SAAND
UPDATE- 269
Ek Gahra Raaz
Vahi dusri taraf kale kamre me qaid sheetal aur sadhana ek dusre ko apne apne dhang se sachchayi ka aaina dikhane ki koshish kar rahi thi.
Sheetal (shocked, chilla kar)—tumhe hosh bhi hai ki tum kya kah rahi ho…? Tumhe sharam nahi aati ek maa ko uske hi bete ki biwi kahte huye…? Raj ke Pyar me tum itni andhi ho chuki ho ki tumhe raj me kuch galti nazar nahi aa rahi..?
Sadhana (chilla kar)—mat kaho use meri maaaa….vo hamari maa nahi hai…
Ab aage……
Sheetal (gusse me)—chataaakkk…tum raj ke bahkave me aa kar pagal ho gayi ho..sahi aur galat ka fark samajh me nahi aa raha hai tumhe…itni galtiya batane ke baad bhi tumhari nazar me raj hi sahi hai aur main jo itni der se bol rahi hu, vo sab bakwas lag raha hai tujhe.
Sadhana—pagal main nahi balki tum ho gayi ho, sahi aur galat ka fark tumhe nahi dikhayi de raha hai..
Sheetal—achcha, to kya raj ne jo seema chachi, roopa chachi aur ritu ke sath jo kiya, kya vo sahi tha…? Jo maine use maa ke sath jo kuch karte dekha, kya vo uchit tha…? Jo usne gaon bhar ki ladkiyo ke sath kiya, kya vo sahi tha…? Mujhe to pushpa bua ke ladke ka baap bhi raj hi lagta hai, kya ye uchit tha…?
Sadhana—seema chachi ke sath raj ne kya kiya, ye main nahi janti, rahi roopa chachi ki baat, to unhone sab bata diya tha ki vo bhusa nikalte samay atari se gir gayi thi sidhi tootne se, isliye langda kar chal rahi thi. Jaha tak pushpa bua ki baat hai to raj mujhe bata chuka hai ki uss ladke ka baap vahi hai. Ritu ke sath jo bhi hua, vo sab anjane me huyi galti ke karan hua, isme kisi ka dosh nahi hai. Ab agar maa ki baat hai to maine kaha na ki maa hamare raj ki biwi hai, to agar raj ne unke sath kuch kar bhi liya to kya galat kiya…? Kya apni biwi ke sath kuch karna galat hai…?
Sheetal (chillate huye)—tumhari ankho me uss bahuroopiye ke pyar ka parda pada hua hai, isliye tumhe uske alawa kuch dikhayi nahi de raha hai.pyar andha hota hai, ye maine aaj dekh liya. Jo ek maa ko uske hi bete ki biwi banane par tuli ho.
Sadhana—main bana nahi rahi hu balki maa hamare raj ki biwi hai, sirf maa hi nahi balki arushi mami, thakurain, arti bhi raj ki biwi hain.
Sheetal (hairan)—kyaaaa…?
Sadhana—haan, aur isme raj ki koi galti nahi hai..baat ye hai ki..(phir sadhana ne ye sabhi raj ki biwi kaise bani, vo sab vistar se batane lagi.)
Sheetal (gusse me)—wah, isme tujhe uss kamine ki koi galti nazar nahi aati…? Arushi mami ko bahkaya usne, ritu ke gale me mangal sutra pahnaya usne, maa ki maang me sindoor bhara usne, thakurain ko rape kar ke pregnant kiya usne..phir bhi tujhe vo sahi lag raha hai…? Jabki ye sab uski pahle se sochi samjhi sazish ka hissa hai.
Sadhana—aisa kuch nahi hai..raj meri kasam dene ke baad jhuth kabhi nahi bolta.
Sheetal—meri bahan, tu samajhti kyo nahi... ? jis raj ko tum bachpan se pyar karti aa rahi ho, ye vah raj nahi hai..hamara vo raj mar chuka hai...ye uske hum shakal hone fayda utha raha hai, ye black star ka hi koi jasoos hai.
Sadhana (jor se)—ye vahi raj hai, jise maine bachpan se pyar kiya hai..main uske har ek sparsh ko achchi tarah se pahchanti hu...uski har ek chhuwan mere hriday patal par amit chhap ki tarah basi huyi hai. Uss sparsh ko pahchanne ke liye mujhe kisi ke praman ki avashyakta nahi hai. Mera dil uski har dhadkan ko bhali bhanti mahsoos karne me saksham hai. Door se aati huyi uski aahat ko bhi mera dil pahchan leta hai.
Sheetal (tension)—ab main tumhe kaise samjhau.. ? tumhari mati par to patthar pade huye hain…agar tumhe meri baat par vishwash nahi hai to na sahi, lekin kya tumhe papa ki baat par bhi vishwash nahi hai…? Jab unhone khud kah diya hai ki hamara raj mar chuka hai, ye hamara vo raj nahi hai tab bhi…? Isne hi maa ko bhadkaya hai papa ke khilaf..tumhe apne janam dene wale papa aur apni bahan se jyada uss naqli raj par yakin hai…?
Sadhana—haan, mujhe raj par yakin hai, uski har baat par yakin hai, sabse jyada, yaha tak ki khud se bhi jyada..(kuch yaad aate hi)..ek minute.. ek minute..kya kaha tumne…ki papa ne kaha hai…?
Sheetal—haan, kab se to main samjha rahi hu..
Sadhana—ohhh..sheetal, dhokha mujhe nahi balki tumhe hua hai, ya phir kahu to hum dono ko hua hai..
Sheetal—kya matlab….?
Sadhana—meri baat dhyan se sunna…dekh papa tujhe bhi mile aur mujhse bhi mile, lekin kya tumne dhyan diya iss baat par ki jo unhone tumse kaha, vo baat mujhe nahi batayi aur jo mujhse kaha unhone, vo baat tumhe nahi batayi.. iss baat par jara gour kar ki unhone hum dono se alag alag baate kyo kahi raj ke baare me…? Mujhe unhone khud raj ko ye video dikha kar use bachane ki baat batayi jabki tumhe bataya ki raj mar chuka hai…kyo…? Mujhse unhone ek bar bhi nahi kaha ki ye hamara raj nahi hai jabki tumhe bataya ki uska hum shakal hai..akhir kyo…? Hum dono ko ek hi admi ke baare me unhone alag alag opposite baate kyo batayi…?
Sheetal (shocked)—arrey haan, ye baat to maine sochi hi nahi..papa ne aisa kyo kiya…?
Sadhana—iska matlab saaf hai ki raj ne papa ke baare me jo kaha vo ekdam sahi hai..
Sheetal—kya matlab..? akhir tu kahna kya chahti hai..ki hamare papa galat hain…?
Sadhana—mere kahne ya na kahne ki jarurat hi kaha hai..papa ne hum dono ko raj ke baare me alag alag baate bata kar ek dusre ke khilaf bhadkane wali harkat kar ke khud hi sabit kar diya hai ki koun sahi hai aur koun galat..
Sheetal (tension)—ho sakta hai ki kisi majburi me unhone tujhe sach na bataya ho…? Aur phir tune bhi to diary padhi hai, papa ke baare me bhi padha hai ki vo kitne nek dil insaan hain, phir bhi tu papa par shaq kar rahi hai…?
Sadhana—shaq to mujhe pahle tha lekin ab to poora yakin hai…diary me hamne sikke ka ek pahlu hi padha hai..dusra pahlu to padha hi nahi hai..
Sheetal (hairan)—kya matlab…?
Sadhana—matlab ye ki diary adhuri hai..usme poori baate nahi likhi huyi hain..
Sheetal (hairan)—meri to kuch samajh me nahi aaya ki akhir tera kahne ka matlab kya hai…?
Sadhana—matlab ye ki diary me aadha sach hi likha hai..poora sach nahi…aur vo baki ka aadha sach sirf raj hi janta hai.. diary likhne ko jitna pata tha, utna usne likha, baki ka use ya to pata hi nahi tha ya phir usne jaan bujh kar likha nahi..
Sheetal—diary to jarur pujari dada ki hi likhi huyi hogi..kyon ki vo bahut bade jyotishi bhi the..aur vaise bhi diary me jo kuch likha hai, uske baare me koi janta hi nahi hai. Lekin tum aisa kyo kah rahi ho ki usme aadha sach hi likha hai..? aur baki ka aadha sach raj hi janta hai..lekin raj kaise jaan sakta hai, use kaha se pata…?
Sadhana—diary me papa ki achchaiyo ke baare me likha hai lekin usme avinash ki family aur raghu ki family ke baare me kyo kuch nahi likha hai…? Jabki avinash aur raghu bhi to raj ke hum shakal hone ke sath sath hamare hi papa ki aulad hain, phir unke baare me kyo kuch nahi likha hai…? Dusri baat, diary kisne likhi hogi…? Kyon ki vo diary sheetal ke liye matlab ki tumhare liye likhi gayi hai…diary likhne wale ko tumhare sapno ke baare me pata tha, tum sadhana nahi balki sheetal ho, ye bhi vo janta tha…
Sheetal—maine bataya to ki ye kaam pujari dada ka hai…vo sab ke sapno ke baare me jaan lete the.
Sadhana—dekho baat sidhi si hai ki ye diary vahi likh sakta hai jise ki tumhare baare me aur hamari family ke baare me sab pata ho…pujari dada jyotishi the to jahir hai ki vo tumhare baare me sab jante honge lekin agar diary pujari dada ne likhi hai to phir unhone jaise tumhe vo lifafa diya, vaise diary bhi to de sakte the na..? aur unhone avinash, aur raghu ki family ke baare me kyo nahi likha…? Raj ke baare me aage kyo nahi likha…? jabki diary to tumhe kaale kamre me ghusne par mili, kale kamre me diary kaise pahuchi…?
Sheetal (tension)—hmmm..ye bhi ek point hai sochne wala..
Sadhana—dusri baat, agar pujari dada ne vo diary nahi likhi tab ye sawal ithta hai ki tumhare khwabo ke baare me pujari dada ko chhod kar aur koun koun janta tha…? Tum sadhana nahi balki sheetal ho, ye baat to sirf main, tum ya phir papa hi jante the, jisme se ki tumhari to yaad dast hi chali gayi thi..ab bache sirf main aur papa..isme bhi uss hadse ke baad to main janti bhi nahi thi ki tumhare sath kya hua…? Baad me itna pata chala ki tum mar chuki ho.
Sheetal (shocked)—omg..iska matlab ki papa..! sadhana, maine apne sapno ke baare me sirf ganga mousi ko hi bataya tha, aur uss kale kamre me jis admi ne mujhe diary di thi, use maine ganga mousi ke sath vaha par sex karte huye dekha tha.. vo admi aur koi nahi balki papa the..
Sadhana—ohhh..ab samajh me aaya..sirf papa hi the jinhe hamari family aur tumhare baare me sab pata tha, ye diary jarur unki hi likhi huyi hai isliye unhone apne kukarmo ki kahani isme nahi likhi. Raj ne unke baare me sahi hi kaha tha. Tumne apne sapno ke baare me ganga mousi ko bataya aur unhone papa ko...baki tumhare baare me to vo sab jante hi the, bas phir likh dali diary. Ab tumhi socho ki agar vo black star ki qaid me the uss samay to tumse milne gaon kaise aa sakte hain .. ? aur to aur yaha mujhse bhi mil sakte hain..? bahar nikal kar raj ko bacha bhi sakte hain aur tumse mil kar use mara hua bhi bata sakte hain..sach baat to ye hai ki raj unki asliyat jaan gaya tha, unhe darr tha ki kahi raj sab ko bata na de, isliye unhone tumhara sahara liya kyon ki unhe achche se pata tha ki main raj ke khilaf kuch sunungi hi nahi, vishwash karna to bahut door ki baat hai.
Sheetal—lekin hamara koi judwa bhai bhi hai, ye baat to papa ko pata nahi thi, phir vo diary me uske baare me kaise likh sakte hain…?
Sadhana—ye sab main nahi janti..ye bhi to ho sakta hai ki papa ko hospital me kaam karne wale kisi doctor ya nurse ne bataya ho…jo ki delievery ke samay moujud the.
Sheetal—chalo iss baat ko maan bhi liya jaye tab bhi papa ko golu madari ke baare me kaise pata ki usne hamare bhai ko dakuo se bacha liya…?
Sadhana—ye to golu madari ya phir papa hi bata sakte hain.
Sheetal—theek hai, tumne kaha na ki papa yaha tumse milne aane wale hain, to aane do unko main unse puchungi ki unhone mujhse ye jhuth kyo bola ki raj mar chuka hai jabki tumhe uske jinda hone ke baare me bataya…akhir kyo…? Unki aisi kya majburi thi ki unhone tumse jhuth bola…?
Inhe iss baat ka tanik bhi pata nahi tha ki bahar ek langda admi darwaje par kaan lagaye dono ki baate sun raha tha aur sun sun kar khush ho raha tha.Jaise hi usne suna ki dono uske hi aane ki pratiksha kar rahi hain aur usse kuch puchne wali hain to vah bhag kar door chala gaya.
Langda (mann me)--ab tumhare samne vo tumhara langda baap kabhi nahi ayega to puchogi kisse...? hihihihi
Usne jaldi se apne chehre par lagaya hua vivek ka mask utar kar dusra mask pahan liya aur apni langdi taang me naqli pair lagane ke baad phir se aa kar darwaje par apne kaan chipka diye.
Sadhana—video dekhne ke baad bhi tumhe yahi lagta hai ki raj mar chuka hai…?
Sheetal— main to ab bhi kahti hu ki ye hamara raj nahi hai..balki hamara raj mar chuka hai…kyon ki raj ne khud hi ye baad swikar ki hai ki vo hamara pahle wala raj nahi hai, iska matlab saaf hai ki hamara raj ya to iss duniya me nahi hai ya phir uss kamine bahuroopiye ne use kahi kidnap kar rakha hai…? Vo kamina khud ko hamara khoya hua dusra bhai bata raha hai jabki vo black star ki qaid me hai. Ek mar gaya ya kya kiya isne pata nahi uske sath..? phir ye hamara raj kaise ho sakta hai…?
Sadhana—tum ghum phir kar raj par hi kyo aa jati ho…? Ho sakta hai ki hamara pahle wala raj kidnap ho gaya ho aur ye hamara khoya hua raj hi ho..? balki hai.
Sheetal—kyon ki vo hamara raj nahi hai…tum hi socho, ki agar vo hamara khoya hua bhai hota to kya vo apne baare me kisi ko batata nahi…? Lekin kisi ko apni sachchayi batana to door, ulta vo khud hi raj ban baitha…Usne khud ka naam raj hi kyo rakha…? Jis din vo aaya ussi din hamara raj gayab ho gaya…kya isme tumhe koi sazish nazar nahi aati…? Agar ye hamara raj hota to kya apni hi bahan aur chachi ke sath aisi ghatiya giri huyi harkat karta…? Chalo inn sab ki baat chhod do, maa ke sath bhi..chheee..
Sadhana (bhadak kar)—bas bahut ho gaya, tum vahi sheetal ho, iss baat ka kya saboot hai…? Pahle wali sheetal to aisi nahi thi, vo to raj par jaan chhidakti thi..mujhe to lagta hai ki tum asli sheetal ho hi nahi, balki uski koi hum shakal ho jo sheetal ban kar hame dhokha de rahi ho…sidhi tarah se batao ki asli sheetal kaha hai…? Warna tumhari khopdi uda dungi..
Sadhana ne gusse me aa kar revolver nikal kar sheetal ke samne taan diya tha aur sheetal use hairani se dekh rahi thi.. mamla jyada ganbhir hote dekh bahar se darwaje par kaan lagaye khade admi ne beech me hastakshep karna jaruri samjha aur darwaje par dastak de di.
Darwaje par achanak huyi dastak se dono chounk gayi. Sadhana ne jaldi se revolver chhupa kar darwaja kholne chali gayi. Samne darwaje par vahi pahle vala admi khada tha jo ki sheetal aur sadhana ko yaha kamre tak le kar aaya tha.
Admi—arey abhi tak tum dono ne nasta nahi kiya... ? main to tum dono ke liye coffee le kar aaya tha..chalo jaldi se nasta khatam karo aur coffee pi lo warna sab thanda ho jayega.
Sheetal—papa nahi aaye milne... ?
Admi—pata nahi beti, shayad kahi busy honge... ? achcha tum dono nasta karo, main pata lagata hu..
Itna kah kar vo admi jaldi se khisak liya jate jate vah darwaja bhi bahar se band kar gaya, uske jate hi sadhana ek bar phir se sheetal ki taraf revolver taan di, shayad uska gussa abhi thanda nahi hua tha.
Sadhana—ab batao, kaha hai meri bahan…?
Sheetal—main bata to chuki hu ki main hu sheetal hu. Phir bhi agar tujhe yakin nahi hai to chalao goli aur khatam kar do mujhe. Lekin itna yaad rakhna ki mujhe khatam karne ke baad bhi mere sawalo se picha nahi chhuda paogi.
Sadhana—ye to tum kah rahi ho ki tum sheetal ho, phir kaise yakin kar lu…koi saboot hai tumhare paas…? Theek vaise hi raj bhi to bol raha hai ki vo hamara khoya hua bhai hai, tab tumhe yakin kyo nahi ho raha…?
Sheetal—kyon ki usne apni asliyat sabse chhupayi hai jabki maine chhupayi nahi. Tumse pyar karne ki itni badi badi baate karta hai, tumhe bataya usne apne baare me…? Mujhe sadhana samajhta tha, mujhe bataya usne…?
Sadhana—kyo kal usne bataya to tha na sab tumhe..agar uske mann me koi chor hota to kya vo tumhe batata…?
Sheetal (nam ankhe, mann me)..mujhe maaf karna meri bahan, main jo bhi kar rahi hu, vo tumhe aur raj ko bachane ke liye hi kar rahi hu. Agar main raj ke sath aisa bartav nahi karti to vo pagal mujhe chhodta hi nahi aur piche piche kale kamre tak pahuch jata, jo main nahi chahti thi, kyon ki vo harami black star bhi to yahi chahta hai,ki raj kisi bhi tarah se yaha aaye aur aate hi uske bichhaye jaal me phans jaye.Isliye raj ko iss manhoos jagah se door rakhne ke liye mujhe usko jalil karna pada yaha tak ki maine hath bhi uthaya uss par, mujhe maaf kar dena raj..apni iss sheetal didi ko maaf kar dena. Aur sadhana, main tujhe bhi aise ghut ghut kar nahi marne dungi, kyon ki tum mere raj ki jaan ho. Main tumhe black star ke iss changul se bahar nikalne ke liye hi yaha aayi hu, mere lakh mana karne ke bavjud bhi tum yaha aa gayi. Tumhari vajah se mujhe yaha aana pada warna, main to pahle uss harami chacha abhay ka sarvanash karne wali thi. Meri bahan, jab tumhara ek premika ka dil apne raj ki dhadkan ko pahchan leta hai to phir uss par jaan chhidakne wali iss bahan ka dil apne bhai ko kaise nahi pahchanega…? Jaisa dil tumhare seene me dhadakta hai, vaisa hi mere seene me. Fark sirf itna hai ki ek ko vah pagal apni premika samajh kar pyar karta hai to dusri ko apni bahan samajh kar uski pooja karta hai. Lekin sach to ye hai ki hum dono hi usse pyar karti hain. Bas tumhara pyar jag jahir hai aur mera pyar, uski bahan hone ke karan, mere seene me hi dafan hai. Mujhe kisi bhi tarah se tumhe iss jagah se bahar nikalna hai, ye black star ka area hai, ho sakta hai ki vo kuch tarike se hamari baate bhi sun raha ho, isliye mujhe tumse iss tarah se baate karni pad rahi hai. Chinta mat karo sadhana, main tumhe aur raj ko kuch nahi hone dungi. Meri kisi bhi kadwi baat se agar tumhare dil ko thes lagi ho to mujhe maaf kar dena. Lekin tum dono aur hamare khoye huye bhai ko bachane ke liye mera aisa karna jaruri hai.
Sadhana—usne mujhse kabhi kuch nahi chhupaya, uss din mandir me apne baare me pahle hi sab kuch bata chuka hai vo. Aur usne mujhe jo bhi bataya, vo sab tumhare dhokhe me sadhana samajh kar mujhe bataya tha. Tumhe pata hai uss din kya kaha tha usne..
Sheetal—kyaaa…?
Sadhana—uss din jab main raj ke sath mandir gayi thi tab…
Phir sadhana uss din ki yaado me khoti chali gayi aur sath me sheetal ko batati ja rahi thi…
Sheetal (meri samajh me sadhana)—raj, ab jaldi se meri maang me devi maa par laga hua sindoor bhar do aur gale me mangal sutra baandh kar apni sheetal didi ki khwahish poori kar do..
Raj—sadhana, ye meri sheetal didi ki khwahish hai to poori jarur karunga…main tumhe bahut pyar karta hu sadhana.. aur pyar me koi parda nahi hota…main tumhare gale me mangal sutra aur maang me sindoor bhar kar apni biwi ka darza du usse pahle main tumhe apne vishay me sab kuch bata dena chahta hu…
Sheetal—main kuch nahi janna chahti..main to bas itna janti hu ki maine jab se hosh sambhala hai, tab se sirf aur sirf tumse hi pyar kiya hai…kisi aur purush ki taraf dekhna to door maine kabhi socha tak nahi hai.
Raj—isliye mera batana aur bhi jyada jaruri ho jata hai…main tumhare yogya nahi hu sadhana…mere baare me agar sab jaan logi to shayad ho sakta hai ki tum mujhse nafrat karne lago…kintu phir bhi mere liye sach batana avashyak hai.
Sheetal—lekin main kuch nahi janna chahti…main ye janti hu ki tumhara aur bhi kayi ladkiyo ke sath sambandh hai… phir kyo mujhe bata kar taklif dena chahte ho…?
Raj—sadhana, insaan dusro se jhuth bol sakta hai kintu apne aap se kabhi jhuth nahi bol sakta…insaan dusro ki nazro me gir kar koi bhi achcha kaam kar ke phir se unki nazro me uth sakta hai..lekin agar vo ek bar apni hi nazro me gir gaya to phir jeevan paryant kabhi nahi uth sakta..uska vo jhuth aajivan use andar hi andar deemak ki bhanti khokhla karta rahta hai…do pyar karne walo ke rishte ki buniyad jhuth par nahi rakhi ja sakti …sach ko kitna bhi chhupaya jaye, kabhi na kabhi kisi na kisi roop me vo samne aa hi jata hai….main nahi chahta ki mera sach tumhe dusro se pata chale..uss din shayad tum mujhe jhutha aur dhokhebaaz samajhne lag jaogi.
Sheetal—main aisa kuch nahi samjhungi..
Raj—aaj mujhe bol lene do sadhana, agar aaj bhi nahi bol paya to shayad phir kabhi nahi bol paunga…aur na hi tumhe vaisa pyar de paunga jiski tum haqdar ho..
Sheetal—main tumhe bachpan se pyar karti aa rahi hu, mujhse jyada tumhe koun jaan sakta hai…? Phir bhi tum batana chahte ho to batao..main sun rahi hu..
Raj—sadhana, main tumse sachcha pyar karta hu…lekin koi aur bhi hai jise main bahut chahta hu…aur vo hain meri.. sheetal didi…haan, sadhana, main apni sheetal didi se bahut pyar karta hu..
Sadhana (khush)—to isme pareshan hone jaisi kya baat hai…? Har bhai apni bahan ko pyar karta hai..
Raj—nahi sadhana, yahi to nahi hai…main sheetal didi ko…vaise hi pyar karta hu jaisa ki tumhe…ye pyar kab ho gaya, kaise ho haya..? ye sab nahi janta….tumhare jane ke baad main toot sa gaya tha…tumhari yaado me nain bimar tak rahne laga…tab mujhe sheetal didi ne sambhala…unko jab bhi dekhta to mujhe tum hi nazar aati…aisa lagta ki meri sadhana mere samne khadi hai…aur aisa lagna swabhavik bhi tha kyon ki sab kuch to vaisa hi tha unme jaisa ki maine tumhare andar mahsoos kiya tha…aaj bhi jab unhe dekhta hu aur unhe apni baho me leta hu to mere dil me bas ek hi awaz uthti hai ki ye meri vahi sadhana hai…magar ankhe kahti hain ki nahi, ye teri sheetal didi hain…sach kahu to sheetal didi ke bina meri zindagi theek vaisi hi hai jaise ki pani bina machhli…main janta hu ki tumhe ye jaan kar dukh hua hoga ki ek bhai kaise apni bahan se iss tarah ka pyar kar sakta hai…? Lekin main kya karu sadhana, iss dil par to mera koi ikhtiyar nahi hai na…dil hi to hai bas apni bahan par hi qurban ho gaya..main tum dono ke bina bilkul adhura hu…main jitna tumhe chahta hu, usse kahi jyada main apni sheetal didi ko pyar karta hu..
"Na Jane Itni Mohabbat Kaha Se Aayi Hai Uske Liye,
Ki Mera Dil Bhi Uski Khatir Mujhse Rooth Jata Hai.”
Sheetal (nam ankhe)—kya ye baat sheetal ko pata hai…? Sheetal to tumhe itna maarti hai, fatkarti hai..sabke samne jalil karti hai..phir bhi usse pyar karte ho…?
Raj—mujhe nahi pata ki didi janti hain ya nahi…
Sheetal—to tumne sheetal ko bata kyo nahi diya ki tum usse itna pyar karte ho, ek premi ki tarah…? (mann me)..ek bar tum apne pyar ka izhar kar ke to dekho raj…sheetal tumhari baho me daudi chali ayegi…pagal, jis sadhana se tum pyar karte ho, vo sadhana main hi hu aur jis sheetal se tum itni mohabbat karte ho, tumhari vo sheetal didi bhi main hi hu.. lekin kya karu, tujhe ye bata bhi nahi sakti, kyon ki mere paas samay hi to nahi hai raj..
“Mere Dil Me To Aaj Bhi Sirf Tum Hi Ho,
Ye Aur Baat Hai Ki Hath Ki Lakiro Ne Dhokha de Diya.”
Raj (nam ankhe)—darta hu main…ki kahi ye baat sun kar vo mujhse nafrat na karne lage…? Main unki maar aur daant to bardast kar leta hu, kyon ki vo sirf meri galtiyo par hi maarti hain mujhe…sheetal didi jitna bahar se kathor dikhti hain, asal me sach to ye hai ki vo dil ki bahut kamjor hain…vo gusse me mujhe maar to jarur deti hain lekin mere so jane ke baad ghanto mere gaalo ko, jaha par unhone mara tha, usko sahlate huye mere paas baith kar roti rahti hain…gusse ke baad sheetal didi ke pyar karne ka ye tarika meri sari tension, sara dard pal bhar me hi gayab kar deta hai…sheetal didi ke aise pyar ke liye to main 24 ghante unki daant aur maar khane ke liye taiyar hu..
Sheetal (nam ankhe)—ek baar bol kar to dekho sheetal se…ho sakta hai ki vah bhi tumhare baare me aisa hi sochti ho jaisa ki tum uske baare me sochte ho…? Vo bhi tumhe vaisa hi ek premika ki tarah hi pyar karti ho…?
"Tere Har Dukh Ko Apna Bana Lu,
Tere Har Gum Ko Dil Se Laga Lu,
Mujhe Karni Aati Nahi Chori Warna,
Main Teri Ankho Se Har Aanshu Chura Lu."
Raj—nahi, main unhe taklif me nahi dekh sakta..main nahi chahta ki meri kisi baat se unhe taklif ho..
Sheetal—jaisi tumhari marzi…khair chalo ab meri maang me sindoor bhar kar mangal sutra pahna do…aur apni didi ki ichcha poori karo..
Raj—abhi meri baat khatam nahi huyi sadhana..ab jo batana chahta hu use dhyan se suno…kyon ki ab jo main batane wala hu, vo janna tumhare liye jaruri hai…
Sheetal—theek hai sunao kya sunana chahte ho jo main nahi janti…?
Raj—main tumhara vo raj nahi hu, jise tum janti ho…balki raj ka hum shakal judwa bhai hu aur sanyog se mera bhi naam raj hi hai.
Sheetal (real sadhana)—(shocked)..whatttt..! ye kaise ho sakta hai…? Kya mazaak hai ye raj..? mujhe aisa majaak bilkul bhi pasand nahi hai..
Raj—nahi sadhana, yahi sach hai…mujhe golu madari dakuo se bacha kar apne sath le gaya tha. Do ghante nirantar chalne ke baad jungle se nahar ke pul ko paar kar ke jis jagah pahuche, vaha samne hi jhopadiyo ki ek basti thi. Unn jhopadiyo me kuch kachche pakke makan bhi the. Yahi vah basti thi jaha golu madari rahta tha. Uski ek hi beti thi naina. Apne naam ki hi tarah behad khubsurat thi. Vaha la kar golu madari ne hi naina ke sath sath mera bhi palan posan karne laga. Kuch samay baad vo kahi se hamari dekh bhal ke liye ek aurat ko bhi le aaya, jo behad khubsurat hone ke sath sath mansik roop se kuch pagal bhi thi. Uska naam tha malti.
Update Abhi Incomplete Hai.