• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Shubham - Ek Rakshak ya Bhakshak

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
39,707
100,721
304
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Shubham

Member
358
2,151
123
Summary Part 2

Jaisa ki aapne pichli baar padha ki Shubham Dharti par jaata hai apne Pariwar ko milna jaha Dharti par uske do sabse bada dushmano ka khaas shaks Nicaroo aur Gujaral intezar kar rahe hota hai….. Dharti par jaate hi Shubham ki saari shaktiya kaam karna band kar deti hai kyunki dharti par ek vishesh prakar ka jaadu hua hai jiske chalte vaha kisi bhi prakar ki shaktiya kaam nahi karti hai….. Dharti par keval vahi jaadu kar sakte tha jo ya toh Magical City se ho ya fir vo Sword of Destruction ki suraksha karne ka liya janam liya ho…..


Sword of Destruction apne aap mei ek khaas shakti hai jiska kaam hai vinash karne ka….. Ya ek essi shakti hai jisse kisiko bhi pal bhar mei hi khatam kar diya jaa sakta hai aur usse bachane vala koi nahi hoga….. Sword of Destruction ko hassil karne ka liya Shubham ko Magical City ka jungle mei jaana pada jaha pahuchne ka liya Shubham ko Magical City mei raaj kar rahe shetan ko harana pada aur uske baad hi vo vaha pahuch saka……


Vahi dharti par Shubham ki jagah entry hui ek essa shaks ki jo Shubham ko nuksaan pahuchana cahata tha, islye usne Dharti par Shubham ki jagah khudko ko uske pariwar ka bich mei jagah di aur sabhi logo se Shubham bankar milne laga….


Ghar mei Aaliya ki mulakat Shubham se hui jaha usse ya baat pata chali ki Shubham asli kon hai aur ghar par jo hai vo Shubham ki jagah ghar ka logo ko nuksaan pahuchane ki koshish kar raha hai….. Issi bich sahi Shubham na Aaliya ko dhyan mei baithne ka liya kaha jaha se vo pahuch World of Dream mei ek essi jagah jaha se Aaliya ko uski purani yaade milne vali thi……


Aaliya ka dhyan mei baithne ka saath hi vo kuch samaye mei World of Dreams mei pahuch gayi, par uska ya safar behad aasan nahi tha…. Usse iss safar mei chunauti mili usse jisse sabhi Nitin (Nakli Shubham) ka naam se jante hai….. Usne Sapno ki duniya mei Aaliya ko bhatka diya aur usse uss taraf bhej diya jaha par agar Aaliya kaid ho jaati toh usse vaha se kabhi nahi laya jaa sakta tha…..


Aaliya ko bachane ka liya Shubham ka pass keval ek hi rasta bacha tha aur vo tha apni Sword of Destruction ka tyaag kar uss Dream world mei enter karna aur Aaliya ko sahi salamat nikalna aur Shubham na vahi kiya jiske fal swaroop Shubham se uski Sword dhur ho gayi….


Shubham aur Aaliya Dream World se bahar toh aaye par bahar aane ka turant baad hi dono behosh ho gaye jiska karan tha kamjori….. Inn dono ko Dharti se sahi salamat nikalne ka liya Elika ki madat kari Glimo na….. Glimo Shubham ka dost hai dusri duniya ka jiske saath Shubham na apne bachpan ka kuch samaye bitaya tha, vaise Glimo asal mei ek Jinn hai, par vo abhi tak duniya ka samne ek dum simple raheta tha…..


Khair ek baar firse dharti se dhur dusri duniya mei pahuch kar Shubham na kuch plans draw kare apne dimak mei aur unke hissab se hi aage badne laga jiske liya usne apne kul 8 roop ( 7 clone aur ek Original kare) unn sabhi aatho ko usne alag alag duniya mei bhej diya jo alag alag jagah uske liya alag alag kaam kar rahe tha…..


Yahi issi bich ek aur badi heran karne vali baat hui aur vo ya ki ek Shaitan na Elika ko kaid karne ki koshish kari, aur uske badle apni beti ko Shubham ko nuksaan pahuchane ka liya bhej diya, par uska pata Shubham ko chal gaya tha aur issi vajah se Shubham na uss shaitan ko khatam karne ka liya ek khaas laal pathar ki jarurat thi jo usse mila Roop Nagar mei…..


Roop Nagar ek essi jagah thi jaha Shubham ka samna Roop Nagar ki Rani se hua jo duniya mei sabhi ko kaid kar apna gulam bana leti thi, par ya baat alag thi ki ya sab kuch usse karwaya gaya tha jabki vo khud bilkul saaf dilki thi…..


Roopnagar mei Shubham ko Laal Pathar ka alawa ek teer Kaman bhi mila jo ki usse aage kaam mei aane vala tha…… Iss safar ka bich Shubham ki mulakat hui Guru Trajang ka sabse bada putr se jinse Shubham ko ek khaas gyan hassil karna tha jisko sikhne ki jarurat kyu hai ya abhi usse nahi pata thi aur usse kaha gaya tha ki ya gyan vo khud tak rakhe aur jab sahi samaye hoga iska karan usse samjha diya jaayega……


Laal Pathar lekar Shubham pahuch Andheri ki duniya ka sabse chota grah par jaha par kaid kiya hua tha Elika ko….. Vaha jakar Shubham na Elika ka roop mei kaid hui Kimya ko bachaya aur Shaitan ki beti ko maut ka ghaat utar diya….. Par iss youdh ka bich ek behad badi baat hui, Shaitan na Aaliya par humla kiya jisse usse choti sic hoot aa gayi, jisse dekh Shubham apna aapa kho baitha aur ban gaya vo jiske naam se hi saare sansar mei hadkamp mach jaata tha….


Shubham mei kaid bhakshak ka janam hua aur uss bhakshak na uss pura grah ko hi jala daala aur Shaitan ka sharir ko uske sar se alag kar diya, usne uss sar ko iss tarah se faika jo jakar siddha gira Imosopher ka pair mei jisse dekh Imosopher aur uski Maa dono hi behad khush hua….. Essa kyu iska reason aage mil jaayega…..


Vahi Shubham iss sabke baad behosh ho gaya,,,,, Jab aankh khuli toh usse sab yaad aaya aur usse samajh aaya ki vo kya se kya ban gaya hai….. Par fir uske ander base bhakshak ki awaj aayi (Jisse abhi tak hum bs awaj ka naam se jante hai….) usne Shubham ko samjhaya aur jo hua usko face karne ka liya bhi kaha…..


Uss awaj na Shubham ki kaafi madat bhi kari usse Guru Trajan ka dusre bacho se gyan prapt karne mei, vahi Shubham ki badti takat ko dekh Draco na ek nayi chaal chali aur usne ek essa kida ko Land of River and Mountain mei bheja jisne dhere dhere karke saari jagah ko sada diya…..


Ab Shubham uss jagah ko bachane ka liya nikala par usse phele usse ek dusri Shiksha ka adhyan karna jaruri tha islye usne baaki sabhi ko vaha bhej diya aur khud pahuch gaya dusri jagah jaha usne aag ko niyantran karna sikha jiski vajah se vo tej lava jaisi agni mei bhi jal na saka…..


Apni Shiksha ko khatam karke SHubham Pahucha Land of River and Mountain jaha Shubham ka intezar kar raha tha Blue Dragon jo uske armor ko uski asli takat pradhan karne vala tha….. Iss bich Shubham ka saath clone mei se ek clone ki maut ho gayi thi aur ek clone Earth par tha…. Ab bache hai 6 clone aur ek Shubham khud…..


So friends this is the story so far….. Ya ek small aur quick overview hai story ka abhi tak….. Bus aaj se hi hum naye updates shuru kar dega…..
 

Mathur

°◥◣_◢◤°
1,063
3,077
143
bhai plot ko dobara revise krane ke liye and story ka overview dene ke liye bahut bde vala thank you
bhula toh nhi tha story but itne time baad ek overview toh bnta ho tha
ab bs update ka wait rhega jo mjedar hi hoga

YOUR REGULAR READER
 

Shubham

Member
358
2,151
123
Update 101


Pichle update tak aapne dekha ki Shubam apne dusre lakshay par jata hai aur jaha vo ek nayi chij sikhta hai, jiske jariye vo ab agni ki uss usham taap ko bhi seha sakta hai jiske ander Loha bhi shan bhar mei pighal jaaye, saath hi usse dusre rahasiye ka bhi pata chal gaya…. Jiske baad Shubham pahucha Land of River and Mountain…..


Ab Aage….


Shubham: Jaise hi mei Land of River and Mountain gaya saari jagah jaise bhukamp aa gaya ho, vahi mujhe apne ander badi bechaini si lag rahi thi, mujhe essa lag raha tha jaise mere sharir ka kuch hissa mujhce alag hua ho gaya hai tha aaj vo mujhe vapas mil raha hai…… Mai ya samajh gaya tha ki ho na ho mujhe essa Neele Dragon ki vajah se hi mehsoos ho raha hai…. Meine apni aankhe band karke, thoda intezar karo tumse milne jaldi hi aaunga…..


Meri baat khatam hone ki deri thi ki aasman mei tej bijali kadakne lagi aur dekhte hi dekhte Land of River and Mountain mei behad hi tej baarish hone lagi……. Vaha maujood sabhi log bina mausam ki baarish ko dekh achambe mei pad gaye, kyunki aaj tak vaha kabhi bina mausam barish nahi hui thi…..


Sabhi Mantri Mahal mei Maharaj ka samne iss samaye par upasthit tha, aur apne Rajye mei aayi itni badi vipada se rajye ko azad kaise karaya jaaye iski manthana kar rahe tha, iss bina mausam ki barish ki vajah se Raja aur Iszy dono ka cehare khil gaye…. Vahi sabhi Mantri unhe dekh kar samajhne ki koshish karne lage ki Raja aur Rajkumari kis baat par itna prasan ho rahe hai…..???


Mantri: Maharaj aap iss bina mausam ki barish ko dekh khush ho rahe hai, jabki humare rajye mei aajse phele kabhi essa nahi hua……???


Maharaj: Hum jante hai Mantri ji, par humari khushi ka karan dusra hai….. Ya bin mausam ki barsat iss baat ka sandesh de rahi hai ki humare Rajye ki khoyi hui sundarta aur khyati ek baar punha laut aayegi, kyunki humari dharti par aaj Rakshak aa gaye hai jo hume iss sankat se mukti dilayega…… Ya bin mausam ki barish Neela Dragon na ussi khushi mei kari hai…..


Mantri: Kya Rakshak, par Maharaj…..


Maharaj: Mantri ji, aap bus jaaye aur Rakshak ka swagat ki tayari kare….. Aaj hum cahate hai ki saare nagar vale humari duniya ka Rakshak ko na sirf dekh le, saath hi saath unke man mei jo ek chote se kone mei Imosopher ka bhaye jagah banana laga hai usse bhi humesha humesha ka liye samapt kar diya jaaye…..


Mantri: Jaisi aapki aagya….


Idhar mei api jagah se Mahal ki disha mei aage bad gaya, kyunki Mahal mujhc jada fasle par nahi tha aur mei apni aankho se Mahal ko dekh sakta tha….. Neela Unicorn ki madat se Mehal pahuchne mei sirf itna hi samaye laga jitna ki ek baar aankh band karke kholna mei….. Jaise hi mei Mahal ka mukhya darwaje par pahucha toh mere samne Iszy aur uska Pita dono hi tha aur unke saath mere sabhi dost aur Mahal ka sabhi Mantri bhi…..


Maharaj: Rakshak aapka iss choti si nagari mei swagat hai….. Maaf kijiyega aapke swagat ka liya iss samaye humare pass kuch nahi hai…….


Shubham: Pranam Maharaj, aap essa kahe kar mujhe sharminda kar rahe hai…. Kyunki iss khubsurat aur atyant lubhane wali duniya ki raksha ka dayatv mera hi tha jisse mei sahi se nibha nahi saka, par aapse aur aapke sabhi logo se wada hai mera ki unhe unki vahi sundar aur man ko bhaa jaane vali duniya ek baar firse unhe milegi….


Maharaj: Huma iss baat par koi sandhaye nahi hai Rakshak…. Aap ander aaye…..


Shubham: Abhi nahi Maharaj, abhi iska samaye nahi hai…. Abhi jisne bulaya hai usse milu aur jiska aakhri samaye aa gaya hai usse bhi thodi mulakat ho jaaye uske baad hum sabhi behad aram se aapke athiti satkar ka anand lega….. Abhi mujhe aagya de….


Iszy: Hum bhi chalega saath mei…..


Maharaj: Nahi Beta, vaha sir inke alawa koi kadam nahi rakh sakta hai…. Aur aap saath gaye toh ho sakta hai Neela Dragon inhe kabhi mila hi nahi…. Iske chalte inhe akele hi jaana hoga….. Rakshak hum sabhi aapka intezar karega…. Aap phele jo jaruri hai usse purn kare….


Shubham: Aankh band karne ka saath hi vo vaha se gayab ho gaya aur pahuch gaya uss pahadi ka pass jaha se usse aage jana tha….. Kya hua dost tum aage kyu nahi chal rahe ho….???


Unicorn: Mei iss pahadi par nahi jaa sakta hu…. Yaha se har kadam tumko hi aage badana hai…. Jaisa Maharaj na kaha tha, Neela Dragon sirf tumse milna cahata hai aur uski icha ka virudh koi usse nahi mil sakta hai iss sansar mei…..


Shubham: Hmmmm, toh Neela Dragon ki icha ka sabhi samaan karte hai, par essa kyu…..???


Awaj: Hahahaha, iss duniya mei koi kissi ka samaan nahi karta hai…. Iss duniya mei sabhi log darte hai aur usse hi izzat deta hai…Neela Dragon se ya saari duniya darti hai aur issi vajah se uski icha ko sabhi mante hai…..


Shubham: Toh tumhara kahane ka matlab hai ki iss duniya mei jo log mujhe samaan deta hai, vo islye kyunki mei takatwar hu…. Islye nahi kyunki mei acha hu….


Awaj: Bilkul sahi, tum khud socho jab tak school mei tumhare saathiyo ka alawa kissi ko ya pata nahi chala tha ki tum kya ho kon tumhai apne barabar samajhta tha…. Essa iss duniya mei humesha se hota aaya hai…. Log Bhagwan aur Shaitan dono ka samne mastak tikate hai par apne lalach aur unke dar se, na ki unke samaan mei….


Log bhagwan ko bhi toh laalach hi deta hai, mera ya kaam karde mei tujhe itne ka Prasad chadaunga, mei tera mandir banwa dunga and etc etc…. Agar tum sache man se bhagwan ko mante ho toh phir cahaye tumhai dukh mila ya fir khushi par tum dono hi paristhiti mei bhagwan se bharosa nahi khoge…. Essa hi shaitan ka saath hai….Ha par kuch essa bhi hota hai, jo iss kaarye ko puri nishtha se karte hai aur vo sache aur ache hota hai…..


Shubham: Sach mei yaar, tum kon ho mei nahi janta par tumhari soch sach mei behad unda hai…. Tum behad acha aur saaf sochte ho…..


Awaj: Chalo ab samaye mat kharab karo aur Neela Dragon ki pahadi par kadam rakho….


Shubham: Meine jaise hi uss pahadi par apne kadam rakhe uske saath hi kahi dhur se udhta hua mera armour aa gaya aur mere sharir par apne aap aakar set ho gaya…. Usse dekh mera cehare ki muskurahat bad gayi, kyunki ya baat mujhe awaj na bata di thi ki armor mere sharir par apne aap aa jayega…..


Kuch dhur chalte hi mei gayab ho gaya aur pahuch gaya uss pahadi mei bani ek gufa mei…. Ek essi gufa jiske ander jaane ka rasta itna chota ki uske ander se chiti ka jaane mei pareshani ho, aur ander se itni badi ki dekhna vala bus dekhta rahe par samajh na sake ki iska anth kaha hai….


Gufa ka ander jab meine charo taraf dekha toh vaha par sabhi taraf bus Kaali aur Neeli Roshni faili hui thi… Ya roshni aur kuch nahi Neela Dragon ka duwara banaya gaya do bhaag tha uss gufa ka ander….. Jaha ek taraf uski White Energy ki shaktiya thi aur dusri taraf uski Black Energy ki shaktiya thi…..


Abhi mei unhe dekh raha tha ki achanak mere samne ek Behad Vishal Dragon na jaane kaha se udhta hua aaya…. Usse dekh ek baar mei chauka aur picha hua…. Vo Dragon mera samne aakar utra aur usne apna rooj badal kar ek insaan ka kar liya….


Dragon: Shubham mujhe sadiyo se tumhara hi intezar tha…. Tumhari Maa na meri jaan bacha kar mujhpar jo ehsaan kiya tha, uske chalte ab samaye aa gaya hai ki mei unki aakhri icha ko puri karu aur uske baad apne jeevan ko tyaag saku….


Shubham:Kya meri Maa na aapke samne apna praan diya tha….


Dragon: Ha inhi haatho mei tumhari Maa na apni jaan di thi… Vo behad hi nek dil thi….. Jab saari duniya dragon ko khatam kar rahi thi, uss samaye tumhari Maa na mujhe ek chota se bache mei badal diya aur khudka saath rakha…. Jab mei bacha bana uske baad unhone mujhe vahi samaan diya jo ek Maa apne beta ko deti hai… Har samaye mere aage piche ghumti thi aur mujhe khush rakha karti thi…..


Shubham: Sabhi meri Maa Trisha aur Nabila ka liya yahi kahate hai….


Dragon: Shubham tumhai abhi gyan ki jarurat, tumhai jaldi se jaldi ek safar par jaana hoga……


Shubham: Kaisa safar…..???


Dragon: Iss safar ki shuruvat mei tum apna pichla sab bhul jaoge….. Agar tum aakhir tak pahuch gaye toh tumhai sab yaad aayega aur agar nahi toh tum kabhi bhi apna pichla nahi yaad kar sakoge….


Shubham: Vaha mujhe kya milega essa….??


Dragon: Yaade jo tumhare liya behad mehatpurn hai, jisse tumhai gyan milega…… Meri ek baat humesha yaad rakhna, kabhi ya mat sochna ki tum sabse mahir ho aur tumhai kuch sikhne ki jarurat nahi…… Humesha sikhne ki laalsa rakhna aur humesha gyan dena vala ka samne aadar se apna sir jhukana…. Kyunki koi na koi gyan kabhi na kabhi tumhare jeevan mei kaam jarur aayega…..


Shubham: Mei iss baat ko humesha yaad rakhunga….


Dragon: Ab samaye aa gaya hai jo tumhara hai usse tumhai vapas saupne ka…… Aur ya kaha kar Dragon ek baar firse apne vikral roop mei aa jata hai aur apne muh se aag mere upar barsane lagta hai…. Uske muh se nikali aag mujhe koi hani pahucha rahi thi, par uske alawa uss pahad aur vaha ki har chij puri tarah uss aag ki vajah se pigal rahi thi…. Pahad ka bade bade chatan aur vaha ka paid paude sab kuch khatam ho raha tha…. Sab kuch uss aag se nikali garmi se hi pighal raha tha…..


Vahi dusri taraf Mahal mei maujood sabhi log mere jaane ka baad se hi uss disha mei hi dekh rahe tha jaha ka liya mei nikala tha…. Unhone mujhe jaate nahi dekha kyunki mei Unicorn ki madat se palak jhapakte hi vaha pahuch gaya tha, par unhe ya pata tha ki mei kis disha mei hu…..


Vo sabhi bade dhyan se uss taraf dekh rahe tha…. Kaafi der baad unhe vaha se behad hi adhik maatra mei dhua nikalta dikha aur vaha ki sabhi chije khatam hote dikhi, jiski vajah se vaha maujood kuch ko meri chinta satane lagi….


Iszy: Pitaji ya kya ho raha hai….??? Vo puri jagah toh jal rahi hai aur vaha ki sabhi chije bhi pighal rahi hai….???


Maharaj: Beta ya sab Dragon ki vajah se hai…. Dragon apni saari shaktiya Rakshak ko de raha hai, jiske chalte uski urja ki garmi ki vajah se vo saari jagah pighal rahi hai….


Willy: Toh usse Shubham ko kuch nuksaan nahi hoga kya….??


Maharaj: Nahi Rajkumar Wilson, unke armor uss saare taap ko apne ander samet lega, aur uss taap se hi armor ko vo shakti milegi aur vo puri tarah Rakshak ka sharir ka abhin hissa ban jaayega jisse unse juda nahi kiya jaa sakega….


Uss Armor par duniya ka behad bade bade jaadugaro ka humlo ka asar hoga uska alawa koi usse kabhi bhed nahi sakega…. Aap aur mei kitni bhi koshish karle, par humara koi humla unhe chu nahi sakega…..


Iszy: Iska matlab ab ladayi ka samaye nikat aa gaya hai…. Hum sabhi ko uske liya behad mehanat karni padegi….


Maharaj: Muskura jaate hai….


Iszy: Pitaji aap muskura kyu rahe hai….???


Maharaj: Beta jiss yodh ki tum baat kar rahi ho na uss yodh mei hum sabhi mei se koi kissi kaam ka nahi hai…. Vo yodh do behad Mahan shaktiyo ka bich hoga…. Unn do shaktiyo ka samne hum dhool ka uss karn ka saman hai jo humesha hawa mei raheta hai, par khudki chaap chodne mei saksham nahi hota hai jab tak usse hawa apni gati aur shakti pradan nahi karde, par fir bhi vo akela kuch nahi kar sakta hai, usse uss samaye bhi apne jaise aneko karn ki jarurat padhti hai….


Bus uss yodh mei bhi Shubham aur Imosopher naam ki do behad badi shaktiya aapas mei ladegi…. Hum sab bus darshak ka saman vo najara dekhega aur yahi prathna karega ki achayi ki burayi par jeet ho…. Sach ki jhut par….


Unki baat khatam hota hi jaha Willy ka dosto ka muh khul kar latak gaya, vahi Elika Alvace aur AS bus muskura diya….


AS: Maharaj aaj bhi aapke vyaktitv mei koi badlaav nahi aaya hai…. Jab aap shiksha grahan kar rahe tha tab bhi aapki soch humesha sabhi se alag thi aur aaj bhi……. Aapne sadgi ka saath ya baat kahe di ki yodh mei sab daav par laga hoga, par nuksaan sirf juva khelna vale ki jeet haar par nahi uska karm par hoga….


Willy: AS par hum Shubham ko akele nahi ladne dega, hum uska saath aakhri samaye tak dega….


Elika: Willy tum Maharaj ki baat sunkar samjhe nahi, Maharaj na hume dhool kaha hai aur Shubham ko hawa…. Shubham agar hum sabhi ko apni urja dega toh hum uske liya ladega aur agar nahi toh iska matlab hai ki vo cahata hai ki hum uski madat yodh mei na rahe kar kare…. Hum har haal mei uske saath hoga….


Baat yaha khatam jarur ho gayi thi, par Willy ka man mei kuch khatak gaya tha….. Usse Elika aur Maharaj ka javab mei behad antar dikh gaya tha…. Vo ab bus ya jaana cahata tha ki aakhir essa kya hai jo baaki kissi ko nahi bataya jaa raha hai aur kyu….??? Iss kyu ka javab ko jaane ka liya Willy aage kya kya karega ya dekhna padega, par usse phele hum log vapas chalte hai Shubham ka pass…..


Kaafi samaye tak Dragon mere upar apni shakti ko chodta raha aur aakhir mei vo ek baar firse aam insaan ka roop mei badal gaya….


Dragon: Tumhara armor ab tayar hai, ab tumhare upar kissi tarah ka chote mote jaadu aur hathiyaro ka asar nahi hoga…. Ab jab tak behad takatwar humla nahi hota tumhare upar tab tak tumhare iss armor ko koi bhed nahi sakega….


Shubham: Mei kuch puchu….???


Dragon: Ha….


Shubham: ABhi abhi tumne mujhe kaha tha ki jo tumhara hai usse tumhai dena ka samaye aa gaya hai, iska kya matlab tha…. Kyunki tumhari sabhi shakti meri kaise ho sakti hai, ya toh tumhari thi jo galti se tumhai mil gayi thi….


Dragon: Nahi meri Shaktiya White aur Black Dragon ka khatam hota hi samapt ho gayi thi…. Mujhe ya takat tumhari Maa na di thi aur mujhe iss duniya mei chupne ko kaha tha, taaki sahi samaye par tum aur mei mil sake aur mei tumhai jo tumhara hai vo de saku….


Shubham: Par sabhi log toh tumhare baare mei kuch aur hi kaheta hai….


Dragon: Kyunki unhe sach kabhi nahi bataya gaya tha…. Tumne iss duniya aur iske raaj ka baare mei aaj tak jo bhi pada aur suna hai vo sab kuch sach nahi hai…. Tumhai sach ko dhundna hoga aur apni aankhe humesha khol kar rakhni hogi kyunki yaha sab tumhari jaan ka piche pade hai….


Shubham: Par….


Dragon: Ab kuch nahi bol sakunga mera samaye khatam hua…. Tum bhi jao, ya jagah humesha ka liya khatam ho gayi hai…. Aur iske saath Dragon vahi par raakh mei badal jaata hai aur saath hi mei bhi gayab ho jaata hu….


Jaise hi mei piche mud kar dekhta hu, toh bus dekhta rahe jaata hu kyunki vaha koi pahad ya usse judi koi chij nahi bachi thi, bus ab vo puri jagah ek dum khaali thi…..


Unicorn: Dost humare pass samaye nahi hai, hume jaldi hi uss Kida ko khatam karna hoga varna ya jagah humesha ka liya barbad ho jayegi….


Shubham: Ha dost, par uske phele mujhe koi jagah cahaiye jaha shanti ho aur mei kuch der dhyan laga saku….


Unicorn: Ya lo, hum pahuch gaye…. Iss jagah koi nahi hai, na Hawa aur na hi koi aur chij jo tumhai pareshan kare ya tumhare dhyan mei baadha bane….


Shubham: Shukriya…. Aur uske baad mei dhyan mei baith gaya…. Mere dhyan mei jaane ka karan tha ki Neela Dragon ki energy armor ka saath mei apne ander mehsoos kar raha tha aur vo urja behad jada halchal kar rahi thi…. Vo bilkul bhi shant nahi thi, jiski vajah se unhe shant karne ka liya mujhe dhyan mei jaana pada….


Shubham: Dhyan mei jaane ka baad mujhe apne ander bahut kuch dikh raha tha…. Iss baar mere ander mujhe aneko tasveer dikh rahi thi jo ki bilkul dhundhali thi, vo saaf nahi thi….Mei unhe nahi dekh paa raha tha, par tabhi unn tasveero ka bich mei se mujhe chaar aankhe dikhi…..


Do behad safed thi aur do behad Laal… Mei unn dono aankho ko nahi dekh paa raha tha, kyunki unko dekhne se hi mujhe apne ander dard uth raha tha…. Vo dono aankhe bus mujhe ghur rahi thi, par mei dono ko ek jhalak dekhta aur uske baad apni aankhe niche kar leta kyunki uss ek jhalak maatr se mujhe itna dard ho raha tha ki mujhe essa lag raha tha jaise koi mujhe ander khich raha hai aur sharir ka maas uss khichaav se dhere dhere fatne laga hai…. Dard har nikalte pal ka saath mujhe aur bhi jada mehsoos ho raha tha…..


Awaj: Unn dono aankho ki taraf mat dekho, ya samaye unn aankho ka samna karne ka nahi hai…. Tumhai bus apne ander Neela Dragon ko dhundna hai, unn aankho ka samne jhuk kar man ki gherayi mei jao…. Unka samna karna ka samaye jald aayega…..


Shubham: Awaj ki baat maan kar mei bilkul unke samne apna sir jhuka diya…. Jaise hi meine sar jhukaya vo aankhe dhere dhere mujhc dhur hona lagi aur mei apne hi ander aage badne laga…. Jab mei apna aakhir mei pahuch gaya toh mujhe vaha do chij dikhi…. Ek tha Neela Dragon aur dusri chij thi vaha par ek safed aur laal roshni ka pinjare mei kaid ek aadmi jo bus mujhe har samaye dekha jaa raha tha, aur meri aankhe bhi usse nahi hat rahi thi…. Vo mujhe kuch apna sa mehsoos ho raha tha, mei uski taraf kadam badhane laga tha ki


Awaj: Usko chodo aur Neela Dragon ko chu kar dhyan ko khatam karo…. Ya samaye Neela Dragon ki shaktiyo ko shant karne ka hai….


Shubham: Par mujhe vo apna sa lag raha hai, mujhe usse kaid se azad karana hoga….


Awaj: Shubham abhi nahi, jaldi Neela Dragon ko chu kar uski shakti shant karo varna ya planet tumhari urja ka bhar se khatam ho jaayega…..


Shubham: Meine awaj ki baat maan kar jaise hi Dragon ko touch kara, Dragon ka heart nikal kar ek locket ka roop mei mera gale mei aa gaya aur mera dhyan tut gya…..


Awaj: Iss locket ka matlab hai Dragon ki urja tumhari hui…. Ab vo jaisa tum cahaoge vaisa hi karegi…. AB vapas chalo….


Shubham: Ha chalo…. Unicorn hume chalna hoga…..


Unicorn: Kaha…??


Shubham: Ary Land of River and Mountain aur kaha….


Unicorn: Hasne lagta hai, tumhara dhyan se nikalte hi hum vaha pahuch gaye tha….


Shubham: Acha toh tum ab mujhe satane lage ho, ruko iss kida se nipat lu fir tumhai dekhta hu……


Unicorn: Hahaahaha, tum mujhe nahi pakad sakte…..


Shubham: Vo tumhai pata chal jaayega…. Abhi Mahal chalo….


Hum Mahal pahuche jaha sabhi maujood tha….


Shubham: Maharaj aapko apne sabhi logo ka saath ya jagah chodkar jaana hoga…..


Maharaj: Hum samjhe nahi….


Shubham: Maharaj aapko aapke logo ka saath ya jagah chodni hogi jab tak ya jagah puri tarah aapki icha ka anuroop nahi ho jaati hai….


Maharaj: Par hum log jaayega kaha….?? Itna logo ka ek saath ek jagah par jaana sambhav nahi hai…. Koi rajye kiska liya tayar nahi hoga…..


Shubham: Sahi kaha, par agar mei aapko vaha chod du jaha kissi rajye ka raaj nahi aur na hi aapko aur kissi aur ko vaha rahene mei koi dikat hogi….


Maharaj: Fir hume koi dikat nahi hai….


Shubham: Thik hai fir aur ya kaha kar mei apni aankhe band karta hu aur apne haath ko aage karta hu, jiski vajah se vaha ek darwaja ban jaata hai….. Maharaj aapko aur aapke sabhi logo ko iss darwaje se dusri jagah jaana hai….. Jaise hi sab kuch sahi hoga ya darwaja khul jaayega aur aap vapas apne logo ka saath yaha aa sakte hai….


Maharaj: Thik hai…. Chaliye sabhi hume dusri duniya mei jaana hai…… Ek ek karke sabhi log vaha se chale gaye…. Ab sirf vaha par AS, Alvace, Elika aur mera dost bache tha….


Iszy: Tune kya socha hai iske liya…..???


Shubham: Batata hu, par usse phele tum sabhi ko ek baar firse yaha se dhur jaana hoga…. Mera essa kaheta hi gate ek baar firse khula aur ek tej Hawa ka saath vo sab uss gate se paar ho gaye aur gate ek baar firse band ho gaya….. Kyunki ya kaam mujhe akela hi karna tha….


Shubham: Ab samaye aa gaya hai ki Draco tumhare iss shakti ka samapan ka….. Aur iske saath hi mera hoth hila aur dekhte hi dekhte uss puri jagah ko ek safaid chadar na dhak diya…. Ya chadar koi samane chij nahi thi…. Iska istemaal se vatavaran mei maujood Hawa aur nami ko bandh diya jaata hai, jiski vajah se uss jagah ki koi bhi jeev jantu nahi jee sakta hai…. Logo ko saas lena ka liya hawa nahi milti hai.....


Iss najare ko mera alawa koi aur bhi dekh raha tha, ya tha Draco aur Zanabiya….


Zanabiya: Ya kya kar raha hai…. Pagal toh nahi ho gaya hai na ya….


Draco: Zanabiya usse pata hai ki Kide ko kaise maare…. Iss chadar ki vajah se Nami kam hone lagegi aur Kida Kamjor hone lagega kyunki sadi hui chijo se hi usse apni takat milti hai aur saath hi usse saas lena ka liya apne vastavik roop mei aana hoga aur usse sirf uske vastavik roop mei hi maara jaa sakta hai….


Zanabiya: Iska matlab ki humara ya humla bhi bekar jaayega….???


Draco: Ha bhi aur na bhi…..


Zanabiya: Matlab….???


Draco: Dekhti jao, sab samajh aa jayega…..


Vahi dusri tarah Kida hawa mei se hoti nami ki kami ki vajah se pareshan hone laga aur uss jagah ka saare paani ko vo phele hi nashth kar chukka tha aur ab koi essi jagah nahi bachi thi jaha se vo apne ko takat de saka, jiski vajah se usse apne asli roop mei aana pada…..


Kida: Kon ho tum aur kyu mera maarg mei aa rahe ho…. Mei tumhai bhi sada dunga….


SHubham: Mei vo hu jisne teri maut ka farman banaya hai….


Kida: Hahahahahah, tujhe lagta hai pata nahi mei amar hu….. Mujhe marne vala iss duniya mei koi nahi hai….


Shubham: Mujhe essa nahi lagta hai…. Aur ya kaha kar mei Teer Kaman ko nikal leta hu, jo meine Roop Nagar ka yaha se hassil kiya tha….


Kida: Uss Teer Kaman ko dekh uske hosh ud jaate hai…..


Shubham: Kya hua ab koi dialog nahi maarega aur na hi tujhe hassi aa rahi hai….


Kida: Tujhe ya kaise mila….. Iska istemaal karne vala aur uski shakti humesha humesha ka liya khatam kardi thi mera malik na…..


Shubham: Ya sawal jab mei Draco ko tere pass bhejunga tab usse puch lena….. Par filhal tera samaye khatam…. Aur ya kaha kar mei humla kar deta hu…. Mera humla karte hi teer teji se jakar usse lagta hai aur vo vahi dhua dhua ho jaata hai….


Vo dhua dhere dhere upar jaane lagta hai, par fir achanak se vo ek teer ka roop lekar teji se aakar mujhe lagta hai…. Jiski vajah se mujhe jhatka lagta hai, par mei firse khudko sambhal leta hu…..


Vahi dusri taraf Zanabiya aur Draco dono dekh rahe tha…..Jaise hi teer mujhe lagta hai Draco khushi se hasne lagta hai…..


Draco: Hahahahahaha….. Ab hume koi nahi maar sakta hai…. Ab humara iss duniya par raaj hoga….


Zanabiya: Ya kya hua, ya teer kya tha aur tum itna khush kyu ho…. Shubham abhi jinda hai….


Draco: Meri Jaan ya khushi ka hi samaye hai…..


Draco: Ya Kida mar jarur gaya hai, par vo abhi bhi jinda hai…. Ya teer jo laga hai uska matlab yahi hai ki vo Shubham ka sharir mei ghus gaya hai aur vo uske sharir ko ander se sadane lagega….. Ab agar usse isse khudko bachana hai toh usse Bhakshak banana padega ya fir uss Shakti ko dhundna padega jisne uss Kida ko Shakti di thi, par usse shakti ko gayab hua jamana ho gaya hai aur usse dhundna ka rasta kisiko nahi pata…. Aur ek baar Shubham Bhakshak ban gaya toh fir vo Bhakshak ka roop mei hume kabhi nahi maar sakega aur Bhakshak ko control vo kabhi nahi kar sakega….


Zanabiya: Maan gayi tu sabse bada kamina hai….. Aakhir kaar tuna usse apne jaal mei fasa hi liya….

Chaliye Dosto aaj yahi rukte hai aur aage dekhta hai ki kya sahi mei Draco na Shubham ko fasa liya hai ya fir Shubham ka pass isse bach nikalne ka koi tarika hai...... Jaane ka liya bane rahe aapki apni kahani par.....

Stay Tunned.......
 

King

𝕿𝖍𝖊 𝕺𝖓𝖊 & 𝕺𝖓𝖑𝖞 𝕿𝖗𝖚𝖊 𝕶𝖎𝖓𝖌
3,951
6,974
159
superb update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in
Top