• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Shubham - Ek Rakshak ya Bhakshak

luv4sale696969

Active Member
1,303
1,674
158
Mind blowing...
Keep it up...
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

RAAZ

Well-Known Member
2,433
6,426
158
Update 82

Pichle update tak aapne dekha ki Earth par Aaliya apne saath Raja ko lekar aati hai aur saath hi usse dhamka bhi deti hai ki yadi Raja na kuch kara ulta toh aage kya hoga ya vo bhi nahi janti ….. Dusri taraf Shubham apne dosto ka saath Magical City jaata hai jaha usse Narshiya milti hai, jo aadhe bhediya aur aadhe manav prajati ka vansh mei ek lauti bachi hai……


Ab Aage…..


Jaise hi Shetan na Shubham ko chaku maara uss Mahal ka darbar mei sabhi ki chikhe nikal gayi…… Vahi dusri taraf Shetan aur NV8 dono hi chowk gaye, kyunki unke samne jo hua tha uski kalpana bhi unhone nahi kari thi…..


NV8: Ya nahi ho sakta hai…… Ya kaise ho sakta hai…… ???


Shetan: Apne samne jisse abhi abhi chaku laga tha usse dekh Shetan ki aankho mei se aasu nikalne lage, par ya aasu paani ka nahi khoon ka aasu tha……


Vahi jab Willy aur baaki sabhi na Shubham ki taraf dekha toh unn sabhi ko bhi shock laga, unhe samajh hi nahi aa raha tha ki aakhir ya sab ho kya raha hai,,,,,,


Uss Mahal ka darbar mei hui abhi ki ghatna ko dekh sabhi shock mei tha, par ek esse vyakti tha jo muskura rahe tha….. Ya tha Guru Magical City ka…..


Guru: Kya hua Shetan tumhai kya laga tha ki tum log iss duniya ka rakshak ko itni aasani se apne iss chote aur bacho jaise chalawe se pakad kar usko khatam kar doge…. Uska shikar karna itna asan nahi hai…..


Shetan: Guru ki baat sunne ka baad bhi uske muh se ek bhi shabd nahi nikala….. Uski aankho se lagatar aasu hi nikal rahe tha…..


Abhi aage koi kuch kehata usse phele hi Mahal mei Shubham ki entry hoti hai…..


Shubham: Kyu Shetan, kaisa laga mera chalawa…… Aaj mere man ko shanti aur meri Maa ki kahi baat sach ho gayi…… Yaad hai vo din jab tune mere Pita aur Satrangi Desh ka Maharaj ko maara tha…… Uss din tune mere Pita ko meri Ma aka roop lekar maara tha na…… Aaj meine bhi vahi kiya…….Tere haatho tere hi bête ko marwa kar meine apna badla pura kara aur meri maa ki baat ki tere aankho se khoon ka aasu jarur nikalege……


Par teri saja abhi khatam nahi hui hai…… Tere iss bête ko na hi marne ka baad dharti nasib hogi aur na hi aag……. Tere bête na barso phele jo ek pariwar ka saath kara tha, aaj vahi sab iske saath hoga…..


Shubham: Ya bol Shubham na apne haath aage kar diye, uske haatho mei se ek roshni nikali aur vaha par bandhe hua Shubham ka dost aur MM aur Guruji sabhi azad ho gaye…..


Shubham: Narshiya apne man mei jiss pratishod ki aag ko aaj tak tumne jalaya hua hai aaj uss aag ko iss Shetan ka bête ka khoon se thanda karlo….. Isne tumhari aankho ka samne tumhare chote bhai ko apne bhukhe janwaro ko khila diya tha na, aaj tum isse iske baap ka samne hi cheer faad do….. Iske sharir ki ek bhi hadi ka ek ansh bhi dharti ya aag ko na mil sake…… Jaao aage bado…..


Narshiya: Shubham ki kahi baat aur apne chote bhai ka saath hua sadiyo purine najarene uske ander ka bhediye ko jaga diya….. Vo ek pal ka ander hi bhediye ka roop mei aa gayi aur uski aankhe ek dum laal ho chuki thi…… Usse shan bhar bhi nahi laga Shetan ka bête ka upar humla karne mei…..


Shetan: Meri baat sunkar aur apne bête par hote humle ko dekh kar vo gusse mei aa gaya….. Vo abhi Narshiya ko maarne ka liye kuch karta usse phele hi Shubham ka ishare par do White Eagle teji se Shetan ki taraf ud chali aur uske pass pahuchte hi apne aapko rasi mei badal kar Shetan ko apne bandhan mei le liya……. Ab Shetan caha kar bhi apne aapko na unn Rashiyo ki pakad se khudko azad kara sakta tha aur na hi ab vo kuch kar sakta tha…… Saath hi saath vo rasiya dhere dhere Shetan ki saari kaali Shakti ko apne ander khich rahi thi aur apni White powers ko uss Shetan ka sharir mei bhej rahi thi, jisse Shetan ka sharir ander se jal raha tha aur vo apne aapko kamjor mehsoos kar raha tha…..


(Yaha mei bata du White Eagle iss duniya ka sabse khatarnak aur ShaktiShali pakshi ya essa kahe janwaro mei sabse khatarnak hai…… Apne aapko rasi mei badal lena ya inki shaktiyo mei se ek Shakti ka namuna hai….. Baaki samaye ka saath pata chal jaayegi……)


Vahi Narshiya na Shetan ka bête ka sharir ko puri tarah se cheer faad diya tha, Shetan ka bête ka sharir ki har hadi, ya kahu chamdi ka niche ka maas bhi gayab ho gaya tha…… Par Narshiya yaha bhi nahi ruki….. Usne apne jabdo ka bich uska sar rakha aur uske sar ko uske sharir se alag karke Shetan ka pairo mei fek diya…..


Narshiya ka pura sharir Shetan ka khoon se san gaya tha…. Par vo abhi bhi shant nahi hui thi….. Ab vo apne aape se bahar hone lagi thi aur pagalo ki tarah chela rahi thi….. Uski essi halat dekh Elika uske pass gayi aur pyar sa Narshiya ka sar par apna haath fera…..


Elika ka haath ferte hi Narshiya jo bhediye ka roop mei thi, uska roop badal kar ek baar fir ladki ka roop le liya,,,,, Par uski aankho se abhi bhi lagatar aasu nikal rahe tha….. Aaj uske samne vo atit ka pane aa gaye tha jisne uska sab kuch usse chin liya tha….. Aaj uski bebasi ka ant tha….. Barso se apne man mei apne chote bhai ko marne vale se uske man mei badle ki aag thi aaj jakar vo thandi hogi…..


Narshiya ladki ka roop mei aane ka baad bhi uski aankho se aasu nikalne lage tha….. Narshiya kaafi samaye tak apne pariwar ko yaad karke aasu bahati rahi….. Elika Narshiya ko lekar vaha se gayab ho gayi…..


Shubham: Guruji aap baki sabhi ko lekar yaha se chale jaaye….. Mei aapse vahi aakar milunga jaha meine milna ka aapse kaam khatam karke milne ka vada kara tha….


Guruji: Jaisa tum kaho….


Mere kissi bhi dost na bich mei ek bhi shabd nahi bola…. Vo sab chup chap vaha se Guruji ka saath chale gaye…..


Shubham: Unke jaate hi mei chalkar Shetan ka pass gaya…… Dekha tumne aaj meine tumse tumhare kiye hua har uss chij ka badla le liya hai jisse kabhi tumari vajah se kissi ko bhi pareshani hui hogi….


Shetan: Mujhe maar dalo, maar dalo mujhe….. Mere bête ko tu tumne maar diya ab mujhe bhi maar dalo…..


Shubham: Shetan ki baat sun SHubham jor jor se hasne laga…… Hahahahaha…. Maar dalu tumhai….. Nahi Shetan ya kabhi nahi hoga,,,,,, Tum apne bête ki maut ka badla lene aur uske saath jo hua usse yaad karke tadapoge vo hai tumhari saja…… Aur tum cahaiye kitni bhi koshish karlena, par agle 10000 saal tak tum har pal har shan apne bête ki yaad mei maroge, par tumhai maut nasib nahi hogi, aur tab tumhai samajh aayega tumne aaj tak jo logo ka saath kara usse unhe kitna dukh hoga…..


Shubham: NV8 jaao yaha se chale jaao aur jaakar apne Malik aur Draco ka paltu kutte Nicaroo ko kehana, jada fadfadane ki jarurat nahi hai….. Mei jaldi hi uski duniya mei aakar uska samna karunga…… Mujhe dhundne ya maarne ka liye usne apne jo gadhe bheje hai unhe vapas bula le…..


Aur ha ek baat aur yaad rakhna aaj ka baad yadi tum mujhe kabhi bhi kahi bhi mil gaye toh vahi tumhari jindagi ka aakhri din bhi hoga,…..


Iske baad Shubham ka ishare par White Eagles na Shetan ka sharir mei se uski saari Kaali shaktiya sok li….. Aur vo White Eagles Shetan ko lekar kahi dhur fek diya…..


Place : Earth….


Yaha humare Raja sahab saara din bus Aaliya ki kahi baat ka baare mei sochte rahe…… Usse ya samajh nahi aa raha tha ki aakhir Aaliya na itni badi baat usse kahi hai iska matlab koi hai jo bhut Shakti shali hai….. Par kun hai vo……


Abhi Raja issi udhen bund mei laga hua tha…… Achanak hi uske dimak mei kuch aaya aur usne bina der kiye ek call kar diya…..


Raja: Sun ek ladki ki photo bheji hai uske upar saaye ki tarah najar rakho….. uski har movement ki khabar cahaiye….. Par yaad rahe usse kuch nahi pata chale….. Saali bhut tej hai….


Samne se: ……………


Raja: Thik hai,…. Kaam hone par mei milta hu tujhc…..


Raja: Agar mei sahi soch raha hu toh jaldi hi mei ek teer se 4 shikar karunga……


Chaliye dosto hum isse yahi chodte hai, kyunki na jaane humare Raja ka dimak mei kya aaya hai…. Par job hi aaya hai uska pata hume jarur chal jaayega par aage ka updates mei…..


Idhar Aaliya ghar se nikalne ka baad siddha vahi gayi jaha Shubham na usse training karne jaane ka liye kaha tha….. Aaliya jab vaha pahuchi toh uske samne ek instructor khada tha…..


Aaliya: Kon ho tum…..??? Aur yaha kaise aa gaye…..???


Instrcutor: Mei tumhara instructor hu aur Shubham na hi mujhe tumhai tumhari initial training mei tumhai guide aur help karne ka liye bulaya hai….. Mera parichay mei aapse baad mei kar lunga, filhal hum aapki training suru karte hai, kyunki abhi humare pass samaye kam hai…..


Aaliya: Thik hai…. Par meri training hai kis chij ki…..???


Instructor: Shubham na aapko Martial Arts aur aapki body ko majbut karne ka liye kaha hai, so hum vahi se suru karte hai…..


Aaliya: Martial Arts mujhe aate hai,…. Aur mei World Champion hu usmei…..


Instructor: Chaliye toh fir aap aur mei ek fight karte hai, jisse pata chal jaayega ki aap kitni best hai…..


Aaliya: Thik hai mujhe koi dikat nahi hai…..


Iske baad suru hua Aaliya aur Instructor ka bich ek mukabla…..


Iss Mukabale mei kya hua aur aage Shubham jab apne dosto ka pass jaagega toh kya hoga ya jaane ka liye bane rahe aapki apni kahani par…… Aapke valuable comments ka intezar rahega…..


Stay Tunned….
Jaisi karni waisi bharni to jaisa shaitan ne doosro ke sath kia waisa hi uskonreturn mila aur aaj shubham ki maa ka kaha vachan sathya hua aur usne apne baap ki maut ka kia khoob badla liya hain. Idhar Raja apna game khel raha hai taki shubham ke ghar ko nuqsan pohcha sake. Dekhay isko kaisay munh tod jawab deta hain
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Acme

Well-Known Member
2,006
2,082
158
Bahut hi badhiya update bhai..
Keep rocking
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

sonukale

Well-Known Member
6,081
6,697
143
Ate he hahakar macha de ap ne bhai Lajawab story
Waiting for next update
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in
253
621
108
Shandhaar update bro
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Acme

Well-Known Member
2,006
2,082
158
Waiting for next update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Shubham

Member
358
2,151
123
Update 82

Pichle update tak aapne dekha ki Shubham na Shetan ko na sirf haraya bulki usse essi saja di hai ki vo aane vale samaye mei bhi usse nahi bhul sakega….. Vahi dusri taraf Earth par Aaliya na Raja ko dhamka diya jiske badle Raja na apne hi logo ko uske piche laga diya hai….. Vahi Shubham na Aaliya ki Training ka liye ek instructor ko bhi appoint kara hai,,,,,,


Ab Aage…..


Aaliya Instructor ka duwara di gayi chunauti ko swikar karti hai aur dono ander bane Martial Arts Practice room mei jaate hai jaha sabhi chijo ko phele se hi puri tayari karke rakhi hui thi…..


Instructor: Toh Aaliya kya tum tayar ho……


Aaliya: Mei humesha hi tayar raheti hu esse chijo ka liye…… Aaj mei tumhai hara kar apni 101 vi jeet hassil karungi…..


Iske saath hi suru hota haidono ka bich Martial Arts ka ek mukabla….. Mukable ka suru hote hi Aaliya na uss Instructor ka upar humla suru kar diya….. Vo puri tarah se attacking khel rahi thi…… Par Instructor toh Aaliya se bhi jaada sanki tha…. Vo bhi attacking hi khel raha tha…. Dono hi ek dusre par humla kar rahe tha…. Par dono ka humle mei kuch antar tha….. Jaha Aaliya lagatar Instructor par power se marne ki koshish kar rahi thi, vahi Instructor Aaliya ka upar har bar kuch dheere aur kuch power humle kar raha tha…..


Aaliya nab hut koshish kari par vo Instructor ko ek baar bhi nahi maar saki….. Vahi Instructor na Aaliya ka kaafi chote pahucha di thi, jiski vajah se ab Aaliya aur ladne ka layak nahi rahi thi….. Aur Instructor ka ek punch ka saath hi vo jamin par gir gayi aur behosh ho gayi…..


Instructor: Aaliya ka behosh hone par usse hassi aa gayi……. Jaisa socha tha vaisa hi paya….. Aakhir hai toh uss Rajye se na jaha koi kabhi ladne se mana nahi karta hai….. Vo Aaliya ka cehare par ek jug se paani daalne lagte hai…..


Aaliya: Uske upar paani girne se vo hosh mei aa jati hai, par ab usmei itni bhi jaan nahi bachi thi ki vo uth kar baith sake…..


Instructor: Usne aage badkar Aaliya ko uthaya aur usse vaha maujood ek chair par baitha diya….. Usne pass padi table par rakhe ek glass ki taraf ishara kara aur bola isse pee lo….. Tumhai job hi dard hai sharir mei vo sab kaafi had tak kam ho jaayega…..


Aaliya: Usne vo glass utha kar jaise hi apni naak ka pass liya, usse uski smell kuch mare hua chuha (Rat) ka jaisi lagi…. Aur usne usse apne se dhur rakh diya….. Chhheee Ya kya hai….. Tum mujhe Mara hua chuha ka soup pila rahe ho…..


Instructor: Ya koi mare hua chuha ka soup nahi hai….. Ya ek khaas jadi buti hai jisse insan ka sharir ka saare dard shan bhar mei hi khatam ho jaati hai…. Usne vo glass uthaya aur jabardasti usse Aaliya ko pila diya…..


Aaliya: Vo sara peene ka baad usse essa lagne laga ki vo abhi vomit kar degi….. Par kuch seconds ka baad hi usse apne sharir mei uth rahe dard ka ehsaas hi khatam sa mehsoos hua….


Ya kaise ho sakta hai…. Abhi toh meri body mei itna pain tha aur ab jaise saara pain hi gayab ho gaya hai….


Instructor: Aaliya essa bhut kuch hai jo abhi tum nahi janti ho, vaise ab bhi mere se sikhna suru karogi ya fir ek baar fir se mukabla ho jaye…..


Aaliya: Nahi ab toh mei aage aur sikhna cahati hu….. Tum sach mei bhut hi ache se ladte ho…. Mujhe bhi apne jaisa ladna sikha do….


Vahi dusri taraf Ajnabi aur Aadmi2 aapas mei baat kar rahe tha…..


Aadmi 2: Aakhir tumhare dimak mei chal kya raha hai,,,,,???


Ajnabi: Mere dimak mei kya hai ya toh tumhai baad mei pata chal jaayega, par phele ya batao ki kya tumhai uss Nitin ki Singhaniya Pariwar se dushmani ka karan pata chala ki nahi…. Mei jaana cahata hu ki aakhir uski dushmani kitni gheri hai….. Vo humare bhut kaam aa sakta hai…..


Shubham ko harane aur uske pariwar ko taklif dene mei ek alag hi maja aayega……. Uski aankho ka samne uske apne ko tadpa tadpa kar maarunga, par usse phele uski saari taqat ko mei chus lunga…..


Aadmi 2: Tum pagal ho gaye ho kya….??? Tum jante ho na uske Pariwar ki suraksha karne ka liye Mishi aur uske log 24 ghante unke upar baaj ki tarah najar rakhe hua hai….. Har vyakti ka piche 2-2 jane hai…..


Abhi vo bolna band hi karat ha ki ek aadmi ander aata hai aur Aadmi 2 ka kaan mei kuch kaha kar chala jaata hai….


Aadmi 2: Lo ho gaya kalian b sab yahi baaki raha gaya tha…..


Ajnabi: Kya ho gaya ab….???


Aadmi 2: Tum jante ho na Raja ko usne kissi tarah Singhaniya Mansion mei apni jagah bana li hai aur uske 2 aadmi bhi ab Aaliya ka piche lag gaye hai….. Raja ko na jaane ab Singhaniya Pariwar se kya dushmani hai…..


Ajnabi: Ya toh achi khabar hai humare liye….. Agar Raja Singhaniya ka Pariwar mei ghus gaya hai toh fir hume Nitin tak pahuchne mei jaada samaye nahi lagega…… Ab aayega Maja, kis kis se bachata rahega apne Pariwar ko Rakshak….. Aur duniya aur Pariwar ka bich kisko chunta hai par ya baat pakki hai ki usse kissi ek ko khona hi hoga…. Ya toh apne Pariwar ko ya fir apni Rakshak ki Shaktiyo ko…..


Suno ek kaam karo, kaise bhi Raja tak ya khabar pahuchao ki mei usse milna cahata hu…..Jaldi se Jaldi aakar mile… Ab suru hoga khel…..


Place: Hotel Burkadiya, India


Iss hotel ka ek kamre mei do log baithe baate kar rahe tha….. Ya do log hai Nitin aur Neeta….


Neeta: So Mr. Nitin tell me, aap kyu milna cahate tha aur aapke pass essi kya business deal hai humare liye….???


Nitin: See Miss Neeta mei ya ache se janta hu aap log Singhaniya jaha rahete hai uss gaav mei invest kyu kar rahe hai, taaki aap log ek acha aur bhut bada vaha IT park develop kar sake…. Mei ya bhi jantahu aap logo na vaha Nirmala Thakur se unki ek bhut badi jamin ka tukda bhi le liya hai iss kaam ka liye…..


Neeta: Dekhiye faltu time waste mat kariye aur job hi deal hai siddha uspar aa jaye, humari company kya kar rahi hai aur kya sochti hai ya mujhe aapse jada ache se pata hai….


NItin: Thik hai as you wish, so deal ya hai ki mei aapko Singhaniya Business ka har quotation ki rate bataunga uss har business aur projects ki jismei SAW already established hai aur saath hi unki bhi jaha SAW established nahi hai jiski vajah se SAW family easily sabhi contracts achieve kar sakegi………


Neeta: Hummm I can see, but tumhai iske badle kya cahaiye ya batao…. Because jab tum mujhe itni badi aura chi deal de rahe ho toh tumhai bhi kuch bhut khaas cahaiye hoga mujhc…..


Nitin: SInghaniya’s ka business kuch samaye mei hi khatam aur vo log apna loan amount nahi chukka sakege, jiski vajah se unki Haweli nilam ho jaayegi, toh mei bus uske badle mei ya cahata hu ki tum uss Haweli k kharido aur usse ek Hotel mei convert kardo….


Neeta: No, No No No….. Ya deal nahi ho sakti hai, because tumhai deal ka badle mei kuch bhi nahi cahaiye ya kaise ho sakta hai…..


Nitin: Kisne kaha mujhe kuch nahi mil raha hai… Mujhe vo mil raha hai, jisse paana bhut mushkil hai iss duniya mei aur vo hai sukoon….. Unki barbadi hi mera inam hai iss deal ka badle….. Agar tumhai deal manjur hai toh ohk otherwise mei kissi aur ko ya offer de deta hu….. Ismei tumhara bhut profit hai….


Neeta; Ohk, mujhe manjur hai….. But on two condition…..


Nitin: Kya condition hai….???


Neeta: Pheli condition hai tumhai mere saath ek cup coffee peeni hogi aur dusri ya hai ki tumhai mujhe Singhaniya family se dushmani ka karan batana hoga….


Nitin: Sorry, mei aapki pheli condition aur dusri condition dono ka liye ready nahi hu….. Kyunki mujhe aapki shart maane ki koi jarurat nahi hai….. Fayda aapko hai but agar aapki koi conditions hai toh ya deal cancel…..


Neeta: HHmmm nice attitude…. Vaise agar mei yahi sab baat mei Singhaniya Family ko bata du toh kya hoga….???


Nitin: Kuch nahi, vo log aapko fraud samjhega….. Meine apna colour already itna chada diya hai ki koi bhi aapki baat par bharosa nahi karega…..


Neeta: Interesting……. Chalo mujhe tumhari deal manjur hai without condition, but agar tum apni baat se badal gaye toh I promise mujhe Singhaniya family ko yakeen dilane mei ki tum kun ho aur kya cahate ho jada problem nahi hogi… Because I am best in this business….. Now you may leave….. Mere Assistant tumhai call karke apna no. bata dega uske touch mei hi rahena…..


Nitin idhar se nikal gaya…..


Neeta: Rascal, bhut pahucha hua hai,….. Saale na sab kuch phele se bhut ache se plan kar rakha hai…… Isse kamjor samajhna SHubham ka liye pareshani bada sakta hai….. Samajh nahi aata hai ki aakhir ya chij kya hai….??? Na koi background aur na hi koi jaane vala….. Aakhir ya bala aayi kaha se hai….. Aasman se gira hai ya dharti se nikala hai…..


Tabhi vaha ek awaj aati hai…..


Awaj: Dono se bana hai ya….


Neeta: Awaj sun Neeta shock mei pahuch jaati hai….. Kyunki vo ya toh jaanti thi ki awaj kiski hai….. Par uske liye ya jaana ki Nitin normal insan nahi hai bhut shocking tha….. Nahi agar ya vahi hai toh iske saathi bhi dharti par azad ghum rahe hoge….. Duniya ka liye iska azad ghumna bahut khatarnak hai….


Place: Magical City….


Shubham: Mei gayab hokar uss jagah pahucha jaha MM, Guruji aur mere dost tha…. Mei vaha pahucha toh vaha sabhi maujood tha sirf ek Narshiya nahi thi, jisse Elika na sula diya tha apne magic se, jisse vo thodi shant ho sake….


Mere vaha pahuchte hi MM aur unke unke Rajye ka sabhi log sar jhuka diye mere samne…..


MM: Duniya ka Rakshak ko MM ka pranam…… Aapne humare Rajye ko uss dhust Shetan se azad kara kar hum sabhi logo par ek bahut bada ehsaan kara hai….. Hum sabhi humesha aapke rini rahege…..


SHubham: MM abhi Magical City puri tarah se azad kaha hui hai…… Yaha abhi bhi Shetan maujood hai jisse Magical City aur uske logo ko khatra hai….. Aur na sirf yaha ka logo ko, bulki iss puri duniya ko hi usse khatra hai…..


MM: Par ya kaise ho sakta hai….??? Hume toh Shetan ka alawa kissi aur ka baaremei nahi pata hai….. Kun hai vo aur kaha hai vo….???


Shubham: MM aap bahut ache se jante hai usse….. Aap bus usse pehachan nahi paa rahe hai…..


Guruji: Tum kiski baat kar rahe ho Shubham….. Kun hai vo, jiska khatra abhi bhi Magical City par bana hua hai….


Shubham: Kyu MM bata du kun hai vo jiska khatra aapke upar hai….???


MM: Ha Ha batao na kun hai vo jisse hume khatra hai….


Shubham: Vo Shetan jo abhi bhi Magical City ko nuksaan pahuchana cahata hai vo hai MM…..


Sabhi log ya baat sunkar shock ho gaye, ismei MM bhi tha…..


MM: Ya kya bakwas kar rahe ho…..?? Magical City ko mei kyu nuksaan pahuchaunga….. Mei toh khud itne saalo se yaha apni prja ka bich dar kar raha raha hu….


Guruji: Ha Shubham MM ko iss Jagah ka Raja yah aka khud purine Maharaj na banaya tha…. Toh fir ya Magical City ka liye khatra kaise ho sakte hai….


Shubham: Guruji mei ya sabit kar deta hu ki mei jhut nahi bol raha hu….. Ya kaha kar Shubham apni aankhe band karta hai aur uske haath mei ek pathar aa jata hai….. Guruji ya pathar khaas shaktiyo se bana hai….. Jaise hi koi Shetan isse chuyega uske saath hi uski maut ho jaayegi……


SHubham: Mei apni kahi baat ko sach sabit karne ka liye mei ek shetan ka sainik ka mara hua sharir lekar aaya hu….. Mei isse uskehaah se chua aur vo vahi jal kar raakh ho gaya…..


Shubham: Ab aapki baari MM….. Sabit kar dijiye ki aap sahi hai aur mei galat…… Mei dil se cahata hu ki mei hi galat nikalu…..


MM: Nahi aaj mei nahi marunga, marega toh ya Rakshak…… Phele iski Maa na humari Naak mei dum kar rakha tha aur aaj isne…..


Jaane ka liya ki aakhir SHubham ko ya sab kaise pata chala aur MM ko aage kya karta hai ya sabhi jaane ka liye abne rahe aapki apni kahani par …..


Stay Tunned……
 
Top