SAAND
UPDATE- 273
Angoothi Ka Raaz
Ye soch kar vo poora dum laga kar daudne ki koshish karne lagi. Uski ankho ke samne andhera chhane laga tha phir bhi vo tez bhagne ki koshish kiye ja rahi thi ankho ke samne kuch na dikhayi dete huye bhi. Vo jitna tez daudne ki koshish karti, uske muh se utna hi jyada khoon bahar nikal raha tha.
Sheetal uske aage aage daud rahi thi. Daudte huye achanak hi uske kano me piche sadhana ke daudte pairo ki aahat sunayi deni band ho gayi. Usne piche palat kar dekha to door door tak sadhana ka kahi koi ata pata hi nahi tha. Ye dekhte hi ghabrahat me uske muh se jordar cheekh nikal gayi.
Sheetal (cheekhte huye)—sadhanaaaaaa…
Ab aage……
Jab der chillane ke baad bhi sadhna ki taraf se koi awaz prati kriya me nahi aayi to uski ghabrahat aur badh gayi. Sheetal tension me vapis piche chal padi sadhana ko talash karne.
Sheetal (tension)—kaha chali gayi ye…? Abhi thodi der pahle to mere hi piche thi, phir itna jaldi kaha gayab ho sakti hai..? taha door door tak sirf ret hi ret hai to chhupne ka to sawal hi paida nahi hota. Yaha na to koi ghar hai aur na hi koi ped, yaha tak ki ek bhi admi nazar nahi aa raha hai. Phir use dharti nigal gayi ya aasman kha gaya…?
Sheetal pareshan ho kar use dhoondte huye kab ussi jagah pahuch gayi, jaha se bach kar vo bhagi thi, use khud pata hi nahi chala. Jab uski nigah samne khandahar par padi to vah chounk gayi.
Sheetal (chounk kar)—arrey, ye to vahi jagah hai jaha se hum bhagi thi…kahi usne phir se sadhana ko pakad to nahi liya..?
Ye soch kar vo phir se khandahar me pravesh kar gayi. Lekin jab khandahar me ghus kar tahkhane ke raste uss ghar tak pahuchi to ye dekh kar hairan rah gayi ki darwaja to abhi bhi jyo ka tyo bahar se vaise hi band hai jaise ki vah band kar ke gayi thi.
Sheetal (tension, mann me)—darwaja to bahar se band hai. Kahi uss harami ne phir se to pakad kar sadhana ko bhitar band nahi kar diya…? Magar ho harami kamre se bahar nikla kaise hoga…? Aur agar vo sala kahi andar hi hua to….? Kya karu ..darwaja khol kar dekhu kya….? Magar dekhna to padega hi, ..ye sadhana bhi na, ek bar chilla kar mujhe awaz nahi de sakti thi, …?
Mann hi mann soch kar dhadakte dil ke sath akhir sheetal ne apna hath darwaja kholne ke liye aage badha hi diya. Usne dhire se darwaje ka handle khola aur thoda piche hat kar revolver (vahi jo sadhana ke paas tha) ko dono hath se thaam kar ek jor ki laat se darwaja khol diya.
Kisi bhi aakasmik hamle se nipatne ke liye usne pahle se hi apni ungli revolver ke trigger par rakh li thi. Lekin darwaja jhatke se khulne ke baad bhi uske samne koi nahi aaya aur na hi samne koi dikhayi hi diya to uski dhadkan aur chinta aur bhi tez ho gayi.
Sheetal (tension, mann me)—ye sala harami kaha chhup gaya ab…? Sadhana bhi nahi dikh rahi aur na hi andar se koi awaz aa rahi hai…andar ghuste hi kahi vo harami mujh par dhokhe se hamla na kar de…? Kya pata kis kone me chhup kar mere room me ghusne ke intazar me ghaat lagaye baitha ho…?
Udne dhadakte hriday ke sath apne kadam dhire dhire kamre ki taraf dadhane shuru kar diye aur ant me upar wale ka naam le kar dahleez par pahuch ke kamre me thoda sa idhar udhar taaka jhanki ki aur phir furti se bhitar ghus gayi. Kintu andar ghuste hi vah ye dekh kar hairan rah gayi ki poora kamra khali pada tha. Uss admi ka kahi pata nahi tha, usne poora ghar ghum phir kar dekh liya, lekin na to sadhana hi kahi nazar aayi aur na hi vo admi jise dono yaha band kar ke gayi thi.
Sheetal (shocked)—yaha to koi bhi nahi hai. Ye harami gayab kaha ho gaya….? Jabki darwaja to bahar se band tha phir bhi..? kuch to gadbad huyi hai sadhana ke sath. Jarur sadhana kisi na kisi musibat me phans gayi hai. Kaisa makad jaal hai ye ..kuch samajh me nahi aa raha hai. Kabhi aisa lagta hai ki sath me koi chal raha ho, magar dikhta nahi hai. Kabhi kisi ki parchhayi dikhayi deti hai lekin vo parchhayi kis ki hai, ye dikhayi nahi deta. Chalta phirta admi achanak hi ret me gayab ho jata hai. Kaha hogi sadhana.. ? ab kaha talash karu use iss registan me…? Kahi chhupne ki jagah bhi to nahi hai, jisse ye anuman laga saku ki vaha hogi. Yaha to jaha tak nazar jati hai bas har taraf registan hi hai. Phir bhi dhoondna to padega hi. Main aa rahi hu sadhana, tum chinta mat karna. Ye sab ussi harami ka kiya dhara hoga, saale ko tabhi jaan se maar dena chahiye tha.
Ye sab sochte huye use sadhana ki tabiyat ka khyal aa gaya to uski ankhe dard aur tension me nam ho gayi. Phir bhi usne khud ko aise halaat me tootne se roka aur ek bar phir se poore ghar ki achchi tarah se talashi li. Lekin jab vaha sadhana ka koi surag nahi mila to tension me bahar nikal kar darwaja band karne lagi ki tabhi achanak hi uski nazar kisi cheez par padi to jaise vahi ruk gayi.
Vastav me jaise hi sheetal darwaja band karne ko huyi to uski nazar kone par rakhe bed par chali gayi jiska upri hissa jamin se kuch upar utha hua tha. Ye dekh kar vah thoda chounk gayi.
Sheetal (chounk kar)—ye bed ka aage ka hissa jamin se upar kyo utha hua hai…? Kahi vo harami iske niche to nahi chhupa hai ya phir sadhana ko bed ke niche daba kar yaha se bhag gaya ho…? Magar niche se to andar hath dalne tak ki bhi gunjaish nahi hai. Mujhe achche se yaad hai ki jab main iss kamre se gayi thi sadhana ke sath tab palang ke charo paaye farsh par rakhe huye the. Kuch na to uss harami ne kiya jarur hai.
Sheetal bed ke paas ja kar dekhne lagi. Lekin kuch samajh me nahi aaya to vah jamin par let ke jhankne lagi aur phir dekhte hi chounk gayi kyon ki bed ke niche ki uss jagah ki farsh ek taraf se upar uthi huyi thi jiske karan bed ka upri hissa bhi usme phans kar jamin se upar uth gaya tha.
Sheetal ke mann me kayi sawal uth khade huye lekin jab kuch samajh me nahi aaya to vah bed ko khichne ki koshish karne lagi magar bed ka vajan jyada hone ke karan vo apni jagah se tas se mas nahi ho raha tha. Kafi koshish ke baad bhi jab vo bed ko khiskane me kamyab nahi huyi to bed ke sirahane ki deewar se pith tika kar baith gayi aur dono pairo se bed ko dhakelne ki koshish karne lagi.
Pith deewar se tiki hone ki vajah se pairo se poori taqat lag rahi thi, uski ye koshish bekar nahi gayi aur bed dhire dhire piche khisakne laga. Bed jaise hi kuch piche hua to farsh ka vah tukda thoda aur ek taraf se upar uth gaya jabki dusre kinare par vo niche jamin me dhans gaya. Sheetal ne koutuhal vash farsh ke uss hisse par thoda dabav lagaya to vah aur niche dhansne laga. Jaise jaise vo uss par dabav badhati ja rahi thi vaise vaise uske ek hissa niche dhansta chala ja raha tha. Kuch hi der me farsh ka vah tukda sidha khada ho gaya. Uska aadha hissa jamin ke andar aur baki ka jamin ke bahar tha. Ye dekh kar sheetal chounk gayi.
Sheetal (shocked)—ye kya hai…? Kahi iske niche koi tahkhana ya phir koi gupt rasta to nahi hai….? Agar aisa hai tab to vo harami jarur yahi se bhaga hoga. Ye bhi ho sakta hai ki sadhana ko bhi yahi le gaya ho... ?
Hua ye tha thi jab dono uss admi ko ghayal kar ke kamre me band kar ke yaha se bhagi thi tab vo admi kuch der tak apni sir apna lund pakde jamin par leta hua dard me bilbila raha tha, sath me dono ko gaaliya bhi deta ja raha tha.
Admi (gusse me)—aaaa…dono randiyo ne dhokhe se maar diya. Dono jungli billi ko ek hi kamre me mujhe band hi nahi karna chahiye tha, bas yahi galti ho gayi. Inn dono jungli billiyo ka ek sath rahna mere liye khatarnak hai. Dono mil ke mere poore plan ki aisi taisi kar ke rakh dengi. Aaaaa, dono ne mil kar sir aur aand dono phod diya. Inn dono billiyo ko mujhe alag alag karna hoga. Ab tum dono ko chhodunga nahi. Bhago, main bhi dekhta hu ki kaha tak bhag sakti ho. Yaha se bahar nikalne ka koi rasta hi nahi hai. Ek bar jo iss makad jaal me phans gaya, phir uska jinda iss jaal se bahar nikalna namumkin hai.
Usne apne hath me bandhi huyi ghadi me dekhte huye uski chabi ko ghuma kar koi time milaya,,,uske aisa karte hi samne rakha bhari bharkam bed piche khisak gaya. Bed ke khisakte hi usne uss chabi ko iss bar bahar khich liya. Agle hi pal vaha par bed ke niche ka farsh ka ek hissa urdhwadhar akriti me khada ho gaya.
Vo admi jaldi se farsh ke uss hisse ke paas ja kar niche utar gaya. Uske jate hi sab kuch pahle jaisa ho gaya lekin farsh ka vo hissa shayad kisi cheez me phans raha tha jiski vajah se vo poori tarah se samtal nahi ho paya aur uski vajah se bed ka aage ka bhag usme ulajh kar jamin se upar uth gaya tha.
Sheetal ne jab ye dekha to uska choukna swabhavik baat thi. Usne apne bag se torch nikal kar uss jagah focus kiya to uska shaq yakin me badal gaya. Sach much vaha par niche utarne ke liye sidhiya bani huyi thi. Usne bhi aage adhik sochna theek nahi samjha aur fauran unn sidhiye ke jariye niche utarti chali gayi. Usne uss farsh ke tukde ko ye soch kar band nahi kiya ki agar niche koi khatra mahsoos hua to vah bhag kar turant upar aa jayegi.
Lagbhag 15-20 sidhi niche utarne ke baad vo samtal jamin par pahuch gayi. Halanki andar ghana andhera tha magar uske paas torch ki roshni thi. isliye rasta dekhne me koi pareshani nahi huyi. . Samne ek lambi surang jaisa rasta bana hua tha. Sheetal torch ki roshni ke sahare ek hath me majbuti se revolver pakde badi savdhani se aage badhne lagi.
Kuch aage badhte hi rasta saat surango me vibhajit ho gaya. Ye dekh kar to uska dimag hi chakrane laga ki ab kis raste par jaye. Halanki ab tak uska samna kisi bhi prakar ke khatre se nahi hua tha. Phir kuch soch kar vo pahle number wali surang me ghus gayi.
Usme kuch door chalne uske kaano me kisi ke chillane ki awaz sunayi padi to uske badhte kadam apne aap hi ruk gaye. Chounk kar usne roshni ka focus charo taraf ghumaya to use apne bahut karib se hi ye awaz aati mahsoos huyi. Usne dhyan se dekha to vaha ek chota se kamra nazar aaya. Sheetal badi dhimi chaal chalte huye vaha tak ja kar achchi tarah se avlokan karne lagi.
Awaz abhi bhi ruk ruk kar uske kaano tak pahuch rahi thi. Koi chilla chilla kar pani maang raha tha. Sheetal ne darwaja kholna chaha to vah nahi khula.
Sheetal (tension)—koun qaid hai yaha…? Kahi ye awaz mere khoye huye bhai ki to nahi hai…? Jo bechara pani ke liye tadap raha ho…?
Ye khyal aate hi uska mann ghabrahat, jigyasa aur vyakulta se bhar utha. Usne darwaje par lagi ret ki parat ko hata kar andar jhankne ki koshish ki magar vaha andhera hone ke karan kuch dikhayi nahi pad raha tha. Jigyasa vash usne kayi bar uss darwaje ko kholne ka prayas kiya magar usme lock laga hua tha kintu darwaje me koi tala nazar nahi aa raha tha shayad darwaje me koi code system tha. Kyon ki darwaje par ek choti si screen flash ho rahi thi jisme password type karne ka option show ho raha tha.
Sheetal (pareshan)—ohhh shittt, isme to password maang raha hai. Ab kaise pata karu ki andar koun qaid hai…? Kahi mera bhai hua to..? nahi, nahi..mujhe kaise bhi kar ke pata karna hi hoga ki andar koun hai…?
Sheetal vyakul ho kar apne bag se screw driver nikal kar darwaje ke aaspaas ki deewar ko torch ki roshni me bariki se dekhne lagi ki shayad kahi koi surakh mil jaye…? Jaha bhi ummid nazar aati, vaha oar vah screw driver ghusedne ki koshish karti jisse pata chal sake ki yaha chhed hai ya kiya ja sakta hai ki nahi..?
Akhir koshish karte karte use ek surakh mil hi gaya lekin bahut chhota sa jisme screw driver to ghus gaya tha magar uss chhote se chhed se andar andhere me dekhna mushil tha. Lihaza sheetal ne screw driver ki madad se uss chhed ko aur bada karna shuru kar diya.
Chhed thoda bada hote hi sheetal vaha se torch ki roshni andar focus karne lagi phir bhi kuch samajh me nahi aa raha tha kyon ki roshni sidhi focus ho rahi thi. Ant me usne deewar me lage patthar ke charo taraf screw driver se khodna shuru kiya. Jab thodi jagah bani to usne vaha lage deewar ke uss patthar ko poori taqat laga kar bahar khich liya.
Deewar se ek patthar bahar nikal jane se ab vaha itni jagah to ban hi chuki thi ki araam se andar jhanka ja sake. Sheetal ne apni gardan andar daal kar jaise hi torch ki roshni ko kamre me charo taraf focus kiya. Ek jagah vo roshni me usko koi niche pada hua nazar aaya jiske hath zanjeer se bandhe huye the.
Sheetal ne torch ki roshni sidhe uske chehre par focus ki. Aur phir jo chehra use nazar aaya, use dekhte hi vah buri tarah se chounk gayi.
Sheetal (shocked)—P.A.P.A…! !
Idhar raat me raj se baat karne ke baad thakurain ke dard aur dukh me doobe dil ko jaise tinke ka sahara mil gaya tha. Vo raj se bahut sari baate karna chahti thi lekin raj ne use jyada kuch kahne ka mouka diye bina hi call cut kar diya tha. Jo mouka mila bhi usko to utne me usne sirf sheetal aur radha ke baare me hi raj se baat ki, apne baare me kuch bol hi nahi payi ya phir shayad vo raj ko aur dukhi nahi karna chahti thi kyon ki sheetal (sadhana) ki bimari ke baare me batane ke baad vo raj ki mansik halat kaisi hogi, iska andaza laga chuki thi.
Phir bhi uske mann me iss baat se santosh ho gaya ki uska raj jinda hai aur sahi salamat hai. Sath me iss baat se santosh tha ki usne radha ki izzat par koi daag nahi lagne diya. Usne raj ki nazro me apne pyar ko sharminda hone se bacha liya tha. Yahi ehsaas ke sahare vo apne bachche ko khone ka dukh halka karne ki koshish kar rahi thi.
Jab subah sabne thakurain ko shant dekha to sabhi ek ek kar ke usse milne jane lage. Sabse pahle malti ne radha ko hi milne bheja kyon ki abhi sab ke mann thakurain ke gusse ka darr bana hua tha. Radha ko dekh kar thakurain ne usse achche se baat ki.
Radha (nazre jhukaye)—I’m sorry thakurain ji, meri vajah se ye sab hua.
Thakurain (uske sir me hath pherte huye)—iske liye tum apne aap ko kasurvar mat samjho. Jo bhi hua iske piche jarur uss vidhata ki koi marzi rahi hogi. Kuch paane ke liye bahut kuch khona padta hai ya tak ki kabhi kabhi apni sabse pyari cheez ki bhi qurbani deni padti hai. Yahi vidhi ka vidhan hai. Isliye tum dukhi mat ho. Jo hona tha, vo ho gaya, ab uska dukh manane se vo theek to nahi ho jayega na..?
Radha—phir bhi…agar unhone phir se kuch…
Thakurain—(beech me hi)..mere rahte tumhe darne ya chinta karne ki jarurat nahi hai. Tum par buri nazar dalne se pahle ab koi bhi hazar bar sochega. Tum tak pahuchne se pahle use iss thakurain ka samna karna padega.
Thakurain ko radha se achche se baat karte dekh sabhi vaha aa gaye aur uska haal chal puchne lage. Thakurain ne sab se dhang se baat ki. Malti uske pair chhuna chahti thi lekin thakurain ne use aisa karne se rok diya.
Malti (nam ankhe)—mujhe ye pair chhu lene dijiye thakurain ji, aap mere liye kisi devi se kam nahi hain. Aapne kitni hi bar mujh badnasib par upkar kiya hai, halanki isse apka hum par upkar to kam nahi hoga lekin mere mann ko thoda santosh jarur mil jayega.
Thakurain (rok kar)—maine pahle hi bahut paap kiye hain. Mere pair chhu kar mujhe aur paap me mat daliye. Janam dete hi meri maa chal basi. Isliye maine kabhi jana hi nahi ki maa aur uski mamta kya hoti hai…? Lekin jab aaj khud maa banne ki bari aayi tab pata chala ki maa kya hoti hai, aulad ke liye uska dukh kya hota hai…? Dono bhaiyo ne paal pos kar bada kiya. Jaisa unka swabhav aur pariwar ka mahoul tha, vo sab dekh kar main bhi ussi me dhalti chali gayi. Maine aap par koi upkar nahi kiya hai. Phir bhi aap ise upkar hi manti hain to iska ek tarika hai jisse aap ye upkar utar sakti hain.
Malti—aap hukum kijiye, main apni jaan de kar bhi poora karne ki koshish karungi.
Thakurain (nam ankhe)—aapko jaan dene ki koi jarurat nahi hai.
Malti—to phir…?
Thakurain (hath jod kar bhigi palke)—bas mujhe bhi apne aanchal ki chhanv me le lo. Mujhe bhi apni badi beti samajh kar thoda sa maa ka pyar de do. Maa ke pyar ke liye main aaj tak taras rahi hu. Mujhe aur kuch nahi chahiye.
Thakurain ki baate sun kar malti sahit vaha moujud har kisi ki ankhe chhalak aayi. Malti ne aage badh kar turant usko apni baho me samet liya. Thakurain bhi rote huye kisi choti bachchi ki tarah malti ki agosh me simat gayi.
Malti (nam ankhe)—koun kahta hai ki tumhari maa nahi hai..main hu na tumhari maa aur tum aaj se meri beti ho. Meri sabse badi aur sabse bahadur beti ho.
Thakurain (rote huye)—maa, bhale hi sari duniya mujhse nafrat kare lekin aap log mujhse nafrat mat karna maa..mujhe apne se door mat karna maa..
Shayad aaj pahli bar tha jab kisi ne thakurain ko rote huye dekh rahe the. Aaj pahli bar unhe mahsoos ho raha tha ki iss khatarnak thakurain ke seene me ek behad khubsurat aur komal hriday wali aurat bhi chhupi huyi hai warna aaj se pahle to sabhi ne uska gussa wala khatarnak sherni ka roop hi dekha tha.
Malti (sir sahlate huye)—ab tumhari maa apni iss beti ko kabhi apne se alag nahi karegi.ro mat beti, tum to meri bahadur beti ho,
Malti ne pahle use jee bhar kar ro lene diya jisse ki aaj tak ka uske dil me daba hua dard anshu ke jariye bah kar bahar nikal jaye phir samjha bujha kar kisi tarah shant kiya. Uske baad sabhi usse gale lag kar mili.
Radha—main aaj se aapko didi bol sakti hu…?
Thakurain—hmmm
Radha—didi, jis kamine dhanraj ke admiyo ne aap par goli chalayi thi na, raat me kisi ne usko ghar se ghasit kar kaat dala aur sath me uska kotha bhi bomb se uda diya. Koi jinda nahi bacha. Aaj subah hi maine news me dekha hai.
Thakurain (chounk kar)—kyaaa..tu sach kah rahi hai... ?
Rashmi—haan, yahi sach hai…aaj ke sabhi news channels ki yahi head lines hai..
Thakurain (khushi me jor se)—uss kamine ko aur kisi ne nahi balki mere raj ne mara hai. Main janti hu ki ye mere raj ka kaam hai. Usne mujhse jo kaha tha, vo kar dikhaya…haan, ye mere raj ne kiya hai..mere raj ne saza di hai uss paapi ko.
Thakurain khushi ke unmaad me bina kuch soche samjhe be-khyali me ye kya bol gayi, use khud hi pata nahi chala lekin vaha sabhi sunne walo ke achanak hi kaan khade ho gaye.
Vahi dusri taraf, bhagte huye jab sadhana ki tabiyat achanak hi phir se bigad gayi thi aur uske muh se khoon bahut jyada matra me bah kar bahar aane laga tha, tab bhi vo raj ko bachane ke khyal se bhage ja rahi thi.
Uski saanse ukhadne lagi thi. Jitna tez bhagne ki koshish karti, utna hi jyada khoon uske muh se bahar aane lagta. Uska kurta samne se poori tarah se khoon se lal ho chuka tha. Sir chakrane laga tha aur pair kaamp rahe the. Ankho ke samne sab kuch dhundhla dikhayi padne laga tha. Aur phir dhire dhire use kuch bhi dikhayi dena lagbhag band sa ho gaya. Saans uske seene me sama nahi rahi thi magar phir bhi vo ladkhadate kadmo se bhagne ki koshish kar rahi thi.
Sadhana (haanfte huye)—mujhe..bhagna hi hoga…mujhe apne raj ko..bachana haii…
Lekin uski tabiyat itna jyada khoon lagatar bahne se bahut jyada bigad gayi. Daudte huye vo do teen bar ladkhada kar giri aur phir kisi tarah uth kar kisi bhi disha me daudne lagti. Kyon ki ankho ke samne to andhera chhaya hua tha.
Magar ab tak uska sharir poori tarah se thak kar kamjor pad chuka tha. Daudte huye uske muh se iss bar to jaise khoon ki pichkari hi phut padi aur vah ladkhada kar niche girne lagi. Vo chilla kar sheetal ko awaz dena chahti thi magar kuch bol nahi pa rahi thi, uski juban sirf kampkampa kar rah gayi, usme se shabd bahar nahi nikle.
Aur phir dhire dhire uski ankhe band ho gayi aur vah bejaan laash ki bhaanti ek jagah gir gayi. Jaise hi sadhana niche giri vaise hi tabhi achanak..
Complete Update Night Mein.
Super anand bhai......
Bahut hi lajwab update hai..... Is update mai thakurain ka emotional scene pahli baar dhikhaya gaya hai or bahut hi jabardast dhikhaya hai aapne. Is update mai pata hi nhi chal raha hai ki ye wahi pahle wali thakurain hai ya koi or... Superb....
Sheetal phir se musibat mai shayed parne wali hai. Jise wo papa smjh rahi hai shayed ye black star ki hi koi chal ho....... Sadhna k lye bada afsoos ho raha hai. Bechari bahut hi muskil halaton mai v is sab ka samna kar rahi hai.... Sadhna ko kisi trah jald se jald thk karne ki kosis kijye.....
Waiting for next update......