• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAB KUCH JAYAZ HAI...

Bhai log ye story kaisi lag rahi hai....?

  • Best

    Votes: 122 81.9%
  • Good

    Votes: 27 18.1%

  • Total voters
    149

VIKRANT

Active Member
1,486
3,377
159
SAB KUCH JAYAZ HAI....
UPDATE = 06

FLASHBACK CONTINUE....
Main aur kusum didi ghar se kheto par jane ke liye chal pade. Hamare khet hamare ghar se kareeb 15 ya fir 20 minute ki doori par the. Yu to hamare paas ghar me do pahiya waahan me ek moter sycle bhi thi jo ki pita ji ne mujhe mere janm din ke tohfe me pichhle saal khareed kar diya tha. Kheto ki jutaayi ke liye ek tracter bhi tha hamare paas. Baaki car jaisa koi waahan nahi tha hamare paas. Par ham sab itne me hi baaki brahmin samaaj walo se zyada khush the. Unke paas to do teen logo ke paas hi ye sab tha. Jab ke unki tadaat kafi zyada thi.

Main aur kusum didi ghar se paidal hi kheto ki taraf chal pade the. Main didi ke aage aage chal raha tha. Gaav ki main road se nikalne ke baad ek kachcha raasta hamare kheto ki taraf jata tha. Jab ke gaav ki main road par RCC road bani huyi thi. Idhar kachche raaste ke dono taraf kafi sare khet the jo ki hamare nahi the. Ye road ke dono taraf ke khet other brahmino ke the. Inke baad kuch other cast ke logo ke khet padte the. Uske baad hamare khet aate the. Ek achhi baat ye thi ki hamare kheto ke paas se hi ek badi si nahar nikli huyi thi jisse hame apne kheto par sichaayi karne me badi asaani hoti thi. Other brahmin jo hamse jalte the wo is nahar ke dwara hamare khilaaf kuch nahi kar sakte the kyo ki nahar ka bahaav hamare kheto ki taraf se chalte huye hi in logo ke kheto ki taraf aata tha. Agar inki taraf se hamare kheto ki taraf nahar ke pani ka bahaav hota to ye log zarur nahar ke pani ko beech se kahi baandhne ka kaam bahut pahle hi kar chuke hote.

Main aur kusum didi aapas me baate karte huye kachche raaste se paidal hi chal rahe the. Main didi ke sath khush to tha hi magar main didi ko bhi khush dekh raha tha. Shayad mere jaisi hi khushi unko bhi thi ki wo mere sath thi. Aisa mujhe lagta tha. Baaki isme kitni sachchaayi thi ye main kah nahi sakta tha.

RCC road se is taraf mud kar ham kachche raaste se chalte huye kaafi aage tak aa gaye the. Tabhi mujhe saamne ki taraf se ek moter sycle aati huyi dikhi. Main door se hi moter sycle par chadhe us insaan ko pahchaan gaya jisse mera 36 ka aakda tha. Us insaan ko dekhte hi mera achha khasa dimaag kharaab hone laga. Yu to gaav me meri kisi se koi dushmani nahi thi aur na hi main kisi se koi ladaayi jhagda karta tha. Main apne pita ji ke bataye huye raaste par hi hamesha chalta tha. Magar kahte hain na ki ham kitna bhi soche ki sab achha hi ho magar aisa hota nahi hai.

Moter sycle se aata hua wo insaan hamare kareeb aa gaya tha. Ham dono ko dekhte hi usne hamare samne apni moter sycle rok di. Pahle usne meri taraf dekha fir uski nazar kusum didi par jam si gayi. Wo didi ko upar se neeche yak dekhe ja raha tha. Uski aankho me gandgi bhari huyi mujhe jald hi nazar aa gayi aur iske sath hi mera kharaab dimaag aur bhi zyada kharaab ho gaya. Main ye kisi keemat par bardaast nahi kar sakta tha ki koi aisa ghatiya byakti meri masoom bahan par gandi nazar daale.

"Kyo re chirkut...aaj to bada achha item sath le kar ghoom raha hai. Haye ise dekh kar kuch kuch hone laga hai mujhe." Usne didi ki taraf dekhne ke baad meri taraf kamini muskaan ke sath dekhte huye kaha to mera para ekdam se chadh gaya.

Uski is baat ka asar meri didi par bhi hua tha. Wo ekdam se ghabraayi huyi nazar aane lagi thi. Idhar uski is baat se meri mutthiyaan kas gayi.

"Tameez se baat kar Rupesh tiwari. Tujhe achhi tarah pata hai ki ye meri kusum didi hain. Iske baavjood tune is tarah ki ghatiya baat ki. Agar koi teri bahan ke bare me aisa bole to kaisa lagega tujhe.?" Maine gusse me kaha to rupesh tilmila gaya. Usne gusse se meri taraf dekha.

"Kisme itna dam hai re chirkut jo meri bahan ke bare me aisa bole. Saale jaanta nahi kya mujhe.? Rupesh naam hai mera. Rupesh tiwari. Zubaan kaat ke hath me de dooga agar koi meri bahan ke bare me kuch bola to." Usne aankhe dikhate huye mujhse aisa kaha to main aage badha.

"Aag lagi na tujhe.? Ab tu khud soch ki tere aisa bolne par mujhe kitni aag lagi hogi. Main teri tarah gande khayaalo ka nahi hu aur na hi main tujhse koi ladaayi karna chaahta hu. Mere maa baap ne mujhe aise sanskaar diye hi nahi hain ki main kisi ki maa bahno ke bare me aise gande lafz bolu." Maine jab uske kareeb ja kar aisa kaha to usne apna hath meri taraf aise andaaz me kiya jaise mujhe ruk jane ka sanket de raha ho.

"Zyada bhaashan mat de mujhe. Sale teri aur tere baap ki aukaat hi kya hai jo hamse zubaan ladane ki himmat kar sake. Tum saalo gandi naali ke keede ho. Bhool gaya kya ki tere jaise gire huye logo ke ghar ka ham log pani tak nahi pite." Usne kamini muskaan ke sath aisa kaha to mujhe bahut zyada gussa aa gaya.

"Ye sab barsho purani kahani hai rupesh. Jisne kiya wo to kab ka mar chuka hai. Aaj ke wakt me ye sab koi nahi dekhta. Ye sab niyam kanoon insaano ne apne matlab ke liye banaye the. Warna bade bade dharm grantho ko khol ke dekh lo. Aise bahut se example mil jayege tujhe jisme bade bade maha purusho ne bhi neech jaati ki ladki se byaah kiya tha. Unke wakt me to kisi ne koi aapatti nahi jataayi thi. Bal ke unke us kaam se unka yash hi hua tha....aur rahi aukaat ki baat to sara gaav janta hai ki hamari aukaat tum logo ki aukaat se kitni behtar hai. Is liye tu bhi zyada ud mat. Main tere muh nahi lagna chaahta. Is liye tu ja yaha se apna raasta naap." Maine usse aisa kaha to uska jaise khoon khaul gaya.

"Sale teri itni himmat ki mujhse zubaan ladaye...ruk abhi tujhe batata hu main." Wo ye kahte huye moter sycle se ek jhatke me niche utar aaya. Ye dekh kar kusum didi aur bhi zyada ghabra gayi. Wo daud kar mere paas aa gayi aur mera hath pakad kar peeche ki taraf kheechne lagi.

"Vicky..chal yaha se...tujhe kisi se baat zubaani karne ki ya ladaayi karne ki koi zarurat nahi hai. Use jo bolna hai bolne de. Tu chal yaha se....pita ji ko pata chalega to wo ham par hi gussa karenge." Didi mujhe zabardasti kheech rahi thi. Idhar rupesh moter sycle se utar kar mere saamne aa khada hua tha.

Rupesh gaav ke sarpanch MANI SHANKAR TIWARI ka iklauta ladka tha. Age me mujhse kuch hi maheene ka bada tha. Baaki bramhino me rupesh ka baap ghar se thoda sampann tha. Pichhle kayi panchvarshiyo se wo hi sarpanchi ka chunaav jeet raha tha. Bahut hi dhoorth kisam ka aadmi tha mani shankar. Rupesh bhi apne baap ki tarah hi tha. Rupesh mani shankar ki santaano me dusre number ka tha. Iski ek badi bahan hai jiski shadi chaar saal pahle ho chuki thi. Rupesh ke baad iski teen bahne aur hain jo isse chhoti hain magar jawaan ho chuki hain.

"Apne chirkut bhai ko kaha le ja rahi hai meri jaan...dar mat...teri vajah se iske sath kuch bhi bura nahi karuga main....magar isne jo mujhse zubaan ladaayi hai uski keemat iske badle tujhe chukaani hogi. Keemat bahut chhoti aur asaan hai. Bas ek baar mujhe apni jawani ka ras pilana hoga tujhe. Uske baad main tere bhai ko kuch nahi kahuga. Ise baksh duga main." Rupesh ne meri didi ko ye kaha hi tha ki main gusse me jalte huye us par toot pada.

Wo mujhse kuch hi maheene ka bada tha. Magar meri personalty ke samne uski personalty kuch bhi nahi thi. Dubla patla tha wo. Din bhar gaanja daaru karta tha aur other low cast ki ladkiyo ke sath gande kaam karta rahta tha. Apne baap ki vajah se wo sabse aise hi akad kar pesh aata tha.

Maine rupesh ke pet me kheech ke ek laat maari to wo peeche ki taraf apni hi moter sycle se ja takraya aur bharbhara kar usi par girta chala gaya. Uski moter sycle bhi peeche ki taraf gir gayi thi. Maine gusse me bahut tez laat maari thi use. Rupesh ka haal dekh kar meri didi ki cheelh nikal gayi. Magar main nahi ruka. Aage badh kar maine rupesh ko uske kaalar se pakad kar uthaya aur fir de dana dan us par laat ghoose barsata chala gaya. Wo buri tarah cheekhe ja raha tha aur gandi gandi gaaliya de raha tha.

Kusum didi mujhe is tarah rupesh ko maarte dekh kar buri tarah roye ja rahi thi. Mujhe peeche se pakad kar apni puri taakat se kheech rahi thi magar main is wakt apne aap par nahi tha. Rupesh ne meri didi ko utni badi baat kahi thi jo mujhse kisi bhi tarah bardaast nahi ho rahi thi. Mujhe lag raha tha ki main abhi isi wakt rupesh naam ke is ghatiya insaan ka khoon kar du.

Thodi hi der me rupesh ko maine maarte maarte adhmara kar diya. Usme ab uthne ki himmat nahi bachi thi. Wo zameen par pada buri tarah dard se karaah raha tha aur uske mukh se naak se khoon bah raha tha.

Abhi main usko aur maarta magar tabhi kusum didi mere samne aayi aur rote huye mere gaalo par thappad barsane lagi.

"Ye tune kya kiya vicky...tu aisa kaise kisi ke sath kar sakta hai.? Tujhe ham sab ka khayaal kaise na raha.? Ye log hame ab jeene nahi denge." Jane kya kya kahti huyi didi mujhe maare ja rahi thi aur main ek dam se sunn sa pad gaya tha.

Didi ko bhi hosh nahi tha. Unhe is baat ka ahsaas hi nahi tha ki wo rote huye mere gaalo par thappad barsaye ja rahi hain aur mere dono gaal laal surkh padte ja rahe hain.

"Bas karo bitiya...vicky babu ko aur mat maaro." Tabhi hamare peechhe se kisi ne aisa kaha to didi ka maarna ek dam se band ho gaya. Ham dono ne hi palat kar us taraf dekha to chaunk pade.

Hamare chaaro taraf kam se kam 8 ya 10 aadmi aur aurat khade the. Wo sab hamari taraf hi dekh rahe the. Ye sare log hamare hi gaav ke the jo sadak ke dono taraf kheto par kahi kaam me lage huye the. Yaha par ye sab hota dekh ye log shayad yaha par bhaagte huye aa gaye the. Ye sab ke sab other low cast ke log the. Kuch thakur the aur kuch neech jaati ke.

"Kaka...Dekhiye na vicky ne ye kya gazab kar diya.? Isne sarpanch kaka ke ladke par hath uthaya aur uski ye haalat kar di. Isne zara sa bhi nahi socha ki iske aisa karne se ham par kitni badi museebat aa jayegi. Aap sab to janate hi hain ki sarpanch kaka kaise hain." Kusum didi ne rote huye us aadmi se kaha jisne didi ko aa kar mujhe maarne se roka tha.

Idhar main ab ek dam se shaant khada rah gaya tha. Ye meri life me pahli baar hua tha ki main kisi par is had tak gussa hua tha aur use itna mara tha. Main apne aap par ab hairaan tha ki maine ye sab kaise kar diya. Ab mujhe bhi situation ki gambheerta ka ahsaas ho raha tha aur main is sabse ab andar hi andar ghabraye ja raha tha.

Mujhe sabse zyada fikar pita ji ki thi. Main janta tha ki gaav ke baaki sabhi brahmin mere pita ji se bahut jalte the. Saamne bhale hi wo has kar aur khushi se bole magar man me un logo ke andar hamesha katuta hi rahti thi.

"Ye to sach much gazab hi ho gaya hai bitiya. Vicky babu ko rupesh babu ke sath aisa nahi karna chahiye tha. Sarpanch ji ko pata chala to samjho anarth ho jayega. Magar ye sab hua kaise vicky babu.?" Us aadmi ne meri taraf dekhte huye puchha to main kuch bol nahi saka. Main bolne ki haalat me tha hi nahi. Mere andar to jaise vichaaro ka koi tufaan chal raha tha. Main andar se bahut zyada ghabra gaya tha. Mujhe apni nahi bal ke pita ji ki fikar ho rahi thi. Aaj is kaand se us brahmin samaaj ko mere pita ji par ungli uthane ka aur kuch bhi bolne ka mauka mil jayega.

Main janta tha ki is sabke baad pita ji un logo ke saamne apna sir jhukaye khade rah jayenge. Ye sab meri vajah se hua tha. Aaj meri vajah se mere sajjan aur susheel swabhaav pita ji ko sharmindgi uthaani padegi. Ye sab sochte huye meri aankho se aanshu bah chale. Mera jee chaha ki yahi par zameen fate aur main usme sama jaau.

"Baat chaahe jo bhi rahi ho mangal magar mujhe yakeen hai ki isme vicky babu ki pahli galti nahi rahi hogi. Ham sab jante hain ki vicky babu aisa kisi ke sath kar hi nahi sakte. Mujhe pura yakeen hai ki rupesh babu ne hi kuch ulta seedha kaam kiya hoga jiski vajah se ye sab hua hai." Ek dusra aadmi hamare paas aate huye kaka se kaha to didi ne uski taraf dekha aur fir meri taraf. Na wo kuch boli aur na hi main.

"Ye to main bhi janta hu laakhan...mujhe bhi yakeen hai ki isme vicky babu ka koi dosh nahi hoga. Zarur rupesh babu ne hi inse kuch ulta seedha kaha hoga. Magar baat bhale hi chaahe jo ho...ye jo bhi hua hai achha nahi hua hai. Sarpanch ji ko pata chala to bahut bada hangama ho jayega." Mangal kaka ne kaha to didi ka chehra fakk padta chala gaya.

"Pata to chalega hi mangal...mujhe to dar lag raha hai ki is sab ki vajah se gaav me bahut bada bakheda na ho jaye. Vicky babu ke sath sath mahesh babu par bhi museebat aa jayegi." Laakhan kaka ne kaha to mere andar dar ki ek lahar daudti chali gayi.

"Ye sab chhodo aur ye socho ki hame karna kya chahiye...ham sab ne dekha hai ye sab kuch." Ek teesre aadmi ne kaha to maine aur didi ne uski taraf dekha.

"Kahna kya chaahte ho tum jaggu.?" Mangal kaka ne uski taraf dekh kar kaha.
"Yaha jo kuch bhi hua hai...uske baad ye to pakki baat hai ki gaav me panchayat baithaayi jayegi aur panchayat me sarpanch ji pramukh hi honge. Sara dosh bhale hi rupesh babu ka hoga magar panchayat ke baaki sab panch log sarpanch ji ke paksh me hi rahenge. Uske baad kya nirnay hoga ye ham sab khud hi soch sakte hain." Jaggu naam ke us aadmi ne aisa kaha to sab ke sab chup rah gaye. Koi kuch bol na saka. Main aur didi to chup chaap khade hi rahe.

"Jaggu sahi kah raha hai...sare panchayat ke log rupesh babu ko hi sahi thahrayenge aur vicky babu ko doshi karaar denge. Magar bhala isme koi kar hi kya sakta hai.? Anarth to ab ho hi gaya hai." Ek chauthe aadmi ne aisa kaha to jaggu naam ke aadmi ne uski taraf dekha.

"Itna to ham sab jaante hain balli kaka ki gaav ke sab brahmin mahesh babu ke khilaaf ek jut hain. Ham sab ye bhi jante hain ki mahesh babu ka swabhaav bahut achha hai...wo ham sabko apna maante hain aur zarurat ke wakt hamesha unhone hamari bhaari madad bhi ki hai. Jab ke baaki ke sab brahmin kitne achhe hain ye tum sab bhi jaante ho. Ye rupesh babu ke bare me kya tum sab nahi jaante.? Bolo gullu...chhoti muh badi baat...ham neech jaati ke hain magar hamari bhi koi ijjat hoti hai...hamare ghar ki bahu betiya kya koi kothe wali hain jo inki hawas ka shikaar hoti hain.?" Jaggu ne jab aisa kaha to sabke beech khamoshi chha gayi.

"To tum kahna kya chaahte ho jaggu.?" Mangal ne aage badh kar kaha to jaggu ne uski taraf dekha.
"Main ye kahna chaahta hu mangal ki hame is bare me mahesh babu ka sath dena chahiye. Unhone hamesha hamari mushkil wakt me madad ki hai...aaj agar un par koi museebat aane wali hai to kya ham unke liye itna nahi kar sakte..?" Jaggu ne kaha.

"Chaahte to ham sab bhi yahi hain jaggu. Magar ham neech jaati ke hain. Hamari baat panchayat me baithe wo log kabhi nahi manege." Balli kaha ne kaha to jaggu ke hotho par muskan ubhar aayi.

"Unhe maanna padega kaka..ham sab log apni biraadri ke baaki sab logo ko ikattha karenge aur fir sab ek sath panchayat me pahuchenge. Itne sare logo ko ek sath dekh kar panchayat ke panch log manmani nahi kar payenge. Kaka gaav se badi baraat nahi hoti...mana ki wo sab brahmin ek jut hain mahesh babu ke khilaaf magar ham bhi mahesh babu ke sath hain...aur hamari tadaat bhi unse zyada ho jayegi. Insaan jab akela hota hai tabhi baaki sab log usko asaani se gherne ki himmat karte hain. Magar jab dono taraf barabari wala sawaal ho jata hai to saamne wale ko gherne ke bare me fir sochna padta hai. Tum meri baat samajh rahe ho na kaha.?"

"Tune to kamaal kar diya re jaggu...sach muh chhoti muh badi baat kahi hai tune." Balli kaka ne jab aisa kaha to baaki sab muskura uthe.

"To tum sab log meri baat se sahmat ho na.? Agar sahmat ho to chalo abhi se hame apne kaam par lag jana chahiye. Warna der ho gayi to gazab ho jayega." Jaggu ne un sab ko chetaya.

"Sahi kah raha hai tu jaggu...hame jald hi sab ko ikattha karna hoga. Abhi to ye baat yahi tak hai...bechare mahesh babu ko bhi pata nahi hoga ki yaha kya gazab ho gaya hai." Laakhan ne kaha to sab ke sab ek sath ikattha khade ho gaye. Main aur didi khamoshi se ye sab dekh sun rahe the.

Main soch raha tha ki ye log kitne achhe the. Ye sab anpadh the magar itna gyaan to inhe bhi tha ki kya sahi hai aur kya galat. Par sochne wali baat thi ki ye sab hamara sath dene ke liye khud hi taiyaar ho gaye the. Sirf is liye ki in sabki nazro me mere pitaji ek achhe insaan the ya fir inki nazro me mahaan the.

"Vicky babu....aap kusum bitiya ko le kar ghar chale jaiye...aur haan fikar mat kijiye. Ham sab aapke sath hain...ham sab jee jaan laga denge. Ham bhi dekhte hain ki sarpanch ji aur baaki ke sab log kaise aapke sath aur hamare mahesh babu ke sath kuch galat karte hain." Jaggu kaka ne mujhse aisa kaha to mere chehre par raahat ke bhaav aaye. Main bola kuch nahi bas haan me sir hilaya aur fir kusum didi ko sath le kar waapas ghar ki taraf badh chala.

Saare raaste main aur didi chup hi rahe. Didi gumsum si nazar aa rahi thi. Mere man me bhi bahut si baate chal rahi thi. Main soch raha tha ki aage kya hoga.? Pita ji ko pata chalega to wo kya kahenge.? Yahi sab sochte huye main didi ko liye ghar pahuch gaya.

Ghar me meri maa aur dono chhoti bahne thi. Pita ji to subah hi kuch samaan lene ke liye shahar ki taraf chale gaye the. Main aur didi chup chaap ghar ke andar aaye to baithak me hi mujhe maa dikh gayi. Unke paas gaav ki do teen aurte baithi huyi thi.

Maa ne jab mujhe didi ke sath waapas aate dekha to puchh baithi ki itna jaldi kheto se kaise aa gaye.? To main un aurto ke saamne kuch na bola. Didi ne mujhe mere kamre me jane ka ishara kiya to main chup chaap chala gaya.

Mere is tarah chale jane par maa hairani se didi ki taraf dekhne lagi. Didi ke chehre par unhe kuch nazar aaya to unhone didi ko andar jane ko kaha. Maa ke kahne par didi bhi andar aa gayi. Thodi hi der me jab gaav ki aurte apne apne ghar chali gayi to maa jaldi se didi ke paas aa gayi.

"Kya baat hai...tum dono bhai bahan itni jaldi kheto se kaise aa gaye.? Aur tumne apna ye chehra kaisa bana rakha hai.? Mujhe aisa kyo lagta hai jaise tum bahut royi ho.?" Maa ne jab aisa kaha to didi chup na rah saki aur wo bilakh bilakh kar rone lagi. Unke is tarah rone lag jane se maa ko jhatka laga. Fir ghabrate huye didi se puchhne lagi ki kya hua hai.?

Didi ne maan ke puchhne par rote huye sara kissa suna diya jise sun kar maa ke pairo tale se zameen khisak gayi. Kafi der tak unke mukh se koi lafz nahi nikla. Uske baad wo bahut zyada pareshan dikhne lagi aur kahne lagi ki ye sab theek nahi hua. Is sabse ham bahut badi musibat me aa gaye hain. Pita ji ko pata chalega to wo bhi bahut pareshan ho jayenge.

Situation kafi zyada kharab ho chuki thi. Maa ne kuch der baad didi ko apne kamre me bhej diya aur wo khud mere paas mere kamre me aa gayi. Main apne kamre me gumsum sa bed par chup chaap baitha hua tha. Maa ne mujhe gumsum baithe dekha to wo mere paas aayi aur bed par mere bagal se hi baith gayi.

"Kya zarurat thi beta us neech insaan se zubaan ladane ki.? Agar wo kuch kah raha tha to kahne dete. Tum dono apne raaste chale jate. Ab bataao is sabse ab jo museebat hone wali hai uska saamna tere pita ji kaise karenge.? Tujhe to pata hi hai ki gaav me hamari kya ahmiyat hai unke beech. Wo log to chaahte hi hain ki ham yaha se chale jaye ya hamara ahit ho jaye." Maa ne aisa kaha to main kuch bol na saka.

"Teri didi ne mujhe bataya ki kis vajah se tune us sarpanch ke ladke ko maar maar kar uski haalat kharaab ki hai. Main ye maanti hu ki usne jo kuch bhi kusum ko bola wo achha nahi tha magar aise logo ki taraf dhyaan nahi dena chahiye tha tujhe. Is sansaar me aise bahut se log milenge tujhe jo tere samane teri bahan ko ulta seedha bolenge to kya tu un sab ko aise hi maarta firega.? Hamne to tujhe aise sanskaar nahi diye the...fir aaj ye kaise kar diya tune.?" Maa ne ye sab samjhate huye mujhse kaha to maine is baar maa ki taraf chehra utha kar dekha.

"Us wakt mujhe uski wo gandi baat sun kar bahut zyada gussa aa gaya tha maa. Isi liye maine gusse me itna mara use. Ab balki mujhe is baat ka ahsaas ho raha hai ki ye sab kar ke maine sach me kitni badi galti kar di hai. Meri vajah se pita ji ko gaav me sab ke saamne sir jhuka ke khade ho jana padega. Mujhse bahut badi galti ho gayi hai maa. Mujhe iske liye saza dijiye aap." Maine aisa kaha aur meri aankho me aashu aa gaye. Ye dekh kar maa ne mujhe pyar se chupka liya.

"Main janti hu ki tune ye sab jaan bujh kar nahi kiya. Teri jagah koi bhi bhai hota to wo bhi yahi karta. Jo hona tha wo to ho hi gaya hai. Ab to bas is baat ki fikar hai ki iska anjaam kya hoga.?" Maa ne mere sir par haath ferte huye kaha to main unse alag ho kar unki taraf dekhne laga.

"Kya aapne pita ji ko iske bare me bata diya hai.?" Maine maa ki taraf dekhte huye kaha to maa ne mujhe dekhte huye apne sir ko na me hila diya.

"Unhe phone kar ke bata dijiye maa. Kahi aisa na ho ki kuch zyada hi gadbad ho jaye. Waise gaav ke jo neech jaati ke log hain wo sab hamare sath hi hain. Un sabne kaha hai ki wo sab panchayat me hamare paksh me hi gavaahi denge." Maine aisa kaha to maa kuch na boli bas meri taraf dekhti rahi.

"Wo sab to theek hai...lekin tu ye bata ki tujhe to kahi chot vot nahi aayi.?" Maa ne ye kahte huye mere jisam ke har bhaago par dekhte huye kaha.

"Nahi maa main thik hu...bal ke meri maar se rupesh zarur buri tarah ghayal ho gaya hai. Uski naak aur muh se khoon nikalne laga tha." Maine apna sir jhukate huye maa ko bataya to maa jane kya sochne lagi.

Kuch der baad maa mujhe kamre me hi rahne ka bol kar chali gayi. Shayad ab wo pita ji ko phone dwara is sab ke bare me batane wali thi. Idhar unke jane ke thodi hi der baad mere kamre par kisi ke aane ki aahat huyi.

Sorry bhai log kal raat ko hi main update dene wala tha but fir main so gaya aur mujhe update dene ki baat yaad hi nahi aayi thi.

Read Enjoy & Give Your Feedback....

Keep Supporting & Stay With....
Greatttt bro what a turning. Ek hi jhatke me story ne mod le liya. Mujhe laga seedha hi chalti rahegi. Mind blowing turn with the beautiful writing skill.:applause::applause:

Vicky ne gaav ke sarpanch ke ladki maa bahan ek kar di aur ab uska nateeja ye hai ki hangama hone wala hai. Is gambheer paristhiti me vicky aur uske ghar wale kya karege aur halat ka kaise samna karege ye dekhna dilchasp hoga. :coffee1:

Gaav walo ke ek jut ho jane se shayad kaam ban jaye but jaisa sarpanch ke bare me bataya gaya hai us hisab se kuch bura hone ka andesha hai. :coffee1:

Next update ka besabri se intjar rahega bro.:bigboss:

Greattt job.:good:
Keep writing.:good:
Keep rocking.:good:
 
Top