Thanks versha ritu ji for Reading & Supporting.
Aapne behad sateek prati kriya di hai jo ki aaj ke parivesh me sahi bhi hai.
Jaha tak lekhan kala ki baat hai paiso ki nazar me kamyabi ke mamle me vaha aapki baat poornatah satya hai.
Kintu agar paiso ki kamyabi ko nazar andaz kar ke uplabdhiyo ki tulna ki jaye to shayad uss jagah par main aapki baat se sahmat nahi hu.
Aagar lokpriyta ki baat kare to devkinandan khatri, munshi premchand ke upanyas bahut aage aur jan jan me lokpriya hain beshak unhe aamdani jyada na huyi ho...kalidas ki rachnao ki lokpriyta kisi se chhupi nahi hai.
Maine sirf lekhan shaily ki baat ki thi..agar kamayi par bhi nazar daale to Goswami Tulsidas rachit Ramcharit Manas jaisa bikne wala anupam sahitya shayad hi koi dusra ho...kamyabi ka arth sirf paisa hi nahi hota balki aisi rachna se hai jo padhne walo ke dilo me apni sthayi aur amit jagah bana le, use amar bana de, se hai...main sirf ye kahna chahta tha ki kisi bhi rachna ki kamyabi me uski lekhan shaily ka bahut bada hath hota hai.
Ram ji ke upar bahut se logo ne sahitya likhe lekin unn sabhi ko vo kamyabi aur lokpriyta nahi mili jo goswami tulsidas ji ko mili.. katha vastu sabhi me vahi hai, agar antar hai to sirf shabdo ka, lekhan shaily ka...unke shabdo aur unki lekhan shaily ne unhe hamesha hamesha ke liye amar bana diya...ramcharit manas ke samanantar bikne wala kya koi dusra sahitya hai...? jiski prati pratyek hindu ghar me mil jayegi...kya aisa koi sahitya hai jo har ghar me moujud ho...? Ise kahte hain lokpriyta.
Lokpriyta aur aamdani, dono prithak vishay hain...upanyas ke sambandh me main aapki baato se poori tarah se sahmat hu..jo kuch aapne kaha, vo satya hi hai..aam writer ke samne kayi samasyaye hain...kabhi prakashak ki, to kabhi vikreta ki to kabhi uske vikray ki.
Abhi to main iss kshetra mein sabse nichle paaydaan par hu...aage badhne ke liye mujhe abhi bahut kuch seekhna baki hai..isliye abhi se main safalta ya asafalta ke vishay me nahi sochta..mere liye pratham drishtaya vishay to ye hai ki main shuruwat kaise karu..? baki cheeze to baad me aati hain.
Vaise main apni ek laghu rachna ke liye university level par MP ke tatkalin chief minister ke kar kamlo se sammanit bhi ho chuka hu.. halanki uska prakashan sirf news papers tak hi seemit tha..upanyas aur sahitya pathan paathan ke kshetra me meri abhiruchi shuru se hi rahi hai...bas iss bar likhne ki koshish kar raha hu, raato raat kamyabi milne ke baare me main nahi sochta kyon ki abhi to mujhe upanyas lekhan kala ki ABCD bhi pata nahi hai.
Kintu maine apne 5th standard class me ek chapter me padha tha..''Cheenti kisi deewar par bar bar chadhne ki koshish karti hai, aur har bar gir jati hai..lekin itne bar girne ke baavjud bhi vo apni koshish band nahi karti aur antatah uski ye koshish ek din rang lati hai aur vo deewar ke shikhar par pahuch hi jati hai.''
Ek doha aur bhi padha tha maine..''Karat Karat Abhyas Ke Jadmati Hot Sujaan, Rasri Aawat Jaat Hi Shil Par Parat Nishan.''
Meri koshish bhi yahi marg par chalne ki hai..kabhi na kabhi to kamyabi milegi hi..
Stay with us.