• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Shubham - Ek Rakshak ya Bhakshak

Rohit tyagi

Member
281
738
108
Sorry Friends to disappoint you all for today

Aaj mei update nahi de sakunga kyunki jo update meine aaj dena ka liya tayar kiya tha uss update ko likhne aur padhne ka baad mera pura mood kharab ho gaya hai kyunki vo update mujhe bilkul nahi pasand aaya islye mei usse post nahi kar raha hu..... Aaj ki raat update ka liya thoda apna sar peet leta hu aur kal subha aap sabhi ko ek behad shandar update deta hu......

Tab Tak ka liya Gud Night.....
Kio na bro do your best
 

Shubham

Member
358
2,151
123
Update 111

Pichle update mei aapne dekha ki kaise Kairo aur Willy dono hi aate hai bich youdh mei jiski vajah se Draco ka bheja gaya uska sabse khatarnak shaitaan apni jaan bacha kar bhagta hai….. Willy aur Kairo dono mei hi behad antar aa gaye tha aur sabse badi baat jo Willy phele jaadu ka naam par behad chota se magic kar sakta tha aaj vo behad bada jadugar ban gaya tha…..


Ab Aage…..


Nairana: Vo vaha se bhaag siddha apne aaka Draco ka pass jaata hai….. Uski halat behad kharab thi par sirf dar se kyunki usse baaki toh koi bhi haani nahi hui thi par aaj apni haar ki vajah se uske man mei dar tha ki Draco uske saath na jaane kya karega ab….. Par usse uska samna toh karna hi tha islye vo darte darte vaha pahuch gaya……


Draco: Kya baat hai Nairana aaj tum apni jeet par bhi khush nahi dikh rahe ho hume……


Nairana: Apna sar niche kiya kyunki malik hum aaj haar gaye hai…. Mei aapke aadesh ka mutabik uss Rajye ko apne adhin nahi kar saka……


Draco: Ya sun uske cehare ki muskaan chali gayi aur usne ghur kar Nairana ko dekha…… Vaha kya hua hume vistaar se dikhao……


Nairana: Usne apna sar jhukaya aur apne sar par ek jaadu kiya jisse uske dimak mei maujood aaj ka har chitra Draco ka samne aa gaye….. Aaj vaha jo sab bhi hua aur jaise hua aur aakhir mei Willy aur Kairo ka duwara kiya gaya sanghaar sab kuch usse dikhayi diya…….


Draco: Hmmmm, ek baat batao Nairana…… Kya tumne isse phele kabhi essi urja ko mehsoos kiya tha jo unn dono ka vaha aane se phele hui thi……


Nairana: Jee nahi malik….. Mei khud unn dono ki energy ko mehsoos karke behad chauka tha….. Kyunki vo dono ka jaadu na jaisa asar kiya tha vaisa asar behad kam logo ka jaadu kar sakte hai par unki energy source behad alag tha……


Draco: Hmmm…. Thik hai….. Tum jao yaha se aur apne agle youdh ka liya tayari shuru kardo….. Mei tumhe ek mauka aur dunga aur agar tum usmei kamyab nahi ho sake toh tumhe mujhc koi nahi bacha sakega samajh gaye na….


Nairana: Jee malik….. Aur ya kahe kar vo vaha se nikal jaata hai…..


Draco: Ya kon hai do log jo itne takatwar dikh rahe hai…. Inki urja ko mehsoos karne se lagta hai jaise ya mujhe bhi chunauti de sakte hai…. Par ya dono hi bilkul naye prakaar ki rays deta hai jinke baare mei na phele kabhi suna aur na hi kahi padha… Iska jawab shayad Imosopher ya fir Zanabiya ka pass ho……


Yahi soch kar vo sabse phele Zanabiya ka pass jata hai jaha Zanabiya apni duniya mei hi maujood thi par uske cehare ko dekh hi lagta tha jaise vo kisi behad badi pareshani ya aane vale samaye ka sankat ko lekar chintit hai….. Usse essa dekh Draco ko bhi kuch samajh nahi aaya ……..


Draco: Zanabiya kya baat hai tum behad pareshan dikh rahi ho…..???


Zanabiya: Draco baat pareshani ki hi hai….. Vo samaye dhur nahi hai jab meri iss duniya ka ander se burayi ka pura kala saya humesha ka liya khatam ho jaayega, uske saath hi khatam ho jayega mera raaj aur mera jeevan….. Pareshani ki baat toh hai hi Draco tum jiss baat ko humesha se najarandaaz karte aaye ho vo baat jaldi hi sach bankar samne aayegi aur essa samaye mei jo hoga uska samna hum sabhi mil kar bhi nahi kar sakega……


Draco: Tum kiski baat kar rahi ho aur kya bol rahi ho kuch samajh nahi aa raha hai mujhe…..???


Zanabiya: Samajh nahi aa raha hai ya na samajh hone ka natak kar rahe ho….. Kyunki mujhe nahi lagta hai ki tum bhul gaye ho Shubham ko iss ek saal mei….. Tumhai bhi pata hai ki uski vapsi ka saath hi hum sabhi ki duniya ka khatma ki shuruwat bhi ho jayegi……


Draco: Zanabiya ki baat sun ek baar ka liya toh usse hassi aa gayi par fir khudki hassi ko rok vo kaheta hai…… Tum Shubham ki vajah se pareshan ho par shayad tum bhul rahi ho ki mera kida na usso kaise kaid kiya hua hai….. Agar usse khudko jinda rakhna hai toh usse Bhakshak banana padega aur agar vo khudko bhakshak bana leta hai toh vo hum sabhi jaisa ho jaayega…… Toh fir hume usse dar kaisa kyunki ya hum jante hai ki vo hume apne adhin karega bhakshak ban kar aur isse hume kabhi koi pareshani nahi hogi…..


Zanabiya: Tum bhul rahe ho Bhakshak ka roop aane se hi koi bhakshak nahi ban jaata hai….. Bhul gaye vo samaye jab ek Bhakshak roop na hi tumhai aur Imosopher ko itna lambe samaye ka liya kaid kiya tha aur khatam islye nahi kiya kyunki usse dhoka mila tha jisse vo apni purn urja istemaal nahi kar saka aur tum bus bandi ban kar rahe gaye tha…..


Draco: Uske baad ka tumhai bhi pata hai ki hum vaha se vapas aazad bhi ho gaye hai….. Iska matlab hua ki humne uski urja ko hara diya aur aage bhi hara dega….. Khair mei yaha tumse ya baat karne nahi aaya hu, mei tumse…….


Zanabiya: Janti hu par nahi janti hu kuch bhi…..


Draco: Matlab…..???


Zanabiya: Mujhe pata hai tum yaha kyu aaye ho par mujhe uske baare mei kuch nahi pata hai……. Ya kahe kar vo khud vaha se nikal gayi…..


Draco: Zanabiya ka jawab sun vo bhi vaha se gaya aur pahucha Imosopher ka pass jaha par bhi usse essa hi jawab mila jaisa Zanabiya na diya tha issi vajah se vo vapas laut gaya apni banayi duniya mei aur koi bhi nahi tha jo usse bata sake ki ya kon hai……








Marium’s Kingdom


Idhar dusri taraf Marium aur uske nagar mei sabhi nagar vasiyo na apne Maharaj aur unki jeet mei saath dena vaale sabhi logo ka behad jaada ache se swagat bhi kiya aur unka samaan bhi kiya…… Elika na apni sena ko vapas Paristan bhej diya tha kyunki ghayal vo bhi hua tha aur unki duniya mei pahuch unka illaj behad jada ache se aur jaldi kiya jaa sakta tha….. Willy na madat ka liya kaha bhi par Elika na mana kiya……


Yaha logo na swagat ka liya Rajye ka mukhya dwar se lekar aur Mahal tak jaane ka sabse chauda raste ko purn roop se phoolo se saja diya, sabhi logo ka samaan mei pura raste logo jama tha aur apne ek ghutne par sar jhukaye baithe tha….. Nagar ka logo na unn sabhi ka samaan mei apni taraf se raat aayojan bhi rakha tha jaha log apni khushi ko manana cahate tha…..


Khair inn sabhi se nikal kar sabhi log pahuche Mahal mei jaha Maharani ko apne Pati aur bacho ko swasth aur surakshit dekh sukoon ka anubhav hua aur unhone teeno ko hi gale laga apni khushi jaya ki….. Par fir jab unka dhyan Elika, AS, Alvace aur Mariana ki taraf gaya toh vo khud unke samaan mei apne ek ghutne par baith gayi….


M Mom: Aap sabhi ka behad behad aabhar ki aap sabhi na humare Rajye ko bachane mei sahayog kiya…..


Willy: (Vo Marium ka pariwar se behad phele se parichit tha….) Maharani iska matlab aap hum sabhi ko Mahal ka darwaje se hi bhagana cahati hai tabhi aap hume yahi dhanyawad kar rahi hai….. Chalo ab jab Maharani na hume yahi dhanywad kahe diya hai toh hum bhi yaha se chalte hai….


M Mom: Willy ki baat sun vo thoda sak paka gayi vahi Marium na usse ghur kar dekha…..


Mariana: M Mom aapko ya sab karne ki jarurat nahi hai aur na hi dhanywad dena ki….. Humne vahi kiya jiske liya hume apne jeevan mei ya shiksha mili thi….. Hume jiss kaam ka liya tayar kiya gaya tha hum agar vahi kaam nahi karega toh khudse najar mila bhi kaise sakega…..


Ulta hume Maharaj aur aap sabhi ka dhanyawad karna cahaiye kyunki yadi aaj Maharaj na apne Rajye ka liya khada hone aur apne logo ki raksha karne ka liya khudko iss youdh mei nahi utara hota toh shayad hum ya hosla kabhi nahi juta paate ki hum unn logo ka samna kare…. Aaj Maharaj na samjha diya hai jeevan mei khudka samaan ko kabhi jhukne nahi dena fir cahaiye uske liya aapko apne praan bhi kyu na tyagne pade…..


Inn sabhi ki baate yaha kuch der chali aur uske baad sabhi ander gaye jaha sabhi na bhojan kiya aur apne apne kamro ki taraf bad gaye….. Sabhi Willy mei aaye badlav ko jaane cahate tha par sabhi iss waqt thaka tha islye vo kuch nahi bola aur bus chale gaye sone….Par don shaks tha jinhe sabhi kuch jaana tha….. Islye vo abhi saath baithe tha aur Willy se iske baare mei puchne ki soch rahe tha….. Tabhi unka darwaje par dastak hoti hai aur Willy ander aata hai…..


Willy: Janta hu aap dono ka pass mera liya behad se sawal hai aur mei bhi unhi sawalo ka jawab dena yaha aaya hu….. Mei aapko apne baare mei aaye badlav ka baare mei batata hua aur uske baad agar kuch bach jaaye toh mujhc puch sakte hai…..


AS: Thik hai…..


Willy: AS, Elika aap dono na kabhi leo nagri ka naam suna hai…..???


Elika: Ha meine suna hai….. Par Leo Nagri iss duniya mei kewal ek kalpanik banayi gayi duniya hai jiska istemaal kewal duniya mei logo ko jaadu ki shamtao ka baare mei samjhane ka liya kiya jaata hai…….


Willy: Muskurate hua sahi kaha Elika tumne par ek baat tum bhul gayi iss sansaar mei koi bhi kissa aur kahani essa hi nahi bani hoti hai….. Har kisse kahani ka piche kuch na kuch sach jarur hota hai, yaha bhi vahi sach chupa hai jisse iss duniya ko humesha chupa kar rakha gaya hai……


Leo Nagari iss duniya mei maujood hai aur vo jaisi kisse aur kahaniyo mei kahi gayi hai usse behad sundar aur behad shant jagah hai….. Meine iss duniya ka pura 1 saal aur Leo ki duniya ka pura 3 saal uss nagri mei bitaye hai aur vahi se ya sab badlaav aaye hai….. AS iss baat ka sabse bada gawah hai jinhe iss baat ka baare mei iss sansaar mei humesha se pata tha ki Leo Nagri aur Crasanda ki Duniya humesha se maujood hai…..


Elika: AS……


AS: Ha Elika ya sach hai ki LeoNagri aur Crasanda ki duniya dono hi maujood hai…. Meine apna behad samaye Leo mei bitaya hai aur jaisa Willy na kaha vaha ki duniya humari duniya se behad hi saaf swach aur shant hai….. Vaha jaane ka baad itna sukoon mehsoos hota hai ki vaha se nikalne ka man nahi karta hai par vaha koi bhi humesha ka liya nahi rahe sakta hai….. Jo koi bhi vaha jaata hai usse uske jeevan kaa ek maksad diya jaata hai aur usse uske liya tayar kiya jaata hai….. Jab tayari puri ho jaati hai toh sabhi ko vo duniya chod kar aani hi hoti hai……


Par Willy tum Leo Nagri pahuche kaise….??? Kyunki Leo Nagri jaane ka maarg Orion ki duniya se tha, par hazaro saal phele hi vaha jaane ka raste ko black energy na cover kar diya tha jiski vajah se kabhi koi vaha jaa hi nahi sakta tha…..


Willy: Sahi kaha aapne AS par ya baat kuch chuninda log hi jaante hai ki Leo Nagri mei jaane ka do dwar hai…. Phela vo rasta jiska jikar aapne kiya aur dusra rasta hai Maa……


AS: Kya matlab…..???


Willy: AS aapko ya toh yaad hi hoga ki Leo Nagri par kisiki hukumat nahi hoti hai…. Vaha par logo ka koi raja ya koi swami nahi hota hai, sabhi ko unki shamta ka hissab se bhaar diya jata hai aur essa hi Maa ko bhi diya….. Maa Leo Nagri ki sadasya hai jinhe iss duniya mei ya dhyan rakhna hai ki kabhi bhi logo ko Leo ka hone ka sach maloom na pade aur dusra hai uss duniya ko iss duniya se jodne ka…. Ya baat sirf Maa ko pata hai ki Leo ki duniya mei kaise kadam rakha jaa sakta hai aur unki anumati ka bina yaha se koi vaha aur vaha se koi yaha aa jaa nahi sakta hai……


Elika: Par Willy tumhare sharir par jo kapde tha, tumhare pass jo garud tha aur saath hi tumhari stick vo sab toh iss duniya ka ek behad bada aur purane jadugar Madasca ka tha….. Fir vo tumhare pass kaise…..????


Willy: Elika, Madasca hi vo shaks hai jinhone Leo Nagri ka nirmaan kiya tha…. Chalo mei tumhai Leo Nagri ka nirmaan ka baare mei batata hu……


Ya baat uss samaye ki hai jab Emrano ka iss duniya mei aatank macha hua tha vo har kabhi har kahi aur har kisiko maut dena laga tha iss duniya mei uska khauf badh raha tha aur saath hi badh rahi thi uski shaktiya….. Sabhi log usse darne lage tha aur islye ab koi bhi kabhi bhi Emrano ka khilaf kuch kaheta nahi tha…..


Par Madasca ek essa jadugar tha jo na kabhi Emrano se dare aur na kabhi Emrano na unka samna kiya….. Madasca iss baat ko behad ache se samajhte tha ki Emrano iss duniya ko apne adhin karke usse apne Bhai ko taufa de dega par unhe ya manjur nahi tha aur islye unhone Leo Nagri ka nirmaan kiya….. Nagri ka nirmaan bhi unhone behad vichitr tarike se kiya….. Unhone ek Leopard ko kaid kiya aur usse maar diya aur fir uske sharir par ek jaadu kiya aur uske sharir ko apne jaadu se itna bada kar diya ki vo ek behad bada pahad mei badal gaya aur uske ander basaya unhone Leo Nagri ko……


Unhone duniya ka nirmaan ka saath hi uss duniya ka charo taraf ek behad majboot aur behad shandar adhrashiya diwar ka nirmaan bhi kiya jiska maksat usse bahari duniya se dhur rakhna tha….. Unhone ya duniya ka nirmaan sirf islye kiya taaki yaha logo ko tayar kiya jaaye bhavishe ka liya taaki vo black energy se ladne mei madat kare apne sabhi sathiyo ki aur bus iss prakaar bana ya Leo Nagri…..


Leo Nagri na iss brhamand mei kayi behad bada aur behad naami jadugaro ko tayar kiya hai aur unn sabhi mei se sabse upar tha Madasca….. Madasca na apni maut se phele hi apni chadi ko Leo mei chod diya tha aur kaha tha ki ek samaye essa aayega jab unki chadi ka hakdaar jarur aayega jiss samaye iss duniya mei uski jarurat hogi aur shayad vo mei hi tha kyunki mera alawa kabhi koi uss chadi se ek jaadu bhi nahi kar saka aur mera haath mei aate hi vo chadi jaise phir jinda ho gayi…..


Willy: Vaise Elika tumhare liya ek khush khabri hai….. Shubham jaldi laut kar aa raha hai, usne apne jaadu ko sambhal liya hai…..


Elika: Tumhai ya sab kaise pata, kya tumhari baat hui usse….??? Kaha hai vo abhi….???


Willy: Ya sawal ka jawab usse hi puchna….





After few weeks…..


Kuch hafte shanti se nikal gaye par inn hafto mei Draco aur Imosopher na apne apne dono behad shakti shali sena aur unko sambhalne ka liya do commandors ko bhi tayar kar diya, dono ko kayi alag alag shaktiya bhi di unn dono na aur aaj fir vo samaye aa gaya tha jab ek baar fir Marium ki duniya par humla hona tha aur iss baar ya humla pichle humle se kayi gunna bada aur gayi gunna jada shakti shali hona tha……


Aaj ka youdh asal mei ek youdh ki jagah ek sangraam chid gaya tha jismei Mariana aur Marium ka rajye ki puri sena youdh ka liya tayar thi toh vahi Maharani Indra, Noor, AS, Elika, Willy, Mariana khud jaise kayi bade jadugar aur ladake Maharaj ka rajye ko bachane ka liya youdh mei utare tha….. Aam insaano ki sena ka saath dena ka liya paristaan ki sena aur saath hi White Lion ka ladake bhi maujood tha…..


Ya youdh itna vishaal hone vala tha ki achayi ki taqat na apna lagbhag sab kuch jhok diya tha iss youdh mei aur aaj unki haar iss baat ki sakshi hoga ki iss duniya se achayi ki haar ho gayi burayi par….. Dono hi commandars ko dekh AS ko ya baat samajh aa gayi ki inse jeetna mushkil hi hoga sabhi ka liya…..


Par kuch der mei youdh ka aagas ho gaya aur shuru ho gaya mukabla…… Aaj Maharani Indra ka hone se inka palhada bhari sa tha kyunki Maharani Indra Elika aur AS se kisi bhi tarah youdh kala ki shiksha aur jaadu ki samajh mei kam nahi thi…. Vo humesha unse ismei 22 hi thi…..


Youdh ka shuru hone ka saath hi achayi ki sena na josh mei behad tej humle kiya aur jiski vajah se vaha Nairana aur uske saath ka bande ki sena khatam hone lagi thi par uss commandor ko jaise isse koi khasa farak hi nahi padh raha tha kyunki vo apne logo ko marta dekh behad khush ho raha tha aur kuch kar nahi raha tha…..


Dekhta hi dekhta unki sena aadhe se bhi kam rahe gayi vahi Elika aur ki taraf ka sainiko ki behad kam sankhiya hi khatam hui thi….. Ya dekh jaha AS ka dimak mei kuch shankaye janam le chuki thi vahi vo dono bus has rahe tha aur muskura rahe tha….. Idhar Maharani Indra abhi unn dono ki taraf badi hi thi ki achanak hi aasmaan se unke upar aag ka gola girna laga…..


Vo toh samaye raheta hua Willy na unke upar aane vale gola ko apni paani ki shakti se rok diya jisse vo unke upar nahi gira varna unka khel khatam tha….. Tabhi sabhi na upar dekha toh sabhi ka liya behad bada jhatka tha kyunki aasman mei lakho behad ajeeb aur behad ganda hadiyo ka bane pakshi dikhayi de rahe tha….. Unki sankhiya lakho ki taadat mei thi, ab vo usse nipatne ka soch hi rahe tha ki ek baar fir jamin par hal chal hone lagi aur unke samne lakho ki sankhiya mei shaitan khade tha jo pichle valo se kayi bade aur taqatwar lag rahe tha……


Ya do tarfa humle na sabhi ko baant diya aur isse youdh karne mei pareshani bad gayi…. Willy jamin chod hawa mei unn pakshiyo se ladne ka liya chala gaya Paristaan ki sena ka saath kyunki vahi log tha jo hawa mei lad sakte tha….. Vahi niche insaani sena ka koi bhi humla jamini Shaitano par koi asar nahi kar raha tha aur vo log kida makodo ki tarah unke niche aakar bus kuchal jaa rahe tha….. Jo youdh kuch shan bhar phele khatam sa lag raha tha aur Maharaj ki jeet lag rahi thi uss youdh ka parinaam unki haar lagne lagi thi….. Idhar AS, Elika, Noora, Mariana, Indra sabhi behad dakshta aur kushalta se lad rahe tha aur unhe maar bhi rahe tha….. Par vo itne se lakho ko kaise sambhalte aur sabse badi baat humla do tarfa ho raha tha jiski vajah se ek saath unhe pareshani ho rahi thi…..


AS: Elika ya youdh behad jada vishaal hai aur mujhe umeed hai ki ya log koi na koi beimani jarur karega islye tum apne jaadu se Maharaj ka nagar ko puri tarah se dhak do, taaki koi na ander aa sake aur na jaa sake….. Inhe hum sabhal lega…..


Elika: Thik hai AS….. Ya kahe kar Elika vaha se gayab ho gayi aur Nagar ka mukhya darwaje ka samne pahuch unse apne haatho ko aage kiya aur vo kuch kahena lagi…. Dekhta hi dekhta uske haath se rays nikalne lagi aur vo rays uss pura nagar ka chaaro taraf fail gayi aur vo pura nagar jaise dhak gaya ek adrishya dewar se jo koi bhi bheed nahi sakega aur jo bhi koshish karega uska pata sabhi ko lagega……


Idhar apna jaadu karke vo abhi vaha pahuchi hi thi ki tabhi jaise youdh ek dum tham gaya aur sabhi log ruk gaye…. Kisiko samajh nahi aa raha tha ki ya kya ho raha hai vahi aasman mei Willy na khudko aur sabhi paristaan ka sainiko ko ek behad bade ghera mei kaid kar diya aur unhe lekar unn pakshiyo se behad dhur chala gaya……


Tabhi aasman mei behad teji se kaale baadal chane lage aur vahi dharti mei kampan hone laga….. Dharti ka kampan itna tej tha ki uspar khade rahena behad mushkil ho raha tha sabhi ka liya….. Youdh toh ab tham chukka tha kyunki sabhi abhi achanak aaye mausam ka badlav aur dharti ka kampan se hi pareshan ho gaye tha….. Dekhta hi dekhat sabhi taraf kaale baadal chaa gaye aur aasman se baraf girne lagi dharti par….. Vahi jaise jaise baraf dharti ko chu rahi thi vaise vaise dharti ka kampan aur bhi jada tej ho raha tha…..Dekhta hi dekhta vaha ka mausam behad barfila aur behad thanda ho gaya tha aur sabhi taraf bus andhera chaa gaya tha…..


Dharti par baraf girne se sab jagah bus baraf se dhak gayi thi tabhi vaha jama hui baraf ka bich mei darar padhne lagi aur uski awaj gunjna lagi thi….. Idhar aasman mei pakshi bhi baraf ki chapet mei aa chukka tha aur vo ab jamne lage tha……. Aasman toh behad hi alag khel dikha raha tha, jaha ek taraf vaha baraf ho rahi thi vo bhi essi jagah jaha aaj tak kabhi baraf giri hi nahi vahi dusri taraf aasmaan mei badal kadakne ki awaj aane lagi…..


Charo dishao mei behad tej aur behad bhayankar shor hone laga…..Dekhta hi dekhta barfila mausam ka saath vaha tej bijaliya kadakne lagi…. Sabhi log mausam mei aaye iss pariwartan ko samajhne ki koshish kar raha tha par kuch samajh nahi aa raha tha kyunki pheli baat ya mausam sardi ka tha nahi aur dusri baat iss Rajye ya kahu iss ilake mei kabhi 100 saalo mei bhi baraf nahi hui hai essa mei ya mausam jarur kisi baat kaa hi andesha kar raha tha bus samajhna ya tha ki ya andesha achayi ka liya tha ya burayi ka liya……


Idhar bijaliyo ki kadkadahat har badhte pal ka saath badh rahi thi ki achanak hi ek baar tej bijali jamin par giri aur thik ussi jagah jaha baraf mei darar aana shuru hua tha…. Uss bijali ka jhatka ka saath hi vaha purn baraf hi nahi niche jamin par bhi gada ho gaya tha…. Sabhi logo ka man ka bhaye bad raha tha ki ya kon aa gaya jo itna bada kehar macha raha hai….. Sabhi log abhi phele bijali ko jamin par girne se ubhare bhi nahi tha ki dekhta hi dekhta 10 jagah aur bijali giri aur vaha par vaisa hi manjar ban gaya tha jaisa phele jhatke ka saath…….


Tabhi phele gada se jamin mei halchal hona lagi aur dekhta hi dekhta vo gada behad vishaal kaaye ho gaya itna bada ki usmei ek baar ka liya 8-10 log ek saath khud sakte hai….. Tabhi usmei se ek haath bahar nikal kar aane laga aur dekhta hi dekhta kuch bahar nikal kar aaya…. Vo bahar nikal kar sabhi ka samne khada tha….. Usse dekh jo usse jante tha unke muh se sirf itna hi nikala…..


AS: Asambhav……


Indra: Asambhav


Nairana & Commandor: Asambhav……


Imosopher: Asambhav…


Draco: Asambhav……..


Sirf yahi vo shabd tha jo usse dekh nikala aur vahi unki aankho mei sach mei asambhav jaisa hi drashiya tha…..(Draco aur Imosopher apni duniya se ya manjar dekh rahe tha) Vahi baaki sabhi jinhone samne aayi chij ko phele dekha nahi tha unke liya bus ab dar ka hi manjar tha kyunki unhe essa vishaal danav dekhna ko jo mila nahi tha isse phele….


Kon tha ya aur kyu sabhi jaane valo ka muh se asambhav ka alawa koi shabd nahi nikala….. Kya jo samne aaya hai vo Shubham hai ya koi aur….. Kyu sabhi ko lagta hai ya asambhav hai aur Willy ko kaise pata chala ki usse surakshit khudko aur baakiyo ko bhi karna hoga…... Sabhi sawalo ka jawab kahani ka saath aage…..


Stay Tunned….
 
Top