If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Pichle update mei aapne dekha ki Shubham ko Land of River and Mountain se dragon se power milti hai, Shubham vaha ka kida ko samapt kar uss jagah ko uske aatank se bacha leta hai.....
Ab Aage....
Shubham: Uss Kida ka marne ka baad mei uss White chadar ko ek baar firse gayab kar deta hu, aur uske baad sabhi ko vapas unki duniya mei bula leta hu…. Sabhi vapas uss duniya mei aate hai, par kuch tha jo mujhe maarne ka irada se ghur rahe tha…..
Maharaj: Rakshak ya jagah toh phele jaisi hi hai, iske ander kuch bhi nahi badla hai…..
Shubham: Badla hai Maharaj…. Aapki pareshani khatam ho gayi hai, bus ek aakhri kaam baaki hai jiske liya mujhe Queen of Magical City ko bulana hai….
Aaliya: Par hum toh bina bulaye aa gaye hai…… Iss samaye Aaliya na Queen of Magical City ka shahi kapde pehane tha, jiski vajah se behad choti aur pyari lag rahi thi….
Maharaj: Queen of Magical City aapka humare desh mei swagat hai…. Aap humare nimantran par yaha aayi ya humare aur iss rajye ka liya badi khushi ki baat hai….
Aaliya: Pranam Maharaj, aapne hume bulaya ya humare liya behad badi baat hai….. Vaise bhi Magical City ka ithiaas mei aapke aur humare purvajo ka bich humesha se behad ghanisht sambandh rahe hai…. Hum aage bhi yahi sambandh lekar jaana cahaiyega….
Maharaj: Jee Jarur…..
Aaliya; Ha ab bolo kya kaam hai mujhc…..
Shubham: Ab apni Power of Creation ka use karke iss jagah ko phele jaisa kar do…
Aaliya: Par uske liya mujhe vo kaisa dikhta tha ya toh batao….
Shubham: Ha ruko…. Iszy humare haath pakad lo….
Iszy: Usne haath pakad liya…. Uske haath pakadte hi mere honth hilne lage jiski vajah se Iszy ka dimak mei jo image thi vo mere dimak mei dikh gayi aur vahi Aaliya ko bhi dikhne lagi…. Puri image ache se dekhne ka baad mei Iszy aur Aaliya alag hua…..
Aaliya: Humse kuch dhur jakar usne kuch mantr bole aur vo hawa mei udti chali gayi aur saath hi uske sharir se lagatar Green and Blue Energy nikalne lagi…. Ya Energy sabhi taraf failne lagi aur dhire dhire hi jo jagah puri tarah banzar ho gayi thi vo ek baar firse hari bhari ho gayi thi aur jo nadiya sukh chuki thi unke ander ek baar Paani ka bahav dekhne laga…
Land of River and Mountain ka sabhi log apne nagar ko vapas phele jaise hi sundar hota dekh behad khush hone lage…. Aaliya bhi apna kaam karke vapas normal ho gayi thi…. Par abhi bhi ek kaam baaki tha aur vo tha logo ka ghar jo kaafi jada buri halat mei tha iss samaye….
Shubham: Glimo kya tum yaha ka logo ka ghar ek baar firse puri tarah phele jaise kar sakte ho….
Glimo: Abhi karta hu…. Aur ya kaha kar usne ek chutki bajayi aur sabhi ka ghar bhi phele ki tarah hi ho gaye…..Ab uss jagah ka Maharaj, Iszy aur baaki sabhi nagar ka logo ki khushi ka koi thikana hi nahi raha…. Sabhi behad khush dikhayi de rahe tha…..
Maharaj: Rakshak, Queen of Magical City aur baaki aap sabhi ka behad behad dhanyawad…. Aap logo ki vajah se ek baar firse hume humara ghar rahene ka liya mil gaya…. Varna hume laga tha ki hum fir kabhi apne ghar ko essa nahi dekh sakega…..
Aaliya: Maharaj ya sab sochna chodiya aur abhi ya samaye khushi ka hai, kyunki aaj ek baar firse nagar phele jaisa ho gaya hai aur fir Rajkumari Isabella ka swayambar mei bhi keval 3 din hi shesh rahe gaye hai, jiske chalte aapko behad tayari bhi karni hai…. Issi liya aap hume ya sukhriya kahana chodiya aur baaki tayari kare…. Aur hume bhi aapki madat karne ka mauka de…..
Maharaj: Nahi nahi aapne phele hi behad madat kari hai, ab aap log humare nagar ka athiti satkaar ka anand le aur baaki sab kuch humare upar chod de…. Baki hum khudse kar lega…..
Maharaj: Mantri ji, sabhi ko Mahal mei lekar chaliye aur sabhi ka rahene ka ache se bandobast kariye…. Sabhi ko kissi bhi tarah ki pareshani nahi honi cahaiye…..
Hum sabhi ko vaha se sahi sawari mei bithaya gaya aur uske baad hume Mahal lekar jaya gaya…. Mahal mei Mantriji na AS, Alvace, Pilaso, Glimo sabhi ko niche ka kamre diye vahi hum sabhi dosto ko Iszy apne saath apne kamre juda kamro mei lekar chali gayi….
Iszy: Ya hisa Mahal ka sabse surakshit hissa hai…. Yaha meri icha ka bina koi nahi aata hai, islye yaha hum sabhi apni icha ka hissab se rahe sakte hai….
Elika: Aur na hi humari awaj kissi ko sunayi degi….. Meine iss jagah ko magically protect kar diya hai jiski vajah se humari yaha ki awaje koi nahi sun sakega aur kisi ka aane ki khabar hume mil jaayegi….
Siyam: Huma ya sab karne ki jarurat kaha hai par…. Hum konsa yaha koi secret baate karne vale hai….
Willy: Shayad karne vale hai…. Actually Siyam aur Shubham tum dono ka alawa baaki sabhi ko pata hai ki hum yaha essa secretly kyu mil rahe hai….
Elika: Shubham Iszy cahati hai ki swayambar mei yodh kala ka pradashan hoga…. Jo sabhi Rajkumar aayega unhe apna yodh kaushal ka unhar dikhana hoga……
Shubham: Apni baat aage badao….. Ya adhuri baat hui….
Nancy: Iszy cahati hai ki sabhi Rajkumar ka samne uski taraf se chunauti tum doge…. Unn sabhi ko ladna hoga tumse aur agar vo tumhai hara sake toh Iszy ki Shadi usse karwa di jaayegi….
Siyam: Par ya galat hoga na, mera matlab hai ki hum sabhi Rajkumar akele chodo ek saath milkar bhi Shubham ko hara nahi sakega…. Toh fir iss swayambar ka matlab hi kya raha…..
Shubham: Siyam ya baat abhi puri nahi hui hai….Ya sab bhumika bana kar baat kar rahe hai tukde mei jisse ya hume fasa rahe hai…. Inki baat puri hone do…..
Shubham: Ha tum log aage bolo….
Elika: Jab Siyam tumse ladega uss samaye tumhai Siyam se har kar usse jeetana hoga…. Taaki inn dono ki shadi mei kissi tarah ka bich mei rukawat nahi utpan ho….. Idhar Elika ki baat khatam hui udhar Siyam gusse mei khada ho gaya….
Siyam: Ya behuda baat tum sabhi ka dimak mei aayi kaise aur Willy meine kabhi nahi socha tha ki tum bhi iss ghatiya baat ka liya inka saath doge…. Ya jitna sach hai ki mei Iszy se behad pyar karta hu aur uske alawa shayad hi kissi se shadi kar saku, utna hi sach ya bhi hai ki mei iss tarah ki galat tarike se karayi hui pratiyogita ka hissa nahi banuga……
Agar Iszy aur mera Vivah hona likha hai toh fir vo jarur hoga aur agar nahi likha hai toh fir koi baat nahi…. Par apne maan samaan aur sabse badi baat khudki najar mei jhuk kar mei ya sab nahi kar sakta hu…. Mujhe maaf kardo, agar koi bhi dost Iszy ka liya lada toh swayambar mei bhaag nahi lunga…..
Shubham: Siyam mei tumse sehamat hu…. Yaar tum logo ka dimak kharab ho gaya hai kya….??? Elika Willy tum dono inhe rokne ki jagah inka saath de rahe ho…. Ek baar soch kar dekho agar kabhi galti se ya baat kissi ko pata chal gayi toh kya hoga…. Maharaj ka baaki raajyo ka samne maan samaan sab kuch khatam ho jayega, itne saalo se jiss insaan ka sar Imosopher apne napak irade se nahi jhuka saka uss insaan ka sar logo ka samne bina unki galti ka bhi jhuk jayega….
Siyam: Shubham mujhe ghar chod do, mei 3 din baad Pitaji aur Mataji ka saath hi aaunga….
Marium: Siyam suno toh…..
Siyam: Nahi Marium abhi nahi…. Mujhe abhi jaane do…. Shubham mei chalne ko tayar hu….
Shubham: Meine aankhe band kari aur hum dono Siyam ka Mahal ka bahar khade tha…..
Shubham: Siyam abhi nahi dost par vada raha aaj raat ka khana tumhare pariwar ka saath hi hoga….
Siyam: Koi baat nahi mei samajh sakta hu…. Par raat ka bhojan par tumhari pratiksha karunga….
Shubham: Siyam jo baate abhi hui hai unhe dilse mat lagana, tum jante ho Iszy na ya sab kuch bus islye kiya kyunki vo tumhai khona nahi cahati hai….. Tum jante ho apni Maa ko jaldi kho dena ka baad vo bachpan se hi kaise rahi hai…..
Siyam: Ha Shubham, tum chinta mat karo mei kuch galat nahi karunga…. Bus Iszy ka dhyan rakhna, 3 din baad mujhe shadi karni hai aur vo bhi ussi se…. Fir cahaiye kitni badi hi chunauti kyu na aa jaye….
Shubham: Hmmmm, chalta hu ab mei….
Iske baad Shubham ek baar firse Land of River and Mountain pahuch gaya siddha apne kamre mei, kyunki vo abhi behad thaka hua mehsoos kar raha tha aur usse aram ki jarurat thi, islye vo apne bed par aakar late gaya aur uski aankh lag gayi….
Uski nind kaafi samaye baad khuli apne kamre se nikal kar jab bahar ka haal dekha toh mera hosh udd gaye ki ya sab kaise hua, kyunki aajse phele mei kabhi itna nahi soya tha….Par fir mujhe laga ki Dragon powers ka baad mujhe thoda rest ki jarurat ki vajah se mujhe essa mehsoos hua hoga…. Islye meine uss baat ko vahi chod diya aur chal diya vapas Siyam ka Rajye….
Mai Mahal ka bahar abhi kadam hi rakhe tha ki vaha ka mausam badalne laga aur vaha Baraf baari hona lagi… Par vo behad hi samanye tarike se ho rahi thi… Meine phele kabhi essa baraf baari nahi dekhi thi…. Mujhe ya pata tha ki baraf baari hoti hai, par ya nahi pata tha ki vah jeevan bhi sambhav hota hai….
Khair mei aage bada toh darban na mujhe rok diya…..
Darban: Kon ho tum aur ander kaha jaa rahe ho….??
Shubham: Mei aapke Rajkumar ka dost hu aur unse milna aaya hu…. Unhone hi mujhe nimantaran diya hai, aap unse baat karke dekha….
Darban: Usne apne pass se na jaane kya nikala aur usse jor se baja diya…. Uski awaj behad hi sunder and mantramugdh karne vali thi….. Vo usse behad lambe samaye tak bajata raha….
Shubham: Jaise hi usne ya band kiya mera upar phoolo ki varsha hone lagi….. Mei uss varsha ko dekh raha tha ki itne mei mera piche behad se log aa gaye tha, jiske ander uss Rajye ka chote Bade sabhi tarah ka log tha aur sabhi apne niche ek pair par baithe tha aur unka sar jhuka hua tha…..
Vahi RajMahal se Maharaj, Unki Patni, Siyam ki dono choti Bhena aur Siyam apne Mahal ka Mantriyo aur Senapati ka saath aa gaya tha….. Mujhe vaha dekh Maharaj na bhi apna sar jhuka diya aur vo bhi apne ek pair par jamin par baith gaye aur unka dekha dekh unke Mahal se aaye sabhi log…..
Shubham: Ya sab kuch bahut jada lag raha tha mujhe….. Meine apni awaj ko tej karke sabhi se khade hone ko kaha tab kahi jakar vo sab khade hua…..
Maharaj: Rakshak aapka iss chota se Rajye mei swagat hai….
Shubham: Pranam Maharaj aapka behad sukhriya….. Par aap mujhc bade hai aur saath hi ek Maharaj bhi aapko iss prakar mera samne nahi jhukna cahaiye….
Maharaj: Rakshak ya sab aapke liya nahi aapke karye ka samaan hai…. Jo kaam aap kar rahe hai ya uske samaan ka liya hai…… Khair chodiya ya sab baate humari Praja aapse milna cahati thi, issi vajah se aaj sabhi log yaha upasthit hai….
Shubham: Apne haath aage kiya aur mera haatho se roshni nikal kar sabhi ka upar girne lagi…. Jaise Jaise roshni girne lagi sab log ka sharir tadapne lage aur sabhi ka sabhi vahi behosh hokar girne lage sirf Maharaj ka logo ko chod kar…..
Siyam: Ya sab kya hai…. Aur inn sabhi ko kya hua hai…..???
Shubham: Ya sab behosh ho gaye hai aur abhi firse kuch shan mei vapas uth jaayega…. Aur inhe behosh meine kiya hai….
Siyam: Kyu….???
Shubham: Kyunki ya sab Ramida naam ki bimari se grasit tha Siyam…. Aaj jab tumhai mei yaha chodna aaya tha uss samaye mujhe ya baat ka pata chala tha….
Siyam Sister 1: Par ya kaise bimari hai aur fir huma kyu nahi hui….???
Shubham: Ramida Machliyo ki ek prajati ka naam hai jo ki iss grah ka purv mei paayi jaati thi…. Purv mei ek behad hi vishaal kaaye Jalashaye hai jaha inki prajati raha karti thi…. Vo jalashaye purane jamane mei kabhi bhi istemaal nahi kiya jaata tha issi ki vajah se kyunki inn machliyo ka sharir se ek essa padharth nikalta hai jiske chalte vo samporn paani ko jaharila bana deta hai aur vo zeher dhire dhire karke insaan ka sharir ka har ang ko kharab karta hai aur aadmi tadap tadap kar marta hai…..
Tum sabhi ko ya Bimari islye nahi hui kyunki iss bimari ki dawa tumhai samaye par khane mei mila kar khilayi jaa rahi thi…. Rajye ka dhani logo se behad moti rakam lekar hi unhe ya dawa dee jaati thi sahi kaha na Mantri Ji meine….. Baaki jo nirdhan tha unhe ya dawa nahi mil rahi thi….
Sabhi log Mantri ko dekhna laga aur uske maathe se pasina chutne laga…. Ab bechara kahe bhi toh bhi kya kahe, kyunki uske samne khade insaan ko dekh usse samajh aa gaya tha ki vo jhut nahi bol sakta tha…..
Maharaj: Senapati isse kaal kothri mei daal do….. Isko saja subha darbar mei dega……
Senapati: Vo Mantri ko utha kar kaal kothri mei le gaye….
Idhar humari taraf bhi sabhi log dhere dhere karke uthna laga aur vo sabhi ab khudko behad acha mehsoos kar rahe tha…. Kuch log jo isse grasit tha unhone jab khudko thik paya toh vo samajh gaye ki ya sab kuch mera kiya hai, bus fir kya tha sabhi ka sar ek baar fir jhuk gaye aur mera dhanyawad karne laga….
Shubham: Aap sab khade ho jaaye…. Meine kuch anokha nahi kiya hai, ya mera kaam tha aur yahi meine kiya… Ab aap sabhi se neevadan hai ki aap sabhi apne apne ghar jaaye aur aaj ki dawat jo aap sabhi ka ghar par meri taraf se hai uska anand apne pariwar ka saath hasi khushi le…. Ya kaha kar meine ek baar firse haath aage kiya, kuch rays sabhi taraf nikal kar gayi aur sabhi jagah aaj sahai dawat ka intezam ho gaya….
Sabhi log ek baar firse mera samne sar jhuka kar chale gaye….
Maharaj: Aayie hum bhi ander chalte hai….
Shubham: Aap log chaliye, mei aur Siyam bus kuch shan mei vapas aate hai…. Ramida Machli ko vapas uska isthan pahucha kar aur saath hi aapke jalashaye ko fir se drust karke….
Maharaj: Jee jarur….
Iske baad mei aur Siyam vaha se gayab hua aur vaha pahuche jaha jalashaye tha….. Meine haath aage kiya toh Paani ki ek lehar uthi aur ussi mei Ramida Machli bhi aa gayi meine usse jaadu se vaha se hawa mei rok kar uske jalashaye mei jaha vo paayi jaati thi vahi pahucha diya…. Saath hi kuch rays meine unn paani mei bhi chodi jiski vajah se ya jal jo dushit ho gaya tha usse ek dum swach kar diya tha meine…..
Shubham: Chale….
Siyam: Bus itna samaye ka liya hi aaye tha kya yaha….??
Shubham: Tohh tujhe kya har jagah thrill cahaiye kya…. Thoda mera bhi soch bor ho jaata hu yaar mei ya thrill karke…. Ab shanti se chal chalte hai hum log…. Iske baad hum dono hi Mahal mei ghus gaye…. Jaha sabhi log baith kar humara hi intezar kar rahe tha….
Humare vaha pahuchne ka saath hi sabhi log khane ka liya baith gaye…. Khana behad hi laziz tha aur sabhi logo na usse behad hi chaav se khaya…. Usse badi baat Siyam ka Pariwar ka logo na behad aadar ka saath khana khilaya jo ki aur bhi jada dil khush kar gaya…. Khair Khana khane ka baad Maharaj aur baaki sabhi chale gaye apne apne kaksh mei aur rahe gaye mei aur Siyam….
Siyam: Iszy kaisi hai….???
Shubham: Khud hi puchle chalkar….
Siyam: Nahi yaar, ab mulakat swayambar mei hi hogi…..
Shubham: Acha toh fir mei bhi chalta hu…. Kisi se abhi mulakat karna jaruri hai toh usse mil leta hu….
Siyam: Thik hai…. Apna dhyan rakhna aur ya kaha kar vo gale lag gaya.
Shubham: Ary Ary tu bada bhavuk ho raha hai…. Koi baat hui hai kya….???
Siyam: Nahi yaar, bus essa hi man hua gale lagane ka toh laga liya….
Shubham: Chal chal nautanki….Chal chalta hu… Parso milta hai…. Aur ya kaha kar mei gayab ho gaya aur pahucha siddha Elika ka kamre mei, jo iss samaye samne bed par laiti thi, par uski aankhe ek dum khuli thi aur vo kuch soch rahi thi…. Mei bhi behad dhere se aur chup chap uske pass jakar lait gaya aur usse dekhna laga…. Mujhe usse essa dekhta hua apni 5 minute hi hua tha ki….
Elika: Essa kya dekh rahe ho… Isse phele kabhi nahi dekha hai kya….???
Shubham: Dekha toh hai, par iss tarah gehan chintan karte hua nahi….. Vaise tumhai kaise pata chala ki mei yaha aa gaya hu….
Elika: Iss baar vo bhi meri taraf ghumte hua, tabhi jab tum kamre mei aaye tha….
Shubham: Kuch bhi, agar tumhai phele hi pata chal gaya tha toh tum boli kyu nahi kuch….???
Elika: Kyunki mei uss samaye kuch soch rahi thi….
Shubham: Ab fasi tum…. Tum jab soch rahi thi toh tumhai ya kaise pata chala ki mei aaya hu….
Elika: Muskurate hua, mei nahi tum bhul gaye ho ki mei Paristan ki Rani hu aur usse bhi badi baat mera ander Satrangi Shakti hai, jiski vajah se mujhe har samaye ya aabhas ho jaata hai ki mera aas pass koi White Energy ya Black Energy hai ya nahi…. Aur fir tumhari Energy itni jada hai ki isse toh koi bhi mehsoos kar sakta hai….
Shubham: OOOohhh ha ya toh mei bhul hi gaya tha….
Elika: hmmm, khair ya sab chodo aur ya batao ki tum itni jaldi mei yaha kyu aaye ho…..???
Shubham: Ha aaya hu na…. Ek khaas mehmaan ka khatma karna hai…. Mujhe laga uska khatma karne mei tumhai maza jada aayega….
Elika: Kiski baat kar rahe ho…??
Shubham: Nicaroo…. Aaj Nicaroo aur unke logo se iss duniya ko azad kar deta hai…. Vaise bhi ab Sword of Destruction rahi nahi jiski rakhwali ka liya unhe rakha gaya tha…..
Elika: Hmm tum sahi kaha rahe ho…. Aur vaise bhi vo humare liya bich bich mei badha bankar aayega isse badiya hai ki uska khel yahi ek hi baar mei puri tarah se khatam kar diya jaaye….
Shubham: Toh fir der kis baat ki…. Chalo fir chalte hai aur ya kaha kar meine Elika ka haath pakada aur hum dono gayab hokar pahuch gaye Nicaroo ki duniya mei…..
Chaliya ab aapko inki duniya aur unse judi kuch jankari de deta hu….
Nicaroo vaise toh andhera ka samrajye ka ek behad chota aur mamuli sa piyada tha….. Iska aur iske logo ka kaam keval andhera ka aakao ka liya logo ko marne aur darane ka tha…. Meine jaisa phele bataya tha ki ya log Sword of Destruction ka rakhwale tha par kuch samaye phele inhone dhoka kiya aur Sword ko galat haatho mei dena ki koshish kari par ya kamiyab nahi ho saka aur islye inhe Magical City se nikal diya gaya….
Ab baat karu jaha ya raheta hai uss jagah ki toh baat ya hai ki ya andhera ki duniya ka log hai toh jaha ya log raheta hai vaha par chaaro taraf humesha ghor andhera hi andhera raheta hai..... Yaha suraj ki roshni nahi hoti hai aur sabhi taraf bus baraf hi baraf jami hui raheti hai…. Yaha ka tapman mei humesha thandak raheti hai….
Par iss jagah ki sabse badi khasiyat ya hai ki iss jagah par ek khaas podha paya jaata hai jo puri tarah se baraf ka hi hota hai…. Dekhna mei essa lagta hai ki koi kaanch ka podha hai par asal mei vo baraf se bana hota hai…. Iss Podha ki khasiyat ya hoti hai ki ya jiss banzar jamin ka ander milta hai ya uss banzar jamin ko puri tarah se upjay kar deta hai…..
Khair vapas kahani par aate hai…. Jaise hi hum Nicaroo ki duniya mei pahucha toh vaha ka mahool aur vaha ki tayari dekh hum behad khush hua….. Kyunki Nicaroo ka sabhi log hume jaha hum utare tha uske dono taraf khade mila…. Vaha ka sabhi logo ka sar jhuka hua tha….
Elika: Toh Nicaroo na humare aane ki puri tayari kar rakhi hai…. Chalo acha hai thodi samajhdari toh hai usmei….
Shubham: Kahe nahi sakte hai…. CHalo chalkar dekhta hai ki aakhir itna logo ko humare swagat mei khada karne ka udeshya kya hai…..
Hum dono chalte hua Nicaroo ka uss bhawan mei pahuch jaate hai jaha vo Darbar mei apne sabhi logo ka saath baitha tha….. Hume ander aate dekh Nicaroo apni jagah se khada ho gaya aur apne Singhasan se utar kar humare pass pahuch gaya…..
Nicaroo: Dhanye ho bhaag humare ki aap yaha aaye…..