Iron Man
Try and fail. But never give up trying
- 42,769
- 111,168
- 304
Ok bhaiUpdate Likh Raha Hu....Complete hote hi post karunga.
Intzar rahega
Ok bhaiUpdate Likh Raha Hu....Complete hote hi post karunga.
Lay dekha ji Jo itna bda zatka lga?SAAND
UPDATE- 259 (B)
Langda Admi
Sheetal ne turant darwaje ke handle se apna hath ghabra kar piche khich liya…aur vapis bistar ki taraf palat gayi..magar tabhi phir se bathroom ke bhitar se kuch aahat ke sath sath kuch ajib si awaze sun kar uske royen khade ho gaye…aur ek bar phir se apne kampte hath darwaje ke handle par laga diye…usne akhir ankhe band kar ke himmat bator kar ek jhatke me hi bathroom ka darwaja khol diya….
Aur phir darwaja jaise hi khula vaise hi....
‘’Aaaaaaaaaaaaaaaaa.....nahiiiiiiiiiiii.’’
Ab aage......
Sheetal ne jaise hi darwaja khola vaise hi koi tezi se use chhute huye bathroom se bahar nikla jisse sheetal ekdam se ghabra gayi aur jor se cheekh padi..kuch der tak ankhe khol kar dekhne ki uski himmat hi nahi huyi..kisi ke kamre ke andar moujud hone ka uska shaq ab yakin me badal chuka tha ....phir dhire se ankhe khol kar usne darte huye revolver majbuti se pakad kar kamre ki taraf palat gayi.
Sheetal (kampte hath)—(ladkhadati awaz)..kkk...koun hai yaha.... ? dekho, tum..jo.bhi ho..chhupne se koi fayda nahi hai.. sidhi tarah se..samne aa jao..warna main goli maar dungi…
Sheetal ke bar bar dohrane ke baad bhi jab koi samne nahi aaya to uska darr aur bhi jyada gahra ho gaya…vo ab kaale kamre me jane ke apne faisle par pachhta rahi thi…magar tabhi use raj ki halat ka khyal aaya to uske hath pair me achanak hi furti aa gayi jaise ki usko koi sanjivani jadi buti mil gayi aur uss buti ne uske kamjor sharir me phir se jaan daal di ho…?
Sheetal ne jaise hi kamre me aa kar main light on ki to use vaha kuch dikhayi nahi diya…magar agle hi pal use parde ke piche se kuch phadphadane jaisi aahat sunayi padi to usne turant hi uss disha me fire kar diya.
Sheetal ke fire karte hi parde ke piche se phadphadate huye ek ullu bahar nikal aaya..ullu ko dekhte hi sheetal chounk gayi..vo kuch der kamre me hi udte huye chakkar lagata raha aur phir tezi se deewar me bani exhaust wali khali jagah se bahar nikal gaya.
Sheetal (hairan)—ye ullu kaha se ghus aaya kamre me…? Pahle hi uss admi ne mujhe daraane me koi kasar baki chhodi thi jo ab ye ullu bhi meri jaan lene yaha chala aaya…? Shukra hai ki bhag gaya..warna main to darr darr ke hi raat bhar me mar jati..
Ullu ke kamre se bahar nikal jane par usne kuch rahat ki saans li…aur sone ke liye bistar me let gayi..magar uska letna hi tha ki tabhi phir se chounk kar uth gayi…bahar se ajib ajib si bhayanak awaze aati, phir thodi der me band ho jati…kabhi kutte bhonke lagte..to kabhi billiyo ke ladne ki awaz aane lagti…kabhi ullu bol rahe hote…kabhi geedro ki awaz sunayi dene lag jati..ye awaze kabhi halki ho jati to kabhi achanak hi itni tez ki dil dahal uthe.
Kabhi kabhi kisi ke jor se cheekhne ki awaz sunayi deti…to kabhi aisa mahsoos hota jaise ki koi bahar deck par sound track baj raha ho aur uski dhun par koi chham..chham karte huye naach raha ho..
Sheetal ajib uljhan me phans chuki thi..na to vah so pa rahi thi aur jagne par ye awaze use pareshan kiye ja rahi thi..bas aise hi ankho me sari raat gujar gayi..phir subah huyi aur ye awaze aani band ho gayi to neend ne use aa dabocha.
Sheetal uss samay gahri neend me thi jab koi nirantar darwaje par dastak de raha tha…darwaja knock karne ki lagatar awaz aane par sheetal ki ankh mushkil se khuli…usne mobile par time dekha, subah ke saat baj rahe the…vo fauran uth kar khadi ho gayi.
Sheetal (mann me)—vahi admi aaya hoga…?
Sheetal ne ja kar darwaja khola kyon ki usne andar se lock kar diya tha raat me….sheetal ka andaza sahi tha, vahi kal wala hi admi tha…apne vade ke anusar vo din nikalte hi aa pahucha tha…uske hath me ek trey bhi tha, shayad vo sath me nasta bhi le kar aa gaya tha.
Sheetal ki ankhe neend se bojhil ho rahi thi…ankho me laal dore pade huye the, jo uski ankho ko aur bhi jyada aakarsak aur nasheeli bana rahe the..vo admi sheetal ki inn nasheeli ankho me jhankte huye jaise kho sa gaya tha…sheetal ne use apni taraf aise ek tak dekhte dekh kar apna chehra thoda ghuma liya.
Sheetal (jamhayi le kar)—raat me ek pal bhi so nahi payi hu..
Admi—janwaro ki awazo se darti rahi hogi….?
Sheetal—janwaro ki awazo se utna nahi jitna ki uss ullu se....upar se vo light ne alag pareshan kiya..
Admi—kya matlab... ?
Sheetal—vo raat me jab main so gayi thi to ...(phir raat ki poori ghatna batate huye.)
Admi (apna sir pakad ke)—ohhh…vastav me galti mujhse ho gayi…mujhe iss baat ka khyal hi nahi raha.
Sheetal (nasamajhte huye)—main kuch samjhi nahi…kaisi galti….? Kaisa khyal…?
Admi—bas ho gayi ek galti..khair, tum tension mat lo…aaj raat sab theek ho jayega..
Sheetal—aaj raat sab theek ho jayega..ka kya matlab hai…? Main yaha rahne nahi aayi hu…mujhe mere sawalo ke jawab do jaldi se jaldi…mujhe abhi uss poison aur virus ka ilaz bhi dhoondna hai..
Admi—ab tum ja kar hath muh dho lo…main tumhare liye nasta le kar aaya hu..phir itminan se baat karenge..
Sheetal—theek hai..
Sheetal bathroom me ghus kar fresh hone lagi…uske baad bahar aa kar chair par baith gayi…uss admi ne trey utha kar uske samne rakh diya…sheetal ne ek nazar samne rakhi trey par dali jo ki naste ke vyanjano se bhari huyi thi.
Sheetal—mujhe bahut sharmindgi mahsoos hoti hai ki tum mere liye trey uthate ho..kya itne bade iss mahalnuma bhawan me koi bhi naukar nahi hai…?
Admi—yaha bahut se log hain lekin aisa koi nahi hai jo ye kaam kar sake..tumhe sharminda hone ki koi jarurat nahi hai.. tum nasta karo..
Usne gol mol sa jawab diya jo ki sheetal ki samajh me nahi aaya…vo bhi jyada bahas nahi karna chahti thi..bas jaldi se jaldi sari baate clear kar ke aage badh jana chah rahi thi.
Sheetal—tum na, samajh me na aane wali baate bahut karte ho…kya tumhe dusro ko uljha kar bahut maza aata hai…?
Admi—main kisi ko kya uljhaunga..? main to swayam hi ek lambe samay se uljha hua hu..
Sheetal—tumhe kisne uljhaya…?
Admi—hai koi jis par main marta hu, magar afsos ki vo kisi aur par marti hai..
Sheetal ne nasta karte huye plate me aaj phir se ganga mousi ka naam likha hua dekh liya...lekin ye baat uss admi par jahir nahi hone di ..nasta kar ke usne hath dhoye aur phir vapis chair par baith gayi.
Sheetal—ab mujhe mere sawalo ke jawab do...aur mujhe ye batao ki tum mere baare me itna kuch kaise jante ho…? Raj aur uski bimari ke baare me kaise jante ho…? Ab ye mat kahna ki ye bhi pujari dada ne bataya tha kyon ki unko mare huye bahut samay ho chuka hai..
Admi—tumhe kuch bhi jawab dene se pahle main tumhe kisi se milwana chahta hu..
Sheetal—kisse milwana chahte ho... ? mujhe kisi se nahi milna..mujhe to bas apne sawalo ke jawab chahiye…
Admi—unse tum apne har sawal ka jawab pa sakti ho…main tumhare aur raj ke baare me itna kuch kaise janta hu, ye bhi unse milne ke baad samajh jaogi..
Sheetal—koun hai aur kaha hai... ? aur tum mujhe usse kyo milwana chahte ho... ?
Admi—maine kaha na ki tum unse milte hi samajh jaogi...main unhe le kar aata hu...
Sheetal—nahi, tum kal ki tarah aaj bhi gayab ho jaoge...
Admi—main bas abhi gaya aur abhi aaya....
Itna kah kar vo bahar nikal gaya..jate jate aaj bhi darwaja bahar se band kar diya tha....sheetal ko kuch samajh me hi nahi aa raha tha, jab se vo kale kamre me gayi hai tab se uska dimag bilkul hi jaam sa ho gaya hai...sheetal uski kahi gayi baato par hi soch soch kar pareshan huyi ja rahi thi.
Sheetal (mann me)—ye kis ko lene gaya hai... ? kis se milwana chahta hai mujhse…aur kyo…?
Sheetal abhi apni inhi uljhano me uljhi huyi thi ki tabhi darwaje par dastak huyi….darwaja jaise hi khula aur phir jo chehra sheetal ki nazro ke samne aaya use dekhte hi vo uchhal kar kursi se ek jhatke me khadi ho gayi….uski ankho ke samne ek langda admi khada hua tha..jiske kapde jagah se phate huye the..dadhi aur sir ke baal badhe huye the…vo ek tak sheetal ko dekhe ja raha tha hairani se jabki sheetal to kisi sadme jaisi halat me khadi thi.
Langda—aise kya dekh rahi ho sheetal beti…? Kya apne papa ko nahi pahchanti…?
Sheetal (shocked)—papa.. ‼
Langda—haan, beti..main hi tera badnasib baap hu...
Sheetal (bhavuk)—papa..
Ye sunte hi ki vo uske papa hain, sheetal behad bhavuk ho gayi, uski ankhe bhar aayi aur vo daudte huye uske seene se ja lipti aur phir uski rulayi phut padi.
Sheetal (rote huye)—papa..aap hame chhod kar kaha chale gaye the…?
Langda—bas beti main phans gaya tha…kahi par…
Sheetal (sisakte huye)—papa, Aap nahi jante ki aap ke jane ke baad hamare sath kya kya hua…? Unhone hamare raj ko maarne ke liye kitni ghatiya sazish rachi…? (phir sheetal ne ek ke baad ek sabhi ghatnaye batati gayi rote rote.)
Langda—mat ro meri beti..mat ro…main sab janta hu sheetal beti..sab janta hu..(kuch soch kar)..sheetal beti, tumhari yaad dast vapis aa gayi kya…?
Sheetal (rote huye)—papa, main sheetal nahi balki sadhana hu…vahi sadhana jise aap sheetal bana kar ghar bhej diye the..
Langda (shocked)—kyaaaaa….? Tum sadhana ho…?
Sheetal (sisakte huye)—haan papa..main sadhana hu, ..main sab jaan chuki hu papa ki aapne kaise apni beti ko apne dost ki jholi me daal diya tha..
Langda (shocked)—lekin tumhe ye kisne bataya ki tum meri beti ho…?
Sheetal (sisakte huye)—agar main uss din aap dono dosto ki baat nahi sunti to ye raaz, raaz hi rah jata ..aapne mujhe apne se door kyo kar diya tha papa…?
Langda—ohh to ye baat hai…ab jab tum jaan hi gayi ho to apne paap ko maaf bhi kar do beti…akash mera bahut achcha dost tha…usne tumhari maa ki izzat thakur se bachane ke liye bahut badi qurbani di…log uski biwi ko baanjh kah kar taane maarte the, ye mujhse bardast nahi ho raha tha, isliye maine tujhe unki god me sounp diya tha beti..mujhe maaf kar dena beti, main tumhara mujrim hu..
Sheetal—aap hamse milne kyo nahi aaye papa…? Aap ke hote huye hame anatho jaisa jeevan bitana pada..anaaj ke ek ek daane ke liye hum taras gaye the papa
Langda—main majbur tha beti..apni ek taang kho chuka tha…upar se tum sab pahle hi garibi se tang the…main apahiz tum sab par apna bojh nahi dalna chahta tha..isliye apne aap ko mara hua hi rahne diya sab ki nazro me..lekin main phir bhi chhup chhup kar tum sab ki khabar leta rahta tha….mere mann me abhay se badla lene ki bhavna aa gayi thi to main uss par nazar rakhne laga….main kisi bhi tarah se vo vasiyat hasil kar ke abhay se apni aur tum sab ke sath kiye gaye zulm ka badla lena chahta tha…tab se bas main uss vasiyat ki talash me bhatak raha hu…
Sheetal—papa, vo to maine dekha hai papa…jab thakur ke admi raj ko jalane wale the tab aapne hi raj ko bachaya tha na..?
Langda—haan beti…jab raj ko goli lagi thi tab sanyog se main vaha pahucha hi tha lekin tab tak use goli lag chuki thi.. phir bhi maine mouka milte hi raj ko unke changul se bacha liya....black star bhi uss vasiyat ko hasil karna chahta hai.. jane kaise usne mujhe pahchan liya aur dhokhe se kidnap karwa kar mujhe yaha le aaya…lekin beti tum yaha kaise phans gayi …? Aur agar tum sadhana ho to phir sheetal kaha hai….?
Sheetal—papa main bhi usko aur raj ko hi khojte huye yaha aa kar phans gayi…
Langda (chounk kar)—khojte huye matlab…?
Sheetal—papa, vo registan se hi gayab ho gayi thi..aur uski jagah koi naqli ladki ne le li..usne hamare raj ko aur mujhe jaan se maarne me koi kasar nahi chhodi..aur phir yaha aate samay raj bhi kahi gayab ho gaya..(poori baat batate huye).
Langda—kyaaa….?
Sheetal (sisak kar)—haan papa, thakur ke admiyo se to aapne apne bete ko bacha liya tha lekin iss baar aap raj ko kaise bachayenge papa... ? uss poison aur virus se kaise bachayenge papa…?
Langda—iska ilaz to sirf black star hi janta hai beti….aur black star ke baare me koi kuch nahi janta..kewal black star naam ke alawa…vo koun hai, kaisa hai, kaha rahta hai…? Koi nahi janta..
Sheetal—chahe kuch bhi ho jaye papa…main raj ko kuch nahi hone dungi..main sheetal aur raj ko dhoond kar rahungi… na jane dono kaha aur kis haal me honge…?
Langda—chinta mat karo beti, ab tum akeli nahi ho…main pata lagaunga dono ka…na jane meri sheetal bitiya kaha hogi…? Uss kamine black star ne kaha rakha hoga meri phool si bachchi ko…?
Sheetal—papa, aapko nahi pata ki hamare ek nahi balki do bhai the..raj ke sath ek aur uska judwa bhai bhi paida hua tha jise abhay chacha ne hospital se hi kidnap karwa diya tha dakuo ke hatho…phir jab vo daku mere bhai ko maarne wale the tab kahi se koi golu madari vaha aa gaya tha, uske baad pata nahi kya hua hamare bhai ka…?
Langda—haan beti, mujhe bhi abhi kuch mahine pahle hai pata chala hai iss baat ka yaha aane ke baad…vo charo daku golu madari ke bhram jaal me ulajh kar rah gaye the…golu madari ne tumhare bhai ko bina hath lagaye, bina kisi hathiyar ke uske sharir ke tukde tukde kar ke unn dakuo ko dikha diye the..jisse vo daku buri tarah se ghabra kar vaha se bhag gaye…shayad vo charo golu madari ko ek chota mota ullu ka tamasha dikhane wala madari hi samajh rahe the…dakuo ne ja kar abhay ko bata diya ki unhone uss bachche ko khatam kar diya hai…iske aage mujhe kuch nahi pata…tumhara bhai jinda hai ya nahi..? agar jinda hai to uske sath kya hua..? ye sirf golu madari hi bata sakta hai..vo logo ki nazar band kar ke bhram jaal phailane me mahir khiladi hai..yaha tum jo kuch dekh aur mahsoos kar rahi ho, ye sab ussi golu madari ka hi kiya dhara hai.
Sheetal—main pata lagaungi apne bhai ka..mera dil kahta hai ki vo jarur jinda hoga…
Langda—vo sab to theek hai lekin beti, tumhe yaha nahi aana chahiye tha…tum nahi janti ki ye kitni khatarnak jagah hai…?
Sheetal—yaha aate hi sab jaan chuki hu papa ki ye kaisi jagah hai…? Lekin ye sab kya hai papa aur kyo hai…?
Langda—nahi beti, abhi tum iss jagah ke baare me kuch bhi nahi janti…jo bhi tumne dekha aur mahsoos kiya hai, vo sab bas ek chhalawa hai, nazar ka dhokha hai…iss jagah ki sachchayi bahut khatarnak hai aur usse bhi jyada khatarnak hai black star….ye sab uska hi banaya hua makad jaal hai….jo isme ek bar phans gaya vo phir yaha se nahi nikal sakta…yaha ke bhram jaal me hi ulajh kar rah jata hai….
Sheetal—phir hum raj ko kaise bachayenge papa aur sadhana ko kaise dhoondenge…?
Langda—beti, agar mujhe kahi se bhi vo wasiyat mil jaye to maiin uske jariye black star se raj aur tumhari bimari ke ilaz ki dawa le sakta hu…use vo wasiyat chahiye aur hame dawa..
Sheetal—akhir aisa kya hai uss wasiyat me ki jiske liye sabhi pagal hain…?
Langda—pata nahi beti, tumhare pardada ne ye kya musibat khadi kar gaye hain wasiyat ki…pata nahi aisa koun sa besh-kimti raaz chhupa hai uss wasiyat me ki jiske baare me unhone kisi ko bataya tak nahi aur na jane kaha chhupa kar rakha hai use…? Black star ko lagta hai ki uss wasiyat ke baare me raj sab kuch janta hai isliye vo raj ke piche laga hua hai…beti, vaise raj ne tumhe kuch na kuch uss wasiyat ke baare me bataya hi hoga na…? agar tum mujhe bata do to main abhi vo wasiyat uss kamine black star ke muh par phenk ke uske badle me tumhari aur raj ki jindagi ki dawa le lu…
Sheetal—nahi papa, main iss baare me kuch nahi janti aur jaha tak mujhe malum hai, raj bhi kuch nahi janta..
Langda—khair, maine to isliye pucha beti kyon ki raj tumhe apni jaan se bhi jyada pyar karta hai…wasiyat hi ek aisa jariya hai jiske badle raj ki aur tumhari bimari ka ilaz ho sakta hai….vaise beti, kya raj ye janta hai ki tum uski sagi bahan ho…?
Sheetal (sir jhuka kar)—nahi papa, raj abhi nahi janta..
Langda—beti, tum dono bhai bahan ho…ye rishta tum dono ke beech nahi hona chahiye..ye paap hai..
Sheetal—maine aisa kuch nahi kiya hai papa jisse aap ko sharminda hona pade..
Langda—tum teeno ki jaan bachane ke liye mujhe vo wasiyat dhoondni hi hogi beti..
Sheetal—ye sab uss naqli sadhana ki vajah se hua hai papa…agar vo mujhe ek bar mil jaye to sidhe goli maar dungi use..
Langda—nahi beti, vo bechari bhi to black star ke makad jaal me phansi huyi ek titli hai…uske bhram jaal ka ek shikar hai …vo to sirf ek mohra hai jise black star ne apne bhram jaal me phansa kar uska istemal kiya hai…uss parde ke piche ka asli khiladi to koi aur hi hai
Sheetal (shocked)—kyaaaa….? To phir koun hai asli khiladi…?
Langda—ye to main bhi nahi janta beti ki parde ke piche ka vo khiladi koun hai…?
Sheetal—aap to yaha qaid hain phir aap ko itna sab kaise malum hai…? (phir kuch yaad aate hi)..sorry..sorry…main to bhul hi gayi thi ye jagah to charo taraf se khuli huyi hai…yaha se to koi bhi asani se nikal sakta hai…phir ye kala kamra banane ki jarurat kya thi…?
Langda—nahi beti, tum galat soch rahi ho….yaha charo taraf jamin me mines bichhe huye hain…agar kisi ne bhi yaha ghusne ya bahar jane ki koshish ki to uske chithde ud jayenge….vaise bhi yaha se charo taraf dus dus hazar km door tak sirf registan hi registan hai…hazaro km door door tak abadi ka koi namo nishan nahi hai…koi yaha se bhag kar jayega kaha …? Vo ret me hi dafan ho jayega...yaha se bahar nikalne aur yaha aane ka bas ek hi rasta hai. Aur vo hai vo kala kamra …jiske baare me black star ke alawa aur koi nahi janta...yaha charo taraf khula hua dikhta jarur hai magar ye kisi tihaad jail se kam nahi hai…isliye yaha se bhagne ki koshish mat karna beti….vo to achcha hua ki mujhe vo admi mil gaya yaha jo tumhe yaha le kar aaya tha, vo pujari dada ka purana shishy hai, use pujari dada ne kaale kamre ka raaz bata rakha tha, usse jab meri dosti ho gayi to ek din mouka dekh kar hum dono yaha se bhag gaye uss kale kamre ke raste.. lekin na jane kaise black star ko ye pata chal gaya aur usne hum dono ko dubara kidnap kar ke yaha patak diya..tumhare pardada aksar kale kamre wale gupt raste se chori chupke kahi aaya jaya karte the...iska saaf matlab hai ki kahi na kahi iss jagah ka sambandh uss wasiyat me likhe raaz se jarur hai..isliye black star ne kala kamra aur iss registan ki jagah ko apne bhram jaal me badal diya hai..jisse ye jagah sab ki nazro se door rahe.
Sheetal—to aapdono phir se bhag jate..bahar jane ka rasta to pata hi tha aapko... ?
Langda—nahi beti, ab black star ne uss kaale kamre se bahar nikalne ke raste par apne anguthe ka password laga diya hai.. aur kuch seconds se jyada hum uss kamre me ruk nahi sakte warna uss jahreeli gas se mar jayenge..aur bina password ke bahar nikalne ka darwaja khulega nahi..isliye majbur hain..
Sheetal (tension)—kyaaaa….? Iska matlab ki ab main kabhi yaha se bahar nahi nikal paungi…? Phir raj aur sheetal ko kaise talash karungi main…?
Langda—tension mat le beti....agar wasiyat ka pata chal jata to hum black star ko majbur bhi kar sakte the hame chhodne ke liye…maine socha tha ki shayad tumhe kuch pata hoga wasiyat ke baare me..? khair koi baat nahi beti, phir bhi tum chinta mat karo.. main jaldi hi yaha se bahar nikalne ka koi na koi rasta dhoondne ki koshish karta hu..
Sheetal (sisakte huye)—main sach me wasiyat ke baare me kuch nahi janti papa…lekin, haan, sheetal ki diary me maine kayi bar wasiyat shabd padha hai lekin wasiyat ke baare me kuch likha nahi tha usme bhi…magar ek jagah maine pardada ji ke naam ke aage heere ki anguthi ka sketch bana hua dekha tha aur uske niche likha tha haweli…
Langda (shocked)—kyaaaa….? Anguthi….! Heere ki anguthi..‼ Haweli..! Abhay ki haweli..‼!
Sheetal—kya hua papa…? Aap itna chounk kyo gaye…?
Langda—nahi beti..aisi koi baat nahi hai…bas tumhari baat meri samajh me aayi nahi to usko hi samajhne ki koshish kar raha tha….achcha beti, tum araam karo…mujhe thoda jaruri kaam hai..main tumse baad me milta hu aa kar..
Sheetal—aap mujhe yaha akeli chhod kar kaha ja rahe hain papa…? Mujhe yaha darr lagta hai..
Langda—bas beti, thoda jaruri kaam hai..main jaldi hi aa jaunga apni sadhana ...beti ke paas...aur ek baat dhyan rakhna ki bahar mat jhankna, koi bhi darwaja khatkhataye mat kholna, bahar se koi bhi awaz sunayi de unn par dhyan mat dena, andar se darwaja band kar lena..aur haan, ek baat batana to main bhul hi gaya ki andar ki lights me bhi timer set kiya hua hai, jiske karan vo apne aap jalti bujhti rahti hain..isliye raat ki tarah pareshan mat hona aur ghabrana nahi..main ab chalta hu..mujhe raj aur sheetal ka bhi to pata lagana hai...darwaja band kar lo bhitar se..
Uske bahar nikalte hi Sheetal ne darwaja band kar liya…uss langde ne bhi bahar se darwaja band kar ke thodi door gaya aur phir apne dono hath upar utha ke ek pair se nachne laga..nachte huye uske ek pair me bandha ghunghroo jor jor se bajne laga.
Kuch der aise hi nachne ke baad vo thoda ruk kar apne dono hath apni gardan tak laya aur gardan ki chamdi ko dono hatho se pakad kar khichne laga...uske aisa karte hi uski chamdi chehre se nikalti chali gayi...shayad usne koi skin mask chehre par pahan rakha tha...mask nikalte hi uska chehra poori tarah se badal gaya..usne uss mask ko vahi ret me gada diya aur phir se nachne laga.
Langda (nachte huye)—Anguthi….heere ki anguthiii…haweli…..abhay ki haweli....
Kuch samay tak aise hi nachne ke baad usne ek jagah ret me hath daal kar ek naya mask nikala aur use apne chehre par pahan liya...mask uske chehre par iss tarah se set ho gaya ki kisi ke liye bhi pahchanna mushkil tha..koi ye nahi kah sakta tha ki ye vahi kuch der pahle wala langda admi hai..uska chehra poori tarah se badal chuka tha...ghunghroo nikal kar usne vahi ret me daba diye.
Usne ret me ek bar phir se apne hath ghusaye..iss baar uske hath me naqli pair aa gaya..jise usne apne pair me set kar liya. Ab koi nahi bata sakta tha ki vo ek langda admi hai…sheetal bhi dekhti to nahi pahchan pati kyon ki ye uske liye bilkul nayi shakal surat wala admi hota… jiska chehra usne abhi tak dekha hi nahi …usne apne hath ki skin change ki aur phir vaha se haste huye chala gaya.
Vahi dusri taraf hospital se lout kar hum haweli aa gaye….haweli pahuchte hi kalyani chachi tanu didi se puchtach karne me lag gayi…ab ladkiyo ki jaisi adat hoti hai kisi bhi baat ko kuch badha chadha kar batane ki vaise hi tanu bhi lambi lambi phenkne lagi aur uski mummy lapetti gayi.
Kalyani—koun the vo harami jinhone tujhe kidnap kar ke teri izzat par hath dalne ki koshish ki…? Shayad unhe pata nahi hoga ki unhone kis se dushmani mol le li hai…? Tere dad unhe jinda nahi chhodne wale...
Tanu—ye sab iss kamine ki vajah se hua hai mummy...vo log isko kidnap karne aaye the...lekin sath me hone ke karan hum teeno bhi phans gayi...
Raj—didi, jhuth bol rahi hai chachi...
Kalyani (gusse se )—tu chup kar..jyada juban chalane ki jarurat nahi hai..samajh gaya..
Raj—tumhe kuch pata nahi hai chachi..main batata hu..sach kya hai... ? ye khud apni hi galti se phansi thi..ulta maine to inn teeno ko bachaya...ye mujhe hi galat thahra rahi hain...agar main nahi bachata to pata hai tumhe chachi... ? vo log na tanu didi ko nangi kar rahe the aur apni apni lulli nikal ke hila rahe the..aur to aur chachi..pata hai kya bol rahe the... ? vo log na tanu didi ki bur me lund ghused kar chodne ko bol rahe the...
Dono (shocked)—kyaaa bola….?
Raj (bholepan se)—haan chachi, vo sab yahi bol rahe the..tanu didi ko nangi kar ke bur me lund ghused kar chodne ki baat kar rahe the…lekin meri samajh me ye baat nahi aayi chachi ki vo log lulli ko lund kyo bol rahe the…? Aur ye bur kya hoti hai chachi…? Main lulli to janta hu lekin ye bur kaisi hoti hai…? Tanu didi kya tumhare paas bur hai…? Mujhe bhi dikhao na apni bur…mujhe bhi bur dekhna hai…chachi, tumhare paas bhi bur hai kya…? Agar hai to mujhe tum hi dikha do na apni bur…
Tanu (gusse me)—kyaaa kaha…? Chattaaakkkk
Kalyani (gusse me)—sala harami..chaatttaaakkkk
Raj—theek hai, jab mera yaha rahna tumhe pasand nahi hai to main aaj hi kahi aur chala jata hu...maine kewal bur hi to dikhane ko bola tha, koi dhan daulat thodi maangi thi..ab main yaha ek pal nahi rukunga…ab chacha ko jawab tum dono hi dena…main to chala..
Tanu (gusse me)—haan ..ja ja..ja ke mar ja kahi....sala harami..aane de dad ko..teri achche se khaal udhedenge aaj vo..
Raj—haan, ja to raha hu..pahle juta to pahan lu..nahi to kaanta lag jayega pair me aur ek bar susu kar lu..phir chala jaunga.
Main vaha se uth kar apne jute pahanne laga…tanu mujhe gusse se dekhte huye apne room me chali gayi..jabki kalyani abhi bhi mujhe ghure ja rahi thi...jute pahan kar main haweli se bahar nikal aaya aur vahu dusri taraf muh ghuma ke lund nikal kar mootne laga.
Kalyani (mann me)—kahi ye sach much me hi to nahi chala gaya…? Sir me chot lagne ki vajah se pagal ho gaya hai… haan, pagal hi to hai…aur pagal admi ka kya bharosa, …? vo kuch bhi kar sakta hai, kuch bhi bol sakta hai, kahi bhi ja sakta hai… warna achcha bhala admi koi apni chachi aur apni bahan se aise bolta hai…koi unse apni bur dikhane ko kahta hai…? Agar ye sach me kahi chala gaya to hamara poora plan hi mitti me mil jayega…abhay bhi bahut gussa hoga… mujhe aur tanu ko to jaan se hi maar dega agar iss bar hamari vajah se plan fail hua to…sone ka anda dene wala murga hai ye…mujhe isko jane se rokna hoga…hum apne itne saalo ki yojna ko aise bekar nahi hone de sakte…main abhi ja akr manati hu..kuch bhi kar ke use rokti hu..
Mere bahar nikalte hi kalyani ki gaand phat gayi..use apne manshube dharashayi hote dikhayi dene lage..vo turant bahar ko bhagi aur main gate par ja kar guards se puchne lagi.
Kalyani—vo ladka kaha gaya…?
Guard—madam, yaha to koi nahi aaya abhi..aur na hi koi bahar gaya hai..
Kalyani—agar raj yaha se bahar gaya to main tum logo ki khaal me bhusa bhar dungi..samajh gaye..
Kalyani (mann me)—kaha chala gaya itna jaldi ye…?
Kalyani tension me aa gayi thi ..vo turant vapis palat kar haweli ke charo taraf nazar ghuma ghuma kar dekhne lagi.. tabhi main use ek jagah deewar ke kinare dusri taraf muh kiye khada dikh gaya to uski jaan me jaan aayi..vo turant daud kar mere paas aa gayi.
Kalyani—arrey raj beta, tum yaha khade ho..aur main tumhe har jagah dhoondte phir rahi hu...tu to mera pyara beta hai.. apni chachi se bhi bhala koi naraz hota hai..chal andar chal..dekh main kaan pakad kar tujhse mafi mangti hu..chal andar aa ja..
Usne mere kandhe par hath rakh ke mujhe apni taraf ghuma liya...aur phir jaise hi usne mujhe samne se dekha to use apni jindagi ka bahut bada jhatka laga....
(5050 Words)
friday saturday Saand ke masti karne ke dinn hai.. us din koi gaandu gaand na hilaya karo...Update Likh Raha Hu....Complete hote hi post karunga.
Intjar rahega bhaiUpdate Likh Raha Hu....Complete hote hi post karunga.