Xabhi
"Injoy Everything In Limits"
- 10,210
- 42,638
- 174
To shaurya ne sari kitabe padhne ke baad apne margdarsak ke pass jata hai jaha se use ek disha ki or Jane ka Bolte hai ek alian nano Shute ko dhundhne ko or vhi hme pta chalta hai ki kaise krishtina mark ke pass dobara pahuchi to use sex drugs diye ja rhe the jo uske andar Pahle se maujud kisi formula se mil jata hai Jisse Uski pals band ho jati hai jo doctor use dead ghosit kr dete hai... Dekhte hai ab un do tarah ke formulo se milkr Kya nya rup banta hai krishtina ka...Update 30
Ab Shaurya ki us danav se fight ke ek saal complete ho chuke the.... Aur Shaurya puri trah fit bhi ho chuka tha usne sari kitabe padh dali thi ek ek krke aur bhut sare sarcret weapons dawaiya aur na jane kya kya pta ho chuka tha use aaj vo nikal jata hai unhi baba se milne...
Baba : ao ao beta ab kaise ho tum puri trah theek ho gye ki nhi
Shaurya : ha baba pr aapko kaise pta mere bare me...
Baba : Are beta mobile TV news se ki LUCIFER ghayal ho chuka hai ...
Shaurya : acha haa baba
Baba : lekin bhut time lga beta tumhe recover hone me tumhari chote to turant heal ho jati h na
Shaurya : darsal baba vo monster mere hi energy signature se bna tha...
Baba : mtlb ki tumhare andar jo serum daud rha hai vhi serum uske andar bhi hai lekin uncontrolled mgr kaise tumhara serum to parallel earth se hai to vo serum usme kaise pahucha
Shaurya : ha baba ye kaise ho skta hai...
Baba : tumhara khoon haa tumhara khoon usi se vo serum reverse engineer kiya ja skta hai par earth pr use aisa krna bhut mushkil hai jiski vjh se vo monster ka serum uncontrolled hai yaad kro beta us fight se phle tumhara khoon khi aisi jgh gya tha jha se khoon aur uske andr ki jaankari ke bare me kisi ko pta ho ske
Shaurya : par baba vha bhi mera kafi khoon gira tha vha se bhi kuch gdbd hui hogi to is monster ki trah then..
Baba : nhi beta us din to baarish ki vjh se sab balance ho gya tha kisi ko kuch nhi mila hoga but is monster ke bare me socho kya ho skta hai kaise hua
Shaurya : ha baba yaad aya vo jab DNA test ke liye maine khoon diya tha vha se ho skta hai vaise to maine didi se kha tha ki sambhaale par kya pta...
Baba : hmm beta ek baar jaanch parakh kro ache se
Vhi doosri trf.....
Vo ladki jo torture ho ho ke ekdm thak chuki thi par usne abhi tk kisi ko kuch nhi btaya tha....
Vo admi kn hai chaliye thoda samne se dekhte hai....
Are ye to Max hai par ye ladki khi ye Krishtiana to nhi....
Tabhi Ladki ke body ke andar ka view uski body me bah rhe drugs kisi anjan chemical se jaa takrate hai aur kuch reaction hone lgta hai jiski impulse dimaag se le kr puri body me failne lgta hai kya ho rha hai ye tabhi ladki jor se chillati hai...
Ladki : aaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh
Ek baar ke liye to Max bhi dar jata hai....
Max : krishtiana kya hua dekho ise kya hua
Acha to ye Krishtiana hi hai but ye yha pahuchi kaise to iske liye chalte hai thoda flash back me
Krishtiana church me jati hai
Krishtiana : ohh jejus Shaurya ko jaldi theek kar dijiye please jejus....
Tabhi uski najar vha ke father par pdti hai...
Krishtiana (man me) : ye yha ohh no isne mujhe pehchan liye to gadbad ho jaegi
Tabhi vo Father use dekh leta hai aur use daboch kar bandh deta hai...
Father : tujhe to maine Russia me becha tha tu yha kaise vo bhi itni shi salamat chal koi na dobara bech kr dobara paisa kama lunga... Hahahahahahah yha india me jyada maal milta hai...
Krishtiana kuch bol nhi pati muh khula hone ki vjh se...
Fir Vo father use jejus ki murti ke piche bne raste se ek surang se bahar le jata hai aur kuch admiyo ko call krke bench deta hai aur use Andman and Nicobar island pe ho rhe ek khoofiya auction me benchne ke liye lga diya jata hai with rate and tag...............
Tabhi Max ki najar uspe pad jati hai
Max apne dimag par jor dalta hai...
Use yaad ati hai computer screen fight dekh rha hota hai vo LUCIFER aur monster ki monster ki hi ankho se sirf vo ladki vha thi LUCIFER behosh ho chuka tha matlab ki isi ladki ne use bachaya tha par ye yha kaise ayi pta krna pdega...
Tab vo vha ke admi se puchta h ki ye ldki kha se ayi hai to bta deta hai banglore ke church se us father ne pakda hai vo bol rha tha ye pichli baar yha se bhaag nikli thi auction se new York vale se.....
Ye auction Max ne hi krwaya tha vo Krishtiana ko apne sath le jata hai..
Max (man me) : mtlb LUCIFER banglore me rehta hai Chlo ye bhi pta lg jaega kn hai vo kamina is ladki ke jariye... Hahahahaha
Vo fir use vhi submarine me le jata hai pani ke niche jaha LUCIFER ko pta na lg ske usi din se Banglore me crime badhne lga tha par Shaurya ke dosto ke hote hue kuch successful nhi ho paya isi baat se Max aur buri trah jhallaya hua tha...... Aur vha itne torture ke baad bhi krishtiana ne apna muh nhi khola vo sex ke liye tadap rhi thi par usne na jane kaise khud ko control kar rkha tha vo andar se bahot hi jyada majboot thi vo 6 mahine ka torture seh gyi par LUCIFER ki sacchai kisi ko nhi btai brave girl.........
Udhr Shaurya ki trf...
Baba : beta un kitabo se tumhe bhut se weapons ke bare me pta lga hoga unhe tumhe khojna hoga aur apne hathiyaaro me shamil krna hoga
Shaurya : ji baba
Baba : to sabse pehla padaaw hai tumhara Laghutantrakawach ye ek suit hai jo ki nanotechnology se bna hai pracheen hai kyuki ise aliens earth pe chhod kar gye the iska prayog pracheen itihaas me kai rajao ne kiya samrat ashoka unme se akhiri the unhe bhut bada gyaan prapt tha par unhone use gupt rakha kyuki vo nhi chahte the ki bure log ise pae.... Use unhone kalinga ke yuddh ke baad Greenland ki durgam thand me khi chipa diya tha tumhe use khojna hoga....
Shaurya : ji baba vo suit to mujhe bhi excite kr rha hai suna hai uski madad se samrat ashoka ne puri ki puri sena ko akele hi khtm kr diya tha....
Baba : haa yeh shi hai beta
(Note : aisa kuch nhi hai history me ye bas story ka plot ke hisaab se maine changement ki hai ye puri trah kalpnik hai ise kisi bhi history ke hisab se sach na mane)
Shaurya fir vha se nikal jata hai thodi der meditation ke baad aur seedha Ashima ke paas jata hai...
Ashima : Are bhai ao ao kaisi hai ab tabiyat Arnav se pta chle mujhe aur gale lag jati hai
Shaurya : mai theek hu didi ekdm mst aap kaisi hai..
Ashima : mai bhi mst
Shaurya : vo to ho didi (aur ankh maar deta hai)
Ashima : dhatt apni didi se flirt krta hai pgl
Shaurya : aap ho hi itni khoobsurat
Ashima : bas bas jyada nhi haa nhi to maar pdegi
Shaurya : ok didi acha didi ek baat krni thi apko lgta hai aapke paas se mera khoon chori hua ho aisa koi bhi time jab aap uske paas na rhi ho...
Ashima : nhi bhai maine ek pal ke liye bhi akela nhi chhoda tha tumhara khoon kyu kya hua,...
Shaurya use btata h : didi dhyan dijiye kuch to...
Ashima: are haa jab mujh par hmla hua tha tab....
Shaurya : aapke alawa kn tha lab me
Ashima : meri assistant thi par vo bharosemand hai vo nhi kregi aisa
Shaurya : aur koi aas paas
Ashima : are haa bgl ke cabin me ek doctor tha aur vo usi din se gayab h...
Shaurya : that's the point kuch to jhol h is doctor ka pta krna pdega
Ashima : hmm mai uski sari details nikal kr tumhe mail krti hu...
Udhr Krishtiana ke paas...
Doctor : Sir iski dil ki dhadkan to ruk gyi hai
Max : nhi ye mujhe bina btae nhi mar skti no no no...
Doctor : sir she is dead
Tabhi achanak....
Age next update me.....
Sandar update bhai jabarjast