Boht khoob update yar hero ka pass pankh bhi a gae boht acha ah hero sword of destruction dobara hasil kar raha ha or yar jab to ho Pakistan tab tak to update doUpdate 113
Pichle update tak aapne dekha ki kaise Daanav na aakar youdh ka natija badal diya par uske saath hi Elika bhi gayab ho gayi thi… Vahi Draco aur Imosopher ka bich ek behad gheri sandhi prastav hua aur Imosopher kahi jaane ki baat kar raha tha jaha jaane ka liya usse Draco ki madat ki jarurat thi jiske liya Draco na nirash karne ki jagah uske prastav ko swikaar liya…. Dusri taraf AS na sabhi ko Daanav se kaise juda hai aur kaise pehachanta hai ya sab kuch bataya….. Idhar Elika jiss jagah gayab hui thi vaha phele prakash ki ek kiran bhi maujood nahi thi aur usse unn Daanavo nab hi gher liya tha……
Ab Aage:
Elika: jaise hi aankhe band karke usne kholi toh uske samne ka najara badal gaya tha, jaha abhi behad ghana aur behad adhik andhera tha vahi ab behad prakash tha, sabhi taraf saaf dikh raha tha, andhera ka naamo nishaan bhi nahi dikhayi de raha tha….. Dhur dhur tak jaha bhi najar jaa rahi thi vaha sirf prakash hi prakash tha….. Par jiss chij na usse sabse jada chaukaya tha vo chij thi uske samne khadi ek ladki na…..
Elika ka samne khadi thi ek ladki, jo rang roop mei Elika ka pari roop mei bhi usse kahi kamzor nahi pad rahi thi bulki unn dono ko samne dekh dekhna vale ko bus yahi sochna pade ki kisse dekhu aur kisse chodu….. Kyunki ek baar jispar najar padh jaaye vo bus vahi dekhta rahe jaaye……
Yaha Elika ka cehare par aascharye ka bhav tha vahi vo ladki ka cehare par ek behad pyari aur dilkash muskaan thi…. Ek essi muskaan jisse dekh murjha gaye phool bhi khila bina nahi rahe sake….. Vahi uski aankho mei apne samne Elika ko dekh jo khushi thi uska varnan karna behad hi mushkil tha…. Vo Elika ko behad prem aur apnatv se dekh rahi thi aur khushi ka koi thikana nahi tha…..
Ladki: Kya hua Didi pehachana nahi kya…..????
Elika: Jo abhi tak shock mei khadi thi apne samne itni khubsurat ladki ko dekh vo uss ladki ki meethi aur pyari awaj sun ek baar firse duniya mei laut aayi...... Vo uske pass chal kar gayi aur jor se usse apne gale laga liya…… Elika ka muh se shabd nahi nikal rahe tha par uski aankhe baya kar rahi thi ki vo apne samne khadi iss ladki ko dekh kitna khush thi aur aaj gale lag toh jaise usse uska sab kuch mil gaya tha….. Iss khushi mei Elika ki aankho se aasu beha nikala toh duniya ka har kone mei barish hone lagi…. Elika ka aasu ka saath hi aasman bhi inn dono ka milan par aasu bahane laga tha…..
Elika na usse itna kaske pakad rakha tha ki jaise vo usse apne ander hi sama lena cahati ho aur ya usne usse dheela choda toh kahi vo fir usse dhur na ho jaaye….. Vahi vo ladki Elika ka gale lag behad pyari muskaan bikhair rahi thi aur saath hi Elika ka sar ko bhi sehala rahi thi…..
Ladki: Didi dekho aapke rone se duniya bhar mei barish hone lagi hai…. Agar ab aap chup nahi hui toh iss duniya mei jal pralaye aa jayega aur usse rokne ka liya mujhe firse…..
Elika: Uski baat ko bich mei hi usne apne haath se uska muh band karke rok diya aur apne gardan na mei hilane lagi….. Essa sochna bhi mat….. Jo galti meine ek baar kardi usse mei dubara nahi hone dungi….. Ek baar tujhe khoya hai dubara khone ki soch bhi nahi sakiti hu…. Aur usne turant apne aankho se aasu pahuch liya…… Le ab khush…..
Ladki: Muskurate hua….. Ha mei gardan hilane lagi…..
Elika: Tabhi usse unn daanav ka dhyan aaya aur usne jaldi uss ladki ko apne se laga liya aur ek jaadu karke dono ko ek shield mei kaid kar liya…… Tu ghabrana nahi mei tujhe kuch nahi hone dungi ya daanav tera kuch nahi bigad sakega….
Ladki: Didi aap na kabhi kabhi bacho jaisi ho jaati ho…… Kya aapko meri energy mehsoos nahi ho rahi hai kya….???
Elika: Uss ladki ki baat sun ek baar uski energy ki taraf dhyan deti hai toh uske hosh udd jaate hai….. Ya toh behad jada tej dark energy ki rays thi…… Vo usse dekhna lagti hai….. Ya daanav tera gulam hai aur tune hi inhe azad kiya hai……
Ladki: Muskura deti hai…… Aapko kya meri urja itni adheek mehsoos ho rahi hai…… Inhe na meine aazad kiya hai aur na hi mei inhe rok sakti hu….. Ha bus farak yahi hai ki ya vahi karega jo aap aur mei kahega…..
Elika: Par…..
Ladki: Aapke sawalo ka jawab iss band darwaje ka piche hai….. Chaliye hum chalte hai fir aapko sab samajh aa jayega……
Iss samaye ya dono hawa mei hi maujood tha aur vo ladki Elika ka haath pakad kar usse lekar aage badne lagti hai jaise ki vo koi jameen par chal rahi ho….. Dono darwaje ka samne jakar khadi ho jaati hai……
Elika: Ya darwaja toh mare hua logo ki duniya mei jaane ka rasta hai…..
Ladki: Bilkul….. Aur ab hum iss duniya mei jaa rahe hai ek baar firse saath saath…..
Elika: Lekin phele tum White Energy ki pratik thi aur ab black energy ki…..
Ladki: Sahi kaha par ya faisla humare haath mei nahi hota hai ki hume kya milta hai par ya jarur hai ki hume usse kaise istemaal karte hai….. Chaliye ander chalte hai…..
Elika: Par iske liya toh…..
Ladki: Vo darwaje par apna haath rakhti hai aur darwaja khul jaata hai….. Iske liya sirf yahi jarurat hai mujhe aur abse aapko bhi….. Jab dil kare iss duniya mei aap aa sakti hai….. Ya duniya bhi aapki duniya hi hai…..
Ya kahe kar vo uska haath pakad kar aage badhne lagi…… Jaise Jaise dono aage bad rahi thi uss duniya mei maujood andhera khicha chala aa raha tha uss Ladki ka ander aur sabhi taraf bus ujala hi ujala dikhayi dena laga tha….. Har taraf jo andhera ki kaali parat aur saath hi bilkul bejaan ho gayi duniya thi ab vo duniya ek baar firse hari bhari aur jeena jaisi lagne lagi thi….. Vo dono chalti chalti kuch dhur aa gayi thi aur fir uss jagah ruk gayi kyunki vo jaha khadi thi uske aage khayi thi jo aam khayi nahi bulki ek behad tej aur ubalte hua lawa ki khayi thi….. Iss khayi ka bicho bich basa tha ek nagar charo taraf se lawa se ghira….……
Ladki: Vo Elika ki taraf dekhti hai…..
Elika: Apni aankhe band karti hai aur apne haatho ko aage karti hai…… Uske haath se roshni nikalne lagti hai aur vo roshni uss sampurn lawa par lagti hai aur uss lawa ko upar uthane lagti hai….. Vo Lawa hawa upar aate aate uss khayi ka bilkul barabar mei aakar ruk jaata hai…...
Elika: Tumhari sawari aa rahi hai….. Par yaad rahe…..
Ladki: Ha pata hai mujhe….. Hum dono ko hi uska kuch karne ki jarurat nahi hai vaise…. Itna mei hi vaha lawa ka niche se ek lakdi ki naav nikali aur vo kinare par aakar ruk gayi……
Dekhna aur sunne ka liya ya behad hi ajeeb baat hai ki garam lawa mei lakdi kaise sahi rahe sakti hai….. Par fir yahi toh jaadu ka kamal hai kyunki iski vajah se hi ya sambhav ho saka tha….. Vo dono uss naav mei sawar ho gayi aur uss nagar ki taraf bad gayi…… Ya nagar koi aur nahi bus mare hua logo ki duniya thi….. Yaani duniya thi ya Zanabiya ki…..
Ya duniya kisi samaye safeed urja ka samrajye mei shamil thi kyunki yaha shashan tha ek safeed urja ki Rani ka…. Ek essi Rani jiske liya bus itna hi kaha jaata tha ki unka dil aur man itna swach tha ki vo mare hua logo ko jinki ruhu yaha aati thi unhe iss jagah mei kushal aur shanti se apna jeewan jeena ka liya protsahit karti thi…. Ya duniya aam duniya jaise hi thi bus antar tha ruhu ka….. Yaha insaan ki jagah Ruhu raha karti thi…..
Par samaye badla aur iss duniya par kaali takat na apni hukumat jama li….. Zanabiya ka roop mei Kaali takato na iss jagah ko apna adhin kar liya aur uske baad yaha aane vali har ruhu kaali takat ki gulam hone lagi…. Unke man mei achayi ki jagah khatam ho gayi….. Yaha shayad hi kabhi essa hua hoga ki kisi ruhu na kaali takat ka samne apne ghutna nahi jhukaye hoga aur jisne nahi jhukaye usse kitni peeda ka samna karna pada ya koi soch bhi nahi sakta hai……
Aaj Elika aur uske saath ki ladki jaa rahe tha vahi, ek baar fir iss duniya ko azad karane par ya azadi vo azadi hogi jismei ya duniya mei raaj karne vali Rani rahegi Kaali Taqat ka adhin par vo iss duniya ko Kaali takat ka saath bhi firse vaise hi behatar aur shant jagah jaha logo ki ruhu ko sukoon mil sake essi duniya mei badalegi……
Dono kuch der mei hi vaha pahuch gayi….. Zanabiya jisse apni duniya mei aane vaali har chij ka pata hota tha usse pata tha ki Elika aur vo ladki vaha aa gaye hai islye usne unn dono ka swagat ki tayari phele hi kar rakhi thi…… Usne apni sabhi kaali takato ko aazad kar diya tha humle ka liya aur saath hi uss rajye ki dushit ho gayi ruhu bhi tayar thi unn dono ka swagat ka liya hi…..
Idhar nagar ka darwaje par haath rakh uss ladki na vo darwaja bhi khol diya aur uske baad aage bad chali dono Elika aur vo Ladki….. Idhar unke kadam unhone ander rakhte hi unn shaitani ruhu na unhe chaaro taraf se gher liya aur humla karne lagi par koi ek ruhu bhi unn dono tak nahi pahuch paa rahi thi aur na hi koi humla unke upar ho raha tha… Vo dono bus maje se chali aa rahi thi bina kisi avrodh ka….. Vahi unke piche aa rahe Daanav na jaise hi Elika aur uss ladki par humla hote dekha toh vo unn ruhu par humla karne ka liya saj hua par ladki na piche mud unhe bus na mei gardan hila di…..
Vo sabhi Ladki se mila aadesh ka paalan karte hi ruk gaye aur uske turant baad hi bus unke piche chalne lage…… Vahi Ruhu ka humla bekaar hote dekh Zanabiya na apne humle unn dono par karne shuru kiya par uska bhi koi humla unn dono ko chu nahi saka…. Isse dekh uske cehare par muskaan aa gayi…..
Zanabiya: Wah iska matlab iss duniya ka sabse bade Bhakshak aur Rakshak dono hi yaha maujood hai….. Fir itna vilam kyu aao aur aakar khel khatam karo kyunki meri maut toh pakki hai ya mujhe pata hai……
Elika: Tumhai pata nahi Rakshak ko bulane k jarurat nahi vo toh humesha hi apne man se dikhta hai bus maujood uss har jagah hota hai jaha unki jarurat hoti hai…..
Ladki: Khair agar tum milna cahati ho toh tumhari ya icha bhi jaldi hi puri kar dega vo….. Bus aate hi hoga tumhare liya kuch behad khaas lekar aa rahe hai islye deri thodi jada ho rahi hai shayad….
Zanabiya: Sahi kaha aapne Maharani Paristan par yaha Rakshak aur Bhakshak dono ek hai….. Isse ab iss duniya ko koi khatra hi nahi hai kyunki maarega bhi vahi jo bachayega to hiss duniya mei kuch bacha hi kaha khatra ka liya…..
Zanabiya: Fir toh vo khaas chij jarur mujhe pasand aayegi mujhe lagta hai Rajkumari Nandani(Ladki)……. Tab tak hum kya kare ya bataye….
Nandani: Tab tak hum ya karte hai…… Aur ya kahe kar vo piche ghumi aur vaha se thoda aage bad kar usne apne dono haath aage kar diya….. Uske dono haatho ko aage karne se ek roshni nikalne ki jagah Kaali roshni uske ander samane lagi….. Ya roshniya kisi aur ki nahi bulki unn ruhu mei samaye kaali takat thi jisse vo apne ander khich rahi thi aur usse apne ander sameet rahi thi…..
Dekhta hi dekhta ya kriya bhi puri ho gayi aur tabhi aasman se ek kuch niche gira jisse uthaya Zanabiya na….. Jo gira tha vo kuch nahi bus ek sandesh tha…..
Zanabiya: Mei abhi nahi aa sakta hu….. Mera aane ki pratiksha karo aur tab tak ka liya….. Bus itna hi Zanabiya kahe aur padh saki thi ki vo turant hi gayab ho gayi…… Uske achanak gayab hone se Elika ko jhatka laga par Nandani bus dekh muskura di…..
Nandani: Didi aapko kuch samaye aur intezar karna hoga….. Abhi aapke unse milna ka samaye aaya nahi hai…..
Elika: Par kyu, ab kya rahe gaya…… Aur usse badi baat ya Zanabiya essa achanak kaha gayab ho gayi…..
Nandani: Jaise aap gayab hui thi uss maidaan se vaise hi ya bhi gayab ho gayi….. Ya sab kamal hai Neela Unicorn ka….. Usne hi aapko aur isko dono ko gayab kiya hai Shubham ka kahena par….
Elika: Haa mei bhul gayi thi ki Neela Unicorn bhi toh hai jo essa karta hai…..
Idhar Zanabiya gayab hui aur jaa pahuchi brahmand mei….. Vo iss samaye Brahamand ka uss hisse mei khadi thi jaha se usse dhur dhur tak sirf adhera hi andhera aur bich mei kahi kahi taare dikhayi de rahe tha….. Tabhi usseek awaj sunayi deti hai, ya awaj uske piche se aayi thi….. Ya awaj thi uss shaks ki ya fir kahu Shubham ki jo iss samaye uske piche maujood tha apne bhakshak yaani kaale kapdo mei aur saath hi bahar nikala hua tha uske safeed pank……
Shubham: Tum mujhc milna cahati thi na….. Lo karlo apni icha puri aur mil lo mujhc….. Mei tumhare piche hi hu….
Zanabiya: Vo piche ghumti hai toh Shubham ko iss roop mei dekh uske muh se bus itna hi nikalta hai…… Asambhav……
Shubham: Muskurate hua….. Kya hua, mera roop pasand nahi aaya ya fir mei jaana pehachana nikal gaya….
Zanabiya: Ya namumkin hai…. Tumhare pass ya safeed pankh kaise aa sakte hai……Inhe toh…… Toh kya tum…..
Shubham: Muskura hi raha tha….. Samajh sakta hu tum kya soch rahi ho aur janta hu ache se inn pankho ko dekh tumhai behad kuch yaad aa gaya hai….. Tumhare har sawal ka jawab tumhai dunga par abhi nahi…… Abhi mujhe jaana hoga ek baar firse duniya mei aane ka liya par usse phele apni kuch galtiya sudharni hogi aur saath hi tumhai bhi kuch jaana hoga…..
Islye ab hum dono jaa rahe hai safar par…. Jaha mera safar bhara hoga kathinayiyo se aur tumhara safar bhara hoga purani aur beeti baato aur yaado ka….. Chalo tumhai tumhare safar ka shuru hone ki jagah chod deta hu…… Ya kaheta hi dono vaha se gayab ho gaye aur pahuch gay eek grah mei…..
Brahamand ka ek essa grah jismei jeevan sambhav hai par ab iss duniya mei rahena valo ki prajaati hi samapt ho gay hai…. Ya grah pura virana aur banzar ho gaya hai…. Yaha na koi aata hai aur na hi koi aana cahata hai….. Bus ek essi jagah mei lekar aaya tha Shubham usse…..
Shubham: Ya hai tumhare safar ki suruwati jagah jaha se tumhai shuru karna hai aur jaana hai vo sabhi baato ko jo jaruri hai tumhare liya……. Tumhara safar mera yaha se jaate hi shuru ho jaayega aur tabhi khatam hoga jab mei laut kar vapas aaunga tab tak tumhai sabhi baato ko jaana hi hoga…… Vaise mei tumhai bata deta hu do mehatpurn baate….. Pheli jiss safar par mei jaa raha hu uss safar se mei jaldi vapas laut kar nahi aa sakunga aur shayad essa ho aau hi nahi kabhi...... Aur dusri khabar mera aaye bina tum iss duniya se kabhi bahar nahi nikal sakogi…… Itna kahe kar vo gayab ho gaya…..
Zanabiya: Uski baat sun usse jhatka laga….. Aur agar tum kabhi laute hi nahi toh….. Abhi usne ya sawal kiya tha par jawab dena vala vaha tha hi nahi…. Vo toh phele hi gayab ho gaya tha……
Idhar Shubham gayab hokar pahucha ek behad bada samundar ka upar….. Ya samundar ek essa grah par basa tha jiska rang khooni laal rang ka tha aur iss grah mei kewal samundar aur paani ka alawa agar kuch paaya jaata tha toh vo tha samundar ka janwar fir cahaiye vo bade vishal ho ya chote chote…….
Shubham: Uss paani ko dekh…… Mei aa raha hu ek baar firse tumhai hassil karne Sword of Destruction….. Aur ya kaheta hi vo apne pankh ko faila kar paani mei teji se ghus jaata hai aur paani ka ander hi ander jaaye jaa raha tha……
Tabhi paani ka rang badalne lagta hai aur vo neela se badal ka purn laal rang ka ho jaata hai….. Jaha Paani abhi tak shant tha ab vo laal rang mei badal behad hi jada aniyantrit ho gaya tha……. Usmei behad jada tej aur behad badi badi lehara ban rahi thi…. Inn ban rahi leharo ki vajah se Shubham ko behad pareshani ho rahi thi uss jagah…… Par tabhi paani mei Shubham ki saas rukne lagi aur vo kuch bhi karne ki halat mei nahi ho raha tha…… Dekhat hi dekhta vo jaakar paani ki satah se jaa laga aur usse saas lena mei behad jada peeda ho rahi thi….. Tabhi uski aankho ka samne aata hai kuch……
Chaliye dosto aaj ka liya yahi rokta hu aur aage jaanega ki aakhir yaha kya hota hai aur kaise hota hai….. Tab tak ka liya keep reading and commenting……
Stay Tunned…..
Note: Friends sorry to say but I am leaving country on 24th of October for around a month to complete the last part of my education …..I have to stay there and complete my studies so for this 1 month time I am unable for you all… The updates for the story will be stopped for a month……. I will resume it after coming back…..