki thi vo….uska aisa ugra roop dekh kar sab ek sath uske upar akraman karne lage kintu unhe mil rahi thi to sirf mout.
Jab raghav aur dev pal ne ye suna to unhone ratnesh ko khatam karne ka faisla kiya…..karagar me pahuch kar achet pade ratnesh ke upar sabne prahar karne shuru kar diye.
Unke prahar se ratnesh ki chetna lout aayi..usne bediyo me jakde hone ke bavjud bhi raghav ko utha kar deewar me patak diya, lekin yakshini ke prabhav se vo bach gaya.
Iss samay kyon ki din tha jisse ratnesh ke mastak ka surya chakra sakriya hokar chamakne laga, jiske karan raghav ke sabhi tantrik vaar vifal hone lage.
Udhar padmini rajgarh aur uske sathi rajao ko lakho ki sena ka sar kaat kaat kar rajgarh ko shmashan bhumi aur laasho ka akhada bana diya tha….uske pair tezi se karagar ki taraf badhne lage.
Vahi ratnesh ne raghav ki gardan daboch li…isse pahle ki vah raghav ki gardan uske dhad se alag karta kisi ne uski pith me talwar aar paar kar di….vo jaise hi uss kayar ko dekhne ke liye palta to usse bahut gahra dhakka laga.
Ratnesh (shocked)—ttttummmm…..tumne ye…kkkyo kiyaa….? Main to tujhe apna bhai..apna dost samajhta tha….aur tune mere vishwash ka gala ghont diya…kyo…?
Dev pal—padmini chahiye mujhe…..padmini ab meri hai….hahahaha…. ab vo meri hogi…hahahahaha
Dev pal ne jaise hi talwar ka vaar ratnesh ki gardan par karne ko hua vaise hi kisi ne jor se uska naam pukara ‘ devvvv paaaalllll’ aur agle hi pal uski gardan dhad se alag hokar door ja giri.
Ratnesh—divyaaaaa..tuuummmmm
Padmini ne jaise hi ratnesh ki halat dekhi uski rulayi phoot padi….vo turant uske seene se lipat kar rone lagi…ratnesh usse samjahte samjhate thak gaya.
Ratnesh—padmini,,tum chinta mat karo…main phir janam lunga…aur har janam me mera ye dil sirf tumhare liye hi dhadkega…..main tumhe vachan deta hu…li tumhara saajan sirf tumhara hi rahega..janam janmantar takkkk…aaa…tum meri ruh me sama chuki ho divya..tumhe mujh se ab mout bhi alag nahi kar sakti…aaaaaaaa….rajgarh ko iski bahut badi keemat chukani padegiiii….aaaaaaaaa
Aur padmini ki god me hi usne apni antim saans lete huye dam tod diya…..padmini uske sar ko apni god me uthaye bilakh bilakh kar rone lagi.
Padmini (rote huye)—nahiiiiiiii…..tum mujhe chhod kar nahi ja sakte..saajan…..main ab kaise jinda rahungi…? Meri to saanse hi tumse chalti hain…jab tum hi nahi rahe to main jeevit rah ke kya karungi….
Usne ratnesh ke mrit sharir ko utha kar rajgarh ke bahar lakar rakh diya aur lakdiya ekatthi kar ke uska sar apni god me le ke unkeupar baith gayi.
Padmini (rote huye)—main tumhe vachan deti hu..saajan…har janam me divya kewal tumhari hi rahegi…..hey maa jagdamba..agar maine kabhi bhul vash bhi saajan ke siwa kisi paraye mard ka dhyan na kiya ho to mujhe bhi mrityu de do…hey agni dev….agar main tan se, mann se aur karm se hamesha apne pati vrat dharma ka palan kiya hai to issi samay iss chita ko agni daan do.
Padmini ke itna kahte hi joro ki megh garjana hone lagi aur agle hi pal uss maha sati ki chita me swatah hi agni prajjwalit ho gayi…..megho ne pani barsa kar uss maha sati ka abhivadan kiya kintu agni jalti rahi aur padmini apne saajan sahit usme jal kar sati ho gayi.
Iss ghatna ne divya aur saajan ki ruh ko ek kar diya aur sath hi pari bhi saajan se hamesha hamesha ke liye jud gayi….aur rajgarh ke itihas me ek kalank ka kala adhyay jud gaya vahi jab pari ko ye sab malum hua to vo pachhatate huye vilap karne lagi…aur ratnesh ki virah pida na jhel sakneki sthiti me usne khud hi dono ki uss jalti chita me apna sir kaat ke bhent kar diya.
Tab se jaise rajgarh ke bure din shuru ho gaye….Lagbhag 50 varsho ke baad rajgarh me teen bachcho ne ek hi samay nakshatra me janam liya….divya, shakti aur pari ne.
(Update Size : 3657)