• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAB KUCH JAYAZ HAI...

Bhai log ye story kaisi lag rahi hai....?

  • Best

    Votes: 122 81.9%
  • Good

    Votes: 27 18.1%

  • Total voters
    149

DEXSTER

ᴀʟɪᴠᴇ
324
1,427
139
Awesome Story. Story is filled with Emotions. You are writing everything in Detail, Which I like alot.
Your Writing Skill is Excellent. :yourock:

And The new Villain, I think he is Son-in-Law of of Dakshina. Kiran's Husband.


"Pahle mujhe laga tha ki use bata du magar fir ye soch kar nahi bataya ki tumhare bare me jaan kar kiran zarur bhaagti huyi tumhe dekhne aayegi. Aise me kahi uska pati kuch aur na soch baithe. Waise bhi use is baat ka shak hai ki kiran aur tumhare beech kuch hai.?" Dakshina ne ye kaha

He has doubt on Kiran and Vikas.
So he is Trying to harm Vikas.
And by Doing this he will also get other benifit, Dakshina's Property. Because if Vikas is not there, He can get Dakshina's Property Easily.

This is only my Guess.
As a Writer of this story, Only you know the real thing. Hihihi..:D:
 
Last edited:

Mr. Pandit

SAB KUCH JAYAZ HAI....
1,764
3,882
144
SAB KUCH JAYAZ HAI....
UPDATE = 53

"Aapne bilkul thik kaha sir. Police ko koi khwaab to aayega nahi ki hospital se us aadmi ko gayab karke ham kaha le gaye hain.? Is liye police kuch samay tak apna sir khapaati hi rahegi aur ham tab tak uski pahuch se door bhi ho jayenge." Us aadmi ne ye kaha to kursi par baithe aadmi ne kaha.

"Tum dono use le kar raat me hi meri bataayi huyi jagah par rawana ho jana. Main tumhe wahi miluga. Chalo ab tum dono jaao mujhe kuch zaruri kaam karne hain." Kursi par baithe aadmi ne ye kaha to un dono aadmiyo ne sir hilaya aur fir wo dono hall se baahar chale gaye.

Un dono ke jane ke baad kursi par baithe huye aadmi ke hotho par rahasyamayi muskaan ubhar aayi. Usne apne kot ki jeb se cigarette ka packet nikala. Packet se ek cigarette nikaal kar usne use apne hotho se lagaya aur lighter se jala kar use pine laga.

Ab aage padhiye....
Dakshina ke jane ke baad nurso ne mujhe fresh kiya tha aur meri dawa daaru ki thi. Uske kareeb pandrah minute baad savita maa ko le kar aa gayi thi. Maa ne aate hi mere chehre par pyaar se chumna shuru kar diya tha. Unki aankho se aanshu ke katre bah chale the. Maine unhe rote dekha to thoda narazgi se kaha ki agar aap is tarah royengi to main kaise jaldi thik ho paauga. Kher kuch der tak maa mujhe aise hi pyaar karti rahi aur mera haal chaal puchhti rahi.

Savita kuch der tak maa ke paas hi ruki rahi uske baad maa ke kahne par wo waapas chali gayi thi. Savita ke jane ke ek ghante baad kamre me doctor ke sath ek police wala aaya. Main police wale ko dubara dekh kar thoda hairaan hua. Ye wahi police wala tha jo us din aaya tha. Police wale ko dekh kar maa bhi soch me pad gayi thi.

Doctor ne maa ko kaha ki wo kuch der ke liye baahar jaye kyo ki unke bete se police wale ko kuch baate karni hai. Doctor ki is baat se maa ne meri taraf dekha to maine apni palke jhapka kar unhe baahar jane ka ishara kar diya. Mere ishare par maa kursi se uth kar baahar chali gayi. Maa ke jane ke baad doctor bhi baahar chala gaya.

Mujhe samajh nahi aa raha tha ki ye police wala dubara mere paas kyo aaya hai. Kher doctor ke jane ke baad us police wale ne kamre ka darwaza band kiya aur fir palat kar mere paas rakhi usi kursi par baith gaya jis par abhi kuch der pahle maa baithi huyi thi. Kursi par baithne ke baad wo police wala kuch der tak meri taraf dekhta raha. Uske is tarah dekhne se mujhe bada ajeeb sa feel hone laga tha.

"Kaise ho bhai.? Mujhe lagta hai ki pahle se ab kaafi behtar ho tum." Police wale ne halki muskaan ke sath ye kaha to maine kaha.
"Ji pahle se achha feel kar raha hu main." Maine ye kaha to police wale ne kaha.

"Very good. Dhire dhire puri tarah achha feel karne lagoge. Anyway tum soch rahe hoge ki main yaha kis liye aaya hu...hai na.?" Police wale ne ye kaha to maine bas haan me halke se apna sir hilaya. Jiske jawaab me usne kaha.

"Asal me main tumhare us din ke accident ke bare me kuch puchhtaanchh karne aaya hu. Pata nahi kyo par mujhe aisa lagta hai ki tumhara wo accident ek haadsa nahi tha." Police wale ne ye kaha to maine hairaani se uski taraf dekhte huye kaha.

"Kya matlab hai aapka.?" Maine hairaani se ye kaha to us police wale ne kaha.
"Matlab ye ki mujhe lagta hai ki tumhara accident kisi ke dwara is tarah se anjaam diya gaya tha ki sabko yahi lage ki wo accident ek haadsa tha. Yaani ki tum tez raftaar me chal rahi car ko control nahi kar paye jiski vajah se tumhara accident ho gaya." Us police wale ne ye kaha to main hairaan rah gaya. Mujhe samajh na aaya ki ye police wala kya bak raha hai.?

"Mujhe bhi sabki tarah yahi laga tha ki accident ek normal haadsa hi tha. Magar kyo ki ham police walo ko kisi bhi waardaat ki bariki se jaach padtaal karne ki aadat hoti hai is liye jis jagah accident hua tha us jagah maine ye jaachne ki koshish ki tumhara accident kisi ki sochi samjhi chaal ka natija to nahi tha.? Pahle to mujhe aisa koi saboot nazar nahi aaya jo ye saabit kare ki tumhare accident me kisi dusre ka hath ho sakta hai magar baad me aakhir hame ek saboot mil hi gaya jisne hame ye bata diya ki tumhara accident tumhari galti se nahi balki kisi dusre ki vajah se hua tha." Police wale ne ye sab kaha to mere dimaag ka fuse hi ud gaya.

Main soch bhi nahi sakta tha ki aisa kuch ho sakta tha. Main to yahi samajh raha tha ki us din meri maansik haalat bahut zyada kharaab ho gayi thi jiski vajah se mujhe kuch dikhaayi nahi de raha tha. Dil aur dimaag me bas didi ki wo baate hi goonj rahi thi. Jinse dukhi ho kar main khud ko khatam kar dene par utaaru ho gaya tha. Magar is police wale ki ye baate sun kar to mere dimaag ki battiya hi gul ho gayi thi.

Main sochne par majboor ho gaya ki aisa kaise ho sakta hai.? Kya sach me kisi ne mujhe us din jaan se maar dene ki koshish ki thi.? Usne meri maansik haalat ka faayda uthaya aur mera is tarah se accident karwa diya ki sabko yahi lage ki wo sab meri galti se hua tha. Magar
main ye nahi samajh pa raha tha ki koi aisa kyo karega mere sath.? Yaha mera aisa kaun sa dushman paida ho gaya jo mujhe is tarah maar dena chaahta tha.? Main is bare me jitna sochta gaya utna hi ulajhta chala gaya magar mujhe kuch bhi samajh na aaya.

"Tumhare chehre par ubhar rahe bhaav ye saaf saaf bata rahe hain ki meri is baat se tumhe shock laga hai aur tum ye sochne ki koshish me lag gaye ho ki agar meri baat sach hai to aisa kisne kiya hoga tumhare sath.? Main khud bhi tumse isi silsile me baat karne aaya hu." Police wale ne ye kaha to maine murkho ki tarah uski taraf dekha. Mujhe kuch samajh nahi aa raha tha ki main use kya jawaab du.?

"Tum is baat ko achhi tarah samajh lo ki ye baat koi saadharan baat nahi hai. Kisi ne tumhe jaan se maarne ki koshish ki hai. Ab agar wo apni koshish me safal nahi raha hai to iska matlab ye bhi nahi hai ki wo dubara aisi koi koshish nahi karega. Use bhi pata chal hi gaya hoga ki tum bach gaye ho is liye wo tumhe fir jaan se maarne ki koshish karege. Hamare hath jo saboot laga tha usse ham kuch kar nahi sakte. Kyo ki cctv camre me hamne dekha ki jis car se bachne ke liye tumne apni car ko ain wakt par moda tha us car me koi number plate nahi lagi thi. Iska matlab saaf hai ki us car me hi wo byakti tha ya the jisne apni car ko usi wakt aise angel par laa diya tha ki tumhe jaldi se usse bachne ke liye apni car ko modna pada. Jiska natija ye hua ki tumhari car saamne dikh rahe flyover ke railing se bhid gayi aur fir railing ko todti huyi seedhe is taraf sadak par paltiyaa khaati chali gayi thi. Cctv me ye scene clear dikh raha hai. Dusri car me koi number plat nahi lagi thi aur na hi ye dikh raha tha ki usme baitha kaun hai. Kyo ki car me blackfilm chadhe shishe lage huye the jo ki band the. Us car wale ne itni safaayi se wo sab kiya tha ki sabko yahi lage ki wo natural baat thi. Mujhe bhi yahi laga tha magar jab meri nazar car ki number plate wali jagah par padi to main chaunk gaya. Kyo ki car ki number plate gayab thi. Iska to ek hi matlab hua ki bina number plate ki car wale aise byakti the jo ye nahi chaahte the ki koi unhe pakad paye." Police wale ne ye sab kaha to main kuch bol hi na saka. Main to kuch bolne ki haalat me hi nahi tha. Mera to yahi soch soch kar dimaag fata ja raha tha ki kisi ne mujhe jaan se maarne ki koshish ki thi aur ab dubara bhi karega.

"Hamne us car ko khojne ki koshish ki thi aur bina number plate wali wo car us din mili bhi magar laawarish haalat me. Matlab saaf hai ki accident ko anjaam dene ke baad car me baithe log faraar ho gaye aur fir sunsaan jagah par us car ko roka aur kisi dusre waahan se rafuchakkar ho gaye. Ye sab baate saabit karti hain ki tumhara accident koi swabhaawik haadsa nahi tha balki kisi ne jaan bujh kar tumhara accident karwaya. Unka maksad yahi tha ki tum us accident me jaan se maare jaao aur sabko yahi lage ki tumne apni galtiyo ki vajah se khud ki jaan le li." Police wale ne ye kaha to main is baar bhi kuch na bol saka.

"Main yaha tumse ye puchhne aaya hu ki is bare me tumhara kya kahna hai.? Kya tum bata sakte ho ki aisa kaun hai jo tumhari jaan lena chaahta hai.?" Police wale ne meri taraf dekhte huye ye kaha to maine kaha.

"Main is bare me aapse kya kahu.? Mujhe to kuch samajh me hi nahi aa raha. Main to yahi soch soch kar hairaan ho raha hu ki us din mera accident koi haadsa nahi tha balki kisi ne jaan bujh kar mera accident karaya tha. Magar ab main ye nahi samajh pa raha hu ki aisa kaun kar sakta hai mere sath.? Yaha to kisi se meri koi dushmani bhi nahi hai aur na hi maine kabhi kisi ke sath kuch bura kiya hai.?" Maine ye kaha to police wala meri taraf kuch palo tak dekhta raha uske baad bola.

"Dekho ladke, bina vajah koi kisi ki jaan nahi lena chaahta. Iske peeche koi na koi vajah zarur hoti hai. Warna wo log kya apne shauk ke liye tumhari jaan lena chaahte the.?" Police wale ne thoda shakht lahje se ye kaha to maine kaha.

"Main sach kah raha hu aapse. Yaha kisi se meri koi dushmani nahi hai." Maine ye kaha to police wale ne kaha.
"Yaha nahi hai ka kya matlab hai.? Ohh matlab tum ye kahna chaahte ho ki yaha yaani delhi me tumhari kisi se koi dushmani nahi hai, iska matlab yaha ke alawa kahi aur kisi se tumhari dushmani zarur hai...right.?" Police wale ne ye kaha to main buri tarah andar hi andar shock rah gaya.

"Mujhe apne bare me saari jaankari detail me bataao." Police wale ne ye kaha to main soch me pad gaya. Sala ab ye kya lafda hone wala hai.? Tabhi ekdam se mere dimaag ki batti jali. Omg kahi ye accident rachna ke baap ne to nahi karwaya hoga.? Magar wo yaha aa kar aisa kaise kar sakta hai.? Kisi dusri jagah par wo bhi itne bade shahar me uske liye aisa karna bilkul bhi sambhav nahi ho sakta tha. Magar ek sawaal ye bhi tha ki uske alawa koi dusra mera dushman bhi to nahi hai. Abhi main ye sab soch hi raha tha ki tabhi police wale ki awaaz se mera dhyaan toota.

"Kaha kho gaye bhai.? Maine tumse kuch kaha hai....mujhe apne bare me saari jaankari do. Tabhi ye samajh aa sakta hai ki tumhare sath aisa karne wala kaun ho sakta hai.?" Police wale ne ye kaha to maine socha kya is police wale ko apne bare me sab kuch sach sach batana sahi rahega.? Kahi aisa to nahi ki meri family par kisi baat ka khatra paida ho jaye. Police waalo ka kya bharosa.? Mere ghar me waise bhi aurato ki bheed jama hai.

Magar khatra to is baat se bhi bana hi tha ki koi mujhe jaan se maarna chaahta hai. Is situation me mere liye sabse zyada kharaab baat ye thi ki main kuch karne ki haalat me nahi tha. Police wala is maamle me meri kya madad kar sakta tha ye achhe se nahi jaanta tha main. Aisa bhi ho sakta tha ki ye police wala khud un logo se mila hua ho jin logo ne mujhe jaan se maarne ki koshish ki thi.

Main samajh nahi paa raha tha ki main ab kya karu.? Magar police wale ko apne bare me kuch to batana hi tha. Is liye maine halaat se samjhauta karte huye ye faisla kiya ki police wale ko utna hi bataauga jitna zaruri ho.

"Aree bhai kis soch me gum ho bhai.? Apne bare me batane me bhi itna sochna padta hai kya.? Kahi aisa to nahi ki tum sach me hi koi aise insaan ho jinka sambandh un logo se hai jinhone tumhe jaan se maarne ki koshish ki thi.?" Police wale ki ye baat mere kaano me padi to main chaunk gaya. Mujhe ekdam se khayaal aaya ki mere is tarah chup rahne se ye police wala mere bare me jane kya kya sochne lagega. Is liye maine khud ko samhaalte huye kaha.

"Nahi sir aisi koi baat nahi hai. Main to bas ye soch raha hu ki aakhir aisa kaun ho sakta hai jo mujhe jaan se maarna chaahta hoga.? Yaha kya meri to kahi bhi kisi se koi dushmani nahi hai." Maine ye sab kahte huye us police wale ko apne bare me batana shuru kar diya.

Maine us police wale ko apne bare me yahi bataya ki main fala gaav ka rahne wala hu aur mere pariwaar me kaun kaun hain. Maine use ye nahi bataya ki gaav me ek sarpanch hai jisse meri achhi khaasi dushmani ho gayi hai. Maine use ye bhi nahi bataya ki main yaha par hamesha ke liye gaav ki zameen jaaydaad aur ghar bech kar rahne aa gaya hu. Pata nahi kyo magar main ye sab baate jaan bujh kar police wale se nahi batana chaahta tha. Main nahi chaahta tha ki in sab baato ko jaanne ke baad ye police wala mere peechhe hi pad jaye aur hazaaro sawaal jawaab karne lage. Udhar meri saari baate sunne ke baad police wala kuch der sochta raha uske baad bola.

"Tumhari in saari baato se to yahi lagta hai ki tumhari gaav me bhi kisi se koi dushmani nahi hai. Magar barkhurdaar aisa kaise ho sakta hai ki bina vajah koi tumhari jaan ka dushman ban jaye.? Kuch to aisa zarur hai jiski vajah se un logo ne tumhe jaan se maarne ki koshish ki thi aur ye bhi main pakke daave ke sath kah sakta hu ki wo log dubara bhi aisi koshish karenge. Main ye bilkul bhi nahi maan sakta ki koi bina vajah tumhe jaan se maarna chaahega. Matlab saaf hai ki tum kuch na kuch mujhse chhupa rahe ho." Police wale ne ye kaha to main dekhta rah gaya use. Fir khud ko samhaalte huye bola.

"Main aapko kaise yakeen dilaau sir ki meri kisi se koi dushmani nahi hai jiski vajah se koi mujhe jaan se maarna chaahe. Main to khud is baat se hairaan hu aur ab chintit bhi ho gaya hu ki koi mujhe jaan se maarna chahta hai. Aap khud sochiye ki main bhala aapse aisi koi baat kyo chhupaauga jabke mujhe pata hai ki chhupane se mera hi nuksaan hai ya ye kahiye ki meri hi jaan ka khatra hai.?" Maine ye kaha to police wala mere chehre ki taraf bade dhyaan se dekhta raha aur uske is tarah dekhne se mere dil ki dhadkane badhti rahi.

"Chalo thik hai bhai. Maine maan liya ki tumhari kisi se koi dushmani nahi hai. Magar ye to sach hai ki koi tumhe apna dushman zarur samajhta hai aur isi liye usne tumhari jaan lene ki koshish ki. Kabhi kabhi aisa hota hai ki ham kisi ke sath anjaane me bahut bura kar jate hain jiska hame ahsaas nahi hota aur ham kabhi uske bare me sochte bhi nahi hain magar jiske sath bura hua hota hai wo bura karne wale ko apna dushman bana baithta hai. Ho sakta hai tumhare sath bhi aisa hi koi case hua ho. Kher main filhaal chalta hu aur tumhari security ke liye saade kapdo me kuch police walo ko bhi yaha hospital me rakhwa deta hu." Police wala ye sab kahne ke sath hi kursi se utha aur khade hone ke baad fir se bola.

"Meri jagah koi dusra police wala hota to wo tumhare liye itna kuch kabhi nahi karta balke is maamle ko yahi chhod kar chala jata. Magar meri fitrat zara juda hai bhai. Main har us baat me interest le leta hu jo bina matlab ki hoti hai. Kher apna khayaal rakhna aur haan is bare me sochna zarur. Agar kuch yaad aaye to mujhe suchit kar dena." Police wale ne ye sab kaha aur sir par lagi cap ko durust karte huye kamre se baahar nikal gaya.

Police wale ke jane ke baad main chup chaap khamoshi se in saari baato ke bare me sochta pada raha. Sach to ye tha ki main khud bahut zyada ulajh gaya tha in sab baato se. Mere liye sochne wala sabse bada sawaal yahi tha ki kisne mujhe jaan se maarne ki koshish ki hogi.? Mere dimaag me is sawaal ke jawaab me sabse pahle sarpanch ka hi khayaal aaya tha magar main is baat ko maanne ko taiyaar nahi tha ki sarpanch yaha aa kar meri jaan lene ki koshish kar sakta hai. Matlab saaf hai ki koi dusra hi aisa ho sakta hai jo meri jaan lena chaahta hai....magar sawaal tha ki kaun.??

"Kya baat hai beta.? Wo police wala tujhse milne kyo aaya tha.?" Mere kaano me maa ki ye awaaz padi to main hakikat ki duniya me aaya aur maa ki taraf dekhte huye kaha.

"Aise hi maa. Bas haal chaal puchne aaya tha." Maine maa ko kuch bhi batana uchit nahi samjha. Main jaanta tha ki agar maa ko is bare me pata chala to wo bahut zyada chitit aur pareshaan ho jayengi is liye aisa bola to maa ne kaha.

"Use tujhse tera haal chaal hi puchhna tha to ham sabke saamne hi puchh leta. Fir mujhe is kamre se baahar kyo bhej diya tha usne.?" Maa ne ye kaha to maine maa ki taraf dekhte huye muskurane ki koshish karte huye kaha.

"Ab ye to main bhi nahi jaanta maa. Shayad police walo ka yahi tarika hota ho kisi se uska haal chaal puchhne ka. Aapko baahar bhejne ke baad usne mujhse mera haal chaal hi puchha tha aur haan ye bhi kaha ki aainda main jab bhi car chalaau to hosh me rah kar chalaau. Aisa na ho ki main fir se accident kar baithu." Maine ye kaha to maa ne kaha.

"Haan to kya galat kaha usne.? Main to ab tujhe gaadi chalane hi nahi dugi aur haan tu car lene ko bol raha tha na to ab tujhe car bhi nahi lene dugi. Ham bina car ke hi rah lenge. Tu apni naukri par bus se ya auto se chale jaya karna." Maa ne ye sab kaha to main muskura pada aur fir bola.

"Aap aisa is liye kah rahi hain maa kyo ki is wakt main is haalat me pada hu. Jab ki aapko sochna chahiye ki us din main maansik roop se bahut zyada dukhi tha is liye mera accident ho gaya tha. Warna kya maine pahli baar car chalayi thi.? Paanch saalo se chala raha hu. Iske pahle to aisa kabhi nahi hua tha mere sath. Kher ab aap fikar mat kijiye kyo ki ab se aisa kuch nahi hoga." Maine ye kaha to maa ne mere chehre ko sahlate huye kaha.

"Main jaanti hu ki tu apne man ka hi karega magar tu ye mat bhool ki tere siva hamara koi nahi hai is duniya me. Ham gaav me bhale hi chaahe jaisa jeewan jee rahe the magar kam se kam ye to rahta ki ham apne kheto par mehnat karke do wakt ki roti kha lete magar yaha ham kya kar sakte the beta.?" Maa ne dukhi ho ke ye kaha to maine kaha.

"Aisi baat nahi hai maa. Bhagwaan sabka beda paar karta hai. Us par bharosa rakhiye aur ab to mujhe aisa mahsoos ho raha hai ki hamari jo bhi mushkile thi unka khaatma ho gaya hai. Ab ham sab ek sath hasi khushi se rahenge." Maine ye kaha to maa ne kaha.

"Tu jab tak is haalat me hai tab tak ham me se koi khush kaise rah sakta hai beta.? Maine bhagwaan se kabhi zyada kuch nahi maaga bas yahi maga hai ki mere bachche khush rahe. Hame bahut bada banne ki khwaahish nahi hai balke ham to thode se me hi khush rahna chaahte hain." Maa ne ye kaha to main kuch der sochta raha fir bola.

"Ghar me sab kaise hain maa.?" Maine kuch sochte huye ye puchha to maa ne kaha.
"Agar tu us kalmuhi ke bare me janne ki koshish kar raha hai to main tujhe pahle hi bata chuki hu ki mere saamne ab kabhi uska zikar bhi nahi karna. Usi ki vajah se aaj teri ye haalat huyi hai.?" Maa ne ekdam se gusse me aa kar ye kaha to maine kaha.

"Aap didi ke liye aisa kaise kah sati hain maa.? Ham sab jaante hain ki aap apne bachcho me sabse zyada didi ko pyaar karti hain aur unka khayaal rakhti hain." Maine ye kaha hi tha ki maa ne kaha.

"Maine kaha na ki uske bare me koi baat na kar mujhse." Maa ne ye kaha to maine kaha.
"Main aapko samjhane ke laayak to nahi hu maa kyo ki aapko mujhse zyada jeewan ka anubhav hai. Fir bhi bas yahi kahna chaahta hu ki is duniya me sab kuch usi ki marzi se hota hai jise ham insaan bhagwaan kahte hain aur uski pooja karte hain. Bujurg log hamesha yahi kahte hain na ki jo bhi hota hai achhe ke liye hi hota hai to shayad ye jo kuch bhi mere sath hua hai ye kisi achhe ke liye hi hua hoga." Maine ye sab kaha to maa meri taraf dekhti rahi jabke maine kahna jaari rakha.

"Ye to aap bhi maanti hain na ki didi ko samjhana kisi ke bhi bas ki baat nahi thi aur na hi wo kisi ki baat sunna chaahti thi. Unke dimaag me to bas ek hi baat baith gayi thi ki aapne ya maine unke sath achha nahi kiya. Balke wo jis par sirf aur sirf apna hak samajhti thi use unse chheen kar dusro me baat diya gaya. Us din didi ne jo kuch mujhse kaha aur uska jo bhi natija nikla usse kam se kam itna to ho hi gaya ki aaj didi ko sahi galat ka ahsaas ho chuka hai. Aaj wo sabki baat sun sakti hain aur sabki baat samajh sakti hain. Kya wo ye chaahti rahi hongi ki unki baato se dukhi ho kar main apni jaan de du.? Nahi maa...aap jaanti hain ki wo mujhse kitna pyaar karti hain. Bhale hi mujhe sab par baat diya gaya magar unhone ek baar bhi mujhse is baat ki shikayat nahi ki. Unhone kisi se bhi is baat ki shikayat nahi ki balke unhone sabse kinara karke sirf khud ko hi taklif di. Ab agar yaha par ham un bujurgo ki is baat ke bare me soche ki jo bhi hota hai achhe ke liye hi hota hai to zaahir hai ye jo kuch bhi hua hai achhe ke liye hi hua hai. Didi ko samajh me aane ke liye shayad ye zaruri ho gaya tha ki main is haal me pahuch jaau. Kher unse gussa hone ki koi zarurat nahi hai maa. Unhone kabhi ye nahi jana ki khushi kya hoti hai aur nahi ye jana ki muskurana kya hota hai. Unhe bas pyaar chaahiye maa...aisa pyaar jisse wo khush ho sake aur muskurana jaan sake." Maine ye sab kaha to maa meri tataf dekhti rah gayi. Unki aankho me aanshu tairte huye dikhe aur fir ekdam se wo aanshu unki aankho se chhalak kar bah chale.

"Mera beta itni badi badi baate karne laga hai. Kya tu sach me itna bada ho gaya hai ki tu ab apni maa ko hi jeewan ka paadh samjhane lage.?" Maa ne ye kaha aur jhuk kar mere paathe par choom liya.

"Sach kaha tune mere laal. Usne kabhi sukh nahi dekha. Tere pita ji ko bhi isi baat ka ahsaas tha tabhi to jab unhe ye pata chala ki unki beti apne hi bhai se prem karti hai aur use apna sab kuch maanti hai to unhone mujhse saaf saaf kah diya ki agar unki dukhiyaari beti ki isi me khushi hai to use ye khushi de do. Magar is gaav me rah kar ye sambhav nahi ho sakta. Iske liye to kahi door jana padega. Unki is baat se main hairaan thi ki wo bhala aisa kaise kah sakte hain. Kya koi baap aisa kah sakta hai ki wo apni beti ki khushi ke liye uske hi sage bhai ko uska pati bana de. Maine jab unse kuch kahna chaaha to unhone mujhe rok diya aur mujhe kasam di ki jab hamara beta waapas aaye to main yahi karu." Maa ne ye sab kaha to main kuch na bola balke pita ji ke bare me sochta raha.

"Aakhir tere pita ji ke kahne par maine wahi kiya jisme teri bahan ki khushi thi magar use bhi to samajhna chahiye tha ki baakiyo ka kya.? Rachna ne bhi to tujhse prem kiya aur usne usi prem ki vajah se hamare liye itna kuch kiya. Agar tu kabhi waapas bhi na aata to wo bechari saari zindagi wahi karti rahti. Is liye kya uske liye hamara koi farz nahi hona chahiye tha.? Mujhe bhi pata hai ki kusum kya chaahti thi magar prem kisi ek ka hi kaise ho sakta hai.? Use sabke bare me sochna chahiye tha. Use rachna ka shukra guzaar hona chahiye tha ki usne uske bhai se prem kiya aur usi prem ki vajah se usne hamare pariwar ki apne baap se raksha ki." Maa ne ye sab kaha to maine kaha.

"Fikar mat kijiye maa. Ab didi ko sab kuch samajh aa chuka hai. Ab wo sabke bare me sochne lagi hain." Maine ye kaha to maa ne kaha.
"Agar aisa hai to kya wo ek baar bhi tujhe dekhne ke liye aayi tere paas.?" Maa ne ye kaha to maine kaha.

"Wo aana chaahti thi magar unhe dakshina ji ne aane se mana kar diya tha. Kyo ki didi ke yaha aane se aap un par gussa karti aur unhe bura bhala kahti." Maine ye kaha to maa ne hairaani se meri taraf dekha aur fir boli.

"Tujhe ye sab kaise pata hai.?" Maa ne ye kaha to maine kaha.
"Mujhe dakshina ji ne bataya tha. Unhone hi bataya ki wo didi ko apne ghar le gayi thi us din aur tab se wo unke hi ghar par hain." Maine ye kaha to maa ne kuch sochte huye kaha.

"Kya dakshina ji ko ye bhi pata hai ki tera teri bahan ke sath kya rishta hone wala hai.?" Maa ne ye puchha to main ek baar ke liye to chup rah gaya magar fir bola.
"Unhe sirf itna pata hai ki meri shadi rachna se hone wali hai." Maine ye kaha to maa ne bade dhyaan se meri taraf dekha.

"Dakshina ke pariwaar me unke alawa aur kaun kaun hai.?" Maa ne ye puchha to maine dhadakte dil se kaha.
"Kuch saal pahle unke pati ki maut ho gayi thi. Ek beti hai jiski shadi ho chuki hai aur wo apne sasuraal me hai." Maine ye kaha to maa ne kaha.

"Ohh matlab ab wo akeli hi hai." Maa ne ye kaha to maine kaha.
"Haan, magar unki dekh bhaal ke liye savita naam ki ek naukraani hai jo unke sath hi rahti hai apni beti ke sath. Us naukraani ka bhi koi nahi tha is liye dakshina ji ne use hamesha ke liye apne sath hi rakh liya." Maine ye bataya to maa ne kaha.

"Bhagwaan ne unhe ek beta diya hota to unka bhi ek sahara hota. Kya apne damaad ko unhone ghar jamaayi nahi banaya.?" Maa ne ye kaha to maine kaha.
"Wo banana to chaahti thi magar damaad iske liye raazi nahi tha." Maine maa se is bare me jhooth kaha to maa ne kaha.

"To fir unke baad unke karobaar aur unki dhan sampatti ka kya hoga.? Ya fir shayad wo apni beti ko hi dengi." Maa ne ye kaha to maine kaha.
"Haan aur bhala kise dengi. Beti ke siva dusra kaun hai unka.?" Maine ye kaha to maa ne haan me sir hilaya.

Aise hi maa se meri baate hoti rahi. In saari baato me ek baat ye achhi huyi ki wo ab kusum didi se naraaz nahi thi. Yaani didi ke prati unki naraazgi khatm ho gayi thi. Unhone mujhse kaha bhi ki wo didi se milengi aur unhe ghar le jayengi.

Dopahar ko dakshina aayi. Ab kyo ki dakshina ke bare me thoda bahut maa ko mujhse pata chal gaya tha is liye maa unse baate karti rahi. Waise bhi dakshina ke prati maa ke man me sammaan ki hi bhaavna thi kyo ki usne aise halaat me hamari bahut madad ki thi. Maine dekha ki maa aur dakshina ke beech achha taal mel ho gaya tha.

Aise hi sara din guzar gaya. Dakshina ne doctor se baat ki thi. Usne bataya ki ek do din me mujhe hospital se ghar le jaya ja sakta hai magar shart ye hai ki mujhe time time se niyam ke anusaar dawa dena padega aur mera khayaal rakhna hoga. Doctor ki is baat se dakshina khush ho gayi thi. Usne maa ko bhi is bare me bataya to maa bhi khush ho gayi thi.

Shaam hone se pahle hi dakahina ne maa se ghar jane ke liye kaha to maa ne kaha ki wo ghar ja kar kya karengi. Balke unhe unke bete ke paas hi rahne se achha lagta hai. Magar jab maine bhi zor diya to maa ko jane ke liye raaji hona hi pada. Maa ne dakshina se kaha ki wo kusum didi ko aaj apne sath hi ghar le jayegi to unki is baat se dakshina ne kaha ki kusum ko kuch din unke paas hi rahne de. Aakhir wo bhi to uski beti jaisi hi hai. Dakshina ki is baat ko maa ne khushi khushi maan liya.

Dakshina ne savita ko bula liya tha is liye savita maa ko le kar ghar jane lagi to maa ne dakshina se bhi chalne ke liye kaha to dakshina ne kaha ki use ek baar factory ka chakkar lagana padta hai. Iske pahle sab kuch vicky hi dekhta tha. Ab kyo ki vicky is haalat me hospital me hai to ye kaam use hi karna padta hai. Dakshina ki is baat se maa ne us par sahaanubhuti dikhaayi aur fir savita ke sath chali gayi. Maa ke jane ke baad dakshina mere paas aayi aur maa wali kursi par baith gayi. Uske chehre se hi lag raha tha ki wo aaj khush hai.

"Kya baat hai aaj bada khush nazar aa rahi ho.?" Maine muskurate huye ye kaha to dakshina ne kaha.
"Khushi ki to baat hi hai jaan. Aaj tumhari maa se main kafi ghul mil gayi hu. Aisa laga hi nahi ki main unke liye koi gair hu." Dakshina ne ye kaha to maine kaha.

"Ye to achhi baat hai na aur abhi to ye shuruaat hai. Dhire dhire shayad aisa bhi wakt aa jaye ki tum mere pariwaar ka hissa ban jaao." Maine ye kaha to dakshina ne kaha.

"Kaash aisa jaldi ho jaye jaan. Main us din bahut khush hougi jis din aisa hoga. Waise mujhe to yakeen hi nahi hota ki main kabhi tumhari maa ko saasu maa kah sakugi." Dakshina ne udaas lahje me ye kaha to maine kaha.

"Matlab tumne pura man bana liya hai ki tum meri biwi banogi. Uffff yaar, sab kya sochenge hamare bare me.? Ek maa jaisi umar ki aurat ka bete jaisi umar ka ladka uska pati ban gaya hai...aur baat yahi par khatam nahi hoti...agar aisa hota hai aur jab hamare bachche honge to wo tumhe kya kahege....maa ya dadi.?" Maine muskurate huye ye kaha to dakshina ne ekdam se apna muh fula liya.

"Tum mera mazaak uda rahe ho.???" Dakshina ne muh fulate huye ye kaha to maine haste huye kaha.
"Yaar main mazaak nahi uda raha hu balke main to wahi kah raha hu jo aisa hone par lagega." Maine ye kaha to dakshina ne kaha.

"Tum na rahne do ab. Jab dekho tab meri umar ka tana maarne lagte ho tum." Dakshina ne roothte huye ye kaha to maine kaha.
"Aree yaar, maine kab is tarah ka tana mara.?" Maine hairaani se ye kaha to dakshina abhi kuch kahne hi wali thi ki tabhi uske parsh me pada uska mobile baja. Jiski vajah se usne mujhse kuch na kaha balke parsh se apna mobile nikaalne lagi.


Bhai log....
Aaj ke liye itna hi....

Read Enjoy & Give Your Feedback....
Keep Supporting & Stay With....


:thankyou:
 

Mr. Pandit

SAB KUCH JAYAZ HAI....
1,764
3,882
144
Bhai yu villain koaun hego
Thanks for your lovely comment....
Bhaya padhte raho aage pata chal hi jayega....

Next update posted....
Read & Enjoy....
 

Mr. Pandit

SAB KUCH JAYAZ HAI....
1,764
3,882
144
lovely update ........ keep it up bro.

ab ye koun hai Rachnaa ka baap to nahi koi aur hi lagtaa hai

waiting for next update
Thanks for your lovely comment....
Sochiye bhaya kaun ho sakta hai....

Next update posted....
Read & Enjoy....
 
Top