• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAB KUCH JAYAZ HAI...

Bhai log ye story kaisi lag rahi hai....?

  • Best

    Votes: 122 81.9%
  • Good

    Votes: 27 18.1%

  • Total voters
    149

Atif Hayat

Banned
64
103
48
SAB KUCH JAYAZ HAI....
UPDATE = 50

"Main samajh sakti hu kusum ki us samay tum kis haalat se guzar rahi thi. Tum apne bhai ke prem me baawli ho chuki thi aur tum har pal bas yahi sochti thi ki vicky sirf tumhara hai. Mujhe lagta hai ki jis maansik haalat me us samay tum thi us haalat me koi bhi ladki waisa hi karti. Kher chhodo aur ye bataao ki ab tum kya karogi.?" Dakshina ne ye puchha to kusum ne kaha.

"Mujh me kisi se nazar milane ki himmat to nahi hai magar main sabse apne kiye ki maafi magugi aur apne bhai se kahugi ki wo meri galtiyo ko bhool kar mujhe fir se waisa hi pyaar kare jaise paanch saal pahle karta tha. Usse kahugi ki wo apni us didi ko apne seene se laga le jo uski nazar me duniya ki sabse sundar aur masoom rahi hai." Kusum ne sisakte huye ye kaha to dakshina ki bhi aankhe bhar aayi. Usne use ek baar fir se apne seene se laga liya aur uske sir par pyar se hath ferne lagi.

Ab aage padhiye....
Abhi dakshina kusum ko seene se lagaye uske sir par pyaar se hath hi fer rahi thi ki tabhi kamre ka darwaza khatkhataya gaya. Darwaze par huyi dastak ko sun kar dakshina ne kusum ko khud se alag kiya aur fir uski taraf pyaar se dekhte huye muskura kar kaha.

"In saari baato me main ye bhool hi gayi thi ki maine savita ko khana banane ke liye kaha tha. Lagta hai bana liya hai usne aur ab wo ham dono ko khane ke liye bulane aayi hai. Tum chalo main bhi kapde pahan ke aati hu." Dakshina ne ye kaha to kusum ne halke se apna sir haan me hilaya aur fir wo bed se utar kar darwaze ki taraf badh gayi.

Kusum ke jane ke baad dakshina ne do teen baar gahri saans li. Aisa laga jaise uske sir se bahut bada bojh hat gaya ho. Waise dekha jaye to kusum ko samjhane ka ye bojh hi to tha. Ek aisa samjhane wala bojh jo shayad bahut hi mushkil tha. Kher kusum ke jane ke baad dakshina ne bhi kapde pahne aur kamre se baahar aa gayi.

Dining table ke aamne saamne rakhi kursiyo par dakshina aur kusum baithi khana kha rahi thi. Savita ne sach me bahut hi achha khana banaya tha. Dakshina ne khana khate wakt hi kusum ko savita aur uski beti ke bare me bata diya tha.

Khana khane ke baad dakshina ne kusum ko ek alag kamre me araam karne ke liye kah diya tha. Kusum ki ichchha thi ki wo dakshina se uske aur vicky ke rishte ke bare me vistaar se jane magar dakshina ne usse kaha tha ki wo baad me use sab kuch bata degi. Abhi zaruri ye hai ki wo araam kare aur apne dil aur dimaag se pichhli sabhi baato ko nikaalne ki koshish kare.

Kusum ko dakshina ne bataya ki wo kuch der araam karne ke baad uski maa ke liye khana le kar hospital jayegi. Dakshina ki is baat se kusum ne usse kaha ki wo bhi uske sath jayegi magar dakshina ne use is wakt jane se mana kar diya. Usne use samjhaya ki uski maa is haadse ki vajah se abhi usse bahut naraz hai aur is wakt agar wo unke saamne gayi to ho sakta hai ki wo uske liye achha na ho.

Shaam hone se pahle hi dakshina khane ka ek tifin ek chhote thaile me le kar hospital nikal gayi thi aur savita ko samjha bhi gayi thi ki wo kusum ka har tarah se khayaal rakhe. Ghar se baahar aane ke baad dakshina ko yaad aaya tha ki priya pooja aur rachna is wakt akeli hi hongi. Use is baat ka bhi ahsaas tha ki vicky ki vajah se ho sakta hai ki un teeno ne khana pina na kiya ho. Is liye dakshina ek baar is baat ki tasalli kar lena chaahti thi.

Dakshina ne vicky wale ghar ke darwaze par pahuch kar door bell bajaya to kuch hi der me darwaja khula. Uske saamne pooja khadi thi. Pooja ka huliya dekh kar hi dakshina samajh gayi ki hospital se aane ke baad usne nahaya nahi hai. Udhar darwaze par dakshina ko dekh kar pooja ke chehre par halka khushi ke bhaav ubhre aur usne ek taraf hat kar dakshina ko andar aane ka raasta diya.

Ghar ke andar aa kar dakshina ne har jagah ka bareeki se jaayza liya aur fir sofe par baithi priya pooja aur rachna ki taraf dekha. Teeno me se rachna fresh lag rahi thi jabki priya pooja waisi hi thi jaisi hospital se aane ke wakt thi.

"Tum logo ne kuch khaya piya hai ya aise hi bhookhi pyaasi yaha par baithi huyi ho.?" Dakshina ne teeno ki taraf dekhte huye ye kaha to rachna ne kaha.

"Achha hua ki aap aa gayi. Main to in dono ko samjha samjha ke thak gayi hu magar ye dono sunti hi nahi hain. Hospital se aane ke baad hi maine in dono se kaha tha ki naha dho kar fresh ho jaao. Uske baad khana pina bhi kar lo. Maine ye bhi kaha ki maa ji hospital me hain to main unke khane ke liye khana bhi paick kar dugi. Magar sab kuch ready rakhne ke baad bhi ye dono tab se aisi hi baithi huyi hain." Rachna ne ye sab bataya to dakshina ne priya pooja ki taraf dekhte huye kaha.

"Maine to suna tha ki tum dono bahut samajhdaar aur bahut hoshiyaar ho magar lagta hai ki jiske dwara bhi maine ye suna tha usne jhuth bola tha mujhse. Hospital ja kar vicky se puchhugi ki usne mujhse tum dono ke bare me aisa jhuth kyo bola tha.?" Dakshina ne ye kaha to priya pooja dono ne ekdam se uski taraf hairaani se dekha.

"Bhai ne aapse aisa kab
kaha.? Kya wo aapke yaha rahte the pahle.?" Pooja ne hairaani se ye puchha to dakshina ne kaha.
"Haan wo hamare yaha hi rahta tha aur hamari factory me kaam karta tha..aaj bhi karta hai. Pichhle paanch saalo se wo hamare yaha hi tha. Hamesha tum dono ke bare me wo baate karta tha aur kahta tha ki uski do judwa bahne hain jo pariyo se kam nahi hain. Wo dono bahut sundar hain aur bahut zyada chanchal bhi. Kher chhodo ye baat main bas ye kahna chaahti hu ki tum dono bhagwan ka shukar manaao ki tumhare bhai ko kuch nahi hua. Use tum sabke pyaar ne kuch nahi hone diya. Wo tum sab se bahut pyaar karta hai aur jab use pata chalega ki uski pariyo ne khana pina kuch nahi kiya to socho use kitni taklif hogi. Is liye kisi baat ke liye ab tum dono dukhi na ho. Balki is baat ki khushi manaao ki tumhara bhai sahi salamat hai." Dakshina ne ye sab kaha to priya ne kaha.

"Ye sab kusum didi ki vajah se hua hai aunty. Unhe hi bhai se koi pyaar nahi tha warna wo aisa nahi karti. Agar bhai ko kuch ho jata to is ajnabi shahar me ham sabka kya hota.? Ham sab kiske sahare yaha rahte.? Ham sab to jite ji hi mar jate." Priya ne sisakte huye ye kaha to dakshina ne aage badh kar uske sir par pyaar se hath ferte huye kaha.

"Jo ho gaya use ab bhool jaao priya. Ye samjho ki bure wakt ka wo aakhiri samay tha. Ye to achha hi hua na ki bure wakt ka wo aakhiri wakt bhi chala gaya. Ab jo wakt shuru hoga wo ek naya wakt shuru hoga jisme bas khushiya hi khushiya hongi. Chalo ab shaant ho jaao...aur jaao tum dono bhi fresh ho jaao. Uske baad teeno sath me baith kar khana. Maa aur vicky ki fikar mat karo. Ye jo tum mere hath me thaila dekh rahi ho na...isme tifin hai aur isme tumhari maa ke liye khana hai. Main unhe hi ye le kar ja rahi thi hospital magar fir tum logo ka dhyaan aa gaya to yaha chali aayi. Achha hua ki chali aayi yaha...warna mujhe kaise pata chalta ki tum sab aise hi bathi huyi ho.?" Dakshina ne ye sab kaha to rachna ne kaha.

"Main bhi yahi sab in dono ko samjha rahi thi aunty magar ye dono kuch samajh hi nahi rahi thi." Rachna ne ye kaha to dakshina ne priya pooja ki taraf dekhte huye kaha.
"Mujhse wada karo tum dono ki ab se aisa nahi karogi." Dakshina ne ye kaha to priya pooja dono ne haan me sir hilaya.

Rachna ne bataya ki usne khana bana liya tha. Wo bas in dono ka hi wait kar rahi thi. Kher dakshina ke samjhane par priya pooja uthi aur fresh hone ke liye chali gayi. Un dono ke jane ke baas dakshina ne rachna se kaha.

"In dono me abhi bhi bachpana hai. Tum in dono ka khayaal rakhna aur khud ka bhi. Vicky ke bare me bilkul bhi fikar mat karna. Main sab theek kar dugi." Dakshina ne ye kaha to rachna ke chehre par khushi ke bhaav ubhar aaye.

"Aap sach me bahut achhi hain aunty. Aapne ham sabke liye itna kuch kiya. Aisa aaj ke samay me kaun karta hai.?" Rachna ne ye kaha to dakshina ne muskurate huye kaha.
"Aisa wahi karta hai rachna jo uska apna ho ya fir wo kisi ko apna samajhta ho. Kher chalo ab main chalti hu aur haan main tumhari hone wali saasu maa ko yaha aane ka kahugi. Waise wo maanegi to nahi par main koshish karugi." Dakshina ne ye kaha to rachna ne use hairaani se dekha.

"Aap ye sab..." Rachna abhi kuch bolne hi wali thi ki dakshina ne uski baat beech me hi kaat kar muskurate huye kaha.
"Mujhe sab pata hai rachna aur haan tumhe is bare me hairaan hone ki koi zarurat nahi hai. Achha ab main chalti hu...sabka khayaal rakhna aur agar kisi baat ki zarurat pade to mujhe phone kar dena. Ye mera card hai. Isme mera number hai." Dakshina ne apne mini pursh se ek visiting card rachna ko dete huye kaha to rachna ne us card ko hath badha kar le liya aur use dekhne lagi.

Card dene ke baad dakshina ne tifin ka thaila uthaya aur baahar ki taraf chal padi. Uske peeche peeche rachna bhi darwaze tak aayi. Jab dakshina darwaze se baahar nikal gayi to rachna ne darwaze ko band kar diya.

Dakshina jab hospital pahuchi to vicky ki maa ko usne vicky ke bed ke paas hi rakhi kursi par baithe paya. Kursi ki pichhli satah se tek lagaye baithi vicky ki maa kisi gahre khayaalo me khoyi huyi thi. Yaha tak ki use dakshina ke aane ka bhi abhaas nahi hua. Udhar bed par vicky aankhe band kiye shayad so raha tha.

Dakshina ko samajh na aaya ki wo vicky ki maa ko kya kah kar pukaare.? Yu to wo bhi uski hi umar ki thi aur wo use bahan ya didi kah sakti thi magar kyo ki vicky se uska prem sambandh tha aur wo kahi na kahi ye bhi chaahti thi ki vicky uska pati ban jaye. Is liye is rishte se use vicky ki maa ko bahan ya didi bolne me thoda jhijhak si mahsoos ho rahi thi.

Waise is wakt wo vicky ki maa yaani renuka ko bahan ya didi hi kahe to behtar tha aur ye baat wo bhi jaanti thi kyo ki jo wo bolna chaahti thi usko bol dene se ek naya bakheda khada ho sakta tha. Pata nahi kyo is baat ke bare me soch kar dakshina ko man hi man hasi bhi aayi aur thoda sharm bhi mahsoos huyi.

Dakshina bed ke paas khadi kuch der tak yahi sab sochti rahi uske baad usne ek lambi saans li aur renuka ke paas chal kar aayi. Renuka ka chehra vicky ki taraf tha aur wo dakshina ko side se baithi dikh rahi thi.

"Aap is tarah kab tak baithi rahegi...aur yaha kuch khaya piya bhi hai ya subah se aise hi bhookhi baithi hain.?" Dakshina ne renuka ke kandhe par apne hath ka thoda sa dabaav dete huye ye kaha to renuka ekdam se chaunk gayi. Wo kahi khoyi huyi thi is liye jab achanak se uske kandhe par dakshina ka hath pada to wo dar kar chaunk padi thi.

Renuka ne apne sir ko upar ki taraf utha kar dakshina ki taraf dekha. Jaise samajhne ki koshish kar rahi ho wo kaha aur kis haalat me hai. Kuch palo tak dekhte rahne ke baad usne do teen baar gahri gahri saanse li uske baad boli.

"Aap yaha kab aayi.?" Renuka ne dakshina ko jab 'Aap' kaha to dakshina ko bada ajeeb sa laga. Sath hi use aisa bhi mahsoos hua jaise wo renuka se umar me badi ho. Magar usne is bare me kuch nahi kaha. Balke ye kahna zyada sahi hoga ki wo is bare me usse kuch kah hi nahi sakti thi. Kyo ki usse kayi sare sawaal khade ho jate.

"Main to abhi kuch der pahle hi aayi hu aur haan aapke liye khana bhi le aayi hu. Is liye aap sabse pahle hath muh dho kar ye khana kha lijiye." Dakshina ne bahut hi apnepan se aur bade sammaan se ye kaha to renuka ne kaha.

"Aree aapne iski taklif kyo ki bahan ji.? Mujhe to bilkul bhi bhookh nahi hai aur main to kayi dino tak apne bete ke paas aise hi baithi rah sakti hu." Renuka ne jab dakshina ko 'Bahan ji' kaha to dakshina ko bada ajeeb laga. Uske man me khayaal ubhra ki 'main to aapke bete ki biwi banna chaahti hu maa ji aur aap mujhe bahan ji bana rahi hain'. Magar aisa usne kaha nahi.

"Isme taklif jaisi koi baat nahi hai. Agar vicky aapka beta hai to mera bhi kuch na kuch lagta hi hai. Pichhle paanch saalo se ye hamare yaha raha aur hamari factory me kaam karta raha. Sach kahu to jab se aapka beta hamare yaha aaya hai tab se hame karobaar me bahut munafa hua hai. Hamne aapke bete ko kabhi bhi gair nahi samjha aur uska sabse bada saboot yahi hai ki is wakt main yaha hu." Dakshina ne ye sab kaha to renuka ke chehre par khushi ke bhaav ubhar aaye. Wo kursi se uth kar khadi ho gayi.

"Zarur mere bete ne pichhle janm me koi bahut hi achhe punya kiye rahe honge jiski vajah se use aap jaise logo ka sahara mila tha. Warna jaisi haalat me use ghar se nikaal diya gaya tha us haalat me uska bhagwaan hi maalik ho sakta tha. Main aapka laakho baar bhi shukriya ada karu to shayad kam hi hoga." Renuka ne dakshina ka ek hath pakad kar halka dukhi ho ke ye kaha to dakshina ne kaha.

"Isme shukriya ada karne jaisi koi baat nahi hai. Fir bhi agar aap shukriya ada karna chaahti hain to shukriya me bas yahi kijiye ki ye khana kha lijiye." Dakshina ne apne dusre hath me pakde thaile ki taraf ishara karte huye ye kaha to renuka use dekh kar muskuraayi.

"Ab agar iske baad bhi main aapke kahne par khana khane se inkaar karu to shayad ye thik nahi lagega. Mujhe bhookh to nahi hai magar sirf aapki khushi ke liye main kha leti hu." Renuka ne ye kaha to dakshina ke chehre par khushi ki chamak aa gayi.

Renuka ko khana khane se pahle hath muh dhona tha is liye dakshina ne tifin ke thaile ko wahi kursi par rakha aur dakshina ko le kar bathroom ki taraf chali gayi. Kuch der me wo dono waapas aayi aur fir dakshina ne khud tifin se khana nikala aur use alag alag rakh kar sajaya. Renuka mana karti hi rah gayi magar dakshina na maani.

Dakshina ko ye sab karne se bahut khushi mahsoos ho rahi thi. Use aisa lag raha tha jaise renuka sach me uski saas ho aur wo apni saas ke liye apne hatho se khana saja rahi ho. Uska bas chalta to wo renuka ko apne hatho se khana bhi khilati magar is wakt wo aisa nahi kar sakti thi. Dakshina ne man hi man bhagwan ko yaad kiya aur unse vinti karte huye kaha ki 'hey bhagwan aap to mere man ka sab haal jaante hain. Is liye main aapse bas yahi praarthna karti hu ki aap mere man ki ye muraad puri kar dijiye'.

Dakshina ke baar baar kahne par renuka ko bhar pet khana khana hi pada. Savita ne bahut hi achha khana banaya tha. Ye baat renuka ne bhi dakshina se kaha tha. Renuka ko yahi lagta tha ki khana dakshina ka banaya hua tha. Khana khane ke baad renuka bathroom chali gayi hath dhone ke liye. Jabke dakshina tifin ko band karne lagi thi.

Bed par vicky aankhe band kiye shayad so raha tha. Uske hath pair aur sir par pattiya badhi huyi thi. Dr ne bataya tha ki vicky ka left wala hath toot gaya tha aur baaki jagaho par kharoche thi. Iske alawa sir par chot lagi thi. Wo to achha hua ki uski kismat kharaab nahi thi warna uske sath bahut kuch ho sakta tha.

Khana khane ke baad jab renuka bathroom me hath muh dhone chali gayi thi to dakshina ne pahle tifin ko waapas pack kiya aur fir use thaile me daal diya tha. Uske baad usne savita ko phone laga kar use hospital aane ke liye kah diya tha.

Renuka jab waapas aayi to usne ek dusri kursi me dakshina ko baithe paya. Dakshina dil se ye chaahti thi ki renuka waapas ghar chali jaye aur ghar ja kar araam kare. Wo subah jab se yaha aayi thi tab se hi apne bete ke paas thi. Dakshina ko pata tha ki renuka ko waapas ghar bhejna asaan nahi hoga kyo ki sabse bada sawaal yahi khada ho jayega ki vicky ke paas uske baad kaun rahega aur agar dakshina ye kahti hai ki wo khud rah jayegi raat me to uski is baat se sawaal bhi khade ho jayege. Renuka ke man me ye khayaal ubhar sakta hai ki ek paraayi aurat uske bete ke paas raat me rahne ki baat kaise kar sakti hai.? Mana ki vicky uske yaha naukari karta hai magar uska yaha rukne ki baat kahna jaldi se hajam hone wali baat nahi hogi.

Udhar renuka aayi aur fir se usi kursi par baith gayi jisme wo pahle baithi thi. Idhar dakshina ko samajh nahi aa raha tha ki wo kaise is bare me renuka se baat shuru kare.? Uska to is bare me soch kar hi dil buri tarah dhadakne laga tha. Ekdam se hi uske andar ghabrahat bhar gayi thi.

"Aap subah se yaha hain aur mujhe lagta hai ki aapne nahaya bhi nahi hai. Is liye achha hota agar aap ghar chali jaye aur fresh ho kar araam kare." Dakshina ne dhadakte dil se ye kaha to renuka ne muskurate huye kaha.

"Iski koi zarurat nahi hai bahan ji aur waise bhi mera beta jab tak thik ho ke ghar nahi aa jata tab tak main araam karne ka soch bhi nahi sakkti. Main to bas apne bete ke paas hi rahna chaahti hu." Renuka ne ye kaha to dakshina ne kaha.

"Aisa aap is liye kah rahi hain kyo ki aap apne bete se bahut pyaar karti hain aur har maa aisa hi apne bete se pyaar karti hai. Magar zara ye bhi to sochiye ki is bete ke alawa bhi aapki do betiya hain aur ek hone wali bahu bhi. Jo ki is wakt utne bade ghar me akeli hi hain. Unke bare me bhi sochiye aap." Dakshina ne ye kaha to renuka ko sach me khayaal aaya ki vicky ke alawa bhi uske bachche hain. Dakshina bade dhyaan se renuka ko hi dekh rahi thi aur uske chehre par ekdam se ubhar aaye soch ke bhaavo ko bhi.

"Main aate wakt doctor se mili thi aur unse baat bhi ki thi. Doctor ne yahi kaha ki vicky ke liye chinta karne ki koi zarurat nahi hai. Uski dekh bhaal ke liye yaha chaubiso ghante nurse aur hospital ke dusre karmchaari rahte hain. Doctor ne ye bhi kaha ki raat me yaha rukna allow nahi hai. Isi liye main aapse kah rahi thi ki aap vicky ke liye itna chintit mat hoiye aur ghar ja kar araam kijiye." Dakshina ne doctor wali baat jhuth ke roop me kahi thi. Jise sun kar renuka ne kaha.

"Ye kaisa hospital hai bahan ji ki yaha main apne bete ke paas raat me rah bhi nahi sakti.?" Renuka ne is baar thoda aahat bhaav se ye kaha to dakshina ne kaha.
"Raat me yaha rukne nahi dete hain. Doctor ka kahna hai ki ham har mareez ka bahut achhe se khayaal rakhte hain is liye ghar walo ko yaha rukne ki zarurat hi nahi hai. Doctor to ye bhi kahte hain ki din me bhi yaha zyada der tak rukne ki zarurat nahi hai. Magar aap to jaanti hain ki kisi bhi mareez ke ghar wale aisa nahi kar sakte. Raat me wo bhale hi na rukne paye magar din me to wo aayege hi." Dakshina ne ye kaha to renuka ne kaha.

"Mujhe doctor se baat karna hai bahan ji. Main doctor se hath jod kar vinti karugi ki wo mujhe apne bete ke paas rukne de." Renuka ne dukhi bhaav se ye kaha to dakshina man hi man hadbada gayi. Magar usne jaldi se khud ko samhala aur fir kaha.

"Itna adheer kyo hoti hain aap...aur aapko kya lagta hai maine doctor se ye baat nahi ki hogi.? Mujhe pata hai ki aap apne bete ke paas hi rahna chahegi is liye maine doctor se kaha aur unse vinti bhi ki agar aap yaha raat me apne bete ke paas rukna chaahe to wo aapko rukne de magar wo nahi maane. Kahne lage ki aisa nahi ho sakta. Sabke liye ek hi kanoon hai. Ghar ke kisi bhi sadasya ko yaha raat me rukne ki anumati nahi hai." Dakshina ne ye kaha to renuka is baar kuch na boli. Usne aahat bhaav se bas gahri si saans li.

Dakshina ko is baare me renuka se jhooth bol kar bilkul bhi achha nahi lag raha tha. Wo is jhooth ke liye man hi man bhagwaan se maafi bhi maag rahi thi. Waise bhi uske is jhooth me uska koi bura irada nahi tha aur na hi wo vicky ya uski maa ke liye bura soch sakti thi. Wo to bas yahi chaahti thi ki vicky ki maa ghar ja kar araam kare. Uske man me koi khot nahi tha.

Abhi dakshina ye soch hi rahi thi ki tabhi uska mobile phone baja. Usne parsh se nikaal kar mobile ki screen par dekha. Call savita ka tha. Ye dekh kar dakshina ne call uthaya aur mobile kaan se laga liya. Phone par savita ne dakshina ko bataya ki wo hospital pahuch gayi hai aur is wakt wo hospital ke andar aa gayi hai. Magar use ye nahi pata ki dakshina kaha par hai. Uski is baat se dakshina ne usse kaha ki wo aa rahi hai uske paas.

Phone waapas parsh me rakhne ke baad dakshina ne renuka ko bataya ki uske ghar ki ek naukraani ka phone tha. Usne use yaha par bulaya tha jo ki wo aa chuki hai. Kher renuka ko bata kar dakshina kamre se baahar nikal gayi. Dakshina ke jane ke baad renuka ne vicky ki taraf dekha. Wo waise hi aankhe band kiye so raha tha. Use is tarah araam se sota dekh kar renuka ne uske chehre ko halke se sahlaya.

Main pahle so hi raha tha magar jab dakshina aur maa ki baate mere kaano me padi to meri neend khul gayi thi magar maine aankhe khol kar dono ko dekhna sahi nahi samjha tha us wakt. Main sunna chaahta tha ki dakshina meri maa se kya baate karti hai aur is liye main aankhe band kiye chup chaap pada hi raha. Mujhe ye sun kar aur jaan kar bahut achha laga ki dakshina ko meri maa ki itni fikar thi aur wo maa ke liye khana le ke aayi thi.

Mujhe mahsoos ho raha tha ki sab me badlaav hua hai. Dakshina me bhi badlaav hua hai. Iske pahle wo bhi kusum didi ki tarah apne bare me hi sochti thi. Magar ab aisa nahi tha. Balke ab to aisa tha jaise wo mere pariwaar ka hissa banti ja rahi thi. Wo mere pariwaar ko apna hi pariwar samajh rahi thi aur jaise usne ek jimmedaari ko apne kandhe par rakh liya tha. Wo jimmedaari usi pariwaar ki thi jise ab wo apna samajhne lagi thi.


Bhai log....
Aaj ke liye itna hi....

Read Enjoy & Give Your Feedback....
Keep Supporting & Stay With....


:thankyou:
Ap jaise writer ko mai kuch suggestion du ye to galat hoga, meri bas yahi demand hai ki ek flashback is story me banta hai jisse vicky la dakshina ke sath relationship kaise shuru hua uska pata chal sake aur kaise fir dakshina ne apne beti ko isme liye tayar kiya iska pta chal sake, aur mujhe ye lag raha hai jis hisab se abhi ye story chal rahi hai ye flashback wala update hm sab ko jaldi hi dekhne milega
 
  • Like
Reactions: Mr. Pandit

Sanju

Well-Known Member
4,363
7,851
158
Mast update bhai meri ek gujarish hai pandit bhai ki jinti jaldi ho sake hospital ki scene close kar dena kyuki yaha to Sirf Vicky ki anupasthiti hii mehsus hogi par family ke onno logo ke andar understanding badegi to yaha jitni jaldi hosake hospital ki scene khatam karna bhai
 
  • Like
Reactions: Mr. Pandit

Badshah Khan

Active Member
1,498
3,688
159
Awesome update bhai
Keep posting
 
  • Like
Reactions: Mr. Pandit

mass8787

Well-Known Member
2,162
4,000
159
Bohut sunder Bohut lajawab wasay dekha jay tuu Dakshina kaa kerdar is waqt gher kee bari bahoo kaa saa laga juu sub kee care kurty hay or gher ko sumbhalty hay let see agay kya huta hay
 
  • Like
Reactions: Mr. Pandit

LoverboySid1997

New Member
31
66
18
Bahut Din bad 2 Update aya aur Bahut hi Shandar Update tha... Ab bas VICKY Ghar jaye aur KUSUM ko bhi Ghar le aye fir VICKY Propose kare KUSUM ko ..... All The Best For Next
 
  • Like
Reactions: Mr. Pandit

Mr. Perfect

"Perfect Man"
1,434
3,733
143
Waahh Mr. Pandit bhai. Yaar ye update sabse super tha. Kya writing hai bhai aapki. Fantastic update bhai______

Kusum ko to dakshina ne ek jhatke me change kar diya aur bhai jitna saral tarike se dakshina ko samjhaya hai wo wakai me amazing hai. To ab kusum dakshina ke yaha rahegi. Ye bhi achha hi hai. Yaha kusum ye bhi janne ki kosis karegi ki vicky aur dakshina ke beech relation kaise bana________

Bhai abhi to vicky hospital me hai is liye main ye kahna chaahta hu is situation ko lamba mat khichna. Time ko ya to skip kar do ya fir is time me dakshina aur vicky ke relation wala flashback start kar do jaisa ki aapne bola tha_______

Dakshina ne bahut hi gajab ka kaam kiya hai bhai. Sach me agar wo na hoti to kahani kuch aur ban gai hoti______

Waiting for the next________


SAB KUCH JAYAZ HAI....
UPDATE = 49

"Waah tum to ekdam pari lag rahi ho kusum. Tum sach me bahut sundar ho magar is sundarta me tumne ek grahan lagaya hua hai aur wo ye hai ki tumne apne is chaand se chehre par udaasiyo ki chaadar dhaamf rakhi hai." Dakshina ne ye kaha to kusum ko thoda sharm to aayi magar fir usne jaise is par dhyaan hi nahi diya tha.

"Achha ab tum yahi bed par baitho main bhi fresh ho leti hu. Uske baad dono sath me hi chalege. Thik hai na.?" Dakshina ne ye kaha to kusum ne haan me sir hila diya. Uske baad dakshina bhi bathroom me ghus gayi magar use nahi pata tha ki uske bathroom se waapas aane ke baad kamre me kya hone wala hai.

Ab aage padhiye....
Udhar hospital se sabke chale jane ke baad maa waiting room se uth kar mere paas aa gayi thi. Mere bed ke paas hi wo ek chair par baith gayi thi aur meri haalat ko dekh kar baar baar ro padti thi. Unki aankhe soojh kar gubbara ho gayi thi. Unko is haalat me dekh kar mujhe bhi badi taklif ho rahi thi. Main pahle se ab thoda behtar tha is liye halki awaaz me maa se baar baar yahi kahta ki wo is tarah na roye, kyo ki unke is tarah rone se mujhe bahut dukh hota hai.

Dr ne bhi maa ko hidayat diya tha ki wo mareej ke samne khud ke jazbaato ko shaant rakhe. Magar mamta se bhari huyi maa apne bete ki is haalat ko dekh kar baar baar dr ki hidayat ko bhool jati thi.

"Aapke is tarah rone se aur dukhi hone se mujhe bahut taklif ho rahi hai maa. Kya aap chaahti hain ki main is haal me aur bhi zyada taklif me ho jaau.?" Maine halki awaaz me maa se ye kaha to maa ne dukhi ho kar inkaar me sir hilaya aur kaha.

"Nahi mere laal...main bhala ye kaise chaah sakti hu ki mere kaleje ka tukda taklif me ho jaye.?" Maa ne ye kaha to maine kaha.
"To fir is tarah aanshu bahana band kar dijiye. Main aapko is tarah dukhi hote nahi dekh sakta." Maine ye kaha to maa ne kaha.

"To fir kyo kiya aisa tune.? Kya tujhe ek baar bhi mera khayaal nahi aaya.? Kya tune ek baar bhi ye nahi socha ki tujhe agar kuch ho gaya to mera kya hoga.? Aree pagle main tere bina ek pal bhi nahi ji sakti thi." Maa ne dukhi ho ke ye kaha to maine kaha.

"Us wakt main kuch bhi sochne ki haalat me hi nahi tha maa. Mere dil aur dimaag me aandhiya chal rahi thi aur bas yahi khayaal aa raha tha ki khud ko khatam kar du." Maine ye kaha to maa ne kaha.

"Tune us karamjali ki vajah se baaki sabko bhi bhula diya aur chala gaya tha ham sab ki jaan lene ke liye." Maa ne ye kaha to maine kaha.
"Bataya na maa ki us wakt main kuch bhi sochne ki haalat me nahi tha." Maine ye kaha to maa ne kaha.

"Main nahi jaanti thi ki us kalmuhi ke man me mere bete ke liye itna zahar bhar chuka hai warna tujhe kabhi na usse baat karne ki ijazat deti." Maa ne thoda gusse me ye kaha to maine kaha.

"Nahi maa. Didi ke liye aisa mat kahiye. Main maanta hu ki mujhe us wakt unki baate chubh gayi thi jiski vajah se maine apni ye haalat bana li magar main ye bhi janta hu ki unhone wo sab mujhe is haalat me lane ke uddeshya se nahi kaha tha." Maine ye kaha hi tha ki maa ne meri baat beech me hi kaat kar kaha.

"Itna kuch ho jane ke baad bhi tu us dayan ki tarafdaari kar raha hai.? Khabardaar ab agar tune mere samne uska zikra bhi kiya to. Jo mere bete ki sagi nahi wo meri bhi sagi nahi." Maa ne aawesh me aa kar ye kaha to maine kaha.

"Abhi aapke man me didi ke prati gussa bhara hua hai maa...is liye aap ye nahi soch pa rahi hain ki is sab me didi ki koi galti nahi hai. Mere sath aisa hona tha so ho gaya. Ho sakta hai ki isi vajah se didi ka man badal jaye sabke liye." Maine ye kaha to maa ne ekdam se kaha.

"Mujhe uske bare me ab kuch sochna hi nahi hai aur haan tu bhi mat soch uske bare me. Main tera byaah rachna aur priya pooja se kar dugi. Tu bas theek ho ja jaldi se aur haan us karamjali ki chhaya bhi ab main tere upar nahi padne dugi." Maa ne ye kaha to main dekhta rah gaya unhe.

Main samajh gaya tha ki is wakt didi ke bare me maa se baat karne ka koi fayda nahi tha. Kyo ki unke man me didi ke prati kadwahat bhar chuki thi jo ab itni asaani se jane wali nahi thi. Ab to shayad ye aane wala wakt hi kuch kar sakta tha. Kher unki in baato se jab main kuch na bola to maa ne is baar thoda shaant lahje me kaha.

"Achha tujhe pata hai jiske yaha tu kaam karta tha na usne hamari bahut madad ki. Kya naam bataya tha usne apna....aree haan yaad aaya..Dakshina...haan yahi naam hai uska. Bahut achhi aurat hai wo. Agar wo na hoti to ham sab tujh tak kaise pahuch pate aur tera ilaaz kaise kara paate.?" Maa ne ye kaha to main ekdam se man hi man chaunk gaya.

Mujhe zara bhi ummid nahi thi ki is haadse me dakshina is tarah khul ke meri family ke saamne aa jayegi. Mere dimaag me ekdam se hazaro baate hazaro khayaal ubharne lage
the. Mere man me sabse pahle yahi khayaal aaya ki kya meri family ko dakshina ne hamare bare me bataya hoga.? Waise aisa hona to nahi chahiye tha. Dakshina aisi baat meri family ko nahi bata sakti thi. Kam se kam is situation me to bilkul bhi nahi. To fir usne kya kya bataya hoga meri family ko apne bare me.? Mera dimaag ekdam se dard karne laga tha. Jiski peeda mere chehre par ubhar aayi thi. Ye dekh kar maa ke chehre par bhi chinta chhalak padi.

"Kya hua beta. Tu thik to hai na mere laal.?" Maa ekdam se chintit ho uthi thi. Jabke maine apne aapko badi mushkil se samhala. Dakshina aur mere beech ke rishte ke bare me ek din to sabko pata chalna hi tha magar is wakt nahi. Ye wakt iske liye sahi nahi tha balke agar ye baat yaha par khul gayi thi to bahut badi gadbad ho sakti thi.

"Kuch nahi maa. Wo bas kisi kisi pal sir me dard jaag uthta hai." Maine ye kaha to maa ne mere chehre ko sahlate huye pyaar se kaha.
"Tu zyada bol mat beta. Tu bas araam se leta rah...main bhi ab tujhse kuch nahi bolwaaugi." Maa ne ye kaha to main halke se muskuraya aur bola.

"To kya wo hamare ghar khud hi aayi thi maa.?" Maine maa se dakshina ke bare me janne ki utsukta se ye puchha to maa ne kaha.

"Kal jab tu chala gaya tha to ham sab bahut ghabra gaye the aur dukhi bhi ho gaye the. Maine us kalmuhi ko khoob data tha iske liye aur usse kaha bhi ki agar mere bete ko kuch hua to main apne hatho se uska gala kaatugi. Ham sab to is nayi jagah se anjaan hi the. Tere aane ke intzaar me sara din aur saari raat rote kalapte hi guzar gayi. Mere man me tarah tarah ke bure khayaal aa rahe the. Jab mujhse na raha gaya to subah main khud hi tujhe khojne ke liye chal padi magar rachna ne mujhe rok liya. Usne mujhse kaha ki main bhala itne bade shahar me tujhe kaha khojugi.? Pooja kal se tujhe phone laga rahi thi magar tera phone band hi batata raha tha. Magar aaj subah tere hi number se pooja ke mobile par phona aaya to pahle to maine hi baat ki. Koi police wala baat kar raha tha. Usne jaise hi ye bataya ki tera accident ho gaya hai aur tu hospital me hai to mere hath se mobile chhoot gaya. Uske baad rachna ne hi baat ki thi. Phone par baat karne ke baad ham sab hospital ke liye chal diye. Magar jaise hi ham sab darwaze ke paas pahuche to baahar se kisi ne ghanti bajaayi aur jab maine darwaza khola to baahar wahi dakshina khadi thi. Jab ham sabne use dekha to hame samajh hi na aaya ki wo kaun hai aur us wakt wo hamare ghar kyo aayi thi. Baad me jab usne ye kaha ki wo tujhe janti hai aur tere paas hi ham sabko le kar ja rahi hai to ham sab bina soche samjhe uske sath yaha aa gaye. Uske baad usi ne sab kuch kiya. Ham me se to kisi ka dimaag hi kaam nahi kar raha tha ki kya aur kaise kare.?" Maa ne ye sab bataya to main dakshina ke bare me sochne laga.

Dakshina ne sach me aise wakt par bahut hi achha kaam kiya tha aur meri family ka sath diya tha. Maa ne mujhe sari baate bataayi. Ye bhi bataya ki kusum didi kahi gayab ho gayi thi aur fir dakshina hi unhe dhoondh kar laayi thi. Kusum didi ke is maamle ke bare me jaan kar main thoda soch me pad gaya tha. Main samajh sakta tha ki unhone aisa kis maansikta ki vajah se kiya tha.

Kusum didi ne ye sab pachhtaawe ki vajah se kiya tha magar ye kis tarah ka pachhtawa tha.? Insaan ko agar apni kisi galti ka ahsaas hota hai to wo saamne wale se apni galti ke liye maafi maagta hai magar didi ne to aisa kuch kiya hi nahi tha balke unhone to aisa kadam utha liya tha jiski vajah se har koi bahut badi problem me aa jata. Aakhir kyo kiya tha didi ne aisa.? Kya wo apne kiye par sharminda thi jiski vajah se wo mere saamne nahi aana chaahti thi.? Ya fir iski koi dusri vajah bhi thi.?

Main har cheez ke bare me aise hi sochta raha. Maa mere paas hi kursi par baithi kahi khoyi thi. Dr aur nurse ne maa se saaf kah diya tha ki mujhse aisi baate bilkul bhi Na kare jisse mujhe kisi tarah ki taklif ho.

Udhar bathroom me fresh hone ke baad dakshina waapas room me aayi aur jaise hi uski nazar kusum par padi to uske pairo ke neeche se zameen khisak gayi. Bed ke ek side ek chhote se stool ki taraf kusum ektak dekhe ja rahi thi. Uske chehre par bade ajeeb se bhaav the. Wo jis stool ko dekhe ja rahi thi us stool me ek bade se frame me saji ek aisi photo thi jisme dakshina to thi hi magar uske sath jo shakhs tha wo vicky tha.

Us photo me dakshina ek pedh ke neeche apni dono taango ko seedha karke baithi thi aur vicky uski jaangho me sir rakhe upar ki taraf dakshina ke haste huye chehre ko dekh kar muskura raha tha. Dakshina ne ek hath se vicky ka hath bhi pakad rakha tha. Us photo ko dekh kar koi bhi kah sakta tha ki photo me dikh rahe ye dono insaan lovers hain. Kusum ektak usi photo ko dekhe ja rahi thi.

Dakshina ko is baat ka khayaal hi nahi aaya tha ki uske kamre me uski is tarah ki photo maujud hai jise kusum dekh sakti hai aur uske bare me kayi tarah ke sawaal khade kar sakti hai. Dakshina buri tarah ghabra gayi thi. Uske chehre par paseena chhalak aaya tha. Use samajh na aaya ki wo is situation ko kaise samhaale.? Use pata tha ki vicky ke maamle me kusum bahut hi zyada serious hai. Use ye bhi pata tha ki wo vicky ko itna prem karti hai ki wo vicky ke sath kisi ko bhi nahi dekhna chaahti. Aaj jo bhi halaat ban gaye the ye usi ka nateeja tha.

Dakshina ko ekdam se khayaal aaya ki kusum ne aaj kis hisaab se wo sab kiya tha. Matlab ki use apni galti ka ahsaas ho chuka tha. Use samajh me aa chuka tha ki vicky sirf uska hi nahi hai balke uske chaahne wale aur bhi hain jinka us par hak hai. Dakshina ko laga ki wo is situation ko samhaal sakkti hai magar zara saawdhaani se.

Dakshina ne sabse pahle apne aapko samhala uske baad usne khud ke chehre par khushi ke bhaav laaye aur kusum ki taraf dekhte huye kaha.

"Ab lag raha hai ki aaj ki saari thakaan utar gayi hai. Warna lag raha tha ki kitna thak gayi thi main." Dakshina ne ye kaha to kusum ke jisam me ekdam se halchal huyi. Abhi tak jaise wo jam si gayi thi. Dakshina ki awaaz se uska dhyaan toota tha aur fir usne us photo se apni nazre hata kar dakshina ki taraf chehra kar ke dekha.

Kusum ke chehre par patthar jaisi kathorta thi. Usne aag ugalti nazro se dakshina ki taraf dekha. Dakshina ko samajhte der na lagi ki kusum us photo ki vajah se usse ab gussa ho gayi hai. Dakshina ne bhi soch liya ki kusum ko wo bade achhe tarike se in sab baato ko samjhayegi. Use samjhayegi ki is duniya me kisi insaan ke sath kya kya ho jata hai.

"Kya hua tum is tarah kyo dekh rahi ho mujhe.?" Dakshina ne ekdam shaant bhaav se ye kaha to kusum ne ek hath se stool par rakhi photo ko uthaya aur fir use dakshina ko dikhate huye gusse se kaha.

"Ye kya hai.? Kya rishta hai tumhara vicky ke sath.?" Kusum ne direct rishte ki baat ki to dakshina muskuraayi aur chal kar uske paas aayi. Dakshina ne is wakt apne gore jisam me sirf towel lapeta hua tha. Wo bed par kusum ke saamne baith gayi.

"Kamaal hai kusum. Itna kuch ho jane ke baad bhi tumhari soch nahi badli." Dakshina ne ye kaha to kusum ne kathorta se kaha.
"Kya matlab hai tumhara.?" Kusum ne ye kaha to dakshina ne kaha.

"Sach hamesha kadwa hota hai kusum aur ye baat tum bhi achhi tarah samajhti hi hogi. Aaj vicky ki jo haalat hai uski jimmedaar sirf aur sirf tum ho. Meri baat ka bura maanne se pahle zaruri hai ki tum saari baato ke bare me gahraayi se socho." Dakshina ne ye kaha to kusum ne kaha.

"Kahna kya chaahti ho tum.?" Kusum ne ye kaha to dakshina ne kaha.
"Tum meri beti ki umar ki ho aur is wakt tum mujhe 'Tum' kah rahi ho iska matlab ye hua ki tumme tameez nahi hai. Kher chhodo ye baat...ham mudde ki baat par aate hain." Dakshina ne ye kah kar ek lambi saans li uske baad usne kahna shuru kiya.

"Tumhe pata hai Kusum aaj kal is duniya me bahut kuch aisa bhi hota hai jiski ham insaan kalpana bhi nahi kar sakte aur jab aisi koi cheez ho jati hai to ham insaan use hajam bhi nahi kar paate. Tumhare sath yahi hua hai. Tumne apne hi bhai se prem kiya aur use hi apna sab kuch maan liya. Jab ki tum khud jaanti ho ki sage bhai bahan ke beech bana ye rishta har tarah se galat hai magar iske baavjood tum apne bhai se prem karti ho aur chaahti ho ki wo tumhe har janmo me mile. Ab agar koi tumse ye kahe ki tum apne hi bhai ko apna pati banana chaahti ho to kaun sa sahi kar rahi ho to kya jawaab dogi tum.? Mujhe pata hai ki iska jawaab tum sirf yahi dogi ki tum use prem karti ho. Iske siva tum koi jawaab nahi de sakti. Tumhare mata pita bhi jaante hain ki ye rishta har tarah se galat hai fir bhi unhone apne bachcho ki khushi ke liye aise galat rishte ko bhi swikaar kar liya. Magar tumne kya kiya kusum.? Tumne to sirf apne baare me socha. Haan kusum tumne sirf apne bare me hi socha. Tum sirf ye chaahti rahi ki vicky sirf tumhara ban kar rahe. Tum use hamesha ke liye apna bana kar rakhna chaahti ho jaise wo koi cheez ho aur uski apni koi khwaahish hi na ho. Aree prem karti ho to prem ka matlab bhi samjho kusum. Prem me sirf samarpan hota hai. Usme kisi cheez ko haasil kar lene ki zid jaisi baat nahi hoti. Prem ek ibadat hai aur premi wo hai jiski ham ibadat karte hain. Agar tum apne premi bhagwan ko maanti ho aur uski ibadat karti ho to tumhe ye bhi samajhna chaahiye ki bhagwan kisi ek ka nahi hota balke wo to sabka hota hai. Wo har us insaan ka hai jo uski ibadat karta hai. Kya tum ye kar sakti ho ki duniya ke har us insaan ko rok lo jo bhagwan ki ibadat karta hai...nahi na.? To fir aisa kyo sochti ho ki vicky sirf tumhara hi hoga.? Sirf apne bare me na socho kusum balke sabke bare me socho." Dakshina saans lene ke liye ruki uske baad usne fir se kahna shuru kiya.

"Jaise ek bhagwan ki duniya ka har insaan ibadat karta hai waise hi ek insaan se bahut se log bhi prem kar sakte hain. Ye aastha aur shraddha ki baat hai kusum. Tumne apne bhai se prem kiya kyo ki wo tumhe achha laga aur usme tumhari aastha thi waise hi tumhari dono bahno ke sath hua. Un dono ko bhi apne bhai se prem hai. Ab agar tum ye kaho ki un dono ne aisa kyo kiya to wo dono bhi tumse puchh sakti hain ki tumne aisa kyo kiya.? Baat to prem ki hai kusum...jaise tumhe apne bhai se ho gaya waise hi un dono ko bhi ho gaya. Ab jaise tum chaahti ho ki vicky sirf tumhara ho waise hi wo dono bhi chaahegi. Magar kya sach me wo dono aisa chaahti hain.? Tum ko to is baat se bahut zyada aitraaz hai ki vicky se koi prem na kare aur vicky kisi dusre ka na ho magar tumhare alawa kisi ko bhi aisa koi aitraaz nahi hai. Tumhari dono bahno ko pata hai ki prem me kaisi bhaavna aur soch hoti hai. Tum badi ho tumhe to khud apni bahno ki khushiyo ke bare me sochna chahiye magar tum to sirf apni khushi ke bare me hi sochti rahi ho. Jis din sabke bare me sochne lagogi us din tumhe pata chalega ki khushiya kya hoti hain." Dakshina ek baar fir se saans lene ke liye ruki uske baad boli.

"Mujhe tum sabke bare me sab kuch pata hai kusum. Balke ye kahu to bhi galat nahi hoga ki tumse zyada mujhe tum sabke bare me pata hai shuru se le kar last tak. Mujhe to wo bhi pata hai jo tum me se kisi ko bhi pata nahi hai." Dakshina ne ye kaha to kusum ne uski taraf dekha.

Kusum jo iske pahle gusse me thi ab wo ekdam se shaant ho gayi thi. Shayad dakshina ki baato ka bahut asar hua tha us par. Uske masoomiyat se bhare chehre ki taraf dekhte huye dakshina ne kaha.

"Pichhle paanch saalo se vicky hamare yaha hi raha. In paanch saalo me uski zindagi me kya kya hua ye tum sab nahi jante. Usne mujhe apni saari kahani bataayi thi. Shuru me jab wo ghar se nikaaal diya gaya tha to uske man me har pal bas yahi baat aati thi ki wo apne aapko khatam kar de. Magar uski kismat me to kuch aur hi hona likha tha is liye wo aatm hatya nahi kar saka tha. Uski kismat me to ye likha tha ki wo ek din apni hi bahno ka pati banega. Kahne sunne me ye baat kitni ajeeb lagti hai aur hajam na hone wali bhi magar sach to yahi hai. Hamare sath aksar wo cheeze ho jati hain jiski hamne kabhi kalpana nahi ki hoti. Kya tumne kabhi socha tha ki tumhare alawa vicky ke itne sare chaahne wale nikal aayege.?" Dakshina ne ye kaha to is baar kusum ne dheeme swar me kaha.

"Kya aap bhi vicky se pyaar karti hain.?" Kusum ne ye kaha to dakshina ne muskurate huye kaha.
"Vicky hai hi aisa ki usse duniya ki har ladki ya har aurat pyaar karna chahegi. Tumhe to khush hona chahiye kusum ki tum jis vicky se prem karti ho wo sabse khaas hai aur sab usse prem karna chaahte hain. Tumne puchha ki kya main bhi usse pyaar karti hu to haan kusum...main bhi usse bahut pyaar karti hu. Shuru shuru me agar hamne use sahara diya tha to ek wakt aisa bhi aaya jab wo hamara sahara bana. Sabki zindagi me dukh taklife aati hain magar jo aapki taklifo ko baat le aur aapke jiwan me khushiya bhar de usse kaun pyaar nahi karega.?" Dakshina ne ye kaha to kusum ne hairaani se uski taraf dekhte huye kaha.

"Kya aap mujhe iske bare me sab kuch batayengi.?" Kusum ne ye kaha to dakshina ne uske sundar se chehre ko apni dono hatheliyo me liya aur fir muskurate huye pyaar se kaha.

"Bilkul bataaugi kusum magar uske pahle tum mujhe ye bataao ki kya ab bhi tum yahi chaahti ho ki vicky sirf tumhara ho.?" Dakshina ne ye puchha to kusum ne nazre jhukate huye kaha.

"Mujhe samajh me nahi aata ki main is bare me kya kahu.? Haan ye samajh gayi hu ki maine ab tak jo kuch bhi kiya ya jo kuch bhi socha wo galat tha. Vicky aur main bachpan se hi ek dusre ke bahut kareeb the. Hamari aapas me kabhi kisi baat par ladaayi nahi huyi. Ham dono ek dusre ka bahut khayaal rakhte the. Dheere dheere wakt guzarta gaya aur ham bade ho gaye. Main bhai bahno me sabse badi thi aur jab main shadi ke layak ho gayi to pita ji mere liye ladka khojne lage. Ladka milta aur ladke wale mujhe dekhne bhi aate magar mujhe dekhne ke baad jab wo chale jate to ghar se unka sandesh aata ki wo ye shadi nahi karege. Aisa baar baar hone laga. Jisse maa pita ji pareshan ho gaye aur dukhi bhi. Mujhe bhi bahut dukh lagta ki jo bhi rishta aata hai wo toot jata hai. Ham sab jante the ki ye sab gaav ke sarpanch yaani rachna ke baap ki vajah se hota tha magar iske liye ham kuch kar nahi sakte the. Jab baar baar rishta tootne laga to main bhi dukhi rahne lagi. Dhire dhire mujhe ye lagne laga jaise main manhoos hu. Maa pita ji sab mujhe samjhate aur mujhe har tarah se khush rakhne ki koshish karte. Unke saamne to main khush hone ka dikhawa karti magar akele me main in sab baato ko apne man se nahi nikaal paati thi. Vicky ko pata nahi kaise pata chal jata tha ki main udaas hu ya dukhi hu. Wo mere paas aata aur mujhse duniya jahaan ki baate karta mujhe khush rakhne ke liye. Wo aksar mujhse kahta ki main duniya ki sabse sundar aur masoom didi hu uski. Uski ye baate mujhe us wakt bahut achhi lagti aur mujhe us par pyaar bhi bahut aata tha. Main janti thi ki mera bhai mujhe bas khush dekhna chaahta hai. Wo shahar me padhta tha aur roz phone par mujhse ghanto baat karta aur mujhe khush rakhne ki koshish karta. Sach kahu to main maa pita ji ke samjhane se itna khush nahi hoti thi jitna apne bhai se baat karne par khush ho jati thi. Main aksar raat hone ka intzaar karti aur uske phone ka. Dhire dhire ye ek aadat si ban gayi thi. Wo shahar se har hapte gaav aa jata tha sirf meri vajah se. Maa pita ji gussa hote magar wo fir bhi nahi maanta tha. Shahar se wo kuch na kuch mere liye zarur laata aur raat me jab sab so jate to wo mere kamre me aa kar mujhe de deta tha." Kusum bolte bolte saans lene ke liye ruki uske baad usne fir se kahna shuru kiya.

"Main aaj bhi nahi jaanti ki aisa wo kaun sa wakt tha ya aisa kaun sa wo pal tha jab mujhe apne hi bhai se prem ho gaya tha aur jab pata chala to laga ye kya gajab ho gaya.? Main akele me is bare me soch soch kar dukhi hoti aur khoob roti. Main janti thi ki ye galat tha aur agar maine apne dil se apne bhai ke liye ye prem nahi nikala to bhavishya me aur bhi dukhi hone wali baat ho jayegi magar main apne dil se apne bhai ke liye wo prem nahi nikaal paayi. Ek din maine faisla kiya ki main vicky se ab door rahugi. Usse baat karna band kar dugi. Magar ye itna asaan nahi tha. Kyo ki main chaah kar bhi vicky ko kuch kah nahi sakti thi. Udhar maa ko bhi pata chal gaya tha ki mere dil me apne hi bhai ke liye kya hai. Maa ne mujhe iske liye bahut data tha. Us din main bahut royi. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki mere sath bhagwan ye kaisa mazaak kar raha tha.? Maine faisla kar liya ki ab main vicky se door rahugi. Sabse pahle maine uske kamre me sona band kiya aur uske saamne jana bhi. Jab maine vicky ke saamne jana hi band kar diya to vicky khud mere paas aaya aur mujhse is sabka kaaran puchhne laga. Main janti thi ki wo puchhega hi. Maine bhi use kisi tarah apne se door rahne ke liye kah diya. Mujh me sach batane ki himmat nahi thi. Main nahi chaahti thi ki sach jaan kar mera bhai mujhe galat samajhne lage aur main uski nazar se gir jaau." Kusum kahte kahte ruk gayi to dakshina ne uski taraf dekha. Kusum ki aankho se aanshu bah rahe the. Wo sisakne lagi thi aur usse ab kuch bola nahi ja raha tha.

"Chalo shaant ho jaao kusum. Mujhe ye sari kahani pata hai. Main samajh sakti hu ki ye sab tumhare liye kitna mushkil tha. Baad me to tumhare mata pita is rishte ke liye maan bhi gaye the magar uske baad bhi tumne vicky se baat nahi ki aur usse anban hi rakhi thi. Iski kya vajah thi.? Kya sirf yahi ki tum vicky ko kisi aur ka hote nahi dekhna chaahti thi.?" Dakshina ne ye kaha to kusum ne kaha.

"Haan, ye sach hai ki iske pahle main apne hi bare me soch rahi thi. Main shuru se hi vicky ke kareeb thi aur fir jab maa pita ji ne hamare rishte ko swikaar kar liya to mujhe pata chala ki maa vicky ki shadi rachna se karna chaahti hain. Main ye nahi chaahti thi ki maa vicky ki shadi us rachna se kare jiske baap ne hamare sath hamesha bura kiya. Jiska baap aisa tha uski beti bhi waisi hi hogi." Kusum ne ye kaha to dakshina ne kaha.

"Aisa zaruri to nahi hota ki jiska baap bura insaan ho to uski beti bhi buri hi hogi aur iska saboot tum dekh bhi chuki ho. Usi bure insaan ki beti ki vajah se tum sab pichhle paanch saalo se sahi salaamat rahe ho. Use bhi vicky se prem tha aur usi prem ki vajah se usne wo sab kiya tha. Aaj ke samay me aisa kaun hai kusum jo us prem ki khaatir itna kuch kar daale jis prem ke bare me use achhi tarah pata ho ki wo use mil hi nahi sakta.? Rachna ne apne prem ke liye kitna bada tyaag kiya iske bare me tumhe sochna chahiye tha. Tumhari maa ne agar uski shadi apne bete se karne ke bare me socha to isme kuch bhi galat nahi kiya unhone. Us bechaari ko uske itne bade tyaag ka kya koi bhi fal na mile.? Ye to har tarah se galat ho jayega kusum." Dakshina ne ye kaha to kusum ne kaha.

"Main maanti hu ki usne hamare liye bahut kuch kiya hai magar iska matlab ye to nahi ho gaya ki wo achhi hai. Ye bhi to ho sakta hai ki usne ye sab apne baap ke kahne par hi kiya ho aur ham sabse jhooth mooth ki kahani gadh di ho ki usne sab kuch vicky ke prem par kiya." Kusum ne ye kaha to dakshina ne kaha.

"Ye sab tumhare sochne ka nazariya hai kusum aur agar ek baar ke liye maan bhi le ki tum uske bare me jo kuch kah rahi wo sach hai to bataao ki agar uske man me yahi hota to wo gaav se tum sabke sath yaha kyo aa jati.? Yaha aa kar wo tum sabka aisa kya bura kar sakti hai wo bhi apne baap ke kahne par.? Uske baap ke man me aisa kya hoga jo yaha aa jane ke baad bhi wo apni beti ke dwara tum sabka bura kar dega.? Nahi kusum...ye sab tumhara bhram hai. Mujhe kahi se bhi nahi lagta ki rachna ya uska baap aisa kuch karege. Rachna sach me ek achhi ladki hai aur wo sach me vicky se prem karti hai. Usne sab kuch prem ki vajah se hi kiya. Tum bevajah us par shak kar rahi ho aur use apna dushman maanti ho." Dakahina ne ye kaha to kusum kuch na boli.

"Mujhe lagta hai ki tum ab tak apne aur vicky ke siva kuch aur soch hi nahi rahi thi kusum. Tum ab tak sirf yahi sochti rahi ho ki tum apne bhai se dilo jaan se prem karti ho aur wo sirf tumhara hi rahe. Jab aisa nahi hua to tum iske liye apni kismat ko aur khud apne hi premi yaani ki apne bhai ko doshi maanti rahi. Vicky ke kareeb jo bhi aaya tum use apna dushman maanne lagi. Tum apne un dushmano ka kuch kar nahi saki is baat se tum andar hi andar jalti rahi. Haan kusum yahi sach hai...tum ab tak isi jaal me fasi rahi ya ye kahu ki tumne khud ko aise hi jaal me ab tak fasaye rakha. Agar kabhi is jaal se baahar aa kar khud ko shaant kiya hota to shayad tum sabke bare me soch paati ki jinhe tum apna dushman maanti rahi ho wo tumhare dushman the hi nahi aur na hi koi vicky ko tumse chheenna chaahta tha. Balke wo sab bhi tumhari tarah vicky se sachcha pyaar hi karte the." Dakshina ne ye sab kaha to kusum ko ekdam se jhatka sa laga. Use aisa mahsoos hua jaise ekdam se uske andar gyaan ka prakaash fail gaya ho aur uske man ka sara andhera door ho gaya ho.

Kusum ne ek lambi si saans li aur dakshina ki taraf bade ajeeb andaaz se dekhne lagi. Uske chehre par pal pal kayi tarah ke bhaav aate ja rahe the. Aisa lag raha tha jaise uski aankho ke samne kayi tarah ki filme chalne lagi ho aur wo unhe dekh dekh kar hairaan ho rahi ho. Dakshina usi ke chehre ki taraf dekh rahi thi. Wo dekh rahi thi ki kusum kisi dusri hi duniya me kho gayi thi. Use samajhte der na lagi ki kusum ke andar badlaav shuru ho chuka hai. Uski baato ne uske soye huye gyaan aur vivek ko jaga diya hai. Dakshina kafi der tak use yu hi chupchaap dekhti rahi uske baad usne apne dono hatho ko kusum ke kandho par rakh kar use halke se hilaya. Jisse kusum dusri duniya se hakikat ki duniya me aa gayi. Usne fir se dakshina ki taraf dekha magar is baar kusum ki aankho me aanshu the.

Kusum ke hoth kuch kahne ke liye khule zarur magar wo kuch bol na saki. Uska chehra ekdam se bigad gaya aur wo foot foot kar rone lagi. Dakshina ne use kheech kar apne seene se laga liya. Dakshina ke seene se lipti kusum tez tez siskiya le kar roye ja rahi thi. Dakshina jaanti thi ki ye uske dil me barsho ka jama hua gubaar tha jo aanshu ban kar baahar nikal raha tha. Is liye dakshina ne use rone diya. Wo chaahti thi ki uske andar ka sara gubaar nikal jaye aur uska man halka ho jaye. Kuch der baad jab kusum ka rona kuch kam hua to dakshina ne uske sir par pyaar se hath ferte huye kaha.

"Main maanti hu kusum ki kuch dukh dard tumhe tumhari kismat ne diye magar ye bhi sach maano ki kuch dukh dard tumne khud apne aapko diye hain. Har insaan khush rahne ke liye koi na koi zariya khojta hai magar tumne khush rahne ka nahi balke dukhi rahne ka zariya khoja aur usi me khud ko tadpaati rahi. Kher chhodo...mujhe lagta hai ki ab tumhe kuch bhi samjhane ki zarurat nahi hai. Ab tumhe samajh aa gaya hoga ki zindagi me jab ham sabse pahle dusro ke bare me achha sochte hain tabhi hamare sath bhi achha hota hai." Dakshina ne ye kaha to kusum ne usse alag ho kar pahle apne aanshuo ko pochha fir gambheer ho ke kaha.

"Kitni galat thi main. Sach me main kabhi is bare me soch hi nahi paayi. Aapko pata hai main har us byakti se nafrat karne lagi thi jo vicky se jud gaya tha. Hey bhagwan ye main kya kar rahi thi ab tak.? Maine sabka dil dukhaya...apni chhoti bahno ko bura bhala kaha. Apne us bhai ko dukh diya jise dukh dene ke baad main khud bhi tadapti thi. Kitni buri hu na main.? Kya sochte honge sab mere bare me.? Aaj meri vajah se mera bhai is haalat me pahuch gaya. Mujhe yaad hai ki wo kayi baar mere paas mujhse baat karne ke liye aaya tha magar har baar maine use gusse se dutkaar diya tha. Maine bahut galat kiya aunty....meri galtiyo ke liye koi maafi nahi ho sakti. Jis maa ne meri khushi ke liye us rishte ko swikaar kar liya jo har tarah se galat tha usi maa ko taklif di maine. Jo maa apni betiyo me sabse zyada mujhe pyaar karti thi usi ke bete ko maine is haalat me pahucha diya. Kya kya nahi bura kiya maine." Kusum ye sab kahte huye buri tarah rone lagi thi. Dakshin ne use fir se apne seene se laga liya tha.

"Sab kuch kismat ka khel hai kusum. Ye sab hona likha tha to ho gaya. Ho sakta hai ki tum sabko itna sab sahna likha raha ho is liye ab tak sahna pada. Magar ye sach hai ki dukh taklif ke baad khushiyo ke din bhi aate hain. Main ab daave ke sath kah sakti hu ki ab se tum sab bahut khush rahne wale ho. Is liye apne aapko dosh mat do kusum. Balke ab ye socho ki tumne sabke sath jo nahi kiya ab tak wo tumhe karna hai. Sabke bare me achha sochna hai aur achha karna hai magar sabse pahle tumhe apne bhai ke paas jana chahiye aur usse maafi maagna chahiye. Waise main jaanti hu ki tumhe maafi maagne zarurat nahi padegi usse. Kyo ki wo tumhe aaj bhi utna hi prem karta hai jitna pahle karta tha. Wo aaj bhi tumhe udaas nahi dekh sakta. Tumne ab tak use apni kasam me badha hua hai is liye wo kuch kar nahi saka tha." Dakshina ne ye kaha to kusum ki aankho se fir se aanshu bahne lage.

"Haan main jaanti hu. Wo itna kuch hone ke baad bhi mujhse nafrat nahi karega. Aapko pata hai jab mujhe ye mahsoos hua ki jise main prem karti hu wo bhi mujhse prem karta hai to main us din khushi se fooli nahi sama rahi thi. Aisa lag raha tha mujhe jaise duniya ki saari daulat aur saari khushiya mujhe mil gayi ho. Magar ye mahsoos karne ke baad bhi mujh me itni himmat nahi thi ki main apne us mahboob se kah saku ki main usse bahut prem karti hu. Main usse kahna chaahti thi ki wo mujhe apni bahan samajh kar nahi balke apni ek daasi samajh kar apne seene se laga le magar main aisa kahne ki himmat nahi kar sakti thi. Laaj aur sharm se itna gadi ja rahi thi ki main uske saamne jane se bhi katra rahi thi. Us din ki meri wo khushi maa ko khatak gayi aur fir jane kaise unhone mera man padh liya. Uske baad unhone ek din mujhse khul kar kaha aur mujhe khoob data bhi. Prem ke jis nashe me baawli ho kar main khush ho gayi thi us nashe ko maa ki daat ne ek jhatke me utaar diya tha. Mujhe is baat ka ahsaas kara diya gaya ki main apne man me jis rishte ko panaah dena chaahti hu wo har tarah se galat hai aur use jitna jaldi ho sake apne dil aur dimaag se nikaal du. Uske baad to jaise mujh par dukh aur taklifo ki baarish hone lagi. Bhai ke chale jane ke baad to jaise sab kuch khatam hi ho gaya tha. Har roz bhagwan se dua maagti ki wo mere bhai ko wapas ghar bhej de aur paanch saal ke baad dua kabool bhi huyi. Jab bhai ghar lauta to main bahut khush huyi. Barsho baad mere chehre par khushi ki chamak aayi thi magar maa ne jab us chamak ko dekha to wo fir se mujhe samjhane aa gayi. Us din ke baad se sab kuch badal gaya. Pita ji ke marne ke baad maa ne ek din mujhse kaha ki unhe mere aur vicky ke rishte se koi pareshani nahi hai balke pita ji ne khud marne se pahle ye kah diya tha unse ki wo vicky se meri shadi kar de magar tab jab ham sab us gaav se kahi door chale jaye. Is sabse main fir se bahut khush ho gayi magar meri ye khushi zyada der tak nahi rahi. Ek raat maine dekha ki meri dono bahne vicky ke kamre me apne hi bhai ke sath wo kaam kar rahi thi jo ek pati aur patni ke beech hota hai. Mujhe vicky se ye ummid nahi thi aur na hi apni bahno se. Us wakt mere dil par kya guzri thi ye main hi janti thi. Apne kamre me ja kar main bahut royi. Jiske prem me main paagal si ban gayi thi wo apni chhoti bahno ke sath wo sab kar raha tha. Main chaah kar bhi usse nafrat nahi kar paayi magar mere man me bahno ke liye gussa zarur bhar gaya. Iske liye ek din jab maine un dono ko data to wo dono ulta mujhe hi gyaan dene lagi. Us wakt unka wo gyaan mujhe zahar ki suyi ki tarah chubh gaya tha jab ki aaj lagta hai ki mujhe waisa nahi karna chahiye tha. Kher uske baad ek din maa ne mujhe apne kamre me bulaya. Maine dekha ki maa ke sath unke kamre me rachna bhi thi. Maa ne jab ye kaha ki wo vicky ki shadi ham teeno bahno ke alawa rachna se bhi karegi to mere hosh hi ud gaye. Main ye kabhi bardaast nahi kar sakti thi ki vicky ki shadi rachn se ho magar main jaanti thi aur maa ne kah bhi diya tha ki rachna ko uske prem aur uske tyaag ka fal use zarur milega. Ye sab sun kar main ek pal ke liye unke kamre me nahi ruki balke rote huye apne kamre me chali aayi thi. Apne kamre me main iske liye bahut royi magar mujhe ummid thi ki vicky rachna se shadi nahi karega magar main galat thi. Vicky maa ke aadesh ko thukra nahi saka aur rachna se shadi karne ke liye taiyaar ho gaya. Bas uske baad main kuch bhi sochne samajhne ki haalat me nahi rahi. Har pal yahi soch soch kar kudhti rahi ki ye log aisa kaise kar sakte hain.? Vicky sirf mera hai...us par kisi aur ka koi hak nahi ho sakta." Kusum ne ye sab kaha aur chup ho gayi. Uske chup hote hi kamre me sannata chha gaya. Kuch der ki khamoshi ke baad dakshina ne kaha.

"Main samajh sakti hu kusum ki us samay tum kis haalat se guzar rahi thi. Tum apne bhai ke prem me baawli ho chuki thi aur tum har pal bas yahi sochti thi ki vicky sirf tumhara hai. Mujhe lagta hai ki jis maansik haalat me us samay tum thi us haalat me koi bhi ladki waisa hi karti. Kher chhodo aur ye bataao ki ab tum kya karogi.?" Dakshina ne ye puchha to kusum ne kaha.

"Mujh me kisi se nazar milane ki himmat to nahi hai magar main sabse apne kiye ki maafi magugi aur apne bhai se kahugi ki wo meri galtiyo ko bhool kar mujhe fir se waisa hi pyaar kare jaise paanch saal pahle karta tha. Usse kahugi ki wo apni us didi ko apne seene se laga le jo uski nazar me duniya ki sabse sundar aur masoom rahi hai." Kusum ne sisakte huye ye kaha to dakshina ki bhi aankhe bhar aayi. Usne use ek baar fir se apne seene se laga liya aur uske sir par pyar se hath ferne lagi.


Bhai log....
Aaj ke liye itna hi....

Read Enjoy & Give Your Feedback....
Keep Supporting & Stay With....


:thankyou:
 
  • Like
Reactions: Mr. Pandit

Sanju

Well-Known Member
4,363
7,851
158
Waiting for next update bhai
 
  • Like
Reactions: Mr. Pandit
Top