• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAB KUCH JAYAZ HAI...

Bhai log ye story kaisi lag rahi hai....?

  • Best

    Votes: 122 81.9%
  • Good

    Votes: 27 18.1%

  • Total voters
    149

VIKRANT

Active Member
1,486
3,377
159
SAB KUCH JAYAZ HAI....
UPDATE = 48

Abhi sab log police wale ki baate hi sun rahe the ki tabhi rachna ka dhyaan kusum ki taraf gaya. Kusum apni jagah se gayab thi. Pata nahi kab wo uth kar baahar chali gayi thi aur kisi ko pata bhi nahi chal paya tha. Ye dekh kar rachna buri tarah ghabra gayi. Usne lagbhag cheekhte huye maa se kaha ki kusum didi yaha nahi hain. Rachna ki is baat se sab koi dang rah gaya. Tabhi maa ne kaha ki use jaha jana hai jane do. Mujhe usse ab koi matlab nahi hai. Usi ki vajah se mere bete ki aaj ye haalat huyi hai.

Maa ki ye baate sun kar sab awaak rah gaye. Koi maa apni beti ke liye aisa kaise kah sakti thi.? Dakshina jaldi se uthi aur waiting room ke baahar ki taraf tezi se badh chali. Uske peeche police wala bhi chal pada tha. Un dono le jate hi priya bhi tezi se baahar ki taraf badh gayi thi. Jabki rachna aur pooja maa ke paas unko samhalne ke liye baithi rahi.

Ab aage padhiye....
Dakshina, police wala aur priya teeno ne hospital me har jagah dekh liya tha magar kusum ka kahi koi pata na chala tha. Police wale ko ek call aaya tha to wo chala gaya tha aur ab dakshina aur priya hi kusum ko har jagah khoj rahe the. Pura hospital chhaan mara magar kusum in dono ko kahi nazar na aayi thi. Guzarte palo ke sath dono ki hi haalat kharaab huyi ja rahi thi. Priya ko achhi tarah samajh aa chuka tha ki kusum didi is tarah kyo chali gayi thi.

Vicky ki aaj jo haalat huyi thi uske liye har koi kusum ko hi jimmedaar maan raha tha. Is baat ko zaahir roop se sirf maa ne hi kaha tha magar baakiyo ke man me bhi yahi tha ki vicky ki haalat ki jimmedaar kusum hi hai. Kusum khud bhi is baat ke liye khud ko jimmedaar maan rahi thi jiska use ab bhaari dukh tha. Jiski vajah se usne socha hoga ki wo ab in logo se kahi door chali jayegi.

Kusum apne hosho hawaash me nahi thi. Uske dil aur dimaag me tufaan chal raha tha. Usne jab dekha ki sab police wale ki baate sunne me busy hain to wo chup chaap waiting room se nikal gayi thi. Use khud nahi pata tha ki wo kaha ja rahi thi. Bas wo kahi khoyi huyi badhti hi chali gayi thi. Use khud bhi pata nahi chala ki wo kab hospital se baahar aayi aur ek taraf ko badhti chali gayi thi. Baahar sadak par bhaari waahno ka aana jana laga tha jiski awaazo se fiza me shor ho raha tha.

Idhar dakshina aur priya ko jab kusum hospital me kahi na mili to wo dono bhaagte huye hospital se baahar aa gayi. Sadak ke dono taraf dono ne dekha magar kahi par bhi unhe kusum nazar na aayi. Ye dekh kar dono buri tarah ghabra gayi. Priya to rone hi lagi thi magar dakshina ne samajhdaari se kaam liya. Usne sabse pahle priya ko shaant rahne ko kaha aur use andar maa ke paas ye kah kar bhej diya ki wo kusum ko khoj kar le aayegi.

Priya se to dakshina ne kah diya tha ki wo kusum ko khoj kar laayegi magar wo is kaam me kaamyaab hogi ki nahi iska use khud bhi pata nahi tha. Use time ka ahsaas tha is liye wo right side ki taraf tezi se badhti chali gayi. Wo footpath par hi chal rahi thi aur aas paas dekhti bhi ka rahi thi magar kaafi door aa jane ke baad bhi jab use kusum na dikhi to uske man me tarah tarah ki shankaaye ubharne lagi. Use kusum ki bahut zyada chinta hone lagi. Wo jaanti thi ki kusum is shahar ke bare me kuch bhi nahi jaanti hai. Agar uske sath kuch ulta seedha ho gaya to wo vicky ko aur uski family ko kya jawaab degi.?

Dakshina kafi door aa gayi thi. Uski khud ki haalat kaafi kharaab ho gayi thi paidal chalte chalte. Uska jism paseena paseena ho gaya tha. Achanak use khayaal aaya ki ho sakta hai ki kusum left side wale raaste ki taraf gayi ho. Ye soch kar wo ruk gayi aur sadak ko cross karke usne ek auto wale ko awaaz di. Auto me baith kar usne auto wale se kaha ki wo aage ki taraf chale magar is tarah ki use kisi ko khojne me asaani ho. Uski is baat se auto wale ne puchha ki maidam baat kya hai to dakshina ne use bataya ki wo ek ladki ko khoj rahi hai.

Auto wala bhala aadmi tha. Use baat samajh me aa gayi thi is liye usne badi imaandari se auto ko aage badha diya aur khud bhi aas paas nazar daudane laga. Dakshina dono taraf ki sadak par dekhti ja rahi thi. Kareeb paanch minute baad achanak dakshina ki nazar us paar sadak ke kinaare footpath par dheere dheere chalti kusum par padi. Kusum ko dekhte hi dakshina ne raahat ki saans li aur usne auto driver ko bhi dikhaya kusum ko. Uske baad usne auto wale se kaha ki wo jaldi se aage chal kar sadak ke us paar chale.

Dakshina ki baat sun kar auto wale ne auto ko tezi se aage badhaya. Dono taraf ki sadak ke beech me ek foot ki diwaar bani huyi thi. You turn lene ke liye jagah hi nahi dikh rahi thi. Kafi door aane ke baad ek red light nazar aayi to auto driver ne badi saawdhaani se you turn liya aur sadak ke us taraf aa kar auto ko fir se tezi se badha diya.

Saame kuch hi doori par red light batti thi aur is wakt wo grean hi thi magar jaise hi auto wala waha tak pahucha to light red ho gayi. Ye dekh kar dakshina ke chehre par pareshaani aur badh
gayi. Wo saamne ki taraf hi dekh rahi thi magar kusum use dikh nahi rahi thi. Sadak aage ja kar left side ko thoda sa ghoom gayi thi is liye use kusum nahi dikh rahi thi. Red light ka timer 80 se neeche count ho raha tha aur usi ke sath dakshina ke dil ki dhadkane bhi down hoti ja rahi thi.

Aakhir light grean huyi to aage ke waahan chal pade aur unke peeche auto wale ne bhi auto ko aage badha diya. Aage sadak par jaise hi auto ghooma to dakshina ki nazar door se hi kusum par padi. Usne auto wale ko thoda aur tez chalne ko kaha. Auto wala pahle se hi tez chal raha tha ab aur chalne laga.

Dakshina ki nazar barabar kusum par thi. Wo kahi khoyi huyi dheere dheere isi taraf aa rahi thi. Peele rang ke shalwaar shoot me thi wo aur uske gale me peele rang ka hi dupatta tha jo ki is wakt ast byast dikh raha tha. Abhi dakshina kusum ko dekh hi rahi thi ki tabhi ek safed rang ki omni car kusum ke paas ruki aur usse do log baahar nikle. Wo dono aadmi aas paas dekhte huye seedha kusum ke paas gaye. Ye dekh kar dakshina ke dimaag me khatre ki ghanti baji. Usne auto wale ko aur speed se chalne ko kaha.

Udhar wo dono aadmi kusum ke paas pahuch kar uske aage khade ho gaye aur kusum se kuchh kaha. Uske baad ek ne kusum ka hath pakda aur use omni ki taraf lane laga jabke dusra kusum ke peeche tha. Dakshina ke dekhte hi dekhte us aadmi ne kusum ko omni me baithaya aur khud bhi uske sath baith gaya. Jabki dusra aadmi aage wali sheet par baith gaya. Omni ka darwaza band hote hi omni aage badh chali. Badi hairat ki baat thi ki kusum ne un aadmiyo ke sath jane se bilkul bhi virodh nahi kiya tha.

Dakshina fati aankho se ye nazara dekhti rah gayi. Uski aankho ke saamne kusum ko un logo ne apharan kar liya tha. Dakshina puri taakat se auto wale par cheekh padi. Auto wala us omni se thoda hi peeche rah gaya tha. Dakshina ne auto wale se kaha ki wo us car ke peeche hi full speed se chale. Use samajh nahi aa raha tha ki ab wo kya kare. Agar wo log kusum ko le kar uski aankho se ojhal ho gaye to fir kusum ko waapas pana bahut mushkil ho jana tha.

Auto wala full speed me auto ko dauda raha tha magar aage ja rahi omni car har pal usse aur door hoti ja rahi thi. Dakshina ke dimaag ne ekdam se kaam kiya. Usne us omni ka number yaad kar liya. Use yaad aaya ki uske paas apna mobile hai aur wo 100 number par call karke police ko sab kuch bata sakti hai. Dakshina ne fatafat apne parsh se mobile nikala aur 100no par laga diya.

Call lagne ke baad dakshina ne police walo ko sab kuch bata diya aur kaha ki jitna jaldi ho sake wo us omni car se meri bahan ko nikaal kar bacha le. Dakshina ne yahi bataya ki kusum uski bahan hai. Call par police ne dakshina ko aashwast rahne ko kaha aur bole ki wo jald se jald action le rahe hain.

Dakshina ne police ko location aur us omni car ka number wagaira bata diya tha. Aage ja rahi omni car ek mod par mud chuki thi. Sadak par aur bhi bahut se waahan the jinke beech kabhi kabhi wo omni car chhup jati thi magar dakshina us par barabar nazar rakhe huye thi aur auto wale ko uske peechhe lagaye huye thi.

Kareeb das minute baad dakshina ne dekha ki left side ki taraf se ek traffic police ki car aayi aur us omni car ke peeche lag gayi. Abhi dakshina us taraf dekh hi rahi thi ki tabhi peeche se ek police gaadi nikli. Saamne ek aur red light dikhi aur sare waahan rukne lage. Wo omni car bhi ruk gayi thi. Wo aage ki taraf thi uske kuch doori par wo traffic police ki car thi. Jaise hi sare waahan ruke to dakshina ne dekha ki traffic police wali car se do police wale baahar nikle aur us omni car ki taraf tezi se badh chale. Abhi wo kuch hi doori par gaye the ki signal green ho gaya aur aage ke waahan chal pade. Un waahno ke sath wo omni car bhi chal padi. Ye dekh kar wo dono police wale waapas palte aur police car me baith kar fir se omni car ke peechhe lag gaye.

Aage ki taraf clean sadak thi is liye omni full speed se aage badh gayi thi. Police ki dono gaadiya siren bajati huyi dusre waahno ko overtake karte huye aage nikal gayi. Idhar auto me dakshina bhi peechhe lagi huyi thi. Dakshina ko ab wo omni car dikhaayi nahi de rahi thi balke police ki gaadiya zarur use dikh rahi thi. Dakshina ke dil ki dhadkane kabhi achanak se tez ho jati to kabhi ekdam se ruk si jati thi.

Aage kaafi door aa kar ek aur red light batti aayi. Aage ke sabhi waahan ruk gaye the. Dakshina ne dekha ki police ki dono gaadiya kafi aage thi. Use wo omni car ab bhi nazar na aayi thi magar usne ye zarur dekha ki police gaadi se do teen police wale utre aur aage ki taraf badi tezi se daudte huye ja rahe the. Dakshina ko samajhte der na lagi ki wo police wale us omni car ke paas hi ja rahe the. Kuch hi der me dakshina ne dekha ki wo police wale ek jagah ruke aur us jagah kuch karne lage. Ye dekh kar dakshina bhi auto se utar gayi. Usne auto wale se kaha ki wo apne paiso ki fikar na kare aur auto ko aage le ja kar side par laga le.

Auto wala bhala aadmi tha usne kuch nahi kaha. Dakshina waahno ke beech se bhaagte huye un police walo ki taraf badhti chali gayi. Kuch hi palo me use wo omni car dikhne lagi. Dakshina ka paseene se bura haal tha magar wo khud ki koi parwaah nahi kar rahi thi. Udhar wo police wale us omni car ke kareeb pahuch chuke the. Police walo me se ek aage ki taraf driver ke paas gaya aur hath daal kar car ke ignition se chaabhi nikaal li. Tab tak peeche se kuch aur police wale bhaagte huye aa gaye the.

Dakshina bhi kuch hi der me us omni car ke paas pahuch gayi aur usne police walo ko bataya ki usi ne phone kiya tha. Police walo ne omni car ke andar se sabko baahar nikala. Us gaadi me teen aadmi the. Jinme se ek driver tha aur baaki do wahi the jo kusum ko le kar omni me baith gaye the. Pahle to wo log yahi bole ki kusum unki rishtedaar hai magar jab dakshina ne police walo ko bataya sab kuch to wo sab bagle jhaankne lage.

Police walo ne un teeno ko pakad liya aur kusum ko kuch poochh taanchh ke baad dakshina ke hawale kar diya. Kusum ki haalat aisi thi jaise wo kisi sadme me ho. Us par koi reaction nahi tha. Kher light green huyi to sare waahan aage badhne ke liye horn dene lage to dakshina kusum ko le kar zebra crossing se chal kar kinare side aa gayi.

Dakshina kusum ko apne se is tarah chhupkaye huye thi jaise wo koi chhoti si bachchi ho. Uski aankho me aanshu the. Wo jaanti thi ki bahut bada kaand hone se bacha tha. Agar aaj kusum ko wo log apne sath le jane me kaamyaab ho jate to shayad bahut bada anarth ho jata.

Road ke is taraf aa kar dakshina ne auto wale ki taraf nazar daudaayi to usne dekha ki wo auto wala usi cut se you turn le raha tha. Kuch hi palo me wo auto wala aaya to dakshina kusum ko le kar auto me baith gayi. Kusum ekdam shaant thi. Jaise wo is duniya me thi hi nahi. Wo ektak bas shoonya me dekhe ja rahi thi. Dakshina uski ye haalat dekh kar use baar baar pukaar rahi thi aur usko hosh me lane ka prayaas kar rahi thi.

Dakshina ne auto wale ko hospital ka pata bataya aur use hospital hi chalne ko kaha. Auto wala bina kuch kahe hospital ki taraf chal diya. Kaafi der baad auto usi hospital ke saamne ruka jisme vicky ko bharti kiya gaya tha. Auto se utar kar dakshina ne auto wale ko do hazaar ka ek note pakdaya. Auto wala do hazaar paya to wo khush ho kar chala gaya.

Kusum ko le kar dakshina hospital ke andar ki taraf chal padi. Jaise hi wo gate ke paas pahuchi to use priya pooja mil gayi. Wo dono kusum ko dekh kar usse lipat gayi aur foot foot kar rone lagi.

"Kaha chali gayi thi aap.? Aapko pata hai aapke is tarah chale jane se hamari jaan nikal gayi thi. Aisa kyo kiya aapne didi.?" Pooja buri tarah sisak uthi to dakshina ne un dono ko shaant rahne ko kaha aur fir kusum ke sath sath un dono ko bhi hospital ke andar le aayi.

Waiting room me rachna aur maa ek lambi si chair par baithi huyi thi. Dono ke hi chehre se lag raha tha ki wo kitna royi thi. Jaise hi dakshina kusum ko le kar waiting room me daakhil huyi to rachna aur maa ki nazar us par padi. Dakshina ke sath kusum ko dekhte hi rachna uth kar kusum ke paas aayi aur use apne sath le ja kar chair par baithaya. Yaha hairaani ki baat ye thi ki maa ne kusum ki taraf dekha zarur magar usne kusum se kaha kuch nahi. Shayad wo ab bhi kusum se bahut gussa thi.

Rachna aur priya pooja ke puchhne par dakshina ne bas yahi kaha ki kusum raaste me hi use mili thi aur wo kafi door nikal gayi thi. Usne ye nahi bataya ki aaj kusum ke sath kitna bada kaand ho gaya tha. Kher dakshina kahi se paani le kar aayi aur kusum ko zabardasti pilaya aur halke se uska chehra bhi dhoya. Kusum kuch bol nahi rahi thi balke wo abhi bhi sadme jaisi haalat me hi thi.

Abhi ye log yaha baithe hi the ki tabhi waha par ek nurse aayi aur usne kaha ki mareej ki family me se jo bhi hain unhe dr sahab ne bulaya hai. Nurse ki baat sun kar dakshina chair se uth kar khadi ho gayi aur uske sath rachna bhi. Nurse ke sath dakshina gayi. Usne rachna ko mana kar diya tha ye kah kar ki wo yaha sabka dhyaan rakhe. Waise ye badi ajeeb baat thi ki abhi tak in logo ne dakshina se uske bare me kuch bhi nahi puchha tha ya fir shayad aise halaat hi nahi the ki usse uske bare me kuch puchha jaye.

Dr ne dakshina se kaha ki mareej ke ilaaz me jo bhi kharcha laga uski raseed wo banwa le. Dr ne ye bhi bataya ki vicky ko dopahar tak hosh aa jayega. Dr se milne ke baad dakshina waapas waiting room me aa gayi thi. Usne rachna aur maa se bataya ki vicky ko dopahar tak hosh aa jayega.

Dakshina ko pata tha ki in logo ne kal se kuch nahi khaya piya tha. Pooja ne use sari kahani bata di thi ki kya hua tha. Dakshina ne in logo ke khane ke liye intjaam kiya. Wo baahar se sabke liye khana le ke aayi. Magar koi bhi khana khane ke liye raazi nahi tha. Dakshina ne sabko samjhaya ki khana na khane se kya ho jayega. Bhagwan ka shukar manaao ki vicky ko zyada kuch nahi hua warna jis tarah ka uska accident hua tha usme se uski jaan bhi ja sakti thi.

Aakhir dakshina ke bahut samjhane par sabne thoda bahut khaya. Dakshina ne apne hatho se kusum ko bhi zabardasti khilaya. Ab wo pahle se thik thi magar bol wo ab bhi kisi se nahi rahi thi. Rah rah kar uski aankho me aanshu aa jate the. Khana khate wakt hi maa ne dakshina se uske bare me puchha tha aur ye bhi kaha ki wo uski ahsaanmand hai ki is haalat me usne unki itni madad ki.

Maa ki in baato se dakshina ko bahut raahat mili thi. Usne maa se bataya ki shuru shuru me vicky uske yaha hi rahta tha aur usi ki factory me kaam karta tha. Dakshina ne utna hi bataya jitna use is wakt zaruri lag raha tha.

Dopahar ko nurse ne bataya ki mareej ko hosh aa gaya hai aur ye log usse mil sakte hain. Nurse ki ye baat sun kar sab ke sab waiting room se bhaag pade vicky se milne ke liye. Sabse aage maa thi. Kusum nahi jana chahati thi is liye dakshina uske paas hi rah gayi thi.

Jis kamre me vicky ko bed par letaya gaya tha ye sab waha pahuche. Vicky ke hatho pairo me pattiya badhi huyi thi aur uske sir me bhi. Maa ne jaise hi mujhe is haal me dekha to wo foot foot kar rone lagi. Sab mujhe is haalat me dekh kar dukhi the aur rone lage the. Dr aur nurse ne maa aur baaki sabse kaha ki wo log mujhe zyada disturbe na kare.

Main hosh me aa chuka tha magar main hil nahi sakta tha aur na hi apni gardan ko idhar udhar kar sakta tha. Maa mere chehre ke paas hi jhuki huyi ro rahi thi aur baar baar jhuk kar mere maathe par choom rahi thi aur sath hi jane kya kya bolti ja rahi thi.

"Kyo kiya tune aisa.? Kya tune ek baar bhi ye nahi socha ki tere bina ham sabka kya hoga.? Is nayi jagah par ham kaise jiyege.?" Maa mujhse bolti ja rahi thi aur main chup chaap unki taraf dekh raha tha. Main bahut kuch bolna chaahta tha magar mere hoth bas kaamp kar hi rah jate the. Mere sir me dard hone laga. Jisse mera chehra bigadne laga tha. Ye dekh kar dr ne maa ko mujhse kuch bhi bolne ya puchne se mana kar diya aur sabko zabardasti baahar bhej diya.

Kuch der baad mere paas ek police wala aaya. Usne mujhe bade dhyaan se dekha aur fir usne dr ki taraf dekhte huye kaha.

"Ab kaisi condition hai iski.?" Police wale ne dr se ye kaha to dr ne kaha.
"Condition to better hi hai officer but u know what khoon bahut zyada bah gaya tha aur chote bhi kafi gahri thi is liye recover hone me inhe zara time lagega. Waise ye hairat ki baat hai ki itne khatarnaak accident ke baad bhi ye salamat bach gaye." Dr ne ye kaha to police wala meri taraf dekh kar muskuraya fir bola.

"Suna hai jab tak kisi ke din pure nahi ho jate tab tak maut naam ki bala aa hi nahi sakti." Police wale ne ye kaha to dr ne kaha.
"Yes you are right officer. Anyways thanks a lot. Aap inhe time se le aaye the yaha is liye inhe bacha liya gaya warna you know.?" Dr ne ye kaha to police wale ne ek baar fir se meri taraf dekha aur fir wo meri taraf jhuka aur mujhse bola.

"Welcome to new life young boy. Main ummeed karta hu ki future me ab aisi driving nahi karoge tum." Police wale ne mujhse ye kaha to maine apni palak jhapka kar haan kaha. Uske baad wo dr ke sath baahar chala gaya.

Kamre me bed par pada main is sabke bare me sochne laga to fir se mere sir me dard utha to maine sochna hi band kar diya. Magar hosh me aane ke baad aisa kaise ho sakta tha ki main kisi cheez ke bare me na sochu.? Mere man me ek hi baat aa rahi thi ki sab mujhe dekhne aaye the magar didi nahi aayi thi. Kya mere sath itna kuch hone ke baad bhi wo mujhe dekhna nahi chaahti thi ya fir koi aur baat thi.?

Mujhse milne ke baad police wala to shayad chala gaya tha magar dr meri famiky ko samjha raha tha ki ab chinta ki koi baat nahi hai. Mareej ko abhi kam se kam do se teen hapte tak yahi par rakhna zaruri hai. Uske baad aap log unhe le ja sakte hain. Dr ke aisa kahne par maa ne kaha ki wo apne bete ke paas hi rahegi. Unki is baat se dr ne kaha ki iski koi zarurat nahi hai kyo ki yaha par unka bahut achhe se khayaal rakha jayega magar maa maanne ko taiyaar na huyi to dr ne kaha ki thik hai ek byakti yaha ruk sakta hai.

Uske baad yahi tay hua ki maa mere paas hi rukegi aur baaki log ghar jayege. Dakshina ne maa se kaha ki wo shaam tak yahi rahe uske baad wo yaha aa jayegi. Dakshina ki is baat se maa ne kaha ki nahi iski koi zarurat nahi hai. Wo apne bete ke paas tab tak rahegi jab tak wo puri tarah thik nahi ho jata. Maa ki is baat se dakshina ne unhe samjhaya ki kuch time ki hi to baat hai uske baad to vicky ko waise bhi ghar hi le aayege. Badi mushkil se maa maani aur fir dakshina sabko le ke ghar chali gayi.

Raaste me dakshina kusum se thodi bahut baate karti ja rahi thi. Tabhi kusum ne usse kaha ki wo ab us ghar me nahi rahna chaahti hai aur na hi wo apne bhai ko apni manhoos shakal dikhana chaahti hai. Uski is baat se baaki sab dukhi ho gaye the. Priya pooja aur rachna ne bahut samjhane ki koshish ki magar wo na maani, tab dakshina ne kaha ki wo kusum ko apne ghar le jayegi. Dakshina ki is baat se kusum ne bhi kah diya ki haan ab se wo uske ghar me hi rahegi.

Taxi ghar ke saamne ruki to priya pooja aur rachna taxi se utar gayi. Un teeno ne ek baar fir se kusum ko ghar chalne ke liye kaha magar wo taxi se na utri. Ye dekh kar dakshina ne un teeno ko jane ka ishara kiya to wo teeno steel wale gate ko khol kar andar ki taraf chali gayi. Unke jate hi dakshina ne taxi waapas modne ko kaha. Kuch hi der me taxi dakshina ke ghar ke saamne ruki.

Taxi wale ko uska paisa de kar dakshina kusum ko le kar ghar ke andar aa gayi. Ghar ke andar dring room me rakhe sofe par savita ki beti naina baithi huyi bagal ki diwaar par lagi ek badi si LED tv par film dekh rahi thi. Dakshina ko aaya dekh kar usne jaldi se tv band kar diya.

Dakshina ne kusum ko ek sofe par baithaya aur fir usne savita ko awaaz di. Jab savita aayi to usne usse puchha ki khana garm hai ya nahi. Dakshina ke puchhne par savita ne kaha ki wo jab tak fresh hongi tab tak wo garma garam khana bana degi.

"Chalo kusum tum bhi fresh ho jaao. Uske baad ham dono sath me khana khayege." Dakshina ne bade pyaar se ye kaha to kusum ne uski taraf badi masumiyat se dekhte huye kaha.

"Mujhe bhukh nahi hai. Aap kha lijiye." Kusum ne ye kaha to dakshina me kaha.
"Har baat me zid achhi nahi hoti kusum. Mujhe pata hai tum thoda ziddi ho magar main bhi kam ziddi nahi hu. Agar tumne nahi khaya to main bhi nahi khaaugi." Dakshina ne ekdam se bachchiyo jaise lahje me ye kaha to kusum ne kaha.

"Main zid nahi kar rahi. Mujhe sach me bhukh nahi hai." Kusum ne ye kaha to dakshina ne kaha.
"Achha chalo fresh to ho lo. Dekho to kya huliya bana rakha hai tumne.? Chalo utho ab." Dakshina ne ye kaha aur is baar bina kusum ki koi baat sune kusum ka hath pakad kar uthaya.

Kusum ne bhi zyada virodh nahi kiya. Shayad use bhi itna pata tha ki dusre ke ghar me dusre ki baat bhi maanna chahiye. Dakshina kusum ko le kar apne kamre me gayi aur fir usne kusum ko kamre me attaich bathroom me bhej diya.

Kusum jab fresh ho kar nikli to dakshina ne dekha ki usne wahi kapde pahan liye the jo usne pahle pahne the. Ye dekh kar dakshina ne aalmaari se apna ek shalwaar shoot nikala aur kusum ki taraf badhate huye kaha ki wo inhe pahan le kyo ki uske kapde bahut kharaab ho chuke the. Kher dakshina ke kahne par kusum ne usse kapde le liye aur bathroom ke andar ja kar darwaza band kar liya.

Kuch der baad jab kusum baahar nikli to dakshina use dekhti rah gayi. Vicky ne use bataya ki uski kusum didi duniya ki sabse sundar aur masoom hain magar is wakt wo apni aankho se dekh rahi thi use aur uski sundarta ko. Dakshina ko ekdam se khayaal aaya ki ye wahi ladki hai jiski vicky ibadat karta hai. Usne vicky ke mukh se bahuto baar kusum ki baate suni thi.

Dakshina ka shalwaar shoot kusum ki body par fit to nahi aa raha tha kyo ki dakshina ka jisam kusum ke jisam se thoda bhaari tha magar iske baad bhi wo kapde us par kaafi jach rahe the.

"Waah tum to ekdam pari lag rahi ho kusum. Tum sach me bahut sundar ho magar is sundarta me tumne ek grahan lagaya hua hai aur wo ye hai ki tumne apne is chaand se chehre par udaasiyo ki chaadar dhaamf rakhi hai." Dakshina ne ye kaha to kusum ko thoda sharm to aayi magar fir usne jaise is par dhyaan hi nahi diya tha.

"Achha ab tum yahi bed par baitho main bhi fresh ho leti hu. Uske baad dono sath me hi chalege. Thik hai na.?" Dakshina ne ye kaha to kusum ne haan me sir hila diya. Uske baad dakshina bhi bathroom me ghus gayi magar use nahi pata tha ki uske bathroom se waapas aane ke baad kamre me kya hone wala hai.


Bhai log....
Aaj ke liye itna hi....

Read Enjoy & Give Your Feedback....
Keep Supporting & Stay With....


:thankyou:
Greattt pandit bro. Such a mind blowing update & your writing skills. :applause::applause::applause:

Chalo achha huwa kusum ko kuch nahi huwa. Dakshina ne bacha liya use. Yaha par dakshina ne sach me achha kaam kiya bro and ab se to kusum uske sath hi rahegi. Ab ye dekhna dilchasp hoga ki dakshina ke sath rahne se kusum me kya changes aate hain. :coffeepc:

Vicky ki is haalat ke baad story me kya kya changes aayege ye bhi dekhna dilchasp hoga. Dakshina ka Vicky ke ghar aane ka raasta open ho gaya hai and ab asaani se sabse mil Sakti hai. Ab dekhna ye hoga ki dakshina ke bare me maa ya fir kusum ko kya pata chalta hai. :coffeepc:

Dakshina kusum ko apne ghar le kar aai but kamre me ab aisa kya hone wala hai. Yaha par to suspense create kar bro aapne.:coffeepc:

Pahle update ka intjaar rahega.:bsanta:

:celebconf::celebconf::celebconf::celebconf::celebconf:
 

mass8787

Well-Known Member
2,150
3,986
159
Pahlay main sumjha thaa kay PANDIT sahab nay juu baat kahi thee naa kay woo bhi baki writers kee turha abb tursa tursa kay update day gay woo iysay hee kahi thee lakin ab baat khul kay samnay aagay hay PANDIT Sahab nay hum sub readers koo koi chuteya guli kaa kutta sumhjtay hay or woo abb hum koo iysay hee rula rula kay tursa tursa kay update day gay jasa woo pahlay bolat thay so bhai log maray khyal say iysay writers say update mangoo hee naa juu aap koo guli kay kutay say zyada ahmeyat nahi deta aap sub kaa kya khyal hay
 

Mr. Perfect

"Perfect Man"
1,434
3,733
143
Pandit bhai update nahi aaya abhi tak. Ab kya problem ho gai. Koi khabar to do bhai______
 

Mr. Pandit

SAB KUCH JAYAZ HAI....
1,764
3,880
144
SAB KUCH JAYAZ HAI....
UPDATE = 49

"Waah tum to ekdam pari lag rahi ho kusum. Tum sach me bahut sundar ho magar is sundarta me tumne ek grahan lagaya hua hai aur wo ye hai ki tumne apne is chaand se chehre par udaasiyo ki chaadar dhaamf rakhi hai." Dakshina ne ye kaha to kusum ko thoda sharm to aayi magar fir usne jaise is par dhyaan hi nahi diya tha.

"Achha ab tum yahi bed par baitho main bhi fresh ho leti hu. Uske baad dono sath me hi chalege. Thik hai na.?" Dakshina ne ye kaha to kusum ne haan me sir hila diya. Uske baad dakshina bhi bathroom me ghus gayi magar use nahi pata tha ki uske bathroom se waapas aane ke baad kamre me kya hone wala hai.

Ab aage padhiye....
Udhar hospital se sabke chale jane ke baad maa waiting room se uth kar mere paas aa gayi thi. Mere bed ke paas hi wo ek chair par baith gayi thi aur meri haalat ko dekh kar baar baar ro padti thi. Unki aankhe soojh kar gubbara ho gayi thi. Unko is haalat me dekh kar mujhe bhi badi taklif ho rahi thi. Main pahle se ab thoda behtar tha is liye halki awaaz me maa se baar baar yahi kahta ki wo is tarah na roye, kyo ki unke is tarah rone se mujhe bahut dukh hota hai.

Dr ne bhi maa ko hidayat diya tha ki wo mareej ke samne khud ke jazbaato ko shaant rakhe. Magar mamta se bhari huyi maa apne bete ki is haalat ko dekh kar baar baar dr ki hidayat ko bhool jati thi.

"Aapke is tarah rone se aur dukhi hone se mujhe bahut taklif ho rahi hai maa. Kya aap chaahti hain ki main is haal me aur bhi zyada taklif me ho jaau.?" Maine halki awaaz me maa se ye kaha to maa ne dukhi ho kar inkaar me sir hilaya aur kaha.

"Nahi mere laal...main bhala ye kaise chaah sakti hu ki mere kaleje ka tukda taklif me ho jaye.?" Maa ne ye kaha to maine kaha.
"To fir is tarah aanshu bahana band kar dijiye. Main aapko is tarah dukhi hote nahi dekh sakta." Maine ye kaha to maa ne kaha.

"To fir kyo kiya aisa tune.? Kya tujhe ek baar bhi mera khayaal nahi aaya.? Kya tune ek baar bhi ye nahi socha ki tujhe agar kuch ho gaya to mera kya hoga.? Aree pagle main tere bina ek pal bhi nahi ji sakti thi." Maa ne dukhi ho ke ye kaha to maine kaha.

"Us wakt main kuch bhi sochne ki haalat me hi nahi tha maa. Mere dil aur dimaag me aandhiya chal rahi thi aur bas yahi khayaal aa raha tha ki khud ko khatam kar du." Maine ye kaha to maa ne kaha.

"Tune us karamjali ki vajah se baaki sabko bhi bhula diya aur chala gaya tha ham sab ki jaan lene ke liye." Maa ne ye kaha to maine kaha.
"Bataya na maa ki us wakt main kuch bhi sochne ki haalat me nahi tha." Maine ye kaha to maa ne kaha.

"Main nahi jaanti thi ki us kalmuhi ke man me mere bete ke liye itna zahar bhar chuka hai warna tujhe kabhi na usse baat karne ki ijazat deti." Maa ne thoda gusse me ye kaha to maine kaha.

"Nahi maa. Didi ke liye aisa mat kahiye. Main maanta hu ki mujhe us wakt unki baate chubh gayi thi jiski vajah se maine apni ye haalat bana li magar main ye bhi janta hu ki unhone wo sab mujhe is haalat me lane ke uddeshya se nahi kaha tha." Maine ye kaha hi tha ki maa ne meri baat beech me hi kaat kar kaha.

"Itna kuch ho jane ke baad bhi tu us dayan ki tarafdaari kar raha hai.? Khabardaar ab agar tune mere samne uska zikra bhi kiya to. Jo mere bete ki sagi nahi wo meri bhi sagi nahi." Maa ne aawesh me aa kar ye kaha to maine kaha.

"Abhi aapke man me didi ke prati gussa bhara hua hai maa...is liye aap ye nahi soch pa rahi hain ki is sab me didi ki koi galti nahi hai. Mere sath aisa hona tha so ho gaya. Ho sakta hai ki isi vajah se didi ka man badal jaye sabke liye." Maine ye kaha to maa ne ekdam se kaha.

"Mujhe uske bare me ab kuch sochna hi nahi hai aur haan tu bhi mat soch uske bare me. Main tera byaah rachna aur priya pooja se kar dugi. Tu bas theek ho ja jaldi se aur haan us karamjali ki chhaya bhi ab main tere upar nahi padne dugi." Maa ne ye kaha to main dekhta rah gaya unhe.

Main samajh gaya tha ki is wakt didi ke bare me maa se baat karne ka koi fayda nahi tha. Kyo ki unke man me didi ke prati kadwahat bhar chuki thi jo ab itni asaani se jane wali nahi thi. Ab to shayad ye aane wala wakt hi kuch kar sakta tha. Kher unki in baato se jab main kuch na bola to maa ne is baar thoda shaant lahje me kaha.

"Achha tujhe pata hai jiske yaha tu kaam karta tha na usne hamari bahut madad ki. Kya naam bataya tha usne apna....aree haan yaad aaya..Dakshina...haan yahi naam hai uska. Bahut achhi aurat hai wo. Agar wo na hoti to ham sab tujh tak kaise pahuch pate aur tera ilaaz kaise kara paate.?" Maa ne ye kaha to main ekdam se man hi man chaunk gaya.

Mujhe zara bhi ummid nahi thi ki is haadse me dakshina is tarah khul ke meri family ke saamne aa jayegi. Mere dimaag me ekdam se hazaro baate hazaro khayaal ubharne lage
the. Mere man me sabse pahle yahi khayaal aaya ki kya meri family ko dakshina ne hamare bare me bataya hoga.? Waise aisa hona to nahi chahiye tha. Dakshina aisi baat meri family ko nahi bata sakti thi. Kam se kam is situation me to bilkul bhi nahi. To fir usne kya kya bataya hoga meri family ko apne bare me.? Mera dimaag ekdam se dard karne laga tha. Jiski peeda mere chehre par ubhar aayi thi. Ye dekh kar maa ke chehre par bhi chinta chhalak padi.

"Kya hua beta. Tu thik to hai na mere laal.?" Maa ekdam se chintit ho uthi thi. Jabke maine apne aapko badi mushkil se samhala. Dakshina aur mere beech ke rishte ke bare me ek din to sabko pata chalna hi tha magar is wakt nahi. Ye wakt iske liye sahi nahi tha balke agar ye baat yaha par khul gayi thi to bahut badi gadbad ho sakti thi.

"Kuch nahi maa. Wo bas kisi kisi pal sir me dard jaag uthta hai." Maine ye kaha to maa ne mere chehre ko sahlate huye pyaar se kaha.
"Tu zyada bol mat beta. Tu bas araam se leta rah...main bhi ab tujhse kuch nahi bolwaaugi." Maa ne ye kaha to main halke se muskuraya aur bola.

"To kya wo hamare ghar khud hi aayi thi maa.?" Maine maa se dakshina ke bare me janne ki utsukta se ye puchha to maa ne kaha.

"Kal jab tu chala gaya tha to ham sab bahut ghabra gaye the aur dukhi bhi ho gaye the. Maine us kalmuhi ko khoob data tha iske liye aur usse kaha bhi ki agar mere bete ko kuch hua to main apne hatho se uska gala kaatugi. Ham sab to is nayi jagah se anjaan hi the. Tere aane ke intzaar me sara din aur saari raat rote kalapte hi guzar gayi. Mere man me tarah tarah ke bure khayaal aa rahe the. Jab mujhse na raha gaya to subah main khud hi tujhe khojne ke liye chal padi magar rachna ne mujhe rok liya. Usne mujhse kaha ki main bhala itne bade shahar me tujhe kaha khojugi.? Pooja kal se tujhe phone laga rahi thi magar tera phone band hi batata raha tha. Magar aaj subah tere hi number se pooja ke mobile par phona aaya to pahle to maine hi baat ki. Koi police wala baat kar raha tha. Usne jaise hi ye bataya ki tera accident ho gaya hai aur tu hospital me hai to mere hath se mobile chhoot gaya. Uske baad rachna ne hi baat ki thi. Phone par baat karne ke baad ham sab hospital ke liye chal diye. Magar jaise hi ham sab darwaze ke paas pahuche to baahar se kisi ne ghanti bajaayi aur jab maine darwaza khola to baahar wahi dakshina khadi thi. Jab ham sabne use dekha to hame samajh hi na aaya ki wo kaun hai aur us wakt wo hamare ghar kyo aayi thi. Baad me jab usne ye kaha ki wo tujhe janti hai aur tere paas hi ham sabko le kar ja rahi hai to ham sab bina soche samjhe uske sath yaha aa gaye. Uske baad usi ne sab kuch kiya. Ham me se to kisi ka dimaag hi kaam nahi kar raha tha ki kya aur kaise kare.?" Maa ne ye sab bataya to main dakshina ke bare me sochne laga.

Dakshina ne sach me aise wakt par bahut hi achha kaam kiya tha aur meri family ka sath diya tha. Maa ne mujhe sari baate bataayi. Ye bhi bataya ki kusum didi kahi gayab ho gayi thi aur fir dakshina hi unhe dhoondh kar laayi thi. Kusum didi ke is maamle ke bare me jaan kar main thoda soch me pad gaya tha. Main samajh sakta tha ki unhone aisa kis maansikta ki vajah se kiya tha.

Kusum didi ne ye sab pachhtaawe ki vajah se kiya tha magar ye kis tarah ka pachhtawa tha.? Insaan ko agar apni kisi galti ka ahsaas hota hai to wo saamne wale se apni galti ke liye maafi maagta hai magar didi ne to aisa kuch kiya hi nahi tha balke unhone to aisa kadam utha liya tha jiski vajah se har koi bahut badi problem me aa jata. Aakhir kyo kiya tha didi ne aisa.? Kya wo apne kiye par sharminda thi jiski vajah se wo mere saamne nahi aana chaahti thi.? Ya fir iski koi dusri vajah bhi thi.?

Main har cheez ke bare me aise hi sochta raha. Maa mere paas hi kursi par baithi kahi khoyi thi. Dr aur nurse ne maa se saaf kah diya tha ki mujhse aisi baate bilkul bhi Na kare jisse mujhe kisi tarah ki taklif ho.

Udhar bathroom me fresh hone ke baad dakshina waapas room me aayi aur jaise hi uski nazar kusum par padi to uske pairo ke neeche se zameen khisak gayi. Bed ke ek side ek chhote se stool ki taraf kusum ektak dekhe ja rahi thi. Uske chehre par bade ajeeb se bhaav the. Wo jis stool ko dekhe ja rahi thi us stool me ek bade se frame me saji ek aisi photo thi jisme dakshina to thi hi magar uske sath jo shakhs tha wo vicky tha.

Us photo me dakshina ek pedh ke neeche apni dono taango ko seedha karke baithi thi aur vicky uski jaangho me sir rakhe upar ki taraf dakshina ke haste huye chehre ko dekh kar muskura raha tha. Dakshina ne ek hath se vicky ka hath bhi pakad rakha tha. Us photo ko dekh kar koi bhi kah sakta tha ki photo me dikh rahe ye dono insaan lovers hain. Kusum ektak usi photo ko dekhe ja rahi thi.

Dakshina ko is baat ka khayaal hi nahi aaya tha ki uske kamre me uski is tarah ki photo maujud hai jise kusum dekh sakti hai aur uske bare me kayi tarah ke sawaal khade kar sakti hai. Dakshina buri tarah ghabra gayi thi. Uske chehre par paseena chhalak aaya tha. Use samajh na aaya ki wo is situation ko kaise samhaale.? Use pata tha ki vicky ke maamle me kusum bahut hi zyada serious hai. Use ye bhi pata tha ki wo vicky ko itna prem karti hai ki wo vicky ke sath kisi ko bhi nahi dekhna chaahti. Aaj jo bhi halaat ban gaye the ye usi ka nateeja tha.

Dakshina ko ekdam se khayaal aaya ki kusum ne aaj kis hisaab se wo sab kiya tha. Matlab ki use apni galti ka ahsaas ho chuka tha. Use samajh me aa chuka tha ki vicky sirf uska hi nahi hai balke uske chaahne wale aur bhi hain jinka us par hak hai. Dakshina ko laga ki wo is situation ko samhaal sakkti hai magar zara saawdhaani se.

Dakshina ne sabse pahle apne aapko samhala uske baad usne khud ke chehre par khushi ke bhaav laaye aur kusum ki taraf dekhte huye kaha.

"Ab lag raha hai ki aaj ki saari thakaan utar gayi hai. Warna lag raha tha ki kitna thak gayi thi main." Dakshina ne ye kaha to kusum ke jisam me ekdam se halchal huyi. Abhi tak jaise wo jam si gayi thi. Dakshina ki awaaz se uska dhyaan toota tha aur fir usne us photo se apni nazre hata kar dakshina ki taraf chehra kar ke dekha.

Kusum ke chehre par patthar jaisi kathorta thi. Usne aag ugalti nazro se dakshina ki taraf dekha. Dakshina ko samajhte der na lagi ki kusum us photo ki vajah se usse ab gussa ho gayi hai. Dakshina ne bhi soch liya ki kusum ko wo bade achhe tarike se in sab baato ko samjhayegi. Use samjhayegi ki is duniya me kisi insaan ke sath kya kya ho jata hai.

"Kya hua tum is tarah kyo dekh rahi ho mujhe.?" Dakshina ne ekdam shaant bhaav se ye kaha to kusum ne ek hath se stool par rakhi photo ko uthaya aur fir use dakshina ko dikhate huye gusse se kaha.

"Ye kya hai.? Kya rishta hai tumhara vicky ke sath.?" Kusum ne direct rishte ki baat ki to dakshina muskuraayi aur chal kar uske paas aayi. Dakshina ne is wakt apne gore jisam me sirf towel lapeta hua tha. Wo bed par kusum ke saamne baith gayi.

"Kamaal hai kusum. Itna kuch ho jane ke baad bhi tumhari soch nahi badli." Dakshina ne ye kaha to kusum ne kathorta se kaha.
"Kya matlab hai tumhara.?" Kusum ne ye kaha to dakshina ne kaha.

"Sach hamesha kadwa hota hai kusum aur ye baat tum bhi achhi tarah samajhti hi hogi. Aaj vicky ki jo haalat hai uski jimmedaar sirf aur sirf tum ho. Meri baat ka bura maanne se pahle zaruri hai ki tum saari baato ke bare me gahraayi se socho." Dakshina ne ye kaha to kusum ne kaha.

"Kahna kya chaahti ho tum.?" Kusum ne ye kaha to dakshina ne kaha.
"Tum meri beti ki umar ki ho aur is wakt tum mujhe 'Tum' kah rahi ho iska matlab ye hua ki tumme tameez nahi hai. Kher chhodo ye baat...ham mudde ki baat par aate hain." Dakshina ne ye kah kar ek lambi saans li uske baad usne kahna shuru kiya.

"Tumhe pata hai Kusum aaj kal is duniya me bahut kuch aisa bhi hota hai jiski ham insaan kalpana bhi nahi kar sakte aur jab aisi koi cheez ho jati hai to ham insaan use hajam bhi nahi kar paate. Tumhare sath yahi hua hai. Tumne apne hi bhai se prem kiya aur use hi apna sab kuch maan liya. Jab ki tum khud jaanti ho ki sage bhai bahan ke beech bana ye rishta har tarah se galat hai magar iske baavjood tum apne bhai se prem karti ho aur chaahti ho ki wo tumhe har janmo me mile. Ab agar koi tumse ye kahe ki tum apne hi bhai ko apna pati banana chaahti ho to kaun sa sahi kar rahi ho to kya jawaab dogi tum.? Mujhe pata hai ki iska jawaab tum sirf yahi dogi ki tum use prem karti ho. Iske siva tum koi jawaab nahi de sakti. Tumhare mata pita bhi jaante hain ki ye rishta har tarah se galat hai fir bhi unhone apne bachcho ki khushi ke liye aise galat rishte ko bhi swikaar kar liya. Magar tumne kya kiya kusum.? Tumne to sirf apne baare me socha. Haan kusum tumne sirf apne bare me hi socha. Tum sirf ye chaahti rahi ki vicky sirf tumhara ban kar rahe. Tum use hamesha ke liye apna bana kar rakhna chaahti ho jaise wo koi cheez ho aur uski apni koi khwaahish hi na ho. Aree prem karti ho to prem ka matlab bhi samjho kusum. Prem me sirf samarpan hota hai. Usme kisi cheez ko haasil kar lene ki zid jaisi baat nahi hoti. Prem ek ibadat hai aur premi wo hai jiski ham ibadat karte hain. Agar tum apne premi bhagwan ko maanti ho aur uski ibadat karti ho to tumhe ye bhi samajhna chaahiye ki bhagwan kisi ek ka nahi hota balke wo to sabka hota hai. Wo har us insaan ka hai jo uski ibadat karta hai. Kya tum ye kar sakti ho ki duniya ke har us insaan ko rok lo jo bhagwan ki ibadat karta hai...nahi na.? To fir aisa kyo sochti ho ki vicky sirf tumhara hi hoga.? Sirf apne bare me na socho kusum balke sabke bare me socho." Dakshina saans lene ke liye ruki uske baad usne fir se kahna shuru kiya.

"Jaise ek bhagwan ki duniya ka har insaan ibadat karta hai waise hi ek insaan se bahut se log bhi prem kar sakte hain. Ye aastha aur shraddha ki baat hai kusum. Tumne apne bhai se prem kiya kyo ki wo tumhe achha laga aur usme tumhari aastha thi waise hi tumhari dono bahno ke sath hua. Un dono ko bhi apne bhai se prem hai. Ab agar tum ye kaho ki un dono ne aisa kyo kiya to wo dono bhi tumse puchh sakti hain ki tumne aisa kyo kiya.? Baat to prem ki hai kusum...jaise tumhe apne bhai se ho gaya waise hi un dono ko bhi ho gaya. Ab jaise tum chaahti ho ki vicky sirf tumhara ho waise hi wo dono bhi chaahegi. Magar kya sach me wo dono aisa chaahti hain.? Tum ko to is baat se bahut zyada aitraaz hai ki vicky se koi prem na kare aur vicky kisi dusre ka na ho magar tumhare alawa kisi ko bhi aisa koi aitraaz nahi hai. Tumhari dono bahno ko pata hai ki prem me kaisi bhaavna aur soch hoti hai. Tum badi ho tumhe to khud apni bahno ki khushiyo ke bare me sochna chahiye magar tum to sirf apni khushi ke bare me hi sochti rahi ho. Jis din sabke bare me sochne lagogi us din tumhe pata chalega ki khushiya kya hoti hain." Dakshina ek baar fir se saans lene ke liye ruki uske baad boli.

"Mujhe tum sabke bare me sab kuch pata hai kusum. Balke ye kahu to bhi galat nahi hoga ki tumse zyada mujhe tum sabke bare me pata hai shuru se le kar last tak. Mujhe to wo bhi pata hai jo tum me se kisi ko bhi pata nahi hai." Dakshina ne ye kaha to kusum ne uski taraf dekha.

Kusum jo iske pahle gusse me thi ab wo ekdam se shaant ho gayi thi. Shayad dakshina ki baato ka bahut asar hua tha us par. Uske masoomiyat se bhare chehre ki taraf dekhte huye dakshina ne kaha.

"Pichhle paanch saalo se vicky hamare yaha hi raha. In paanch saalo me uski zindagi me kya kya hua ye tum sab nahi jante. Usne mujhe apni saari kahani bataayi thi. Shuru me jab wo ghar se nikaaal diya gaya tha to uske man me har pal bas yahi baat aati thi ki wo apne aapko khatam kar de. Magar uski kismat me to kuch aur hi hona likha tha is liye wo aatm hatya nahi kar saka tha. Uski kismat me to ye likha tha ki wo ek din apni hi bahno ka pati banega. Kahne sunne me ye baat kitni ajeeb lagti hai aur hajam na hone wali bhi magar sach to yahi hai. Hamare sath aksar wo cheeze ho jati hain jiski hamne kabhi kalpana nahi ki hoti. Kya tumne kabhi socha tha ki tumhare alawa vicky ke itne sare chaahne wale nikal aayege.?" Dakshina ne ye kaha to is baar kusum ne dheeme swar me kaha.

"Kya aap bhi vicky se pyaar karti hain.?" Kusum ne ye kaha to dakshina ne muskurate huye kaha.
"Vicky hai hi aisa ki usse duniya ki har ladki ya har aurat pyaar karna chahegi. Tumhe to khush hona chahiye kusum ki tum jis vicky se prem karti ho wo sabse khaas hai aur sab usse prem karna chaahte hain. Tumne puchha ki kya main bhi usse pyaar karti hu to haan kusum...main bhi usse bahut pyaar karti hu. Shuru shuru me agar hamne use sahara diya tha to ek wakt aisa bhi aaya jab wo hamara sahara bana. Sabki zindagi me dukh taklife aati hain magar jo aapki taklifo ko baat le aur aapke jiwan me khushiya bhar de usse kaun pyaar nahi karega.?" Dakshina ne ye kaha to kusum ne hairaani se uski taraf dekhte huye kaha.

"Kya aap mujhe iske bare me sab kuch batayengi.?" Kusum ne ye kaha to dakshina ne uske sundar se chehre ko apni dono hatheliyo me liya aur fir muskurate huye pyaar se kaha.

"Bilkul bataaugi kusum magar uske pahle tum mujhe ye bataao ki kya ab bhi tum yahi chaahti ho ki vicky sirf tumhara ho.?" Dakshina ne ye puchha to kusum ne nazre jhukate huye kaha.

"Mujhe samajh me nahi aata ki main is bare me kya kahu.? Haan ye samajh gayi hu ki maine ab tak jo kuch bhi kiya ya jo kuch bhi socha wo galat tha. Vicky aur main bachpan se hi ek dusre ke bahut kareeb the. Hamari aapas me kabhi kisi baat par ladaayi nahi huyi. Ham dono ek dusre ka bahut khayaal rakhte the. Dheere dheere wakt guzarta gaya aur ham bade ho gaye. Main bhai bahno me sabse badi thi aur jab main shadi ke layak ho gayi to pita ji mere liye ladka khojne lage. Ladka milta aur ladke wale mujhe dekhne bhi aate magar mujhe dekhne ke baad jab wo chale jate to ghar se unka sandesh aata ki wo ye shadi nahi karege. Aisa baar baar hone laga. Jisse maa pita ji pareshan ho gaye aur dukhi bhi. Mujhe bhi bahut dukh lagta ki jo bhi rishta aata hai wo toot jata hai. Ham sab jante the ki ye sab gaav ke sarpanch yaani rachna ke baap ki vajah se hota tha magar iske liye ham kuch kar nahi sakte the. Jab baar baar rishta tootne laga to main bhi dukhi rahne lagi. Dhire dhire mujhe ye lagne laga jaise main manhoos hu. Maa pita ji sab mujhe samjhate aur mujhe har tarah se khush rakhne ki koshish karte. Unke saamne to main khush hone ka dikhawa karti magar akele me main in sab baato ko apne man se nahi nikaal paati thi. Vicky ko pata nahi kaise pata chal jata tha ki main udaas hu ya dukhi hu. Wo mere paas aata aur mujhse duniya jahaan ki baate karta mujhe khush rakhne ke liye. Wo aksar mujhse kahta ki main duniya ki sabse sundar aur masoom didi hu uski. Uski ye baate mujhe us wakt bahut achhi lagti aur mujhe us par pyaar bhi bahut aata tha. Main janti thi ki mera bhai mujhe bas khush dekhna chaahta hai. Wo shahar me padhta tha aur roz phone par mujhse ghanto baat karta aur mujhe khush rakhne ki koshish karta. Sach kahu to main maa pita ji ke samjhane se itna khush nahi hoti thi jitna apne bhai se baat karne par khush ho jati thi. Main aksar raat hone ka intzaar karti aur uske phone ka. Dhire dhire ye ek aadat si ban gayi thi. Wo shahar se har hapte gaav aa jata tha sirf meri vajah se. Maa pita ji gussa hote magar wo fir bhi nahi maanta tha. Shahar se wo kuch na kuch mere liye zarur laata aur raat me jab sab so jate to wo mere kamre me aa kar mujhe de deta tha." Kusum bolte bolte saans lene ke liye ruki uske baad usne fir se kahna shuru kiya.

"Main aaj bhi nahi jaanti ki aisa wo kaun sa wakt tha ya aisa kaun sa wo pal tha jab mujhe apne hi bhai se prem ho gaya tha aur jab pata chala to laga ye kya gajab ho gaya.? Main akele me is bare me soch soch kar dukhi hoti aur khoob roti. Main janti thi ki ye galat tha aur agar maine apne dil se apne bhai ke liye ye prem nahi nikala to bhavishya me aur bhi dukhi hone wali baat ho jayegi magar main apne dil se apne bhai ke liye wo prem nahi nikaal paayi. Ek din maine faisla kiya ki main vicky se ab door rahugi. Usse baat karna band kar dugi. Magar ye itna asaan nahi tha. Kyo ki main chaah kar bhi vicky ko kuch kah nahi sakti thi. Udhar maa ko bhi pata chal gaya tha ki mere dil me apne hi bhai ke liye kya hai. Maa ne mujhe iske liye bahut data tha. Us din main bahut royi. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki mere sath bhagwan ye kaisa mazaak kar raha tha.? Maine faisla kar liya ki ab main vicky se door rahugi. Sabse pahle maine uske kamre me sona band kiya aur uske saamne jana bhi. Jab maine vicky ke saamne jana hi band kar diya to vicky khud mere paas aaya aur mujhse is sabka kaaran puchhne laga. Main janti thi ki wo puchhega hi. Maine bhi use kisi tarah apne se door rahne ke liye kah diya. Mujh me sach batane ki himmat nahi thi. Main nahi chaahti thi ki sach jaan kar mera bhai mujhe galat samajhne lage aur main uski nazar se gir jaau." Kusum kahte kahte ruk gayi to dakshina ne uski taraf dekha. Kusum ki aankho se aanshu bah rahe the. Wo sisakne lagi thi aur usse ab kuch bola nahi ja raha tha.

"Chalo shaant ho jaao kusum. Mujhe ye sari kahani pata hai. Main samajh sakti hu ki ye sab tumhare liye kitna mushkil tha. Baad me to tumhare mata pita is rishte ke liye maan bhi gaye the magar uske baad bhi tumne vicky se baat nahi ki aur usse anban hi rakhi thi. Iski kya vajah thi.? Kya sirf yahi ki tum vicky ko kisi aur ka hote nahi dekhna chaahti thi.?" Dakshina ne ye kaha to kusum ne kaha.

"Haan, ye sach hai ki iske pahle main apne hi bare me soch rahi thi. Main shuru se hi vicky ke kareeb thi aur fir jab maa pita ji ne hamare rishte ko swikaar kar liya to mujhe pata chala ki maa vicky ki shadi rachna se karna chaahti hain. Main ye nahi chaahti thi ki maa vicky ki shadi us rachna se kare jiske baap ne hamare sath hamesha bura kiya. Jiska baap aisa tha uski beti bhi waisi hi hogi." Kusum ne ye kaha to dakshina ne kaha.

"Aisa zaruri to nahi hota ki jiska baap bura insaan ho to uski beti bhi buri hi hogi aur iska saboot tum dekh bhi chuki ho. Usi bure insaan ki beti ki vajah se tum sab pichhle paanch saalo se sahi salaamat rahe ho. Use bhi vicky se prem tha aur usi prem ki vajah se usne wo sab kiya tha. Aaj ke samay me aisa kaun hai kusum jo us prem ki khaatir itna kuch kar daale jis prem ke bare me use achhi tarah pata ho ki wo use mil hi nahi sakta.? Rachna ne apne prem ke liye kitna bada tyaag kiya iske bare me tumhe sochna chahiye tha. Tumhari maa ne agar uski shadi apne bete se karne ke bare me socha to isme kuch bhi galat nahi kiya unhone. Us bechaari ko uske itne bade tyaag ka kya koi bhi fal na mile.? Ye to har tarah se galat ho jayega kusum." Dakshina ne ye kaha to kusum ne kaha.

"Main maanti hu ki usne hamare liye bahut kuch kiya hai magar iska matlab ye to nahi ho gaya ki wo achhi hai. Ye bhi to ho sakta hai ki usne ye sab apne baap ke kahne par hi kiya ho aur ham sabse jhooth mooth ki kahani gadh di ho ki usne sab kuch vicky ke prem par kiya." Kusum ne ye kaha to dakshina ne kaha.

"Ye sab tumhare sochne ka nazariya hai kusum aur agar ek baar ke liye maan bhi le ki tum uske bare me jo kuch kah rahi wo sach hai to bataao ki agar uske man me yahi hota to wo gaav se tum sabke sath yaha kyo aa jati.? Yaha aa kar wo tum sabka aisa kya bura kar sakti hai wo bhi apne baap ke kahne par.? Uske baap ke man me aisa kya hoga jo yaha aa jane ke baad bhi wo apni beti ke dwara tum sabka bura kar dega.? Nahi kusum...ye sab tumhara bhram hai. Mujhe kahi se bhi nahi lagta ki rachna ya uska baap aisa kuch karege. Rachna sach me ek achhi ladki hai aur wo sach me vicky se prem karti hai. Usne sab kuch prem ki vajah se hi kiya. Tum bevajah us par shak kar rahi ho aur use apna dushman maanti ho." Dakahina ne ye kaha to kusum kuch na boli.

"Mujhe lagta hai ki tum ab tak apne aur vicky ke siva kuch aur soch hi nahi rahi thi kusum. Tum ab tak sirf yahi sochti rahi ho ki tum apne bhai se dilo jaan se prem karti ho aur wo sirf tumhara hi rahe. Jab aisa nahi hua to tum iske liye apni kismat ko aur khud apne hi premi yaani ki apne bhai ko doshi maanti rahi. Vicky ke kareeb jo bhi aaya tum use apna dushman maanne lagi. Tum apne un dushmano ka kuch kar nahi saki is baat se tum andar hi andar jalti rahi. Haan kusum yahi sach hai...tum ab tak isi jaal me fasi rahi ya ye kahu ki tumne khud ko aise hi jaal me ab tak fasaye rakha. Agar kabhi is jaal se baahar aa kar khud ko shaant kiya hota to shayad tum sabke bare me soch paati ki jinhe tum apna dushman maanti rahi ho wo tumhare dushman the hi nahi aur na hi koi vicky ko tumse chheenna chaahta tha. Balke wo sab bhi tumhari tarah vicky se sachcha pyaar hi karte the." Dakshina ne ye sab kaha to kusum ko ekdam se jhatka sa laga. Use aisa mahsoos hua jaise ekdam se uske andar gyaan ka prakaash fail gaya ho aur uske man ka sara andhera door ho gaya ho.

Kusum ne ek lambi si saans li aur dakshina ki taraf bade ajeeb andaaz se dekhne lagi. Uske chehre par pal pal kayi tarah ke bhaav aate ja rahe the. Aisa lag raha tha jaise uski aankho ke samne kayi tarah ki filme chalne lagi ho aur wo unhe dekh dekh kar hairaan ho rahi ho. Dakshina usi ke chehre ki taraf dekh rahi thi. Wo dekh rahi thi ki kusum kisi dusri hi duniya me kho gayi thi. Use samajhte der na lagi ki kusum ke andar badlaav shuru ho chuka hai. Uski baato ne uske soye huye gyaan aur vivek ko jaga diya hai. Dakshina kafi der tak use yu hi chupchaap dekhti rahi uske baad usne apne dono hatho ko kusum ke kandho par rakh kar use halke se hilaya. Jisse kusum dusri duniya se hakikat ki duniya me aa gayi. Usne fir se dakshina ki taraf dekha magar is baar kusum ki aankho me aanshu the.

Kusum ke hoth kuch kahne ke liye khule zarur magar wo kuch bol na saki. Uska chehra ekdam se bigad gaya aur wo foot foot kar rone lagi. Dakshina ne use kheech kar apne seene se laga liya. Dakshina ke seene se lipti kusum tez tez siskiya le kar roye ja rahi thi. Dakshina jaanti thi ki ye uske dil me barsho ka jama hua gubaar tha jo aanshu ban kar baahar nikal raha tha. Is liye dakshina ne use rone diya. Wo chaahti thi ki uske andar ka sara gubaar nikal jaye aur uska man halka ho jaye. Kuch der baad jab kusum ka rona kuch kam hua to dakshina ne uske sir par pyaar se hath ferte huye kaha.

"Main maanti hu kusum ki kuch dukh dard tumhe tumhari kismat ne diye magar ye bhi sach maano ki kuch dukh dard tumne khud apne aapko diye hain. Har insaan khush rahne ke liye koi na koi zariya khojta hai magar tumne khush rahne ka nahi balke dukhi rahne ka zariya khoja aur usi me khud ko tadpaati rahi. Kher chhodo...mujhe lagta hai ki ab tumhe kuch bhi samjhane ki zarurat nahi hai. Ab tumhe samajh aa gaya hoga ki zindagi me jab ham sabse pahle dusro ke bare me achha sochte hain tabhi hamare sath bhi achha hota hai." Dakshina ne ye kaha to kusum ne usse alag ho kar pahle apne aanshuo ko pochha fir gambheer ho ke kaha.

"Kitni galat thi main. Sach me main kabhi is bare me soch hi nahi paayi. Aapko pata hai main har us byakti se nafrat karne lagi thi jo vicky se jud gaya tha. Hey bhagwan ye main kya kar rahi thi ab tak.? Maine sabka dil dukhaya...apni chhoti bahno ko bura bhala kaha. Apne us bhai ko dukh diya jise dukh dene ke baad main khud bhi tadapti thi. Kitni buri hu na main.? Kya sochte honge sab mere bare me.? Aaj meri vajah se mera bhai is haalat me pahuch gaya. Mujhe yaad hai ki wo kayi baar mere paas mujhse baat karne ke liye aaya tha magar har baar maine use gusse se dutkaar diya tha. Maine bahut galat kiya aunty....meri galtiyo ke liye koi maafi nahi ho sakti. Jis maa ne meri khushi ke liye us rishte ko swikaar kar liya jo har tarah se galat tha usi maa ko taklif di maine. Jo maa apni betiyo me sabse zyada mujhe pyaar karti thi usi ke bete ko maine is haalat me pahucha diya. Kya kya nahi bura kiya maine." Kusum ye sab kahte huye buri tarah rone lagi thi. Dakshin ne use fir se apne seene se laga liya tha.

"Sab kuch kismat ka khel hai kusum. Ye sab hona likha tha to ho gaya. Ho sakta hai ki tum sabko itna sab sahna likha raha ho is liye ab tak sahna pada. Magar ye sach hai ki dukh taklif ke baad khushiyo ke din bhi aate hain. Main ab daave ke sath kah sakti hu ki ab se tum sab bahut khush rahne wale ho. Is liye apne aapko dosh mat do kusum. Balke ab ye socho ki tumne sabke sath jo nahi kiya ab tak wo tumhe karna hai. Sabke bare me achha sochna hai aur achha karna hai magar sabse pahle tumhe apne bhai ke paas jana chahiye aur usse maafi maagna chahiye. Waise main jaanti hu ki tumhe maafi maagne zarurat nahi padegi usse. Kyo ki wo tumhe aaj bhi utna hi prem karta hai jitna pahle karta tha. Wo aaj bhi tumhe udaas nahi dekh sakta. Tumne ab tak use apni kasam me badha hua hai is liye wo kuch kar nahi saka tha." Dakshina ne ye kaha to kusum ki aankho se fir se aanshu bahne lage.

"Haan main jaanti hu. Wo itna kuch hone ke baad bhi mujhse nafrat nahi karega. Aapko pata hai jab mujhe ye mahsoos hua ki jise main prem karti hu wo bhi mujhse prem karta hai to main us din khushi se fooli nahi sama rahi thi. Aisa lag raha tha mujhe jaise duniya ki saari daulat aur saari khushiya mujhe mil gayi ho. Magar ye mahsoos karne ke baad bhi mujh me itni himmat nahi thi ki main apne us mahboob se kah saku ki main usse bahut prem karti hu. Main usse kahna chaahti thi ki wo mujhe apni bahan samajh kar nahi balke apni ek daasi samajh kar apne seene se laga le magar main aisa kahne ki himmat nahi kar sakti thi. Laaj aur sharm se itna gadi ja rahi thi ki main uske saamne jane se bhi katra rahi thi. Us din ki meri wo khushi maa ko khatak gayi aur fir jane kaise unhone mera man padh liya. Uske baad unhone ek din mujhse khul kar kaha aur mujhe khoob data bhi. Prem ke jis nashe me baawli ho kar main khush ho gayi thi us nashe ko maa ki daat ne ek jhatke me utaar diya tha. Mujhe is baat ka ahsaas kara diya gaya ki main apne man me jis rishte ko panaah dena chaahti hu wo har tarah se galat hai aur use jitna jaldi ho sake apne dil aur dimaag se nikaal du. Uske baad to jaise mujh par dukh aur taklifo ki baarish hone lagi. Bhai ke chale jane ke baad to jaise sab kuch khatam hi ho gaya tha. Har roz bhagwan se dua maagti ki wo mere bhai ko wapas ghar bhej de aur paanch saal ke baad dua kabool bhi huyi. Jab bhai ghar lauta to main bahut khush huyi. Barsho baad mere chehre par khushi ki chamak aayi thi magar maa ne jab us chamak ko dekha to wo fir se mujhe samjhane aa gayi. Us din ke baad se sab kuch badal gaya. Pita ji ke marne ke baad maa ne ek din mujhse kaha ki unhe mere aur vicky ke rishte se koi pareshani nahi hai balke pita ji ne khud marne se pahle ye kah diya tha unse ki wo vicky se meri shadi kar de magar tab jab ham sab us gaav se kahi door chale jaye. Is sabse main fir se bahut khush ho gayi magar meri ye khushi zyada der tak nahi rahi. Ek raat maine dekha ki meri dono bahne vicky ke kamre me apne hi bhai ke sath wo kaam kar rahi thi jo ek pati aur patni ke beech hota hai. Mujhe vicky se ye ummid nahi thi aur na hi apni bahno se. Us wakt mere dil par kya guzri thi ye main hi janti thi. Apne kamre me ja kar main bahut royi. Jiske prem me main paagal si ban gayi thi wo apni chhoti bahno ke sath wo sab kar raha tha. Main chaah kar bhi usse nafrat nahi kar paayi magar mere man me bahno ke liye gussa zarur bhar gaya. Iske liye ek din jab maine un dono ko data to wo dono ulta mujhe hi gyaan dene lagi. Us wakt unka wo gyaan mujhe zahar ki suyi ki tarah chubh gaya tha jab ki aaj lagta hai ki mujhe waisa nahi karna chahiye tha. Kher uske baad ek din maa ne mujhe apne kamre me bulaya. Maine dekha ki maa ke sath unke kamre me rachna bhi thi. Maa ne jab ye kaha ki wo vicky ki shadi ham teeno bahno ke alawa rachna se bhi karegi to mere hosh hi ud gaye. Main ye kabhi bardaast nahi kar sakti thi ki vicky ki shadi rachn se ho magar main jaanti thi aur maa ne kah bhi diya tha ki rachna ko uske prem aur uske tyaag ka fal use zarur milega. Ye sab sun kar main ek pal ke liye unke kamre me nahi ruki balke rote huye apne kamre me chali aayi thi. Apne kamre me main iske liye bahut royi magar mujhe ummid thi ki vicky rachna se shadi nahi karega magar main galat thi. Vicky maa ke aadesh ko thukra nahi saka aur rachna se shadi karne ke liye taiyaar ho gaya. Bas uske baad main kuch bhi sochne samajhne ki haalat me nahi rahi. Har pal yahi soch soch kar kudhti rahi ki ye log aisa kaise kar sakte hain.? Vicky sirf mera hai...us par kisi aur ka koi hak nahi ho sakta." Kusum ne ye sab kaha aur chup ho gayi. Uske chup hote hi kamre me sannata chha gaya. Kuch der ki khamoshi ke baad dakshina ne kaha.

"Main samajh sakti hu kusum ki us samay tum kis haalat se guzar rahi thi. Tum apne bhai ke prem me baawli ho chuki thi aur tum har pal bas yahi sochti thi ki vicky sirf tumhara hai. Mujhe lagta hai ki jis maansik haalat me us samay tum thi us haalat me koi bhi ladki waisa hi karti. Kher chhodo aur ye bataao ki ab tum kya karogi.?" Dakshina ne ye puchha to kusum ne kaha.

"Mujh me kisi se nazar milane ki himmat to nahi hai magar main sabse apne kiye ki maafi magugi aur apne bhai se kahugi ki wo meri galtiyo ko bhool kar mujhe fir se waisa hi pyaar kare jaise paanch saal pahle karta tha. Usse kahugi ki wo apni us didi ko apne seene se laga le jo uski nazar me duniya ki sabse sundar aur masoom rahi hai." Kusum ne sisakte huye ye kaha to dakshina ki bhi aankhe bhar aayi. Usne use ek baar fir se apne seene se laga liya aur uske sir par pyar se hath ferne lagi.


Bhai log....
Aaj ke liye itna hi....

Read Enjoy & Give Your Feedback....
Keep Supporting & Stay With....


:thankyou:
 

Mr. Pandit

SAB KUCH JAYAZ HAI....
1,764
3,880
144
Mast update bhai kamre me aane ke bad kiya hota hai dekhte hai ye suspense me chorke gaye ho.... Sukar hai kusum ko kuch nahi hua ab lagta hai yaha par rehga Vicky ke aane tak us time sayad sab gila sikba dur ho jaye jab Vicky lautega tab kusum ko shadi karke hii lejayega dakshina ki yaha se.... Dekhte hai age kiya hota hai kamre me aane ke bad
Thanks for your lovely comment....

Next update posted....
Read & Enjoy....
 
Top