Boht khoob yar mujhe lagta ha wo danav hero ka gulam ha tabhi to Elika ka agge jhuka ha
Bhaii kush kusy krdiya ajj toh app neUpdate 112
Ab tak ki kahani mei humne dekha ki Shubham gayab ho jaata hai par uski jagah Willy aur Kairo aate hai jaha dono ka pass hi behad takat hoti hai par dono ko ya takat uss jagah se mili jiska iss duniya mei hone ka koi pramaan nahi tha logo ki najar mei….. Vahi Draco aur Imosopher milkar firse apne kuch shaitano aur sainiko ko vapas Marium ka Kingdom par kabza karne ka liya bheta hai jaha par ek baar firse bhayankar mahool ban jaata hai…. Vaha behad kuch daav par laga hota hai jismei Marium ka kingdom aur uske liya ladne valo ka harna pakka tha par achanak vaha koi aata hai jisse dekh……
Ab Aage…
AS: Asambhav……
Indra: Asambhav
Nairana & Commandor: Asambhav……
Imosopher: Asambhav…
Draco: Asambhav……..
Bus yahi shabd tha jo sabhi ka muh se nikala tha jinhone bhi unke samne aayi bala ko abhi dekha…… Vahi baaki sabhi sena fir vo cahaiye danav ki ho ya aam insaano ki sabhi ko dar na gher liya tha….. Jinhone usse phele dekha tha unhe pata tha ki jo bala unke samne hai vo kya hai aur kaisi hai…..
Mei aapko batata hu ki jo uss gadhe se nikal kar bahar aaya tha sabse pheli chij vo kya thi….. Ya ek kaale pathar se bana hua 12” se ucha ek daanav tha jiske sharir ka bich mei humesha aag dehalti raheti hai….. Vo aag jal rahi hai ya sabhi ko kaale patharo se dikhayi deti hai, iski aankhe puri chandi ki chamakti hai aur vaha kuch nahi hota hai iske siwaye….. Iss danav par na koi jaadu kaam karta hai aur na hi iss sansaar mei koi essi chij hai jo isse maar sakti hai….. Ya aam taur par dikhayi nahi deta hai par jaha bhi ya daanav dekha gaya hai sanaar mei uss jagah par jeevan milna toh dhur hai grah hi pura banzar ho gaya hai…… Iss daanav ka kewal ek hi malik tha jisse sadiyo phele kisine dekha tha par fir kabhi kisine nahi dekha aur na hi iss daanav ko dekha…… Logo ka maana tha ki iss daanav ka malik apne marne se purv hi iss sansaar se inka vinaash kar diya tha par aaj samne dekh sabhi ko achamba hua…… Inke liya ek baat jo sabse jada prasidh hai vo ya ki ek akela daanav iss sansaar ka ki hazaro senao se lad sakta hai aur unka khatma kar sakta hai bina ek shan gawaye…..
Idhar sabhi ka muh asambhav se khula tha tabhi vo daanav dharti par khada hokar ek baar jor se ghurata hai aur uske ghurane ka saath hi chaaro tarah fiza mei jaise kisi bomb ka fatne ki awaj si hui ho essa swar sabhi taraf gunj jaata hai….. Abhi log kewal iss ek daanav ko dekh hi buri tarah chauka tha ki ek baar fir ek ek karke unn bache hua gadho se ya nikal kar aate hai…. Ab chaaro taraf 10 daanv dikhayi deta hai….. Ek saath itne saaro ko dekh sabhi ki jaan sukh gayi thi……
Tabhi sabse phela vala Daanav jaha khada tha vaha se piche mudta hai aur saath mei hi AS ki taraf dekhta hai…….
AS: Usse khudko dekhta hua dekh….. Vo turant apne ek ghutna par aa jaate hai unka sar jhuk jaata hai aur haath siddha dil par pahuch jaata hai……
Daanav: AS…… Vo ya kahe kar apna haath aage karta hai aur AS hawa mei udta hua uss daanav ka pass pahuch jaata hai…. Vo daanav AS ko apne haath ka bich kaid kar leta hai itni takat se ki AS ko dard hone lagta hai…….
Vahi baaki sabhi uss Daanav ka essa karte hi harkat mei aate hai aur vo log uss daanav ka upar humla karne ka liya kadam badhaya tha ki sabhi ka chaaro taraf aag ki lapte fail jaati hai…. Ya aag ki lapte aam lapto ki tarah peeli laal nahi thi bulki ya aag ki lapte ek dum neela colour ki thi…… Vo aag itni jada thi aur itni tej ki koi bhi kuch karne ka nahi raha tha….. Elika na apne jaadu ka istemaal karne ki koshish bhi ki par uska jaadu uss aag par beasar ho gaya….. Ya aag ki lapto ko failaya tha baaki bache 9 daanav na…..
Daanav: AS meine tumhai ek jimmedari di thi….. Tumne mujhe behad nirash kiya hai….. Meine tumhai vo sab sikhaya jisse sikhne ka baad iss sansaar mei koi bhi kisika haath nahi aa sakta tha par tumhare dil mei chupa dar na aaj tumhai yaha ek baar fir mera samne khada kar diya hai…… Yaad hai meine kya kaha tha…….
AS: Jee….. Jeevan mei mauka kewal ek hi baar milta hai aur uss mauka ko koi agar gawa de toh vo apne pura jeevan mei fir kabhi kuch nahi kar sakega….. Samaye sabhi ko ek hi mauka deta hai dusra mauka nahi deta hai aur tumhai bhi nahi dega….. Tumhai jo bhi karna hai soch samajh kar aur sahi mauke par karna hoga…….
Daanav: Toh fir tumne essa kyu nahi kiya…..???
AS: Meine mauka ko kabhi gawaya nahi, bus meine usse kuch samaye ka liya apne se dhur kiya kyunki meri calculation mei vo sahi samaye nahi tha aur aaj ki sabhi paristhiti ko dekh mei manta hu ki meine jo faisla kiya vo bilkul sahi nahi tha bulki vo faisla purn roop se sabse badiya tha, varna aaj ya din nahi aaya hota…….
Aapne kaha tha mauka ko pehachana aur sahi samaye kab hai ya dono hi mujhe faisla lena hoga aur mei manta hu mera faisla bilkul aapke kahe gaye shabdo ko purn roop se sehamat karta hai islye mujhe apne faisle ka koi malaal nahi hai fir cahaiye aap mujhe kaisi bhi saja dega mujhe manjur hai…..
Daanav: Usne AS ko ek shan bhar ka liya dekha aur usse apni pakad se aazad kar hawa mei uchaal diya…… AS tum aaj bhi nahi badle apne faisle par humesha se tumhai utna hi bharosa tha jitna aaj hai…….. Aur ya kaheta ka saath hi usne AS ko vahi Hawa mei chaaro taraf se aag se lappet diya…..
Daanav: Khel khatam karo…..
Daanav ka bolna tha aur idhar ek daanav khudko neeli aag mei badal aag ka behad bada aur vishaal janwar mei badal gaya jisse hum aam bhasha mei Godzilla kaheta hai….. Dekhta hi dekhta vo hawa mei tha aur vaha jamme sabhi janwar ko khatam karne laga….. Usne ek hi humle mei aadhe se jada unn udne vale janwaro ko apna sikaar bana liya….. Vahi jamin par toh khel shuru bhi hua nahi aur khatam ho gaya….. Unn Daanavo na ek hi pal mei Imosopher aur Draco ki sena ko khatam kar diya…..
Par unhone Nairana aur dusre Commandor ko haath bhi nahi lagaya….. Unhone unhe chod diya, ek daanav jab AS aur baaki sabhi ki taraf bad raha tha tabhi phele vaala Daanav ek baar fir ghuraya aur uski ghurahat sun vo aage badta daanav ek pal mei ruka piche ghuma aur fir chal diya vahi jaha se vo nikala tha jamin ka ander se…..
Dekhta hi dekhta ek pal mei saare daanav jaha se aaye tha vahi chale gaye siwaye phele vale daanav ka aur vo jamin ek baar fir se jaise phele thi vaisi ho gayi jaha gada hua tha….. Phela daanav aakhir mei Nairana aur Commandor ki taraf bada aur unn dono ko apne haath mei lekar hawa mei uchaal diya aur khud bhi vaha pahucha jaha se nikala tha aur fir vo bhi ander chala gaya……
Idhar vo dono hawa mei uchaale jaane ka baad se hi hawa mei rahe gaye aur niche nahi aaye….. Sabhi logo ki najar unn dono par hi tiki hui thi….. Sabhi log bus dekh rahe tha ki ya jamin par kyu nahi aa rahe hai, tabhi waha koi tha jo hawa mei chalte hua aa raha tha, jisse dekh essa lag raha tha ki vo suraj ka bich se nikala ho aur ab vo suraj se thoda aage aakar khada ho gaya tha….. Uska cehara ya baaki sabhi kuch kisiko dikhayi nahi de rahe tha par usse dekh lag raha tha ki koi behad takatwar aur behad shaktishali hi hai vo……
Shaks: Tum dono ka samaye iss dharti se pura hua aaj tum dono ko maut milti hai, usne ya baat kahi jo unn dono ka alawa kisiko shayad hi sunayi di ho par agle hi pal uske piche se aag ki lapte nikalne lagi jaise ki suraj se hi aag nikal kar aa rahi hai aur vo aag mei tapmaan itna tha ki usne unn dono ko pal bhar mei raakh mei badal diya aur fir khud vaha se gayab ho gaya……
Idhar vo shaks gayab hua aur uske gayab hote hi vaha se Elika bhi gayab ho gayi….. Na Elika ko kuch pata chala aur na hi kisi dusre ko….. Kisika dhyan bhi nahi gaya ki Elika ek pal mei hi kaha gayab ho gayi.... Idhar Elika gayab hui aur agle hi pal vo ek behad andheri jagah mei khudko paati hai…. Ek essi jagah jaha ka usse kuch pata nai tha….. Usse dhur dhur tak kewal andhkaar hi dikhayi de raha tha, par tabhi achanak usko chaaro taraf se ghera vo 10 daanav bhi khada tha….
Unn danavo ka achanak essa apne samne aane se Elika bhi baukhla gayi aur behad dar bhi gayi….. Usse samajh nahi aaya ki ya yaha kaise aa gaye aur vo bhi palak jhapakte hi, usne ya bhi socha ki vo kaha hai aur kya inn daanavo na hi usse vaha se gayab kiya hai…..??? In sabhi sawalo ka bich usse ek baat dhyan aayi aur usne turant hi apni aankhe band kardi aur kuch kuch bud budane lagi….. Kuch shan baad jaise hi usne aankhe kholi toh bus vo dekhti hi rahe gayi….. Uske samne ka najara aur drishya dekh bus vo sab bhul gayi apna jaadu aur baaki sab kuch bus samne hi dekhna lagi……
Vahi Marium ka kingdom ka mahool toh behad hi khaufnuma tha….. Kisiko kuch nahi samajh aa raha tha ki abhi pal bhar mei hua kya aur kaise….. Abhi kuch samaye tak toh unki haar purn roop se saaf dikh rahi thi aur koi mauka nahi tha unke jeetna ka aur yaha ek shan mei youdh khatam bhi ho gaya aur kisiko kuch samajh bhi nahi aaya….. Iss samaye bus ek hi baat sahi lag rahi thi…… “TIME AND TIDES WAITS FOR NON” bus ya baat behad choti si thi par thi pate ki….. Aaj yaha bhi bus essa hi kuch hua…..
Agar Nairana aur Commandor dono na hi samaye nahi gawaya hota aur vo dono hi sabhi ka saath milkar humla shuru kar deta toh shayad ya samaye hi nahi aata, jaha unke haath se jeeti hui baazi hi nikal gayi….. Baazi toh chodo dono ko apni jaan se bhi haath gawana pada….. Jaha sabhi khade tha aur abhi bhi mahool behad khushnuma nahi tha jabki vo jeet gaye tha, iss mahool se nikalne ya badalne ka kadam uthaya Madam Mariana na…..
Mariana: AS tumne ek daanav ka samne apna sar jhukaya hai….. Unhe iss baat ka gussa tha ki kaise AS ek danav ka samne apne ghutne par aa gaya tha…..
AS: Mariana meine ek daanav ka samne nahi bulki ek Guru ka samne apna shish jhukaya tha….. Tumhai ya kisiko nahi pata ki vo mera ek daanav jarur hai par saath hi vo mera Guru bhi hai jinse meine apne jeevan mei behad sa gyan prapt kiya hai..... Ek achayi ki ladayi ka youdha ek daanav ka aage cahaiye nahi jhuka par ek shishya ko apne Guru ka samne humesha apna shish jhukana hi cahaiye aur meine vahi kiya…..
Indra: Par AS ya kaise mumkin hai….???
AS: Maharani Indra ya kahani behad lambi aur behad purani hai….. Aapko ya toh yaad hoga hi ki kisi samaye inka ek malik tha jinke ya gulam tha, ya ussi samaye ki baat hai… Saari duniya ka liya vo ek shaitaan aur tha bhi vo shaitaan hi par kaheta hai na sharir mei maujood dil jab dimaak par havi hota hai toh fir aap vahi karte ho jo aapka dil kaheta hai na hi dimak fir cahaiye aapke dimak ko kisine kaisa bhi banaya ho….. Uske saath bhi yahi tha, vo shaitan jarur tha par ek samaye baad usse kisise prem ho gaya aur usne uss samaye uss Shaitan ko uski asliyat dikhayi ki usne kitne nirdosh logo aur nasalo ko khatam kar diya, uske prem na hi usse samjhaya ki usko virasat mei kaali takat cahaiye mili ho par uska dil ek ache insaan ka hai islye vo apni kaali taqato ko bhi bhalayi ka liya istemaal kar sakta hai…..
Uss Shaitan ko uske prem na ek behad bada kaam saupa aur vo kaam bus yahi tha ki jab tak vo khudko badal nahi leta aur sudhar nahi leta tab tak na toh vo kabhi usse milegi aur na hi usse kabhi apnayegi…. Usne jabardasti karne ki koshish ki toh vo apni jaan de dega….. Uss shaitan na khudko badalne ki behad koshish kari par vo khudko badal nahi paa raha tha aur uske haatho kuch na kuch galat ho raha tha……
Usne mujhe bhi iske liya madat maangi thi par mei bhi uski madat karne mei asamarth tha aur islye usne faisla kiya ki vo sab chod kar dhur jaayega itna dhur ki sahi samaye par khudko badal kar hi aayega….. Usne jaane se phele hi apne inn shaitano ko kaid kar diya aur aadesh de diya tha ki vo kabhi bahar nahi aayega jab tak uska aadesh nahi milega aur islye hi vo aaj tak chupa tha….. Jab mei usse mila tha ussi samaye meine usse kuch gyan prapt karne ki icha jatayi jiske liya usne mujhe inke hawale kar diya aur inhone apne malik ki icha anusaar mujhe behad sa gyan diya aur fir chale gaye…..
Willy: Iska matlab vo shaitan bhi vapas laut aaya hai…..???
AS: Ha Willy par aaj jo bhi hua hai usse dekh mujhe yahi lagta hai ki vo shaitan behad badal gaya hai…. Kyunki agar vo badla nahi hota toh hum sab milkar bhi kuch nahi kar sakte tha unka…..
Iszy: AS kya unhe nahi roka jaa sakta hai…..???
AS: Iszy iss duniya mei jo bhi janam leta hai usko ek din ya duniya chodni hi hoti hai fir cahaiye vo koi bhi ho….. Fir vo koi bhagwan ho ya ho koi shaitaan…. Ya Daanav ka janam nahi hua hai inhe banaya gaya hai aur issi vajah se inki bhi maut ka prabandh kiya gaya tha….. Inhe sirf Sword of Destruction hi maar sakti hai par…….
Khair chodo beeta aur jo hua sab usse bhul hume khushi manani cahaiye…… Maharaj aap nishchint ho jaaye ab aapke rajye ko koi khatra nahi hai…. Aaj se aapke rajye ki suraksha hi vo kar rahe hai jo apne aap mei khatra hai islye ab aap aram se apni praja ka saath yaha rahe sakte hai…..
Maharaj: Dhanyawad AS…..
Noora: Willy ELika kaha gayi…..???
Willy: Usse koi kaam pura karna tha islye vo kahi gayi hai….. Jaldi hi aa jayegi vo…. (Jhuth)
Iske baad sabhi Mahal ki taraf bad jaate hai…..Vahi Imosopher aur Draco jo apni duniya se ya sab dekh rahe tha unn dono ko vishwas nahi ho raha tha jo unhone abhi apni aankho se dekha tha….. Unhe toh samajh hi nahi aaya ki iss duniya ka sabse khatarnaak daanav jo kaali shaktiyo ka gulam hai unhone hi kaaliyo shaktiyo ka virodh mei kadam uthaya…….
I Mom: Imosopher ya sab kya tha, kaise ya daanav na humare khilaaf kadam utha diya jabki ya khud burayi ka pratik tha….. Agar inhone kabhi humara khatma karne ki taraf kadam badhaye toh?
Imosopher: Aap nischint rahe agar essa hua toh uss din sansaar se inka vinaash bhi mei hi karunga…. Inki kamzori kewal Sword of Destruction hi nahi bulki garmi bhi hai….. Agar inhe kisiko maarna ho toh usse chaaro taraf garmi ko banaye rakhna hoga aur agar essa hua toh inka har jaadu inke khilaaf kaam karega….. Inke ander ki aag ko jab jab jada garmahat milti hai toh ya khudko sambhaal nahi sakte hai…..
Imosopher: Mei aata hu kuch der mei….Ya kahe kar vo gayab ho gaya aur pahucha Draco ka pass……
Draco: Imosopher aaj tum yaha kaise….???
Imosopher: Draco ya lo isse apne rajyo ki sema ka charo taraf lagwa do ya tumhai daanav aur shaitaan dono se dhur rakhega…..
Draco: Tum meri madat kar rahe ho, iska matlab hai tumhai mujhc kuch cahaiye bolo kya cahaiye…..??
Imosopher: Mujhe tumse kaal pathar cahaiye…. Mujhe vo pathar de do…..
Draco: Mei tumhai vo de nahi sakta hu par ha tum jaha jaana cahate ho vaha pahuchne mei madat kar sakta hu….. Mei tumhare saath chalunga aur vaha pahuch apna pathar tumhare pathar se jod dunga jisse tum ander jaa sakte ho….. Ek baar tum ander gaye uske baad fir dono pathar alag ho jayega aur mei apna pathar lekar laut jaunga……
Imosopher: Mujhe manjur hai…..
Draco: Thik hai fir…. Mei sahi samaye par tumhai sahi jagah milunga….. Aur iske liya sukhriya ……
Iske baad inn dono ka bich bhi kuch jada baat nahi hoti hai aur uske baad vo vaha se nikal jaata hai……
Chaliye hum ek baar fir chalte hai vahi jaha Elika pahuchi thi aur uske chaaro taraf vo daanav aa pahuche aur sabse badi baat andhera mei aankhe band karke jab usne aankhe kholi toh samne ka drishya dekh vo kyu chauki uska raaj bhi bata hi deta hai…..
Elika: jaise hi aankhe band karke usne kholi toh uske samne ka najara badal gaya tha, jaha abhi behad ghana aur behad adhik andhera tha vahi ab behad prakash tha, sabhi taraf saaf dikh raha tha, andhera ka naamo nishaan bhi nahi dikhayi de raha tha….. Dhur dhur tak jaha bhi najar jaa rahi thi vaha sirf prakash hi prakash tha….. Par jiss chij na usse sabse jada chaukaya tha vo chij thi uske samne khadi ek ladki na…..
Ji hai Elika ka samne khadi thi ek ladki jiski jo rang roop mei Elika ka pari roop mei bhi usse kahi kamzor nahi pad rahi thi bulki unn dono ko samne dekh dekhna vale ko bus yahi sochna pade ki kisse dekhu aur kisse chodu….. Kyunki ek baar jispar najar padh jaaye vo bus vahi dekha rahe jaaye……
Yaha Elika ka cehare par aascharye ka bhav tha vahi vo ladki ka cehare par ek behad pyari aur dilkash muskaan thi…. Ek essi muskaan jisse dekh murjha gaye phool bhi khila bina nahi rahe sake….. Vahi uski aankho mei apne samne Elika ko dekh jo khushi thi uska varnan karna behad hi mushkil tha…. Vo Elika ko behad prem aur apnatv se dekh rahi thi aur khushi ka koi thikana nahi tha…..
Ladki: Kya hua Didi pehachana nahi kya…..????
Chaliye dosto aaj ka liya yahi rukte hai aur jaldi hi fir milega agle update ka saath jaha ya pata chalega ki aakhri ya ladki kon hai aur iss waqt Elika kaha hai aur vo Daanav kyu Elika ka aage jhuka hua hai….. Sabhi jawab milte rahega tab tak ka liya bane rahe saath…..