dirty_thoughts
Monu
- 3,293
- 9,220
- 144
Tabhi Shameer ko zatka laga. Usne dekha ki us tabut me padi lash ne zatke se apni ankhe kholiA
(2)
Veer ko jo bat uski maa reeta nahi samza pai. Vo bat use Kamini se samaz aa gai. Ek pahele taiyari karo. Aur dusri bharosa. Kamini ne ehsas dilaya ki jo usne helicopter se jump karne ka chutiyapa kiya. Vo hakikat me apni biwiyo ka bharosa tha. Veer ko ye pata tha ki vo marega nahi. Magar aane vale wakt ke lie pahele se taiyari karni hai.
Ye bat uske bheje me ghus gai. Iske lie uski maa kamini ko use gussa bhi dila diya. Magar gussa dilate ek bat aur bhi samaz aai. Ye to jano ki dushman kitna taiyar hai. Kyo ki har bar to bas khud ki taiyariyo par hi dhyan diya. Dushman par najar rakhi bhi to bas khud ko bachane ke lie. Vahi veer to attacking mode me tha. Aur use bas attack karna tha.
Par attack karne ke liye use ab dushmano ki taiyari bhi to jan ni thi. Vo bhi khud taiyar hone ke bad. Vese veer ne chutiyape me ye samazdari ki bat sikhi. Aur taiyari karne ke makshad se chal pada. Ab use yodha fighter chahiye the. Use apni biwiyo ke alava aur fighter chahiye the. Usme sabse pahele veer ko Nayna hi yaad aai. Kyo ki vo well trend thi.
Veer ko pata thi ki Nayna kaha miegi. Jab paheli bar Nayna vaha aai thi. Tab veer vahi kille me hi to tha. Aur veer use ladhne ke lie pahele se hi mana chuka tha. Par jab vo vaha Rupali vale mahel pahocha to use Nayna nahi mili. Par usne vo dekha. Jiski usne kabhi umid hi nahi ki thi. Usne dekha ki uski mammy se bas kuchh sal chhoti Rupali.
Jo agar gav ke rishte se dekha jae to vo veer ki aunty lagagi. Vo khubshurat Rupali gym exercise kar rahi hai.
Veer aur Rupali dono ham bistar ho chuke the. Halaki dono me se kisi ne bhi koi kasme vade to nahi kiye the. Par vo esi paheli inshani aurat thi. Jiske sath veer ko bahot maza aaya tha. Jo veer ko ashani se to nahi par barabari par bhog pai. Us rat dono ko bahot maza aaya. Lekin veer ne ab tak use khubshurat aurato vale kapdo me dekha tha. Par filhal vo pasine se bhigi teen tight costume me bahot hi khubsurat aur madak lag rahi thi.
Na vo umar daraz lag rahi thi. Aur na hi uska badan kahi se bhi dhila dhala ya fir mota lag raha tha. Ha vo puri tarah se pari pakva sampurana nari jarur lag rahi thi. Use is tarah se kashrat karte dekh veer ke face par smaile aa gai.
Veer ; kamal hai. Tum to pahele se hi bahot khubsurat ho. Ab aur jyada khubsurat ho jaogi to....
Veer ki aavaj Rupali turant pahechan gai. Upar se veer ka mazak tha bhi bahot pyara. Rupali ke face par smaile aa gai.
Rupali mushkurati rahi par apni exercise jari rakhti hai. Veer vahi par ek window par sahara lekar beth gaya. Aur Rupali ko niharne laga. Rupali aage ko zuki hui thi. Jis karan uski hips pichhe ko utthi hui thi. Rupali janti thi ki veer pakka use hi dekh raha hoga.
Veer ; wahhh...sss sach me bahot khubsurat ho gai ho. Par ye taiyari mere lie to nahi lag rahi.
Rupali ne exercise chhoti. Aur hafti hui veer ki taraf dekhne lagi.
Rupali ; har taiyari sirf makshad ke lie nahi hoti. Kabhi kabhi kuchh bina makshad ke lie bhi karna chahiye.
Veer Rupali ke karib aaya. Usne Rupali ke hatho se chhota sa towel liya aur Rupali ke face se khud pasina pochhne laga.
Veer ; hmm to tumhe makashad chahiye. Par ye taiyari karne ka idea kese aaya tumhe
Rupali jese veer ki purani premika ho. Vo ek patla sa shirt pahrnti hai aur Veer ki ungli pakad kar bahar ki taraf chalne lagi.
Rupali ; jo yaha ladh nahi sakte. Har bar vo ek kamjor kadi ban jate hai. Halaki me shusumi ke usul janti hu. Vo apne jode ke bad muje pakka bachaegi. Par me use ye mushibat kyo du. Agar kam se kam me khud khudko bacha saku to kitna achha hoga.
Veer ; kamal hai. Har koi bachane ka kyo soch raha hai. Ye kyo nahi soch raha ki bar bar khud ko bachane se bahetar khud ko mushibat me aane se pahele ham hi dushman par chadh jae.
Rupali samaz gai thi ki veer kya kahena chahta hai.
Rupali ; shusumi aur tunhari maa Kamini ke pas hamse achha dimag hai veer. Jara socho. Unke dimag me bhi to ye khayal aaya hoga. Par vo ye nahi kar rahe. Kahi koi bevkufi mat kar dena veer.
Veer khamosh ho gaya. Vo kuchh nahi bola. Par Rupali is tarah veer ko mayush nahi dekh pai. Vo use bade pyar se samzati hai.
Rupali ; veer mere pas koi makshad nahi hai. Chalo me vada karti hu ki tum jo bhi karoge me tumhare sath hu. Par agar tumhari dono maa bhi nahi mani to. Upar se shusumi aur miyomi bhi yaha nahi hai. Jara socha hai ki tum jo chah rahe ho. Uska anjam kya hoga.
Is bar veer khud bhadak gaya.
Veer ; vo mene soch liya hai. Tum ye batao ki tum sath ho ya nahi???
Rupali ; (dhime se) ha..
Veer ; good. Ab ye bat tumhare aur mere bich raheni chahiye. Kisi ko pata na chale.
Veer jane laga. To pichhe se Rupali ne use aavaj di.
Rupali ; suno veer....
Veer ne turant pichhe mudkar Rupali ko dekha. Par vo thoda sharmate hue mushkurane lagi.
Rupali ; (smaile sharmana) kisi ko vada mat kar dena. Ham rat milenge.
Veer bhi mushkurane laga. Aur vaha se chale gaya. Vo aaya to Nayna se milne. Par vahi deel Rupali se kar ke chale gaya. Vahi Rupali ne veer ko mana liya ki aaj ki raat vo uske sath bitaegi.
(2.1)
Ek bar bhatakne ke bad shameer ko dhyan me jana pada. Kisi sadhu mahatma ki tarah nahi balki apni pichhli jindgi ko yaad karna pada. Kriptan ka ilaj ab bhi chalu tha. Aur shameer pishajo ke kabristan me ghum ho gaya tha. Use Reeta ki bat yaad aai. Bhul bhulaiya do tarah ke hote hai. Ek jo inshano ne banae hote hai. Jo jadu nahi hota.
Vo bas dimag ka khel hai. Vo bas ek vahem hi hota hai. Jise kisi nishani ke jariye ya fir khud gum hokar paya ja sakta hai. Khud gum ho jana riski hai. Kyo ki inshan dheeraj kho beth ta hai. Sahi manzil pahochne ke bavjud bahar nahi nikal pata. Vahi pishajo ka bhul bhulaiya jo hota hai vo jamin khisakne ke sidhant par hota hai. Iska do tarike hai.
Ya to jaha se aae ho. Vahi vapis lot jao. Ya fir jo rasta galat lage uspar lot jao. Vese to ye dono hi riski hai. Par 2 se 3 bar dhiraj rakh ke kosis karo to kamyabi mil hi jati hai. Shameer ko yaad nahi aa raha tha ki vo aaya kis taraf se tha. Magar vo apni jagah se hila bhi nahi. Aur turant pichhe mudkar chal pada. Par pichhe mudkar vapas jate hi vo sahi raste par aa gaya. Use samne hi ek sundar saja huaa coffin dikh gaya.
Ye vo jagah nahi thi. Jaha se Shameer gum huaa tha. Par ye uske bhi aage ki jagah thi. Jise shameer pahechan gaya. Siggi ka pichha karte use jo yaad aaya. Usme se hi ye jagah nikli. Ulta shameer ka fayda ho gaya. Shameer ko jo Reeta ne farmula bataya tha. Vo kam kar gaya. Shameer dhire dhire aage jane laga. Shameer ko pata tha ki uske pita ka tabut kaha hai. Use dhire dhire yaad aane laga ki kese Siggi uski maa vaha tak gai thi.
Kese Siggi ne apne pati ko apna khoon pilaya tha. Shameer jaha royal coffins hote hai. Vaha pahoch gaya. Par filhal vaha andhera tha. Kab shameer vaha paheli bar Siggi ka pichha karte hue aaya tha. Tab vaha ujala tha. Vo bhi bina light ke. Jese koi balb ho. Lekin vaha koi balb nahi tha. Aur itna ujala tha ki sab kuchh ashani se dikh sake. Par filhal vaha andhera tha. Fir bhi shameer ko apne pita ka vo tabut dikhai de raha tha.
Shameer pahechan to gaya ki vo tabut uske pita ka hai. Magar use apni maa ki bat yaad aati hai. Pahele use apni maa chhaya ka tabut dhudhna tha. Aur sabse pahele use khojna tha. Magar uska pata to bolti hui khopdiya bataegi. Ab shameer ke dimag me aaya ki bolti hui khopdi kaha milegi. Shameer yaad karne ki kosis karne laga ki uski maa ne kya kaha tha. Jinda lashe bataegi.
Ab ye aur mashla tha ki jinda lashe kaha milegi. Shameer soch soch kar pareshan ho gaya. Agar ese hi agar apne bap ka tabut khol diya to ek sath 2 maa ki mout ho jaegi. Upar se kali mombatti ke jariye hi use us dill ko chirna tha. Use kuchh samaz nahi aa raha tha. Tabhi use yaad aaya ki jinda lasho ka matlab kya hai. Matlab ki vaha jo band hai. Vahi to jinda lashe hai. Coffin ke andar.
Shameer dae bae dekhne laga. Use ye to samaz aa gaya ki use vo coffin kholna hoga jisme pishaj jinda ho. Par ye khatre se khali bhi nahi ho sakta tha. Rat bit rahi thi. Aur shameer ke pas wakt kam tha. Use bahot kam karne the. Shameer ne apne pita ke tabut se dur ek line ke sabse pahele tabut ko hi khol diya.
Andar ek lash thi. Jo dekhne se lag raha hi tha ki use bahot wakt ho gaya hoga. Kya pata vo jinda bhi hoga ya nahi. Uske sharir se badbu bhi bahot aa rahi thi. Shameer soch me pad gaya ki kya kare. Vo lash se hi bat karne ki kosis karta hai.
Shameer ; kya tum muje sun sakte ho??? Hello... Hello. Agar sun sakte ho to please muje batao ki bolti khopdiya kaha milegi.
Tabhi Shameer ko zatka laga. Usne dekha ki us tabut me padi lash ne zatke se apni ankhe kholi.
Shameer mano uske lie taiyar nahi tha. Achanak ese us lash ke ankhe kholne se Shameer pura hil gaya. Aur thoda pichhe ho gaya.
Shameer ; (dar) kya kya tum muje bata sakte ho ki bolti hui khopdi kaha milegi???
Us jinda lash vale pishaj ki aavaj bahot darvani thi. Vo bahot dhime ruk ruk kar bolta hai.
Lash pishaj ; pahele muje apna khoon pilao. Tab bataunga.
Shameer ekdam se pichhe ho gaya. Vo pishaji lash khada huaa aur shameer ki taraf aane laga. Halaki vo bahot dhime dhime shameer ke pas aa raha tha. Us lash jess pishaj se vese to khada bhi nahi huaa ja raha tha. Vo Shameer ki taraf badh to raha tha. Par deewar ke sahare.
Lash ; aao....mere pas aao....muje apna khoon pilao...
Shameer soch me pad gaya. Kyo ki vo lash uski taraf hi badh rahi thi. Aur Shameer dhire dhire pichhe khisak raha tha. Shameer ko dar bhi lagne laga. Vo soch raha tha ki usne ye kya panga le liya.
Lash ; aao ladke. Tum mujse dur nahi ja paoge. Me bas tumhara thodasa khoon piunga.
Shameer to pahele se jan chuka tha ki kis tarah uski maa chhaya ne esi hi galti ki thi. Aur Zumaiki ne unhe galti se mar dala. Shameer us lash se pichhe hatne laga.
Shameer ; dekho tum pichhe raho. Nahi to muje tumhe marna hoga. Chup chap vapas apne tabut me pahoch jao varna.
Bas shameer ka varna bolna ki us lash pishaj ki khopdi niche gir gai. Aur kisi aur ki aavaj aai.
Kisi me himmat nahi ki koi mere bete ko mar sake. Vo bhi mere hote hue.
Shameer sock ho gaya. Uske samne koi dushri hi lash khadi thi. Jo kisi jawan ladki ki lag rahi thi. Par us se bhi jyada herani us lash ki bat par hui. Usne kaha ki mere hote hue mere bete ko koi mar nahi sakta. Kya vo meri maa chhaya hai??? Jo muje bachane aai hai?? Yahi shameer soch raha tha. Magar us lash ne khud hi shameer se bate shuru kar di.
Tum mere bete nahi ho. Kon ho tum???
Shameer ekdam se ghabra gaya.
Shameer ; me me me Shameer.
Kitne batamij ho tum. Inshan lagte ho. Kya tumhe pata nahi he ki ek maharani se bat karne se pahele apna sar zukaya jata hai.
Vo lash dekhne se to jawan ladki lag rahi thi. Par bate vo kisi budhi purani dadi amma ke jese kar rahi thi. Shameer ne turant apna sar zukaya.
Shameer ; ji me Shameer hu. Chalsh ka beta.
Ohhh koi bat nahi. Khade ho jao. Tum mere pote ho. Tabhi me sochu ki tum me se chalsh ki khusbu kyo aa rahi hai.
Shameer soch me pad gaya. Use uski chudel dadi ne chalsh samaz kar bacha liya. Nahi to aaj uska bachna mushkil tha. Par ek uske sath comedy bhi ho gai. Vo man me soch ne laga. Kya dadi maa??? Ese me ek murkhta bhara sawal kar diya.
Shameer ; ohhh dadi maa. Dadi maa aap ka name kya hai.
Par dadi maa to ekdam bhadak gai.
Dadi maa ; kitne nihayati batamij ho tum. Tumhe apne purkho ke name tak nahi pata. Ek to tum inshan ho tum. Kon he tunhari maa. Siggi ya wiggi to ho nahi sakti. Uff me kya karu aaj kal ki generation ka. Maha rani Drimona hu me.
Shameer ke pas ek hi ilaj tha. Dadi ko dadi ki tarah pataya jae.
Shameer ; par me aap ko dadi maa kese kahu. Aap to bahot young ho. Aur khubsurat bhi.
Dadi maa khush ho gai. Shameer ne andaza lagaya ki vo un pattiyo me pakka mushkura rahi hogi
Dremona ; (smaile) hena. .. tumhe pata hai. Aaj bhi me duniya me sab se khubsurat hu.
Jawan dikhne vali budhi dadi maa ka mood change ho gaya. Aur vo shameer ka hath pakad ke chalne lagi. Shameer ko unse dar nahi lag raha tha.
Dremona ; tum yaha kyo aae ho Shameer. Tum jante hona ki yaha bahot khatra hai.
Shameer ; muje bolti hui khopdiyo ke pas jana hai dremona.
Dremona ; vo kyo????
Shameer jaldi jaldi puri kahani sunata hai.
Dremona ; jindgi ke bad mout ek sachai hai mere bache. Tum use nakar nahi sakte. Tum koi galti mat karna mere bache. Ab Jao. Ye darwaja tumhe bolti hui khopdiyo tak le jaega. Magar yaad rakhna. Vo sirf akeli khopdi hogi jo tumhare sawalo ka jawab degi. Aur yaad rakhna. Jab tak kali mombatti ya nahi jalaoge. Vo jawab nahi degi.
Shameer ; par kya me kar paunga???
Dremona ; (gurur) tu mera pota hai mere bache. Ab ja. Yaad rakhna kisi faltu chij ko mat chhuna. Tuje khoon ke pyase har jagah milenge. Par tuje kisi chij ko chhedna nahi hai.
Shameer us darwaje se andar chale gaya.
(2.2)
Dadi maa ne shameer ko rasta bata diya. Vo us darwaje se andar bhi aa gaya. Vo kisi surang jesa lag raha tha. Jese kai hajaro sal pahele bana hi.
Shameer aage badhta hi chale gaya. Vaha ka mohol to aur bhi jyada darawna tha. Ekdam shant mahol. Kahi se pani tapkne ki aavaj bhi aa rahi thi. Shameer andaza tak nahi laga pa raha tha ki vo jagah kaha hogi. Vo apni maa ke mahel se kitna dur ho gaya hoga. Ya mahel ke kis hisse ke karib ya dur vo jagah hogi. Ye jagah shameer ne shapne me bhi nahi dekhi thi. Vaha bhi ek jese dikhne vale kai chamber the. Vo sochne laga ki uski dadi maa bhi kesi hai. Bas darwaje tak chhod gai.
Andar nahi aai. Lekin kam se kam unhone shameer ki jan to bacha li. Bar bar dar ne ke karan shameer ka dar bhi khatam ho gaya tha. Par excitement khatam nahi hui thi. Shameer aage badhta hi chala ja raha tha. Aas pas to use chembar dikhte par vo raste ka end nahi ho raha tha.
Shameer tang aa gaya. Vo ruk gaya. Use samaz nahi aa raha tha ki vo kya kare. Vo tang aa gaya aur pas ke hi ek chamber me ghus gaya. Chamber me ghuste hi use najara kuchh aur hi laga. Jese vo kisi purane jamane ki laboratory ho. Vaha kahi aag bhi jal rahi thi. Aur kai botalo se dhuaa bhi nikal raha tha.
Shameer ko samaz nahi aaya ki ye kesa mahol hai ye. Yaha bahar dekh kar to lagta hai ki baroso se yaha koi nahi aaya. Par yaha ka saman dekh kar esa lagta hai jese kuchh pal pahele hi yaha koi in samano ka istamal kar chuka ho. Vo har chij ko dhyan se dekhta hai. Vaha kuchh kanch ki bottels thi.
Jisme rang birangi kuchh liquid tha. Kuchh purane jamane ke bartan. Jisme se dhuaa nikal raha tha. Mahol ekdam shant tha. Tabhi use kisi do logo ki badi ajib aavaj use sunai di.
1 ; Are vaha kya dekh rahe ho bevkuf inshan
2 ; are yaha aao hamare pas.
Shameer dae bae dekhne laga. Use samaz nahi aa raha tha ki ye aavaj aa kaha se rahi hai. Tabhi vo aavaj use fir sunai di.
2 ; of fo.. ye inshan to sach me bevkuf hai.
1 ; ha ha bilkul sahi kaha. Bevkuf kahi ka. Ham kab se aavaj de rahe hai. Aur vo pata nahi kaha dekh raha hai.
Shameer ; (herat) aap log kaha ho. Muje to kuchh.
Shameer apni bat puri bhi nahi kar paya. Aur use kuchh esa dikh gaya. Jise dekhne par use bharosa hi nahi ho pa raha tha. Bottels me band do khopdiya thi. Jo has rahi thi.
Khopdi 1 ; are ham yaha hai bevkuf...
Shameer unke pas gaya. Aur herat se unhe dekhne laga. Use bharosa hi nahi ho raha tha. Botal me band khopdiya kisi liquid me dubi hui thi. Aur vo hi andar se bat kar rahi thi. Shameer samaz gaya ki vahi bolti khopdi hai.
Shameer ; (smaile excited) aap log bol sakte ho. Aap hi bolti khopdi hona.
Vo khopdiyo ne to mano shameer ki class lena hi shuru kar diya.
Khopdi 1 ; tum sirf bevkuf hi nahi andhe bhi ho. Dekh kya rahe ho. Jaldi se hamara ye dhakkan kholo aur aur hame isme se bahar nikalo.
Shameer ; agar me tumhe bahar nikalu to kya tum muje bataoge ki chhaya ka tabut kaha hai??
Vo dusri khopdi turant bol padi. Par dusri khopdi ka bolna eaa tha ki kuchh soch kar bol rahi ho.
Khopdi 2 ; ha ha aaaa muje pata hai. Vo kaha hai. Tum tum pahele muje nikalo.
Vo dono khopdiya ladne lagi.
Khopdi 1 ; nahi ise pata nahi hai. Vo muje pata hai. Pahele muje nikalo.
Khopdi 2 ; nahi pahele muje.
Shameer ; sssss shant ho jao. Me tum dono ko nikal raha hu.
Shameer ne sidha hi khopdi 1 ki bottle ka dhakkan khola. Aur jese hi khola khopdi uchhal ke bahar aane gai. Jese vo shameer ke hath ko katne ki kosis me ho. Shameer ne turant hath hata liya. Vo khopdi uchhal kar sidha usi bottle me giri to shameer ne turant hi dhakkan tezi se band kar diya. Vo khopdiya hasne lagi. Sath me ek aur hasne ki aavaj aai. Shameer ne us tisri aavaj ki taraf dekha to vo ek kali aur badi khopdi thi. Aur vo jese shetan ki khopdi ho. Ekdam darwani.
Khopdi no 3 ; ha ha ha. Bevkuf inshan. Jab tak hame kuchh chabane ke lie nahi doge. Ham kuchh nahi bataenge.
Shameer samaz gaya ki vo bottels me band khopdiya uska kuchh nahi bigad sakti. Jab tak unhe khola na jae.
Shameer ; nahi. Me tumhe nahi kholne vala.
Shameer unse dur chale gaya. Aur dae bae sab jagah dekhne laga. Use ye yaad aa gaya ki vo khopdiya akeli hogi. Vaha bahot sari esi khopdiya thi. Jo singal duble thi. Lekin shameer ko samaz aa gaya use ek akeli khopdi ki talash hai. Shameer dhire dhire aage badha. Use ek esi khopdi dikhai di jo kisi botal me nahi thi. Jiske aas pas kuchh mombattiya bhi jal rahi thi.
Shameer uske pas pahocha. Lekin vo khopdi me koi bhi halchal nahi hui.
Shameer ; kya aap meri madad kar sakte ho.
Lekin vo khopdi koi jawab nahi deti. Use dekhne se esa lag raha tha ki jese vo khopdi so rahi ho. Shameer dae bae dekhne laga. Use ek kitab dikhi jo khuli hui padi thi.
Shameer soch me pad gaya. Jab yaha koi aata hi nahi to vo kitab ese khuli kyo padi hui hai. Ye pure chamber ki har chij itni activate kese hai. Shameer us kitab ke pas pahocha. Aur use padhne ki kosis karne laga. Par vo konsi bhasha me hai. Ye use samaz hi nahi aa raha tha. Tabhi shameer ko vaha kuchh black colour ki candles dikhi.
Shameer ne usme se ek candle utthai to vo apne aap jal gai. Shameer geran ho gaya. Shameer ne vo sari candals ko bari bari utthaya aur unhe vahi rakhne laga. Vo sari candela apne aap jal gai.
Idhar aao bache. Kya dhudh rahe ho tum.
Shameer ne vo aavaj suni aur turant us khopdi ki taraf dekha. Ye vahi akeli khopdi thi. Jo shameer ke puchhne par koi jawab nahi de rahi thi. Use khopdi ki aavaj kisi budhe admi ke jesi lag rahi thi. Shameer us khopdi ke pas gaya. Aur gor se dekhne laga.
Khopdi ; ese kya dekh rahe ho bache. Kaho muje kyo jagaya hai???
Shameer ko samaz aa gaya ki vo khopdi kali mombatti jalane se jagi hai. Shameer uske aur karib aaya.
Shameer ; muje jan na hai ki meri maa chhaya ka tabut kaha hai.
Vo khopdi halka sa hasti he.
Khopdi ; apni maa ko dekhna chahte ho. Vapas darwaje par jao. Aur aage teen kaksh chhod kar chothe kaksh me tumhe apni maa ka tabut mil jaega. Magar yaad rakhna. Bina dill ke vo bat nahi karegi.
Shameer ; to me us dill tak kese pahoch sakta hu..
Khopdi sab kuchh vo kitab bataegi. Par tumhe uske lie bhi mombattiya jalani hogi. Tum mombatti bhi le jao.
Shameer ; magar meri maa ka dill kaha milega..
Khopdi ; mene kaha na. Vo kitab sab bata degi.
Shameer pichhe muda usne vo mombatti utthai aur vo kitab ko khola. Is bar vo kitab padh sakta tha. Use vo kitab me likhe aksar samaz aane lage. Vo hindi me the. Usme saf likha huaa tha. Vapas darvaje par jao aur teen kaksh chhod kar apni maa ko pao. Shameer mombattiya aur vo kitab lekar vaha se chal pada. Jab vo bahad nikla to vo heran rahe gaya. Kyo ki vo kai chamber cross kar ke aage aaya tha. Par jab bahar nikal kar dekha to bas 4 chamber ki duri par hi vo darwaja tha.
Matlab ki use vapis yahi aana hai. Shameer vapas darwaje tak gaya. Chudelo ka pati aur beta hone ke bad ese jadu par bharosa hona aam bat hai. Vo darwaje par jakar khada ho gaya. Aur fir vapas darvaje se vapas usi chamber tak aaya. Par jab vapas aaya to vo chamber ka naksha hi badal gaya. Vaha kuchh bhi nahi tha. Bas bich me ek bade pattharo se bani ek kuchh kabra jesa laga.
Vo us kabra ke karib aaya. Ghum kar charo or dekhne laga. Vo patthar ki bani hui thi. Shameer takat lagakar us patthar ko khiskane laga. Lekin vo patthar khisak hi nahi raha tha. Shameer pareshn ho gaya. Akhir vo us bade patthar ko kese hatae. Fir shameer ko yaad aaya ki vo kitab se puchh sakta hai. Shameer ne fir mombattiya jalai.
Aur un mombattyo ko jalate hi kitab khol kar padhna shuru kiya. Usme likha huaa tha ki 3 kadam pichhe jakar ankhe band kare. Shameer ne vesa hi kiya. Vo teen kadan pichhr gaya. Aur apni ankhe band kar deta hai. Use patthar khisakne ki aavaj aati hai. Vo ekdam excited ho gaya. Akhir vo apni maa ko dekhne vala tha. Shameer se bardas nahi ho raha tha. Par jese hi aavaj band hui.
Shameer turant hi pichhe nud kar us kabra tak pahoch gaya. Samne vo najara dekh kar vo heran rahe gaya. Vahi khubshurat masoom chahera. Uske samne tha. Shameer apni maa ko uski atma ke jariye mil chuka tha. Usr apni maa ka chahera yaad tha. Aur shameer ke samne uski maa ki lash thi.
Shameer ki ankho se anshu nikal aae. Kuchh pal vo apna sab kuchh makshad bhul gaya. Aur apni maa ke seene par sar rakh kar rone laga. Chhaya ki lash dusri kai lasho se purani thi. Fir bhi uski lash sadi nahi thi. Baki lasho ko bade lakdi ke tabuto me rakha gaya. Magar chhaya ko patthar ki majar banakar use rakha gaya tha. Par kuchh pal bad shameer khada huaa.
Shameer ; Muje tuhara hukam man na he maa. Tum jo chahti ho me vo karunga maa.
Shameer ko ab apni maa ka dill dhudhna tha. Usne fir kitab ko hath me liya. Aur bola.
Shameer ; batao kitab. Meri maa ka dill kaha hai???
Usne vo kitab kholi. Usme likha huaa tha. Apni maa ka sar utthao. Tumhe unka dill mil jaega. Shameer fir ghutno par beth gaya. Aur apni maa ko apni god me utthata hai. Lekin use dill nahi mila. Shameer ne apni maa ke sir ko apni god me hi rakha. Aur zuk kar vo kitab utthai. Usne fir us kitab ko khola. Par kitab me kuchh bhi nahi tha.
Shameer ne vo kitab rakhi. Tab uski najar apni maa ke sirahane par gai. Usne hath dala to use mahesus huaa ki kuchh hai. Jise ek hath se vo nahi nikal sakta. Shameer ne apni maa ko god me utthakar bahar rakha. Aur use chij ko nikalne ki kosis karta hai. Vo vese hi badi kanch ki jaar thi. Jab usne us jaar ko bahar nikal ke dekha to vo heran rahe gaya. Usme ek dill tha. Jo dhadak raha tha. Shameer ne us jaar ko jamin par rakha.
Aur us dill ko herat se dekhne laga. Vo dill ko dhadkate hue dekhne laga. Kuchh pal bad use yaad aaya ki abhi to uska kam aadha bhi nahi huaa hai. Subah hone me kuchh ghante baki hai. Aur use apna kam pura karna hai. Shameer vapas apni maa ko us kabar me rakhta hai. Aur fir uska matha chum kar rone laga.
Shameer ; (rote hue) kash maa aap jinda hoti. Me bin maa ke kitne sal tadpa hu maa.
Par fir vo khada huaa apne anshu pochhe aur vaha se chal diya. Shameer ne na vo kali mombattiya utthai aur na hi usne vo kitab. Shameer dobara apne pita ke tabut ki taraf chal diya.
Likes and comment
Aapne bilkul horror movie k surprise element waala maza dila diya ek amazing scene main
Well Done Mam, u r best
Maha rani Drimona, wala arc funny aur mazedaar tha Mam
Aap Horror k sath sath light comedy bhi bahut khubsurat tarah se likhti hai