• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Shubham - Ek Rakshak ya Bhakshak

Mathur

°◥◣_◢◤°
1,063
3,077
143
awesome update bhai ji

koi baat nhi brother family is more important than anything but apko vapas dekh kr acha lga once again welcome back

kide ne apna kaam shuru kr diya hai SHUBHAM ke sharir mai bbut kya uske andar ki vo awaz aur vo ghode ko nhi pta ki kya ho rha hai SHUBHAM ko ek doubt hai ye

agr SHUBHAM ne paheli suljha li toh vo earth pr power use kr skta hai sath mai uske rivals bhi but SHUBHAM ne iska koi na koi hal toh socha hi hoga

NICAROO ko khtam toh kr diya but doubt ke sath bhi ab NICAROO ne jo ball di hai uska raaz SHUBHAM hi pta kr skta hai interesting bhai

KEEP WRITING
KEEP UPDATING

YOUR REGULAR READER
 

PARADOX

ଗପ ହେଲେ ବି ସତ
6,068
3,446
189
kirket.md.jpg

:announce:Hii friends...:asw:....


Friends finally came the day we were eagerly waiting for:toohappy:. Waiting for 4 years is now going to end. Legends are in front of the eyes and their courage is waiting for us. In this particular moment, we have brought one last opportunity for you, which can benefit you a lot:woot:. All you have to do that join us in a quiz contest. So let's get one last try and one last win and then crown :cough: will be on head.

Prove yourself as a legend of prediction...:pimp:

Just take a part of our last few quiz contests...
ICC WC-19 SEMI FINAL 1 INDIA VS NEW ZEALAND QUIZ THREAD & ICC WC-19 SEMI FINAL 1 INDIA VS NEW ZEALAND CC THREAD.... Click here....:declare:
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
40,499
102,877
304
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

23n24

Member
433
1,544
138
UPDATE 103
Pichle update mei aapne dekha ki Siyam ka rajye mei aayi vipada ko khatam karke Shubham Elika ko saath lekar pahuch jaata hai Nicaroo ki duniya mei.....

Ab Aage.....

Shubham: Kya baat hai apni maut se phele tumhara dimak kharab ho gaya hai kya……???


Nicaroo: Hahahahaha tum mujhe kaise maroge shayad tum bhul gaye ho ki mujhe marne ka liya tumhai bhakshak banana padega kyunki mei White Light Source ka Dharak hu…… Aur agar tum bhakshak ban gaye toh fir tum vaise hi mera jaise ho jaoge toh fir mujhe marne ka khayal hi nahi rahega……


Yaha Nicaroo ki baat sun Elika aur Shubham dono hi ek dusre ko dekhna laga, do minute tak ek dusre ko dekhna ka baad dono jor jor se hasne laga…. Unn dono ko essa haste hua dekh Nicaroo aur uske darbar mei maujood sabhi log ek dum shant ho gaye aur unhe hi dekhna laga…..


Karib 5 minute tak essa hi haste rahe dono, uske baad Elika na badi mushkil se apni hassi ko roka…..


Elika: Tu kitna bewakuf hai Nicaroo…. Tujhe nahi lagta hai kya ki hum log yaha itni dhur teri duniya mei ya sapna lekar aaye hai ki hum tujhe maut ka ghat utar kar hi jaayega toh humne ya nahi jaana hoga ki tujhe kaise kaise khatam kiya jaa sakta hai…..


Khair koi baat nahi teri ya jigyasa mei jaldi hi khatam kar dungi ki hum tujhe kaise maarega, par usse phele jara mei tera logo ka saath ek game khel leti hu, tu jaa aur jakar uss Singhasan par baith jaa kyunki tera pass kuch hi pal baaki hai….. Apne aakhri samaye se phele tu ek aakhri khel dekh le…..


Nicaroo: Elika ki baat sun usse gussa toh behad aaya par vo kuch kar nahi saka, kyunki usse phele hi Shubham na usse utha kar ek baar firse uske Singhasan par baitha diya tha….


Elika: Shubham tu bhi apne liya achi jagah chun kar baith jaa…. Taaki mei khel ka niyam sabhi ko puri tarah se bata du, baad mei koi ya nahi kahe ki yaha kisi prakar ki beimani hui hai…..


Shubham: Elika ki baat sun mei chup chap jakar ek jagah dekh baith gaya…..


Elika: Toh chaliye ab game shuru karte hai….. Game bada hi simple hai….. Nicaroo mei sirf ek jaadu karungi, tumhari iss puri duniya mei jitna bhi log basa hai vo apni saari urja laga kar, cahaiye tum bhi uske ander shamil ho sakte ho mera jaadu ko rokna hoga…..


Agar unhone rok diya toh inaam swaroop unn sabhi ki jaan bach jaayegi aur agar essa nahi hua toh vo sab maare jaayega….. Thik hai Nicaroo jara mei bhi toh dekhu ki tumne apne logo ko kitna shaktishali banaya hai…..


NIcaroo: Huma manjur hai….


Elika: Ya hui na baat….. Toh fir shuru karte hai….. Essa kahe kar Elika na apne haath aage kiya aur uske haatho se ek safaid roshni nikalne lagi jo kuch dhur jaakar ek khali jagah mei ikhati hona lagi….. Dekhta hi dekhta ek behad bada gola uss energy ka ban gaya uss jagah….. Energy ka gola ka size dekh Elika ka cehare par ek muskaan aayi aur usne apne haath piche khich liya…..


Uske hatho ko piche khichte hi uss energy ball mei se thodi energy aasman mei jakar gayab ho gayi…. Sabhi bus dekh rahe tha ki aakhir Elika na kiya kya hai….. Abhi sabhi bus dekh hi rahe tha ki itni der mei hi aasman mei tej tej bijaliya kadakna lagi aur vahi uss jagah par behad tej hawa chalne…..


Hawa ki gati itni adhik thi ki jo bhi samne aaye vo usse apne saath uda rahi thi, chaaro taraf bus tej bijaliya aur hawa hi beha rahi thi…. Charo disha ka rukh keval aur keval Elika ka duwara choda gaye apni energy ball ki taraf hi tha, sabhi dishao se Hawa behati aur uss energy ball mei aakar vo khatam ho jaati….(Isse aap essa samjhe ki East ki hawa West ki taraf vahi West ki Hawa East ki taraf….. North ki South direction mei aur South ki North Direction mei….) Kul Milakar Elika ka duwara chodi gayi energy ek Kendra bindu tha jaha par sabhi hawa aakar ruk rahi thi….


Abhi sab uss bhayanak hawa ko rokna aur usse nijaat paane ki koshish kar hi rahe tha ki aasman mei kadakti bijaliya uss jagah par girne lagi, aur jo bhi unn bijaliyo ki chapat mei aa raha tha uska bachna namumkin tha…. Har taraf bus khauf ka manjar banane laga tha….. Vo sabhi log badi mehanat aur koshish kar rahe tha apne aapko iss humle se bachane ka liya, par ya unn sabke ek saath hone ka baad bhi na mumkin sat ha aur uska karan ek hi tha ki vo sab Elika ki energy ka aage kuch bhi nahi tha….


Duniya mei White Energy ka sabse bada Pratik maane jaane vali Pariyo ki Maharani thi vo aur iss vajah se uski thodi si energy ka mukabla karna bhi unke bus ka nahi tha..... Yaha Nicaroo ka log uss aafat se juj rahe tha, vahi Nicaroo apne Singhasan par behad aram se baitha tha jaise usse iss baat se koi farak nahi padh raha tha….. Vo bus vahi baithe baithe apne logo ki ya halat dekh raha tha jo ki kuch ajeeb sa lag raha tha…..


Karib 10 minute tak toh vo essa hi dekhta raha par uske baad usne apne haath aage kiya aur uske haath se rays nikali, jo siddha jakar Elika ka duwara chodi gayi Energy ball ka upar giri aur dekhta hi dekhta uska magic jo Hawa aur Bijaliyo ka tha vo khatam ho gaya…..


Nicaroo ka duwara essa hona par uske log behad khush ho gaye aur vo uski Jai Jai karne laga….


Nicaroo: Toh Maharani Paristan bus itna hi dum tha aapme…. Ya toh humari shakti ka ek chota se hisse hi ruk gaya…..


Elika: Nicaroo ki baat sun uske cehare par ek behad hi rahasyamei muskaan khil gayi….. Uss muskaan ko dekh mera saath saath vaha maujood har koi usse bus essa dekh raha tha jaise koi behad anokhi chij dekh li ho…..


Elika: Nicaroo mei sochti thi ki sirf tumhare log hi kam akal hai, par tum mei behad dimak hai islye tum inn logo ka upar raaj kar rahe ho, par aaj tumne mera maana ek shan mei hi galat sabit kar diya…. Tumne kahane se phele itna bhi nahi socha ki agar meine chunauti rakhi hai toh kuch toh socha hi hoga, kyunki mei tumhare logo ko essa hi toh chodna vali nahi hu….


Udhar dekho, jo tumhai khatam hota lag raha hai na uska ek naya roop dekhoge tum….. Abhi Elika na itna kaha tha ki ek baar firse Hawa aur Bijalli kadakna lagi aur vo bhi iss prakar ki vaha maujood har aadmi ander tak sehar gaya kyunki unka vage behad hi adhik tha, iss baar toh vo phele se bhi bada ho gaya tha aur pichli baar ek chij jo nahi hui thi ab vo bhi ho rahi thi aur vo thi Nicaroo ka logo ka chikhne aur chilane ki awaje….


Elika: Bewakuf mei ya baat achi tarah se janti thi ki inn sabhi ko mei ya koi aur nahi maar sakta hai, inhe agar mujhe marna hai toh inhi ki shakti ka istemaal karna hoga aur islye hi meine ya khel khela, mujhe pata tha tu josh mei apne hosh kho baithega, meri ya jo urja hai na ya na sirf teri bulki tera sabhi logo ki urja job hi iske upar istemaal ho rahi hai usse apne andar sokh rahi hai…..


Tumhari khudki buri urja isse aur bhi jada shakti de rahi hai aur ab issi ki vajah se na tu aur na hi tera koi bhi aadmi bach sakega…. Aur agar fir bhi maan lo bach gaya toh bhi uska jeevan itna bura hoga ki vo yahi duwa karega ki usse jinda chodna se acha hai ki maut hi mil jaaye…..


Idhar Elika ki baat khatam hui aur udhar dekhta hi dekhta Nicaroo ka sabhi log uss tej hawa mei udta hua Elika ka Energy ball mei samate jaa rahe tha aur sabhi ka bus chikhne aur chillane ki awaje aa rahi thi aur inhi sabhi ka bich agar koi bacha hua dikh jaaye toh uske upar aasman se giri bijali apna kehar dhaa rahi thi…..


Dekhta hi dekhta kuch hi shan ka ander Elika na uss pura ilake ko banzar bana diya, jaha par na koi banda tha aur na hi koi banda ki jaat, hum teeno ko chod kar….. Vaha bus mei ELika aur Nicaroo hi bache rahe gaye tha….. Elika ka Energy ball abhi bhi lagatar ussi tarah ghum raha tha…….


Nicaroo: Apne logo ki essi halat na usse ek shan ka liya ander se purn roop se dara diya tha, par fir bhi usne khudko sambhala aur hum dono ka samne khada ho gaya….. Ab intezar kis baat ka hai, mei marne ka liya tayar hu…..


Shubham: Itni bhi jaldi kya hai…..??? Marna toh tujhe hai hi, par usse phele mera sawal ka javab nahi dega…..


Nicaroo: Kaisa sawal…..???


Shubham: Vahi behad sadharan sa sawal….. Sword of Destruction ki rakhwali karte karte tuna uska khilaf hona ka faisla kyu kiya….???


Nicaroo: Mera sawal sun vo muskurane laga….. Mei janta tha ek na ek din tum mujhc ya sawal jarur puchoge…. Aaj jab tumne mujhc ya sawal pucha hai aur mei apne jeevan ka aakhri padav par hu jaha se mujhe pata hai ki aage mei bach kar kaise bhi nahi jaa sakta hu, toh mei tumhai ek essi chij deta hu jisse agar tumne apne jeevan mei kabhi suljha liya toh fir tumhai meri asliyat ka pata chal jaayega……


Usne apne haath aage kiya, toh uske haath mei ek red colour ka ball aa gaya…..


Nicaroo: Ya hai vo raaj jisse tumhai khud suljhana hai, yadi tum essa karne mei kamyab hua toh tumhai behad kuch samajh aayega…..Isse suljhane ki yukti tumhare janam ka samaye se hi judi hai, tumhare alawa isse koi nahi suljha sakta hai…..


Shubham: Meine Nicaroo ka duwara diya gaya ball apne pass rakh liya…. Usse chuta hi mujhe kuch ajeeb sa laga par phir bhi mei shant raha….


Nicaroo: Jaise hi meine usse ya ball liya vo khud vaha se gayab hokar uss Energy Ball ka pass pahuch gaya jisse Elika na banaya tha, uske ander usne apni saari energy daal khudko uske ander sama diya…. Jaise hi vo uske ander gaya Energy Ball behad tej tej ghumne laga par shan bhar ka ander hi vo ek dum shant ho gaya…..


Shubham: Mei Nicaroo ka duwara diya gaye iss ball aur uske duwara kiya gaya kaam dekh sochne par majbur ho gaya tha ki aakhir ya acha tha ya bura….. Mein abhi bhi bus yahi soch raha tha ki Nicaroo ki baat se essa kyu pratit hota hai ki Sword of Destruction mera liya behad buri hai…. Kuch toh hai jiska mujhe abhi pata nahi hai aur uske baare mei mujhe jald se jald jaana hoga….


Idhar mujhe apne khayalo mei khoya dekh Elika na kuch der toh intezar kiya, par uske baad usne hi mujhe apne khayalo se bahar nikal kar hakikat ki duniya mei vapas lautaya…..


Elika: Shubham iss Energy ball ko tumhai apne ander samana hoga…. Kyunki iske ander White aur Black dono tarah ki energy hai iski vajah se isse mei nahi apna sakti hu…. Tum dono energy ka dharak ho islye tumhai isko paane mei mushkil ka samna nahi karna padega….


Shubham: Ha thik hai…. Essa kaha kar meine apne haath aage kiya aur vo energy ball dhere dhere mera ander samane laga aur kuch minute mei hi vo puri tarah se gayab ho gaya….. Usko apne sharir mei jaate hi mujhe behad kamjori ka ehsaas hua…. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki ya mera saath sab kya ho raha hai……


Elika: Shubham ka sharir ki kamjori ka ehsaas mujhe bhi hua aur mujhe ya jaan kar aur bhi jada shock laga kyunki Black aur White Energy dono ki energy ko sambhalne ka baad uske sharir mei essi choti choti energy ball ka koi asar hona hi nahi cahaiye…..


Elika: Shubham tumhai koi pareshani hai toh batao….??


Shubham: Elika mujhe samajh nahi aa raha hai, aaj din ka samaye se hi mujhe behad pareshani ho rahi hai…. Mei khudko behad kamjor mehsoos kar raha hu, jabse uss kida ko haraya hai mujhe apne ander har badhte pal ka saath behad jada kamjori mehsoos ho rahi hai….


Elika: Par essa kaise ho sakta hai…..??? Kya tumne uss kida ko marne ka liya apne black magic ka use kiya tha kya….???


Shubham: Nahi….. Usse marne aur harane ka liya mujhe kuch nahi karna pada…. Usse toh meine badi aasani se apne teer Kaman se hi maar dala tha….


Elika: Ho sakta hai tumhari Black Energy ka aazad hona ki vajah se tumhai koi pareshani ka samna karna pad raha ho…. Chalo chal kar rest karo…. Subha tak sab sahi ho jaayega…..


Iske baad Shubham aur Elika dono vaha se nikal gaye…..


Idhar Dharti par ek alag hi rayta faila hua tha…. Yaha Shubham ka dushman jinmei Imosopher ka khaas, Raja, aur ek agyat vyakti bhi shamil tha jo ki Shubham aur uske pariwar ko haani pahuchana cahate tha…. Iss samaye Raja aur Agyat vyakti dono hi saath tha aur dono hi Shubham ka ghar par maujood tha…. I


Raja: Ha toh batao tumne kya plan kiya hai….???


Agyat Aadmi: Plan behad simple hai, huma sabse phele Shubham ko hi raste se hatana hoga…. Par kyunki na vo dharti par ko jaadu kar sakta hai aur na hi tum….


Raja: Janta hu, ya sab uss Rishi ki vajah se hua hai…. Agar uss rishi na essa nahi kiya hota toh ya dharti ka niwasi humare gulam hota…. Na jaane ab kam vo bandhan tutega jiski vajah se hum yaha jaadu nahi kar sakte hai….


Agyat Aamdi: Tum galat soch rahe ho, hum nahi tum jaadu nahi kar sakte ho, mei kar sakta hu…. Islye Shubham ko khatam karne ka kaam mei hi karunga…. Mei uske dimak ko apne kabja mei karke usse vo karwaunga jo usne kabhi apne sapno mei bhi nahi socha hoga…..


Raja: Jo bhi karna hai jaldi karo, mujhc ab aur intezar nahi hota hai….


Tabhi vaha par vo aata hai Imosopher ka khaas, jisse dekh Raja ki aankhe badi ki badi hi rahe jaati hai, par essa hi kuch haal uss agyat aadmi ka bhi tha…… Vo bhi apne samne aaye aadmi ko dekh phele toh behad shock mei gaya par fir turant hi apne hosh sambhal kar vo apni jagah se khada hua aur uss aadmi ka samne sar jhuka kar baith gaya uske samaan mei…….


Raja: Gujral tum yaha kaise….??? Tumhai toh Shubham na uss din uss factory mei maar diya tha na…….???


Gujaral: Raja ki ya baat sun vo jor jor se hasne laga…… Bewakuf tujhe kya laga ki Gujaral ko maut dena itna aasan hai….. Mujhe marne ka liya na tera jaise hazaro bhi aa jaye toh bhi vo mera kuch nahi bigad sakte hai…..


Aagyat Aadmi: Malik aap yaha, meine aapko saari duniya mei dhunda par aapka koi pata hi nahi chala mujhe….


Gujaral: Kaha se pata chalta, uss rishi ki vajah se mei yahi fas kar rahe gaya…… Mei Shubham ko janam dena vali shakti ka picha karte karte yaha tak aaya tha, par jaise hi mei yaha aaya uss Rishi na yaha bandhan laga diya, jiski vajah se mei apni sabhi shaktiya yaha kho baitha aur mei yaha ek sadharan insaan ka roop mei jeena laga….


Gujaral: Par ya acha hua ki tu yaha aa gaya Kalarud…. Ab tu yaha ki khabar aaka ko pahucha sakta hai aur mei unke duwara unka koi bhi sandesh paa sakta hu…… Vaise mera malik (Imosopher) kaise hai….???


Agyat Aadmi: Malik aazad ho gaye hai aur ab phele se bhi jada shakti shali bhi….. Vo bus sahi samaye ka intezar kar rahe hai….


Gujaral: Thik hai, par ek baat meri kaan khol kar sunlo tum log….. Tum dono mei se koi bhi abhi Shubham ko koi nuksaan nahi pahuchayega….. Tum abhi sirf uske upar najar rakho……


Raja: Kyu….??? Huma usse jinda rakhne se koi fayda nahi hai….


Gujaral: Moti buddhi tujhe jitna kaha jaaye utna hi kar samjha na…… Iss samaye vo iss duniya ka uss bandhan ko khoj raha hai jiski vajah se humari shaktiya kaam nahi kar rahi hai…. Agar ek baar vo uss tak pahuchne mei kamyab ho gaya toh hum sabhi ki shaktiya vapas aa jayegi aur uske baad usse nuksaan pahuchane mei huma bilkul bhi pareshani ka samna nahi karna padega…. Islye jo meine kaha hai tum sabhi bus yahi karo…..


Idhar dusri taraf dharti par Shubham 5 bilkul man laga kar usse mila kaam ko pura karne mei laga hua tha…. Unse Mathira ka duwara diya gaye naksho aur khabro ka saath saath Professor Iyer ka duwara di gayi jaankari ko ikhata karke apni khoj shuru kari thi…. Vo sabhi baato ko aur phelu ko sochte hua aage bad raha tha aur issi vajah se vo kaafi samaye se apne ghar se dhur hai….. Usne apne ghar pa bata diya ki vo kisi research project ki vajah se kuch samaye ka lya bahar jaa raha hai iss vajah se vo ghar nahi aayega…. Uska research project aur kuch nahi uss bandhan tak pahuchna hi tha…..


Prof. Iyer ka Pita duwara batayi gayi jagah Shubham5 ko uske sehar se dhur Rajasthan ka ragistan mei le aayi thi….. Shubham5 ka liya ya jagah bilkul anokhi thi kyunki usne iss tarah ka registan phele kabhi nahi dekha tha…..


Usne uss registan mei kaafi samaye bitaya par usse jab kuch bhi nahi mila aur kuch samajh bhi nahi aaya ki vo aage kaise aur kaha bade, toh usne registan ka pass ka sehar mei hi therna ka socha….. Vo uss sehar mei rahe kar inn registano ka baare mei kuch baate jaane ka ichuk tha, issi vajah se sehar mei pahuchne ka kuch samaye baad hi vo idhar udhar logo se unn registan aur usse judi koi anokhi baato ka baare mei jaane ka liya nikal gaya…. Usse essi umeed thi ki jaldi hi usse essa kuch milega jo usse aage uske raste par badhne mei madat karega…… Essi hi soch lekar vo pahuch gaya uss sehar ki sabse purani library mei jaha itihaas ki kayi kitabe hai…. Unn kitabo mei se kuch kitabe lekar vo baith gaya uss registan ka baare mei jaane ka liya…..


Chaliya inhe yahi chodta hai aur hum chalte hai Land of River and Mountain par dekhta hai yaha ka raat mei kya haal hai….. Iss samaye yaha ka mehal mei sabhi log chain ki nind so rahe hai, Elika aur Shubham bhi Nicaroo ka khatma karke aa gaye tha aur apna apna kaksh mei iss samaye aaram kar rahe tha….


Tabhi achanak ek awaj hoti hai Willy ka kamre mei…. Kamre mei hui awaj ki vajah se Willy ki aankhe turant hi khul jaati hai aur vo ek dum se uth kar bed par baith jaata hai….. Uske haath uske pass mei pada dagger par majbooti se kas chukka tha, usse koi bhi dikhta toh uske haath se vo khanjar nikal kar siddha samne vale ko upar pahucha deta…..


Willy:Usne bed se utar kar idhar udhar dekha toh paya ki uske kamre ki kidki khuli hai uske dusri taraf dewar ka pass maujood maze par rakha glass niche gira hai…. Unse dhyan se dekha toh usse vaha par ek kagaz bhi roll kiya hua dikha…. Usse dekh uske man mei ek shanka na janam liya aur usne behad shigrata se usse uthaya aur usse khol kar padhne laga…..


Kagaz: Willy agar tum ya jaana cahate ho ki tumhara picha kon kar raha hai toh mujhe aakar iss Mehal ka dakshin disha mei maujood chat par milo….Vaha tak pahuchne ka nirdesh iss kagaz ki ulti taraf maujood hai…..


Willy: Kagaz par likhe sandesh ko padh Willy na turant hi apne Kaman ko uthaya aur saath hi apne dagger ko apne kapdo mei daal aur fauran hi kamre se bahar nikal gaya bina kuch aage ka socha aur na hi viprit paristhiti ka liya kuch socha……


Chaliye dosto dekhta hai ki aakhir humare dosto aage kya hota hai……Deri ka liya shama cahata hu par Pariwaar mei ek saath do logo ki behad seriously tabyat kharab hona ki vajah se mujhe vapas aane mei samaye lag gaya…..


Par ab aap logo ka saath juda rahunga aur koshish karunga har din update de saku…..


Stay Tunned…..
Jabardast & fantastic update
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
40,499
102,877
304
Intha ho gyi intzar ki...
Koi khabar na aayi mere yar ki......
:coffeepc::angrywife:
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in
Top