Ameer Khan Khan
Active Member
- 1,121
- 1,772
- 158
SAAJANKuch der baad rajkumar taiyar ho kar maharani deepmala ke sath pooja ghar me chale gaye jaha maharani ankhe band kar ke bhagwan se apne putra ke liye prarthana karne lagi to vahi jitu ne vo phool deepmala ke pairo me rakh ke dono hath jod liye bhagwan par chadhane ki jagah.
UPDATE- 203
5th Janam Ki Love Story Continues......
Deepmala ko ye dekh kar uss par bahut pyar umad aaya aur usne sir chum ke vahi apni ankho ke kajal ka kala tika uske mathe par laga diya aur sabha ki oor chal pade.
Sath me gomti aur vinita bhi unke sath ho liye…jitu ne unn dono ke bhi pair chhuye…..vahi dusri taraf….khardusan kisi se dhire dhire baate kar raha tha.
Khardusan (dhire se)—ab ki baar ye kaam ho hi jana chahiye…..apne sapno ko main aise hi matiyamet hone nahi dunga….
Ab aage…….
Khardusan ne apne ek vishesh sathi se mantrana karte huye dhire dhire baat kar raha tha…..shayad vo aaj bhi kuch sazish ki rachna kar raha tha aur usko anzam dene ke vishay me baate kar raha tha.
Rang mahal poori tarah se khacha khach bhar chuka tha logo se…..maharaj aur rajguru bhi aa chuke the…sabhi sammanniya atithiyo ke alawa kayi rishi muni bhi iss ayojan me aaye huye the….ab to unn sabhi ki ankhe rajkumar Jitendra Singh ke rang mahal me aane ki pratiksha me lagi huyi thi.
Unko ab aur intazar nahi karna pada, aur kuch samay pashchat hi rajkumar, maharani deep mala aur badi maa gomati tatha apni badi chacheri bahan vinita ke sath ek hi sundar sajile rath par sawar ho kar rang mahal ki taraf aate huye dikhayi diye.
Unke rang mahal me pravesh karte hi poora jan samuday unke swagat me uth khada hua aur vaha ka vatavaran apne hone wale yuvraj ki jayghosh ki awazo se gunjayman ho utha….unke rath par log pushp varsha karne lage.
Apne putra ke prati janta ke dilo me aisa pyar dekh kar maharaj aur maharani dono ka sir garv se uncha ho gaya aur dono ka hriday gadgad ho utha.
Rajkumar Jitu ne dono hath jod kar jabki maharani ne ashirwad ki mudra me hath dikhate huye sabhi prajajano ke iss abhivadan ko swikar karte huye rath se niche utar kar rang manch ki oor badhne lage.
Rang manch par pahuchte hi Jitu ne rajguru, sabhi rishi muni aur maharaj ke charan sparsh kar ke unka ashirwad liya tatpashchat apne chacha khardushan, chachi bulbul, bhai vishdhar aur rati ke bhi paanv chhuye…beman se hi sahi par sab ke dikhave ke liye unhe ashirwad dena hi pada.
Iske baad vo apni mata deep mala ke paas ja kar aasan par baith gaye to maharaj ne rajguru ki taraf karyakram ke shubharambh karne ki nazar se ishara kiya.
Rajguru (khade ho kar)—Vrihadpur ki prajajano….aaj atyant harsh ka din hai kyon ki kayi varsho ki lambi pratiksha ke baad aaj vrihadpur ke iss vishal rajya ko uska uttaradhikari milne ja raha hai.
Rajkumar Jitendra Singh jinhe ki aap sab ne Jitu naam diya hai, aaj se vrihadpur ke yuvraj hone ke sath hi sath iss rajya ke pradhan senapati ka karyabhar bhi sambhalenge.
Jitu ko yuvraj banane ka faisla isliye nahi liya gaya kyon ki vo maharaj ke putra hain balki unhe yuvraj banane ka nirnay sarv sammati se isliye kiya gaya kyon ki Rajkumar Jitu me vo sabhi gun hain jo ek achche aur kushal shasak me hone chahiye….vo yuva hain, veer hain aur sabse badi baat ki vo aap sabhi prajajano ke dukh dard ko samajhte hain aur samay samay par unhe har kisi ki madad karte huye dekha bhi gaya hai.
Atah main yaha aaye huye sabhi rishiyo se mera anurodh hai ki vo rajkumar jitu ka yuvraj ke pad par vidhi vidhan purvak abhishek kare.
Ek baar phir se charo taraf taliyo aur rajkumar jitu ki jay ke naro ka kolahal goonj utha….iske pashchat rajguru apne aasan par baith gaye….jabki khardusan aur vishdhar ke seene me saanp lot gaya…..dono ko maharaj ke jitu ko senapati banaye jane ke iss nirnay par behad hairani huyi kyon ki abhi tak ye pad to vishdhar ke paas tha.
Vishdhar (gusse me)—pita ji….ye sab kya ho raha hai….? Kya meri beijjati karane ke liye aap mujhe yaha lekar aaye
hain….?
Khardusan—main khud bhi maharaj ke iss faisle par hairan hu…..unhone tumhari jagah jitu ko senapati bana kar theek nahi kiya…..unhe iski bahut badi kimat chukani padegi…..tum chinta mat karo bete, abhi main jinda hu aur mere jivit rahte main tumhare sath anyay nahi hone dunga…..iss raj pariwar ka jyestha putra hone ke nate iss raj singhasan par sirf tumhara haq hai….aur vo haq main tumhe dila kar hi rahunga….chahe iske liye mujhe khoon ki nadiya hi kyon na bahani pade.
Ye dono baap bete apni mantrana me magan the aur udhar rajguru ki ghosna sunte hi sabhi rishiyo ne sundar mantra uchcharan karte huye rajkumar jitu ka yuvraj pad par abhishek karne me vyast ho gaye.
Lagbhag ek ghante tak vo sab mantrochcharan karte huye jitu ka abhishek karte rahe aur phir tilak laga kar tatha yuvraj ka mukut uske sir par sushobhit kar diya.
Sabhi ne ek baar punah yuvraj ki jaykar karte huye un par phoolo ki barish karni shuru kar di….yuvraj apne aasan se khade huye aur apni maa deepmala ke charno me sastang naman karne ke uparant sabhi gurujano, maharaj aur rishiyo ke charan sparsh evam ashirwad lene ke baad sidhe janta se mukhatib huye.
Jitu—sarv pratham main apni maa ke charno me apna sir jhukata hu jo ki meri maa hone ke sath hi sath meri guru bhi hain….aaj main jo kuch bhi hu ya jaisa bhi hu, usme meri maa ka bahut bada yogdan hai….main aap sabhi ka bhi abhar vyakt karta hu ki aap sabne mujhe garimamayi pad ke kabil samjha….main aap sabhi ko ye vishwash dilata hu ki main iss pad ki garima ko hamesha kayam rakhte huye aap sab ke har sukh dukh ka poora khyal rakhunga aur apne rajya ki seema ki raksha apni antim saans tak karta rahunga……agar kisi ko bhi mere yuvraj ya senapati banne par koi aapatti ho to vah nishchint ho kar yaha apni baat kah sakta hai…..athwa kisi bhi tarah ki koi taklif ho to bhi usko sab ke sammukh pesh kar sakta hai….
Jitu ki iss ghosna ke baad bhi koi samne nahi aaya koi shikayat ya samasya le kar tabhi khardusan ne kisi ko ankho hi ankho me kuch ishara kiya…..to vah vyakti uska ishara samajhte huye apne sath 15 – 20 logo ko sath le kar bheed me se nikal kar rang manch ke samne aa ke khada ho gaya….itne logo ko ek sath dekh kar maharaj sahit sabhi chakit ho gaye.
Jitu—kahiye aap logo ki kya samasya hai….? Ya phir mere yuvraj banne par aap logo ko koi aapatti hai…? Jo bhi hai bina kisi sankoch aur darr ke aap apni baat yaha kah sakte hain.....
"Yuvraj....hame aap ke yuvraj banne par koi apatti nahi hai, hum to apni samasya le kar aap ke samaksh prastut huye hain....agar aap ki aur maharaj ki agya ho to hum aap ke samne kuch nivedan karna chahte hain." Unme se ek vyakti jisko ki khardusan ne kuch ishara kiya tha aur shayad vo inn logo ka leader bhi tha....usne kaha.
Leader—yuvraj....hamare gaon ke paas ek kali pahadi hai....hum sabhi log ki kheti ki jamin vahi par hai...kuch dino se hamare gaon se ashcharya janak dhang se koi na ladkiya aur bachche gayab ho rahe hain....bahut talash karne par bhi unka kuch pata nahi chal raha hai.
Jitu—kab se ho raha hai aisa.... ?
Leader—abhi kuch din pahle se hi aisa hona shuru hua hai hamare sath.....agar yahi chalta raha to sab ki god sooni ho jayegi.
Jitu—kitne log gayab huye hain ab tak….?
Admi 1—yuvraj….ab tak 12 bachche aur itni hi jawan ladkiya, rahasymay tarike se gayab ho chuki hain…meri khud ki beti tak gayab ho chuki hai….
Admi 2—aur ab to striya aur purush bhi gayab hone lagei hain jo bhi kheto me kaam karne ke liye jate hain.
Leader—agar hum sab kheto me kheti nahi karenge to khayenge kya hum…? Kaise chalegi hamari ajivika…?
Jitu—vo sab gayab kaisse huye...mera matlab hai ki kaha se gayab huye….uss samay kya vo sab ghar me the…?
Admi 3—koi ghar se to koi gaon se…to koi kheto se…..hum sab apke paas badi ummid le kar aaye hain…hamare gaon ko bacha lijiye yuvraj….hamare pariwar ki raksha kariye yuvraj.
Unn sab ki samasya sun kar hum sabhi hairan rah gaye….khud maharaj bhi ashcharya chakit rah gaye….kyon ki aaj se pahle ye samasya unke samne bhi nahi aayi thi.
Jitu—aap sab nishchint rahe……main aap sabse vada karta hu ki jald hi apki samasya ka nivaran karunga…..main swayam aap logo ke sath chal kar apke gaon me tab tak rahunga jab tak ki apki ye samasya ka samadhan nahi kar deta…..iss karyakram ke samapan ke pashchat aap mujhe aa kar mile.
Leader—apka koti koti dhanyawad yuvraj….
Maharaj aur maharani ke chehre par kuch chinta ki lakire chhayi huyi thi…jabki khardusan andar hi andar bahut khush tha….shayad usne jo yojna rachi thi usme vo kamyab ho gaya tha.
Jitu—maa kya baat hai aap aur pita ji itne chintit kyo dikhayi de rahe hain….? Kya mere yuvraj banne se aap khush nahi hain….?
Deepmala—nahi bete….main bahut kaise nahi houngi…? Maine to hamesha chaha hai ki tu kab yuvraj bane….lekin ..
Jitu—lekin kya maa..... ?
Rajguru—yuvraj...maharaj aur maharani ki chinta ka karan apka yuvraj banna nahi balki inn gaon walo se judi samasya hai....jise sun kar hum sab pareshan hain.
Jitu—isme pareshan hone wali kya baat hai..... ? kya ye samasya pahle bhi kahi ghatit huyi hai….?
Shailendra—mere samne to kabhi aisi samasya nahi aayi putra kintu hamare poorvajo ke samay me ye samasya avashya ghatit ho chuki hai.....uss samay bahut se log rahasmay dhang se gayab huye the....yaha tak ki kayi gaon hi poori tarah se tabah ho gaye the in ghatnao se. .
Jitu (shocked)—kyaaaaa.... ? tab to apko ye bhi pata hoga ki ye sab kisne kiya tha.... ? aur vaise bhi utni purani ghatna ka iss samay ki ghatna se kya sambandh ho sakta hai…..?
Shailendra—sambandh hai putra…bahut gahra sambandh hai….asal me aaj se koi 500 saal pahle hamare poorvaj pahle vahi uss kali pahadi ke beecho beech bane qile me rahte the….kalantar me vaha na jane aisa kya hua ki hairat angej dhang se log gayab hone lage the…yaha tak ki aaye din raj mahal me laasho ka dher laga rahta tha….bahut khoj been ke baad bhi jab koi surag nahi mila to hamare poorvajo ne yaha par apna mahal bana ke rahne lage…sath hi kali pahadi ke aas paas ki praja bhi yahi aa kar rahne lagi….uske baad to jo bhi uss kali pahadi ki taraf gaya vo phir kabhi vapis jinda nahi louta. Tab uss samay kisi rishi ne uss kali pahadi ko keelit kar diya tha aur kaha tha ki yaha koi nahi aaye…kyon vaha jo koi bhi hai vo bahut hi khatarnak hai aur usse paar pana sambhav nahi hai.
Deepmala—putra yahi hai hamari chinta ka karan….jab se tumne vaha jane ki baat ki hai..tab se mera mann bahut ghabra raha hai….aaj hi to tum yuvraj bane ho aur aaj hi ye ashubh samachar sunne ko mil raha hai….tum vaha nahi jaoge putra….unn logo ko mana kar do.
Rajguru—maharani theek kah rahi hain yuvraj…apka vaha jana theek nahi hai.
Jitu—mujhe kshama kare gurudev….kintu main ab vachanbaddh ho chuka hu…..aur vaise bhi iss rajya ka yuvraj aur senapati hone ki haisiyat se ye mera kartavya bhi hai aur mera naitik dayitva bhi ki main praja ki samasyayo ka samadhan karu.
Deepmala (pareshan)—to kya ek maa ke prati tera koi kartavya nahi hai….?
Jitu—ye aap kya bol rahi ho maa….? Aap ne hi to mujhe ye shiksha di hai ki ek yuvraj aur maharaj ko apne sukh dukh ke vishay me sochne ka tab tak koi adhikar nahi hai jab tak ki uske rajya me ek vyakti bhi dukhi ho to…ab aap hi bataye kya vo sab jhooth tha jo aap ne mujhe sikhaya….? Kya main apne vachan ko bhang kar ke apni maa ki shiksha ka apman kar du….?
Shailendra—tum shayad satya kahte ho putra….kintu hame ye bhi to pata nahi hai ki hamara dushman hai koun…? Koun aisa kar raha hai…? Uska aisa karne ke piche kya vajah hai….? Aur uski taqat kya hai….? Inn sab baato ki jankari ke abhav me tum kaise unn gaon walo ki samasya door karoge….?
Jitu—aap nishchint rahe pita ji….agar aap dono ka ashirwad mere sir par raha to main avashya hi isme safalta prapt karunga…aap dono bas mujhe agya aur ashirwad pradan kare.
Deepmala ko yuvraj jitu ne bahut samjhaya tab kahi unhone usko jane ki atyant dukhi mann se ijajat di…karyakram ke samapt hote hi jitu unn logo ke sath unke gaon ki oor chal diya.
Bina ye soche jane ki ye kadam uski zindagi me koun sa toofan la dega...500 saal purani ye ghatna phir se jivant ho uthi thi….upar wala hi jane ki iss safar ka ab kya anzam hoga…? Haan, .itna to avashya nishchit hai ki ye ghatna uske jeevan ki roop rekha ko badal jarur degi
SAAJAN
UPDATE- 255
Mrinal—dekh apne swayamvar ki chinta tu saajan par hi chhod de….par usse pahle tu divya ke samne apne saajan ke prati prem ke baare me bata de....ho sakta hai ki bina divya ki ijazat ke bina vo tumhare prem ko swikar na kare.
Priyadarshini—hmmmmm.....ye main janti hu, mrinal....saajan divya do jism ek pran hain….. shayad tum theek kahti ho.. mujhe divya se baat karni chahiye…
Ye kah kar priyadarshini uth khadi huyi aur divya ke room ki taraf chal di….
Ab aage…..
Priyadarshini aur mrinal ne divya ke door ko knock kiya to payal ne khola….Divya ke room me paridhi aur payal dono hi uss samay moujud thi….unko dekh kar vo nirash ho gayi.
Payal—arey..priyadarshini……aao….kya baat hai sath me ye bandariya bhi hai…. hihihihi….?
Mrinal (chidh kar)—main bandariya nahi hu…..mera naam mrinalini hai..samajh gayi aap
Payal (has ke kaan pakadte huye)—achcha baba sorry…..chalo aa jao andar….ab aao bhi yaar
Paridhi—kya baat hai dono yaha, iss samay…..koi khas baat hai kya…..?
Priyadarshini—nahi….vo asal me need nahi aa rahi thi to socha kya na kuch der baate kar li jaye.
Divya—achcha kiya
Kafi der tak sabhi aapas me baate karti rahi....baad me priyadarshini aur mrinal nirash ho kar need aane ki baat kah ke vaha se chali gayi…..un dono ke jane ke kuch samay baad hi payal aur paridhi bhi sone ke liye chali gayi… payal apne room me aur paridhi, neha ke room me.
Sab ke jate hi divya apne room se nikal kar priyadarshini ke room me aa gayi, usko dekh kar mrinal thoda chounk gayi.
Divya—kya hua….? Aap dono chounk kyo rahi ho….mujhe laga ki shayad aap dono mere paas kuch kahne aayi thi lekin payal aur paridhi didi ki moujudgi ki vajah se kah nahi payi….isliye unke jane ke baad main khud yaha aa gayi.
Mrinal—sach me bahut samajhdar ho yaar, mann ki baat samajh gayi….lekin mujhe nahi yaar… ye priyadarshini kuch kahna chahti hai tumse….ab bol bhi de
Priyadarshini—kaise kahu kuch samajh me nahi aa raha….
Divya—dekhiye aap meri didi jaisi hain….apni choti bahan se kuch kahne me uljhan kaisi….? Apko to adesh dena chahiye mujhe….
Priyadarshini—apka swabhav bahut hi achcha hai divya
Divya—aap nahi tum kah ke boliye…..aap shabd ka sambodhan ya to apne se bado ke liye kahna chahiye ya phir kisi ajnabi ke liye…..apni umra se chote aur dosto ko tum hi kahna jyada upyukta hota hai.
Priyadarshini—tum sach me mahan ho divya..
Divya—aisa kuch nahi hai
Mrinal—ab bol bhi do sakhi….faltu me bhumika mat banao….jo kuch kahna hai kah do aaj…
Divya (has ke)—kahiye didi…..kya kahna chahti hain aap…..?
Priyadarshini (lambi saans khich kar)—vahi to soch rahi hu ki kaise kahu….? Tumne mujhe didi kaha iss rishte se kaise apni choti bahan se vo mangu jis par khud uska haq hai….?
Divya—aap bina kisi bhumika aur bina sankoch ke apni baat kahiye
Mrinal—bol na sakhi….agar dekh tu nahi bolegi to phir mujhe hi bolna padega….
Priyadarshini—bol to rahi hu…thoda sochne to de
Mrinal—isme sochna kaisa….?
Divya—lagta hai koi gambhir baat hai….? Aap jo bhi kahna chahti hain nissankoch kahiye…..ek dev kanya ko kisi baat ko kahne ke liye itna sochna shobha nahi deta.
Dono (shock)—kyaaaa tumhe malum haiiii…..?
Divya—haaa…mujhe ye pata hai
Priyadarshini—jab tumhe itna pata hai bahan to ye bhi jarur pata hoga ki mere yaha par hone ke piche kya karan hai..?
Divya—mujhe kya kya pata hai vo chhodiye didi…..aap apni baat kahiye.
Priyadarshini—divya….asal me main…..(shuru se poori baat batate huye)….ab tumhi batao divya main kya karu…?
Divya—jab maa gouri ne hi apke liye saajan ko chun liya hai to main koun hoti hu koi faisla karne wali didi…aap nishchint ho kar saajan se apne mann ki baat kah dijiye…..vo apko pa kar bahut khush honge.
Priyadarshini (khush ho kar)—shukriya meri bahan….aaj tumne mere dil ka bojh halka kar diya….main subah hote hi saajan se apne dil ki baat kah dungi.
Divya—theek hai didi…ab main chalti hu
Divya uske baad apne room me chali gayi….usne priyadarshini ke saajan ke prati prem ko swikar kar liya tha, bina kisi na nukur kiye….priyadarshini aur mrinal dono behad khush ho gayi…..lekin uske hriday me panap rahe asahniya dard ko kisi ne mahsoos nahi kiya…..ye dard apne saajan ko kisi se baantne ka nahi tha, balki iss dard ka karan tha ki usne har janam me hi apne saajan ko kisi na kisi ko baanta hai magar vo khud bechari uss haq se aaj tak mahroom hai. Ye tadap uss pyar ko pane ki thi jis par haq to uska sadiyo se tha kintu vo pyar aaj tak usko nasib nahi ho paya
Idhar main neha chachi ke room se nikal kar apne room me aa gaya….thodi der me payal didi bhi aa gayi aur meri baho me simat ke let gayi.
Payal—raj tum veer ko apni mani se bhi to theek kar sakte the phir kyo nahi kiya….?
Raj—pahla to ye ki jab tak bahut jaruri na ho jaye main shaktiyo ka prayog nahi karta….veer ka ilaz chal raha tha aur doctor’s ne mana nahi kiya tha ki vo theek nahi hoga..aur dusri vajah ye bhi thi ki agar main aisa karta to sab ko meri shaktiyo ke baare me pata chal sakta tha, jo ki main abhi nahi chahta…..
Payal—ab to tumne mani ka dusra hissa bhi hasil kar liya hai to hame uss rajgarh ki gufa me bhi to jana hoga na..? ab to agla darwaja bhi khul jayega aur uske andar ka raaz bhi….?
Raj—haan….jana to hai…rajgarh bhi aur vrihadpur bhi….par pahle sab theek to ho jaye.
Uske baad hum dono ek dusre ki baho me so gaye….
Aise hi do hafte gujar gaye….hamara yahi routine tha iss douran….pahle hospital aur phir college….baki time hospital me hi rahte shaam tak….beech beech me main head office bhi chala jata tha kyon ki soniya aur naina jyadatar veer ke paas hi rahti thi abhi to maine unhe disturb karna uchit nahi samjha.
Ek din subah hote hi mujhe kuch ajib sa laga….maine ankhe kholi to kisi ko apne kamre se tezi me bhagte huye mahsoos kiya…. main ye dekhne ke liye jaise hi utha ki ye koun hai tabhi main chounk gaya.
Kyon ki mere pant ki jip khuli huyi thi aur sikandar bahar khuli hawa me lahra raha tha…sath me uska sir bhi kuch bhiga hua tha…..andar bathroom se pani girne ki awaz aa rahi thi to main samajh gaya ki didi naha rahi hain.
Raj (mann me)—ye kisne kiya hoga….ye apne aap bahar kaise aa sakta hai jail tod kar….?
Thodi der me payal didi naha kar aa gayi to main bhi fresh hone chala gaya….aaj kafi dino baad sabhi ek sath break fast kar rahe the…main bhi ready ho kar unke sath shamil ho gaya….vidhya aur nani ko chhod kar baki sabhi vaha moujud the.
Mitaly—aa gaye raj…? Baitho main nasta lagati hu sab ke liye
Raj—maa, apni bahan aur mummy ko kuch khilaya ya nahi….?
Payal—meri kulhadi kaha gayi…main abhi ja kar khila deti hu dono ko…tu chupchap nasta kar…..(muh bana kar) unn dono ko khilaya kyaa….huuunnnnnn….?
Raj—didi, aisa nahi kahte……kal tak unhone chahe jo bhi kiya ho, magar aaj vo hamare paas, hamari sharan me hain, insaniyat bhi koi cheez hoti hai….dono lachar aur majboor hain…..chachi khana do, main khila kar aata hu dono ko..?
Maine nasta le kar dono ke paas bari bari se gaya aur apne hath se khilane laga….unn dono ko hospital se kal hi discharge mil gaya tha...lekin daily check up ke liye hospital le jana tha....nani ne mujhe dekhte hi rona shuru kar diya…maine kisi tarah samjha bujha kar unhe khilaya..uske baad vidhya ke paas gaya….mujhe dekhte hi vo darr se kampne lagi…..lekin jab mere hatho me thali dekhi to uski bhi ankho me anshu aa gaye…maine usko bhi apne hatho se khilaya….dono ki aisi halat dekh kar mujhe bhi behad dukh hua….dono ko khila kar main vapis sab ke paas aa gaya.
Mamta—beta veer kab tak theek ho jayega….?
Raj—jaldi ho jayega maa….aap tension mat lo
Chandni—college nahi jaoge….?
Raj—sab jayenge…achcha didi, mere room me koi aaya tha kya….?
Payal—haa…diksha aayi thi shayad..kyo….?
Diksha (turant)—nahii bhaiyaa maine kuch nahi kiya…maine to kuch dekha bhi nahi…main jaldi hi vapis aa gayi thi.
Raj (mann me)—iska matlab yahi thi….ye kabhi nahi sudharne wali apni aisi harkato se…pagal kahi ki
Sab nasta karne ke baad hospital aa gaye…..veer ko dikhane ke baad dono ka bhi check up karaya aur veer se kuch der baat karne ke baad hum college chale gaye….aaj kayi din baad main college aaya tha….compitition ki taiyari joro par thi…maine principal ko bata diya ki veer jarur hissa lega jab unhone veer ke baare me baat ki to.
Iss beech shikha ke ankho ka operation bhi ho gaya tha….vo ab dekh sakti thi…sabse pahle usne mujhe dekhne ki khwahish saloni ko batayi to maine bhi uski ichcha ko poori kar diya….bahut der tak vo mujhse lipti rahi… ab dono bahan behad khush thi.
Ab veer ki tabiyat pahle se bahut beeter thi…halanki ghaav to abhi poori tarah se bhara nahi tha….vidhya aur nani ki halat bhi ab theek hi kah lo…jinda thi dono….vidhya ke dono hatho me aur nani ke ek hath me plastic surgery karwa ke nakli hath lagwa diya tha.
Do hafte baad veer ko bhi hospital se discharge karwa kar main ghar le aaya…..agle din se college me sports start ho rahe the….main apne room me baitha kuch soch raha tha ki tabhi priyadarshini aa gayi.
Raj—aao priyadarshini baitho.
Priyadarshini—vo mujhe aap se kuch kahna tha
Raj—haa…kaho na
Priyadarshini—vo…kya hum kahi bahar chal sakte hain….?
Raj—hhmmm…ok chalo…ghum kar aate hain
Main priyadarshini ko le kar ek shant sunsan jagah par aa gaya….paas me hi ek talab tha…to hum dono uss talab ki sidhiyo par baith gaye.
Raj—haan…ab kaho..kya kahna hai…?
Priyadarshini—saajan….main ….(vahi kahani batate huye)…main aap se bahut prem karti hu…..sadiyo se karti chali aa rahi hu…badi mushkil se main aap tak pahuch payi hu….main aap se ye to nahi kahungi ki aap mujhe divya ke barabar ka adhikar dijiye, kyon ki main janti hu ki divya ke pyar aur balidan ke samne mera prem bahut chhota hai, main to bas aap ke charno ki dasi ban ke rahna chahti hu….apki aur divya ki hamesha seva karne ka saubhagya chahti hu..yahi meri vinti hai aur meri aradhna.
Raj—priyadarshini, prem kabhi bada ya chhota nahi hota….prem to bas prem hota hai, phir vo chahe jisse bhi ho… ye sach hai ki jo jagah mere dil me divya ki hai vo koi aur nahi le sakti kabhi….divya meri aatma hai….haan ye alag baat hai ki uss aatma me pyar karne walo ke liye bahut jagah hai….isliye hi maine tumhe divya se baat karne ko kaha tha.
Priyadarshini—divya sach me bahut mahan hai….warna manav to kya koi dev stri bhi apni soutan ko bardast nahi karti hai…jabki divya khushi khushi har kisi ko swikar kar leti hai.
Raj—sachche prem me yahi hota hai….jo kisi se sachcha prem karta hai, uska na to koi apna sukh hota hai aur na hi apna koi dukh…..apne premi ki khushi me hi uski khushi hoti hai aur uske dukh me hi dukh….apna vyaktigat koi swarth nahi hota……divya me yahi gun hai…..uske dil me kisi ke liye ershya bhav nahi hai.
Maine apni baho ka ghera priyadarshini ke liye jaise hi khola to uski khushi se ankhe bhar aayi….vo kisi madmast hirni ki bhanti daudte huye meri baho me aa kar simat gayi.
Apne saajan ki baho me simatate hi priyadarshini ko aisa lagne laga ki jaise vo te dhoop se jalte huye kisi ghane ped ki chhanv me aa gayi ho…..aisa laga jaise ki uske tapte huye jism ko shitalta mil gayi ho.
Priyadarshini (sisakte huye)—aaj mere hriday ko sukun mila hai….meri tapasya aur gouri maa ka ashirwad aaj safal ho gaya….aaj maine swarg ka sara vaibhav pa liya apne saajan ki baho me.
Priyadarshini ka mukh alko se ghir kar kali zanjeero me bandhe chandrama ki bhanti prateet ho raha tha….neelam ki pyali me madira ki tarah sthiti thi, uske netro me jhumti madakta ki…..uske komal kapolo par smit rekha behad khubsurat thi….uske gore gaalo par mushkurate samay padne wale gaddhe jaan leva aur kisi ka mann moh lene ke liye paryapt the…priyadarshini ke soundarya ki sukumarta ne mere hriday ko bhi parajit kar diya ….swayam sheetal him pranayagni ban kar jal utha…aur sach kaha jaye to yahi to hai, prem ka parivartit roop.
Priyadarshini ke seene me ubhare huye do unnat shikhar aise the mano himalaya parvat ki do chotiya sir uthaye khadi ho, uske phoole huye nitamb dekh kar koi bhi kaam vasna ke vashibhoot ho sakta hai.
Uske roop youvan me main itna kho gaya ki kab mere hoth uske kamal jaisi pankhudi ke saman hotho se ja mile, mujhe hosh hi nahi raha…..hotho ke ras me itni madakta aur mithas mujhe divya ke alawa aur kahi nahi mii..aur aaj vahi mithas ko main priyadarshini ke hotho par mahsoos kar raha tha.
Priyadarshini bhi poori tarah se madhosh ho kar apni sudh budh kho chuki thi….uske jeevan ka ye pratham chumban tha apne hotho par….aur tabhi ek tez roshni ka ghera dono ke charo taraf phail gaya.
Priyadarshini apne dev kanya wale asli swaroop me aa chuki thi….ye roshni uske issi swaroop ki thi…..vo jagah uski iss roshni se jagmaga uthi…..iss samay agar koi uski sundarta ko dekh leta to nishchit hi vo uske prem me devdas bane bina nahi rah pata.
Uski roshni ki chamak kafi jyada thi…kuch to uske dev kanya hone ke karan aur kuch uski sundarta ki chamak ke karan…aur jab ye dono ek sath mil jaye to bhala ye roshni kaise kisi se chhupi rah sakti hai….?
Hum dono apne pratham prem milan ke chumban ke rasaswadan me hi doobe huye the ki tabhi…….