Sanju
Well-Known Member
- 4,363
- 7,845
- 158
Yaha Ek baat ajib jal launda shahar me padhta tha to iske paas touchscreen mobile tha video call bhi karta tha didi ko ab ghar aane pe wahi mobile keypad ho gya.... Waaah.SAB KUCH JAYAZ HAI....Raat me rachna ke bare me sochte sochte kab meri aankh lag gayi thi mujhe pata hi nahi chala tha. Subah alarm clock ke bajne se hi meri aankh khuli. Main jag to gaya tha magar utha nahi. Alarm clock band karne ke baad didi ne meri taraf dekha to mujhe aankh band kiye leta hua paya.
UPDATE = 14
FLASHBACK RUNNING....
Didi mujhe kuch der dekhti rahi. Uske baad mujhe bed par kuch halchal mahsus huyi. Main samajh gaya ki didi ab kamre se ja rahi hain. Iske pahle kisi din bhi aisa nahi hua tha ki alarm clock ke bajne par main didi ke sath hi uth na gaya hou. Magar aaj pata nahi kya hua tha mujhe ki maine jag jane ke baad bhi apni aankhe na kholi thi balke chup chaap pada hi rah gaya tha. Main apne aap par hairan tha aur soche ja raha tha ki ab didi kya karegi.?
Abhi main soch hi raha tha ki tabhi mujhe mere right chick par bahut hi soft cheez mahsoos huyi aur mahakti garm garm hawa bhi. Mujhe pahle to kuch samajh na aaya magar jald hi pata chal gaya.
"Good morning mere pyare bhai. Mujhe pata hai ki tu jag gaya hai. Magar ye nahi samajh aaya ki jagne ke baad bhi tu apni didi ka subah subah chehra nahi dekh raha." Didi ne mere gaal ko halke se chumne ke baad aisa kaha to maine fat se apni aankhe khol di aur fir apne chehre ke ek dam kareeb unke chehre ki taraf dekh kar muskuraya.
"Agar main bhi apki tarah jag jata aur bed par uth kar baith jata to mujhe ye kaise pata chal pata ki aaj ki subah itni khubsurat bhi hogi." Maine muskurate huye aisa kaha to didi muskura uthi magar unke chehre ke bhaav se laga jaise unhe meri ye baat samajh na aayi ho.
"Kya matlab hai tera.?" Didi ne meri aankho me dekhte huye kaha to maine kaha.
"Subah to aaj se pahle bhi khubsurat hoti thi didi magar ab pata chala ki un subaho me aur aaj ki subah me kafi change tha." Maine kaha to didi hairani se mujhe dekhne lagi.
"Ye tu kya kah raha hai mujhe kuch samajh me nahi aa raha. Saaf saaf kah na ki kya kah raha hai tu.?" Didi ne kaha to maine muskurate huye kaha.
"Aree badi simple si baat hai didi. Aaj se pahle wali subah sukhi type ki hoti thi magar aaj wali subah sukhi nahi meethi thi aur bahut mahaki huyi bhi. Aaj aap ne jab good morning kaha to aap ne mere gaal par chuma bhi. Is liye kah raha hu ki aaj ki subah pahle wali har subah se khubsurat thi." Maine detail me unhe bataya to wo muskura kar seedhi baith gayi.
"Achha aisa...wo to maine aise hi tere gaal par choom liya tha. Tujhe aankhe band karke leta hua dekha to mujhe tujh par aur teri masumiyat par pyar aa gaya tha. Apne bhai ke gaal ko chum liya to isse subah kaise khubsurat ho gayi.?" Didi ne muskurate huye kaha to maine kaha.
"Bas ho gayi kyo ki mujhe aisa hi mahsoos ho raha hai. Duniya ki sabse sundar aur sabse masoom meri didi ne mere gaal ko chum kar mujhe good morning bola to mere liye aaj ki subah sabse zyada khubsurat ho gayi." Maine kaha to didi mujhe bade dhyaan se dekhne lagi.
"Tu aur teri baate...kabhi kabhi mere palle hi nahi padti. Pata nahi kya kya bol deta hai. Achha chal ab main ja rahi hu. Maa ke uthne se pahle mujhe unke kamre me chaay le kar pahuchna bhi hai." Didi ne kaha to maine haan me sir hila diya. Uske baad didi kamre se chali gayi.
Unke jane ke baad main muskurate huye unke hi bare me sochne laga. Meri didi sach me bahut sundar thi. Wo mujhse age me badi thi. Unke chehre par har wakt masumiyat aur gambheerta rahti thi. Unki voice koyal ki tarah thi. Wo bahut tez nahi bolti thi...magar jab bhi wo koi baat bolti to lagta ki kaano me shahad ghul gaya ho. Meri nazar me meri didi se achhi duniya ki koi ladki nahi thi aur shayad wo bhi mere bare me yahi samajhti thi ki mere jaisa koi ladka na hoga.
Didi ko kamre se gaye 5 minute hi hua tha ki tabhi mere mobile par message tone baji. Mera mobile bed ke sirhane par hi rakha tha. Message tone sun kar maine socha itni subah kiska message ho sakta hai. Kya company walo ke liye bhi subah ho gayi hai. Ye sochte huye maine mobile utha kar dekha to unknown no ka ek message show ho raha tha screen par.
Maine mobile unlock karke message box ko open kiya to usme mujhe ek message likha dikha jo ek shayari me tha. Unknown no se message dekh kar mere dimaag me bas ek hi naam aaya. Ye no rachna ka hi tha shayad. Usi ne subah subah message bheja tha shayari wala.
Chandni raat alvida keh rahi hai,
Ek thandi si hawa dastak de rahi hai,
Uth kar dekho dost zara nazaro ko,
Ek pyari si subah aapko,
“Good morning” kah rahi hai.
Maine rachna ke is shayari wale message ko teen chaar baar padha. Usne shayari me good morning message ke sath sath mujhe dost bhi kaha tha. Matlab wo mujhe dost maanti hai. Mujhe samajh na aaya ki main uske is message ka kya jawaab du. Maine kuch der socha aur fir bina koi jawaab diye maine mobile ko ek taraf rakh diya.
Main rachna par bharosa nahi kar sakta tha. Kyo ki maine uske bhai ko mara tha aur usi ki vajah se panchayat huyi thi jisme uske baap ko life me pahli baar haar ka muh dekhna pada tha. Bhare gaav ke samne panchayat ne mere paksh me faisla sunaya tha. Gaav ke other cast ke logo ne uske samne pahli baar bolne ki himmat ki thi. Ye sab baate aisi thi jisse mujhe lagta tha ki apne baap aur bhai ki tarah rachna ki soch bhi unki tarah hi hogi aur wo mujhse dosti kar ke koi kaand karna chahti hogi.
Yahi sab sochte huye main neeche aaya aur bathroom me ghus gaya. Fresh hone ke baad main fir se apne kamre me aa gaya aur bed par let kar didi ke aane ka wait karne laga. Thodi der baad didi tray me chaay le kar aayi to ham dono ne hi sath baith kar chaay pi. Main unke samne khush hi dikh raha tha. Jab didi chali gayi to maine diwaar par bane aale se ek book liya aur use padhne laga.
Subah ke baad se rachna ka na koi phone aaya aur na hi koi message. Main din bhar pita ji ke sath kheto par raha aur fir shaam ko ghar aa gaya. Aise hi do din guzar gaye. In do dino me rachna ne mujhe koi phone nahi kiya tha. Haan uska message zarur aata tha. Good morning aur good night wale magar maine uske message ka koi reply nahi diya tha.
Teesre din subah didi ke jane ke baad rachna ka fir se good morning ka message aaya. Uske ye dono time wale messages shayari me hi hote the. Aaj bhi usne shayari me hi message bheja tha jise main padh raha tha.
Tazi hawa me phulo ki mahak ho,
Pahli kiran me chidiyo ki chahak ho,
Jab bhi kholo tum apni palke aye dost,
Un palko me bus khushiyo ki jhalak ho.
Mujhe samajh na aaya ki main rachna ke is message ka kya jawab du. Main kuch der sochta raha iske baad mobile ko rakh kar neeche aaya aur bathroom me ghus gaya.
Sara din aise hi guzra magar jab sham hoti aur main pita ji ke sath ghar ki taraf chal deta to mujhe dar sa satane lagta ki kahi pita ji ke samne hi rachna ka call na aa jaye. Waise to maine usse sochne ke liye time liya tha magar teen din guzar gaye the aur maine uske messages tak ka koi jawab nahi diya tha. So mujhe lagta tha ki kahi wo call hi na kar de. Main pita ji ke samne teesri baar uske call ko aford nahi kar sakta tha. Jane pita ji kya soche mere bare me ki mera phone usi wakt kyo bajta hai jab wo sath me hote hain.?
Maine apne mobile ko vibration me rakha hua tha. Jisse agar call aye bhi to mere siva kisi ko pata na chale. Aaj bhi raaste me samne se aate huye koi mil gaya tha pita ji ko jisse wo baate karne lage aur mujhe ghar jane ko kah diya tha. Main ghar ki taraf chala to thodi hi der me mere paint ki pocket me vibration hone laga. Maine aas paas dekha aur fir mobile nikal kar dekha to rachna ka hi call tha.
Rachna ka call dekh kar main tention me aa gaya. Main sochne laga ki ab ise kya jawab duga main.? Call to uthana hi tha so uthaya to rachna ek dam se shuru ho gayi.
"Bade ajeeb aadmi ho tum. Mere ek bhi message ka jawaab nahi diya. Agar reply me tum bhi gm ya gn kah dete to kya ho jata.? Main hi pagal hu jo tumse dosti karna chahti hu. Socha tha ki ek achhe insan se dosti ho jayegi to usse kuch achha achha seekhne ko milega. Magar meri to kismat hi kharab hai na." Rachna ne non stop ye sab kaha to maine kaha.
"Wo mujhe samajh hi nahi aaya ki main tumhare message ka kya jawab du.?" Maine dheere se ye kaha to rachna ne kaha.
"Haye haye samajh hi nahi aaya. Isme samajhna kya tha vicky.? Gm ya gn message ka jawab to koi anpadh bhi de sakta hai. Tum ye kyo nahi kahte ki tum koi jawab dena hi nahi chahte the mujhe. Hey bhagwan koi aisa bhi karta kya apni masoom si dost ke sath.?" Rachna ne aisa kaha to mujhe jane kyo andar hi andar hasi aayi magar main hasa nahi.
"Chhodo jane do. Ye bataao ki kya socha hai tumne dosti ke liye.? Aaj ye teesra din bhi khatam ho gaya. Kya puri zindagi sochne me lagaoge.?"
"Nahi aisi baat nahi hai." Maine ye kaha to rachna ne kaha.
"Fir kaisi baat hai vicky.? Tum na sochte hi bahut ho. Itna mat socho vicky. Tum mujh par pura bharosa kar sakte ho. Agar tum ye soch kar mujhse dosti ke liye haan nahi kar rahe ki main tumse dosti ki aad me apne bhai ki maar ka badla lugi to tum galat sochte ho vicky. Mere man me tumhare liye aisi koi buri niyat nahi hai. Sara gaav janta hai ki tum aur tumhare pariwar ke sab log bahut achhe hain. To jo sach hai use kya main nahi manugi.?" Rachna ne ye sab kaha to main hairaan rah gaya. Mere man me jis baat ka andesa tha rachna usi ki baat kar rahi thi.
"Achha ek kaam karo. Tum mujhse dosti ke liye haan kaho. Tumhe jab bhi aisa lage ki main tumhare sath dosti ki aad me kuch bura karna chahti hu to tum usi wakt mujhse dosti khatam kar dena aur mera phone no bhi block kar dena. Ab isse zyada main kya kah sakti hu vicky.? Main tumhe bharosa dilane ke liye kisi ki bhi kasam kha sakti hu aur kya kar saktu hu tum khud batao.?" Rachna ne aisa kaha to main soch me pad gaya. Baat to wo sach hi kah rahi thi.
Insaan bharosa dilane ke liye yahi sab to kar sakta hai aur insan ko bharosa karna hi padta hai. Maine bhi socha ki agar ye rishky bhi hai to ye rishk le hi leta hu. Maine rachna se dosti karne ke liye haan kah dene ka faisla le liya. Main bhi ab dekhna chahta tha ki rachna mujhse dosti kar ke kya karti hai.?
"Thik hai maine soch liya hai." Maine ye kaha to rachna ne kaha.
"Kya soch liya hai.?" Rachna ne kaha to maine kaha.
"Ye ki main tumse dosti karuga magar main is dosti me kisi bhi tarah ki bandish nahi chahta." Maine aisa kaha to rachna ne khushi se kaha.
"Ye huyi na baat. Tumhari is razamandi se main bahut khush ho gayi hu vicky. Ek achhe nature ka insan mera dost ban gaya hai. Main puri koshish karugi ki meri vajah se mere dost ka dil na dukhe aur na hi kisi tarah ki koi problem ho." Rachna ne ye kaha to mujhe bhi andar se ek khushi ka ahsaas hua. Magar maine us khushi ko rachna par ujagar nahi kiya.
"Meri bhi yahi koshish rahegi ki meri vajah se tum par kabhi koi baat na aaye." Maine aisa kaha to rachna ne kaha.
"Tumhe ye kahne ki zarurat nahi hai vicky. Mujhe pata hai ki tum bahut achhe nature ke ho aur kisi ke bhi bare me bura nahi soch sakte. Tumhari isi achhaayi ki vajah se to main tumse dosti karna chahti thi." Rachna ne ye kaha to main kuch na bola.
"Achha chhodo....ye batao abhi kya kar rahe ho tum. Waise hamari dosti ki shuruaat ke liye tum kuch nahi karoge.?" Rachna ne aisa kaha to main hairan hua. Mujhe samajh na aaya ki uske ye kahne ka kya matlab tha.
"Kya matlab...kya karu main.?" Maine pucha to rachna ne haste huye kaha.
"Kuch aisa jisse lage ki haan ab ham dost ban gaye hain." Rachna ne kaha to maine kaha.
"Ohh magar abhi ham puri tarah se dost nahi bane." Maine aisa kaha to rachna bol padi.
"Ye kya kah rahe ho tum. Dost nahi bane hain to fir ye kya hai.?" Rachna ko shayad samajh nahi aaya tha is liye usne jab aisa kaha to maine kaha.
"Mera matlab hai ki abhi to ham ek dusre ko achhi tarah se jante bhi nahi hain. Jab achhe se jaan lenge tab ye kaha jayega ki ab ham pakke dost ban gaye hain." Maine aisa kaha to rachna fir hasi aur boli.
"Ohh aisa kya....magar main to tumhare bare me janti hu ki tum kitne achhe ho. Kya tum nahi jante mere bare me.?" Rachna ne aisa kaha to maine kaha.
"Main bas itna hi janta hu ki tum sarpanch kaka ki beti ho bas. Usse zyada mujhe tumhare bare me kuch nahi pata." Maine aisa kaha to rachna ne kaha.
"Achha thik hai...tum mujhse mere bare me jo chaaho puch lo. Maim sab kuch bata dugi. Uske baad tum bhi mere bare me jaanne lagoge aur fir ham pakke wale dost ban jayege." Rachna ne itne easy tarike se kaha jaise ye koi asaan baat ho.
Main samajh nahi pa raha tha ki gaav ki ek aam si ladki kisi ajnabi ladke se itna easy feel karte huye kaise bebaaki se baat kar sakti hai.? Main ek ladka tha magar mujhe kisi bhi ladki se baat karne me bahut zyada jhijhak lagti hai.
"To bolo vicky....kya janna chahte ho mere bare me. Tumhe jo bhi puchna ho tum pucho. Main tumhe sach sach bata dugi." Rachna ne mujhse ye kaha to mujhe samajh na aaya ki main usse kya puchhu.?
"Mujhe khud nahi pata ki main tumse kya puchhu. Tumhe jo kuch batana ho tum khud hi bata do." Maine kaha to rachna fir se khilkhila kar hasne lagi fir boli.
"Tum sach me ajeeb ho magar fir bhi bahut achhe ho. Tum mujhse mere bare me puchne me hichkicha rahe ho. Tabhi to aisa kah rahe ho. Warna tumhe bejhijhak puchna chahiye tha mujhse. Ab to ham dost ban gaye hain is liye ab kisi baat ke liye jhijhakne ka kya matlab.?" Rachna ne ye sab kaha to main sochne laga ki ye ladki to sach me bahut zyada open minded hai.
"Achha ab main phone rakhta hu. Abhi khet se aaya tha aur ab ghar pahuch gaya hu." Maine ye kaha to rachna boli.
"Tum khet me kya karte ho vicky. Tum to padhe likhe ho to kahi shahar me koi achhi si naukari kyo nahi karte. Yaha kheto me sabhi anpadho ki tarah kaam kyo karte ho.?" Rachna ne aisa kaha to maine kaha.
"Kya padhe likhe logo ko kheto me kaam nahi karna chahiye.? Shayad tumhe pata na ho magar padhe likhe log bhi krishi ka kaam bahut achhe se karte hain. Mujhe achha lagta hai apne pita ji ke sath kaam me unka hath batana. Shahar me naukri karke apni family se door nahi jana chahta. Mere pita ji mujhse ye nahi kahte ki tum kheto me kaam karo magar main khud hi karta rahta hu." Maine ye sab kaha to rachna ne kaha.
"Achhi baat hai vicky. Apne pariwar ke sath mil jul ke rahna aur unke kaamo me unki madad karna achhi baat hai. Magar jo log padhaayi likhaayi karte hain wo khud aur unke ghar walo ke dil me ye armaan to rahta hi hoga ki padh likh kar hame koi achhi si naukari karni chahiye. Jisse ghar pariwar ka naam roshan ho sake." Rachna ke muh se itni badi baat sun kar main hairan rah gaya. Lag hi nahi raha tha ki wo itna advance ho sakti hai.
"Haan ye to hai. Magar maine abhi is bare me kuch nahi socha hai. Baad me dekhuga ki kya karna hai. Achha ab maim rakhta hu phone. Main ghar ke samne aa gaya hu." Maine ye kaha to rachna ne kaha.
"Thik hai rakh do...magar ye to bataao ki ab fir se kab baat hogi hamari.? Kya main tumhe kisi bhi wakt phone laga sakti hu.?" Rachna ne pucha to maine kaha.
"Din bhar to main pita ji ke sath kheto par rahta hu. Uske baad ghar me. Is liye main tumhe ye nahi kah sakta ki tum kabhi bhi phone kar sakti ho. Agar kisi ko pata chal gaya to panga ho jayega." Maine kaha to rachna ne kaha.
"To tum hi batao kis wakt main tumse baat kar sakti hu. Baaki time to mere paas meri didi ya meri chhoti bahne hi rahti hain. Waise bhi ghar me rahte huye main baat nahi kar sakta." Maine use bataya to rachna ne kaha.
"Achha ye bataao ki tumhare paas kaun sa mobile hai. Touch screen wala hai ya button wala.?" Rachna ne pucha to maine use bata diya ki mere paas keypad wala normal mobile hi hai. Usne kaha ki uske paas touch screen wala hai jo uski didi ke diye paiso se usne kharida hai.
Rachna ne mujhse kaha ki main bhi ek touch screen mobile le lu. Magar maine ye kah kar iske liye inkaar kar diya ki main ghar walo se kya boluga ki mujhe kis liye touch screen mobile lena hai. Mere paas to already ek mobile hai. Uske baad maine rachna ko phone rakhne ka kah kar phone rakh diya aur ghar ke andar aa gaya.
Mere dimaag me rachna se huyi baate chal rahi thi. Main soch soch kar hairaan tha ki rachna kitni bebaaki se mujhse baate kar rahi thi. Use jo bhi bolna hota tha wo pure confidence ke sath bolti thi aur mera confidence ek dam se hi zero par tha.
Raat me khana pina karke main apne kamre me aa gaya tha. Raat 11:30 baje didi aayi to ham dono ne kuch der idhar udhar ki baate ki uske baad didi gn bol kar so gayi. Magar main jagta raha. Mujhe neend nahi aa rahi thi. Mera dhyaan baar baar rachna ki taraf ja raha tha. Maine mobile utha kar dekha to usme rachna ka gn message pada tha jo shayari me hi tha.
Yuhi Kabhi Sapno Se Dil Lagaya Karo,
Kisi Ke Khwabo Mein Aaya Jaya Karo,
Jab Bhi Dil Kare Ki Koi Tumhe Bhi
Subah Jagaye,
Bas Hame Yaad Karke Pahle So To
Jaya Karo…
Good night....
Maine rachna ke is message ko padha aur fir sochne laga. Main soch raha tha ki mujhe uske is message ka reply dena chahiye ya nahi. Usne mujhse shikayat bhi ki thi ki maine uske messages ka koi reply nahi diya tha. So maine socha ki kuch to reply dena hi chahiye warna wo fir mujhse is baat ki shikayat karegi.
Maine rachna ke message ka reply good night ka message karke diya. Raat adhe se zyada guzar chuki thi. Rachna ko message karne ke baad maine mobile ko sirhane rakh diya tha. Magar meri ummeed ke vipreet mere mobile par fir se message tone ke liye vibration hua. Maine mobile utha kar dekha to usme rachna ka message aaya hua tha. Usne THANKS MY SWEET FRIEND likh kar bheja tha.
Main hairan tha ki rachna is time bhi jag rahi thi. Wo is time kyo jag rahi thi is bare me mujhe kuch bhi samajh na aaya. Waise maine socha to ki shayad wo mere reply ka wait karti rahi hogi. Sochte sochte hi mere dimaag me ek aur baat aayi. Ye bhi to ho sakta hai ki rachna mere message ke liye nahi balke kisi aur vajah se itne time jag rahi ho. Wo vajah ye bhi ho sakti ki uska kisi dusre ladke se chakkar ho aur wo der raat tak usse messages me baate karti ho ya call par bhi baate karti ho.
Rachna ka bindaas aur confidence se bhara character dekh kar mujhe yahi reason samajh me aa raha tha aur mujhe ye sach bhi lag raha tha. Uske baad mujhe kab neend aa gayi thi mujhe pata hi nahi chala.
Subah alarm clock ke bajne se hi neend khuli. Didi ne mujhe gm kaha uske baad wo chali gayi. Aise hi 15 din guzar gaye. Meri subah didi ke sath hoti aur raat bhi. Din bhar pita ji ke sath kheto par kaam aur uske baad ghar. Rachna mujhe daily phone karti thi. Wo tabhi phone karti thi jab main kheto par rahta tha. Uska phone fix time par hi aata tha. Main bhi us fix time par kheto me sabse alag ho jata tha jisse kisi ko pata na chal sake ki main kisi se phone par baat kar raha hu.
In 15 dino me main kafi khul chuka tha rachna se. Pahle mujhe usse baat karne me jhijhak hoti thi magar ab aisa nahi tha. Ab main bhi usse thoda confidence ke sath hi baat karne laga tha. Wo mujhse khub has has kar baat karti thi aur kabhi kabhi mazaak me mujhe chhedti bhi thi. Main ek limit tak hi usse baat karta tha. Wo har baar mujhse yahi kahti ki zindagi me itna dab ke aur itna kamzor ban ke nahi rahna chahiye. Chaar din ki zindagi ko hasi khushi aur bindaas ho kar jeena chahiye.
Main rachna ki in baato ka bas haan ya na me jawaab de deta tha. Ek din usne mujhse milne ke liye kaha to maine saaf mana kar diya. Mere mana kar dene par wo mujhse kahne lagi ki milne me kya problem hai. Ham dost hain to kabhi na kabhi to milna bhi chahiye hame ek dusre se. Uski is baat se maine use bataya ki ye possible nahi hai kyo ki main din bhar pita ji ke sath kheto par hi rahta hu.
Rachna ne kaha ki agar mujhe gaav me milne se koi problem hai to ham shahar me mil sakte hain. Uski shahar me milne ki baat se main hairan rah gaya tha. Usne khud hi bataya ki wo hapte me sunday ke din hamesha shahar jati hai bus se. Kabhi akeli to kabhi kisi saheli ke sath wo shahar zarur jati hai. Uske ghar walo ko bhi pata hai. Wo apne baap ki ladli beti hai is liye uska baap uske kahi aane jane par koi paabandi nahi lagata.
Rachna ne mujhse kaha ki is baar jab wo sunday ko shahar jayegi to main bhi us din shahar chalu. Wo bus se jayegi aur main apni moter sycle par. Shahar pahuch kar ham ek dusre se milege. Rachna ne pura plan bata diya tha mujhe aur mujhe chalne ke liye force bhi kiya. Main mana karta rah gaya magar wo na maani thi. So final yahi hua ki do din baad sunday ko mujhe shahar jana hi padega.
Phone par baate karna ya message me baate karna tak to theek tha magar milne milane wali baat se main comfortable feel nahi kar raha tha. Magar rachna ki request par aur uske samjhane par mujhe usse milne shahar jana hi pad raha tha. Mera dil aur dimaag dono hi iske liye ready nahi the. Baar baar aisa lag raha tha jaise isse kuch gadbad ho jayegi.
Saturday ki raat mujhe neend nahi aa rahi thi. Kal sunday tha aur mujhe rachna se milne shahar jana tha. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki shahar jane se kaise bachu. Rachna ne saaf kah diya tha ki koi bahana nahi chalega. Agar maine aisa kiya to wo mujhse naraz ho jayegi. Maine bhi socha tha ki milne me kya jata hai. Ek baar mil kar dekh lene me kya hai. Aakhir pata to chale ki milne se kya hota hai.
Kusum didi ko maine rachna ke bare me abhi kuch bhi nahi bataya tha. Mujhe guilt feel ho rahi thi ki maine didi se is baat ko ab tak chhupa kar rakha hua hai. Jabke main unse apni koi bhi baat nahi chhupata tha. Unke samne meri zindagi ki kitaab ka har page open tha. Maine is bare me didi se is liye bhi nahi bataya tha ki pata nahi wo mere bare me kya sochengi. Unko ye baat pasand aayegi ki nahi ki maine us sarpanch ki beti se dosti ka rishta bana rakha hai jiske bete ko maine us time mara tha.
Saturday ki raat badi mushkil se guzri thi. Maine saturday ko hi maa se bata diya tha ki mujhe kal shahar jana hai kisi kaam se. Maa ne shahar jane ki ijajat de di thi. Raat me shayad unhone pita ji ko bhi bata diya tha. Subah jab main jane ke liye ready hua to pita ji ne mujhe kuch paise diye the kharche ke liye. Unhone mujhse ek baar bhi nahi puchha tha ki main shahar kis liye ja raha hu. Shayad wo mujh par had se zyada bharosa karte the aur jante the ki main bevajah shahar nahi ja raha hu.
Bhai log....
Aaj ke liye itna hi....
Read Enjoy & Give Your Feedback....
Keep Supporting & Stay With....
Ye hero chutiyo wale raste pe ja raha h pakka pela jayegaSAB KUCH JAYAZ HAI...."Bhai didi ki narazgi door karke hi wapas aana. Didi ko is tarah dukhi dekh kar hame bilkul bhi achha nahi lagta hai. Is liye tum aisa kuch karna ki unka sara dukh door ho jaye." Pooja ne kaha to main uski taraf dekhne laga. Mujhe samajh na aaya ki uske aisa kahne ka kya matlab hai.
UPDATE = 23
Jaise hi 11:30 baje to main priya pooja ke kamre se baahar aa gaya aur neeche didi ke kamre ki taraf chal pada. Mera dil ye soch kar zor zor se dhadakne laga tha ki main didi se kis tarah baat kar paauga.? Kya didi mujhse baat karna chahengi ya wo mujhe apne kamre se chale jane ko kah dengi.
Ab aage padhiye....Achanak mere mobile ki ring tone baji to main apne past ki yaado se baahar aa gaya. Main ekdam se hairaan sa hua fir maine mahsoos kiya ki train kisi station par khadi hai. Upar wale birth par leta hua tha main. Maine jaldi se paint ki pocket se apna mobile nikaal kar dekha to usme kisi unknown number se call aa rahi thi. Us unknown number ki call ko dekh kar pahle to mujhe samajh na aaya fir ekdam se mere man me khayaal aaya ki kahi ye call kusum didi ki to nahi hai.?
Present start....
Raat ka ek baj raha tha us wakt. Itni raat ko kisi local aadmi ka call to possible nahi tha to shayad ye call kusum didi ki hi ho. Ye soch kar mera dil zoro se dhadakne laga. Maine call ko pick kar ke mobile ko kaan se laga kar dheere se hello kiya.
Mere hello karne par ekdam se mere kaano me kisi ke buri tarah ro padne ki awaaz sunaayi di. Main us roti huyi awaaz se hi pahchaan gaya ki ye meri kusum didi hain. Unko is tarah rota sun kar main ekdam se tadap utha magar mujhe samajh na aaya ki main unhe kaise shaant karu.? Mujhe jaisa samajh aaya waise hi maine didi ko shaant karne ki koshish ki. Kuch der baad aakhir jab didi shaant ho gayi to sabse pahle unhone mujhse yahi pucha ki main ghar aa raha hu ya nahi. Unke puchne par maine unhe bataya ki main aa raha hu aur is wakt train me hi hu.
Maine didi ko bataya ki main kal do baje tak ghar pahuch jauga. Meri ye baat sun kar didi bahut khush huyi. Maine unse sabke bare me pucha to unhone bas yahi kaha ki main khud hi aa kar dekh lu. Fir maine unse pucha ki unhone facebook par itna late reply kyo diya tha to unhone bataya ki unke paas touch screen phone nahi hai aur na hi unhone facebook me khud koi id banayi thi. Wo to pooja ne banaya tha. Use kahi se pata chala tha ki facebook se bhi mera pata lagaya ja sakta hai. Pooja ne mere naam se hi facebook me id banayi kyo ki use lagta tha ki tum mera naam dekh kar zarur jaldi baat karne ki koshish karoge aur wahi hua bhi.
Kusum didi se maine bahut der tak baate ki aur sabke bare me pucha. Ye bhi pucha ki gaav me ab kaisa mahaul hai. Didi ne mujhe sab kuch bataya. Unhone bataya ki aaj kal ghar ke halaat bahut kharaab hain aur wo sab bahut dukhi hain. Maa ka to bura haal hai. Din raat bas apne bete ki hi yaado me khoyi rahti hain. Pita ji ki haalat aisi ho gayi hai ki wo bistar se uth hi nahi sakte.
Mujhe didi ne message me short me hi sab kuch bataya tha. Magar ab phone par unhone mujhe sab kuch saaf saaf bata diya tha. Unhone bataya ki mere ghar se jane ke baad jaise ghar ki har khushi chali gayi thi. Maa pita ji ke beech aksar kaha suni hone lagi thi. Gaav ka mahaul bhi hamare liye bahut kharab ho chuka tha.
Main didi ki baate sun kar bahut dukhi hua. Iske pahle jaha main ye socha karta tha ki ab kabhi apne ghar walo ke paas nahi jaauga aur na hi unse baat karuga, wahi ab main is baat se apne aap par gussa ho raha tha ki itna patthar dil kaise ho gaya tha main.? Mata pita kabhi apni aulaad ka bura nahi chahte aur na hi unke sath kabhi bura karte hain. Wo jo bhi karte hain apni aulaad ki bhalaayi ke liye hi karte hain.
Kafi der tak maine didi se baat ki. Fir jab network katne laga to maine didi se kaha ki kal jab ghar aa jauga tab baat hogi. Didi se baat karne ke baad main bahut der tak apne mata pita aur bahno ke bare me sochta raha. Didi ne mujhe sab kuch bata diya tha. Gaav ke halaat thik nahi the aur na hi mere ghar walo ke. Ab har cheez ki jimmedari mujh par hi thi.
Sari baato ko jaan'ne samajhne ke baad ab mujhe samajh aa gaya tha ki gaav pahuchne ke baad mujhe kya kya karna zaruri hoga. Sabse badi baat ye thi ki gaav ke mahaul ke hisaab se mujhe bahut hi samhal kar rahna hoga kyo ki beete huye kal me aisa kuch ho chuka tha ki mere liye gaav pahuchte hi khatra bhi paida ho jana tha.
Beete huye kal ka khayaal aaya to main ek baar fir se apne past ke bare me sochne laga. Kuch dino se past ki baate kuch zyada hi yaad aa rahi thi mujhe aur main un yaado me kho jata tha. Kusum didi ki baato ke bare me sochte sochte hi main ek baar fir se apne ateet me doobta chala gaya.
(Bhai log....main janta hu ki aap log is flashback se bor ho rahe ho magar tention mat lo. Main is flashback ko hero ke gaav pahuchte hi khatam kar duga. Uske baad story sirf present me hi chalegi.)
Flashback start....Main kusum didi ke kamre ke baahar khada tha. Kamre ka darwaja band tha aur mujhme us darwaje ko khatkhatane ki himmat nahi ho rahi thi. Mera dil zoro se dhadak raha tha. Mere dil aur dimaag me tarah tarah ki baate chal rahi thi. Magar ab main yaha se wapas nahi jana chahta tha. Main aaj didi se sab kuch jaan lena chahta tha.
Bahut himmat juta kar maine darwaje ko halke se khatkhataya. Kuch der rukne ke baad maine fir se darwaja khatkhataya to is baar mujhe zyada intzar nahi karna pada. Thodi hi der me darwaja khula aur mere samne kusum didi raat wale kapde pahne khadi dikhi. Darwaje ke paas mujhe khade dekh kar didi ekdam se hairan bhi huyi aur thoda ghabra bhi gayi.
Mujhe dekh kar didi shock to huyi magar mujhse kaha kuch nahi. Main bina kuch bole darwaje se andar ki taraf aa gaya. Mere is tarah andar aane se didi pareshan aur bechain si nazar aane lagi. Udhar kamre me aate hi main kamre me rakhi ek lakdi ki kursi par baith gaya. Didi meri taraf kuch der dekhti rahi fir jane kya soch kar unhone darwaja band kiya aur chal kar mere paas aayi fir boli.
"Tum yaha kyo aaye ho.?" Didi ne narazgi se mujhse kaha to maine unki taraf dekhte huye kaha.
"Pahle aap shanti se bed par baith jaiye didi." Maine aisa kaha to didi ne kaha.
"Tum jaao yaha se...agar tum mujhse kisi bare me baat karne aaye ho to main tumhe pahle hi bata deti hu ki mujhe kisi bare me koi bhi baat nahi karna tumse." Didi ne shakht andaaz se ye kaha to pata nahi kyo unki is baat se mere dil ko bahut dukh hua. Meri aankho me aanshu aa gaye. Maine unki taraf dekhte huye dukhi ho ke kaha.
"Mujhe zahar de kar maar dijiye didi magar is tarah til til kar mat maariye. Aapko pata nahi hai ki aapki is berukhi se main itne dino kaise pal pal mar raha hu. Aise mat maariye didi....mujhe zahar de di dijiye. Bharosa kijiye main khushi khushi apke diye us zahar se mar jaauga." Maine aisa kaha to didi ne kheech ke mujhe thappad maar diya aur fir bilakh bilakh kar rone lagi.
"Aisa mat bol vicky...aisi ashubh baate mat bol. Tujhe zahar de kar main kya ji paaugi.? Aree pagle main bhi to wahi zahar kha lugi aur tere sath hi mar jaaugi. Jab tu hi nahi rahega to main kis ke liye jiyugi.?" Didi ne rote huye ye kaha aur wahi neeche kursi ke paas baith kar rone lagi.
Unko rota dekh main kursi se utha. Fir jhuk kar unhe uthaya aur bed par unhe baitha diya. Wo sisak sisak kar ro rahi thi. Unki aankho se aanshu bah kar unke gaalo ko geela kar rahe the. Unhe is haalat me dekh kar mera dil tadap gaya. Maine kheech kar unhe apne seene se laga liya.
"Itna to mujhe bhi pata hai didi ki aap mujhse naraz ho kar ya mujhse door ho kar ek pal ko bhi khush nahi rah pa rahi hongi. Mujhe ye bhi pata hai ki apki narazgi dil se nahi ho sakti. Wo to bas dikhawa hai...magar haan main ye nahi janta ki ye dikhawe ki narazgi kyo hai.? Aakhir aisa kya ho gaya hai ki aapne achanak hi jaise mujhse har rishta hi tod liya hai.?" Maine ye sab kaha to didi ne mujhse alag ho kar kaha.
"Mujhse kuch mat puchh vicky...main tujhe kuch bhi nahi bata paaugi. Sari zindagi bas dukh aur bebasi me hi gazarna hai mujhe. Meri kismat hi aisi hai mere bhai ki mujhe kabhi koi khushi nahi mil sakti. Tu bekaar me hi mere liye itna pareshan rahta hai. Mujhe mere haal par chhod de tu." Didi ne ye kaha to maine kaha.
"Nahi chhod sakta didi aur ye mere bas me bhi nahi hai. Kyo ki main apko kisi bhi haal me dukhi nahi dekh sakta. Main apko khush rakhne ke liye duniya ka koi bhi kaam kar sakta hu." Maine didi ka hath pakad kar ye kaha to didi ki aakho se aanshu bahne lage.
"Tu mere samne aisi baate mat kar vicky aur ja yaha se. Mujhse door ho ja mere bhai. Mere dil me hamesha tere liye wahi pyar rahega jo ab tak tha magar main tere kareeb nahi rahna chahti ab. Mujhe kisi baat ke liye majbur mat kar. Tujhe meri kasam hai...tu mujhse is bare me koi bhi baat nahi puchhega aur na hi mujhse baat karega. Meri tujhse bas ek hi vinti hai ki mujhe kabhi galat mat samajhna." Kusum didi ne rote huye ye sab kaha aur apni kasam di to main dekhta rah gaya unhe.
Main to faisla karke hi aaya tha ki didi se sab kuch puchhuga magar yaha to didi ne mujhe apni kasam de kar kuch bhi na puchhne ka kah diya tha. Main ekdam se patthar sa ban gaya tha. Mujhe kuch samajh na aaya ki kya karu ab.? Main didi ki taraf dukhi ho ke dekhe ja raha tha aur didi neeche ki taraf sir jhukaye sisak rahi thi.
"Ye apne achha nahi kiya didi...mujhe apne se door jane ka kah diya apne. Kya ek baar bhi ye nahi socha ki apse door chale jane se main sukoon se jee bhi paauga ya nahi.?" Maine dukhi ho ke ye kaha to didi ne chehra utha kar mere chehre ko dono hatho me le ke rote huye kaha.
"Main bhi to nahi jee paaugi mere bhai magar meri bivasta hai ki mujhe aisa karna pad raha hai. Tu meri us bivasta ko nahi samajh sakta vicky aur main tujhe samjha bhi nahi sakti. Ek baat aur...main tujhe apne us hukum se bhi azaad karti hu jis hukum me maine tujhe rachna se matlab na rakhne ke liye kaha tha. Mujhe lagta hai wo waisi nahi hai jaisa main soch rahi thi. Is liye tu usse dosti banaye rakh. Bas itna khayaal rakhna ki uske baap ko ye na lage ki tu uski beti ke sath kuch aisa waisa kar raha hai. Ab tu ja yaha se." Didi ne ye sab kaha aur bed ki taraf mud kar khadi ho gayi.
Main chaahta to unki kisi bhi baat ko na maanta magar maine aisa aaj tak nahi kiya tha to ab kaise kar deta. Mera dil buri tarah ro raha tha. Didi ke palat jane se main kuch na bola aur wapas darwaje ki taraf chalte huye kamre se baahar aa gaya. Baahar aa kar maine idhar udhar dekha aur fir seedhiyo ki taraf badh gaya. Idhar mere jane ki aahat se didi mudi aur daud kar darwaje ki taraf aayi magar fir darwaje ki chaukhat par hi unke kadam ruk gaye. Aankho se bahte huye aanshuo ke sath wo mujhe jate huye dekhti rahi aur jab main upar apne kamre ki taraf badh gaya to unhone wapas kamre me aa kar darwaja band kar liya aur fir bed me aa kar gir padi. Pura kamra unki siskariyo se goojne laga.
Idhar mere dil aur dimaag me tufaan sa macha hua tha. Main priya pooja ke kamre ki taraf nahi gaya balke apne kamre me aa kar bed par let gaya. Meri aankho ke samne didi ka rota hua chehra ghoom raha tha aur kaano me unki baate goonj rahi thi. Mujhe nahi pata ki kab tak main aise hi pada raha aur fir waise hi so gaya. Apne kamre me meri dono judwa bahne bhi so gayi thi. Dono mera intzar karte karte hi so gayi thi.
Subah meri aankh 4 baje hi khuli. Main har din ki tarah hi jaag gaya tha magar aaj jaagne ke baad jaise hi mujhe pichhli raat ka sab kuch yaad aaya to mera dil aur dimaag bojhil sa ho gaya. Mera bed se uthne ka dil nahi kiya magar main fir bhi utha aur fresh hone ke liye neeche chala gaya. Wapas aate wakt meri nazar rasoyi ki taraf gayi to dekha rasoyi ki light jal rahi thi. Main samajh gaya didi rasoyi me hain aur chaay bana rahi hain.
Main chup chaap apne kamre me aa gaya. Bed par pada main didi ke hi bare me soch soch ke dukhi ho raha tha. Itna to main bhi ab samajh gaya tha ki didi ne mujhe apni kasam de kar kyo kuch bhi puchhne se mana kar diya tha. Priya pooja ka shak sahi tha. Didi mujhse premi premika wala hi pyar karti thi. Unhe ahsaas tha ki hamare beech ye rishta galat hai aur agar kisi ko pata chal gaya to kayamat aa jayegi. Isi liye wo mujhse apne us rishte ko ujagar nahi karna chahti thi. Apne ghar ki ijjat aur maan maryada ka khayaal rakhte huye unhone aisa kadam uthaya tha. Unhe apne liye pal pal dukh me tadapna manjoor tha magar iski vajah se mata pita ko jite ji maarna manjoor nahi tha.
Subah jab sab koi jaag gaya aur naasta karne ka time hua to main bhi kamre se neeche aa gaya. Naasta karte wakt pita ji ne mujhse kaha ki naasta karne ke baad main sarpanch kaka ke ghar chala jaau. Kyo ki kal se mujhe kaam kaaj samhalna tha to uske bare me kuch baat cheet kar lena zaruri tha. Maine dekha ki priya pooja mujhe gusse wali nazro se dekh rahi thi. Main samajh gaya ki ye dono mujhe is liye gusse se dekh rahi hain kyo ki raat main inke kamre me nahi gaya tha.
Naasta karne ke baad main kamre me aaya aur thodi der araam karne ke baad sarpanch kaka ke ghar ki taraf chal diya. Subah mujhe didi nazar nahi aayi thi..balke wo rasoyi me hi thi.
Sarpanch kaka ke ghar pahucha to sarpanch kaka ghar par hi mile mujhe. Dono baap bete naasta kar rahe the. Mujhe dekh kar sarpanch ne mujhe bhi naasta karne ke liye kaha to maine ye kah kar mana kar diya ki main ghar se naasta karke aaya hu. Meri baat sun kar sarpanch ne kaha ki main baithak me baith kar unke aane ka intzar karu to main baithak me aa gaya.
Main dua kar raha tha ki rachna se meri mulakaat na ho magar meri dua kabool na huyi aur rachna baithak me aa hi gayi. Use dekh kar mujhe bada ajeeb sa feel hone laga. Jabke wo ektak mujhe hi dekh rahi thi.
"Agar tumhe mujhse dosti nahi karna hai to thik hai magar mere ek sawaal ka sach sach jawaab de do. Uske baad main kabhi tumhare samne nahi aaugi." Rachna ne ye kaha to maine sir utha kar uski taraf dekha aur fir badi himmat se kaha.
"Kaun se sawaal ka jawaab.?" Maine pucha to rachna ne kaha.
"Aisa maine kya gunaah kar diya tha jiski vajah se tum mujhse ab baat nahi karna chahte.? Agar mujhse koi galti huyi hai to tum mujhe meri galti bata sakte the ya mujhe meri galti ki saza bhi de sakte the. Magar ye kya baat huyi ki tumne achanak bolna hi band kar diya. Na mera phone call uthaya aur na hi mere kisi message ka jawaab diya. Aakhir kya vajah ho gayi hai vicky..? Main ye jan'na chahti hu." Rachna ne ye sab kaha to main soch me pad gaya.
Mujhe samajh me na aaya ki main rachna ke sawaal ka kya jawaab du.? Main use kya batata ki meri didi ne usse matlab na rakhne ka hukum de diya tha. Isi liye main usse ab matlab nahi rakh raha tha. Mujhe chup dekh kar rachna ne fir se pucha to maine kaha.
"Aisi koi baat nahi hai. Wo main us din shahar me tumhare sath dekhe huye us manzar ki vajah se baat nahi kar raha tha. Mujhe bahut ajeeb lag raha tha. Is liye mujhe laga ki agar main tumse baat karuga to kahi tumhe ye na lage main tumse us bare me kuch kahuga." Maine ye sab kaha to rachna ne kuch der mujhe dekha fir boli.
"Waise mujhe lagta to nahi ki tum us vajah se mujhse baat nahi kar rahe the ya mera phone nahi utha rahe the magar chalo maan leti hu. Kher ab kya irada hai...kya ab bhi tum mujhse baat nahi karoge.? Vicky tumhe andaza nahi hai ki main hamari dosti se kitna khush thi magar jab tumne mujhse baat karna hi band kar diya to mujhe bahut dukh hua. Main har wakt sochti rahti thi ki aakhir maine aisi kya galti ki hogi jiski vajah se tum mujhse baat nahi kar rahe ho.?" Rachna ne ye sab badi masumiyat se kaha to main use dekhta rah gaya.
"Haan main samajh sakta hu." Maine ye kaha to rachna ne kaha.
"Ab agar tumne mera phone nahi uthaya ya mere message ka jawaab nahi diya to dekh lena fir. Main seedha tumhare ghar hi aa jaaugi." Rachna ne itraate huye kaha to maine muskurate huye kaha.
"Achha thik hai...ab tum jaao andar. Kahi aisa na ho ki sarpanch kaka hame ek dusre se baate karte huye dekh le." Maine ye kaha to rachna ne hairani se mujhe dekha fir boli.
"Dekh lenge to kya ho jayega.? Ham kaun sa kuch galat kar rahe hain...baat hi to kar rahe hain.?" Rachna ne kaha to main kuch na bola.
"Achha suno...tumhe pata hai aaj kaun sa din hai.?" Rachna ne pucha to maine na me sir hila diya.
"Ufff tumko na kuch yaad nahi rahta. Aree bhulakkad insaan aaj sunday hai. Kya ham dono shahar chal sakte hain aaj.?" Rachna ne ye kaha to main hairan rah gaya. Meri aankho ke samne us din ka wo manzar ghoom gaya. Mera dil zor se dhadka.
"Nahi main aaj kahi nahi ja sakta. Mujhe sarpanch kaka se zaruri baate karni hai." Maine ye kaha to rachna ne muh fula kar kaha.
"Haan to main kaun sa ye kah rahi hu ki abhi chale. Tum pahle pita ji se baate kar lo uske baad chalege na. Main maa ko bata deti hu ki main shahar ja rahi hu. Abhi mujhe bus bhi mil jayegi shahar jane ke liye. Tum pita ji se baat karke seedha shahar aa jana." Rachna ne ye kaha to mujhe samajh na aaya ki ab main use kya bolu.?
"Tention mat lo vicky. Aaj ham us jagah nahi milege balke kisi aisi jagah par milege jaha wo sab na hota ho theek hai na.?" Rachna ne ye kaha to maine uski taraf dekha aur fir kaha.
"Lekin shahar jane ki zarurat hi kya hai.? Ham abhi ek dusre se mil to liye hi hain na." Maine ye kaha to rachna ne fir se muh fula liya aur fir boli.
"Main kuch nahi janti vicky. Tumko aaj shahar chalna hai to chalna hai bas. Main abhi maa ko bata kar shahar jane ke liye taiyar hoti hu. Tum bhi pita ji se baat karne ke baad peeche peeche aa jana. Aur haan agar tum nahi aaye to dekh lena. Main kabhi baat nahi karugi tumse." Rachna ne baat na karne ki aisi dhamki di jaise main usse baat karne ke liye mara hi ja raha tha.
Rachna andar chali gayi to main uski baato ke bare me sochne laga. Ajeeb ladki thi ek baar jo bol diya use karna hi padega. Main pareshan sa ho gaya. Mujhe usse milne milane me ajeeb sa feel hota tha.
Kuch der me sarpanch kaka aaye to ham dono ke beech bahut sare muddo par baatcheet huyi. Wo mujhe kayi sari baato ke bare me samjha bujha rahe the. Is beech maine ye bhi dekha ki rachna ekdam se saj dhaj kar andar se baahar nikli aur ek baar meri taraf dekh kar muskuraayi fir ghar se baahar chali gayi thi. Uske jane ke baad main samajh gaya ki ab mujhe uske kahne par shahar jana hi padega.
Sarpanch kaka ke ghar se main kareeb adha ghante baad nikla. Rachna ko gaye huye kafi time ho gaya tha. Waise abhi wo shahar nahi pahuchi hogi kyo ki bus kayi jagaho par rukte huye jati thi. Main sarpanch kaka ke ghar se seedha apne ghar aaya aur seedha apne kamre me aa kar shahar jane ke liye achhe se taiyar hone laga.
Main taiyar ho kar kamre se baahar nikla hi tha ki meri dono judwa bahne samne se aati huyi dikhi. Mujhe dekh kar dono ne pucha ki main kaha ja raha hu to maine unhe yahi bataya ki zaruri kaam se shahar ja raha hu. Meri baat sun kar dono ke chehre latak gaye. Wo mujhse kal raat ke bare me puchne aayi thi ki kya baat huyi thi meri didi se.? Maine dono se kaha ki raat me bataauga aur fir neeche aa gaya.
Pita ji kheto ki taraf ja chuke the to maine maa ko bata kar apni moter sycle nikaali aur us par baith kar shahar ke liye chal diya. Jab main maa ko bata raha tha ki main zaruri kaam se shahar ja raha hu tabhi didi apne kamre se nikal kar aangan ki taraf aayi thi. Mujhe dekhte hi wo ruk gayi thi. Maine unhe dekh to liya tha magar main chup chaap baahar aa gaya tha.
Sare raaste main rachna ke bare me sochta raha. Main sochta raha ki aaj rachna mujhse kya baate karegi aur kis jagah par milegi.? Yahi sab sochte sochte main shahar pahuch gaya. Shahar pahuch kar maine rachna ko phone lagaya aur use bataya ki main shahar pahuch gaya hu to usne mujhe us taraf aane ko kaha jis taraf shahar ke baahar se ek badi si nahar gayi thi aur us nahar ke kinare purane samay ke raja rajwado ki gadhi bani thi.
Rachna ke batane par main us taraf chal pada. Main soch raha tha ki rachna ko shahar ke aas paas ki kafi jankari hai. Matlab wo yaha ki har jagah se parichit hai magar kaise parichit hai wo.? Is sawaal ke bare me sochte huye main kuch time me us taraf pahuch gaya jaha par rachna ne mujhe aane ko kaha tha.
Badi si nahar ke kinare uchaayi par bani huyi thi ye gadhi. Kisi raja rajwade ki thi jo ab khasta haalat me thi. Gadhi ki diware kahi kahi se tooti huyi thi magar dhyan se dekhne par pata chalta tha ki apne wakt me ye bahut hi khubsurat rahi thi. Yaha par log aate jate rahte the. Is liye aas paas ki zameen saaf thi aur gadhi ke andar bhi koi jhaad jhankhaad nahi tha. Din me yaha par aane me koi problem nahi thi magar raat me yaha aana kisi ke liye bhi mumkin nahi tha. Raat me ye gadhi viraan si nazar aane lagti thi. Gadhi ke peeche neeche ki taraf se ek badi si nahar thi jisme saaf pani bah raha tha. Gadhi se 2km ki doori par shahar dikh raha tha.
Main jab gadhi ke paas pahucha to maine ek jagah moter sycle ko khadi kar ke idhar udhar dekha to meri nazar gadhi ke left side par bani patthar ki seedhiyo ki taraf gayi. Ye seedhiya ghumte huye peeche ki taraf neeche nahar ke kinare tak bani huyi thi. Nahar ke paas jaha seedhi khatam hoti thi us jagah par lamba chauda pakka paat bana hua tha aur nahar ke kinare par bhi seedhiya bani huyi thi. Seedhiyo se neeche utar kar log seedhiyo par hi baith kar nahar ke bahte huye pani ka nazara karte the. Kuch log garmiyo me yaha nahate bhi the.
Rachna nahar ke kinare seedhiyo ke paas hi upar khadi thi. Din ke wakt yaha koi na koi hota hi tha is liye dar lagne wali koi baat hi nahi hoti thi. Main seedhiyo se utarte huye kuch hi der me rachna ke paas pahuch gaya. Rachna ne aaj pink colour ka salwaar kurta pahna hua tha jisme wo kafi khubsurat lag rahi thi. Aaj bhi usne apne baal khule rakhe the jo halki hawa se ud rahe the.
Rachna ke paas pahuch kar main bhi uske bagal se khada ho gaya aur idhar udhar dekhne laga to rachna ne kaha.
"Kya hua...aaj meri tareef karne ka irada nahi hai kya.?" Rachna ne muskurate huye kaha to maine uski taraf dekha aur muskurate huye bola.
"Mujhe tareef karna aata hi nahi to kya tareef karu.? Bas yahi kah sakta hu ki achhi lag rahi ho." Maine ye kaha to rachna ne mujhe ghoorte huye kaha.
"Sirf achhi lag rahi hu.?" Rachna ne pucha to maine haan me sir hilaya to usne kaha.
"Rahne do tum...tumse yahi ummeed thi mujhe. Main hi pagal thi jo itna saj dhaj kar aayi thi yaha. Mujhe laga tha ki jab tum mujhe dekhoge to meri khoob tareef karoge. Magar..." Rachna ne narazgi dikhate huye ye kaha to maine kaha.
"Haan to maine kab kaha tha ki tum itna saj dhaj kar aao.?" Maine use chhedte huye kaha to usne jhatke se meri taraf dekha fir boli.
"Kya matlab hai tumhara.? Kya main gande kapde pahan ke yaha aa jati.? Tum na mujhse baat na karo ab." Rachna ne kaha aur meri taraf peeth kar liya usne.
Main samajh gaya ki wo mujhse naraz hone ka dikhawa kar rahi hai aur chaah rahi hai ki main use manaau. Magar main ye kaise kar sakta tha.? Mujhe to ye ajeeb hi lag raha tha.
"Achha tum hi bataao mujhe ki kis tarah tareef ki jati hai. Jaisa tum kahogi waisi hi tareef kar duga tumhari." Maine kaha to rachna ne meri taraf palat ke kaha.
"Tareef kisi ke batane se nahi ki jati buddhuraam. Wo to bas ek ahsaas hai. Kisi ko dekh kar jo dil me aaye use mukh se bol dena hota hai bas." Rachna ne ye kaha to maine dekha ki uske chehre par ekdam se surkhi aa gayi thi.
"Ohh aisa kya. Magar mere dil me to kuch bhi aisa waisa nahi aaya. Shayad isi liye maine waisi tareef ki thi tumhari." Maine sochne ka naatak karte huye ye kaha to rachna ne mujhe hairani se dekha magar fir se narazgi dikhate huye boli.
"Jaao mujhe tumse koi baat hi nahi karna ab. Ek masoom si ladki ka dil tod kar tumne achha nahi kiya." Rachna ne ye kaha to main muskura utha. Main janta tha ki wo ye sab is liye kar rahi hai taaki main use manaau. Magar mere man ye khayaal aaya ki aisa kyo chaah rahi hogi wo.?
Mujhe samajh me na aaya ki main rachna ko manane wala kaam kaise karu.? Mujhe bahut ajeeb lag raha tha. Udhar rachna ne fir se meri taraf peeth kar liya tha. Maine bahut soch vichaar karke faisla kiya ki use manana to padega hi chahe jaise manana pade. Ye soch kar main uske kareeb pahucha aur apna right hand dheere se uske left kandhe par rakha to maine mahsoos kiya ki rachna ke jisam me achanak hi kampan hua tha. Usne apne kandhe se mujhe hath hatane ko nahi kaha balke chup chaap khadi rahi.
"Aree main to mazaak kar raha tha rachna. Tum to aaj sach me bahut khubsurat lag rahi ho. Haan ye sach hai ki mujhe tareef karna nahi aata. Agar main koi shayar hota to shayad waisi tareef karta tumhari jisse tumhe khushi milti." Maine ye sab kaha to rachna ne meri taraf palat kar dekha.
"Tareef na kar pane ki ek vajah ye bhi hai vicky ki tum abhi bhi jhijhakte ho. Jabke mujhe tumse baat karne me koi jhijhak nahi mahsoos hoti. Ham dost hain to fir hamare beech kis baat ki jhijhak.? Apne andar se jhijhak nikaal do dost aur jo bhi man me aaye use bol diya karo. Mujhe pata hai ki tum aisa kuch bhi nahi kahoge mujhe jisse mujhe bura lage ya meri ijjat par koi baat aaye." Rachna ne meri aankho me dekhte huye ye sab kaha to main dekhta rah gaya use.
Rachna ke bare me itna to main samajh chuka tha ki wo ek bebaak ladki hai. Magar itni bebaak hai ye ab jana tha maine. Mujhe uski baato se kafi raahat si huyi thi. Mere andar se jaise sach me jhijhak ja rahi thi.
"Tumhari baate sach hain magar shayad ye meri fitrat hi hai jiski vajah se mere andar ki ye jhijhak nahi jati. Magar tumhari in baato se ab mujhe bhi mahsoos ho raha hai ki mere andar ab utni jhijhak nahi hai jitni iske pahle thi." Maine ye kaha to rachna khilkhila kar hasne lagi fir boli.
"Are to use andar kyo bacha ke rakha hai vicky.? Use bhi nikaal do na...kya uska achaar rakhna hai tumne.?" Rachna ne kaha to main idhar udhar dekhne laga. Mujhe apne aap par gussa aaya ki ek ladki mujhe ye sab bol rahi thi aur main ek mard hote huye bhi itna jhijhak raha tha. Maine faisla kiya ki ab kisi bhi baat ke liye rachna ke samne nahi jhijhkuga.
"Chhodo jane do vicky...aao ham dono nahar ke pani me apne apne pair daal kar seedhi me baithte hain." Rachna ne ye kaha to maine haan me sir hilaya aur uske sath hi seedhi par baith gaya.
Rachna ne apne pairo se saindil nikala aur apne dono pairo ko nahar ke pani me daal diya. Usne apne dono hatho se salwar ko apne pairo se thoda upar kar liya jisse pani me uski salwar geeli na ho. Rachna ne ghutne ke neeche tak salwar ko uthaya tha. Maine dekha ki pairo se upar jaha tak rachna ne salwar utha liya tha waha tak uski doodh si gori taango ka hissa dikhne laga tha. Pani me doobe uske white aur soft pair bahut hi sundar lag rahe the.
Maine nazar hata kar apne joote aur juraab utare aur fir main bhi rachna ki tarah pani me apne pairo ko daal kar baith gaya. Maine apne jeens ke paint ko ghutno tak upar kar liya tha. Ham dono ke samne nahar ka pani bah raha tha aur ham dono us pani me apne apne pairo ko daale idhar se udhar kar rahe the. Nahar ka pani kafi thanda aur sheetal tha.
"Ye jagah us wali jagah se achhi hai na vicky.?" Rachna ne meri taraf ek baar dekhne ke baad ye kaha to maine nahar ke paani ki taraf dekhte huye hi haan kaha to usne kaha.
"Tum us din sach kah rahe the ki premi jodo ko waisi jagah par wo sab nahi karna chahiye." Rachna ne is baar thoda dheemi awaaz me kaha to maine uski taraf dekha. Uska chahra nahar ke pani ki taraf tha aur chehre par fir se surkhi dikhaayi dene lagi thi.
"Chhodo us baat ko aur koi dusri baat karo." Mujhe laga rachna kahi us din ke bare me baat na karne lag jaye is liye maine topic change karne ka soch ke aisa kaha to rachna ne meri taraf dekha.
"Hmmm....ek baat puchhu vicky.?" Rachna ne dheere se nahar ke pani ki taraf dekhte huye hi kaha to maine kaha haan pucho to usne kaha.
"Jo log pyar karte hain..to kya pyar me wo sab karna zaruri hota hai jo us din wo log kar rahe the.?" Rachna ne ye kaha to main hairan rah gaya. Mera dil zor zor se dhadakne laga rachna ki ye baat sun kar. Mujhe ummeed nahi thi ki rachna mujhse ye baat puchhegi aur ab jab usne ye puchha to main kuch bol na saka.
"Batao na vicky...kya wo sab karna zaruri hota hai.?" Mujhe chup dekh kar rachna ne fir se pucha to maine kaha.
"Ye tum kya faltu ki baat puch rahi ho rachna.? Tum aisi koi baat puchh bhi kaise sakti ho mujhse.?" Maine uski taraf dekhte huye ye kaha to rachna ne kaha.
"Kyo nahi puchh sakti vicky.? Tum mere dost ho. Agar mujhe koi baat pata nahi hogi to kya main apne dost se nahi puchh sakti.?" Rachna ne meri taraf dekhte huye ye kaha to maine kaha.
"Dost ke sath sath tum ek ladki bhi ho rachna aur main ek ladka. Aisi baate dost ki maryada ke khilaaf hain." Maine kaha to rachna ne kaha.
"Ye sab purane khayalato wali baate hain vicky. Aaj ke yug me ladka ladki aapas me kisi bhi bare me khul kar baate kar sakte hain. Waise bhi maine kaun si aisi baat tumse puchhi hai jiska tum mujhe jawaab hi nahi de sakte.?" Rachna ne kaha to main fir se hairan rah gaya.
"Mujhe nahi pata ki kya zaruri hota hai aur kya nahi. Maine kaun sa is sab me PHD kiya hai.?" Maine kaha to rachna has padi.
"Haan tumne bataya to tha us din ki tumhari zindagi me kabhi koi aisi ladki aayi hi nahi jisse tumhara pyar wala chakkar hua hota aur jab aisa chakkar hi nahi hua to ye sab kaha se pata chalta tumhe.?" Rachna ne muskurate huye ye sab kaha to mujhe bada ajeeb laga. Maine dusri taraf chehra ghuma liya tha.
"Achha chhodo ye bataao ki agar koi khubsurat ladki tumse kahe ki wo tumse pyar karti hai to tum kya karoge.?" Rachna ne mujhse ye pucha to maine usse kaha.
"Ye sab tum kya baate kar rahi ho yaar.? Koi dusri baat karo na. Mujhe ye sab pasand nahi hai." Maine kaha to rachna ne kaha.
"Tum bhi na had karte ho vicky. Ham dono dost hain to hame ek dusre se khul kar kya hasi mazaak bhi nahi karna chahiye.?" Rachna ne bura sa muh banate huye ye kaha to maine kaha.
"Achha thik hai karo jo tumhe karna ho." Maine ye kaha to rachna ne muskurate huye kaha.
"To bataao fir jo maine pucha tha." Rachna ne kaha to maine is baar muskurate huye kaha.
"Agar koi ladki mujhse aisa kahegi to main uski dande se pitaayi karke bhaga duga." Maine ye kaha to rachna ne hairani se mujhe dekha fir boli.
"Hey bhagwan ye kya bol rahe ho tum.? Aisa kyo karoge tum us bechari ke sath.?" Rachna ne kaha to maine kaha.
"Meri marzi main kuch bhi karu." Maine ye kaha to rachna mujhe ajeeb tarah se dekhti rah gayi.
Mere aur rachna ke beech isi tarah ki baate hoti rahi. Aaj bhi rachna apne mobile par selfi le rahi thi..aaj maine use apni pic lene se mana nahi kiya. Jab wo ham dono ki selfi leti to wo mere se chipak jati thi aur tarah tarah pose bana rahi thi. Rachna mere sath aise chipak jati thi jaise usse isse koi fark hi nahi padta tha. Jabke main bahut ajeeb feel karta tha.
Us din hamari dusri mulakaat me ek change ye hua ki main usse kafi zyada khul gaya tha. Ab mujhe usse koi bhi baat karne me jhijhak nahi hoti thi. Rachna us din bahut khush lag rahi thi aur mere sath hasi mazaak karti rahi thi. Mujhe bhi ab uske sath achha lagne laga tha. Maine mahsoos kiya tha ki rachna ka nature waisa nahi tha jaisa main iske pahle soch aur samajh raha tha. Kyo ki mujhe aisa kuch bhi usse mahsoos nahi hua jiski vajah se main ye sochta ki uske man me koi badle wali baat hai.
Shaam hone se pahle tak ham dono us jagah tak rahe. Itne sare time ke baad ab main kafi zyada easy feel karne laga tha uske sath. Ab main bhi usse mazaak kar leta tha jiska wo puri masti ke sath jawaab deti thi. Us din jab ham wapas chale to rachna ne khud hi mujhse kaha ki wo mere sath hi moter sycle par chalegi. Main uski is baat se hairaan to hua magar fir raazi ho gaya tha.
Ham dono ek sath gaav ki taraf chal diye the. Shuru shuru me rachna mere peeche thoda door ho ke baithi thi. Magar jab raste me bhi ham dono ke beech hasi mazaak se bhari baate chalti rahi to wo mere kareeb aa gayi thi. Us wakt to main hairan hi ho gaya jab ek jagah usne mujhse moter sycle rokne ko kaha aur jab maine moter sycle roka to wo utar kar moter sycle me dono taraf taango ko jhula kar baith gayi thi.
Jab maine usse is tarah baithne ki vajah puchhi to usne has ke yahi kaha ki uska bada dil karta tha moter sycle me is tarah dono taraf pairo ko jhula kar baithne ka is liye wo baith gayi thi. Raaste me jaha jaha main break maarta to peeche baithi rachna khisak kar meri peeth se lag jati jisse uski chhatiyo ke thos ubhaar meri peeth ke thoda neeche chubhne lagte the. Shuru shuru me to use jaise hi iska pata chalta wo jhat se peeche khisak jati magar dheere dheere usne peeche khisakna chhod diya tha aur ek time to aisa aaya ki wo peeche se mujhse chipak hi gayi thi.
Mujhe meri peeth ke thoda neeche uski thos chuchiyo ki chubhan aur softness ka ahsaas hota aur ajeeb si gudgudi bhi hoti. Sare raaste ham dono masti mazaak karte huye aaye aur gaav ke kareeb pahuch gaye. Gaav ke bus stand par maine rachna ke kahne par use moter sycle se utaar diya aur fir main apne ghar ki taraf chala gaya. Aaj ka din mere liye sabse alag lag raha tha.
Bhai log....
Aaj ke liye itna hi....
Read Enjoy & Give Your Feedback....
Keep Supporting & Stay With....
Lag raha birthday ke din hi pela jayega ye launda...SAB KUCH JAYAZ HAI...."Achha to tum ye sab bejhijhak bolne ke liye seekh rahe ho mujhse.?" Rachna ne kaha to maine kaha.
UPDATE = 25
Flashback running....
"Haan yahi sach hai." Maine kaha to rachna ne kaha.
"Iska matlab tum mujhe apna guru bhi maan rahe ho.?" Rachna ne haste huye kaha to maine bhi haste huye kaha.
"Haan guru ji." Maine ye kaha to rachna zor zor se hasne lagi. Aise hi baate karte huye ham dono gadhi pahuch gaye. Moter sycle ko ek jagah khadi karke main rachna ke sath fir se nahar ke paat par bani seedhiyo ke paas aa gaya. Ham dono seedhiyo par waise hi paani me apne apne pair daal kar baith gaye jaise kal baithe the.
Ab aage padhiye....Ham dono nahar ke pani me pair dale baithe the. Rachna meri taraf bade dhyaan se dekhe ja rahi thi. Ekdam se mujhe is baat ka ahsaas hua to maine uski taraf dekha to wo jaldi se nahar ke pani ki taraf dekhne lagi. Mujhe bada ajeeb sa laga ki rachna agar mujhe dekh hi rahi thi to jab maine uski taraf dekha to usne apna chehra nahar ke pani ki taraf jaldi se kyo kar liya tha.? Main uski taraf khamoshi se kuch der tak dekhta raha. Uske chehre par jane kya soch kar surkhi chha gayi thi.
"Kya hua...tum ekdam se chup kyo ho gayi rachna.?" Maine pucha to usne kaha.
"Main soch rahi thi ki kuch dino me hamari dosti kitni gahri ho gayi hai." Rachna ne kaha to maine kaha.
"Haan to isme kya hai. Ye to achhi baat hai na. Isme sochne wali kaun si baat hai.?" Maine ye kaha to rachna ne meri taraf dekha aur fir boli.
"Achhi baat to hai hi vicky. Magar sochne wali baat hai na ki ham dono ghar me bahana bana kar ek dusre se milne yaha aate hain. Abhi kal hi to ham isi jagah par mile the aur aaj fir se milne isi jagah par aa gaye." Rachna ne muskurate huye ye kaha to maine kaha.
"Haan ye to hai magar ye sab tumhari vajah se hi to hua hai. Main to tumse kah bhi raha tha ki kal ham mil chuke hain to itna jaldi fir se milna thik nahi hoga. Magar tum hi nahi maani jiska nateeja ye hua ki aaj ham fir se yaha hain." Maine ye kaha to rachna khilkhila kar hasne lagi.
"Haan to kya ho gaya vicky.? Tum bhi to yahi chahte the na ki ham fir se isi jagah par mile. Sara ilzam mujh par hi kyo thop rahe ho.?" Rachna ne muskurate huye ye kaha to main bhi muskura utha.
"Achha ek bataao vicky...tumhe kaisi ladki pasand hai aur kaisi ladki se shadi karna chahoge tum.?" Rachna ne meri taraf dhyaan se dekhte huye puchha to maine kaha.
"Tum ye sab kyo puchh rahi ho.?" Maine bhi use dhyan se dekha to usne muskurate huye kaha.
"Bas aise hi. Main soch rahi hu ki apne dost ke liye duniya ki sabse sundar ladki dhudhu aur fir usse uski shadi karu." Rachna ne muskurate huye ye kaha to maine kaha.
"Iski koi zarurat nahi hai. Kyo ki main apni pasand ki ladki se nahi balke pita ji ki pasand ki huyi ladki se shadi karuga." Maine ye kaha to rachna ne hairani se mujhe dekha fir boli.
"Tum bhi na kamaal karte ho yaar. Aaj ke yug me aisa kaun karta hai.? Maine suna hai ki shahro me ladka ladki apni pasand se shadi karte hain. Fir tum kyo nahi.?" Rachna ne ye kaha to maine kaha.
"Mujhe shahar ke ladke ladkiyo se kya matlab.? Main apne mata pita ki pasand se matlab rakhta hu. Aakhir wo bhi to apne bete ke bare me kuch soche huye honge. Ab agar main unke khilaf ja ke kisi ladki se shadi kar lu to unke armaano ka kya.?" Maine ye sab kaha to rachna mujhe dekhti rah gayi.
"Fir bhi tumne bhi kuch socha hoga. Tumhare andar bhi to koi khwahish hogi. Tumne bhi to kisi aisi ladki ke bare me socha hoga jisme tumhari biwi ban'ne ki khoobi ho." Rachna ne ye kaha to maine kaha.
"Main ye sab kabhi nahi sochta. Kyo ki sochne ko to ham bahut kuch soch lete hain magar jab hamari soch wali cheez nahi hoti to dimaag bahut kharaab hota hai. Is liye better yahi hai ki kisi bare me socho hi nahi." Maine ye kaha to rachna ne kaha.
"Haan ye bhi sahi kah rahe ho tum. Achha chhodo is baat ko aur ab tum mujhse puchho ki main kaise ladke se shadi karna chahti hu.?" Rachna ne ye kaha to maine muskurate huye kaha.
"Thik hai bataao tum kaise ladke se shadi karna chahogi.?" Maine kaha to rachna muskuraayi aur fir boli.
"Aur to zyada mujhe pata nahi magar haan mujhe tumhare jaise ladke se hi shadi karna hai." Rachna ne ye kaha to main hairan rah gaya.
"Ye kya kah rahi ho tum.?" Maine hairani se use dekhte huye pucha to usne haste huye kaha.
"Kyo dar gaye kya tum.? Hehehe chinta mat karo...main tumse shadi nahi karugi. Tum to mere achhe wale dost ho yaar. Magar haan mujhe aise hi ladke se shadi karni hai jisme tumhare jaisi khubiya ho." Rachna ne kaha to maine kaha.
"Fir to tumhe aisa ladka milne wala nahi hai dost. Kyo ki aisa ladka bhagwan ne ek hi banaya tha jo ki main hu. Is liye agar mere jaise ladke se shadi karne ki ichha hai tumhari to samjho bina shadi ke hi rahna padega tumhe." Maine muskurate huye ye kaha to rachna muskuraayi fir boli.
"Zyada na udo tum. Mujhe pata hai ki duniya me tumse bhi achhe ladke hoge. Aur agar na bhi hoge to mujhe fikar karne ki koi zarurat nahi hai. Kyo ki tab main apne dost ko bolugi ki chal beta tu hi ye kurbani de de mere liye." Rachna ye kahne ke baad zor zor se hasne lagi to maine kaha.
"Waah kya baat hai. Apne hi dost ko bali ka bakra bana dogi tum.? Kaisi dost ho yaar.?" Maine masoom si shakal bana ke ye kaha to rachna ne haste huye kaha.
"Arree main mazaak kar rahi thi vicky. Main to aisa soch bhi nahi sakti. Magar haan ye sach hai ki tumhare jaise ladke se hi shadi karne ki meri ichha hai. Agar tum mere dost na hote to main tumse shadi kar leti. Aur agar tum mujhse shadi karne ke liye raazi na hote to zabardasti tumse shadi kar leti." Rachna ne muskurate huye ye sab kaha to maine hairani se uski taraf dekhte huye kaha.
"Ye to attyachaar hai yaar. Apni khushi ke liye dusre ki khushiyo ka khoon karna kya achhi baat hai.?" Maine ye kaha to rachna ne kaha.
"Sab kuch jayaz hai dost. Kher chhodo jane do. Mujhe lagta hai kahi tum ye na samajhne lag jaao ki main tum par lattu ho gayi hu." Rachna ne muskurate huye aisa kaha to maine kaha.
"Nahi yaar main ye sab nahi sochta." Maine ye kaha to rachna ne kaha.
"Ab rahne do tum. Zyada shareef na bano. Aaj tumhari sharafat bhi dekhi hai maine." Rachna ne ye kaha to maine hairani se uski taraf dekhte huye kaha.
"Kya matlab hai tumhara.?" Maine ye kaha to rachna pahle hasi fir boli.
"Us wakt jab main tumhare seene se lipti huyi thi tab tumne mujhse kya bola tha yaad hai ya bhool gaye.?" Rachna ne ye kaha to mujhe ekdam se wo baat yaad aa gayi aur fir main kuch bol na saka. Main dusri taraf dekhne laga to rachna ne kaha.
"Ab aise muh mat latkaao tum. Mujhe pata hai tumne wo sab galat irade se nahi bola tha. Magar kya mazaak me bhi koi kisi ladki se seedhe waisa bol deta hai.?" Rachna mujhe chhed rahi thi ye ab main ab samajh gaya tha. Is liye ab maine bhi uske jaise mood me aane ka soch liya aur bola.
"Achha bataao maine kya bola tha us wakt.?" Maine ye kaha to rachna hadbada gayi aur hairani se mujhe dekhne lagi.
"Kya hua ab bataao bhi ki kya bola tha maine us wakt.? Aur haan ye bhi batana ki kiske bare me bola tha maine waisa.?" Maine muskurate huye ye sab kaha to rachna ki aankhe hairani se fail gayi aur fir boli.
"Mujhe kya pata tumne kya bola tha aur kiske bare me bola tha.?" Rachna ne idhar udhar dekhte huye ye kaha to maine kaha.
"To fir ye kaise kah diya ki maine us wakt kya bola tha tumhe.?" Maine ye kaha to rachna kuch bol na paayi. Uske chehre par sharam ki surkhi chha gayi aur uske hoth kaampne lage.
"Achha chalo main hi batata hu ki maine kya bola tha us wakt aur kiske bare me bola tha.? Haan to maine us wakt ye bola tha ki mere..." Main abhi bol hi raha tha ki tabhi rachna ne mere muh pe apni hatheli rakh di.
"Chup karo tum. Ye kya bolne ja rahe the vicky. Kuch to sharam karo." Rachna ne kaampte hotho se ye kaha to main uski taraf dhyaan se dekhne laga.
Rachna ka hath abhi bhi mere muh par tha. Uski komal hatheli mere hotho par chhu rahi thi. Uske chehre par laaj aur sharam chhaayi huyi thi. Is wakt wo bahut hi pyari lag rahi thi mujhe. Main uske chehre ki sundarta me khone laga tha magar maine jaldi hi apne aap ko samhaal liya aur apne hath se uske us hath ko pakad kar hataya fir bola.
"Kya hua ab.? Tum to khud hi mujhe is baat ko le kar chhed rahi thi na aur jab maine shuru kiya to mera muh hi band kar diya tumne. Waah ji waah ye kaha ka insaaf hai yaar.?" Maine muskurate huye ye kaha to rachna buri taraf sharma gayi fir boli.
"Mujhe kya pata tha ki tum is tarah ekdam se khul kar us baat ko bolne lagoge." Rachna ne nazre jhukaye huye ye kaha to maine kaha.
"Tum to bekaar me dar gayi dost. Main waisa kuch bolta hi nahi. Main to bas tumhe chhed raha tha jaise tum chhed rahi thi."maine ye kaha to rachna ne meri taraf dekha fir kaha.
"Tum sach me bigadte ja rahe ho vicky." Rachna ne muskurate huye ye kaha to maine kaha.
"Achha ji...main kis baat par bigadta ja raha hu ye bhi bataao ab." Maine pucha to rachna ne kaha.
"Mujhe nahi pata." Rachna ne nazre jhuka kar sharmate huye ye kaha to maine bhi muskurate huye kaha.
"Jab tumhe pata hi nahi hai to fir kyo kah rahi ho mujhe.?" Maine kaha to rachna ne muskurate huye meri taraf dekha fir boli.
"Ab chhodo bhi. Ek hi baat ke peechhe kyo pad gaye ho tum.?" Rachna ne ye kaha to maine kaha.
"Main kaha peechhe pad gaya hu.? Baat to tumne hi shuru ki thi aur ab tum khud hi nahi bata rahi ki main kis baat par bigadta ja raha hu.?" Maine ye kaha to rachna meri taraf ektak dekhti rahi fir boli.
"Kya tum sach me sunna chahte ho vicky.?" Rachna ne meri taraf dekhte huye hi kaampti awaaz me ye kaha to maine kaha.
"Haan agar tumhara dil kare to." Maine dhadakte dil se ye kaha to rachna ne hairani se mujhe dekha fir boli.
"Ye tum kya kah rahe ho vicky. Main nahi kah paaugi wo baat. Mujhe to soch ke hi bahut sharam aa rahi hai." Rachna ne nazre jhuka ke ye kaha to maine muskurate huye uske kandho par hath rakha fir bola.
"Aree main to mazaak kar raha tha dost. Tum soch bhi kaise sakti ho ki main tumhe kisi baat ke liye majbur karuga.? Tum meri sach me bahut achhi dost ho. Ab chalo ye sab baate dimaag se nikaalo aur badhiya si smile dikhaao apni." Maine ye kaha to rachna ne meri taraf dekha. Kuch der dekhne ke baad wo ekdam se mujhse lipat gayi. Uske lipat'te hi main hairan hua fir muskura utha.
"Achha suno....aaj karyalay me mujhe touch screen wala mobile mila hai aur itna hi nahi waha par mujhse kaha gaya hai ki main ek laptop bhi le lu." Maine ye kaha to rachna ne mujhse alag ho ke khushi se kaha.
"Kya sach kah rahe ho tum.? Aur ye laptap kya hota hai.?" Rachna ne kaha to maine muskurate huye kaha.
"Laptop ek computer hota hai magar ye aisa computer hota hai jise ham jaha chahe le ja sakte hain. Abhi ham jab yaha se chalege to ham pahle market jayege. Waha par main laptop khariduga. Uske baad hi ham ghar chalege." Maine ye kaha to rachna ne kaha.
"Theek hai vicky aur haan mujhe bhi to kapde lene hain. Wo bhi tumhari pasand ke. Tum chaloge na mere sath.?" Rachna ne ye kaha to maine muskura ke kaha.
"Bilkul chaluga yaar aur apni pasand ke tumhare liye kapde bhi khariduga apni taraf se." Maine ye kaha to rachna ne hairani se mujhe dekha fir boli.
"Apni taraf se kyo.?" Rachna ne pucha to maine kaha.
"Bas aise hi. Jaise tumhari ichha hai ki tum meri pasand ke kapde khareedo waise hi meri bhi ichha hai ki main apni pasand ke khud tumhare liye kapde khareedu. Ise tum apne liye apne dost ka tohfa bhi samajh sakti ho." Maine muskurate huye ye kaha to rachna khushi se jhoom uthi.
"Ohh vicky tum khud mere liye kapde khareedoge aur mujhe gift karoge. Main bata nahi sakti ki tumhari is baat se main kitna khush ho gayi hu. Is khushi me tum mujhse kuch bhi maag sakte ho." Rachna ne khushi se ye sab kaha to maine kaha.
"Achha ji...aur agar maine kuch aisa waisa tumse maag liya to kya tum de paaogi.?" Maine rachna ki aankho me dhyaan se dekhte huye muskura kar ye kaha to rachna ne kaha.
"Haan kyo nahi...mera dost jo bhi magega main use khushi se de doogi." Rachna ne ye kaha to maine muskurate huye kaha.
"Soch lo fir...main kuch bhi maag sakta hu tumse. Baad me dene se inkaar mat karna." Maine ye kaha to rachna ne muskurate huye kaha.
"Mani shankar ki beti hu dost. Tumhare kuch bhi maagne par inkaar nahi karugi. Agar bharosa na ho to maag kar dekh lo." Rachna ne itne confidence se ye kaha to main soch me pad gaya. Kya rachna sach me mere maagne par kuch bhi de sakti hai.?
"Chalo jane do...tumne kah diya to maine maan liya." Maine ye kaha to rachna ne hairani se mujhe dekha fir boli.
"Aree ye kya baat huyi vicky.? Tum maago na...bejhijhak maago dost. Mujhe bhi khushi hogi ki mere dost ne mujhse jo maga use maine khushi se diya. Is liye maago vicky." Rachna ne meri taraf dekhte huye ye kaha to maine kaha.
"Achha agar tum meri jagah hoti to mujhse kya maagti.?" Maine rachna ki aankho me dekhte huye ye kaha to rachna ne muskurate huye kaha.
"Agar main tumhari jagah hoti aur jo maagti to tum use de nahi paate. Ye main achhi tarah janti hu." Rachna ne ye kaha to maine kaha.
"Achha aisa kya maagti tum mujhse jo main de hi nahi pata.?" Maine ye pucha to rachna ne kuch der tak meri taraf dekha fir muskurate huye boli.
"Kya sach me bata du.?" Rachna ne muskurate huye kaha to maine kaha.
"Haan bataao na...isme puchhne wali kaun si baat hai.?" Maine kaha to rachna ne kaha.
"Wo...wo..main tumse ye maagti ki mujhe tumhare hotho par kiss karna hai." Rachna ne kaampti awaaz me ye kaha to main buri tarah hairaan rah gaya.
"Kyaaa....ye kya kah rahi ho tum.?" Maine hairani se ye kaha to rachna ne kaha.
"Dekha maine kaha tha na ki tum mere maagne par wo mujhe nahi de pate." Rachna ne muskurate huye kaha.
"Aree magar tum bhala ye kyo maagti yaar.? Ye to galat hai na.? Ham dono dost hain aur hamare beech me aisa kaise ho jayega.?" Maine hairani se ye kaha to rachna khilkhila kar hasne lagi.
"Ye tumse kisne kah diya vicky ki dosto ke beech aisa nahi ho sakta.? Agar ek dost apne dost se kisi cheez ko maagta hai to kya uske dost ko apne dost ki wo maag puri nahi karni chahiye.?" Rachna ne ye kaha to mujhe samajh na aaya ki main use kya jawaab du.
"Tumne pucha ki yahi kyo maagugi to iska jawaab ye hai ki main bhi ye dekhna chahugi ki aisa karne se kaisa mahsoos hota hai.? Us din jab ham log sankatmochan mandir gaye the to waha par dekh tha na ki wo premi joda kaise ek dusre ke hotho ko kiss kar rahe tha." Rachna ne ye sab kaha to maine hairani se use dekhte huye kaha.
"Hey bhagwan...tum bhi had karti ho rachna. Aree wo log premi jode the. Jabke ham dono bas dost hain. Hamare beech aisa karna dosti ki maryada ke khilaf hai." Maine ye kaha to rachna ne kaha.
"Haan mujhe pata hai magar ek baar aisa karne me kya ho jayega. Bas mahsoos hi to karna hai ki aisa karne se kaisa lagta hai.?" Rachna ne ye kaha to main uski taraf dekhta rah gaya. Mujhe sach me samajh nahi aa raha tha ki main usse kya kahu.?
Waise ek baat main bhi mahsoos kar raha tha ki mujhe rachna ke gulaabi hoth bahut pyare lag rahe the aur mere man me ye ichha kayi baar huyi thi ki main uske hotho ko choom lu. Magar main rachna se ye kaise kah sakta tha aur ab jab rachna khud hi aisa karne ki baat kah rahi thi to mujhe samajh nahi aa raha tha ki main use iske liye haan kahu ya nahi. Main sochne laga tha ki agar main iske liye haan karuga to rachna mere bare me kya sochegi.?
"Chhodo agar tumhe ye galat lagta hai to jane do vicky. Ab hame yaha se chalna chahiye. Abhi hame market me bhi wakt lagega." Rachna ne ye kaha to main ekdam se hadbada gaya. Maine uski taraf dekhte huye kaha.
"Theek hai agar tum aisa sirf mahsoos karne ke liye karna chahti ho thik hai. Magar ham sirf ek baar hi aisa karege." Maine ye kaha to rachna ne muskurate huye kaha.
"Haye haye...lagta hai mere dost ka bhi man karne laga hai aisa karne ka." Rachna ne ye kaha to main buri tarah jhemp gaya.
"Ab sharma kyo rahe ho vicky.? Sharmana to mujhe chahiye. Kyo ki main ek ladki hu. Waise mujhe sharam to aa hi rahi hai ye soch kar ki ham dono ek dusre ke hotho ko chumege." Rachna ne ye kaha to maine uski taraf dekha. Sach me uska chehra laaj se surkh pad gaya tha.
"Mera dil to ye soch kar hi zor zor se dhadak raha hai yaar. Ab chalo karo jo karna hai. Hame fir yaha se jana bhi hai na.?" Maine ye kaha to rachna ne kaha.
"Main kaise karu vicky.? Mujhe to pata hi nahi hai ki ye kaise karte hain aur mujhme aisa karne ki himmat bhi nahi hai. Tum hi karo na...main bas apni aankhe band kar loogi aur fir mahsoos karugi ki waisa karne se kaisa lagta hai.?" Rachna ne ye kaha to maine hairani se use dekhte huye kaha.
"Aree to mujhe kaun sa ye sab karna aata hai yaar.? Maine iske pahle aisa kabhi nahi kiya. Dusri baat tum to janti hi ho ki main kitna jhijhakta hu kisi bhi baat ke liye. Is liye tum hi karo. Main to bas apni aankhe band kar looga." Maine ye kaha to rachna ne kaha.
"Hey bhagwan....main ye kaise kar paaugi vicky.? Mere se ye nahi hoga..tum karo na." Rachna ne ye kaha to maine kaha.
"Fir rahne do yaar...agar ham dono se ye nahi ho sakta to fir jane do." Maine ye kaha to rachna hadbada gayi. Meri taraf hairani se dekhte huye boli.
"Nahi vicky...karo na. Bas ek baar hi to karna hai." Rachna ne kaha to maine kaha.
"Mujhe samajh me nahi aa raha ki main kaise karu.?" Maine ye kaha to rachna ne kaha.
"Waise hi karo jaise us din wo premi joda kar raha tha." Rachna ne ye kaha to maine un din ke bare me yaad kiya fir maine ekdam se shararat se kaha.
"Us din to wo log aur bhi kuch kar rahe the na.?" Maine ye kaha to rachna buri tarah sharma gayi fir nazre jhuka kar boli.
"Nahi na vicky...aur kuch mat karna. Bas itna hi karna hai." Rachna ne kaha to maine muskurate huye kaha.
"Achha thik hai. Chalo fir karte hain." Maine ye kaha to rachna ne nazar utha kar meri taraf dekha. Uske chehre par ghabrahat dikhne lagi.
"Hmmm...main apni aankhe band kar leti hu." Rachna ne kaampti awaaz me dheere se ye kaha aur fir usne apni aankhe band kar li.
Main dekh raha tha ki uske chehre par laaj aur sharam ki surkhi chhaayi huyi thi aur ghabrahat bhi. Uske laal surkh hoth kaamp rahe the. Uski aankhe band thi. Is wakt main uski sundarta me khota ja raha tha. Uske hoth mujhe akarshit kar rahe the. Apni taraf bula rahe the aur fir main unke bulane par unki taraf jhukta chala gaya.
Rachna ke hotho ke kareeb jhuk kar maine bahut hi halke se uske hotho par apne hotho ko rakha. Meri aankhe apne aap hi band ho gayi thi. Udhar jaise hi mere hotho par rachna ke komal aur raseele hotho ka isparsh hua to ham dono ke hi jisam ko jaise bijli ka jhatka laga. Ham dono ke hi jisam kaamp kar rah gaye. Rachna chup chaap aankhe band kiye baithi thi. Pata nahi mujhe kya hua ki maine apne dono hatho se rachna ke sir ko pakda aur fir maine uske raseele hotho ko apne hotho ke beech daba liya. Mere aisa karte hi rachna buri tarah kaampne lagi. Magar usne mujhe rokne ki koi bhi koshish nahi ki.
Rachna ke raseele aur mithe mithe hotho ko maine apne hotho me daba kar un par apni jeebh firaayi to mujhe mere pure jisam me ek ajeeb si jhurjhuri huyi aur ek meethe se ahsaas ka sukhad anubhav hua. Mera dil kiya ki main rachna ke hotho ko apne muh me bhar kar unhe zor zor se choosu. Magar maine jald hi apne dil ki is ichha ko daba diya aur fir rachna ke hotho ko apne hotho se azaad karke usse alag ho gaya.
Alag hote hi mujhe aisa laga jaise main kisi aur hi duniya se baahar aa gaya hu. Maine rachna ki taraf dekha to wo abhi bhi aankhe band kiye waise hi baithi huyi thi. Main samajh gaya ki wo abhi bhi kisi dusri duniya me khoyi huyi hai. Use shayad is baat ka ahsaas hi nahi hua ki maine uske hotho ko apne hotho se azaad kar diya hai aur usse door ho gaya hu. Uska chehra laal surkh pad gaya tha aur uski saanse badhi huyi thi.
Main rachna ki is haalat ko dekh kar muskuraya aur fir use kandhe se pakad kar hilate huye pukara. Mere pukarne par hi use hosh aaya. Usne apni aankhe khol kar mujhe dekha aur fir ekdam se sharma gayi. Uska sir neeche ki taraf jhuk gaya. Uske kaampte hotho par muskaan bikhri huyi thi. Sharam to mujhe bhi aa rahi thi magar itni nahi jitni rachna ko aa rahi thi.
"To kaisa laga tumhe.?" Maine muskurate huye rachna se ye pucha to wo kuch na boli aur na hi usne sir uthaya. Main samajh gaya ki wo abhi bhi sharma rahi hai aur mujhse nazre milane ki usme himmat nahi ho rahi.
"Kya hua yaar.? Ab bataao bhi ki kaisa laga tumhe ye sab kar ke.?" Maine zor de kar ye kaha to usne dheere se meri taraf dekha aur fir kaampte hotho se muskurate huye kaha.
"Pata nahi." Rachna ne ye kaha to maine hairani se uski taraf dekha aur fir bola.
"Pata nahi...? Ye kya bol rahi ho tum.?" Maine ye kaha to rachna ne kaha.
"Haan to kya bolu main.?" Rachna ne sharmate huye ye kaha aur fir se neeche dekhne lagi to maine kaha.
"Agar tumhe pata nahi hai ki kaisa laga to chalo fir se karte hain. Aakhir pata to chalna hi chahiye tumhe ki aisa karne se kaisa lagta hai. Tumhi to kah rahi thi na ye.?" Maine muskurate huye ye kaha to rachna ne jaldi se meri taraf dekha aur fir muskurate huye boli.
"Koi zarurat nahi hai fir se karne ki..aur ab chalo yaha se." Rachna ne ye kaha to maine kaha.
"Ye galat baat hai yaar. Tum batati kyo nahi ki kaisa laga tumhe.?" Maine ye kaha to rachna ne kaha.
"Achha to tumhi bataao ki tumhe kaisa laga.?" Rachna ne ye kaha to maine muskurate huye kaha.
"Main iske bare me kya bataau dost. Kasam se aisa adbhut ahsaas iske pahle kabhi nahi hua tha. Us wakt aisa lag raha tha jaise main kisi dusri duniya me pahuch gaya hu. Jaha par sab kuch bahut sundar tha aur bahut meetha bhi. Mujhe bahut andand sa mahsoos ho raha tha." Maine ye sab kaha to rachna ne muskurate huye kaha.
"Achha ji....aur kya lag raha tha.?" Rachna ne pucha to maine fir se muskurate huye kaha.
"Aur tumhare hoth mujhe rasgulle se bhi zyada meethe lag rahe the. Dil kar raha tha ki kha jaau." Maine ye kaha to rachna buri tarah sharma gayi aur boli.
"Dhatt...ye kya bol rahe ho tum.?" Rachna ne sharma ke ye kaha to maine kaha.
"Kya tumhe bhi aisa hi lag raha tha.?" Maine muskurate huye ye pucha to rachna ne meri taraf dekha fir haan me sir hila diya.
"To ab tumhe ye bhi samajh me aa gaya hoga ki us din wo premi jode aisa kyo kar rahe the aur aisa karne se unhe kaisa lag raha hoga.?" Maine ye sab kaha to rachna fir se sharma gayi fir dheere se boli.
"Haan magar wo ladka to kuch aur bhi kar raha tha us din." Rachna ne ye kaha to main hairan rah gaya is baar. Meri aankho ke samne us din ka wo manzar aa gaya jisme wo ladka us ladki ke boob daba raha tha. Rachna ne usi ke bare me kaha tha abhi.
"Achha wo..? Wo to galat kar raha tha. Ab chhodo in baato ko aur chalo yaha se. Abhi hame market me samaan bhi kharidna hai." Maine seedhi se uthte huye ye kaha to mere sath sath rachna bhi uth gayi.
Uske chehre par abhi bhi sharam dikh rahi thi. Ham dono waha se chalte huye upar gadhi ke samne aaye jaha par meri moter sycle khadi thi. Maine moter sycle me baith kar use start kiya to rachna mere peeche baith gayi. Uske baithte hi maine moter sycle ko aage badha diya. Rachna ne mujhe kandhe se pakda hua tha aur uska jisam meri peeth se chhu raha tha. Uski chuchiya saaf saaf mujhe mahsoos ho rahi thi.
Gadhi se chalne ke baad ham sare raaste chup hi rahe. Ham dono ko samajh hi nahi aaya tha ki kya baate kare. Kuch time baad ham market aa gaye. Maine ek mall ke samne moter sycle roki to rachna neeche utar gayi. Uske baad ham dono mall ke andar aa gaye.
Bhai log....
Aaj ke liye itna hi....
Read Enjoy & Give Your Feedback....
Keep Supporting & Stay With....
Bhai readers se request hai like and comment jarur kre jisse writer ka hausla badta hai .
Intazar hai bhai restart hone ki
Lagtahai panditji apni ma bahen ki hand ki puja karraha hai.uski petse baccha nikalneke bad agle sal Frist manth se chalu Kar dega.. don't worry..ok
arre pandit ji Dakshina ki bahut yaad aa rahi hai .. kaha ho yaar ...