- 1,764
- 3,882
- 144
Intazar rahega bhai update ka
Next update posted on page no. 252....
Read & Enjoy....
Read & Enjoy....
Intazar rahega bhai update ka
very interesting ...
ab tak ki story ka ye wala update lekhak mahoday ji .. muzhe sabse accha laga .. isme sab kuch tha .. ehsaas, jazbaat, prem, dukh, dard, khushi, pita ki majboori aur maa-behno ka dard, purane aur adhure pyaar ki bebashi (rachna), makkar sarpanch ki buri niyat, ek sajjan vyakti ki shubhkamnaye (patwari aur uski biwi, bhagwat), ek sacche premi ki chinta (dakshina) .. kitna kuch tha is update mein .. ek tarah se poori kahani ka saar he bhara hua tha .. isko padh kar to mera man bhi dhukhi ho gaya .. hone ko to sirf ek kahani he hai magar .. ye dil ko chu gayi hai ...
kehna to bahut kuch chahta hu .. magar likhne ke liye sahi sabd he nahi soojh rahe hai .. par seedhe - saadhe sabdo mein yahi kahunga ki aapki iss rachna ko padh kar dil khush ho gaya hai ... bas jee kar raha hai ki isko aise he padhta chal jaau aur ye kahani ka ant he na ho ...
It's ok bro. Take your time.
Ham intjaar karege.
arre sir ji .. kya master aadmi ho aap .. itini jabardast situation create kari hai .. ki padhte waqt dil ki dadhkane badh gayi aur ghabrahat bhi hone lagi thi .. likhte to bahut he kamal ka ho .. 24 ghante se upar ho gaya hai lagatar padhte padhte aapki story ko .. itne lambe lambe update hai .. magar ek baar bhi interest kam nahi hua .. kay baar to padhte padhte neend bhi aayi .. 2 baar to computer table par hi jhapki lag gayi thi .. itna imotional atyachaar kar rakha hai aapne .. muzhe to lagta hai .. agar is story ko aise hi padhta rahunga to muzhe heart attack ho jaana hai ...
aur kya entry karayi hai Dakshina ki .. main to soch bhi nahi sakta tha ki ekdum se aisa kuch ho jaayega .. aapne to jaan he nikal di saar .. Vikas ke saath saath to ek muzhe laga ki main bhi hospital mein admit ho jaaunga .. magar ab mere dil ki condition theek hai .. superrrr .. bas bhai ji aisi he story ko aage badhate raho .. maza aa gaya yaar ...
update no. 48 mein to Dakshina ko salute karna chahiye .. uski he badolat Kusum apne pariwaar ke paas aa payi .. warna uske saath kya hone wala tha iska to kisi ko andaza bhi nahi tha .. Renuka ko to Kusum par gussa bahut aa raha tha .. magar jab usko pata lagega ki uski beti kitni badi musibat mein fasne se bachi hai .. to usko apni galti ka ehsaas hoga .. waise ye bahut accha hua ki Dakshina kusum ko apne saath le aayi .. ab aage dekhte hai .. Vikas aur uski family ab kaise delhi life mein adapt hoti hai ...
ye Dakshina ke liye nayi atpati si situation khadi kar di hai .. bechari Renuka ko behanji keh kar bulaye ya fir Sasu maa .. he he .. Vikas ke waise to haath payr tute pade hai .. magar dimaag aur jubaan poori chal rahi hai .. aur ye ant mein last ke 2 paragraph mein kya nayi bhasad daal di hai .. ye kin 2 aadmiyon ki baate dikhayi hai .. kya Vikas ke accident ki khabar newspaper se sarpanch ko mil gayi hai .. ya fir koi aur nayi musibat hai ...
muzhe to ye accident karane wala .. Dakshina ka jamai aur Kiran ka pati lagta hai .. kyon ki Vikas ki vajah se usko Dakshina ki property nahi mil paayi .. aur Kiran ne bhi property mein hissa nahi manga .. aur aage bhi future mein sab kuch Vikas ko he milega .. aur shayad usko ye bhi chid ho ki uski patni Kiran ka chakkar Vikas se hai .. khair aage dekhte hai .. kya hota hai ..
Dakshina ki chemestry to apni future wali Saas Renuka se acchi ho rahi hai .. aur Saath he apni Sautan Kusum se bhi .. but ye nayi musibat kaun hai .. aur kya jisne Vikas ka accident karaya kya vo he Kusum ko kidnap karane wala bhi vo he tha .. ?