• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,514
188
Waiting
 
  • Like
Reactions: anandsngh12

Mr.X796

Well-Known Member
10,138
6,149
228
Sare updates padh liye bro awesome story h bro :superb:
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,485
173
SAAJAN
UPDATE- 288

Uss ichcha dhari nagin ne sath chalne ki bahut zidd ki…badi mushkil se use samjha bujha kar gufa me hi rukne ko taiyar kiya aur phir main uss ichcha dhari naag ke sath uss nadi ki taraf chal diya.

Ichcha dhari naag rasta batate huye aage aage chal raha tha aur main uske piche...abhi hum aadha jungle ji paar kar paye the ki vaha bhayanak awaze goonjne lagi…hum dono savdhan ho kar dhire dhire aage badhne lage.

Ab hum dono itni door pahuch gaye the ki vaha se nadi ke bahte pani ki awaz sunayi de rahi thi lekin ghane jungle ke karan hum dono ko vo nadi dikhayi nahi de rahi thi.

Hum dono ek jagah ruk kar soch vichar kar hi rahe the ki tabhi achanak……

Ab aage……

Hum dono ek jagah ruk kar soch vichar kar hi rahe the ki tabhi ek bhayanak jeev hamare samne achanak hi na jane kaha se prakat ho gaya..jo dikhne me bada hi ajibo garib lag raha tha….uske pair sher jaise the, aur baki sharir kisi gainde ke jaisa tha.. jabki chehra chamgadar ki tarah tha..uski pith par bade bade do pankh lage huye the…Apne samne aise bhayanak jeev ko dekh kar hum dono chounk kar thoda piche hat gaye…

“Koun ho tum aur iss tilismi jungle me kaise pahuche…?” uss bhayanak jeev ne garajte huyi awaz me kaha.

Maine usko apne aane ka karan aur yaha kaise pahucha..sab bata diya...ye sunne ke baad vo aur bhi jyada kroadhit ho gaya aur gusse se hamari taraf dekhne laga.

"Jis rakshak ko tum maarne aaye ho, vah aur koi nahi balki mera param mitra hai...mere rahte huye tum uska kuch bhi nahi kar paoge." Usne gusse se meri taraf dekh kar kaha.

Itna kahne ke sath hi usne mujhe yakayak utha kar door patak diya…ek pal ko to mujhe laga ki jaise meri haddiya hi toot gayi ho. Vo khargosh (naag) ye dekh kar jaldi se ek ped ke piche chhup gaya kyon ki iss roop me vah uss jeev ka kuch nahi bigad sakta tha.

Vah jeev phir se mere upar hamla karne ke liye tezi se dauda kintu iss bar main savdhan ho chuka tha..usne jaise hi mere sharir me jor se takkar mari vaise hi ulta takrate hi kayi foot door ja kar gira.

Halanki isse usko kuch nahi hua kintu vo ghor ashcharya me pad gaya aur apna vaar khali jate dekh usne apne hamla karne ka tarika badal liya..iss bar vo apni ankho se kirne chhodne laga ..ye dekh maine apne charo taraf ek suraksha kawach bana liya.. kintu uski vo kirne jaise hi mere suraksha kawach se takrayi to mera kawach toot kar bikhar gaya.

Suraksha kawach ke tootte hi usne turant dusri kiran chhod di..lekin jaise hi uski kiran mere jism se takrayi vaise hi uski disha badal gayi aur vo ek ped se ja takrayi…takrate hi vo ped jal kar raakh ho gaya.

"Ye nahi ho sakta…Sach sach batao..koun ho tum…?" usne apna vaar phir bekar hote dekh shocked ho kar meri taraf ghurte huye kaha….ye dekh kar usne phir se vaar kiya lekin maine uchhal kar uska ye vaar bhi nisphal kar diya…vo har bar mere upar vaar karta lekin pratyek bar uska vaar bekar jata.

Aise hi dheere dheere main uske paas pahuch gaya…aur ankhe band kar li..agle hi pal me mere hatho me ek talwar aa gayi..jise maine jor se uski chhati me hamla kiya lekin isse uska kuch nahi bigda ulta meri talwar mere hatho se chhitak kar door ja giri.

Mera hamla iss bar bekar jate dekh vo behad khush hua aur apne hath upar uthaye to ek chamakti huyi talwar uske hath me aa gayi..jaise hi usne mujhe maarne ke liye talwar niche ki vaise hi ek lal kiran uske hatho se takrayi aur talwar uske hatho se chhut kar door ja giri.

Achanak apne upar huye iss hamle se vo baukhala gaya aur usne uss disha ki taraf dekha jidhar se ye lal kiran aayi thi…bhayanak jeev ko uss disha me ek khargosh dikha jo dubara apni ankho se lal kiran chhodne wala tha…bhayanak jeev ke dekhte hi dekhte khargosh ne lal kiran chhod di.

Bhayanak jeev uss lal kiran se bach nahi paya aur vo kiran sidhe uske seene ke beecho beech lagi jisse vo ghayal ho gaya lekin mara phir bhi nahi.

Vo bhayanak jeev ghayal hone se aur bhi jyada kroadhit ho gaya aur usne gusse me apne hath me ek aag ka gola le kar khargosh ki taraf chhod diya..kintu khargosh uss jagah se uchhal kar dusri jagah pahuch gaya…jisse bhayanak jeev ka vaar khali chala gaya.

Iss chakkar me uss bhayanak jeev ka dhyan mere upar se hat gaya…iss mouke ka fayda utha kar maine apni talwar khoj kar turant utha li…idhar bhayanak jeev ne apna vaar khali jate dekh kar apni shakti se khargosh ko ek jagah jad kar diya tha..jisse vah jab uske upar aag ka gola chhode to vah uchhal kar dusri jagah na ja sake.

Ab uss ichchadhari naag yani khargosh ko apne pran sankat me dikhayi de rahe the..usne apni dono ankhe band kar li aur apni mout ka intazar karne laga.

Vo ab phir se khargosh ke upar aag ka gola chhodne ki taiyari karne laga….usne jaise hi apna hath upar kiya to uske hath me aag ka gola aa gaya..hath me aag ka gola prakat hote hi vo khargosh ke upar usko chhodne hi wala tha ki tabhi maine turant piche se uski gadan apni talwar se uda di…uski gardan dhad se alag ho kar niche gir gayi jabki uska jism uss aag ke gole se jalne laga. Maine fauran uska kata hua sir bhi utha kar uske aag ke gole wale hath me hi rakh diya…thodi hi der me vo bhayanak jeev uss aag me jal kar raakh ho gaya.

Maine khargosh ke paas ja kar uss chamkile tilismi patthar ki shakti ka prayog kar ke use jad avastha se azad kar diya….uss jeev ke marte hi hame vo nadi bhi nazar aane lagi.

Naag—ye nadi to bahut choudi hai…isko paar kaise karenge….?

Raj—hawa me ud kar chalenge..

Naag (hairan)—kyaaa hawa me ud kar..lekin kaise….?

Raj—aise…

Maine khargosh ko apne hatho me utha liya aur ankhe band kar ke lal motiyo ki mala ki shakti ke prayog se agle hi pal hawa me udte huye nadi paar karne laga…jisse nadi ke uss par sher ki murtiyo tak pahuchne me aur koi musibat na aaye…khargosh bana naag ye dekh kar hairan tha.

Kuch hi der me hamne hawa me udte huye nadi paar kar li aur sher ki murtiyo wali jagah par pahuch gaye…..khargosh ne apni ankho se ek lal kiran sher ki murtiyo ke upar chhod di jisse unn kirno ke takrate hi murtiyo ke parkhachche ud gaye.

Uss jagah par dhool hi dhool phail gayi…aur jab dhool hati to uss jagah par lamba hatta katta manav khada tha jo dikhne me kisi danav jaisa tha aur uske hath me ek bada farsa tha.

“Koun hai…? Jisne mere dwara banayi gayi inn sher ki murtiyo ko toda hai…kisne apni mout ko dawat di hai…? Aghora use mout ki neend sula dega.” Usne gusse me chillate huye kaha.

Hum dono use dekh kar saham gaye…aghora ka jaisa naam tha, vaisa hi vo dikhta bhi tha….bade bade baal, badi badi blue ankhe, bade bade nakhun…kul mila kar agar koi usko achanak dekh le to vah usko dekhte hi darr se mar jaye.lekin mera samna pichle kayi janmo se iss tarah ke danav, aur jadugaro se pad chuka tha, isliye mujhe koi khas fark nahi pada…ab tak aghora ki nazar bhi hum dono par pad chuki thi…khargosh ko yaha dekh kar vah gusse se uski taraf dekhne laga.

Aghora (gusse me)—tu isko yaha le kar aaya hai…main ab isko bhi teri tarah hi khargosh bana dunga lekin iske pahle main tujhe maar dunga jisse ab tu mera raaz kisi ko batane ke liye jivit hi nahi rahega.

Itna kahne ke baad aghora ne vahi pade huye murti ka ek bada sa tukda uthaya aur use hamari taraf tezi se phenk diya lekin vo tukda hame lagta usse pahle hi khargosh ne apni ankho se ek lal kiran uss murti ke tukde ki taraf chhod di…kiran ke takrate hi vo tukda aur bhi chote chote tukdo me toot kar bikhar gaya…apna vaar khali jata dekh kar aghora gusse se tilmila gaya.

Aghora (chillate huye)—ab main tujh par aisa prahaar karunga ki teri koi bhi shakti tujhe nahi bacha payegi.

Iske baad aghora ne apne hath me ek neela heera prakat kiya aur khargosh ki taraf chhod diya…khargosh ne phir se kiran chhodi lekin iss bar lal kiran uss neele heere se takrate hi dusri disha me parivartit ho gayi.

Neela heera khargosh ki taraf badh raha tha aur bas kuch hi pal me vo khargosh ko lagne hi wala tha ki tabhi maine khargosh ke charo taraf apni shakti se ek suraksha kawach ka ghera bana diya…neela heera kawach se takrate hi chur chur ho gaya. Aur sath me kawach bhi toot gaya kintu khargosh ko kuch nahi hua..vo bach gaya.

Aghora (gusse me)—tu koun hai…? Lagta hai ki tu bhi thodi mayavi vidya janta hai... ? lekin mere samne teri koi aukat nahi hai... tu mera kuch nahi bigad sakta..

Raj—jaise tere dost ko mara hai, vaise hi ab tujhe bhi maarunga...

Aghora (shocked)—kyaaaaaa...tune mere param mitra ko maar diya... jo mere sukh dukh ka sathi tha…? Ab main tujhe kisi haal me bhi jinda nahi chhodunga…

Apne dost ki mout ki khabar sun kar aghora gusse se pagal ho gaya….aur gusse se usne apna farsa meri taraf apni poori taqat se phenk diya…ye dekh main apni jagah se hat gaya jisse vo farsa mujhe bina koi nuksan pahuchaye hi piche nadi me ja gira.

Ab maine bina der kiye ankhe band kar ke apna hath aage kiya to ek dhanush mere hatho me aa gaya…phir dusra hath aage kiya to paanch teer aa gaye…phir ankhe khol kar maine paancho teer ek sath hi dhanush me chadha kar aghora ko nishana bana liya. Aghora ne jab mujhe aise karte dekha to vah ghabra gaya lekin phir jor jor se hasne laga.

Aghora (haste huye)—tujhe iss ichchadhari naag ne meri mout ka rahasya bata to diya lekin tu paancho teer ek sath mujh tak pahuchayega kaise….? Kisi na kisi teer ka nishana to chuk hi jayega..tu mujhe kewal jad avastha me hi maar sakta hai jo ki ab main jad avastha me nahi aaunga….jiske karan tera nishana nahi lagega…aur tab tak main tujhe maar dunga kyon ki mere paas ek aisa bramhastra hai jiski koi kaat nahi hai..yaha tak ki teri koi shakti bhi use nahi rok sakti…hahahaha

Itna kahne ke baad aghora vahi par gol gol daudne laga….main usko aise gol gol daudte dekh kar pareshan ho gaya ki ab kaise nishana lagaya jaye…? Idhar aghora ne daudte huye agni ashtra ka aahvahan kiya aur meri taraf nishana kar ke chhod diya..

Vahi dusri taraf priyadarshini ke devatva ke tez ko bardast na kar sakne ki vajah se bhairav nath vaha se adrishya ho gaya..kintu bina ye tilism toote vo qile se bahar ja nahi sakta hai, kewal gufa se hi azadi mil payi thi usko abhi.

Uske adrishya hote hi priyadarshini aur mrinal ki paini nigahe usko har taraf talash karne lagi kintu vah kahi nazar nahi aaya.. sab ek bar phir se iss aloukik roshni ki vajah se behad hairan the..sirf vaha unme se divya hi thi jo ye raaz janti thi, isliye usko koi hairani nahi ho rahi thi.

Mrinal—bhag gaya kayar…nahi to aaj uska takla aisa jam kar bajati ki uski goonj dev lok tak sunayi deti..

Bhairav nath ke adrishya hote hi priyadarshini ne sab ke charo taraf ek majbut suraksha kawach ka nirman karne ke baad apne purane manav roop me vapis lout aayi….roshani ke gayab hote hi sab ne ankhe khol kar jaise hi dekha to ek bar phir unki nazre priyadarshini par hi kendrit ho kar rah gayi..kyon ki uske chehre par abhi bhi itna tez vidyaman tha jise dekh kar koi bhi hairan rah jaye.

Vo sabhi ashcharya chakit ho kar priyadarshini ko hi dekhne me lage huye the…unke mann me kayi tarah ke sawal uth rahe the jinke jawab kewal priyadarshini hi de sakti thi ya phir divya.

Vo inn sawalo ki kadi ka pahla prashna priyadarshini par dagne hi wale the ki teek ussi samay bhairav nath ek bar phir se attahas karta hua unke samne aa gaya….jo ki vahi adrishya rah kar iss roshni ke shant hone ki hi pratiksha kar raha tha.

Bhairav nath ko phir se apne samne dekh kar sab punah bhaybheet ho gaye aur idhar udhar chhipne ki jagah dekhne lage..unhe aise darr kar bhagte dekh bhairav nath khushi se phoola nahi sama raha tha.

Bhairav nath—hahahahaha….bhago..aur bhago….hahahaha….lekin bachoge nahi….

Neha—koun ho tum…? Kyo hamare piche pada hua hai... ? hamne to tera kuch nahi bigada hai... ? akhir tu chahta kya hai…?

Bhairav nath—divyaaa…haan…mujhe divya chahiye…..divya ko mere hawale kar do..main tum sab ko chhod dunga…

Veer (chillate huye)—dust..teri ye khwahish kabhi poori nahi hogi….

Bhairav nath—achchaaa…..divya ko mujhse koun bachayega….? Tuuu…? Ya phir saajan….? Hahahahah…tu to koshish kar ke bhi dekh chuka hai….ab bacha vo saajan…to use main tadpa tadpa ke marunga…. hahahahahaha….bhairav nath ko koi nahi maar sakta….main amar hu…. hahahahaha

Bhairav nath ki mujhe marne ki baat sunte hi kayiyo ke khoon me ubaal aa gaya magar payal ka chehra gusse se sabse jyada tamtamane laga….vo jahreeli nagin ki bhanti gusse se fufkarte huye apni kulhadi le kar bhairav nath ki taraf tezi se daud padi..

Payal (gusse me)—sala haramiii….tu mere..rajjj ko maregaaaa……ruk sale kamine…. abhi teri aisi ki taisi karti hu…..

Divya (jor se)—didiiii…nahiiiii…..rukkk jaoooo….nahiiii…didiiiiii
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,485
173
Are Anand bhai Kyu Sharminda kar rahe ho mujhe,
mai to Aapke saamne kuchh bhi nahi,
Meri story kuchh khaas nahi,,,

Aap apni story bas likhte jayein wo hi bahut Kyuki mujhe yeh story bahut Pasand hai,

Bs yehi rahta hai ki kitni jaldi saare raaj pata chala jaye aur end ho jaye !! lekin end na ho to achha bs yunhi chalti rahe.....
Aisa kuch bhi nahi hai dost..main bhi apki hi tarah ek nau-sikhiya writer hu..
Jaha tak iss kahani keend hone ki baat hai to abhi dilli bahut door hai bhai..
 
Status
Not open for further replies.
Top