lovelesh
New Member
- 91
- 189
- 33
Uff.. fir se suspense bana ke chhod Diya ki Chhaya ke sath kya hua...A
(3)
Shameer aur shusumi us dophar ek sath apne mahel me aae. Shameer kahani sunte kafi wakt bita chuka tha. Par uske maa bap ki kahani puri jan na ab bhi baki tha. Mahel me aate hi samne miyomi khadi hi mili. Ekdam sundar roop me. Shameer se najre milte hi uske face par pyari chhoti si smaile aa gai.
Par use shameer se bhi pahele shusumi ke orders follow karne padte. Shusumi ne use aate hi adesh diya.
Shusumi ; jaldi inke khane pine ka bandobast karo.
Miyomi ke lie koi badi bat to nahi thi. Shameer jab tak betha uske samne bahetarin bhojan aa chuka tha. Shusumi aur shameer dono sath hi beth gae. Shusumi apne hatho se shameer ko khana khila rahi thi. Tabhi shusumi ne Miyomi ki taraf dekha. Jo najre niche kiye chup chap nokaro ke jese khadi thi.
Shusumi ; miyomi... Tum sayad janti nahi par me tumhe bata rahi hu ki aaj sham suraj dhalte hi tum inka joda banogi. Is lie dur khadi mat raho. Inke pas aao.
Miyomi khush ho gai. Aur turnt hi un dono ke karib aa gai. Par shusumi miyomi par itna rahem dikhaegi ye to miyomi ko bhi bharosa nahi ho raha tha. Shusumi ne miyomi ko ishara kiya. Aur vo shameer ke dusri taraf beth gai. Dono hadinao ke hath Shameer ke ek ek kandhe par tha. Shusumi ne hishara kiya. To miyomi bhi apne hatho se shameer ko khilane lagi. Shusumi ko ye dekhne me maza aa raha tha. Shusumi kab puri nangi ho gai.
Ye shameer ko pata nahi chala. Magar uska hath jab shameer ke zango par renga tab jakar shameer ne uska hath pakad liya.
Shameer ; nahi shusui.. abhi nahi. Pahele muje aage batao. Nahi to mera man kisi chij me nahi lagega.
Shameer kha chuka tha. Shusumi ne apne hatho se shameer ka muh pochha. Aur shameer ko fir nanga karne lagi.
Shusumi ; par muje tumhare jishm ki garmi ki sakht jarurat he.
Sex na bhi kar rahe ho tab bhi aksar dono nange ek dusre se chipke bistar me pade rahete. Shameer ko achhi thandak ka ehsas hota. Vahi shusumi ko inshani garmi ka anand milta. Shameer ne use roka nahi. Shusumi khud ek billi ke jese shameer ki baho me ghus gai. Aur uski god me late gai. Shameer ne bhi dono pai folt kar lie.
Shusumi puri god me hi pasar gai. Shameer har bar ki tarah shusumi ke badan ko sahelane laga. Vahi shusumi aur Miyomi ki ankhe mili to miyomi ko bhi nanga hone ki jajat mil gai. Vo bhi nangi ho jati he.
Miyomi ke hath shameer ki nangi pitth par rengne lage.
Shameer ; aage badho shusi.
Shusumi apni ungli se shameer ke chest par uski nipple ko gudgudate hue aage ki kahani batane lagi.
Shusumi ; samaz lo ki ye us kahani ka ant hai. Par me janti hu ki jab tum sab jan haoge to ant ek sharuat me badal jaegi.
Shameer ; par me karmo se to pichhe bhag nagi sakta. Tumhe muje vo ant batana hi hoga. Batao.
Shusumi ; chhaya ye to jan gai thi ki us tabut me di jane vali saza mout ke saman he. Mout nahi. Agar kisi pishaj ko kaid kar ke rakhna ho to vo sabse bahetarin jagah he. Tum kabhi bhi peda ho sakte the.
Chhaya ko bhi tumhare peda hone ka intjar tha. Chhaya se chalsh akasar milne aata hi raheta. Pyar jatata. Sayad Chhaya ne use maf kar diya tha. Kyo ki koi apne asthitva se kese ladh sakta he. Vo ek pishaj he. Jise vo badal nahi sakta tha.
Par ye bhi sach tha ki vo Chhaya se bahot pyar karta tha. Aur use taklif nahi dena chahta tha. Par ek rat Chhaya ko pet me bahot dard huaa. Sab samaz gae the ki vo wakt aa gaya he. Jiska mahel me har kisi ko intjar tha. Us rat Chhaya ke aas pas doctors nursh har koi the. Tab us rat tum peda hue. Magar tumhare peda hone se bas ek rat pahele. Chash chhaya se milne aaya.
Chhaya akeli mahel ke apne us kamre se bahar tahal rahi thi. Aur chalsh ne use baho me le liya.
Chalsh ; kesi ho meri chhaya???...
Ek chalsh hi tha jo us se milne ka shukun vo khushi ke lie chhaya sab kuchh bhul jati.
Chhaya ; me thik hu. Bacha kabhi bhi ho sakta he.
Chalsh ; me janta hu. Tumhe is wakt ese bahar nahi ghumana chahiye.
Chhaya ; andar bhi kya karti. Vo chhar diwari muje tumhari un biwiyo se bhi jyada taklif pahochati he.
Chalsh ko malum tha ki uski dono biwiya chhaya se bacha hote hi kya karne vali thi.
Chalsh ; tum unki fikar mat karo. Bacha hote hi me un dono ko.
Chhaya chalsh ki baho me ulti thi. Vo turant hi ghum kar us ke seene se lag gai. Aur uske muh par hath rakh diya. Chhaya samaz gai ki bacha hote hi chalsh apni dono biwiyo ko mar dalega. Chhaya ne chalsh ka hevaniyat bhara roop bhi kai bar dekha tha. Jab vo shikar ka khoon pita. Par esa nahi tha.
Chalsh bolna chahta tha ki vo apni biwiyo ko kahi dur bhej dega. Chhaya sochne lagi ki uski vajah se vo apni biwiyo ke sath na insafi kar raha he.
Chhaya ; nahi chalsh tum please unke sath kuchh galat mat karna.
Chalsh bhi ye samaz na paya ki chhaya kya samaz rahi he. Chalsh bhi janta tha ki uski biwiya bhi chhaya ke bacha ho jane ka intjar kar rahi hai. Bad me vo kya karegi. Magar chhaya ka inshani khubshurat dill use aage badhne se rok raha tha.
Chhaya ; vada karo tum unhe kuchh nahi karoge.
Chalsh ; maf karna me tumhe esa vada nahi kar sakta.
Chalsh chhaya ko chhod kar vaha se chale gaya. Par chhaya ko uski dono biwiyo ki fikar hone lagi. Uske dimag me ye beth gaya ki chalsh chhaya ke lie uski dono biwiyo ko mar dalega. Chhaya ye bhi janti thi ki chalsh wakt se ek kadam aage chalta. Matlab ki jo chij ham sochte uska ant chalsh soch chuka hota. Chalsh ke jane ke bad Chhaya Siggi aur Wiggi ke room ki taraf jane lagi.
Vo un dono ko chalsh se bachana chahti thi. Dhire dhire kadmo se chhaya unke room tak pahoch gai. Door par pahochte hi use Siggi ne pukara.
Siggi ; aao Chhaya... Aaj bina kisi tahkikat kiye bina. Chhupe bina tum mujse milne aai ho. Muje bahot khushi hui.
Siggi bhi chalsh aur Chhaya ki bat sun chuki thi. Apne pishaji kano se. Par use esa billkul mahesus nahi huaa ki chalsh use marna chahta he. Ya mar dalega. Chhaya ne dekha Siggi niche farsh par hi bethi hui ek kali billi ko sahela rahi thi.
Chhaya andar aai.
Chhaya ; me tumhe aagah karna chahti hu Siggi.
Siggi sa haste hue. Jese hasne ki formality ki ho.
Siggi ; (smaile) kis chij ke lie muje agah karna chahti ho.......... Chhaya???
Chhaya do kadam aur aage badhi. Uske chahere par chinta ke bhav saf zalak rahe the.
Chhaya ; tum kuchh wakt ke lie yaha se kahi dur chali jao Siggi. Vo tumhe.....
Wiggi ; kitni kamal ki bat he. Hame hamare hi mahel se tum hame nikalna chahti ho. Par is se tumhe milega kya???
Achanak Wiggi ki aavaj sunkar chhaya palti dekha to Wiggi uske pichhe hi khadi thi.
Wiggi ; tum inshano ki fitrat..... Ufff.... Yaha ki rani ban na chahti hona. Tumhari jindgi hamne baksh di vo kafi nahi he kya.
Chhaya ; bat ye nahi he. Me rani nahi ban na chahti.
Siggi ; ha ha ham do ko tum yaha se jahi aur bhaga do. Aur bad me tum hi chalsh ke sath yaha rahogi. Tab to tum hi rani hogi na. Badi achhi bat he.
Chhaya ki ankho se anshu aa gae. Vo ro padi. Lekin use jo batana tha. Vo bol hi deti he.
Chhaya ; (rote hue) me tumse chalsh ko na kabhi chhin na chahti thi. Aur na hi kabhi chhinungi. Magar mere lie vo kahi tum dono ko jan se na mar de.
Ye bat sunkar Siggi aur Wiggi ko gussa aaya. Un dono ko laga ki chhaya unke jode ke khilaf zaher bharna chahti he. Jab ki sirf chalsh ke lie siggi aur Wiggi ne chhaya ko marna tal diya tha.
Wiggi ; tum inshan jese ham khudgarz nahi hote chhaya. Kam se kam ek rista he hamare pas. Jiske lie ham apni jan dene se bhi pichhe nahi hat te. Mere khayal se tumhe apna zaher felana ab band kar dena chahiye.
Roti hui chhaya kese yakin dilati. Par ye bhi us bechari ki galatfehmi thi.
Siggi ; tum yaha se chali kyo nahi jati.
Chhaya ke pas aur koi chhara hi nahi tha. Vo vaha se chali gai. Us rat tum peda ho chuke the. Chhaya ke pas doctors the har koi. Magar jo nahi the vo chalsh, Siggi aur Wiggi.
Shameer ; kyo???? Ese wakt me to meri maa ko un teeno ki sakht jarurat thi.
Shusumi ; Siggi aur Wiggi ka yahi man na tha. Magar chalsh un dono ko dur le gaya. Kyo ki use dar tha ki kahi vo dono chhaya ki jan na le lele.
Shameer ; fir kya huaa???
Shusumi ; fir vaha ka itihaas raaz he. Na meri jadui takat se atit ko me dekh pai. Aur na hi hakikat koi janta he. Vaha ek afvah he ya hakikat malun nahi. Log kahete he ki chalsh ko ek tabut me band kar rakha he. Vo mrityu nindra me he. Aur tumhari maa jarur mar chuki he. Magar chalsh ke tabut ke pas ek sandukh he. Jis me tumhari maa ka dill he. Jo dhadak raha he.
Shameer ; muje vaha jana he. Agar un dono baheno ne meri maa ko mara he to unhe jawab dena hoga.
Shusumi ; tumhe intjar karna hoga.
Shameer gaheri soch me dub gaya. Sham hone vali thi. Aur shameer aur Miyomi ki aaj shadi bhi thi. Pishaji rashmo rivaj se.
Hopefully aage ke updates me vo already explained ho chuka hai kyonki mai thoda late chal Raha hu
