UPDATE 4
Ab aage
Pallavi bahut narzaz thi darwaza nahi khol rahi thi baar baar shaurya darvaja knock kar rah tha par woah nahi khol rahi thi.
Shaurya:Please didi darvaja kholiye meri ek baar toh baat toh suniye please..
Pallavi:Kya sunu mai tune itna bada decision le liya bina mere se puche,ab bol raha hai darvaja kholu,mujhe tumse koi baat nahi karni hai,jao yahan se.
Shaurya: Didi please apke bina kaun hai mera maan jaiye mai samjhata hun apko please didi.
Pallavi:Ek baar bol diya na mujhe koi baat nahi karni toh nahi karni hai,tum jao apni manmani karo,kya bol rahe the apke siva kaun hai,mera bhi tere siva kaun hai,tune ek bar bhi meri fikar ki nahi ki,mujhe bura lagega isliye tune chupke se form bhara aur bataya bhi nahi.ab kya mujhe bura nahi lag raha hai,mujhe dard nahi ho raha hai shaurya.
Shaurya naraz ho gaya tha ki uski didi usse khafa hai,woh man nahi rahi hai,ab who kya kare woah soch raha tha.
Shaurya:Thik hai didi ab se jo aap bolengi wahi karunga ab mai kabhi army ke bare mai nahi sochunga please mujhe maaf kar dijiye,bhul se mai apko dard nahi dunga please mujhe maaf kar dijiye.
Aisa bolkar shaurya ro raha tha, pallavi ko daarwaja na kholta dekh usne phir se ek baar koshish ki
Shaurya:Please didi maan jao,mai mar jaunga agar apne mujhse baat nahi ki toh,idhar hi apna pran tyag dunga please khol dijiye,mujhse baat kariye.
Shaurya ki aisi baat sunkar pallavi ki jaan nikal ayi usne darwaja khol diya shaurya udhar baitha rota dekh pallavi ki atma sukh gayi usne apni bhai ko chipka kar shant karne lagi.
Pallavi:chup ho ja ro mat teri didi ne khol diya hai darvaja chup ho ja,dekh maine tujhe maaf kar diya,chup ho ja shauru.
Pallavi ki baat sunkar shaurya chup ho jata hai,phir bhi thora sa rona wala awwaz rehta hai.
Pallavi:tujhe toh pata mera ek hi bhai who bhi jid kar raha hai army mai jane ki,udhar kitna problem hai tumhe pata hai na,agar tujhe kuch ho jayega mai kya karungi,mai toh jee nahi paungi tere bina,maar jaungi shauru,mar jaungi,aise bolkar pallavi ke ankhon main anshu ata hai
shaurya unki anshu pochkar bolta hai,
Shaurya:Thik hai didi ab se jo aap bolengi wahi hoga,mai kabhi army ke bare mai bhul se khyal nahi launga,bas aap naraz mat hoiye,mai wada karta hun apse.
Shaurya wada toh kar deta hai,lekin Pallavi ko yakin nahi tha,phir bhi uski baat maan jati hai,Kyuki pallavi apne bhai ko bahut ache se janti hai uska chota bhai army join karne ke liye kitna pagal hai.
Pallavi muskurakar:chal thik hai tu rona band kar,fresh ho ja,kya halath bana di hai tumne,mai khana banati hun taiyaar ho kar aa ja,wait kar rahi hun.
Thodi der baad dono nashta karte hai,aur pallavi apne kaam par chali jati hai,aur shauru computer par game khelne jata hai.
Pallavi jati toh hai usko yaad ata hai usne chabhi ghar mai bhul gayi hai use lene who wapas ati hai,Jab pallavi wapas chabhi lekar jati hai uske dimag mai khyal ata hai,woh shauru ko ek baar dekh le,woh dekhne jati hai.
Pallavi chupke se shaurya ko dekhti hai who kya kar raha hai Shaurya kuch soldier ke photo nikal kar dekhta hai,aur bolta hai.
Shaurya:Shayad mai kabhi aap log ki tarah daring officer nahi ban paunga apni desh ki seva nahi kar paunga,koshish ki thi lekin didi naraz ho gyi merese mai unka dil dukhakar apne sapne pura nahi karna chahta.
Dekhna next janam mai jarur army officer banunga,yeah janam mere didi ka hai mai unka hi baat manunga.
Pallavi Shurya ko is halath mai dekhti hai use bhi dukh hota hai,apne ankh mai anshu liye chali jati hai Us din shaam ko,pallavi ghar ati hai,khana pahile se taiyar table par tha,yeah dekhkar pallavi shock ho jati hai.
Pallavi apne man mai:yeah khana kisne banaya,Rupa aur raju toh nahi bana sakte unhe toh saaf mana kiya hai ghar ka khana banane ko.
Pallavi ki nazar Shaurya ke paas jati hai,woah hath mai khana liye aa raha tha,jab shaurya ki nazar apni behen ke paas jati hai who bhi khush hokar bolta hai
Shaurya:Arey Didi aap,aiye maine bahut pyar se ap ke liye khana banaya hai,fresh hokar aiye aur taste kijiye kaisa bana hai khana.
Pallavi khush hokar jati hai aur fresh hokar dinning table par baith jati hai,khane ka pahila niwala dalte hi,bahut khush ho jati hai aur bolti hai
Pallavi:Arey waah shauryu tumne itna acha khana kahan se banana sikha bahut badiya khana banaya hai tumne maza aa gaya.
Shaurya:Bas abhi youtube par dekhkar rupa aunty ki madad se banaya hai maine.
Pallavi aur shaurya pura kahana khatam kar dete hai aur udhar batih kar icecream khane lagte hai.
Pallavi:Waise khana bahut acha tha,bahut maza aya hai khane mai,lajawab mazedaar tasty yum yum.
Shaurya pallavi ko aise khush dekh khush ho jata hai AUR bolta hai
Shaurya:Thank You didi,apko khush karne ke liye maine banayi thi,subah maine apka dil dhukaya tha na isliye.
Pallavi:Maine tumhe maaf kar diya shaurya,subah wali guilt apne dil mai mat rakho smajhe humesha muskurate raho.
Shaurya:Thik hai didi.
Aisa bolkar woah jane lagta hai tabhi piche mudkar ek baat bolta hai
Shaurya: Didi mujhe best college ka pata chala kal jakar mai admission kara kar ata hun.
Aisa bolkar uske chehre par thori narazgi thi par usne dikhaya nahi,par who nahi janta tha pallavi sab samaj gayi kis dukh se uska chota bhai bol raha hai.
Pallavi muskurakar bolti hai:Thik hai shauryu mai bhi aungi tumhara sath tumhara admission karane,tumhare college mai
aisi kuch der baetein kar ke Dono chale jate hai sone…….