1st episode
Back to present---------------
Raat ke 9 baje
England ke ek sahar london me sthit London school of economics and political science
yahan kw ek flat me ek ladka apne bed par leta hua tha ki tabhi hawa me udte hue ek ladki jaisi koi jiski sirf ankhon ki putli hi nahi balki poori ankh hi kali thi us lakde ke saamne hawa me aa jati hai.
ladki rote hue awaz deti hai- humaaaaaaa mere mere darling humaaaaaaaaa. humaaaaaaaaaaa mere mere darling humaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa
us ladki ki awaz me ek gajab ka dukh tha. ek aisa dukhi awaz ki jise sunkar hi koi bhi ro de lekin bed per leta hua ladka wo awaz sunkar bhi ankhe nahi kholta.
ladki-mai teri premika amber hoon huma. kya meri awaz sunkar bhi mujhe nahi dekhoge. please humaaaaaaaaaaaa please humaaaaaaaaaaaaa humaaaaaaaaaaaaaaaaaa humaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa humaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaa ye bol bolkar amber rone lagti hai. amber ke ankhon se nile nile ashoon nikalte hai jo tap tap karke us ladke ke chehre par girte hai lekin fir usi ladki ke baal apne aap us ladke ke chehre par jakar ashuon ko pochne lag jate hai aur wo nile ashoon uske balon me sama jata hai. aur wo ladka akhikar dukh ko bardast nahi kar pata aur ankhe khol deta hai. uske ankhon ke ek kone se ashuon ki dhara bahne lag jati hai.
uske ankh kholte hi amber jo abhi tak ro rahi thi jor se us ladke ka baal pakad leti hai aur khichne lagti hai.
lakda dard me rota hua bolta hai-mai huma nahi hoon. mai satya hoon satya.
amber ye sunte hi aur gusse me aa jati hai aur uski ankhe jo kaali thi laal ho jati hai. aur uska baal apne aap satya ke gale me lipat kar uske gale ko dabane lagta hai.
amber gusse me chillakar bolti hai-mujhe dhokha dekar tu is insan ke sarir me ghus gaya. tujhe kya laga tu mujhse door ja payega. nahiiiiiiiiiiiii nahiiiiiiiiiiii mai is ladke ko markar apne huma ko apne saath le jaungi. aur wo jor se chillayi satyaaaaaaaaaaaa mere huma ko choddddddddddddddddddddddd mere huma ko chodddddddddddddddddddddd mere huma ko choddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddd aur ye awaz itna tej tha ki channnnnnnn channnnnnnnnn channnnnnnnnnnnnn karta hua us room ke jitne sheeshe the chahe wo light ke ho ya khidki ke sab toot gaye aur poore room me andhera cha gaya...aur sannnnnn sannnnnnnnnnnnnn karke room me hawaye chalne lagi jo ek side ke khidki se ghusti aur dusre side se nikal jati.
amber ke itni tej aur karkas awaz se satya ke kaano se bhi khoon bahane laga .
amber-mai aaj apne huma ko lekar hi jaungi. lekarrrrrr hi jaungiiiiiiiiii. lekar hi jaungiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii ye amber bahut jor se chillayi aur satya achanak se bed se uth gaya. subah ke 8 baj gaye the .uska room bilkul thik tha. satya ko ye sapna aksar aata tha aur satya so nahi pata tha. uska sar dard karne laga lekin use college bhi jana tha. satya england ke London school of economics and political science me law ki padhayi kar raha tha aur aaj bhi wo late nahi hona chahta tha isliye wo doudta hua apne flat se nikla aur class me ghus jata hai.
professor jonathan-tum aaj fir se late ho gaye. aakhir kya problem hai tumhari. tum itne achhe ladke ho fir bhi late kyo ho jate ho satya.
satya-sorry sir mai dhyan rakhunga aur kosis karunga agle baar se aisa na ho.
professor-sit down.
fir professor jonathan ne padhana chalu kiya aur do ghante lagatar class chalta raha idhar satya ka bhi sar dard kar raha tha jo dheere dheere kam hone laga lekin ye satya ke liye koi nayi baat nahi thi. aur jaise hi class khatm hua sab log classroom se ek ek karke nikalne lage. professor jonathan bhi apni books ko samet rahe the. lekin jaise hi satya room se nikalne laga professor ne awaz diya
professor-satya kya tum mere saath practice karna chahoge. waise bhi tum 4th year me ho. tumhe mere saath practice karni chahiye. aur aaj ka case kafi khas hai.
mai chahta hoon aaj ka case me tum lado mai tumhare saath rahunga. tum jitne point mujhe bataoge usi basis pe aaj mai case ladne ki kuch bate sikhaunga. baki khud se bhi kuch add kar lena. mai bhi to dekhu akhir maine sahi se tumhe padhaya hai bhi ya nahi.
satya-ok sir lekin agar mai case har gaye to mujhe mat boliyega.
professor has kar bola-agar case har gaye to mai tumhari degree extend karwa dunga .
satya-lekin ye to galat hai.
professor-ye bhi to galat hi hai na ki mera student jise mai sabse jada manta hoon aur jo is college ka sabse bright student hai wo ek easy case haar jaye.
ab satya bechara kya bolta use professor ke saath jana hi pada. dono chalte hue college ke campus se bahar ki ore jane lage.
satya-aaj ka case kya hai.
professor-ek ladka hai abram uspar uski patni alina ne case kiya hai. ek saal pahle dono ka divorce ho gaya hai aur abram chahta hai ki wo apne bachhe ko apne pass rakhe lekin alina aisa nahi chahti. alina chahti hai ki abram bachhe ko na rakhe bas use paise bhejta rahe. wahi abram paise nahi bhejna chahta balki sirf bachhe ko rakhna chahta hai.
satya-isme mujhe kya karna hai.
professor-simple abram ko bachhe ki custody dilwani hai. case achhe se padh lo.
satya achhe se F.I.R. se lekar saare statement, proof ye sab padhne laga. tab tak professor apni car lekar aa gaye.
professor-car me baith jao .
satya car me baith gaya aur fir dono court ki ore chal diye.
satya-ye case to bahut asan hai aram se mai jit jaunga.
professor-itna bhi asan nahi hai kyonki samne se case ladne ke liye mrs mili hai.
satya ye sunte hi bola-sir ye to galat hai. aap janbujh kar mujhe fasa rahe hai. aap chahte hai ki mai 4 saal me is college se pass na kar pau isliye aapne mujhe fasaya hai.
professor apni car rok dete hai.
professor-thik hai to tum car se utar jao lekin saath me ye bhi bhool jao ki is saal mai tumhe yahan se pass hone dunga.
satya-sir lekin ye blackmailing hai
professor-nahi bachhe ye mera bharosa hai. ab himaat jutao aur chalo. waise bhi mrs mili ye case nahi ladne wali unki beti ye case ladne wali hai. wo bhi tumhari tarah hi hai bas is saal wo college complete kar chuki hai.
satya-matlab mujhse ek saal senior chalo achha hai mrs milli case ladti tab to haar hi jata unki beti hai to kuch to ummid hai aur aise jhatke mat diya kijiye mujhe mai dar hi gaya tha.
professor-haan dar to gaye the tum
fir humdono civil court ke samne khade ho jate hai.
professor-goodluck my boy.
satya bas thoda sa sar hila kar thank you bolta hai aur court me chal deta hai.
court me sablog aa gaye the. abram ke parivar wale aur alina ke parivaar wale. fir ek guard bolta hai sab log shant ho jaiye judge sahab aane wale hai aur poora courtroom shant ho jata hai. satya bhi apne saare points likhkar professor ko de deta hai jispar professor bolte hai tum sahi disha me jaa rahe ho bas himmat mat harna aur dimag khula rakhna. aur fir samne se sirf tak tak tak tak kisi ke heal ki awaz aa rahi thi aur fir room me enter hoti hai mrs mili. chehre par ek alag hi tej tha inke. ye mahilao ke liye yahan england me devi jaisi thi. jo bhi inke sharan me gaya wo kabhi niras hokar nahi louta. ye pichle 15 salo se aise cases sambhal rahi hai aur aaj tak ek bhi case nahi hari hai. 100% winning record. satya ko to lagne laga aaj pata nahi kya halat hogi uski kyonki use lag raha tha aaj wo haar jayega. fir judge aaye aur case suru hua. case ek ladki lad rahi thi. satya ko thoda relax feel hua. aur case suru hua.
judge-miss kaith your starting comment please.
kaith court me bicho bich khadi ho gayi aur suru ki apni baat.
kaith- judge sahab ye ladki alina ko dekhiye.ye ek mother hai aur apne bachhe ko apne pass rakhna chahti hai.akhir isme duniya ke kisi bhi vyakti ko kya dikkat ho sakti hai lekin inke pati abram ko hai. ab aap itne se hi soch lijiye inke pati ki kya mansikta hai.
satya-lekin judge sahab.
judge-dont interrupt in between. you will get your time mr satya.
kaith-haan to judge sahab aap hi sochiye pahle in dono me pyaar hua fir dono ne shaadi ki fir jhagda hua aur fir divorce. humari client ab bas shanti se apne bachhe ke saath ek achhi jindagi gujarna chahti hai lekin mr abram ko ye manjoor nahi. humari client alina abhi financially stable nahi hai lekin abram unki help bhi nahi karna chahte. aise soch wale vyaktiyo se kya hi ummid ki jaye aap hi bataiye. mai bas yahi chahti hoon ki bachhe ki custody alina ko di jaye aur chuki ye bachha abram ka bhi hai to wo iske liye apni duty ke tour par har mahine paise pay kare. kam se kam itna to karna hi chahiye ek father hone ke nate. thats it.
judge-mr satya your opening comment.
satya-my lord abram ek father hai aur use pata hai ki alina ke pass job nahi hai isliye wo achhe se bachhe ki parvarish nahi kar payegi jabki mere client well settled hai achhe job me hai to bachhe ki custody uske father ko milni hi chahiye aur mai miss kaith ki baaton ko sire se kharij karta hoon unhone is case ko is tarah dikhyaa jaise abram apne duty nibhana hi nahi chahte jabki sachhayi ye hai ki wo apni dusty nibhane ke liye hi court me aaye hai taki unhe bachhe ki custody mil jaye. aur mai bhi yahi chahta hoon.
judge-miss kaith. now the debate is open.
kaith-mai mr abram se kuch sawal karna chahungi.
judge-okey.
kaith fir abram ke pass gaye.
kaith-mr abram aapne alina ko divorce kyon diya.
abram-kyonki wo mere saath khush nahi thi.
kaith-wo khush kyon nahi thi.
abram-kyonki uska kisi aur ke saath affair tha.
kaith-koi saboot.
abram-maine 4-5 baar dekha tha alina ko chad ke saath apne ghar me
kaith-kya dekha tha sex karte hue dekha.
satya-ye galat hai my lord.
judge-overruled.
kaith-to mr abram bataiye kya dekha tha sex karte hue dekha tha.
abram-nahi saath me baithe hue dekha tha aur
kaith-aur kya mr. aur kya. tum ek mard ho aur tumhe insecurity feel hoti hai ki tum apni biwi ko khush nahi rakh sakte aur jab wo kisi apne dost se bhi milti thi to tumhare gande dimag me aisa lagta tha ki wo log sex kar rahe hai aur jante ho aisa kyon tha kyonki tum kabhi alina ko khush rakh hi nahi paye. aur fir tum alina ko pareshan karne lage aur jab usne divorce de diya to tumhe beijjati feel hui aur badla lene ke motive se tum ye sab kar rahe ho.
satya to ye sab sunkar chouk hi gaya .wo sochne laga ki kya sachme yahi baat hai ya kaith ne bas kahani bana di. fir wo professor ki taraf dekha.
satya -mujhe bhi kuch karna hoga kahi mai case haar gaya tab to mai gaya kaam se. ye professor mujhpar bahut bharosa karta hai mujhe kuch karna hi hoga.
satya-kya mai miss alina se kuch pooch loon.
judge-okey.
satya alina ke pass gaya.
satya-miss alina kya abram ne kabhi bhi aapko mara.
alina-nahi.
satya-kabhi data ya aap par chillaya.
alina-haan bahut baar.
satya-koi saboot.
alina-nahi.
satya-jahan tak aapke divorce ki baat hai usme saaf saaf likha hai aap dono ne apni marji se divorce liya hai right.
alina-ji.
satya-to fir ye madam kaith aisa kaise bol rahi hai ki abram ne aapko pareshan kiya.
alina-wo mujhe pareshan karta tha.
satya-jab wo aapko pareshan karta tha to aapne kabhi complaint kyon nahi kiya.
kaith-sir ye mere client ko bahaka rahe hai.
judge-overuled.
satya-to bataiye miss alina aapne kabhi bhi complaint kyon nahi kiya.
alina-kyonki mai dar gayi thi.
satya-kis baat se.
alina-kyonki mere pass us samay rahne ko apna ghar nahi tha aur divorce ke baad mai kahan jati.
satya-to fir aapne pichle saal divorce kyon liya.
alina-kyonki mujhe tab job lag gayi lekin wo log jada paisa nahi dete.
kaith-my lord iske pass koi point nahi hai ye sirf is courtroom ko aur aapko gumraah karne ke liye ulte sidhe sawal puch raha hai.
judge-mr satya do you have any point.
satya-lagta hai mai to gaya mera extesion hokar rahega. lekin tabhi satya ka sar dard karne laga aur uska daya haath thanda padne laga.
jab satya apne haathon ki taraf dekha to bechara chouk gaya aur uska daya haath apne aap uthne laga.satya apne haath ko rokne ki kosis karne laga lekin uska haath nahi ruka aur uska haath miss alina ke samne tha. usme kuch likha hua tha jise satya nahi dekh paya lekin use padhte hi alina ko pasine aane lag gaye.
ye dekhte hi kaith doud kar satya ke pass aayi aur uske haath ko dekhi lekin usme kuch bhi nahi likha hua tha.
alina-judge sahab mai chahti hoon is bachhe ki custody mr abram ko de di jaye.
kaith-whattttt.ye kya kar rahi ho.
alina-mai galat thi abram sahi hai bachha usi ke pass rahna chahiye.
kaith-alina ye kya bakwas hai.
alina-mai apna case bhi wapas leti hoon.mujhe abram se kuch bhi nahi chahiye.mujhe apni galti ka ahsaas ho raha hai . aur fir judge bhi abram ke favour me decision de deta hai.
professor-amazing maine apne life time me aisa nahi dekha. ye koi magic hai kya ki tumne kisi ko hath dikhaya aur wo case hi wapas le liya. court room me sablog yahi charcha karne lage to kisi ne bola sayad alina ko pashchatap hua hoga. aur fir log tarah tarah ki bate karne lage.
mrs milli satya ke pass aayi.
milli-wakai me tum me kuch to talent hai.
tabhi satya ke piche se professor aaye aur bole-ho bhi kyon na mera student hai
professor mrs mili se-is se milo ye hai satya . the brightest star of aur college.
mrs mili apna hath aage badhayi to satya bhi haath aage badhakar unse hello bola.
mrs milli-so mr star kaisa laga aaj ka practice.
satya-ji bahut achha.
mrs milli-thik hai mai chalti hoon kabhi samay milega to achhe se milungi. aur fir wo kaith ke saath nikal gayi.
satya-sir aapne to aaj mujhe dara hi diya tha.
professor thahaka maar kar hasa aur bola-tum mere sabse favorite student ho tumhare saath mai aisa thode na karunga jisse tumhari degree extend ho jaye.
professor-achha to mujhe bhi kuch kaam hai to mai jaa raha hoon lekin mujhe batana jaroor akhir tumne koun sa majic sikha hai jis se log apni baat se palat jate hai. aur tum yahan se college to chale hi jaouge ya drop kar doon.
satya-sir mai chala jaunga.
uske baad professor bhi wahan se nikal gaya aur satya bhi.
satya ko to yakin hi nahi ho raha tha jo aaj hua. use lagne laga kahi uske sapne me aane wali chudail sachme to nahi hai.
satya-nahi nahi ye sab waham hai. sayad use hi koi baat yaad aa gaya hoga jsike baad use bura laga hoga.chalo jo bhi hua achha hi hua. waise laga ki mere haath me kuch likha hua hai.ab pata nahi sach tha ya bram.
ye sab sochte hue satya court se bahar nikal kar bus stand ki ore jaane laga.
tabhi uske bagal me ek BMW aakar ruka.aur usse nikli ek lady jiske haath me tha gun.
lady-so mr alex kaise ho tum. raat me maine tumhe kitna dhudha lekin tum mile hi nahi.ab aao car me baitho.
satya bahut dar gaya.
lady-chup chap baith jao nahi to gun ka to pata hi kya kar sakta hai.
satya dar gaya aur chup chap car me baith gaya. car chalte hue ek godown me pahuch gaya.
godown me pahuchte hi car ka gate khula aur car ke bahar khade do log satya ko pakad kar kursi par baitha diye aur uske haath bandh diye. aur uske samne ek locker lakar rakh diya gaya jisme digital lock system tha.
lady-to mr alex kya tum batana chahoge ki is locker ka password kya hai.
satya-mujhe nahi maloom.
lady-okey
lady apne admi ko boli-ise yaad nahi hai to yaad dilao
do aadmi satya ke pet me dhoom dhoom do mukka mare. satya ka to halat kharab ho gaya.
lady-yaad aaya mr alex ya fir abhi bhi nahi.
satya-dekhiye aapko galatfahmi hai aap mujhe gour se dekhiye. mujhe dekhiye mere style ko dekhiye mera haav bhav dekhiye kya mai wahi hoon.
satya ke aisa bolne pas ek baar sabne gour karke dekha.
ek aadmi bola-madam bas dikhta thoda bahut uski tarah hai lekin hume bhi lag raha hai ye koi aur hai.
lady satya ke mooh me gun thoos kar boli-dekho alex mujhe bakwas pasand nahi.sach sach batao.
satya-mai satya hoon.satya. aur satya apne pocket ki taraf isara kiya.usme se identity card nikla.
aadmi-madam ye sahi bol raha hai.ye satya hai.law student.
lady-thik hai ise jane do aur haan satya ye baat agar kisi ko batai to tu gaya.
satya-ji madam sukriya madam.ye bolkar bechara wahan se nikla aur bhag kar apne ghar aaya.
ab question to bahut saare hai jaise ki kya satya hi huma hai.kya satya hi alex hai ya satya koi aur hi hai akhir uske haath me likha kya tha kyon tha uar kisne kiya ye sab. jan ne ke liye intezar kijiye agle episode ka.