• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAB KUCH JAYAZ HAI...

Bhai log ye story kaisi lag rahi hai....?

  • Best

    Votes: 122 81.9%
  • Good

    Votes: 27 18.1%

  • Total voters
    149

Mr. Pandit

SAB KUCH JAYAZ HAI....
1,764
3,882
144
SAB KUCH JAYAZ HAI....
UPDATE = 47

Maa mere kamre me hi thi. Maine unse kaha ki mujhe didi se baat karna hai is liye wo mere kamre me hi rahe. Maa ne kaha thik hai. Uske baad main neeche aa gaya. Rachna ke kamre ke paas aa kar maine darwaje par nock kiya to kuch hi palo me usne darwaza khola. Jaise hi darwaza khula to maine usse kaha ki wo upar mere kamre me maa ke paas chali jaye kyo ki mujhe yaha par didi se akele me baat karna hai. Meri ye baat sun kar rachna khushi khushi kamre se nikal kar upar mere kamre ki taraf chali gayi.

Neeche ab koi nahi tha. Ab yaha par main tha aur apne kamre me kusum didi. Unka kamra dusri side tha aur main janta tha ki darwaza andar se lock hi hoga. Main unke kamre ki taraf badhne laga. Mujhe ekdam se aisa mahsoos hua jaise saari duniya me sannata chha gaya ho aur is sannate me sirf mere dil ke tez tez dhadakne ki awaaz hi goonj rahi ho. Mere man me anginat khayaal ubharne lage the. Dimaag me ek sawaal kood raha tha ki kya kusum didi mujhse baat karne par raazi hongi ya fir wo mujh par gussa ho jayengi aur mujhe apne kamre se chale jane ko kah dengi.

Ab aage padhiye....
Main apne dil aur dimaag par mache huye tufaan ko kaabu karte huye kusum didi ke kamre ki taraf badhta chala gaya. Kuch hi palo me main kusum didi ke kamre ke darwaze ke paas pahuch gaya. Sabse pahle maine ek baar fir se apne andar machi huyi halchal ko shaant karne ki koshish ki uske baad maine apne kaamp rahe right hand se darwaze ko andar ki taraf dhakela.

Mujhe ummid thi ki darwaza andar se lock hoga aur meri ummid sach hi nikli. Maine darwaze par halke hath se do baar nock kiya aur darwaza khulne ka wait karne laga magar darwaza na khula. Ye dekh kar mere andar ajeeb si bechaini badhne lagi. Maine ek baar fir se darwaza nock kiya. Mujhe laga kahi aisa to nahi ki didi so gayi ho. Aisa ho bhi sakta tha magar mera mood ban chuka tha ki aaj mujhe didi se khul kar baat karna hai.

Teesri baar jab maine darwaza nock kiya to uske kuch der baad darwaza khula. Mere saamne duniya ki sabse sundar aur sabse masoom meri kusum didi nazar aayi. Unki aankho se hi samajh aa gaya ki wo so rahi thi. Darwaze par mujhe khada dekh kar unke chehre par se neend se uthne ke baad ki jo khumaari rahti hai wo ekdam se gayab ho gayi aur unki aankhe thoda sa fail gayi.

"Tu..tum yaha kya kar rahe ho.?" Didi ne ekdam se apne aapko samhaalte huye thoda kathor awaaz me ye kaha to maine badi hi shalinta se kaha.
"Kya main ye bhi khwaahish na karu ki main jiski ibaadat karta hu uska jee bhar ke didaar kar saku.?" Main ye kahte huye ekdam se jazbaat me bahne lag gaya tha. Mujhe lag raha tha ki main apni didi se lipat jaau aur bilakh bilakh kar rona shuru kar du.

Udhar jab maine aisa kaha to didi ke chehre par chhaye kathor bhaav ekdam se gayab huye magar fir jaldi se waapas bhi aa gaye. Jaise unhone apne aapko kamzor hone se bacha liya ho aur fir se usi kathorta se mujhse kaha.

"Ye tum kya bakwaas kar rahe ho.? Mere paas tumhari ye bakwaas sunne ka wakt nahi hai aur na hi main tumhari koi bakwas sunna chaahti hu. Jaao yaha se aur khabardaar agar ab dubara mere saamne bhi aaye. Main tumhari shakal bhi nahi dekhna chaahti." Kusum didi ne ekdam se gussa ho ke ye kaha to mere dil me itna tez dard utha ki laga main us dard ko sahan nahi kar paauga aur usi wakt heart attack se mar jaauga. Meri aankho me pal bhar me aanshu bhar aaye.

"Agar mujhse itni hi zyada nafrat ho gayi hai ki ab aap meri shakal hi nahi dekhna chaahti to theek hai. Aaj ke baad ab kabhi aapko meri ye shakal dekhne ko nahi milegi. Ek aakhiri baat zarur kahna chaahta hu ki maine wo sab kabhi nahi chaha jo mujhe bina chaahe mil gaya hai...maine to hamesha usi ko chaha hai jo shayad ab mujhe mil hi nahi sakta." Maine ye sab kaha aur fir ek pal ke liye bhi nahi ruka main.

Mere dil aur dimaag me ekdam se aisa dard aur gubaar utha tha ki mujhse ab kuch bhi bardaast nahi ho pa raha tha. Jis didi ko main apni jaan se bhi zyada chaahta hu uske dil me mere liye koi bhaav koi jagah nahi thi. Jiska chehra dekh kar hi meri subah safal hoti thi wo mujhse itna zyada nafrat karti thi ki ab wo meri shakal tak nahi dekhna chaahti thi. Main tez tez kadmo se chalte huye ghar se baahar nikal gaya. Mere dil aur dimaag me bheesan aag lag gayi thi. Mujhe ab kuch bhi nahi dikhaayi de raha tha. Aisa lag raha tha isi wakt apne aapko khatam kar lu.

Baahar aaya to meri nazar road ke kinare par khadi dakshina ki car par padi. Maine ek jhatke se driving door khola aur driving sheet par baith gaya. Paint ki pocket se chaabhi nikaal kar maine car ko start kiya aur aage badha diya.

Main nahi janta tha ki ab main kaha ja raha hu. Mere kaano me kusum didi ki wo baate goonj rahi thi jo mere kaano ke pardo ko faade de rahi thi. Mere hath car ki stairing par jam gaye aur mera pair exilator par.

Car ki speed ekdam se badh gayi. Aisa lagne laga jaise main car racing karne laga hu. Mujhe nahi pata ki main kitne red lights ko cross karta hua aage badhta gaya. Main kisi mod par mud nahi raha tha balke ekdam seedha hi car ko daudaye ja raha tha. Mere dil aur dimaag me aandhiya si chal rahi thi aur kaano me goonj rahi thi didi ki
wo baate jo har guzarte pal ke sath meri sochne samajhne ki shakti ko jaam karti ja rahi thi.

Eka ek saamne flyover aa gaya aur car us flyover par chalne lagi. Mujhe nahi pata ki car ki speed kitni tez thi. Meri aankho ke saamne kuch bhi nazar nahi aa raha tha. Eka ek mujhe aisa lagne laga jaise chaaro taraf se vaahno ki kitni saari awaaze aane lagi ho aur chaaro taraf kitna zyada cheekho pukaar mach gaya ho aur fir......

Ekdam se ek bhayankar jhatka laga car me aur car ke sath sath mujhe bhi. Mujhe kuch samajh na aaya ki achanak ye kya hua. Uske baad mujhe kuch yaad nahi ki uske baad kya hua. Shayad mera zabardast accident ho chuka tha.

Udhar ghar me mere is tarah chale jane ke baad kusum didi kuch pal tak dekhti rahi aur jab main baahar nikal gaya to ekdam se unki aankho se aanshu chhalak pade. Unhone jaldi se kamre ka darwaza tezi se band kiya aur palat kar daudte huye bed ki taraf aayi aur bed par audhe muh gir padi. Wo bilakh bilakh rone lagi thi.

Kuch der rone ke baad ekdam se unka rona band ho gaya aur wo bijli ki speed se bed se uthi. Unke chehre par chinta aur pareshani nazar aane lagi thi. Wo bed se utar kar darwaze ki taraf bhaagi. Darwaze ko ek jhatke se khol kar wo kamre se baahar aayi aur fir lagbhag bhaagte huye dringroom aur fir baahar aa gayi. Baahar aa unhone steel wala gate khola aur sadak ke dono taraf dekhne lagi. Magar main unhe kahi nazar na aaya. Wo paaglo ki tarah kuch der tak idhar dekhti rahi fir wo waapas mudi aur gate band karke andar dringroom me aayi.

Kusum didi paaglo ki tarah dringroom me idhar udhar dekhne lagi magar aas paas unhe koi nazar na aaya. Ye dekh kar unke chehre par ekdam se dukho ke bhaav ubhar aaye aur wo puri taakat se chillaane lagi. Wo baar baar maa ka naam le rahi thi. Unke chillane ka asar jald hi hua aur kuch hi palo me upar se maa aur rachna bhaagti huyi aati dikhi.

"Kya hua, itna kyo chilla rahi hai tu.?" Maa ne aate hi kusum didi se ye kaha to didi unhe dekh kar kuch bol na saki aur ekdàm se rone lagi. Unke rone par kisi ko kuch samajh na aaya.

Maa ne aage badh kar didi ko samhala aur fir thoda narm lahje me unse puchha ki kya baat hai wo is tarah ro kyo rahi hai. Kya vicky ne use kuch ulta seedha bola hai.? Maa ke puchhne par didi ne inkaar me sir hila diya aur rote huye boli ki vicky jane kaha chala gaya hai.

Kusum didi ki is baat se maa ko hairaani huyi. Wo to yahi samajh rahi thi ki vicky apni bahan se akele me baat karna chaahta tha is liye usne sabko upar wale kamre me bhej diya tha. Maa ne didi se kaha ki wo saaf saaf bataye ki kya hua hai. Maa ke aisa kahne par kusum didi ne rote huye sab kuch bata diya. Unhone bataya ki kaise unhone vicky ko wo sab baate kahi thi jiske baad vicky wo sab bol kar ghar se baahar chala gaya tha.

Kusum didi ki saari baat sun kar maa ka chehra bhi dekhne laayak ho gaya. Maa ko samajhte der na lagi ki aisi baato se vicky ke dil par kya guzri hogi aur wo bhavavesh me aa kar ghar se nikal gaya hai. Wo us dukh aur dard me koi bhi ulta sseedha kadam utha sakta hai. Ye sab soch kar ekdam se maa buri tarah ghabra gayi.

"Ye tune kya kiya kusum.? Tu itni kathor kaise ho sakti hai ki apne hi bhai ko itne zahar se bujhe shabd bol de.? Agar mere bete ko kuch bhi hua to dekh lena mujhse bura koi nahi hoga." Maa ne ekdam se gusse me ye kaha to kusum didi aur bhi buri tarah rone lagi.

"Yaha ham me se kisi ko koi apatti nahi thi sirf tujhe hi bukhaar chadha hua tha. Maine aur tere pita ji ne sirf tumhi logo ki khushi ke liye ek aise rishte ko swikaar kar liya tha jo rishta har tarah se galat tha. Magar iske baavjud tujhe samajh nahi aaya. Tujhe bhi pata hai ki tera bhai tujhe kitna pyaar karta hai. Kher chhod tujhse ye sab kahne ka kya faayda. Tu sirf apne bare me sochti hai aur apni khushiyo ke bare me. Tujhe dusro ki khushiyo se koi matlab nahi hai." Maa pata nahi kya kya aur bolti magar tabhi rachna ne aage badh kar maa ko chup karaane ki koshish ki to unhone rachna ki taraf dekhte huye kaha.

"Mera man bahut ghabra raha hai beti. Mere bete ko kahi kuch ho na jaye. Jis tarah ki baate isne usse kahi hain wo baate uske dil ko cheer gayi hongi aur ab wo yaha se chala gaya hai. Hey bhagwan mere bete ki raksha karna. Use kuch mat hone dena warna main mar jaaugi." Maa ye sab kahte huye rone lagi. Tabhi unki nazar kone me bane sangemarmar ke mandir par padi. Usme raadha krishn ki moorti thi.

Maa bhaagte huye us mandir ke paas aayi aur ghutno ke bal baithne ke baad unhone hath jod kar unse praarthna karne lagi. Wo roti ja rahi thi aur bhagwan se praarthna karti ja rahi.

Ghar ke andar kuch hi palo me aisa maahaul ban gaya jaise koi maatam chha gaya ho. Priya pooja bhi upar se neeche aa gayi thi aur jab unko sab kuch pata chala to wo dono bhi rone lagi thi. Har koi dukh se rone me laga hua tha. Kisi ko is baat ka hosh nahi tha ki rone se bhala kya hoga. Agar kuch hoga bhi to wo vicky ka pata karne se hoga.

Rachna ki aankho se bhi aanshu bah rahe the magar usne apne aapko samhala aur sabse pahle usne maa ko samhala aur unse kaha ki bhagwan par bharosa rakhiye maa. Unhe(Vicky) kuch nahi hoga. Badi mushkil se aakhir kuch der baad har koi shaant hua. Magar sawaal tha ki vicky ka pata kaise kare.

Priya pooja ne kaha ki vicky ko phone laga kar pata karte hain. Unki baat sun kar jaise sab ka mobile phone ki taraf dhyaan gaya. Fir kya tha...pooja daudti huyi upar gayi aur apne kamre se apna mobile utha laayi. Usne mobile ko unlock karke jaldi se vicky ko phone lagaya magar phone band bata raha tha.

Vicky ka mobile band bata raha tha. Ye jaan kar sabki haalat fir se kharaab hone lagi. Ye sab log is shahar se anjaan the. Unme se kisi ko bhi is shahar ke bare me kuch bhi pata nahi tha. Wo agar vicky ko kahi taalash karne ka sochte bhi to sabse pahle unke saamne ye sawaal khada ho jata ki vicky ko talaash karne ke liye wo jaye bhi to kaha.?

Priya pooja vicky ke mobile par phone karti hi rahi magar phone band hi batata raha. Har guzarte pal ke sath sabki haalat kharaab hoti ja rahi thi. Sabse bura haal maa aur kusum ka tha. Maa kusum ko beech beech me kuch na kuch ulta seedha bol hi deti thi jisse uski haalat aur bhi kharaab ho jati thi. Aise hi sara din guzar gaya aur shaam ho gayi magar na to vicky waapas ghar aaya aur na hi uska phone laga. Sabke man me jin baato ki shankaaye thi wo hakikat me badalti nazar aane lagi thi. Jisse un sab ki haalat bad se badtar hoti ja rahi thi.

Shaam se raat aur raat se subah ho gayi magar situation jaisi ki taisi hi bani rah gayi thi. Maa ki haalat to bahut kharaab ho gayi thi ro ro kar. Chehre se hi aisa lag raha tha jaise wo barsho ki bimaar ho. Haalat to sabki hi kharaab thi magar koi kar bhi kya sakta tha.?

Subah huyi to maa ek jhatke se uth khadi huyi aur paaglo ki tarah kahne lagi ki wo apne bete ko is shahar me khud dhudhne jayegi. Maa ke aisa kahne par rachna unhe rokne lagi to usne is baar use bhi daat diya gusse me. Wo ab kisi ki sunne ko raazi nahi thi. Maa ka paagalpan dekh kar har koi dukhi aur pareshan ho gaya. Priya pooja aur rachna ne badi mushkil se unko samjhaya aur roka.

Tabhi pooja ke mobile ki ringtone baji. Usne jaldi se mobile nikaal kar screen par dekha to uske chehre par khushi ki chamak aa gayi. Usne ekdam se cheekhte huye sabko bataya ki vicky ka call hai. Uski ye baat sun kar sabke murjhaye chehro par jaise bahaar ne dastak de di. Maa ne to jhapat kar pooja se mobile chheen liya aur usko kaano se laga kar vicky mere bete kaha hai tu chillane lagi. Magar mobile par ringtone hi bajti rahi.

Asal me maa ne call ko pick nahi kiya tha balke aise hi kaan se laga liya tha. Pooja ne aage badh kar maa se kaha ki pahle call to uthaao maa. Uski baat sun kar maa ne jaldi se kaampte hath se hara wala button dabaya aur fir jaldi se mobile kaan se laga liya. Abhi usne kaan se lagaya hi tha ki uske kaan me kisi dusre aadmi ki awaaz padi jise sun kar wo chaunk padi aur fir us aadmi ne jo kaha use sun kar to maa ke hath se mobile hi chhoot gaya.

Sab maa ko hi dekh rahe the. Maa ki achanak huyi is haalat ko dekh kar sab log sakte me aa gaye. Udhar rachna ne farsh par gire mobile ko utha kar jaldi se apne kaan me lagaya. Shukar tha ki call cut nahi huyi thi.

"Hello." Rachna ne ye kaha hi tha ki uske kaan me ek aadmi ki jo awaaz aur jo baate padi use sun kar rachna ekdam se sunn pad gayi. Use hosh tab aaya jab call cut ho gayi.

Jaise hi rachna ne mobile ko kaan se hataya to maa aur baaki sab usse puchhne lage ki kya baat huyi. Un sabke puchhne par rachna ne badi mushkil se bataya ki vicky ka accident ho gaya tha aur is wakt wo hospital me hain. Phone par jo baat kar raha tha wo koi police wala tha aur usne kaha ki ham log jald se jald us hospital me aa jaye.

Rachna ki ye baat sun kar sabke upar jaise aasmaan gir pada tha. Maa to dahaade maar maar kar fir se rone lagi. Unki nazar kusum par padi to unke chehre par bahut hi khatarnaak bhaav ubhar aaye. Wo kusum didi ke paas gayi aur cheekhte huye boli.

"Ab sukoon mil gaya na tujhe.? Teri vajah se mere bete ka accident hua aur wo is wakt hospital me hai. Bhagwan jane wo kis haal me hoga. Agar mere bete ko kuch hua to main apne hatho se tera gala kaatugi soch lena." Maa ne ye kaha aur palat kar sabse kaha ki jaldi se hospital chalo.

Kusum didi to kisi sadme me thi. Un par maa ki baat ka kya asar hua ye pata karna mushkil tha. Rachna ne jab dekha ki maa darwaze ki taraf jane lagi hain to usne jaldi se kusum ko jhakjhor kar hilaya tab ja kar use hosh aaya. Uske baad rachna ne unse kaha ki hame hospital chalna hai. Rachna ki is baat se kusum kahne lagi ki wo kahi nahi jayegi balke yahi rahegi. Uski vajah se uske bhai ne apni ye haalat ki hai to ab wo use khud apni manhoos shakal nahi dikhayegi.

Kusum ki baate badi ajeeb si thi. Rachna ko laga ki kahi ye apne aapko kuch kar na baithe. Is liye usne zabardasti kusum ko uthaya aur apne sath le jane lagi. Abhi sab log darwaze ke paas hi pahuche the ki tabhi doorbell baji. Maa ne jab darwaza khola to baahar ek anjaan aurat ko khade dekha to baaki sabke chehro par bhi ajnabiyat ke bhaav ubhar aaye. Ye aurat koi aur nahi balke dakshina hi thi magar ye log use nahi jaante the.

Police wale ne sabse pahle dakshina ko hi call kiya tha vicky ke phone se. Usne dakshina ko saari baat bataayi to dakshina ne us police wale se ye kaha ki wo vicky ki rishtedaar hai. Vicky ke apne relation walo ke bare me bhi usi ne police wale ko bataya tha. Police wale ne usse kaha ki wo mobile me check karke unhe phone lagayega.

Vicky ke accident ki khabar se dakshina ka bhi bura haal ho gaya tha. Use samajh nahi aaya tha ki ye sab kaise hua tha. Use ye baat pata thi ki vicky bahut clean driving karta tha. Fir aisa kya hua ki uska itna bada accident hua. Dakshina ko laga is accident ke peeche kuch to vajah ho hi sakti hai.

Dakshina se baat karne ke baad police wale ne mobile ne pooja naam se number dekha to use lagaya tha. Idhar dakshina ne socha ki vicky ke family members is shahar me naye hain. Wo is khabar se bahut dukhi ho jayege aur kaise vicky tak pahuchege.? Is liye usne socha ki wo khud vicky ke ghar jayegi aur sabko le kar hospital jayegi. Agar kisi ne usse pucha ki wo vicky ko kaise janti hai to wo koi na koi bahana bata degi. Is wakt zaruri ye tha ki wo sabko le kar hospital jaye. Use ye bhi pata tha ki hospital me kharcha paani bhi lagega jo ki is wakt vicky ki family kaise de sakti thi.

"Aap kaun hain aur yaha aap kis kaam se aayi hain.?" Rachna ne maa ke peeche se nikal kar dakshina se ye kaha to dakshina ne thoda asahaj bhaav se kaha.
"Dekhiye main kaun hu ye to baad me bhi pata chal jayega magar is wakt aap sabka mere sath chalna bahut zaruri hai." Dakshina ne ye kaha to sab hairaan rah gaye.

"Kya matlab hai aapka.?" Dakshina ki baat sun kar is baar maa ne ye kaha to dakshina ne kaha.
"Aap sabko hospital jaana hai na.? Main bhi wahi ja rahi hu. Aap sab abhi yaha par naye hain is liye aap logo ko kya pata ki kaha hai hospital.?" Dakshina ne abhi ye kaha hi tha ki maa ne fir kaha.

"Kya usi hospital ja rahi ho jaha mera beta hai.?" Maa ne jaldi se ye kaha to dakshina ne haan me sir hilaya. Fir kya tha maa aur baaki sab bhi dakshina ke sath baahar aaye aur sadak kinare khadi ek taxi me sab baith gaye. Taxi me baithte hi dakshina ne taxi driver ko hospital ka naam bataya to driver chal pada.

Taxi ke andar sannata chhaya hua tha. Dakshina vicky ke liye andar se dukhi thi magar is wakt wo us dukh ko zaahir nahi kar rahi thi. Bees minute baad taxi ek hospital ke saamne ruki to sab log taxi se baahar nikle. Dakshina ne taxi wale ko uska bhada diya aur fir sabko le ke hospital ki taraf badh chali.

Raaste me dakshina ne apne mobile se kisi se baat ki thi. Hospital ke andar jaise hi ye sab pahuche to saamne se ek police wala aata nazar aaya. Use dekh kar dakshina ne hath ko hawa me utha kar ishara kiya to wo police wala dakshina ke paas hi aa gaya.

"Agar main galat nahi to aap mrs dakshina hain.?" Police wale ne ye kaha to dakshina ne haan me sir hilaya aur fir usne maa aur baaki sabki taraf ishara karte huye kaha.
"Ye sab uski family wale hain." Dakshina ne ye kaha to police wale ne maa aur baaki sabki taraf dekha fir kaha.

"Baaki sab to maine aapse bata hi diya tha. Dr ne bataya ki abhi use hosh nahi aaya hai." Police wale ye kaha hi tha ki maa ekdam se paaglo ki tarah police wale se kahne lagi.

"Kya hua hai mere bete ko. Kaisa hai mera beta. Mujhe uske paas jana hai." Maa ne ye kaha to police wale ne badi ijjat se kaha.
"Maa ji fikar karne ki ab koi baat nahi hai. Dr ne bataya ki accident bada zarur tha magar bhagwan ki daya se aapke bete ko zyada chote nahi lagi." Police wale ne ye kaha to maa ne kaha.

"Agar aisa hi hai to fir mera beta hosh me kyo nahi hai.? Dekho mujhe uske paas le chalo. Main use apni aankho se dekhna chaahti hu." Maa ye kahte huye rone lagi to police wale ne baaki sabki taraf dekha fir kaha.

"Achha thik hai. Main dr se baat karta hu. Aap sab aaiye mere sath." Police wale ne ye kaha aur palat kar chal diya. Uske peeche peeche baaki sab bhi chal diye. Thodi hi der me wo police wala ek dr ko dekh kar use awaaz diya aur uske paas ja kar khada hua.

"Wo abhi khatre se baahar hain inspector sahab. Wo jaise hi hosh me aayege ham sabse pahle aapko hi suchit karege." Dr ne ye kaha to police wale ne kaha.

"Wo sab to thik hai dr. Ye us aadmi ki maa hain. Ye use ek baar dekhna chaahti hain to plz aap ek baar inki tasalli ke liye dikha dijiye." Police wale ne ye kaha to dr ne maa aur baaki sabki taraf dekha fir bola.

"Okk fine...plz come." Dr ne ye kaha aur ek taraf ko badh gaya. Uske peeche baaki sab bhi chal diye. Kuch hi der me dr ek kamre ke paas ruka. Kamra band tha aur darwaje ke upari hisse par kaanch laga hua tha. Dr ne sabki taraf dekhne ke baad bola aap sab yahi se dekh sakte hain unhe.

Dr ki baat sun kar maa sabse pahle darwaze ki taraf lapki. Darwaze par upar lage kaanch se kamre ke andar ki taraf usne dekha. Andar kamre me bed par pade apne bete par jab unki nazar padi to unki aankho se aanshu bahne lage. Kaleja hil kar rah gaya unka. Kamre ke andar main seedha leta hua tha aur mere hath pair aur pure sir par safed pattiya badhi huyi thi. Mujhe is haalat me dekh kar maa ka bura haal ho gaya tha.

Maa zyada der tak mujhe is haalat me dekh na saki aur wo darwaze se hat gayi. Do kadam peeche hat kar wo buri tarah rone lagi thi. Dr ne unhe samjhaya ki fikar ki koi baat nahi hai. Ye to bhagwan ka shukar hai ki itne bade accident ke baad bhi aapke bete ko kuch nahi hua. Kuch chote zarur hain magar wo thik ho jayegi.

Baari baari se sabne us kaanch se jhaank kar mujhe dekha. Jab sabne mujhe dekh liya to dr ne sabko us jagah se jane ke liye kah diya. Uske baad police wala sabko le kar waiting room ki taraf aa gaya.

Maa us police wale se sab kuch puchhne lagi. Us police wale ne bataya ki kal ye accident flyover ke neeche hua tha. Asal me ye aadmi sare red lights signal ko todte huye car udaye le ja raha tha. Uske peeche traffic police bhi lagi huyi thi. Magar ye car itni tez chala raha tha ki koi us tak pahuch hi nahi pa raha tha. Control room se call aayi to ham bhi iske peeche lag gaye. Flyover se utarne ke kuch der baad jab ek aur flyover aaya to isne car ko upar chadhane ki bajaay uski reling me thok diya. Speed itni tez thi reling to tuti hi sath hi iski car bhi kalabaaziya khaati huyi neeche wali sadak ki taraf ulat'ti chali gayi. Jab tak ham log pahuche tab tak bahut kuch ho gaya tha. Kher hamne kisi tarah ise ambulance me daal kar yaha hospital bhijwaya. Iske mobile phone ki screen toot gayi thi. Hamne sim ke dwara iske apno ke bare me pata karna chaha magar sim me koi number save nahi the. Sare number phone me save the us liye hamne iske mobile ko banwane ke liye bhej diya aur jab iska mobile ban gaya to aap logo ko call kiya." Police wale ki baate sun kar sab istabdh the.

Abhi sab log police wale ki baate hi sun rahe the ki tabhi rachna ka dhyaan kusum ki taraf gaya. Kusum apni jagah se gayab thi. Pata nahi kab wo uth kar baahar chali gayi thi aur kisi ko pata bhi nahi chal paya tha. Ye dekh kar rachna buri tarah ghabra gayi. Usne lagbhag cheekhte huye maa se kaha ki kusum didi yaha nahi hain. Rachna ki is baat se sab koi dang rah gaya. Tabhi maa ne kaha ki use jaha jana hai jane do. Mujhe usse ab koi matlab nahi hai. Usi ki vajah se mere bete ki aaj ye haalat huyi hai.

Maa ki ye baate sun kar sab awaak rah gaye. Koi maa apni beti ke liye aisa kaise kah sakti thi.? Dakshina jaldi se uthi aur waiting room ke baahar ki taraf tezi se badh chali. Uske peeche police wala bhi chal pada tha. Un dono le jate hi priya bhi tezi se baahar ki taraf badh gayi thi. Jabki rachna aur pooja maa ke paas unko samhalne ke liye baithi rahi.


Bhai log....
Aaj ke liye itna hi....

Read Enjoy & Give Your Feedback....
Keep Supporting & Stay With....


:thankyou:
 

Mr. Pandit

SAB KUCH JAYAZ HAI....
1,764
3,882
144
Bohut sunder update hay bro lakin Vikey koo khud ab jaan pukerni caheya Murd koo kud hee himut kurni huty hay tub hi Aurat ram huty hay Aurat keti bhi mounzor huu Murd ager uss ke mozori koo qaboo naa kuray tuu woo qaboo nahi aaty abb tuu THAkur yaa Viki babo koo khula saand murd buna hee puray hay bhai KUSUM koo ram kurnay kay leya
Thanks for your lovely comment....
Bhaya is update ke baad vicky kya banta hai dekhte hain....

Next update posted....
Read & Enjoy....
 

LoverboySid1997

New Member
31
66
18
Bhai Tumhari Story Bahut Achhi hai esliye Please Time to Time Update dete rehna aur Story Complete Karna... Tumahare Family ke sare Characters Bahut hi Jabardast hai hai ... Bas Dua Karta hu Tum Healthy rho aur Isi tarah se Updates dete rho
 
  • Like
Reactions: Mr. Pandit
Top