• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Shubham - Ek Rakshak ya Bhakshak

Rk66689

New Member
63
124
48
  1. Bhai tum tu aag lagadi sala bahut din bad aise
  2. updates padne ka moqha mila hai
  3. Pehle to sirf ganna bhai ki updates ate the aise big wale
  4. Such mein yaar bahut bahut dil khush kardiya bhai tum ne
  5. Aur jahan tak updates kaise lage ka sawal hai
  6. Bro just owsm and really enjoyed kafi interesting hote ja rahe hai bro
  7. Thanks for gaving this story to read us
  8. And thanks for today updates damaka it's really superb bro
  9. Waiting for nxt adventures
  10. And our hero training
  11. Marvaleous story bro
  12. Waiting for nxt amazing and beautiful update
 

aka3829

Prime
3,369
12,321
159
Bahut hi sandar aur jabardast update bhai. Subham dhire 2 tayyar ho raha he apni aage ki ladayi ke liye. Ye gaddar khun he india me jisane unit banane se pehle hi usaki saari jankari dushman ko dedi. Aur kaun he ye ladki jo subham ko mili he inhi sab sawalo ke sath.
Waiting 4 next update
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Rk66689

New Member
63
124
48
Are bhai story dhamakedar chalre pls updates daily dedo daily ek he sahi par diyo bhai tumhare kahani read nahi karo to aisa lag raha hai k mahino ho gaye jaisa pls bro think it it's fabulous and wonderful story
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Shubham

Member
358
2,151
123
Update 36
Pichle update tak aapna dekha ki kaisa Shubham Glemo sa baat karta hai, par vo uski madat ka liya mana kar deta hai, vahi dusri taraf sabhi log subha sa dhyan lagana ki baat par tayar ho jaate hai…… Agli subha jab Shubham vaha jaata hai, to usse vo unknown ladki fir sa milti hai……..

Ab Aage:


Shubham: Jab meina kuch der mehanat karna ka baad samna dekha to mujhe bhut ascharya hua……. Kyunki mera samna vo ladki dhyan mei thi, par iss samay vo hawa mei baithi thi, uska sharir ka koi hisa dharti sa nahi laga hua tha……. Abhi mei kuch kahata usse phele hi…..

Ladki: Essa mat dekho……..

Shubham: Ya awaj sun kar mujhe samaj nahi aaya ki aakhir ya kaha sa aa rahi hai…….. Kyunki uss ladki na to apna honth bhi nahi hilaye tha aur abhi bhi uski aankhe to band hi thi aur aas pass koi nahi tha, mei fir bhi dekhna laga ki aakhir ya awaj kiski thi.....

Ladki: Essa apna aas pass kya dhund raha ho…….. Mei samna hi hu tumhara aur ya meri hi awaj hai…… Bus mei apna dimag sa tumhara dimak mei ya baat bhej sak rahi hu aur tumhara man ka sabhi savalo ko bhi padh sak rahi hu……

Shubham: Uski baat sunkar ek baar ka liya to mujhe vishwas nahi hua……. Meina usse bola ki tum jhuth bol rahi ho………

Ladki: Thik hai to ek kaam karo tum apna man mei kuch bhi soch lo mei tumhai abhi bata deti hu……..

Shubham: Thik hai……..(Man me) Kya pata yaar ya sach bol rahi ho……. Phir mei uska test ka liya Imosopher ka baare mei sochta hu…….

Ladki: Tum yahi soch raha ho na ki mei sahi bol rahi hu ya nahi aur saath mei hi tum abhi Imosopher ka baare mei bhi soch raha ho………

Shubham: Uska essa kahana sa mujhe sach mei jhatka laga, kyunki meina Jhiku ko mind mei thaak jhak karta to suna tha, par saath ya bhi suna tha ki vo kuch samay phele mera dimak mei raha gayi baat hi padh sakta tha, par mei uss samay kya soch raha hu vo nahi jaan sakta tha…….

Ladki: Vo ab aram sa vapas niche aakar baith jaati hai aur phir aankhe khol kar kahati hai……… Kyu tumna dhyan laga liya tha kya……
huh.png


Shubham: Uski baat sunkar mujhe thodi sharmindagi mehsoos hoti hai, kyunki meina jiss andaz mei kaha tha ki ya to mei abhi kar dunga, par mei kar nahi saka tha aur uski vajah sa mera sir jhuk gaya tha sharmindagi sa………..

Ladki: Mera sharmindagi sa jhuka sir ko dekh kar, ary essa sharmindagi sa apna sir mat jhukao……. Meina tumhai ya baat sharminda karna ka liya nahi kahi hai………Dhyan lagana aur apna ko shant karna mei logo ko saalo lag jaate hai, phele din koi bhi apna upar control nahi kar sakta hai…….. Tum na bus ya roj karoge to tum bhi samajh jaaoga……..

Shubham: Thik hai…….. Vasa tum ya hawa mei kaisa ud gayi thi…….. Kya ya bhi koi magic hai aur jo tum mera dimak mei bol rahi thi vo kya hai……….
huh.png
?


Ladki: Mei hawa mei uth gayi aur jo bola vo magic h nahi hai, bus vo control hai khudpar………… Agar tum apna dimak ko control kar sakoge, to tum bhi ya sabhi chije kar sakoge………

Shubham: Kya dimak sa……
huh.png
Par ya kaisa ho sakta hai…… Ya sab kuch to tab hi hota hai jab aapka pass koi Shakti ho……… Mei itna pagal nahi hu…… Agar tum nahi batana cahati ho to mat batao………


Ladki: Mei sach bol rahi hu……. Mera pass koi magic nahi hai aur tumhai batana mei mera kya jaayega…….. Meri magic ko tum to mujhc cheen nahi sakta ho…….. Vasa tumhai kya lagta hai ki dimak mei magic nahi hai aur jo jaadugar hota hai, vo sab bus apna Shakti ki vajah sa magic kar sakta hai…….

ShubhamL: Ha……

Ladki: Tum galat soch raha ho……. Koi bhi jadugar apna jaadu tab hi kar sakta hai, jab uska man shaant ho, vo apna sharir
par control kar saka…… Yadi jadugar khud par aur dimak par control nahi kar saka, to koi jaadugar kabhi bhi apna jaadu ko control nahi kar sakta hai….. Vo apna magic sa kuch karna cahaega aur hoga kuch……. Vasa ek baat aur jaan lo, agar tum sahi sa dimak ko control karlo to tum bhut Shakti shaali ho jaaoga……


SHubham: Yaar mujhe na kuch samaj nahi aa raha hai….. Essa kaisa ho sakta hai…….

Ladki: Chalo tum mujhpr vishwas nahi karo, par kya tum Mariana aur AS par vishwas karta ho na……. to aaj jab training jaaoga to Mariana Madam sa puch lena, jo meina kaha hai vo sach hai ki nahi…….. Mei tumhai kal yahi milungi subha……. Agar meina kuch bhi galat kaha hoga to mei jo tum kahoga vo karungi…….

SHubham: Ary nahi mera matlab ya nahi tha…… Mei to bus…….

Ladki: Ismei koi burai nahi hai….. Mujhe acha laga ki koi essa bhi hai jo kissi ki bhi baat essa hi nahi maan leta hai……. Chalo ab mei jaati hu aur yaha kaha kar vo vaha sa gayab ho jaati hai…….

Shuham: Ary yaar ya kaha gayab ho gai……. Sala aaj phir uska naam nahi puch saka…….. Chal koi nahi yaar kal puch lunga kal bhi to aayegi vo yaha……. Mei bhi bus yahi sab sochta hu nikal gya training ka liya, kyunki mei tayar hokar hi aaya tha training ka liya…….. Jab mei vaha pahucha to vaha already sabhi log aa gaye tha…….. Par abhi madam nahi aaye thi………

Willy: Kaha gaya tha tu subha subha……..
huh.png
?


SHubham: Ary kuch nahi aaj subha jab jaldi uth gaya to nind nahi aayi to bus essa hi ghum raha tha yahi kahi……. Vasa aaj practice nahi start karni hai kya, chal……

Mariana: Ruko….. Aaj sa tum sabhi ki training ka saath saath kuch classes bhi hogi…….. aaj sa har dopahar mei tumhari do classes lagegi…….. Jismei tum sabhi ko ek to iss duniya mei alag alag tarah ka jaadu aur unse related baate hogi aur dusri class mei tumhai aaj sa alag alag raajye ka baare mei bataya jaayega……. Iska reason tum samajh jaaoga……..

Tayon, Siyam kyuki tum aaj pheli baar iss training room mei aaye ho, islye mei tumhai bata deti hu ki mera saath ka safar bhut khatarnak hoga……. Jab tumhai laga ki tumhara sharir isse aage nahi kar sakta hai to tum ruk sakta ho…… Yaha sabhi ko ya rule bataya hua hai……. Ya tum decide karlo ki tum inka saath hi training karoga ya phir suru sa ……… Phir trainer sa aaj sa sabhi ko training ka naye tarika sa training suru kara do…….. Aur vo vaha sa chali jaati hai…….

Hum sabhi ki ya baat sunkar ki training ka naye tarika use karna ki permission mil gayi hai, matlab ab humara trainer huma kacha khaa jaayega,,,,,,,,,,( Iska karan ya hai ki usna phele hi bola tha ki abhi to bus training ki jhalak hai…….. Jaisa jaisa aage badoge tumhai samaj aa jaayega training kya hoti hai aur mei kaisa tum logo ko kacha khaa jaunga,…….)

Trainer: Chalo aaj sa tum sabhi mera saath fas gaye ho……. Aaj tum sabhi sabsa phele warm up ho jao, phir hum suru karta hai…….

Hum sabhi uski baat sunkar apna aapko warm up karna laga……… Kuch der ka baad sabhi log vapas jab vaha pahucha……..

Trainer: Shubham tumhai madam na jo parso suru karaya tha bus vahi karo….. Aur baaki sabhi aaj tum sabhi ka grip ki tayari suru ho rahi hai….. Iska liya tumhari kuch drills hai……. Vo sabhi ko ek ball pass karta hai aur unhe bolta hai ki tumhai ya ball kamsa kam 300 baar right hand sa aur 300 baar left hand sa press karna hai……….(Aapko bata du ya ball ek essa material sa bana hai jisko press karna ka liya aadmi ko bhut takat ki jarurat hoti hai……. Iss ball ko press karna koi majak ka kaam nahi hai….) Aur ha agar tum sabhi mei sa koi bhi bich mei ruka to vo suru sa suru karega…....

Sabhi log lag gaye apna kaam mei…. Par unki halat bata rahi thi ki aaj unki drill bhut khatarnak ho rahi hai…. Unhe ek baar press karna ka baad dusri baar press karna mei bhut mushkil ho rahi thi, kyunki usko press karna ka liya apna figure ki puri taqat lagana pad rahi hi thi jiska chalta unki ungali hi dukhna lagi thi…….

Yaha ki training session chalta raha aur uska baad humari class ka time ho gaya……. Phele class to humari lagi thi vo lagi alag alag raajyo ka jaana ka baare mei….. Jisko padhana aaye sir na aakar ek raajye ka naam bataya aur saath hi uski khaasiyat bhi….. Unhona vaha ka sabhi mausam aur unki sena aur unki kamiyo aur baaki bhi bhut si baate batayi…… Sabhi logo ko ya sab kuch bhut bor kar raha tha, uska karan tha ki sabhi training mei thaka hua tha…… Par mujhe ek alag hi maja aa raha tha, kyunki meina kabhi essa raajye ka baare mei na to suna tha aur na hi mei kabhi kahi gaya tha, islye ya sab mera liya ek naya anubhav tha………

Agli class mei humara lecture lena aayi khud Madam…. Unko class mei dekh kar jo sabhi abhi bench par teda meda baitha hua tha, koi aage gira hua tha, koi picha….. Sab ek dum sa siddha baith gaye……. Sab ka dhyan ek baar pir sa class ki taraf bad gaya tha…….. yaha Madam na suruvat kari magic of brain sa…..

Madam na hum sabhi ko aaj ya samjhaya ki humara dimak ki Shakti kya hai….. Par unki baate sukar mujhe aaj subha hui meri conversation uss ladki ka saath yaad aa gayi….. Usna bhi yahi bola tha, jo sabhi kuch madam na aaj ki class mei huma apna dimak ka baare mei bataya tha….. Iska matlab vo sach bol rahi thi… Yaar ab to usse sikhna hoga ya sab kuch….

Hum sabhi class khatam karna apna room mei pahucha aur vaha kuch idhar udhar ki baate karta raha….

Nisham: Yaar Jhiku kya sach mei hum dimak ki Shakti sa bhi magic kar sakta hai kyaa….
huh.png


Jhiku: Yar tujhe kya lagta hai Madam huma kuch galat padayegi kya……… Vasa ha ya sach hai ki hum sabhi apna dimak sa bhut kuch kar sakta hai……. Vasa kuch log kahata hai ki jaadu aur jaadugar dono bekar hai agar vo dimak ko nahi control kar sakta hai to…….

Avantika: Par mei nahi manti hu ki koi bhi essa hi dimak ko control karka hawa mei udna laga ya apna dimak sa ek dusra ko sampark kar saka……

Iszy and Siyam: Mei bhi nahi manti hu yaar…… Vasa bhi essa hota to Jhiku bhi ya sab kar sakta hota na….. Kyunki vo bhi to dimak ko control kar sakta hai…….

SHubham: Par mei manta hu, kyunki meina apni aankho sa ya sab hota hua dekha hai……

Willy: Tuna kaha dekha aur kisse dekha…..
huh.png


Shubham: Mei aaj subha hi dekha hai yaar ek ladki ko essa karta hua…..

Nancy: Kun hai vo ladki……
huh.png


Shubham: Mujhe nahi pata yaar, bus mei jab subha ghumna gaya tha na bus ussi samay dekha tha……. Vo kal phir aayegi to tum sabhi bhi chalna mei tumhai hi milwa dunga….. Par Jhiku tu essa kyu nahi kar sakta hai……
huh.png


Jhiku: Kyunki mei abhi apna dimak aur sharir mei sahi sa santulan nahi bana saka hu…… Mei apna sharir aur dimak ko apna control mei ek saath nahi kar sakta hu….

Essa hi yaha aur kuch baate hui, uska baad sabhi log jaakar so gaye subha ka liyaa………

Agle din sabhi log samey sa uth gaye aur hum aaj nikal gaye ussi jagah jaha vo ladki mujhe milna vali thi……… Jab hum vaha pahucha to vo phele sa hi vaha maujood thi, par aaj bhi uski najar bus uss Suraj ki taraf thi jo apna din ki suruvat kar raha tha…….. Uska face Suraj ki taraf dekhna ka karan huamri taraf uski peeth ho rakhi thi islye abhi usse uska face koi dekh na saka tha……. Kuch samay baad jab Suraj ki laalima kam hoti hai, to vo bhi vaha sa hanta lagti hai aur jab vo mud kar humari taraf dekhti hai…….

Sab: Jaisa hi unhona uska face ki taraf dekha vo sab bus chup chap ho gaye aur apna ek pair mood kar aur sir jhuka kar uska samna baith gaye……. Un sabhi ko essa karta hua dekh kar mujhe to jaisa kuch samajh hi nahi aaya…….. Mei bus kabhi usse aur kabhi unhe dekh raha tha………. Mujhe kya karna cahaiye aur kya nahi ya samaj nahi aa raha tha, par sabhi ko jhuka dekh kar mei bhi jhuk gaya ………


Chaliye dosto aaj yahi ruk jaate hai…… Aage jaana ka liya bana raha aapki apni story par……… Aapka comments ka intyezar rahega…….

Stay Tunned…….
 

Shubham

Member
358
2,151
123
Update 37

Pichle update tak aapna dekha ki kaisa vo ladki Shubham ko dimak ki takat ka baare mei batati hai, par Shubham ko uski baat par bharosa nahi hota hai….. Yahi baat par Madam ka muh sa sunkar usko bharosa hota hai…..

Ab Aage……..


Agle din jab hum subha vapas uss jagah par pahucha to vo ladki vaha aaj bhi suraj ko nikalta hua dekh rahi thi…….. Jab vo humari taraf mudi to usko dekh sabhi ek pair par baith gaye aur apna sir uska samna jhuka liya………… Par kisi ka muh sa ek awaj nahi nikali… Meina bhi sabhi ki dekha dekh essa hi kara ……..

Ladki: Ary yaar tum sab essa kyu jhuka hua ho…….
huh.png
?


Uski iss baat ka javan kissi na nahi diya aur sabhi uska samna bus essa hi baitha raha jaisa unhona koi bhoot dekh liya ho………

Ladki: Acha chalo hum aadesh deta hai ki tum sab ab khada ho jaao….. Hume tumhara aadar Kabul hai…..

Uski ya baat sunkar sabhi apni jagah khada ho gaye, par abhi bhi kissi ka sir upar nahi utha tha….. Abhi bhi sabhi bus sir jhukaye khada tha…….

Shubham: Mujhe to kuch samaj hi nahi aa raha tha ki aakhir ya ho kya raha hai……… Na koi uska aadar mei kuch bola aur na hi koi uska samna dekh raha hai…. Aakhir ya hai kun aur essa kya hai ki ya sabhi usse dar raha hai…….

Ladki: Vo chalta hua aage jaati hai aur Willy ka samna jaakar rukti hai aur uska kaan pakad kar usse bolti hai…….. Acha to ab mera bhai bhi mujhc baat nahi karega……. Meina to socha tha ki mera bhai mujhe dekh kar aakar mera gala lag jaayega, par yaha to tum mujhe essa pesh aa raha ho jaisa tumna koi bhut bada galat kaam kara hai…….
huh.png
?


Uss ladki ki ya baat sun kar sabhi ka cehara ek dum blank ho gaye…. Kissi ko ya nahi pata tha ki vo ladki Willy ki bhen hai…..

Willy: Mei apna sir yaha aadar aur saman mei, iss duniya ki sabsa khaas Rajkumari ka liya jhukaya hai……… Aur vasa bhi agar meri bhen ko mujhc milna hota na to vo mujhc essa nahi milti…….. Usse yaha aaye hua ek mahina ho gaya, vo mera par najar rakha hua hai par kabhi mujhc aakar na mili aur na hi mujhe koi sandesh bheja…….. To iska ek hi matlab hai aap yaha ek Rajkumari ki ehsiyat sa aayi hai aur unka aadar karna mujhe hoga hi…..

Lakdi: Ary wah mera bhai to bhut bada aur samajhdar bhi ho gaya hai…… vasa jab tumhai pata tha ki mei tujpar najar rakh rahi hu to tu bhi to aakar mujhc mil sakta tha…….. Ya mei bhi jaanti hu ki tu ya acha sa jaanta tha ki mei kaha rehati hu aur tera teen log mera picha saye ki tarah laga hua hai, jo tujhe har pal ki khabar deta hai……. Ab bol……..

Iss bar Willy ka pass uss ladki ka saval ka javab nahi tha……..

Ladki: Chal ab bhi gussa hi rahega ya fir apni bhen ka gala bhi lagega…….. Kitna samay baad dekh rahi hu tujhe aur tu hai ki shikayat ka pitara lekar baitha hai………… Vasa na tu sach mei ab ek yodha bana ka layak ho gaya hai…….

Uski ya baat sunta hi Willy bhi uska gala lag jaata hai aur uski aankh mei kuch boond paani aa jata hai…….

Willy: DIdi aaj kitna din baad aapko dekha hai……

Ladki: Teri aadat aaj bhi nahi badali na…… Bachpan mei bhi ladkiyo ki tarah rota tha aur aaj bhi essa hi rota hai….

Ya baat sunkar jaha sabhi ka cehara par hassi aa jati hai, vahi Willy ko khij aa jati hai……

Iska baad vo ladki chalti hui Nancy ka pass rukti hai…….

Ladki: Kyu Rajkumari Arrington…. Kya aap apni dost sa essa milti hai….. Kya dosto ka bich raajye bade hota hai……. Mujhe to laga tha meri dost mujhe dekhta hi chikhegi, chilaayegi……….. Mujhc itna samay na milna ka karan puchegi………

Nancy: Uski yaa baat sunkar vo kuch kehati nahi hai, bus siddha uska gala lag jaati hai……. Tujhe to mei baad mei dekh lungi……

Iska baad vo Ladki sabhi ka pass jaakar milti hai aur sabhi sa essa milti hai jaisa vo saalo sa baakiyo ko janti hai……..Aakhir mei vo mera pass aakar rukti hai….. Uss samay mera cehara jhuka hua tha…….

Ladki: Kyu bhut saare saval hai na tumhara dimak mei aaj fir……
huh.png


Shubham: Ha….. Bus un sabhi ka javab ek hai ya bhi pata hai aur vo yahi hai ki aap kun hai aur kaha sa hai……..

Willy : Ruk mei batata hu…….

Ladki: Nahi….. Ya javab mei hi dungi……. Mera naam hai Elika….. Mei ek Rajkumari hu…….

Shubham: Ha ya mei samaj gaya hu ki aap ek Rajkumari hai, kyunki aap Rajkumar Wilson ki bhen aur Rajkumari Nancy ki dost hai…… Par kya aap bata sakti hai aap kaha ki Rajkumari hai……

( Friends ab iss uknown Ladki ko Elika hi likhunga……..)

Elika: Chalo mei tumhai kuch dikhati hu….. Shayad usse tumhai pata chal jaaye ki mei kaha sa hu,……. Itna kaha kar unhona apni aankhe band kar di aur kuch der mei vaha ek roshni unka upar padhi aur kuch second mei hi vo gayab bhi ho gayi….. Samna dekhna par jo ladki abhi kuch der phele khadi thi mera samna vo ab nahi thi…. Uska andar kaafi badlav dekha jaa sakta tha…….

Vo abhi mera samna ek dum White dress mei khadi thi…. Uska sir par ek crown (taaj) bhi tha aur saath hi uska do pankh nikal kar aa gaye tha aur uska haath mei abhi ek stick thi…. Sabsa badi baat uska rang essa ho gaya tha ki jaisa abhi kissi dhood mei sa naha kar nikali ho……. Uski khubsurati ko define karna ka liya bus itna kaha sakta hu ki aap sabna jaisa kisse kahaniyo mei suna hoga ki pariya hoti hai….. Bus vo unn sabhi pariyo ki Rajkumari hi lag rahi thi…….

Elika: Lo ab batao kya abhi bhi tum mei kaha sa hu puchna cahata ho……
huh.png


SHubham: Ha……. Mujhe lagta hai ki aap Pariyo ki Rajkumari hai….. Par shayad ya sach nahi kyunki Pariya to hoti hi nahi hai na…….

Elika: Tum sach soch raha ho……. Mei Pariyo ka desh Paristan ya kaha lo, Pari Lok ki Rajkumari hu…… Meri maa ka naam hai Maharani Shasha……..( Ya vahi hai jiska jikar kuch update phele Jadugar Pilaso na kara tha…..)

Shubham: Ladki ka muh sa ya sunkar mera muh bus ek baar fir khula raha gaya tha…….. Mujhe yakin nahi ho raha tha ki iss duniya mei Pariya sach mei hoti hai….. Meina jab sabki taraf dekha to sabka cehara yahi bata raha tha ki ya ladki sach bol rahi hai…….

Elika: Kya hua aaj tumna ek hi baar mei maan liya ki mei sach bol rahi hu…….
huh.png
Kal to tum maana ko tayar nahi tha……..


Shubham: Ha maan liya aap Rajkumari hai Paristan ki….. Kal mujhc bhul ho gayi thi….. Jiska ka liya aap cahaiye to mujhe saja de sakti hai……

Elika: Sochlo saja kuch bhi ho sakti hai…….
huh.png


Shubham: Mei apni taraf sa koshish karunga ki mei uss saja ko bhugat saku……

Elika: Thik hai to phir….. Saja bhi bata dungi……

Nancy: Vasa tum yaha kya kar rahi ho…….
huh.png
? Mujhe nahi lagta hai ki tumhai kisi bhi jaadu ko sikhna ya usse control karna ka liya yaha aana pade…… Kyunki tum khud ek jaadu ka bhandar ho……


Elika: Essi koi baat nahi hai……. Iss duniya mei koi bhi nahi hai jo sab kuch kar saka…… Abhi essa bhut kuch hai jo mei sikhana cahati hu…. Aur vasa bhi mujhe mera bhai ki yaad yaha khich laayi……… Aur fir mamaji aur mamiji na mujhe yaha bula liya ……..

Willy: Mamaji…..
huh.png
Par ya kaisa ho sakta hai, humara mamaji to hai hi nahi na…….


Elika: Ha Willy…… AS hi humara mamaji hai aur Mariana Madam humari mamiji hai……. Saalo phele mausi ( Willy’s Mom) aur mamaji ka bich kuch baate ho gayi thi jiska chalta un dono ka bich dhuri bad gayi jiski vajah sa na Mausi na tumhai aur Cherry(Willy's Youger Sister) ko kuch nahi bataya…….. Aur na AS ko pata hai ki tum unki hi bhen ka beta ho……. Samjha mera chota bhai……

Elika : Acha sab baate chodo, baaki sab baate hum aram sa baith kar karega…….. Phil hal tumhara dost ko saja de deti hu…….

SHubham tumhari saja ya hai ki tumhai mujhc dosti karni hogi…. Agar manjur hai to ha bolo ya na……
huh.png


Shubham: Uski ya baat sunkar mujhe jhatka laga ki Pariyo ki Rajkumari mujhc dosti karna cahati hai…… Par mujhe ek dum sa phir vahi Kairo aur Prince Tareham ki baate yaad aa gayi aur mei apni aur bejati nahi karana cahata tha…….. Islye meina bus usko saaf saaf bol diya…….

Shubham: Rajkumari mei ek aam insan hu koi khaas nahi aur na hi itna bada ki aapka barabar ka hu…..Mei aapsa dosti nahi kar sakta hu…. Aur mei ya kaha kar vaha sa chala gaya……

Vaha maujod sabhi log meri ya baat sunkar chakra gaye…… Jiss Rajkumari ki dosti ka liya ya duniya kuch bhi karna ko tayar hai, aaj meina uss Rajkumari ki dosti ko mana kar diya tha…….

Marium: (man me) Pata nahi kya samajhta hai khudko……. Isna Rajkumari Elika ki dosti ko thukra kar acha nahi kara hai…….

Willy: Ruko mei usko samjhata hu,……
huh.png
?


Elika: Nahi Willy…….. Ya samay usse akela chod do…. Iss samay vo apna aap sa lad raha hai….. Usko iss samay kissi ka saath ki nahi khudko samajhna ki jarurat hai…… Vasa bhi jindagi mei har jagah tum uska saath nahi khada raha sakta ho……. Ya uski mansik kashmakash hai, jisse usse khud nikalna do…… Iss duniya mei usko aage bhut saare essa faisla lena hai, jaha koi uski madad nahi kar sakta hai…….

Willy: Par vo dost hai mera……..

Elika: Bharosa rakho vo khudko kuch nahi karega……Ya samay sirf usse khudka liya de do….. Uska aaj ka faisla par uska bhavisha kaisa hoga iska faisla hoga……… Chalo ab tum sab bhi apni training ka liya nikal jao, tumhari training ka time ho gaya hai…….. Sabhi log Rajkumari ki baat sunkar nikal jaate hai, par koi kuch kahata nahi…..

Chaliya dosto aaj hum bhi yahi ruk jaate hai………. Aage jaana ka liya bana raha aapki apni kahani par…….. Aapka comments ka intezar rahega……..

Stay Tunned………….
 

Shubham

Member
358
2,151
123
Update 38

Pichle update tak aapna dekha ki kaisa Shubham ka samna Rajkumari Elika jo pariyo ki rajkumari hai uska baare mei pata chala aur saath hi saath unhona usse dosti ka prastav bhi rakha, par jisse usna thukra diya aur vaha sa chala gaya……

Ab Aage……..

Sabhi log training centre mei pahuch jaate hai, par aaj kissi ka bhi man nahi tha…… Un sabhi ko apna dost ko khona ka dar tha….. Kuch der mei vaha trainer aata hai aur baaki sabhi ko exercise karna ko kahata hai….. Abhi vo sab upna warmup karka kal ki tarah training suru karna ki aur bad raha tha ki vaha Mariana aati hai……… Sabhi ko training karta dekhti, par uski aankhe kissi ko dhund rahi thi……. Jab usko Shubham kahi nahi dikhta hai……..

Mariana: Aaj Shubham training karna nahi aaya…….
huh.png
?


Iss saval ko sunkar sabhi vahi ruk jaate hai aur kissi ko samaj nahi aa raha hai ki kun kya javab de……… Sabhi ek dusra ka muh dekh raha tha ki kya javab de……. Iss musibat mei samna aata hai Siyam……

Siyam: Madam aaj subha usko kuch acha nahi lag raha tha islye usna aaj nahi aana ka faisla kara aur vo kaha raha tha ki vo kal sa fir lagatar aana lagega……

Mariana: Uski tabyat to thik hai na…….

Siyam : Jee madam vo swasth hai, bus aaj kuch man nahi tha shayad uska……..

Mariana: Koi baat nahi vasa bhi vo kuch jaada hi mehanat kar raha hai…… Chalo tum sabhi apni training continue karo aur uska pura hona par chale jaana…… Kal sa classes fir continue karega……. Itna kaha kar vo vaha sa chali jaati hai……. Aur saath hi trainer bhi nikal jaata hai…

Sabhi log Siyam ko dhanyawad karta hai ki usna Shubham ki baat ka liya jhuth bhi nahi bola aur saath hi kissi bhi tarah ki aur baat bhi nahi badi……. Kheir uska baad sabhi log apni routine mei lag jaate hai…… Essa hi sabhi apna time sa vapas room nikal jaate hai par jab vo vaha pahuchta hai to vaha Shubham nahi hota hai………

Idhar dusri taraf SHubham subha vaha sa nikal kar bus ek rasta par chalta jaata hai aur aage badta hai, par usse nahi pata tha ki vo kaha jaa raha hai…… Vo bus apna man mei uth raha khayalo sa hi lade jaa raha tha……( Yaha mei aap sabhi ko bata du ki Shubham yaha itna pareshan islye hai kyunki uska beeta hu kal aur aaj mei jo parivartan aa raha hai vo un sabhi ko itni jaldi accept nahi kar sak raha hai…… aur saath hi vo baaki logo ki nafrat ka shabd uska manobal aur kam kar raha hai………) Vo chalta chalta dhur pahuch gaya aur vaha pada ek pathar par jaakar baith gaya……. Uska aas pass ka environment mei ek dum khamosi thi aur saath hi vo jagah na jaada pedo sa ghiri thi aur na hi vaha jaada aabadi thi…….. Vo bus vaha baitha baitha sochta raha ki usse kya karna cahaiye…….. Kya usse sabhi ka saath dost ki tarah rehana cahaiye ya fir sabsa alag hokar…….. Iss hi udher bun mei kab samay beeta usse pata nahi chala aur shyam ho gayi……….

Shubham: Mei abhi bhi faisla nahi le saka tha aur iska chalta bus mei abhi sabhi sa dhur rehana cahata tha……… Islye meina decide kar liya ki mei bus sabki najar sa dhur rahunga taaki koi mujhe kuch kaha nahi saka……. Itna soch kar vo vapas school ki taraf nikal gaya aur jab vo school pahuch to uss samay raat ho gayi thi aur vaha abhi bhi sabhi log baitha hua tha par vo unse kuch nahi bola aur na kissi ko kuch kahana ya puchna ka mauka diya aur siddha room mei jaakar so gaya……..

Agle din sabhi log apna samay sa uth kar vapas dhyan lagana ka liya vaha pahucha, par aaj Shubham saath nahi tha………

Vaha Elika phele sa hi khadi thi, usna vaha Shubham ko na dekh kar usse thodi nirasha hui par usna iss baat ko kissi ko jataya nahi aur saath hi un sabhi sab hi dhyan lagana ko kaha diya………

Willy: Aapko nahi lagta hai ki huma SHubham sa baat karni cahaiye…….
huh.png
?


Elika: Willy hum usse kuch nahi kahega……. Ya faisla usse karna do……… Vasa bhi yadi vo mujhc dosti na karna cahaiye to na kara par baaki tum sabhi to saath ho fir tum sabhi sa narajgi kyu……….
huh.png


Willy: Elika ki baat ka koi javab nahi tha uska pass…….

Elika: Willy ya saval dosti ki ha ya na ka nahi hai, ya saval hai khudko khudki najar mei dekhna ka…….. Vo kabhi bhi tum sabhi mei khudko tumhara barabar nahi samajhta tha…………

Uska baad koi kuch nahi bola aur sab bus dhyan lagana laga aur Elika un sabhi ka dimak ko khudsa jodh kar unn sabhi ko sahi sa dhyan lagana mei madat karna lagi…….. Issi tarah vaha ka samay bhi beeta aur vo training ground pahucha, par vaha SHubham already tha aur vo training suru kar chukka tha…… Usna kissi sa kuch nahi kaha aur kissi na usse kuch nahi kaha………… Shyam ko classes ka baad bhi vo kissi sa baat karna ko nahi ruka aur vaha sa siddha nikal kar library mei aa gaya jaha Elika phele sa hi maujood thi, par Shubham na usse nahi dekha tha aur vo vaha bus ek koi bhi kitab utha ka baith gaya aur aur apna antar man sa ladna laga……… Ya ab uska routine ban gaya tha..... Vo Library mei der raat tak baitha rehata tha.........

Samay beeta gaya aur Aaj ek mahina sa jaada ka samay ho gaya tha uss baat ko, Shubham aur baakiyo ka bich iss samay koi baat nahi hui, bus SHubham apni training, classes karta aur fir sa gayab aur raat ko aata jab tak lag bhag sab so jaate sivaye Iszy aur Willy ka……. Vo dono apna karma mei essa dikhata tha ki vo so gaye hai par jab tak unka kaano mei Shubham ka kamra ka Khulna aur band karna ki awaj nahi aati thi tab tak vo dono sota nahi tha………. Par iss bich Siyam aur Tayon Iszy aur Nancy ka bhut karib aa chukka tha…….. Par abhi bhi baat dosti sa aage nahi badi thi……

Vahi dusri taraf baaki sabhi ko bhi ya pata chal gaya tha ki Shubham unn sabhi logo sa kata kata rehata tha……… Mariana na ek do baar usse pucha bhi ki kya hua hai, jiska javab mei vo bus yahi kehata tha ki vo thak jaata hai training karka aur koi baat nahi hai.,….. Par usko ya baat sahi nahi lagi, par usna usse fir nahi pucha…….

Mariana: Par ek din usna Willy sa pucha……
huh.png


Willy : Uska javab mei usna vaha hui saari baat Madam ko bata di, jisse Mariana na Elika sa baat karna ka faisla liya…….

Mariana: Elika ya tum kya kar rahi ho……..
huh.png
(Aaj uski awaj mei ek gussa jaisa tha…….)


Elika: Usse nahi pata tha ki Mariana ko sab kuch pata chal gaya hai,islye ussna bhut sidhi sa javab diya ki kuch nahi, mei to apni Shakti ka abhyas kar rahi hu……..

Mariana: Mei iski baat nahi kar rahi hu…….Mei tumsa Shubham ka baare mei baat kar rahi hu,.,….
huh.png


Elika: Acha to aapko bhi pata chal gaya hai….. Mujhe laga tha ki aap abhi ki baat kar rahi hai…….. Uska baad Elika Mariana sa saari baat karti hai aur uska essa karna ka karan bhi usko samjhati hai………… Yahi sab baat AS bhi sun raha hota hai unka picha khada hokar……..

Mariana: Uska man ko par abhi bhi shanti nahi mili thi Elika ki baat sunkar…….. Aur vo usko bolti hai ki iss baat ko usse kissi aur tarah sa bhi samjhaya jaa sakta hai na……….

Jiska javab mei Elika ka kuch kahana sa phele hi AS bolta hai…….

AS: Mariana isna jo kara hai vo sahi hai…… Abhi usko samjhana ka ya sabsa badiya tarika hai, par bus huma uska dhyan rakhna hoga aur iska liya uska picha kuch logo ko lagana hoga……..

Elika: Uski chinta mat kara, kyunki uska picha already kaafi saare log laga hua hai……… Vo saye ki tarah uska picha karta hai vo kahi bhi jaaye……. Humari najar uska upar humesha rahegi…….

Par iss baat ka pata baaki group ko bhi lag jaata hai aur unmei sa kaafi log Shubham ko pareshan karna lagta hai, par vo kissi sa kuch nahi kehata hai…….. Par kuch uska dushman vo iss baat ka fayda uthana ka sochta hai…….

Kairo: Ya sahi hua hai, ab aaya hai uth pahad ka niche……… Ab mei uska shikar bhi karunga aur uska saara naam bhi Prince of Tareham par aayega……… Aur vo vaha kuch yojana banata hai aur PT ( Aage sa Price of Tareham ko PT likhunga) ka pass jaata hai……..

PT: Iss samay ya ussi hi ladki ka saath apna kamra mei hota hai, jo inko Jashan mei mili thi aur uska saath baate kar raha tha……. Tabhi vaha Kairo ki entry hoti hai…….

Kairo: PT mera pass aapka liya ek khush kar dena vali khabar hai………

PT: Essi kya khabar hai yar…… Batao jara…….

Kairo: Shayad aapko pata nahi hai ki SHubham iss samay apna sabhi group sa alag ho chukka hai…….. Mera hisab sa ya sabsa badiya samay hai usse uski kari hui bejjati ka badla lena ka………

PT: Kya khabar sunai hai……. Ab aayega maja…….. Par tumna kuch plan kar rakha hoga vo bhi bata do……..

Kairo: Meina bhut kuch socha hai……. Bus aap saath hai to ab jaldi hi uska jeevan ka antim samay aa jayega……..

PT: Par tum ya karoga kaisa ……Hume bhi batao…………
huh.png
?


Kairo: Thik hai, par mei aapko akele mei hi bataunga……….. Aur vo vaha maujood ladki ko jaana ka liya kehata hai……

Ladki: Vo vaha sa nikal jaati hai……..

Uska baad kuch kuch plan Kairo aur PT banata hai jiska pata huma aage chalega…….. In sabhi chijo mei samay beeta gaya aur Shubham Apni training mei puri mehanat karta raha aur aaj vo bhut aage bad gaya tha sabhi sa training mei….. Par abhi bhi unka bich kuch nahi badla…… Par ek din kuch essa hua jiska kissi na nahi socha tha…….

Kairo aur PT ka plan bana lena ka karib 2 hafta baad ek raat SHubham hostel nahi pahucha……… Willy aur Iszy har roj ki tarah uska intezar kar raha tha, par aaj raat ka karib 2 bajne ko aaye tha par SHubham abhi tak nahi aaya tha…….. Dono hi alag alag samay mei nikal kar dekh chukka tha ki SHubham aa gaya ho aur unhe pata nahi laga ho, par essa nahi hua, kyunki vo abhi nahi aaya tha…….. Un dono ko intezar karta hua kab nind aa gayi pata nahi chala, par subha jab vo utha to unhona sabsa phele Shubham ka darwaja ko hi dekha par vaha unhe nirasha hi hui par fir bhi vo man maar kar baaki sabhi ka saath chala gaye……..

Aaj vaha dhyan lagata samay bhi Willy aur Iszy ka man nahi lag raha tha, par fir bhi vo kuch nahi bola aur bus apna samay par training ka liya chala gaye……. Par training room mei bhi unhe Shubham nahi mila……. Uska na aana sa Willy aur Iszy ka cehara par chinta ki lakir banana lagi thi…….Mariana na bhi iss baat ko notice kara ki SHubham nahi aaya hai aur un sabhi ko ya baat kuch kuch khatakna lagi, kyunki jab sa iss sabhi ka bich baat band hui hai uss din sa lekar aaj sa phele tak SHubham na ek bhi din chuti nahi kari hai, ulta jiss din sabki chuti hoti thi uss din vo jada mehanat karta tha……..

Willy aur Iszy usko lekar pareshan ho utha….. Un dono na apni pareshani baaki sabhi ko bhi batayi jiski vajah sa sabko chinta hona lagi……… Iss baat ko karib ek week ho gaya, par iss pura ek week mei kissi na bhi SHubham ko nahi dekha tha……. AS, Mariana, Pilaso, Shasha, aur Elika sabhi ko ya pata chal gaya tha ki SHubham gayab ho gaya hai par kissi ko samaj nahi aa raha tha ki achanak vo kaisa gayab ho gya aur sabsa jaada gussa mei iss baat sa Elika thi…….

Elika: Usna apna sabhi logo ko sa saari baat jaani, aur usse suna ka baad to uska gussa satva aasman par pahuch gaya…….. Usse apna logo sa ya baat pata chal gayi thi uska kidnap ho gaya hai aur uska log usko bachana ka liya kuch nahi kar saka……. Usna gussa mei un sabhi ki jaan le leni thi, par bich mei Uski ma Shasha aa gayi aur unhona usse shant kara aur sabhi ko usse dhundna ko laga diya…….. AS, Pilaso na bhi apna sabhi sabsa kaabil aur vishwas ka logo ko usko dhundna mei laga diya tha, par kissi ko kuch kamiyabi nahi mil rahi thi…….

Yahi baat Kairo aur PT ko bhi pata chal gayi Marium ki vajah sa…… Jisko sunta hi……..

PT: Acha hua vo humsa dar kar bhag gaya, varna hum usse vasa bhi gayab kar deta…….

Kairo: Par usko ya baat ka vishwas nahi hua ki SHubham vaha sa dar kar bhaga hai…… Usko bhi andesha hona laga ki kuch bura hua hai uska saath……… Par usse ya nahi pata chal raha tha ki kisna ya kaam kara aur aakhir kaha par chuapaya hai usko…… Par ya baat usna PT sa nahi kahi aur apna bhi sabhi logo ko SHubham aur uska iss dushman ko dhundna mei laga diya……..

Chaliya dosto aaj hum yahi ruk jaate hai aura age dekhta hai ki aakhir Shubham ka saath kya hua hai aur saath hi ya karna vala kun hai……….. AAp sabhi in javab ka liya bana raha aapki apni story par…….. Aapka comments ka intezar rahega………..

Stay Tuned………..
 
Top