- 358
- 2,151
- 123
Update 114
Pichle update tak aapne dekha ki kaise Shubham ki vapsi hoti hai aur kaise Shubham Zainabiya ko lekar gayab ho jaata hai aur usse ek essa grah par chod deta hai jaha phele kabhi jeewan hua karta tha par ab nahi hai…. Uss grah par Zanabiya ka alawa koi bhi maujood nahi hota hai….Dusri taraf Shubham khud vaha se nikal kar ek samundar ka upar jaata hai aur uske ander chala jaata hai…..
Ab Aage
Shubham ka samundar mei jaate hi samundar ka rang neela se laal hone lagta hai aur saath hi usse uss samundar mei saas lena mei behad peeda hone lagti hai jiski vajah se vo siddha niche ki taraf badhne lagta hai aur jakar samundar ki satah se lagta hai….. Samundar ki sata se lagne ka saath hi vo kuch samaye ka liya behoshi ka haal mei jaane lagta hai…… Uss behoshi ka haal mei hi usse apne samne koi najar aata hai, uss cehare ko dekh Shubham ko behad shanti aur sukoon mehsoos hota hai…..
Vo uss cehare ko dekhna mei kho gaya tha…… Vo bus uss cehare ki sundarta mei hi khoya jaa raha tha, uske sharir par uska khudka koi jor nahi chal raha tha bus uska man uss cehare ka aakarshan mei khota hi jaa raha tha….. Vahi dusri tarah bahar uske sharir ko chaaro taraf se do bade bade samundari jeev na gher liya tha aur vo bus uske sharir ko nuksaan pahucha rahe tha……
Apne sharir ki peeda aur bahar se ho rahe humle ko vo mehsoos nahi kar paa raha tha aur uska dhyan bus uss sundarta ki murat mei hi khoya hua tha ki achanak hi usse uss ladki ka piche se aate hua ek kaale libas mei koi dikhta hai….. Vo kaale libas ka vyakti ka sharir aur cehara kuch bhi dikhayi nahi de raha tha bus ek kala libas hi dikh raha tha…..
Jaise jaise vo libas uss cehare ka karib aa raha tha, vaise vaise Shubham ko peeda ho rahi thi aur usse dard ka ehsaas ho raha tha….. Dekhta hi dekhta vo kala libas aakar Shubham ka sharir ka man ka samne aata hai aur vo uspar chaku se humla karta hai……
Iss humle se Shubham ka man ek shan ka liya hi uss cehare se hathta hai aur usse khudki halat aur bahar se ho rahe humle sab kuch dhyan aata hai aur essa dhyan aate hi bus vo apni aankhe band karke apni saari urja ko apne sharir se nikalne lagta hai…. Uski urja ka tej iss kadar tej tha ki uska sharir se nikalti urja paani mei maujood unn dono bade bade samundari jeevo ko lagte hi unhe kaid kar leti hai aur saath hi unke sharir ki urja ko nichodne lagti hai…… Vahi dusri taraf sharir se nikal rahi urja uske man mei jo cehara dikh raha tha usko bhi apni kaid mei kar leti hai aur usse apne asli roop mei aane ka liya majbur kar deti hai…… Cehare ka asli roop mei aate hi Shubham ki aankhe fir khulti hai…….
Shubham: Bahut khoob behad achi maaya hai tumhari aur khaas kar tumhare roop ki…… Ya maaya kisiko bhi apne vash mei kar sakti hai……. Ek pal ka liya toh mei bhi tumhari maya mei aa hi gaya tha vo toh acha hua ki tumhari maya ko katne ka tarika mei phele se tayar karke aaya tha varna aaj tumne meri jaan le li thi……
Cehara: Kon ho tum aur yaha kyu aaye ho…..???
Shubham: Mera naam Shubham hai, aur yaha mei apni amanat lena aaya hu……
Cehara: Konsi amanat…..??? Lagta hai tumhai pata nahi hai ki yaha jo chij ek baar aa jaati hai vo fir vapas kabhi laut kar nahi jaati hai……
Shubham: Janta hu tumhari iss duniya ka bahut naam suna hai aur aaj dekh bhi lunga……. Bus tum mujhe ya batao ki mujhe Sword of Destruction kaha milegi aur mei iss duniya mei kaise jaa sakta hu…..
Cehara: Shubham ki baat sun uske cehare par muskaan naach gayi….. Acha toh tum uss talwar ka liya aaye ho...... Afsoos hua ya jaan kar……
Shubham: Kya matlab hai tumhara….???
Cehara: Matlab saaf hai….. Sword of Destruction iss duniya ka uss hisse mei rakhi gayi hai jaha se usse lekar jaana toh chodo uss hisse tak pahuchne se phele hi tumhara jeevan samapat ho jaayega aur tum sada sada ka liya yahi rahe jaoge…..
Shubham: Acha essi baat hai toh mujhe khushi hogi ki mei Protectors World mei jakar mara….. Meine suna hai yaha marne wale ki aatma sada sad aka liya yahi rahe jaati hai aur uske jeevan chakra humesha ka liya ruk jaata hai…..
Cehara: Bilkul sahi suna hai…. Par usse phele hi tumhara sharir jo ki iss samundar ki satah par maujood hai vo purn roop se nasht ho jayega kyunki iss jagah ka samundari jeev tumhare sharir ko har pal nuksaan pahuchate rahega…. Aur ek baar tumhara sharir khatam hua toh tumhari aatma iss duniya mei gulam ban jayegi…..
Shubham: Ha ya toh pata hai mujhe par koi baat nahi…… Khair ab mujhe mera sawal ka jawab do…..Sword of Destruction kaha rakhi hai aur mei iss duniya mei kaise jaa sakta hu…..
Cehara: Sword kaha hai ya meine bata diya ki iss duniya ka sabse surakshit jagah rakhi par vo kaha hai mujhe nahi pata hai….. Aur rahi ander jaane ki baat toh uske liya tumhai mujhe azad karna hoga apni shaktiyo se kyunki uske bina na tum ander jaa sakte ho aur na hi yaha se bahar……
Shubham: Uski baat sun vo apni shaktiyo se usse azad kar deta hai…. Jaise hi Cehara azad hota hai uske sharir par laal roshni girne lagti hai aur ek shan mei vo fir se phele hi tarah ho jaata hai….. Par iss baar uski maya ka asar Shubham par nahi ho raha tha…..
Cehara: Toh tumne samundar ka dono jeevo ko maar diya hai aur unki shakti ko sauk liya hai taaki kuch samaye tak koi bhi samundari jeev tumhari taraf nahi aayega…… Bahut khoob, par galti fir bhi kardi dono ki shakti saath sauk liya ab uska parinaam bhi bhugatna padega….
Ya kahe kar vo cehara apne gale se locket nikal kar Shubham ko deta hai…. Isse chhuta hi tumhari aatma jaha tumhai jaana hai vaha pahuch jayegi aur vaha se aane ka sirf ek hi tarika hoga aur vo hai tumhai apni pasand ki chij hassil hota hi tum vaha se bahar nikal jaoge, par yaad rahe uske alawa vaha kisi dusri chij ko hassil karne par tum uss chij mei hi kaid ho jaoge aur fir kabhi laut nahi sakoge…..
Shubham: Thik hai…. Aur ya kahe kar usne apni aankhe ek baar fir band ki…. Uske essa karte hi uske ander se urja nikalne lagi jisne uske pura sharir ko gheri liya aur ek behad moti energy shield bana li jisse koi bhi chij uspar asar nahi karegi ya samundar ka liya tha…… Uske baad usne apni aankhe kholi aur fir uss locket ko touch karte hi vo uss locket mei khicha jaane laga aur fir vo pura usmei sama gaya…..
Vahi dusri taraf Zainabiya jiss planet par thi usse vaha kuch nahi dikh raha tha, usse samajh nahi aa raha tha ki vo kaha hai aur kyu hai…..Iss planet par na paani tha aur na hi khane ka liya kuch tha…. Planet par idhar udhar ghumta hua vo ek pathar par jakar baith gayi…..
Zainabiya: Na jaane ya kaisi jagah hai aur kaha hai, mujhe samajh nahi aa raha hai ki mei yaha kaise kuch bhi jaan sakti hu… Yaha jab jeevan hi nahi hai toh mujhe yaha ka baare mei batayega kon aur kaise…..???
Kahi Shubham na mujhe essa hi yaha chod toh nahi diya taaki meri maut yahi ho jaaye par essa lagta nahi hai kyunki agar usse mujhe marna hi tha toh ya uske baaye haath ka khel tha kyunki uske samne mei kuch bhi nahi thi fir aakhir essa kyu, aur mujhe essa tadpa tadpa kar maarne ka karan kya hai…..????
Abhi uski baat khatam hui thi ki jiss pathar par vo baithi thi usmei mei se awaj aayi……
Pathar: Tumhai marna ya tadpa tadpa kar marne ka liya usne tumhai yaha nahi choda hai….
Iss awaj na Zainabiya ko behad jada jhatka laga kyunki iss awaj ka malik ko Zainabiya behad ache se janti thi……
Zainabiya: Kaha ho tum aur tum bol kaise rahe ho, tumhai meine apne haatho se maara tha aur tumhari aatma tak ko meine nasht kar diya tha……
Pathar: Jispar tum baithi ho vo mei hi hu….. Ha ya sach hai ki tumne mujhe maara aur ya bhi sach hai ki tumne meri ruhu ko bhi khatam kar diya par ek sach ya bhi hai ki vo meri sampurn ruhu nahi thi….. Mera jeevan ka ek chota sa karn iss pathar mei sama gaya tha marne se phele aur issi vajah se mei puri tarah se nasht nahi hua….. Mei yaha bus tumhara hi intezar kar raha tha taaki tumhai vo sach ka aayena dikha saku jisse tum dekhna nahi cahati thi aur tumne uss jhut ka aayena ko sach samaj kar apna faisala kiya……
Zainabiya: Meine jo kiya vo bilkul sahi tha, tumne aur tumhare grah ka logo na mera pariwar ko maar daala aur saath hi mujhe bhi humesha dhoka diya aur uske baad bhi tum ya kahe rahe ho ki mei galat thi….. Tum sabhi na milkar mujhe ek masum si ladki jiske pass na koi shakti thi aur na hi koi caha jaadu ka liya…. Bus mei apne pariwar ka saath khushi khushi jee rahi thi…….Mujhe itna khukhaar aur haiwan banaya tumne, mera saath jeevan mei prem ka jhuta khel khelkar mujhe marna cahate tha tum.......
Pathar: Ha ya sach hai ki humne tumhare Pita aur Maa ko maara par ya sach nahi hai ki humne tumhai dhoka diya aur na hi ya sach hai ki meine tumhai kabhi prem mei dhoka diya tha….. Meine apne jeevan mei yadi kabhi kisi se prem kiya aur kabhi kisi ka saath apna sampurn jeevan jeena ka pran liya toh vo sirf tum thi aur koi nahi….. Tumhai dhoka dena ka mei apne bura se bura khayal mei bhi nahi soch sakta tha…. Tumhai dhoka dena se phele mei khudko khatam kar leta par essa ghinona kaam kabhi nahi karta…….
Tumhai lagta hai tumhare pass jaadu nahi tha, tum ek behad aam aur samanye ladki thi par sach iska bilkul viprit hai…. Tumhare ander jaadu janam se tha na ki tumhai jaadu kisi na diya hai…. Tumhare sharir ka karn karn mei jaadu hai aur yahi sach hai….. Tumhare Mata Pita ko humne islye maara kyunki vo tumhai marna cahata tha, ya baat hume pata chal gayi thi aur islye tumhai bachane ka liya hi humne unhe maar diya tha……
Zainabiya: Jhut Jhut aur sirf Jhut…… Tumne phele bhi mujhc jhut kaha tha aur aaj bhi jhut kahe rahe ho….. Tumhai lagta hai ki mei tumhari aur uss Rakshak ki chaal mei fas jaungi aur tum dono ki chaal kamyab ho jayegi toh tum galat sochte ho….. Meine apne jeewan mei ek baar dhoka kha liya par ab dubara essa dhoka kabhi nahi khaungi…… Tum log mujhe apni baato mei fasa kar dhoka nahi de sakte ho……
Pathar: Thik hai Zainabiya mei yahi hu aur yahi tumhara intezar karunga….. Jab tum iss pura grah ka ek pura chakar laga chuki hogi tab tumhai vo har baat jo yaha ghati thi aur jo yaha ka sach aur jhut ka faisla karegi vo sab dikh jayegi aur tumhai sach pata chal jayega….. Tab humari ek baar baat firse hogi aur tab tum mujhe batana ki meine jhut kaha ya sach…… Tumhara sach yaha se siddha jaane se shuru hota hai ab tum aage bad sakti ho aur tumhai yaha kisi bhi chij ki jarurat hogi sirf apne man mei sochna vo tumhare liya aa jayegi khane ko……
Ya kahe kar uss pathar se awaj aana band ho gayi…….
Zainabiya: Usse ab samajh aa gaya tha ki vo kaha hai aur usse yaha kui choda gaya tha….. Ya vo duniya hai jaha se Zainabiya ka jeevan ka aarambh hua tha…. Yahi se Zainabiya na pheli baar logo ko maut deni shuru ki thi……Yahi hai vo jagah jaha se Zainabiya ka jeevan mei usne burayi ka rasta apnaya tha aur yahi vo jagah hai jaha se shuru hone ka baad usne kabhi piche nahi dekha par aaj ek baar fir jaha se shuru kiya tha vahi pahuch gayi thi……
Kisi na kaha hai na aadmi jaha se aagaz karta hai ek din usse ghum kar vapas vahi aana hi hota hai, Zainabiya ka jeevan mei bhi vahi pal aa gaya tha jaha vo laut kar vapas vahi aa gayi thi jaha se usne shuru kiya tha….. Bus ab dekhna ya hai ki yaha se Zainabiya ka jeevan ka samapan hota hai yaha fir dobara shubaram….
Aaj ka liye itna hi dosto….. Next update kal dunga…. Update chota hai kyunki India lautne ka baad sabhi logo se milne mei behad time jaa raha hai islye bus ek din ka aur samaye lunga aur uske baad vapas normal size jaisa mei humesha likhta hu vaisa hi likhunga….. Agle 3 update ka ander ek Maha Mega update aane vala hai jo ki somewhere 8500 words ka hoga jo mei ek hi baar mei pura post kar dunga….. So till then Keep Reading……
Stay Tunned…..