- 1,764
- 3,880
- 144
SAB KUCH JAYAZ HAI....
UPDATE = 57(A)
Vicky Kusum & Rachna Special....
"Sahi kaha tune. Kher kusum aati hi hogi. Dakshina ji ne kaha tha ki wo ghar jate hi use savita ke sath yaha bhej dengi. Main chaahti hu ki tum dono ek dusre se khul kar baate kar lo." Maa ne uthte huye ye kaha to maine haan me palke jhapka di. Udhar darwaze ke paas pahuch kar maa ruki aur palat kar meri taraf dekhte huye kaha.UPDATE = 57(A)
Vicky Kusum & Rachna Special....
"Mujhe lagta hai ki tujhe rachna se bhi khul kar baat kar leni chahiye. Main nahi chaahti ki uske sath kisi bhi tarah ki na-insaafi ho." Maa ne ye kaha aur fir baahar chali gayi. Jabke main unki baato ke bare me sochta raha.
Ye sach tha ki ab tak maine rachna se khul kar is bare me koi baat nahi ki thi. Yaha aane ke baad jab maine socha ki ab sab kuch thik karu to mere sath ye haadsa ho gaya. Mujhe ahsaas tha ki mujhe rachna se baat karni chahiye. Usse kahna chahiye ki wo mere liye koi bojh nahi hai aur na hi wo khud ko aisa kuch samjhe. Balke yahi samjhe ki uske liye mere dil me agar kusum didi ki tarah chaahat nahi hai to unse kam bhi nahi hai. Mujhe yakeen hai ki wo meri is baat se behad khush ho jayegi.
Ab aage padhiye....
"Tum bewajah itna ghabra rahi ho kusum. Tum khud janti ho ki vicky ke man me tumhare liye kabhi bhi koi gussa koi narazgi nahi ho sakti. Haan use tumhari berukhi se taqlif huyi thi magar iske baavjood wo tumse naraaz nahi ho sakta. Is liye tum khushi khushi jaao aur usse milo. Usse baat karo aur haan...is baar apne dil ka hi kaha karna. Dil par apne dimaag ko haavi mat hone dena. Jo kuch bhi tumhare dil me hai wo sab kuch usse bejhijhak ho ke kahna aur use bhi kahne dena. Uske baad tum khud mahsoos karna ki tumhe kitni khushi mili hai." Kusum ke kamre me dakshina ne kusum ke hath ko apne hath me le kar ye sab muskurate huye kaha to kusum ne nam aankho se kaha.
"Maine hamesha apne dil ke jazbaato ko usse chhupaya. Main kabhi usse apne dil ka haal nahi kah paayi. Ise main apni badkismati kahu ya meri bebasi. Sabse badi hone ka bhi ek kaaran tha ki main usse kuch kah nahi paayi. Mujhe hamesha is baat ka dar lagta tha ki agar maine aisi koi baat apne bhai se kah di to wo jane mere bare me kya sochega. Agar usne bhool se bhi mere bare me aisa waisa soch liya to fir....fir to mere liye jine ka koi matlab hi nahi rah jata. Main apne us bhai ki nazro me gir kar kaise ji paati jisse main dilo jaan se pyaar karti hu aur jiske bina jine ka soch bhi nahi sakti.??" Kusum saans lene ke liye ruki uske baad sisakte huye boli.
"Mera bhai mujhe duniya ki sabse sundar aur sabse masoom didi kahta hai to main kaise uski in baato par koi daag lagaati.? Mere liye to bas wahi sabse badi baat thi ki wo mujhe aisa samajhta tha. Mujhe duniya ke har dukh dard kabool the magar uski nazro se gir jana kabool nahi tha. Hahaha kaisi paagal thi main....main samajh rahi thi ki maine ab tak khud ko uski nazro se girne se bachaye rakha hai magar kya ye sach tha.? Aree main to kab ka sabki nazro se gir chuki thi..? Pata nahi kya ho gaya tha mujhe ki main ye sab samajh hi nahi paa rahi thi.?" Kusum kahte kahte rone lagi to dakshina ne use apne seene se chhupka liya.
"Tumne mujhse wada kiya tha kusum ki tum ab khud ko koi taklif nahi dogi aur na hi apni aankho se aanshu bahaaogi. Fir ye sab kya hai.??" Dakshina ne kusum ko chhupkaye huye hi ye kaha to kusum ne sisakte huye kaha.
"Main kya karu..? Mere bas me nahi hai khud ko rok pana.? Main chaah kar bhi us sabko bhula nahi paa rahi hu jo meri vajah se hua hai. Main apni hi nazro me gir chuki hu. Mujhe khud se nafrat ho gayi hai. Aisa lagta hai ki ek pal me khud ko khatam kar lu magar main ye bhi nahi kar sakti. Kyo ki mere aisa karne se mere bhai ko bahut taklif hogi. Main use kaise taklif de saktu hu fir se.?" Kusum ne ye sab kaha to dakshina ne uski peeth ko sahlaate huye kaha.
"Chup ho jaao kusum. Ye sab soch soch kar kyo khud ko rula rahi ho.? Jo guzar gaya use bura sapna samajh kar bhool jaao. Galtiya har insaan se hoti hain. Is duniya me koi bhi aisa insaan nahi hai jisne apni zindagi me koi galti na ki ho. Sab galtiya karte hain kusum aur ek baar nahi hazaar baar galtiya kar baithte hain. Fir chaahe wo galtiya jaan boojh kar ki gayi ho ya fir anjaane me unse ho gayi ho. Magar in galtiyo ka hona bhi zaruri hai kyo ki agar galtiya nahi hongi to hame pata kaise chalega ki sahi aur galat kya hai aur uski ahmiyat kya hai.? Insaan se galtiya hoti hain to insaan apni un galtiyo se sabak leta hai aur koshish karta hai ki dubara usse waisi galti na ho. Tumhe bhi wahi karna hai kusum. Zindagi ek safar hai aur is safar ke ham sab praani jeev musafir hain. Is safar me ham girte hain aur thokre khate hain magar fir se uthte hain aur khud ko samhaalte hain aur aage badhne lagte hain. Har galti har thokar ke baad ham naye tarike se aage badhte hain. Tumhe yahi karna hai aur man me koi bhi bura khayaal nahi lana hai." Dakshina ne kusum ko samjhate huye ye sab kaha to kusum ne usse alag ho kar apne aanshuo ko ponchha aur fir kaha.
"Main koshish karugi ki ab se main sab kuch achha hi karu." Kusum ne ye kaha to dakshina uske surkh pad chuke chehre ko kuch pal dekhti rahi fir usne aage badh kar kusum ke maathe par halke se chuma. Uske baad pyaar se boli.
"Agar vicky tumhe sabse masoom aur sabse sundar kahta hai to zara bhi galat nahi kahta wo. Tum sach me bahut masoom aur sundar ho. Haye kahi tumhe meri nazar na lag jaye." Dakshina ne ye kahte huye apni aankh se halka sa kaajal apni ek ungli me liya aur kusum ke kaan ke neeche laga diya. Uske baad uske chehre ko apni hatheliyo me lete huye kaha.
"Ab jaao...vicky tumhara hi intzar kar raha hai. Wo chaahta tha ki ghar aate hi sabse pahle wo tumhe dekhe aur jab tum use nahi dikhi to uske chehre par mayusi chha gayi thi. Is liye der na karo....jaao. Apne dil aur dimaag se sare bure khayaal nikaal do. Bas ye socho ki ab sab kuch achha hi hoga." Dakshina ne ye kaha to kusum ki aankho me fir se aanshu tairte huye nazar aaye. Ye dekh kar dakshina ne use apna sir inkaar me hilate huye ishara kiya ki nahi ab aanshu nahi bahana.
Dakshina bed se uth kar khadi ho gayi to kusum bhi dheere se bed se neeche utar aayi. Is wakt uske doodh jaise gore jisam par hamesha ki tarah shalwar shoot tha jo ki yellow colour ka tha. Seene me dupatta tha jo uske gale tak ke bhaag ko cover kar rakha tha. Kusum ke khade hote hi dakshina use uske kandhe se pakad kar kamre se baahar ki taraf le kar chal padi.
Kuch hi der me wo dono dring room ke paas aa gayi jaha par savita apni beti ke sath baithi huyi thi. Dakshina aur kusum ko dekhte hi savita sofe se uth kar khadi ho gayi.
"Tum taiyaar ho na savita.?" Dakshina ne savita ko dekhte huye ye kaha to savita ne haan me sir hilaya.
"Thik hai...ab kusum ko le kar jaao aur fir waapas aa jana." Dakshina ne ye kaha to savita ne fir se haan me sir hilaya. Jabki dakshina ki is baat par kusum ne dakshina ki taraf dekhte huye kaha.
"Main chaahti thi ki aap mere sath chale." Kusum ne dhime swar me ye kaha to dakshina ne kaha.
"Main kisi bhi wakt aur kahi bhi tumhare sath chalne ko taiyar hu kusum magar is wakt nahi. Kyo ki is wakt ye kadam tumhe khud hi aage badhana hoga aur wo bhi achhe man se aur pure hosho hawaash me. Ye samjho ki ye tumhara imtihaan hai." Dakshina ne ye kaha to kusum kuch na boli.
Uske baad dakshina ke ishare par savita kusum ko le kar ghar se baahar ki taraf chal padi. Jabki dakshina un dono ko jate huye dekhti rahi. Jab wo dono ghar se baahar nikal gayi to dakshina bhi aage badh kar ek sofe par baith gayi. Uske samne wale sofe par savita ki beti baithi huyi tv dekh rahi thi.
Dakshina sofe par baithi kuch der tak kusum aur vicky ke bare me sochti rahi uske baad wo uthi aur savita ki beti se ye kah kar baahar nikal gayi ki wo kisi zaruri kaam se baahar ja rahi hai is liye savita ke aane tak ghar ka achhe se khayaal rakhe.
Abhi wo baahar wale darwaze ke paas pahuchi hi thi ki tabhi wo ekdam se ruk gayi. Shayad use kisi cheez ka khayaal aaya tha. Wo palti aur chalte huye apne kamre me gayi. Kamre me pahuch kar uski nazar bed par ek side pade apne mobile par padi. Usne mobile uthaya aur uski screen jala kar dekha to usme uski beti kiran ke kayi sare miss call pade the. Ye dekh kar use yaad aaya ki kiran ko usne waapas aane ko kaha tha.
Usne kiran ko call kiya. Kuch hi der me kiran ne call pick karte hi kaha ki kaha thi maa kitni baar call kiya aapko.? Kiran ki is baat se dakshina ne usse kaam ka bahana bata kar puchha ki wo kaha hai to usne bataya ki wo raaste me hai aur kuch hi der me yaha pahuch jayegi. Kiran ki is baat se dakshina khush ho gayi aur fir ye kah kar call cut kar diya ki wo uska ghar me intzar kar rahi hai.
Udhar savita kusum ko le kar hamare ghar ke darwaze par pahuchi. Darwaze ke left side door bell ka switch tha. Savita ne button dabaya to andar bell baji. Kuch hi der me darwaza khula aur saamne rachna nazar aayi. Apne samne savita ke sath kusum ko khade dekh kar rachna ke chehre par khushi ke bhaav ubhar aaye. Usne ek taraf hat kar un dono ko andar aane ka raasta diya.
Rachna ke ek taraf hote hi kusum aur savita andar ki taraf daakhil ho gayi. Dono ke andar aate hi rachna ne darwaza waapas band kiya aur fir wo bhi un dono ke peeche peeche andar ki taraf aa gayi. Andar dring room me rakhe sofe par sirf maa hi baithi huyi thi. Savita ke sath kusum ko aaya dekh kar maa ke chehre par bhi khushi ki chamak aa gayi. Sofe se uth kar unhone kusum didi ko apne seene se laga kar unhe pyaar diya.
Savita ne jane ki baat ki to maa ne usse chaay pani ka puchha to usne inkaar kar diya aur fir ijazat le kar chali gayi. Savita ke jane ke baad maa ne kusum didi ki taraf dekha aur fir bade pyaar se kaha.
"Tu itni chup chup si kyo hai beti.? Aisa lag raha hai jaise tu kisi gair ke ghar me aayi hai. Dekh maine to sab kuch bhula diya jo kuch bhi hua tha. Main janti hu ki beeti baato ko le kar baithne se koi fayda nahi hoga balke isse hoga ye ki jo shesh bacha hai uska bhi nuksaan ho jayega. Is liye tu bhi sab kuch bhool ja. Main tujhe is tarah gumsum nahi dekh sakti." Maa ne ye sab kaha to kusum didi ki aankhe bhar aayi aur wo ekdam maa ke seene se ja lagi. Maa ne bhi unhe seene se laga kar unhe pyaar aur saantwana di.
"Chal ab shaant ho ja aur khud ko puri tarah se is dukh dard se door rakh de. Mujhe fir se meri wahi beti chahiye jo kabhi hasna muskurana bhi janti thi. Tu janti hai na ki apne bachcho me sabse zyada main tujhe hi pyaar karti thi aur hamesha karti bhi rahugi." Maa ne ye kaha to kusum didi ne subakte huye kaha.
"Mera bhai kaha hai maa.?" Kusum didi ne subakte huye dheere se ye kaha to maa ne muskurate huye kaha.
"Kya ab bhi use bhai hi kahegi.?" Maa ne ye kaha to kusum didi ne zor se apna chehra maa ke seene me aise chhupaya jaise sharm se wo kisi ko apna chehra na dikhana chahti ho. Didi ko is tarah sikudte dekh maa ki muskaan aur bhi gahri ho gayi.
"Haye re ise main apni khush kismati samjhu ya apni badnaseebi ki meri apni hi beti meri bahu banegi. Mera apna hi beta mera damaad banega." Maa ne ye kaha to kusum didi kuch bol na saki. Unhone fir se maa ke seene me khud ke chehre ko jhonka magar ab isse zyada unka chehra chhipne wala kaha tha bhala.? Maa janti thi ki unki beti unki is baat se sharm se gadi ja rahi hai. Is liye unhone bhi is bare me zyada aur kuch bolna uchit nahi samjha.
"Achha chal chhod ye sab. Tu ja apne bhai se mil le. Main bhi ab upar kamre me araam karugi." Maa ne kusum didi ko apne seene se alag karte huye ye kaha to kusum didi bas nazre jhukaye khadi rah gayi. Jabki maa ne kuch palo tak unki taraf dekha aur fir unke sir par hath fer kar upar ke flor ki taraf jane ke liye seedhiyo ki taraf chali gayi.
Maa ko jate dekh kusum didi ne apna sir uthaya aur maa ki taraf tab tak dekhti rahi jab tak maa upar ke flor par chali nahi gayi. Jab maa unki nazro se ojhal ho gayi to kusum didi ne ek gahri saans li aur fir palat kar us kamre ki taraf dekha jis kamre me main ho sakta tha. Dil se dil mile huye the is liye ek dil dusre dil ko achhe se mahsoos kar sakta tha.
Kusum didi ne pahle chaaro taraf dekha aur jab har jagah unhe sannata hi nazar aaya to wo aahista se aage badhi. Wo mere kamre ki taraf is tarah badh rahi thi jaise unke paanv me mehdi lagi ho aur unhe dar ho ki tez tez chalne se unki wo mehdi chhoot jayegi ya bigad jayegi.
Idhar kamre me bed par leta hua main didi ke hi bare me soch raha tha. Mujhe baahar ki awaaz bahut dheeme sunaayi de rahi thi magar maine un awaazo se ye andaza laga liya tha ki baahar kaun kisse baat kar raha tha.?
Ghar me har taraf khamoshi chhaayi huyi thi aur us khamoshi me main ye mahsoos karne raha tha ki mera dil anayaas hi tez tez dhadakne laga hai. Mujhe ye to pata chal chuka tha ki kusum didi aa chuki hain aur wo kisi bhi wakt mere kamre me aa jayengi. Shayad yahi sab sochte rahne ki vajah se mere dil ki dhadkane tez ho gayi thi. Mere andar ek bechaini aur ghabrahat si badhne lagi thi.
Main janta tha ki abhi kuch hi palo ke andar mere us kamre me ek aisi shakhsiyat aane wali hai jo duniya me mere liye sabse anmol hai aur shayad main uske bina ab jine ki kalpana bhi nahi kar sakta. Main ye kabhi nahi samajh paya ki didi ke liye mere andar itni chaahat kab aur kaise ho gayi thi magar aaj ka aalam yahi tha ki main agar kisi ko apni jaan se bhi zyada chaahta tha to wo meri kusum didi thi. Main pahle bhi yahi khwaahish kiya karta tha ki bhagwan mujhe chaahe sari duniya ke dukh dard de de magar uske badle meri kusum didi ki zindagi ko aisi khushiyo se bhar de jin khushiyo ka kabhi koi ant hi na ho.
Mujhe samajh nahi aa raha tha ki jab didi mere saamne aayengi to main us wakt kaise react karuga.? Wo mujhse kya kahengi aur khud main unse kya kahuga.?? Main mahsoos kar raha tha ki aane wali situation mere liye bahut hi zyada mushkil hone wali thi. Kya sach me wo pal mere liye mushkil hoga ya fir ye shirf mera vaham tha.??
Abhi main ye sab soch hi raha tha ki tabhi kamre ka darwaza halke se khula aur fir dhire dhire pura khulta chala gaya. Meri nazre us khulte chale gaye darwaze ki taraf gayi. Khul chuke darwaze par ekdam se kusum didi nazar aayi mujhe. Do pal ke liye ham dono ki nazre ek dusre se mili. Mere liye to wakt jaise wahi par thahar gaya tha magar didi ne do palo ke baad apni nazre jhuka li. Shayad unke andar mujhe is haalat me lane ka apradh bojh tha is liye wo mujhse nazar nahi mila pa rahi thi.
Unki haalat ka shayad mujhe andaza na ho magar meri haalat badi ajeeb si ho gayi thi. Mere hath pair sahi hote to is wakt main jane kya kya kar guzarta. Mera dil kabhi tezi se dhadakne lagta to kabhi ekdam se ruk sa jata. Andar se koi cheekh cheekh ke awaaze kar raha tha. Main khud bhi unse bahut kuch kahna chaahta tha magar mere hoth bas tharthara kar rah jate the. Mera dil chaahta tha ki main unse apne is wakt ka haal kuch yu baya karu.
Wo aaye to waqt jaise thaharta chala gaya.
Zindagi me haseen rang utarta chala gaya.
Unse nazar mili to faqat aisa laga mujhe,
Zindagi ka har lamha nikharta chala gaya.
Har zarra mahak utha hai yu daffatan,
Jaise khushbu liye gul bikharta chala gaya.
Hamse hamare dil ka aalam na puchhiye,
Dekh kar us hasi ko aah bharta chala gaya.
Use chaahu use pooju us par mar jaau,
Jazbaat e dil had se guzarta chala gaya.
Kafi der tak aisi hi situation bani rahi. Aisa laga jaise kisi ne ham dono ko patthar ki moorti me badal jane ka shraap de diya ho. Magar hakikat ye thi ki in patthar ki moortiyo me jaan aa hi jaani thi aur hame is situation ka kisi na kisi tarah se saamna kar hi lena tha.
Main bina palak jhapkaye kusum didi ke jhuke huye chehre ko hi dekh raha tha. Iske pahle is tarah maine unhe kabhi nahi dekha tha. Magar aaj dekh raha tha aur aisa shayad is liye kyo ki bahut kuch badal chuka tha ab. Ham dono hi jaante the ki ab kisi se koi bhi baat chhupi nahi hai aur har byakti us baat ke liye taiyaar hai jo ham dono chaahte hain. Magar iske baavjood ek sach ye bhi tha ki sab kuch jaante huye bhi ham dono ne is baare me khul kar kabhi baat na kar paye the. Wakt aur halaat aaj shayad isi baat ke liye ham dono ko ek dusre ke saamne la kar khada kar diya tha.
Abhi main kusum didi ke chehre ki taraf dekh hi raha tha ki tabhi kusum didi ne halka sa sir uthaya aur meri taraf dekha. Uffff palak jhapakte hi main pure hosh me aa gaya aur mera dil tadap kar rah gaya. Kusum didi ki aankho me aanshu the aur jaise hi unhone meri taraf dekha unke aanshu jaise baghawat kar baithe. Surkh pad chuke chehre par zamane bhar ki dukh taklif numaya ho gayi. Mera ji chaha ki main ek jhatke se bed se uthu aur bhaag kar didi ke bahte huye aanshuo ko pi jaau. Unhe apne seene se laga lu magar haye re meri kismat....kitna bebas aur lachaar tha main ki chaah kar bhi aisa nahi kar sakta tha.
"Di....didi." Unki ye haalat dekh kar mujhe rona aa gaya aur maine kaampte swar me ye kaha to kusum didi khud ko rok nahi paayi. Wo buri tarah ro padi aur bhaag kar mere paas aayi mujhse lipat gayi. Ek jhatke se wo mujhse lipat gayi thi jisse unka jisam mere ek hath par tezi se laga. Mujhe tez dard to hua magar maine us dard ko bardaast kar liya.
Mere seene se chhupki huyi didi buri tarah roye ja rahi thi. Meri aankho se khud bhi aanshu bah rahe the. Main is wakt unhe chup hone ko nahi kahna chaahta tha kyo ki main janta tha ki unke andar barsho ka jama hua ye gubaar tha jiska aanshuo ke roop me nikal jana zaruri hai.
Mera ek hath unke jisam ke neeche dab gaya tha aur mujhe dard bhi ho raha tha. Magar main unhe iske bare me bata kar unhe khud se alag nahi hone dena chaahta tha. Balki mera jo hath free tha use maine dhire se uthaya aur didi ke sir par rakh kar halke halke ferne laga.
"Agar mujhe pata hota ki aap mujhe meri is haalat me hi milengi to yakeen maaniye ye accident main pahle hi kar leta aur khud ki aisi haalat bana leta. Kam se kam meri jaan to mujhe mil jati." Maine rundhe huye gale se ye kaha to didi ka rona aur tez ho gaya aur wo rote huye hi boli.
"Nahi....aisa mat kah vicky. Mujhse galti ho gayi mujhe maaf kar de. Main teri gunahgaar hu. Maine kitna dil dukhaya tera. Mujhe saza de mere bhai. Tu jo bhi saza dega main has ke kabool kar lugi. Magar aisi baat mat kar. Tu nahi jaanta kya ki agar tujhe kuch ho jata to kya main zinda rahti.?" Didi ne rote huye ye kaha to maine kaha.
"Mujhe aur kuch bhi nahi pata didi. Aapne kya kiya ya maine kya kiya isse ab mujhe koi matlab nahi hai. Main is sabko bhool jana chaahta hu. Main bas ye janta hu ki chaahe jaise bhi sahi aakhir aap mujhe mil to gayi. Sach kahta hu didi mujhe is baat ki bahut khushi mahsoos ho rahi hai ki main is haalat me hu. Agar is haalat me nahi hota to mujhe meri jaan is tarah nahi milti." Maine ye kaha to didi ne rote huye kaha.
"Tu itna achha kaise ho sakta hai vicky.? Tu mujhse itna pyaar kaise kar sakta hai jabki main tere is pyaar ke kaabil bhi nahi hu. Main to wo hu jo shirf apne bare me sochti hai aur apni hi khushi ki tamanna rakhti hai. Use dusro ki khushiyo ki koi parwaah nahi hai. Main to aisi hu jo dusro ki khushiyo se jalti hu aur unka bura chaahne lagti hu. Tu mujh jaisi swaarthi aur matlabi ladki se kaise itna pyaar kar sakta hai.?" Kusum didi ne rote huye ye kaha to maine unke sir par pyaar se hath ferte huye kaha.
"Aisa aapko lagta hai ki aap swaarthi aur matlabi hain. Mujhe to aisa kuch nahi lagta aur agar ek pal ke liye maan bhi lu ki aap aisi hain tab bhi.....tab bhi main aapse hi be-intehaa pyaar karuga aur ye pyaar har janm me aise hi rahega." Maine ye kaha to didi kuch bol na saki balke mere seene se aur bhi zyada chhupak gayi. Unki siskiya aur bhi tez ho gayi thi.
Kya hua didi...maine kuch galat kah diya aapse.?" Maine didi ko chup dekh kar ye kaha to didi ne kaha.
"Nahi vicky...tu kabhi kuch galat nahi kah sakta." Didi ne ye kaha to maine kaha.
"To fir aap chup kyo ho gayi.?" Maine ye kaha to didi ne kaha.
"Main soch rahi hu ki maine sabke sath itna bura kiya magar iske baavjood koi mujhe saza kyo nahi de raha.?" Kusum didi ne sisakte huye ye kaha to maine muskurate huye kaha.
"Ohh to aap ye soch rahi hain. Fir to aapko samajh lena chahiye ki agar koi aapko saza nahi de raha to iska matlab yahi hai ki koi bhi aapko gunahgaar nahi maanta balke sab aapse bahut pyaar karte hain." Maine ye kaha to didi ne mere seene se uth kar meri taraf dekha. Unka pura chehra aanshuo se bheega hua tha. Gora chehra ekdam se laal surkh pad gaya tha. Unhe is haalat me dekh kar ek baar fir se mera dil tadap utha.
"Saza to aap de rahi hain didi aur aisi saza jise sah lena mere bas me nahi hai." Maine didi ki taraf dekhte huye gambheerta se ye kaha to didi ne sisakte huye kaha.
"Main kya saza de rahi hu tujhe.? Main to khud hi ye chaahti hu ki tu mujhe saza de." Didi ne ye kaha to maine kaha.
"Aap jaanti hain ki main aapko is tarah udaas bhi nahi dekh sakta jabki is wakt to aapne ro ro kar apni ye haalat bana li hai. Ye saza hi to de rahi hain aap mujhe. Aap jitna khud ko taklif dengi utna hi mujhe taklif hogi. Ye saza hi to de rahi hain aap." Maine ye kaha to didi fir se rote huye mere seene se chhupak gayi.
"Aisi baate mat kar vicky. Mujh me ab itni himmat nahi hai ki main teri aisi baate sah saku. Mujhse itna pyaar mat kar." Didi ne ye kaha to maine kaha.
"Ye mere bas me nahi hai didi. Main chaahu bhi to aisa nahi ho sakta. Ab ye aap par haiki aap kya chaahti hain.? Khud ko taklif de kar mujhe saza dena ya fir khud ko khush rakh kar mujhe bhi khush rakhna.? Aap mujhse saza chaahti hain na to fir aapki yahi saza hai ki ab se aap kabhi bhi khud ko taklif nahi dengi." Maine ye kaha to didi ek baar fir se buri tarah ro padi.
"Vicky.....main tujhse bahut pyaar karti hu aur ab main chaah kar bhi apne dil se tere liye ye chaahat nahi nikaal sakti. Maine pahle bhi bahut koshish ki magar nakaam hi rahi aur ab main ye chaahti bhi nahi hu ki mere dil se ye chaahat jaye. Meri bas yahi chaahat hai ki main hamesha ke liye teri ho jaau aur tu mujhe khoob sara pyaar kare." Kusum didi ne ye sab kaha to maine kaha.
"Wo to aap na bhi kahengi tab bhi karuga didi aur saari zindagi karta rahuga. Main hamesha bhagwan se yahi dua karta tha ki mujhe sansaar ki koi bhi dhan daulat nahi chahiye magar uske badle wo mujhe shirf aapko de de aur aaj shayad meri dua kabool ho gayi. Bhagwan ne mujhe meri chaahat de di. Ab kuch bhi nahi chahiye mujhe. Aap mil gayi to mujhe sab kuch mil gaya didi." Maine ye kaha to didi ne kaha.
"Kya sach me tu mujhse itna pyar karta hai vicky.?" Kusum didi ne fir se apna chehra mere seene se utha kar meri taraf badi maasumiyat se dekhte huye ye kaha to maine feeki si muskaan ke sath kaha.
"Kya aapko mujh par aur meri chaahat par aitbaar nahi hai.?" Maine unki aankho me dekhte huye ye kaha to didi ne jaldi se kaha.
"Nahi vicky....aisi baat nahi hai. Tujh par aitbaar nahi hoga to fir duniya me mujhe kisi par bhi aitbaar nahi hoga. Main janti hu ki tu mujhe bahut pyaar karta hai. Main khush naseeb hu mere bhai ki duniya me ek aisa ladka hai jo mujhse sabse zyada pyaar karta hai. Wo ladka mera bhai bhi hai aur mera hone wala p....." Didi kahte kahte ekdam se ruk gayi. Unke chehre par ekdam se laaj aur sharm ki surkhi fail gayi aur unhone jaldi se apna chehra mere seene me chhupa liya.
Main unki baat ko achhi tarah samajh gaya tha ki wo kya kahna chaah rahi thi aur sach to ye hai ki main ye baat samajh kar andar se bahut hi zyada khush ho gaya tha. Mere man me ekdam se shararat karne ka vichaar aaya to maine muskurate huye kaha.
"Kya hua didi...aur kya kah rahi thi aap.? Mujhe thik se sunaayi nahi diya. Ek baar fir se kahiye na." Maine ye kaha to didi ne mere seene me apna chehra chhupaye huye hi dheere se kaha.
"Tu....tum samajh to gaye ho na vicky.? Fir kyo puchh rahe ho mujhse.?" Didi ne dheeme swar me ye kaha to maine muskurate huye kaha.
"Main kaha itna samajhdaar hu didi.? Isi liye to puchh raha hu aapse ki aap kya kahte huye achanak ruk gayi thi. Aakhir kya kahna chaahti thi aap.?" Maine ye kaha to didi ne fir se dheeme swar me kaha.
"Rahne do na vicky. Main ab nahi bata sakti. Tum bas samajh jaao na." Didi ne ye kaha to mujhe andar se ek ajeeb si gudgudi mahsoos huyi. Main janta tha ki didi ko khul kar batane me sharm aa rahi hai magar main unke mukh se saaf sunna chaahta tha is liye bola.
"Ye to galat baat hai didi. Aap ye mujh par julam kar rahi hain. Plz bataiye na didi kya kahte huye ruk gayi thi aap.?" Maine ye kaha to didi kuch der tak kuch na boli. Main samajh sakta tha ki is wakt wo khud me himmat daal rahi thi wo sab kahne ke liye. Ek to wo mujhse umar me badi thi dusre meri bahan thi aur teesra hamesha shaant aur gambheer rahne wala unka swabhaav. Khul kar aisi baat bolne me unko jhijhak to lagni hi thi.
"Kya hua...bataiye na didi." Maine unhe chup dekh kar fir se ye kaha to is baar didi ne dheeme swar me kaha.
"Aur mera hone wala pati bhi....ab sun liya na. Haye ree ye kya kahwa rahe ho tum mujhse.?" Kusum didi ye kahte huye ekdam se mere seene me aur bhi zyada apne chehre ko maano gaad diya. Jabke unki ye baat sun kar meri muskaan gahri ho gayi.
"Ohh to iska matlab ye hua ki meri didi kuch time ke baad se meri didi nahi rah jayengi balke meri biwi ban jayengi. Uffff uske baad to apni didi ko bahut miss karuga main." Maine muskurate huye ye kaha to didi ne dheeme swar me kaha.
"Chup ho jaao vicky. Bhagwan ke liye is bare me ab kuch mat bolo warna main yaha se chali jaaugi. Tum shayad soch bhi nahi sakte ki mujhe is baat se kitni sharam aa rahi hai." Kusum didi ne ye kaha to maine kaha.
"Hahahaha achha ji...aur kya mujhe sharam nahi aa rahi hogi.?" Maine haste huye ye kaha to didi ne mujhe dheere se mukka maarte huye kaha.
"Haan nahi aa rahi. Agar aa rahi hoti to ye baat na khud kahte aur na hi mujhse kahne ko kahte." Didi ne ye kaha to maine muskurate huye kaha.
"Ohh to iska matlab mujhe in sab baato se maza aa raha hai. Yahi kahna chaahti hain na aap.?" Maine ye kaha to didi ne kaha.
"Haan aur nahi to kya." Kusum didi ne ye kaha aur sath hi mujhe mahsoos hua ki unhe hasi bhi aayi thi magar hasi ki awaaz ko unhone daba liya tha. Bas unka jisam hi hil kar rah gaya tha.
To be continue....
Bhai log....
Aaj ke liye itna hi....
Read Enjoy & Give Your Feedback....
Keep Supporting & Stay With....
Aaj ke liye itna hi....
Read Enjoy & Give Your Feedback....
Keep Supporting & Stay With....