Shankar g m
Itihas mat pucho
- 65
- 218
- 33
Nice update....Update -3 The First Day and the First Meeting
Shubham AS se milna ka baad uss building se bahar nikal chala tha jaha bahar vahi sipahi khada tha jo Shubham ko yaha tak lekar aaya tha… Shubham ka bahar aane par vo usse apne saath lekar uss taraf badh gaya jaha students ka rahena ki jagah thi…. Vo Shubham ko ek behad badi building ka bahar chod diya aur khud vaha se laut gaya…
Shubham: Usne kuch der bahar khada hokar uss building ko dekha aur fir vo ander badh gaya… Jaise hi vo ander gaya samne hi ek table lagi hui thi jiska piche ek aadmi baitha tha… Uss aadmi ki naak par chashma laga hua tha aur vo iss waqt table ka piche baitha ungh raha tha… Shubham na usse ek baar dekha aur vo abhi aage badhna hi vala tha ki uss aadmi na usse rok liya… Ya mahanubhav ka naam tha Sir Joy…
Joy: Ander kaha jaa rahe ho….? Apna naam batao aur kaunsa year mei ho…?
Shubham: Vo hairani se uss aadmi ko dekh raha tha kyunki uss aadmi ki aankhe abhi bhi band thi par fir bhi usne usse dekh liya ya usse samajh nahi aaya…
Joy: Essa ghurna band karo aur apna naam batao…??
Shubham: Mera naam Shubham hai… First year student hu…
Abhi usne itna bola hi tha ki Sir Joy ki aankhe khul gayi aur vo apni jagah se khada ho gaye… Vo apni badi badi aankho se Shubham ko dekh rahe tha…
Joy: Kya tum vahi ho jiska admission school mei AS na karwaya hai….?
Shubham: Usne sirf apna sar ha mei hila diya
Joy: Apna haath do…
Shubham: Usne apna siddha haath Joy ki taraf badha diya…
Joy na behad teji dikhata hua uska haath pakad liya aur apni aankhe band kar apne honth hilane lage… Unke hilta hontho se kuch sunayi nahi de raha tha par ya saaf pata chal raha tha ki vo kuch mantra padh rahe hai…. Unka essa karna se unka haath se ek nila rang ki roshni nikal kar Shubham ka ander jaane lagi... Shubham bus ya dekh raha tha par usse samajh kuch nahi aa raha tha par jaise jaise vo roshni uske ander jaa rahi thi usse kuch ajeeb lagne laga tha… Usse essa mehsoos ho raha tha jaise ki vo urja uske sharir ki kisi chij se takra rahi hai aur vahi ek hi jagah ruk rahi hai…
Vahi Joy ka hontho ka hilna ki gati kaafi badh gayi thi aur roshni ka prabhav bhi tej ho raha tha ki achanak hi Joy ka haatho se nikalne vali vo Nila rang ki roshni band ho gayi aur ulta Shubham ka haatho se nikal kar vo ab Joy mei jaa rahi thi… Essa reverse process ko mehsoos kar turant hi Joy ki aankhe khul gayi aur usne turant hi Shubham ka haath chod diya aur khudko usse dhur kar diya…
Ya sab prakriya mei Shubham ko kuch samajh nahi aaya ki kya hua hai par Sir Joy ki aankhe khul gayi, dil ki dhadkan badh gayi aur saath hi sharir mei ek jhur jhuri si chaa gayi jisse uss samaye ka liya vo seha gaye par unka antar man mei jo abhi hua uska asar behad lamba rahena vala tha aur usse ubhar pana ka liya na jaane unhe kitna hi samaye dhyan mei jana hoga…
Abhi Joy khudki halat ko durust kiya hi tha ki ek ladka vaha se nikalne laga jisse dekh Sir Joy na turant hi rok liya….
Joy: Shishir wait…
Sir Joy ki baat ko sun vo ladka turant hi ruk gaya aur Joy ki taraf dekhna laga…
Joy: Shishir tum apne room mei hi jaa rahe ho toh please Shubham ko bhi uska kamra dikha dena, ya tumhara hi batch mate hai and also your neighbour…
Shishir: Ok sir ya kahe kar usne apna haath Shubham ki taraf badha diya usse great karna ka liya….
Shubham: Usne bhi Shishir ki tarah hi apne haath ko aage kar usse haath milaya… Joy na kuch formalities puri kari aur dono ko vaha se jaane ka liya kahe diya…
Shishir aur Shubham dono hi uss taraf badh gaye jaha sabhi first year students ka rahena ka room tha…. Shishir apne kamre ka baad vala kamre tak Shubham ko na sirf choda bulki uske saath ander bhi aa gaya… Vo Shubham ko pura kamre ki jankari de raha tha ki kaha kya rakha hua….
Shishir: Acha ab mei chalta hu, tumhare bagal vala kamra mera hai… Aur ek baat shyam mei tayar rahena huma aaj shyam ko chalna hai.....
Shubham: Kaha chalna hai…??
Shishir: Aaj na humare seniors humara welcome karna vala hai…. Islye huma shyam mei bulaya hai…. Iss saal ki phele meeting hai vo humari humare seniors ka saath…
Shubham: Vaise vaha kya hota hai…? Matab huma kyu bulaya hai kuch pata hai?
Shishir: Iska jawab vahi jakar milega tumhai… Ya kaheta hua vo muskura diya aur apne kamre mei chal diya…
Idhar Shubham bhi apne kamre ka darwaja band karke sab chije dekhna laga tha… Vo sab dekhta hua desk ka pass pahucha tha vaha desk par maujood thi kuch kitabe jo usse iss saal kaam aane vali thi… Vo unhe dekhna laga…
Kuch der unhe dekhna ka baad vo apne bister par aakar laita aur kab nind ki goud mei pahuch gaya ya usse pata nahi tha… Vo kaafi samaye soya aur shayad soya hi raheta yadi uske kamre ka darwaja par kisiki dastak nahi sunayi di hoti…. Ya dastak dena vala koi aur nahi bulki Shishir hi tha….
Shishir: Ary tum tayar nahi hua…. Jaldi chalo agar hum late ho gaye toh humari band baj jayegi….
Shubham: Vo jiss haal mei tha ussi mei chal diya… Vaise bhi uska liya ya sab chije mayna toh rakhti thi nahi…
Dono jaa pahucha the uss hall mei jaha aaj ki meeting rakhi gayi thi…. Ander ghusna ka baad jo najara tha usse dekh Shubham bus dekh hi raha tha kyunki bahar se samanye sa dikhna vala hall ander se behad hi bada aur behad hi sunder bana hua tha…. Samne ek behad bada stage tha jispar kuch log khada tha vahi uska samne thi chairs jaha aram se lakho ki log baith sakta tha aur vaha baithe hua bhi tha…
Shishir aage badh chala tha baithna ka liya par Shubham abhi bhi vahi tha, vo bus sab logo ko dekhna mei hi kho gaya tha aur shayad vo ya sab kuch der aur dekhta par uske piche se aaye haath na usse hila diya jiski vajah se uska dhyan tut gaya… Ya waqti koi aur nahi Willy tha…
Willy: Ary kya hua Shubham yaha bich mei kyu khada ho? Chalo aage chalte hai…
Shubham: Jee… Bus itna sa jawab dekar vo bhi aage badh gaya aur Shishir ka bagal mei aa gaya vahi Willy bhi uska saath hi aa gaya…
Willy ko dekh Shishir apni jagah se khada ho gaya…
Shishir: Vo apni jagah chod Willy ko jaane ka liya puri jagah de raha tha aur Willy ka samaan mei uska sir apne aap jhuk gaya tha…
Willy: Ary kya Shishir essa sar jhuka kyu sharminda kar rahe ho…
Shishir: Willy ka muh se apna naam sun usse behad aaschariya hua aur vo usko dekhna laga…
Willy: Ary essa chauko mat... Ab tumhari Talwar jab apne se bade aur maharat hassil kiya logo ki garden udayegi toh khabar toh milegi hi na… Vaise bhi tum apne Pita ki tarah hi apni talwar se behad lagav rakhta ho iska essa kayi kisse suna hai meine aur yakin mano mei unhe sun tumhara fan ban gaya hu….
Shishir: Rajkumar....
Willy: Nanananan….. Mera naam Willson urf Willy hai…. Tum mujhe ya dono mei se koi bhi naam se bulao mujhe koi pareshani nahi hai…. Par ya Rajkumar aur usse juda sabhi shabd kewal aur kewal jab kahi behad mehatvapurn jagah ho vahi istemal karo....
Shishir: Par aapka auda aur mera auda mei jamin aasman ka antar hai…
Willy: Sir Shishir duniya mei auda nahi insaan mayna rakhta hai… Mera liya Rajkumar hona kisi mayne nahi rakhta aur islye ya sab mujhe pasand nahi… Mujhe mera naam se bulao bus…
Shishir: Thik hai Willy…
Willy: Ya hui na baat… Aao baithta hai… Meeting bus shuru hona vali hai…
Ya teeno hi baith gaye tha aur saath hi vaha behad se log ikhata ho gaye tha… Kuch waqt mei ek awaj na vaha maujood sabhi logo ka dhyan apni taraf khicha aur ya janab tha iss school ka sabse jaane maane student Viman… Jabse school ka yearly competition mei part lena shuru kiya hai ya fir kabhi piche mudkar nahi dekha… Humesha inka naam school ka finest students mei hi liya gaya…
Viman: Hello Everyone… Sabse phele toh Thank You ki aap sabhi iss student council meeting mei aaye…. Vaise toh ya council meeting har saal rakhi jaati hai jaha hum first year mei aaye sabhi students ka saath interact karta hai aur unka aur humare bich ka jo initial gap hai usse khatam karna ki koshish karta hai…
Par iss saal humara moto iss meeting ka kewal iss ek akele point par hi nirdharit nahi hai… Pichle kitna hi saalo se mujhe bhi nahi pata par ha mera Pita jab yaha padha karta tha tab bhi yahi niyam tha aur iss saal se phele bhi yahi niyam tha par iss saal school ka niyamo mei badlav kiya gaya hai… Pichle saal tak students camp and activities sabhi chije from second year se shuru hua karti thi par iss saal AS na khud ya decision liya hai ki iss saal sabhi students including first year students bhi in activities ka part banega…
AS na kuch activities suggest ki hai jiska according humna plan develop kiya hai aur sabhi activities ki shuruwat half year se hi hogi and not before that but first year students rest assured AS na saaf shabdo mei kaha hai ki aap sabhi logo ko cover kiya jaaye aur islye sab kuch vaise hi plan kiya gaya haiii…
Abhi Viman aage kuch kaheta ki ek haath bich mei hi uth chukka tha… Utha haath ko dekh…..
Viman – As expected, yes Willy batao kya query hai…?
Willy: Viman question ya hai ki kya ya activities sirf during school hi rahegi ki hum as senior kuch activities individual initiate kare aur usmei first year ko involve kara toh vo chalega… As you know hum har saal school activities ka alwa behad saare individual task bhi karta hai…
Viman: Willy tumhare ander ka adventurer humesha jaga hi raheta hai kya, yaar abhi toh saal shuru nahi hua aur tu adventurer ki planning par lag gaya… But yes, tera sawal ka jawab hai yes… You can choose anyone from first year based on your thoughts about individual but there are two conditions: First common the individual should also agree with it and second the important one the individual has to give in writing and consent of family that if anything happens school will not be held responsible…
Vaise toh aaj tak essa hua nahi ki school na humare piche kabhi apne logo ko nahi lagaya ho even though hum apne hi task khud karta hai aur na hi kabhi koi hadsa hua hai par maanlo agar essa hota hai aur kisiko kuch ho jata hai toh uss case mei school responsible nahi hogi…
Willy: Thanxs Viman…
Viman: So friends apni kamar kas lijiye kyunki kalse aane vala phele 6 mahina aapke liya behad jaruri hai kyunki uska baad ka samaye aapka classes se jada practical world mei hi gujar jayega…
Iska baad do teen aur students aaye jinhone sabhi logo ka saath interaction aur saath hi school ka kuch moral conducts ki baate kari jo kahi likhi nahi thi but ek decorum tha aur ya sirf verbally communication ka through hi tha…
Karib 2 ghante se upar chali ya meeting aur uska baad sabhi apne apne room ki taraf badh gaye…. Raste mei hi Shubham na Shishir se puch liya jo vo behad lambe samaye se puchna cahata tha….
Shubham: Shishir kya tum Rajkumar Willson ko jante ho?
Shishir: Usne ek pal toh usse dekha aur fir jawab dena shuru kiya…. Yaar tu bhi kaise sawal karta hai…. Rajkumar Willy ka naam na shayad hi iss duniya mei koi nahi janta hoga…
Shubham: Essa kyu?
Shishir: Ary yaar tum konsi duniya se aaye ho bhai…? Itni kam umar mei duniya sabse mashoor tiranbajo ki shreni mei unka bhi naam hai… Akele hi vo ek puri fauj ko kayi ghanto tak sambhal sakta hai….
Vaise ek baat tu bata mujhe tu kaise Rajkumar ko nahi janta hai, sach sach batana…?
Shubham: Kyunki shayad mei iss duniya ka nahi hu…. Yaha aane se phele mera jeevan ka samaye kewal ek jungle mei hi beeta hai jaha ya sab kuch nahi tha…
Shishir: OOOOHH toh ya baat hai… Chal koi nahi, ab mei tujhe sab samjha dunga aur iss duniya se milwa bhi dunga….
Chal abhi toh chalte hai subha class saath hi chalega…
Aaj ka liya itna hi….