If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
FantasySHUBHAM - EK Raskshak ya Bhakshak (Rebooted)
Raat ki student meeting ka baad sabhi log apne apne kamro mei pahuch aram kiya aur agle din subha se shuru hua sabhi ka vo safar jiska liya ya sabhi yaha aaye tha… The First Day of Class…
Har aam din ki tarah hi aaj bhi Surya uday se phele hi uth gaya tha Shubham aur uska karan bhi vahi uska sar mei utha vo tej dard aur uss dard se nikalti uski vo chikh jo iss hostel mei rahena vala Ahar ladka aur ladki ki nind ko na sirf uda deta bulki shayad uska dard ka ehsaas har kisiko karwa deta par essa hua nahi kyunki sabhi ka kamre dhwani avrodh ka hissab se hi bana tha…
Badi mushkil se uss dard ko sehan karta hua Shubham na fir uss ladki ka tukda ko liya aur fir kuch samaye baad usse rahat mehsoos hui… Jaldi savera ka fayda uthate hua Shubham aaj dhyan mei baith gaya tha…. Behad lambe samaye baad vo firse dhyan mei baitha tha varna usne dhyan mei baithna band kar diya tha…
Dhyan mei baithe Shubham ko kuch hi samaye beeta tha ki uske sar mei hona vala dard apne charam par pahuch chukka tha, ek baar fir vahi ho raha tha jiski vajah se usne dhyan lagana band kar diya tha… Dhyan mei baithne par jaha logo ka dimak ka vikas aur uski shamtao ka pata lagta hai, usmei vradhi hoti hai vahi Shubham ka saath iska ulta ho raha tha, har baar jab bhi vo dhyan mei baithta uska dimak ki shamta badh aur gath toh nahi rahi thi par uska dimak mei hona vali peeda ek nayi uchayi dharan kar leti thi… Har baar ka baad uski peeda iss kadar badh jaati thi ki dhyan mei baithe baithe hi vo iss peeda ka chalta behosh ho jata tha…
Aaj fir vahi drishya doharaya jaa raha tha, aaj fir dhyan mei baithne par uska mastiksh mei hona vali peeda har baar ki peeda se bhi ek kadam aage badh chali thi aur iss peeda ko sehan kar khudko abhi bhi dhyan mei ekagrajit rakhna ki vo har sambhav koshish kar raha tha… Ya peeda aage badhe aur Shubham ka saath fir kuch ho usse phele hu dastak uska darwaja par jisse sun usne apna dhyan thod diya aur uth kar darwaja ki taraf badh chala….
Darwaja Khulna par samnye khada paya Shishir ko jo iss waqt neela rang ki poshak mei maujood tha…. Usse dekh ya bataya jaa sakta tha ki vo jaldi uthkar taayar ho gaya hai aur abhi Shubham ko bulane ka liya aaya tha…
Shishir: Ary tu tayar nahi hua abhi tak?
Shubham: Par abhi to class ka time mei behad samaye baki hai…?
Shishir: Ary sorry mei batana bhul gaya tha yaha na ek behad shandar ground hai jaha subha ka samaye behad acha mausam raheta hai… Vaha dhyan lagane se behad fayda hota hai toh chalo hum vahi chalkar dhyan lagata hai aur fir vahi se school nikal jayega….
Shubham: Uski baat sun usse kuch sochna ka mauka bhi nahi cahaiye tha kyunki usse pata tha yadi vo vaha jakar dhyan lagata hai toh jo dard abhi band kamre mei mehsoos hua tha vo sabhi ka bich sehan kar sakna uska liya niyantaran se bahar tha… Usne ek pal mei hi Shishir ko mana kar diya aur usse siddha class mei hi milna ka kaha…
Shishir: Usne bhi ispar koi pratikriya nahi di kyunki ya ek neeji faisla tha jiska usne samaan hi kiya aur akele hi dhyan lagane chal diya….
Kuch samaye baad Shubham bhi tayar hokar school ka liya nikal gaya jaha aaj vo apne jeevan ki pheli class mei jaa raha tha… Aajse phele jo bhi sikha aur jo bhi samjha vo kewal uska apna ek najariya tha jismei uski madat kari unn kitabo na jo kabhi koi uska liya chod kar gaya tha aur fir kabhi na vo lauta aur na hi uski koi khabar… Ha Triffor na kaha tha ki Shubham ko uska pata jarur lagega aur vo usse mulakat bhi kar sakega par usmei kitna samaye hai ya usse nahi pata tha…
Apne jeevan ki pheli class ka liya vo tayar tha toh saath hi uska dil mei kahi na kahi gud gudi bhi thi aur thoda bhaye bhi, ki na jaane kaya hota hai aur kaise hota hai classes mei…. Uske saath padhna vale logo ka bich vo rahe pata hai ki nahi…. Essa aneko baate thi jinka baare mei sochta hu hi vo class ka liya nikal gaya…
AS duwara kal apni class ki sahi jagah jaane ka baad aakhir kar vo shan bhi aa gaya jab Shubham apni class mei pravesh kiya…. Jab vo class mei pahucha toh vo shayad yaha sabse phele hi pahuch gaya tha kyunki abhi class ka shuru hona mei karib 15 minute bache tha aur koi bhi maujood nahi tha…
Vo class mei pahuch jaisa aam taur par usne padha tha ki classes mei benches, table, aur chair essa sab hota hai ya class usse alag thi… Yaha kuch bhi maujood nahi tha, siwaye ek aasan ka jispar sabhi log baith sakta tha…Shubham bhi sabse aakhir mei jakar ek jagah baith gaya aur bus sabhi ka aane ka intezar karna laga…
Kuch hi der mei students aane lage aur vaha baithna ki jagah par baithe chala gaya, jaha sabhi students class ka shuruwat mei baith rahe tha vahi Shubham akela hi sabse aakhir mei baitha tha, kyunki vo abhi teachers ka samne nahi aana cahata tha… Uska maana tha ki ek baar vo ya sab samajh le ki ya duniya kaise kaam karti hai aur uska baad hi vo aage badega…
Dhere Dhere sabhi log class mei aa chukka tha… Shishir bhi aa chukka tha aur vo Shubham ka saath hi piche baitha tha… Jaha Shubham sabhi ko dekh raha tha vahi Shishir ek baar fir dhyan mei baith gaya tha… Kuch pal beeta aur achanak hi class ka gate band, khidkiya sab band ho gayi…
Jo ander tha vo ander band hog aye aur jo bahar tha vo ander aa nahi sakta tha… Achanak hi hua iss badlav na sabhi ko aaschariya se gher liya, sabhi ek dusra ko dekh samajhne ki koshish kar rahe tha ki ya kya hua… Abhi koi kuch samajhta usse phele hi class mei kahi se dhuwa uthne laga, ya dhuwa har samaye ka saath hi ghera hua jaa raha tha jo sabhi ko apne ander sama raha tha…
Achanak hua iss humla se bacho mei bhavye jaisa mahool banane laga tha vahi kuch student jo khudko honhar mante tha, jinka maana tha ki unhone behad kuch sikh liya hai unn students na khudko iss dhuwa se bachane ka liya kuch spells bola, kuch na dhuwa rokne ka liya spells bola par sabhi ka asar beasar hua jaa raha tha…
Iss dhuwa ka chalta sabhi students ko kuch ajeeb sa mehsoos hona laga tha…. Vo sabhi log khudmei hi kuch essa mehsoos kar rahe tha jaisa unka sharir vahi hai par vo kahi travel kar rahe hai... Students ka bich panic badhna laga tha aur jo abhi baithe tha vo sab khada hokar idhar udhar bhagna laga khudko uss dhuwa se bachane ki koshish karna laga…
Sirf kuch pal hi chala ya sab kuch aur fir achanak hi class mei ek tej roshni aur sabhi kuch normal hona laga… Jaise jaise dhuwa chata sabhi ka samne ka drishya kuch essa tha jisse dekh unhe samajh nahi aa raha tha ki jo samne hai vo real hai ya unka man ka veham…
Tabhi ek awaj na sabhi ka dhyan apni taraf khicha.... Ya awaj thi Madam Indra ki….
Indra: Good Morning friends… Welcome to the class…
Sabhi students awaj sun upar asmaan mei dekhna laga tha, jaha hawa mei maujood thi iss waqt ek female teacher… Dikhna se umar ka pata nahi chal raha tha aur unhe dekh ya kahena ki vo abhi Viman se adhik umar ki nayi hogi koi galat nahi tha… Pata sahi age ka pata nahi bataya jaa sakta hai…
Sabhi log aaschariya se bus dekh rahe tha ki tabhi vaha dhuwa ek baar fir hua par iss baar vo students ko gherna ki jagah ek roop lena laga aur uss dhuwa se bahar nikala Mr. Rimo... Jinka cehare par ek sharati muskaan thi…
Rimo: So students kaisa laga phele saal ki class ka phela surprise??
Rimo ki baat sun sabhi student confusion mei tha aur unhe nahi pata tha ki Rimo kis surprise ki baat kar raha hai… Vo toh abhi bhi bus shocking state mei tha… Islye kisine kuch answer nahi kiya…
Rimo: OOHHH abhi bhi shock mei hai ya sab toh… Ya Rimo na Indra se kaha jisse sunkar Indra ka cehare par ek muskaan thi aur uss muskaan ko dekh vaha maujood har ladka ka dil bus ek beat skip jarur kiya hoga… Indra ki muskaan sach mei essi thi jaise koi gulaab khil gaya ho…
In dono ki baate aage badhti usse phele hi vaha par ek awaj na sabhi ka dhyan apni taraf aakarshit kiya jismei Indra aur Rimo bhi tha par iss awaj ko sun dono turant hi hawa se jamin par aa gaye tha aur dono uss awaj ka malik ka samaan mei apne ek ghutna par baith chukka tha aur sar jhuk chukka tha…
Mariana: Aakhir mei karli na apne dil ki… Har saal ki tarah iss saal bhi naye aaye students ko satana mei tumhai bada maja aata hai na dono ko… Kyun bhul jaate ho tum dono ki ab tum iss school ka students nahi bulki teacher ho… Ya bacho ka jaise masti majak karna mei behad maja aata hai na tum dono ko…
Mariana ki baat sun sabhi student Indra aur Rimo ko dekhna laga tha vahi Mariana ka cehare par apni baat kaheta hua bhi ek muskaan thi… Ya muskaan ka karan tha Mariana ka bharosa Indra aur Rimo par... Ya bharosa kyat ha uska jawab Rimo na khud Mariana ko de diya tha…
Rimo: Par humne toh kuch nahi kiya… Humne toh inn sabhi ko inki life ka sabse phele aur sabse important lesson hi teach kiya hai…?
Rimo ki baat ko sun ab baari students ki thi jo ek baar fir aaschariya se Rimo ko dekh rahe tha… Vahi Mariana ko students ka behaviour ka andaza tha aur islye unhone hi students ki taraf se bolna shuru kiya…
Mariana: Sabse phele toh tum dono vapas khada ho jao aur Rimo fir tum jara bataoge hum sabhi ko ki tum dono na essa konsa lesson in sabhi ko sikha diya hai…?
Indra aur Rimo dono apni jagah ek baar fir khada tha aur ek baar fir Rimo ki awaj sunayi di…
Rimo: Sachet rahena, humesha har pal khudko hosh mei rakhna aur kisi bhi pal kisi bhi paristhiti ka liya khudko tayar rakhna… Aaj jab ya class mei aaye tab ya sab bilkul chill aur relax tha, inhe bharosa tha ki inka saath yaha kuch galat nahi hoga, par jab achanak hi class ka band hona aur dhuwa fail jana aur uss samaye inka panic state yahi sab baate hai jo ya clear kar rahi hai ki ya abhi bache hi hai aur inmei abhi maturity aani baaki hai….
Indra: Correct, life mei magic ho ya na ho hume humesha hi viprit aur uncahayi paristhiti ka liya tayar rahena cahaiye… Sher jungle ka raja hona ka baad bhi humesha chaukana raheta hai aur yadi kahi ek halki si chuk usse ho jaati hai toh fir shikari uska shikar kar leta hai….
Thik iska ulta yadi Sher chaukana hai toh fir shikari kitna hi bada aur acha jaal banale vo sher se bach nahi sakta hai… Sher usse maar kar hi dum leta hai… Ab kyunki ya sab humari guidance mei shuruwat kar rahe hai toh hum inhe sher hi banana cahate hai yani ya apne jeevan mei iss baat ko samajh le ki inhe humesha chaukana rahena hai fir cahaiye pal dukh ka hoy a khushi ka…
Jeevan mei sathark rahena hi jeevan mei hona vali aneko haani hona se na sirf aapko bachata hai bulki aapko apne dushman ko kamzor karna mei aur khudko majboot karna mei bhi madat karta hai…
Rimo: Aur ab kyunki ya sab iss school ka hissa hai jaha se nikalne ka baad koi kisi Rajye ka Senapati hoga, toh koi kisi Rajye ka Raja ya Rani, kuch kisi rajye ka salahkaar hoga… Essa mei yadi jeevan ka bahumulya gyan mei se ya chota sa gyan yaani satarkta nahi rakhi toh fir…
Ya kahe kar Rimo chup ho gaya… Vahi Mariana ka cehare ki muskaan behad adhik badh gayi thi…
Mariana: Bravo… Kya sahi tarika hai kisiko bhi sikhane ka... Fir vo sabhi naye students ki taraf mudkar…
Mariana: Sabse pheli baat mei Mariana iss school ki Head Master hu… Aap sabhi new year students ka yaha behad dil se swagat hai aur humari koshish rahega ki aap jab yaha se padhkar bahari duniya mei kadam rakhega toh aapke naam se humare iss school ko jaana jaaye…
Ab baat karti hu aapke iss year ki toh aapke phele saal ka jima aapke samne khada aapke ya dono teachers ko mila hai… Inka naam hai Rimo and Indra… Iss pura saal mei aap sabhi ko ya dono hi prashikshit karna vala hai aur ya bhi bata deti hu ki kisi samaye mei jaha aap hai vaha ya hua karta tha bus antar ya hai ki aapki umar mei dono jab yaha aaye toh apne jeevan ka liya lakshaye ka saath tayar tha aur jeevan ka kuch essa anubhav saath liya hua tha jiska baad kabhi koi na aage vala aur na hi saath vale inka sikhna aur uski uchayi ka mukabla kar saka….
Islye aap log nishchit rahiya aapki soch se adhik aapko sikhna ko milega aur aapki kalpana se jada anokha tarika hoga inka aapko sabhi kuch sikhana ka par ya tabhi sambhav hoga jab aap sikhna ka liya na sirf tayar hoga bulki ya jo namuna aapne dekha tha essa jhatko ko jhelta hua aap apne ander sikhna ka lalach humesha rakhega.... Aapke aane vala saal ka liya behad subhkamnaye aur humari mulakate bich bich mei hoti rahegi iss class ka dauran…
Itna kahe kar Mariana vaha se chali gayi aur rahe gaye ab students aur unka samne khade Indra aur Rimo…
Indra: I hope aap sabhi na aaj jo sikha hai vo humesha yaad rahega aur aap sabhi humesha satark rahega….
Vaise aap sabhi ko kuch baate jaan leni cahaiye class ko shuru karna se phele…. Jaisa ki aap sabhi dekh rahe hai iss waqt hum ek behad sundar garden mei maujood hai vaise hi humari learning aur training kabhi bhi school ki unn chaar deewaro mei nahi hogi.... Hum aapko jo bhi sikhana hai uske hissab se kayi alag alag jagah lekar jayega aur vaha aap sabhi ko train kiya jayega par iska ya matlab nahi ki hum aapko har din alag jagah lekar jaane vala hai…
Jab jab jarurat hogi aapki jagah badal di jayegi par jab essa nahi hoga uss samaye ya jagah aap sabhi ka normal classroom hai par yaha pahuchne ka liya aap sabhi ko jarurat hogi humari jiska bina aap yaha nahi pahuch sakta hai aur hum aapko yaha tabhi laa sakta hai jab aap class mei time par aaye… Aap sabhi log agar apne nirdharit samaye tak class mei hua toh aap yaha pahuch sakta ho par agar aap deri se hai toh fir maaf kijiyega aapka uss din ki class aapke liya nahi hai…
Dusri baat aaj tak aapne sikha behad kuch hoga aur jinse bhi sikha hoga vo behad ache prashikshak rahe hoga par ek baat aap sabhi dhyan se suniya, jeevan mei jo sikha hai usse sahi samaye par sahi tarika sa istemaal mei laana hi sabse jaruri hai varna aapka gyani hona agyani hona jaisa hi hai… Islye hum jo bhi sikhega uska practical bhi karega aur vo bhi real na ki fake… Vaha lagne vali har chot, har ek boond khoon ki aapki apni hogi, essa samaye mei sahi decision hi aapko bacha sakega, par ismei ek chota sa fer hai aur vo ya ki jo bhi essa nahi karna cahata hai vo likhit shabdo mei ya de de ki vo iss tarah ki training ka liya tayar nahi hai… Uska baad usse essa kisi bhi training ka hissa nahi banaya jayega aur jiss din ya training hogi uss samaye ka liya school mei maujood sabhi practice grounds uska liya khula hoga…
Rimo: Ab jaha aap sabhi ko itna kathin kaam aur uska saath usse kathin parishram karna padega toh essa kuch essa hona bhi jaruri hai jo aap sabhi ka manobal ko badhaye… Islye aapko bata deta hu har mahine jo hum sikhega uska practical hoga aur uss practical mei jo sabse acha khudko sabit karega usse inaam milega… Inaam kya hai vo jaan lijiye… Aap sabhi ko pata hoga ki humare school mei kayi practice ground hai jo aam taur par sabhi ka liya khula hi raheta hai, par kuch essa bhi grounds hai jinhe band rakha jaata hai aur vaha sirf school ka sabse khaas aura cha students ko hi entry milti hai par jinhe entry milti hai vo students school ka sabse acha hona ka saath aakhri year ka bhi hota hai.... Yadi koi ek do dusra year ka bhi ho toh bhi usmei First year ka students bilkul nahi hota hai…
Par iss saal aapke liya uss grounds ki entry hum open karega…. Har month ka best performer ko kisi ek ground mei pura ek week training karna ko milega aur vo bhi school ka best masters ka saath aur ya jaan lijiye ki vaha ka ek week normal life ka ek month se kam nahi hota hai… So guy’s backup yourself kyunki ya opportunity behad limited logo ko milti hai…
Now the last thing, jaisa aapki kal student council meeting mei aapko pata chala hai ki iss baar niyam badal diya gaye hai aur aap sabhi ko bahar ki duniya mei training ka mauka bhi milega par vo sabhi kuch after 6 months shuru hoga, par hum ya process har 3 mahina mei ek baar karega… Har teen mahine mei ek baar hum external world tour par jayega jaha hum duniya ko janega aur samjhega ki humse phele vale log kaise raheta tha aur aaj kaise raheta hai… Kayi jagah essi bhi hogi jaha ab koi nahi raheta hai aur sabhi taraf bus khandar hi khandar hai… Essa khandaro mei hume ya samajhna hai ki uss jagah ka khandar mei tabdil hona ka karan kya hai jisse hum apne aap ko essi paristhiti ka liya tayar kar saka… But aap sabka liya ismei bhi bahut benefit hai, aap sirf acha sikhoge hi nahi bulki saath hi aapko vaha best weapons, defence shields aur yaha tak ki kaafi paisa aur bahut kuch mil sakta hai… Par par jaisa Indra na phele kaha, essi journeys mei khatra hota hai aur vo bhi real life jaha sab kuch aapke plan according nahi hota hai…. Islye jo nahi aana cahaiye vo bilkul swatantra rahega bus usse ek paper likh kar dena hoga… Jo nahi aana cahaiyega uska liya school mei sikhane ka liya dusra teachers available rahega aur vo unke saath apni training continue kar sakta hai…
Indra: So agar aap sabhi mei kisiko kuch sawal hai toh vo puch sakta hai...
Rimo aur Indra sabhi ki taraf dekh rahe tha… Tabhi unhe piche se ek haath utha hua dikha…
Ek utha haath ko dekh dono ki aankho mei chamak thi... Ab ya chamak kyu, aur vo haath kiska tha inn sabhi sawalo ka jawab agle update mei…
Sabhi ka jaane se phele utha tha ek haath, jisse dekh Indra aur Rimo ki aankho mei chamak thi… Ya chamak ka karan kya tha iska jawab toh abhi ka liya chodta hai par haath uthana vala shaks koi aur nahi bulki Shishir tha…
Indra: Aap apna sawal puch sakta hai Shishir?
Shishir: Usse phele toh vishwas nahi hua ki Indra ko uska naam pata hai, par usne uss baat par jada dhyan diya bina sawal pucha… Aapne ya toh bataya ki aane vali saal ki training mei kya khaas hoga par mera sawal ya hai ki iss duniya ki hawa mei kuch antar hai jo ki humari duniya se alag hai aur agar mei galat nahi hu toh humari duniya mei essi koi jagah nahi hai jaha iss tarah ki hawa aur usmei itni energy maujood ho…
Shishir ki baat sun sabhi usse dekhna laga vahi Rimo aur Indra ki muskaan behad badh gayi…
Idhar Shishir ki baat ka jawab Rimo ya Indra deta usse phele hi ek awaj na sabka dhyan apni taraf khich liya… Ya thi Rajkumari Neelam… (Inka purn parichaye aage vistar se dunga)
Neelam: Shishir ki baat sahi hai… Humare pura system mei hi essi energy kisi bhi Rajye mei nahi hai aur jitna mei janti hu ya energy source humse kafi higher system ki energy source hai aur itna higher source ka access humare system ko kaise mil sakta hai… Ya jagah sahi nahi hai…
Inn dono ki baato na class ka sabhi students ka bich mei hi baat chit shuru kardi par Indra aur Rimo iss sawal se thoda khush dikh rahe tha…
Rimo: Shishir, Neelam aapka sawal ka jawab hum aapko de dega, par usse phele huma ek sawal ka jawab dijiye… Aap dono na ya sawal kyu pucha??
Shishir: Kyunki jab meine yaha aankhe band karke iss jagah ki energy ko apne saath jodna ki koshish kari toh mujhe ek tej jhatka laga aur meri aankhe khul gayi aur ya tabhi possible hai jab mera system ki energy se jada ya energy mujhc juda… Mujhe isse khudse jodna ka liya alag samaye dena hoga…
Neelam: Abhi aapne kaha tha har situation mei apna guard humesha up hi rakhna hai bus ussi ka liya meine iss jagah ko mehsoos kiya taaki mei ya jaan saku ki iss jagah ka base element kiya hai… Ek baar iss jagah ka base element pata chal jaaye aur usse khudko jod liya jaaye toh yadi koi mujhpar humla bhi karega toh mei iss jagah ka saath unite hokar khudko bacha sakungi…
Rimo: Ok so Shishir and Neelam aap dono ka analysis bilkul sahi hai… Jaha hum khada hai vo asal mei iss saal ka sabse bada surprise tha aap logo ka liya, jisse huma aap logo ko saal ka bich mei dikhana cahaiye tha par kyunki hum aap logo ko initial stage se sab kuch acha ki taraf lekar jana cahate tha islye humne ya jagah first day par hi aap sabhi ko dikha di…
Now coming to this place toh aap sabki jankari ka liya bata deta hu ya jagah Orion Rajye ka hissa hai...
Abhi Rimo na bus itna hi kaha tha ki puri class mei shock ka saath kewal Orion hi nikala aur sabhi logo bus uss jagah ko dekhna laga…
Indra: Quite everyone… Aap sabhi na sahi suna hai hum iss waqt Orion mei hai aur ya Orion ka hi one of the training grounds hai jaha Orion ki military training karti hai… Iss saal Orion school ka saath apne rishte majbot kar raha hai aur uska liya unhone huma ya training ground aur essi hi kayi jagah ki entry di hai… Jaha aap sabhi apne aapko nikhar sakega aur saath hi iss Higher System ka sabse developed Kingdom ko bhi samajh sakega…
Khair aaj bahut baate ho gayi hai… Lets explore this place… Yaha aap sabhi ko kuch jagah dikha raha hai jaha kahi bhi aap kalse apni training shuru kar sakega…
Iska baad Indra aur Rimo na unhe kayi jagah dikhayi jinka baare mei hum vistar se aage dekhega.... Kuch ghanto ka baad sabhi log school mei tha aur sabhi log apne apne dorms mei nikal chukka tha…
AS: Unka samne iss waqt Triffor and Samya khada tha… Jaha Triffor aur Samya bade dhyan se AS ko dekh rahe tha vahi AS ka cehare par kuch pareshani ki lakira dikh rahi thi.... Kuch der soch vichar ka baad unhone Triffor aur Samya se sawal puch hi liya…
AS: Kya tumhai yakeen hai ki jab tum dono Shubham ko uss jungle se bahar nikal kar sab sahi kar rahe tha tab tumne usse dekha tha?
Triffor: AS aap jante hai hum apne kaam par koi faltu baat nahi karta hai aur jab baat usse judi ho toh fir kabhi nahi. Mujhe yakeen nahi purn bharosa hai ki meine usse hi dekha hai aur shayad aapko ya jankar khushi nahi hogi par usne uss jagah ka baad hume dubara follow nahi kiya… Bulki vo viprit disha lekar na jaane kaha gayab ho gaya…
Samya: Ha AS ya baat sach mei sochna vali hai… Kyunki vo kabhi khulkar samne nahi aaya… Pichli baar bhi nahi, jabki humna uska na sirf nuksaan kiya tha bulki uska sab kuch chin liya fir bhi vo bahar nahi aaya par isbar uska essa samne aana kuch galat indicate kar raha hai… Kya humse kuch chut raha hai?
AS: Triffor, Samya… Uske aage ki baat unki vahi rahe gayi… Uska office mei Mariana aa pahuchi jo iss waqt behad gussa mei thi… Jisse dekh hi Samya aur Triffor ki phat gayi thi vahi AS apne hi man mei, isse bhi uska hona ka pata chal gaya hai… Kya dost itni jaldi thi kya tumhai bahar aane ki…
Triffor aur Samya Mariana ka samne apne ek ghutna par jhuk chukka tha vahi Mariana unn dono ko hi ignore karti hui siddha AS ka samne khadi thi, jiski aankho mei angare saaf dekha jaa sakta tha…
AS: Mariana…
Abhi uski baat khatam nahi hui thi Mariana na AS ka upar apni talwar nikal kar taan di thi…
Mariana: AS tumne mujhc jhut kaha, tumne mujhc kaha ki tumne usse khud mara hai… Tumne mujhc kaha ki uski laash bhi kisiko nahi milegi… Tumne mujhc kaha ki tumne usse essi maut di hai ki ab koi kabhi uska jaisa karna ka sochega bhi nahi…. Par dekho v otoh khud hi laut aaya hai… Aakhir kyu, kyu jhut bola tumne mujhc ki tumne usse maar diya hai?
AS: Mariana shayad tum bhul rahi ho ki tum kisse baat kar rahi ho aur meine tumse jhut kabhi nahi kaha…. Meine usse khudse hi mara tha aur vo bhi essi maut jiska sakshi ya Triffor aur Samya dono hi tha… Tumhai mujhpar vishwas nahi toh inn dono se hi puchlo…
Mariana: Usne ghurti aankho se AS ko dekha phele aur fir Triffor aur Samya ki taraf…
Vahi dono na jaise hi apna naam suna dono ko pasine aane laga tha…. Unhe toh laga aaj AS na unki maut ka purn intezam kar diya hai… Abhi vo dono kuch kaheta usse phele hi unhe apne dimak mei AS ki baat sunayi di, jisse sun dono ko thodi shanti mili aur dono na vaisa hi kaha jaisa AS na unka dimak mei kaha tha…
Mariana: Unn dono ko sun kar bhi vo shant nahi hui…. Uske dimak mei abhi bhi bus krodh hi bhara hua tha…
AS: Mariana mujhe khud samajh nahi aa raha hai ki aakhir essa kaise ho sakta hai…. Meine usse aur uska saath uss sampurn group ko hi maut ka ghaat utar diya tha fir ya sab achanak shuru kaise hua iska pata lagane hi meine inn dono ko bheja tha par ya dono bhi kuch pata nahi laga saka…
Mariana: AS ya kaam na kal tumhare bus ka tha aur na hi aaj tumhare bus ka hai… Meine apne logo ko usse dhundna laga diya tha aur unhone mujhe suchna bhi di hai ki vo log kaha chupa baithe hai… Usmei vo khud hai kin ahi mujhe pata nahi par jo bhi hai aaj ki raat meri talwar ki pyas jarur bhujayega…. Aur……
AS: Ha pata hai, meine tumhai nahi rokunga… Baha do khoon aur karlo apni talwar ko shant… Par aaj mei, Triffor aur Samya teeno hi saath chalega… Chinta mat karo mei haath nahi uthaunga aur na hi ya dono tumhare khooni khel ka bich mei aayega…
Mariana: Toh thik hai, hum log thik samaye se nikalega…. Ya kahe kar vo vaha se nikal gayi….
Uska jaate hi Triffor aur Samya dono hi normal hokar khada ho gaye aur AS ko ghurna laga…
AS: Essa dekhna se kuch nahi hoga… Agar usse phele hi ya bata deta hi ki vo huma kabhi mila hi nahi toh vo humara saath kabhi nahi deti aur vaise bhi usse marna ka liya Mariana kaafi nahi hai…. Behad sakht jaan hai vo… Agar usse koi bhi essa hi maar deta toh fir uska naam se hi log khauf jada nahi ho jaate….
Khair chodo ya sab vaise bhi vo abhi humare upar humla nahi karna vala hai, tum dono apne aankh aur kaan dono hi khol lo… Jitna log hai sabhi ko boldo iss duniya mei har jagah fail jaye aur jo bhi essi khabar jo unka hissab se kuch chaukana vali ya fir alag hai uski suchna huma mila… Kyunki konsi khabar huma kab ustak pahucha de kya pata…. Samajh gaye…
Samya aur Triffor dono hi ha mei sar hila deta hai…. Iska baad dono hi jaane lagta hai ki AS Triffor ko awaj dekar rok leta hai aur Samya ko jaane ka liya kaheta hai….
AS: Triffor kya baat hai jo tum Samya ka samne kahena nahi cahate tha…?
Triffor: AS mujhe iss baar kuch dar lag raha hai… Mujhe essa lag raha hai jaise khel hum nahi vo khel raha hai…
AS: Muskurate hua… Triffor tum sach mei behad samajhdar ho… Tum sahi soch rahe ho… Pichli baar jo hua vaisa karna ka liya bhi usne huma majboor kar diya tha aur iss baar bhi samne aakar uska chara faik diya hai huma usmei uljhana ka… Par pichli baar ki tarah iss baar uska chara ko hum khayega bhi aur apna chara khilayega bhi… Dekhta hai kon kiska kabza mei aata hai… Tum bus ek baat ka dhyan rakhna bhul kar bhi Mariana ka kisi aadmi ko sach tak pahuchne mat dena jaisa aajtak chal raha hai….
Triffor: Ha bhar kar nikal jata hai…
Vahi AS apne hi khayalo mei kho jaate hai…. Vo har baat ko samajhne ki koshish kar rahe tha… Unke sochna ka dayra behad badh gaya tha jismei kayi baar unka cehare par pareshani ka bhav bhi dikhayi deta…. Kuch samaye ka ghera soch ka baad vo apni jagah se uth gaye… Chalo dekhta hai dost kaise khelna cahate ho tum iss baar… Pichli baar toh tumhai karari shikast mili hai aur isbar tumhari jaan hi leni hai bus… Vaise bhi pichli baar hi meine tumhari ridh ki hadi toh kamjor kar hi di thi jisse tum kabhi bahar nikal nahi sakoge, bus iss baar mera kuch humla aur khel khatam…
Itna bol AS vaha se gayab ho gaye….
Mariana: Gusse mei hi school se bahar nikal gayi aur jaa pahuchi uss taraf jaha iss waqt dhur dhur tak kewal ek hi makan dikhayi de raha tha, jisse Makan kahena hi galat hoga… Vo apne aap mei pura RajMahal tha… Yaha vo har chij maujood thi jiski jeevan mei jarurat padh jaaye… Mariana ka vaha pahuchte hi uss Mahal jaisi jagah ka darwaja par maujood guards na darwaja khol diya…. Ander kayi log guard par tha par unke cehare par jinhone ek jaise hi kapde pehana hua tha…
Mariana sabhi ka bich se hoti hui ander ek kamre mei pahuchi jaha iss waqt tha ek aadmi jo baitha aur uske hi piche khada tha kuch log... Mariana ander pahuchte hi ek bada se single seater sofa par jaa baithi....
Mariana: Jario (Vo aadmi jo baitha tha) kya hua mera kaam ka?
Jario: Aapne aajtak mujhe jo bhi kaam diya hai meine usmei kabhi shikayat ka mauka diya hai aapko? Nahi na… Toh aaj bhi nahi dunga…
Mariana: Hmmm… Kaha chupa hai vo?
Jario: Madam Mariana vo kaha chupa hai iska pata mujhe nahi laga par uska log yahi rahe kar aapke aur AS par najar rakhe hua hai… Unka pata mujhe pata hai aur unse aap uska pata dhund sakti hai…
Mariana: Iska matlab tum usse nahi dhund saka?
Jario: Madam Mariana usse dhundna koi bache ko dhundna ka khel nahi hai… Jiska itna saal se jeevit hona ki khabar nahi mili usko ek pal mei dhund lena ki vo kaha hai sambhav hi nahi aur vaise bhi meine aapse phele hi kaha tha mera kaam bus uska logo ko dhundna tak simit hai… Usse jada mei ismei haath nahi dalunga…
Mariana: Kyu dar lagta hai usse??
Jario: Muskurata hua, bilkul… Jairo koi murkh nahi jo ya kaheta ghuma ki vo kisise nahi darta hai, vo sabse shaktishali hai… Mujhe apni seema aur apni kabiliyat behad ache se pata hai aur mei usse bahar nikala toh maut jo uss dayra se bahar khadi mera intezar kar rahi hai vo mujhe uss dayra ki pheli saas lena se phele hi khatam kar degi… Islye meine apna kaam kiya, aap mujhe uski keemat de do aur mei apne raste aap apne raste…
Mariana: Usne apne pass se do gold card aur ek silver card usse de diya…
Jairo: Usne vo cards apne pass rakhe aur apni jagah se uth gaya aur bahar ki taraf badh gaya… Bahar jaate hua vo darwaje par ruka aur phir palat kar Mariana se bola…
Jario: Aapne ek samaye Jario ki jaan bachayi thi aur islye mei aapko ek advise deta hu, bharosa kabhi aankh band karke nahi kiya jaata hai aur faisla bina puri sachayi jaanen nahi kiya jaata hai… Ab chalta hu mera liya koi kaam ho toh mujhe khabar dena…
Iska baad vo ek minute nahi ruka aur ek travel door khol kar apne logo ka saath usmei chala gaya… Vahi piche chod gaya uljhi hui Mariana ko… Vo abhi Jairo ki baat par kuch sochti ki usse phele hi uska Pita vaha aa pahucha…. (Inka role bahut nahi hai iss kahani mei islye mei inhe kewal P Mariana likh raha hu)
P Mariana: Kya soch rahi ho, kisi baat se pareshan ho??
Mariana: Apne Pita ko dekh, Jario ki aakhri baat ka matlab samajhna ki koshish kar rahi hu Papa…. Usne essa kyu kaha mujhe samajh nahi aaya…
P Mariana: Beta jarur tum kuch faisle essa le chuki ho jinka pura sach jaane tumne kaam kiya hai… Jario tumhai kabhi galat sikh nahi dega ya mujhe vishwas hai…
Mariana: Janti hu papa aur bus islye hi soch rahi hu ki vo mera iss kaam ka liya essa kahe gaya hai…
P Mariana: Hmm, chalo ya sab badmei sochna aur abhi mujhe batao aaj tum yaha ka rasta kaise bhul gayi?
Mariana: Ary dekho mei bhi bhul gayi Jario ki baat mei…. Mei ya kahena aayi thi ki aap aur bhai vapas apne desh laut jao, vaise bhi aap dono ko yaha aaye behad samaye ho gaya hai aur yah aka halat ab badalne vala hai islye aapko vapas apne rajye chale jana cahaiye…
P Mariana: Konsa dushman aa gaya jisne meri beti ko ya sochna par majboor kar diya ki vo sab sambhal nahi sakegi??
Mariana: Mera iss jahan mei kewal ek hi essa dushman hai….
P Mariana: Kya vo laut aaya hai, par tumne toh kaha tha ki vo mara gaya hai?
Mariana: Aajse phele sabhi ko yahi lagta tha par aaj usne apne hona ka sabot sabhi jagah de diya hai… Ab mei jaa rahi hu usse uski bhasha mei samjhane…
P Mariana: Beta par??
Mariana: Nahi papa ab baat behad aage badh gayi hai aur mei apni kasam puri kiya bina shant nahi rahungi…
Ya kahe kar Mariana uss jagah se nikal gayi… Vahi P Mariana ka cehare par dar dikh raha tha…
Karib aadhi raat ka waqt hoga, jaha har koyi chain ki nind so raha tha vahi charo (AS, Triffor, Mariana aur Samya) ek behad ghane jungle mei ek gufa se thodi dhur chupa hua uss gufa par najar rakhe hua tha… Jaise jaise waqt badh raha tha andhera bhi badh raha tha aur uss badhte andhera mei iss shant jungle mei ek chota se janwar ka harle se hilna ki awaj bhi loudspeaker ki tarah sunayi de rahi thi…
Samya: Hum yaha kiska intezar kar rahe hai??
AS: Hum sahi ghadi ka intezar kar rahe hai… Uss gufa mei jabtak sab shant nahi ho jata hum humla nahi kar sakta hai… Agar galti se bhi koi bach kar nikal gaya toh khamyaza bahut se logo ko uthana padega…
AS: Triffor jara pata karwao ander kya ho raha hai??
Triffor: Apne haath aage karta hai toh uska haath se ek kala rang ka sanp siddha uss gufa ka bahar nikalta hai aur vo gufa mei ghus jaata hai… Vahi Triffor ka haath par ek chota sa screen jaisa ban jata hai jismei uss saap ki aankh ka through sab dikh raha tha…
Ander kuch 10 log maujood tha jo aag ka charo taraf baithe madira pee rahe tha aur behad nashe mei dikh rahe tha... Unn sabhi ka pass unka hathiyar toh maujood tha par unhe dekh lag raha tha ki vo inn hathiyaro ka istemal shayad hi kar saka kyunki nashe mei unki halat behad buri thi…
Mariana: Ya saale toh nashe mei dhut hai, inhe marna mei samaye nahi lagega… Itna bol vo apni jagah se uthi aura age badh gayi…
Vahi AS abhi usse rokna cahate tha par jab tak vo kuch kaheta Mariana uss gufa ka duwar par thi aur agle hi pal ander se kewal logo ka chikna ki awaj hi sunayi di… Ya awaje sirf 2-3 minute ka samaye li hogi aur fir sab shant ho gaya…
AS aur baaki dono bhi ander aaye toh ander ka haal behad bura tha… Charo taraf khoon hi khoon pada tha… Kisi ka sharir alag tha toh kisika sharir ka itna tukde tha kamzor dilwala dar jaaye… Vahi Mariana ki talwar aur uska kapde pura khoon mei ho chukka tha…
AS na vahi maujood lash mei ka sharir par se ek locket uthaya toh vo lash chamakna lagi aur dekhta hi dekhta vo puri badal gayi… Jaha phele ek insaan ka sharir tha vahi ab janwar ka sharir tha... Iss drishya ko dekh Samya aur Mariana shock mei pahuch gaye vahi Triffor AS ko dekhna laga jiska bhav bata rahe tha ki samne vala ki ya chal usne phele bhi kabhi dekhi hai…
Ab Mariana aur Samya apne shock se nikal paate ki achanak hi uss ujale se bhari guffa mei andhera hona laga aur uss andhera mei dikhni lagi ek safeed rang ki aakrati jo inn sabhi ka samne khadi thi aur uska hasne ki awaj uss shant jungle mei dar paida kar rahi thi… Vahi uss aakrati ko dekh AS ki aankhe choti ho gayi aur vo bade dhyan se dekhna laga usse aakrati ko…
Aakrati: HAHAHAHAHAHA…Kyu Mariana kaisa laga mera khel par chinta mat karo ek taufa tumhare ghar bhi bheja hai yaha se jakar usse bhi dekh lena… Bahut shauk hai na tumhai talwar chalane ka toh uska ek namuna meine bhi tumhai bheja hai… AS mera dost tum sach mei kamal ka ho, tumhai pata tha yaha mera log nahi hai aur islye pichle kayi ghanto se intezar kiya baithe tha par afsoos iss murkh ladki na tumhari nahi suni aur tumhari mehanat bigad di…
Par tumhai jankar dukh hoga jiska hona ki umeed tum kiya baithe ho usse tum kabhi nahi mil sakte kyunki uss gadar ko mein phele hi pakad chukka hu aur tum jante ho gadaro ka saath mei kaise paish aata hu, par kya karu vo mujhe tumhari tarah hi behad pasand hai islye uska saath meri sakhti thodi aur badh jaati hai islye usse thoda dard jada samaye jhelna padega…
Mariana: Pichli baar tum bach gaye par iss baar mei tumhai nahi chodungi…
Aakrati: Hahahaha… Mariana ooohhh Mariana… Tum samjhi nahi abhi tak ya khel mei niyamo ka saath khel raha tha jismei piche chal jaisa koi kratya meine nahi kiya aur na hi karna cahata tha par pichli baar jo tum logo na begunah logo ko dard diya hai uska baad meine kasam khali thi ki meine tumhai nahi choduga… Iss baar tum aur tumhare chalawa mujhe rokna toh dhur mujhe dhund tak nahi sakoge… Mei tumhai bataunga dard kisse kaheta hai, apni aankho ka aage apne logo ko marta dekhna ka dard kya hota hai… Tumhai iss baar ehsaas hoga ki kyu log meri saja se jada maut ko sundar mante hai…
Mei laut aaya hu aur aaj iss yaha ya ellan karta hu ki tum jitna jor lagana hai laga lo iss baar mei tumhai tumhare hi khel mei tumhari vo halat karunga ki tumhai aakhir tak ya samajh nahi aayega ki khel tum rahe tha ya mei khila raha tha… AS tumhara maksad shayad pura ho jata par afsoos mei laut aaya aur vo bhi tab jab tum nahi cahate ho islye tayar raho humari mulakate badhegi aur iss khel ka jalad khoon ki nadiya bahane se piche nahi hatega aur na hi sochega aur uski shuruwat yahi se karta hu…
Uska itna kahena tha ki ek tej chikh na uss gufa ko hi nahi bulki pura jungle ko dara diya…. Chikh behad bhayanak thi jisse mehsoos karke dhur baithe logo ka sharir bhi kamp jaaye… Mariana aur Triffor ka cehare ka rang ud gaya tha uss chikh ko sunkar hi…
Vahi AS ki aankhe ek pal ka liya chauki aur agle hi pal unhone haath ghumaya aur Mariana aur Triffor hawa mei ho gaye... Vahi Samya ka muh se har pal ek behad dard bhari chikh nikal rahi thi aur uska sharir se har pal ek ek paid ki tehani sa saman ek shaka nikal rahi thi… Uska sharir pura jad ho gaya tha vahi uska ander se nikalti ya tehani jaisi chij uska sharir ka uss hisse ko pura fadta hua bahar nikal rahi thi… Jaha se vo nikali vahai se khoon behana lagta…
Aankho mei maut ka dar aur cehare par par beshumar dard ka saath vo AS ko dekh rahi thi jo kuch nahi kar rahe tha… Muh se chikho ka alawa kuch nahi nikal raha tha, vahi AS uski halat dekh bhi kuch nahi kar sakta tha kyunki unhe pata tha jo ho raha hai usse rokna ki shamta unmei nahi thi… Iss humla ko AS nahi rok sakta tha aur islye vo bus bebus usse marte hua dekh rahe tha…
Aakrati: Meri tarah se khel ka phele daav chal diya gaya hai ab tumhari baari hai… Par yaad rakhna mei jada mauka nahi deta islye agli chal sambhal kar chalna kahi essa na ho aaj mera logo ko maut dena aaye aur khudka hi saathi kho baithe kal puri fauj hi haar baitho… Itna bol vo aakrati gayab ho gayi aur saath hi gayab ho gaya vo andhera jisne iss gufa ko gher liya tha…
Aakrati ka gayab hona ka kuch der baad hi AS apne saath Mariana aur Triffor ko liya nikal chala tha, Samya apni jaan se haath dho baithi aur uska sharir ab bacha hi nahi tha… Pura sharir cheer faad hua pada tha, jo koi bhi usse dekhta toh shayad uss drashya ko dekh dil mei bhaye behad badh jaata... Mariana jo yaha se nikalne se phele behad josh mei thi ab uska cehare ka rang bhi udd gaya tha… Usne ya kabhi nahi socha tha ki samne vala usse itna shaktishali hai ki uska sirf spiritual form hi kisi ki jaan lena ka liya bahut tha…
Mariana ka dil mei bhi kahi na kahi ab dar ghar karna laga tha vahi Triffor aur AS kaafi shant tha… Unhe dekh essa lag raha tha ki unhone essa najara phele bhi dekha tha aur islye unka cehara behad sapat tha…. Teeno hi iss waqt Mariana ka Mehal numa ghar mei maujood tha jaha charo taraf kewal shanti hi shanti pasri hui thi… Tabhi AS ko kuch yaad aata hai aur vo Mariana se kaheta hai…
AS: Mariana usne kaha tha ki usne tumhare liya koi toffa choda hai ghar par… Kya hai vo…?
Mariana: AS ki baat sunkar usse bhi yaad aa gaya aur usne turant hi apne door par khade ek aadmi ko bulaya aur usse pucha… Mera liya koi kuch chod kar gaya tha ya fir yaha kuch ajeeb hua ho?
Aadmi: Aapka liya koi kuch chod kar toh nahi gaya hai par hai ek ajeeb baat hui thi… Vo ghar ka pichle hisse mei ek tej roshni hui ek pal liya aur fir gayab ho gayi thi… Humne vaha dekha bhi par kuch nahi dikha aur na hi huma samajh aaya ki uss roshni ka piche ka karan kya tha…
Idhar uss aadmi ki baat khatam hui aur idhar Triffor na AS se kaha…
Triffor: AS aap kuch samjhe….
AS: Ha samajh gaya hu… Fir Aadmi se huma vo jagah dikhao jaha tumhai roshni dikhi thi…
Aadmi: Apna sar hila kar vo unhe lekar uss jagah aa gaya jaha usne aur uska saathiyo na roshni dekhi thi…
AS: Tum yaha se jaa sakte ho?
Aadmi: Apne sar ko ek baar sabhi ka samne jhuka kar vaha se chala gaya…
AS: Triffor tayar ho?
Triffor: Vo ha mei apna sar hilata hai aur apne haath ko faila leta hai…. Uske esaa karte hi uska sharir ka charo taraf ek sunhari roshni banane lagti hai… Uska sharir uss sunhari roshni se dekh jata hai aur ya kahena galat nahi hoga vo khud purn roop se jaise kisi sunhara dhatu se bana hai essa pratit hona lagta hai…
Vahi uss urja ko mehsoos karta hi Mariana ko ek tej jhatka lagta hai… Vo humesha se hi Triffor ko shaktishali samajhti thi par usse ya nahi pata tha ki Triffor khud Mariana se bhi jada shakti shali hai… Usse humesha lagta tha ki Triffor ki limit aa chuki hai aur AS usse apne saath jabardasti rakhta hai par aaj usse samajh aa raha tha ki Triffor na kabhi kudhki shamta ko Mariana ya kisi dusra ka samne pradarshit hi nahi kiya hai…
Triffor na apne dono haath jo usne hawa khula choda hua tha ab vo unhe dhere dhere ek dusre ka pass lekar aa raha tha…. Jaise jaise uska hath ek dusre ki taraf badh rahe tha vaise vaise uska charo taraf dhaki vo sunhare roshni uska sharir se hota hua unn dono haatho ka bich mei ikhati hona lagi thi… Dekhta hi dekhta dono haath ka bich ek sunhare rang ka energy ball ban gaya tha jismei iss waqt itni urja mehsoos ho rahi thi ki jiss disha mei ya jaaye uss jagah mei bich mei aane vali har jagah purn roop se banzar ya barbad hi hoti chali jaaye… Jeevan ka kan milna bhi essi jagah par bilkul namumkin ho jaye…
Jaise Jaise energy ball ban raha tha vo shuru mei unstable lag raha tha par jab vo purn roop se ban gaya tab usmei behad stableness thi… Mariana bus Triffor ko ajeeb tarah se dekh rahi thi, usse samajh nahi aa raha tha ki ya itni energy ka use kyu kar raha tha… Vahi AS na pura process ko complete hota hua dekha aur fir apni baat kahi…
AS: Start karo… Mei tabtak khudko tayar karta hu…
AS ki baat ko sun Triffor na apna sar hila kar shuru karne ki ha bhari aur fir apna muh khola…
Triffor: Search the Spell formation… Uska muh se ya shabd nikalte hi vo energy ball uska haath mei teji se ghumna laga aur usmei se badi teji se energy particles nikalne laga aur khudko alag alag wave mei form karke vo sabhi dishao mei fail gaye… Jaha jaha vo waves jaa rahe tha uss puri jagah ko Triffor na sirf dekh sakta tha bulki vaha maujood har energy ko vo feel bhi kar sakta tha…
Kuch hi der mei usse mehsoos hua ki vo sabhi jagah ko sense aur mehsoos kar sakta hai par ek particular jagah hai jaha pahuch kar uski energy usse koi signal nahi bhej rahi hai bulki uski energy uss area mei behad kamjor ho rahi hai… Usne aankhe band karke jitni bhi search waves idhar udhar dhund rahi thi unhe ussi disha mei bheja jaha vo kuch sense nahi kar paa raha tha… Jaise jaise uski energy uss area mei jaa rahi thi usse ya samajhne mei der nahi lagi ki jiss jagah ki talash usse thi vo vahi hai…
Triffor: Ya sab mehsoos hota hi uska honth fir hila…. “Seize the Search” uska bolta hi uss energy ball mei se nikalne vala particle ruk gaye aur ek baar fir usne apne haatho ko viprit disha mei failana shuru kar diya… Jaise jaise vo apne hatho ko faila laga tha uski energy firse usse cover karna lagi aur dekhta hi dekhta vo puri energy firse uska ander pravesh kar gayi….
Triffor: AS pura spell right corner se shuru hua hai par jo sabse shocking baat hai vo ya ki ya puri ghass real nahi hai, ya kewal ek chalawa hai… Spell iss puri jagah par kiya hai…
Mariana: Ya kya bol rahe ho Triffor… Ya ghass real hai, iss ghass ko…
Abhi Mariana aage kuch bolti usse phele hi samne ka drishya dekh uska shabd muh mei hi rahe gaye aur uski aankhe hairat se khul gayi… Apne samne ka drishya ko dekhna ki usne kabhi kalpana bhi nahi kari thi… Vo toh bus apne puri aankhe khola sadma mei ya najara dekh rahi thi…
Vahi jaise jaise samne ka najara aata jaa raha tha Triffor ki dhadkan bhi badh rahi thi… Uski dhadkan badhna ka karan aur Mariana ka aaschariya ka karan bilkul alag tha… Jaha Mariana samne hua magic se aaschariya mei thi vahi Triffor uss ghass se banti hui image ko dekh apni badi hui dhadkan ko mehsoos kar raha tha…
Bus kuch pal aur uska baad jo image samne aayi usse dekh toh Triffor apna santulan hi kho baitha aur vo ladkhada kar jamin par hi baith gaya… Uska pairo mei utni jan nahi bachi thi aur uska safeed cehare dar se aur bhi safeed ho chala tha… Uska muh se shabd nahi nikal rahe tha aur vo bus itna hi bol saka….
Triffor: Yaa nahi ho sakta hai… AS…. Ya ya kya ya sach mei abhi bhi jinda hai…?
AS: Apne samne aayi image ko dekh toh aaschariya unhe bhi hua… Unhone kalpana bhi nahi ki thi ki vo fir kabhi iss image ko dekhega par jab ya samne aayi thi unhe bhi iss image na aaschariya se chakit kar diya…
Mariana: Jisne image dekhna ka baad jada kuch samjha nahi aur islye usne Triffor se kaha… Tum ya dragon image dekh kar itna dar kyu gaye ho, ya ek normal dragon hi toh hai aur vaise bhi ya koi real thodi hai… Ya toh kewal Graphic Magical Art hai….
Jaise hi Mariana na ya kaha, Triffor apni garden na mei hilane laga tha… Mariana ki baat ka jawab Triffor deta usse phele hi usse awaj sunayi di… Awaj ko sunkar toh AS ka ghutna khud mud gaye aur uss awaj ka swami ka samaan mei apna sar jhuka kar baith gaye aur yahi Mariana na kiya.... Ya awaj thi Guru Abhiraj ki…
Abhiraj: Mariana jiss baat ka gyan na ho uska vishaye mei essi baate nahi karta hai… Jo tum samne dekh rahi ho na ya koi Graphic Magic hai aur na hi ya koi mamuli dragon image hai…
Mariana: Toh ya kya hai Guruji…
Guruji: Ya koi sadharan jadu nahi hai, ya ek behad rare magic hai jiska use toh dhur uska naam bhi iss tumhari iss duniya mei koi nahi janta hai… Ya ek high class magic hai… Ya ek truth reveal magic hai jiska use koi bhi aam jadu jaane vala nahi kar sakta hai… Iss magic ko crore logo mei se kewal ek hi successfully grasp kar pata hai par usse bhi jada rare hota hai vo user jo isse full potential par use kar saka…
Ab jo tumhare samne image hai ya koi aam dragon image nahi hai jisse tum kahi se bhi pakad kar kharid lo… Ya iss universe ka vo beast animal hai jiski ek chinghad se pura planet ka planet khatam ho jaaye… Iski body essi hai ki humare normal hathiyar ko usse milta hi nasht ho jaaye… Vahi iski aankho dhyan se dekho usmei tumhai thunder power najar aayegi aur ya tab hi dikhayi deti hai jab ya beast kisi ko puri tarah khatam karna cahata ho…
Abhi jo dikh raha hai vo dikh raha hai tumhare inn dono sathiyo ka liya… Vo inn dono ko marna ka liya behad chatpata raha hai aur agar mei galat nahi hu toh usse iss baat ki jankari bhi hai ki ya kaha hai par kisi karan ki vajah se vo abhi ruka hua hai….
AS: Aap bhi vo karan jante hai aur mei bhi…
Guruji: Meine tumse pichli baar kaha tha na ki kuch bhi ho jaye apni puri shakti laga dena usse marna mei… Meine aakhri waqt bhi yahi kaha tha ki vo abhi mara nahi hai par shayad tumhai meri baat samajh nahi aayi… Tumna jiska liya apni shakti bachayi vo toh tumhare haath hi nahi aaya… Ab iska natija bhugatna padega…
AS: Jaisa aap soch rahe hai vaisa kuch nahi hoga… Isko kabu karna vala mil gaya hai aur jiss din ya bahar aaya uss din hi ya gulami bhi swikarega…
Guruji: HAHAHAHAHA….. AS tum bahut bada daav khel rahe ho… Dil karta hai tumhari essi baato ka liya tumhai saja de du par kya karu tumpar bharosa bhi karta hu… Chalo kuch baate karni hai tumse…
Ya kahe kar Guruji apne saath AS ko lekar nikal leta hai aur idhar Triffor bhi gayab ho jata hai turant hi…
Idhar school mei agla din shuru ho gaya tha, Indra aur Rimo na sabhi ko ek jagah baitha diya tha dhyan mei… Sabhi log dhyan lagane laga tha aur un sabhi mei Shubham bhi tha… Vo dhyan toh laga raha tha par har thodi si der mei hi vo apni aankhe khol khudko shant karta aur fir shuru karta par har baar essa hi karta… Vo janta tha ki agar usne jada dhyan lagaya toh uski peeda asahaniya ho jaane vali thi aur vo sabhi ko apni kamzori nahi dikhana cahata tha…
Jaha baaki students kaafi ache se dhyan laga rahe tha jisse dekh Indra aur Rimo thoda santusht dikh rahe tha vahi Shubham ka har pal dhyan se bahar aana unhe khatak raha tha… Uska essa har pal dhyan se bahar aana Rimo ko jada pareshan kar raha tha kyunki uski najar mei yaha maujood har shaks dhyan lagana janta tha aur agar essa nahi hota toh uski magical abilities kabhi jagrit nahi hoti aur vo yaha kabhi nahi pahuch sakta tha…
Jab yahi prakriya kuch 5-7 baar daurahyi gayi uss waqt Rimo khudko rok nahi saka aur usne Shubham se sawal kar diya…
Rimo: Tumhai dhyan lagana nahi aata hai kya, ya har do pal mei dhyan se bahar aana aur fir ek lamba gap aur fir dhyan lagana sirf do pal essa toh tum khudki abilities ka 1% bhi achieve nahi kar sakoge…
Shubham: Sir mei koshish kar raha tha hu par har baar mera dhyan tut raha hai aur saath hi mujhe gap lena padh raha hai… Mei isse sudharna ki koshish karunga…
Rimo: Apna aas pass dekho, jiss jagah tum maujood ho uss jagah ki energy mei dhyan lagane ka kya fayda hai ya tum samajh nahi rahe ho aur apna kimti samaye khud bhi barbad kar rahe ho aur kisi dusra ka mauka bhi… Yaha ek hafte dhyan lagane ka matlab jante, humari duniya ka pura do mahina ka samaye jismei tum vo hassil shayad hi kar sako jo tum yaha ek hafte mei kar sakta ho…
Shubham: Rimo ki baat sunkar vo shant hi raha aur fir dhyan lagane laga…. Uska process vahi ka vahi raha par iss baar usne dhyan se nikalne ka baad bhi apni aankhe nahi kholi aur bus aankhe band kiya hi khudko shant karta raha…
Uski harkat Indra aur Rimo se chupi nahi thi aur islye unn dono ki disliking uski taraf badhna lagi thi… Class mei maujood sabhi acha kar rahe tha… Indra aur Rimo Shubham ko har din kayi tariko se samjha rahe tha par uski growth nahi ho rahi thi, vahi kuch student jo khudko humesha hi best samajhta hai har din Shubham ka essa nakam aur apne teachers duwara bolna par unhone usse apna nishana banana shuru kar diya tha… Har din vo usse pareshan karna laga tha apne abhadra shabdo ka prayog karke par Shubham ek majboot chatan ki tarah bus unhe sunta aur nikal jata tha… Shubham ka shant rahena se unka sahas behad badh raha tha, ab toh vo usse pareshan karna ka har roj naya tarika hi dhundna lage tha… Kabhi uska rasta rok kar usse uksata toh kabhi sabhi ka bich uska majak banate par Shubham ka muh se shabd ek nahi nikala aur vo chup chap sunkar apni jagah chal deta tha… Issi bich Shubham aur Shishir ki dosti bhi jada gheri nahi thi… Jaha adhiktar log apna samaye training grounds mei nikalta tha vahi Shubham apne kamre mei bus halka fulka dhyan lagata tha…. Kayi baar jada bhi koshish karta tha par jab dard sehana ki seema langh jata toh behosh ho jata aur jab hosh aata toh khudko fir shant karke thoda thoda dhyan lagata…
Din nikalne laga aur classes chalta hua 15 din ho gaye tha… Inn 15 dino mei sabhi logo na kuch kuch khudko stable kiya tha par jo sabse important baat thi vo thi ki sabhi apne dhyan ko acha khich sakte tha aur saath hi apni band aankho se chije mehsoos karna sikh rahe tha…
Inn 15 dino mei kisne kitna sikha isko check karna ka liya Indra aur Rimo na ek test tayar kiya aur jiska pata usne sabhi ko advance mei nahi tha… Ya ek surprise test tha jiska liya kisiko bhi kuch kaha nahi gaya tha… Sabhi log aaj bhi apni class mei aa gaye tha, har din ki tarah aaj bhi Shubham hi sabse phele aaya tha aur har din ki tarah class ka aakhir mei jakar baith gaya tha…
Kuch der lagi fir class band ho gayi… Ek baar fir class mei dhuwa utha aur sabhi gayab ho chala par aaj gayab hokar vo jaha aaye tha vo jagah roj ki jagah nahi thi… Aaj vo log gayab hokar ek kamre mei aaye tha… Ya kamra school mei nahi tha bulki Orion ka ek training ground tha jaha Orion ka beginners ko training karna ki permission thi…
Ek nayi jagah ko dekh sabhi students excited tha, sabhi log uss jagah ko bus bada dhyan se dekh rahe tha jo apna aap mei ek pura sehar basane layak bada tha… Vaha kayi tarah ka hathiyar, kitabe aur behad se essa resources tha jo aam jagaho par nahi dekhna ko milta tha… Sabhi log bus jagah ko dekhna mei laga hua tha ki Indra aur Rimo vaha aa pahuche…
Indra: So Good Morning everyone… So aaj aap log ek nayi jagah dekhkar excited hai ki nahi…
Sabhi students na josh ka saath ha mei jawab diya…
Rimo: To hiss excitement ko aur bhi badhaya jaaye?
Sabhi: Yes…
Indra: Toh chaliya fir aaj aapki level of excitement ko ek nayi step deta hai…. Aaj aap sabhi ka ek surprise test hai….
Idhar Indra ki baat khatam hui aur udhar sabhi excited students ka cehare par 12 baj gaye….
Unki halat dekh Indra aur Rimo muskuraye…
Rimo: Ary aap log toh shant ho gaye… Puri baat toh suniya… Aaj ka excitement ya test nahi hai… Bulki iss test ka winner ko milna vala prize hai… Aaj ka test mei jo best hoga usse humari taraf se ya milega… Itna bol usne apne haath ko aage kar diya jismei ek pendent jaisi chij najar aa rahi thi…
Indra: Aap sab jo ya chota sa prize dekh rahe hai na ya jitna chota hai utna hi khaas bhi hai… Ya chota sa pendent ek Image Changer hai jiska jariya aap kisika bhi copy kar sakta ho aur vo bhi bilkul original… Koi bhi ya kahe hi nahi sakta hai ki aap duplicate ho… Dusra fayda hai iss pendent ka yadi koi aapke samne kuch dusra bankar bhi aayega toh bhi aapko uska original face hi dikhayi dega…
Jaise hi Indra na ya kaha Rimo na ek demo sabhi students ko de diya… Jaise hi sabhi na vo demo dekha sabhi ka muh se bus WAHHHHH aur kamal ki chij hai jaisa hi shabd nikala…
Rimo: Ya kamal ki chij aapki hogi par aajka test ka baad… So now are you excited for this…
Sabhi ka josh badh gaya tha uss pendent ko hassil karna ka liya… Sabhi ek baar firse josh mei bhar utha tha…
Indra: So aajka aapka test behad simple hai… Last 15 days se jo aap sabhi dhyan mei baith apne aas pass ki chijo ko mehsoos kar rahe tha aaj aap sabhi ka test hai… Iss test mei aapka samne ya jo ek circle bana hai usmei aapko jana hai aur khudko dhyan mei daal apne pass ki sabhi chijo ko mehsoos karna hai aur jab aap ya kar rahe hoga uss samaye aapko ya ek steel board ko sabhi chijo mei se dhund kar usse khudse jodna hai….
Tabhi ek ladka bich mei hi bol utha… Ya toh behad simple test hai…
Rimo: Muskurata hua… Ya abhi aadha hi test tha…. Puri baat suno… Yaha aap jab isse dhundkar khudse jodega vahi jaise hi aap dhyan mei jayega uska saath hi aapka upar inn pillers se electric balls nikalega unn balls ko khudko lagna se rokna hai aur vo bhi iss steel board ko unn balls aur apne bich mei lakar…
Iska matlab aapko do chija ek saath karni hai phele board ko dhundkar khudse jodna hai aur saath hi aapko ya bhi mehsoos karna hai ki jo electric ball aapki taraf aa rahi hai vo kidhar se phele aa rahi hai aur aapko kaha lagegi jisse aap khudko rok sako... One more thing, aapko total 5 minute ka samaye milega… Iss time mei jo sabse jada khudko bacha sakega vahi winner hoga aur ya pendent uska hoga….
Indra: Easy hi task hai na ya toh… Uska ya kahena ek tanz jaisa tha students ka liya kyunki ya ek behad difficult task hona vala tha kyunki jo balls unhe lagna vali thi unki speed har second ka saath badhna vali thi….
Khair students ka pass option toh tha ki vo na karde par prize ka lalach kuch jada hi tha… Vo sabhi uss prize ka liya ya test dena hi vala tha aur vahi Indra aur Rimo dono ka cehare ki muskaan bata rahi thi ki unhone dana dala aur machli fas gayi hai... Dono na hi pratiyogita shuru karna ka aadesh diya… Sabhi log shuruwat karna mei jhijhak rahe tha islye shuruwat Shishir na hi kari…
Vo aage badhkar uss ghera mei baith gaya… Ghera mei baithna ka ek pal bad hi uski aankhe band hui aur vo dhyan lagane laga tha… Jaise hi usne dhyan lagana shuru kiya toh uska liya sabse phele chijo ko mehsoos karna task tha par usse kaha pata tha ki jaha vo baitha hai vaha dhyan lagana hi apne aap mei ek task tha… Jee ha dosto ya ek hidden threat tha jiska baaremei hi Indra aur Rimo na kisiko kuch nahi bola tha kyunki unka test vo nahi tha jo unhone sabko bataya tha… Unka real test ya tha… Yaha dhyan lagana hi sabse difficult task tha kyunki yaha par supress magic ka use kiya gaya tha, jiska matlab tha ki yaha aap jaise jaise dhyan mei jana lagoge vaise vaise aapka upar dabav badhna vala tha aur jaise jaise aapke upar dabav badhta vaise vaise hi aapka dhyan uss dabav ki taraf badhta aur aapka dhyan tut jata…
Shishir iss chunauti se bekhabar hokar bus dhyan lagane laga par usse essa karna mei behad pareshani ho rahi thi… Vo dhyan laga bhi leta thoda toh agle hi pal jo dabav uspar aa raha tha uski vajah se uska dhyan tut jata… Yaha ya chal raha tha aur dusri taraf energy balls banana shuru ho gaye tha aur test ka 30 seconds shuru hota hi ball uski taraf badhna shuru ho gaye…
Shuruwat mei ek ek ball aa rahi thi par jaise hi vo aapko hit karti aapko ek jhatka lagta jisse aapka dhyan tut jata aur aapko ek baar fir dhyan lagana padhta…. Kul milakar har sambhav prayas jisse aapka dhyan tuta… Shishir jo dhyan lagane ki abhi har sambhav prayas kar raha tha usse pheli energy ball aakar lagi aur uske sharir mei ek halka se jhatka laga aur uski aankhe tak khul gayi…
Yaha jaise hi jhatka laga sabhi log samajh gaya ki ya jhatka lagta behad chota time ka liya hai par hai behad effective, vahi Indra aur Rimo muskura rahe tha… Par apne students ko motivate karna bhi unka hi kaam tha aur islye Rimo na Shishir ko awaj lagayi…
Rimo: Shishir reaction ka nahi action ka time hai…. Look the second ball is ready, dhyan lagao aur shuru ho jao…
Shishir: Rimo ki awaj sunkar usne ek baar fir ball ki taraf dekha aur fir aankhe band karke dhyan lagane laga par dhyan lagana mushkil hi ho raha tha uske liya…
Idhar dusri ball aakar usse lagi aur fir teesri aur fir chauti…. Essa mei uska dhyan har baar tut raha tha…. Badi mehanat ka baad usne aakhir dhyan laga hi liya aur uss steel board ko dhund kar usse utha liya aur fir uss board se energy ball rokna ki koshish karna laga…
Pura 5 minute ka time mei usne kewal 1 minute se jada ka dhyan nahi lagaya hoga aur kewal 3 energy ball hi vo rok saka tha… Vo apni performance se nirash tha par Rimo na uska hausla badhya… Shishir ka baad kayi students na try kiya par koi bhi ek single ball ko rok nahi saka…. Karib 15 students ka test dena ka baad baari aayi Neelam ki…
Neelam jab uss challenge ka liya gayi tab Indra aur Rimo ab jada excited dikh rahe tha… Unhe dekhna tha ki ya rajkumari kaisa perform karna vali hai… Neelam na dhyan lagana shuru kiya aur usse phele hi pal vo samajh aa gaya jisse Shishir samajh nahi saka aur na hi baaki students… Usse ya samajh aa gaya ki yaha suppression hai jiski vajah se dhyan lagana mushkil hona vala hai….
Usne ya samajte hi apna inner energy ko bhi release kar diya jiska through jo suppression tha vo usse counter kar rahi thi aur saath hi khudko dhyan mei le jaa rahi thi… Usne shuru ka kuch balls behad ache se defend kiya par jaise jaise time aage badhna laga suppression effect bhi badhna laga aur uski inner strength bhi kamzor hona lagi aur saath hi balls ki speed bhi badh gayi...
Jiska chalta vo ab dhyan nahi laga paa rahi thi aur aakhir mei balls usse hit hona laga aur uski bhi sabhi ka jaise dard se aaaahhh nikalne lagi… Par test ka end mei uska score ab Shishir ko cross kar chukka tha… Usne total 7 balls defend kiya aur approx. 1minute 45 second tak dhyan lagaya…
Iska baad bhi kuch students aaye jinmei kuch khaas cehare tha Rajkumar Zoyo, Rajkumar Nirmal, Rajkumari Ziva aur unka kuch friends jinhone test diya aur Rajkumari Ziva ka score kewal Shishir ka barabar raha baaki sabhi unse kam rahe… Ab mei akela hi bacha tha… Meine soch liya tha ki mei ya test nahi dena vala hu kyunki mujhe pata tha mei dhyan nahi laga sakunga… Vahi Indra aur Rimo ko bhi mujhc yahi umeed thi ki mei test nahi dena vala hu… Mei abhi unse iska liya kuch kaheta usse phele hi Rajkumar Nirmal bol utha…
Nirmal: Sir ya test to khatam hua… Kyunki ya chusa normal day mei hi dhyan nahi laga sakta hai toh fir yaha toh impossible hai… Jab hum hi yaha dhyan nahi laga saka toh ya kya dhyan lagayega…
Zoyo: Sahi bola Nirmal... Na jaane kaha kaha se aa jate hai yaar log aur mujhe toh samajh nahi aaya ki school na iska jaise kamzor aur bekar student ko entry kaise de di… Iski jagah kisi dusra student ko jagah milti toh kamse kam usko kuch sikhna toh milta…
Ziva: Correct na jaane school na kaise ya ek losser ko school mei aane diya… Ya toh apne logo par lagna vala ko kala daag hai jisse unhone bhi nikal kar bahar jungle mei faik diya tha taaki unki badnami na ho…
Indra: Enough… Tum teeno ko ya sab bolna ka rights nahi hai iss class mei… Shubham tum ya test nahi dena cahate ho toh…
Shubham: Jisne abhi tak test na dena ka socha tha vo inn teeno ki baate sunkar aaj behad jada pareshan ho gaya tha aur vo khudpar se control kho baitha… Islye usne Indra ki baat puri hona se phele hi bol diya… Mei test dunga aur ya kahe kar usne ek baar teeno ko ghur kar dekha aur khud uss ghera ki taraf badh gaya…
Vahi jab Shubham na ya bola ki mei test dunga toh uski awaj mei gussa, nafrat toh thi hi saath hi ek determination bhi tha jo khudka liya tha ki aaj kuch bhi ho jaaye fir cahaiye dard se nashe hi fat jaaye par mei dhyan lagake rahunga… Iss determination ko mehsoos Indra aur Rimo na bhi kiya aur vo yahi Shubham mei dhund rahe tha jo aaj unhe dekhna ko mila....
Shubham ghera mei aakar baith gaya… Usne ek pal Indra aur Rimo ko dekha aur agle pal unn teeno ko aur fir apne aankhe bandh kardi… Jaise hi usne aankhe band kari vaise hi vo dhyan mei pahuch gaya par usse nahi pata tha ki aaj uski chunauti ek nahi bulki do thi…. Uska liya energy ball aur steel board toh chunauti tha hi nahi… Unse khudka liya goal sirf dhyan lagana hi set kiya tha aur vahi uska test ka kewal part tha… Energy Ball ka lagna toh baad ka part tha phele toh usse vaha use hua suppression magic se ladna tha aur usse phele khudka hi dimag se…Kyunki uska dimag par jo dard hota tha vo suppression ki vajah se aur bhi jada badhna vala tha….
Islye vo dhyan mei baith gaya aur usse dhyan mei jana mei ek pal nahi laga… Suppression magic activate hua par abhi vo usko impact karta usse phele hi vo dhyan mei tha par suppression magic na usse direct impact nahi kiya bulki vo toh uska dimag ka uss dushman se jaa mila jo suppression se bhi bada ek raste ki rukawat tha jisse paar karna behad dard bhara raheta tha Shubham ka liya aur suppression ka milna se vo 10 fold jada strong ho gaya tha…
Dhyan mei gaye bus 10 second hua tha ki dard uthna shuru ho gaya tha aur isbaar dard ki shuruwat har baar ki tarah normal nahi bulki 10 times extra thi kyunki suppression saath mei tha jiska matlab tha ki jiss dard ko vo ek minute mei mehsoos karta tha vo usse abhi se mehsoos hona laga tha…
Dard ko mehsoos karta hi uski aankhe aur bhi jorse band ho gayi aur uska jabda bhi bhich gaye… Jo haath ghutna par khula tha vo ab muthi mei tabdil ho gaye tha… Agle 10 second ka ander toh uska cehare ka rang badalna laga tha, laga ki nasa khichna lagi thi aur sharir se pasina behana laga tha… Vahi vo dard ki uss seema par pahuch gaya tha jo usse 2 minute mei mehsoos hoti thi…. Iss dard ko mehsoos karke hi vo apni aankhe khol deta tha ya dhyan thod deta tha par aaj jaise khudsa hi faisla kiya tha ki iss dard ko ya toh hara dunga ya fir khud humesha ka liya haar jaunga….
Vahi Indra aur Rimo jo dekh rahe tha unki aankhe aaschariya se badi ho gayi thi… Unhe samajh nahi aa raha tha ki isse itna dard kyu ho raha hai jabki unhone toh suppression level only 1 percent set kiya hai aur sabhi ka liya same hi level tha… Indra na Rimo ko aankho se hi pucha jiska jawab mei Rimo na bhi aankho se hi kahe diya ki usse nahi pata hai…
Vahi har badhta second ka haath dard badh raha tha aur ab ya pain unbearable ho raha tha… Isse mehsoos karte hua Shubham puri koshish kar raha tha ki vo usse japt karle par sirf 3 second upar hua tha ki uski jorse chikh nikalna lagi thi… Vo gala faad chilana laga tha jisse dekh har student shock ho gaya tha vahi Indra aur Rimo sabse jada shock mei tha…
Indra turant hi aage badhi par agle hi pal ek energy na usse piche dhakel diya… Asal mei jaise hi Shubham dhyan mei baitha aur apne dard ko bardash karna ki seema se aage badhna laga vaise hi uska charo taraf ek energy barrier banane laga tha jiski vajah se ab koi ander nahi jaa sakta tha aur na hi koi bahar aa sakta tha jabtak Shubham ka dhyan nahi tut jata…
Ya Rimo aur Indra ka liya aajka sabse bada shock tha kyunki unhone kabhi kisiko bhi itni jaldi energy barrier create karta hua kabhi nahi dekha tha…. First year ka students ko ya barrier banane mei approx. 6 mahine se jada time lagta tha aur usmei bhi vo kewal ek norma barrier bana sakta tha jisse Indra aur Rimo jaise log ek jhatka mei thod sakta tha par ya barrier vaisa nahi tha…
Indra: Rimo ya kya hai aur ya ho kya raha hai??
Rimo: Mujhe kuch nahi pata… Mujhe toh ya samajh nahi aa raha hai ki ya energy barrier aakhir itni jaldi kaise ban gaya aur ya itna strong kaise hai…. Isse thodna humare liya bhi mushkil hai….
Indra: Suppression Magic ko khatam karo turant tab tak mei iss barrier ko thodna ki koshish karti hu….
Rimo: Usne turant hi Suppression magic ko rokna ka liya magic bola par vo bekar gaya, usne ek ka baad ek kayi magic bola par sab bekar… Indra ya suppression magic ab mera control mei nahi hai… Ispar mera magic ka asar nahi ho raha hai…. Ya khudse operate kar raha hai…
Indra: OOOHHH GOD ya kya musibat mei fasa diya… Aakhir hai kon ya aur kis background se hai ya??
Rimo: Usse choda aur samne dekho… Energy balls ustak nahi pahuch rahe hai par uska dard badh raha hai…. Agar ya continue hua toh uski nasa fat jayegi…
Indra: Rimo jaldi se saath mei humla karo…. Huma iss barrier ko thodna hoga aur isse dhyan se nikalna hoga…
Idhar mei uss unbearable pain ko bear nahi kar paa raha tha aur bus chilaye jaa raha tha par khudko dhyan se bahar nahi nikalne de raha tha… Mera dard har pal ka saath badh raha tha aur mujhe dhyan mei baithe ab 31 seconds ho gaye tha…
Indra aur Rimo na uss barrier ko break karna ka liya kuch magics use kiya jismei sabhi high level ka magics tha par vo uss barrier ko thod nahi saka…. Dono ka cehare par chinta dekhi jaa sakti thi vahi students ka cehare par ajeeb expressions tha siwaye Neelam ka jo bade dhyan se Shubham ko dekh rahi thi… Vo jaana cahati thi ki Shubham ko aakhir itna dard kyu ho raha hai….
Idhar Indra na khudko dhyan mei dala aur vo apni spiritual form mei badal kar uss barrier ko cross karna ki koshish karna lagi vahi Rimo usse ek small second ka window dena ki koshish kar raha tha par dono ko kuch hassil nahi ho raha tha… Rimo ka humla ka barrier par jaise koi asar hi nahi ho raha tha…
Idhar mera dard badhta hua iss kadar badh gaya tha ki ab meri aankho se khoon nikalna laga tha aur mooh se bhi… Meine khudko sambhalna ki behad koshish aakhir mei 34 seconds ka baad mei behosh ho gaya aur vahi gir gaya… Vo barrier ek dum se hi tut gaya aur mera muh aur aankho se teji se khoon nikalna laga….
Rimo aur Indra ko jaise hi ehsaas hua barrier khatam ho gaya hai dono hi turant mera pass aa gaye aur meri halat dekh dono hi dar gaye aur mujhe lekar turant hi Orion Rajya ka Royal Hospital mei lekar pahuche… Vahi sabhi students ko sambhalna ka liya ek aadmi aa pahucha tha jisne sabhi ko vapas chod diya…
Rimo aur Indra turant hi Shubham ko Orion Rajya ka Royal Medical Division mei lekar pahuche jaha duniya jaha ka tamjham tha aur usse jada vaha maujood tha vo expert jinhe medicine aur medical duniya ki behad khasa jankari thi… Yaha vo log tha jo healers tha, jinki khubi healing thi aur unmei bhi vo jo apni iss shamta ko ek uchayi par leja chukka tha… Kuch essa bhi tha jo healer nahi tha par fir bhi unki sharir ki banawat ki samajh unn healers se bhi adhik thi jiska jariya healers ko kisi bhi sharir ko samajh uski uss pareshani se nijat dilane mei asani hoti thi…
Dono jab Shubham ko lekar vaha pahucha toh uss waqt uss department ka head vahi maujood tha jinhe insani sharir ki na sirf khubi aur kamzori ka behad acha gyaan tha bulki unka healing iss Rajye ka sabse uche paydan par tha… Rimo na turant hi Shubham ka sharir ko vaha maujood ek bed par rakh diya aur vahi Indra turant hi head ko lekar Shubham tak lekar pahuchi….
Indra: Doctor Sudiko (Head) iska sharir se khoon nikalna behosh hona ka baad bhi kam nahi hua hai….
Sudiko: Ary yaar ya kya halat kar rakhi hai iski… Itna khoon kaise nikal gaya… Itna kahe kar unhone usse haath lagaya toh unhe ek tej jhatka laga aur vo kuch kadam piche ho gaye…
Rimo: Kya hua Sudiko…
Sudiko: Ya mumkin nahi hai… Shit… Tum dono kuch der ka liya bahar baitho aur jab tak mei na kahu ander nahi aaoge aur Indra bahar jakar bolo mujhe ek team cahaiye…
Indra: Par baat kya hai??
Sudiko: Indra abhi sawal jawab mei iss ladka ki jaan jayegi… Please mujhe mera kaam karna do aur fir mei har sawal ka jawab dunga wada karta hu…
Rimo aur Indra na ek dusre ko dekha aur fir bahar nikal gaye aur bahar aakar Sudiko ka message bhi vahi de diya… Message milna ka saath hi vaha 5-6 log turant hi aa gaye aur sabhi siddha ander badh gaye… Bahar na koi ruka aur na kisina rokna ki koshish kari…
Vahi jiss kamre mei Shubham tha uss jagah ka darwaja bahar se band kar diya gaya tha aur do Royal guards uss jagah ka bahar tainat khada tha… Bahar se ander jana purn varjit kar diya gaya tha aur sirf yadi koi ander se aata toh hi jaa sakta tha vapas…
Vahi Indra aur Rimo ka bahar nikalta hi Sudiko na apne aankhe band kari aur dekhta hi dekhta vo pura kamra hi gayab ho gaya aur pahuch gaya ek alag hi jagah jaha charo taraf kewal paid hi paid tha aur unn paido ka bich bana tha chatano ka bed… Sudiko na usse vaha laita diya...
Usse vaha laitana ka turant baad hi vaha ek ek karke kayi log pahuch gaye, ya sabhi vahi tha jo bahar se ander aaye tha par inka bich ek shaks kewal essa tha jo yaha se nahi tha…. Uss aadmi ka sharir ek chatan ki tarah tha majboot aur utna hi ucha bhi... Karib 6ft 5inch jitna lamba raha hoga kamse kam… Jitna bada khud tha utna hi bade baal cehare aur sar par tha jo ki ab chandi sa ho chala tha… Balo se hi uss aadmi ki umar ka pata chal raha tha varna sharir mei kahi dhalav nahi tha…
Uss aadmi ko dekh Sudiko samaan mei jhuk gaya aur uski hi tarah baaki sabhi bhi jhuk gaye…
Sudiko: Saiyo huma isse bachana padega… Ya abhi bhi dhyan mei hi hai jabki behosh ho chukka hai… Iska sharir se khoon nikalna roka nahi hai par fir bhi khoon kam nahi hua hai...
Saiyo: Sudiko sabse phele toh tum khada ho jao aur gabhrana band karo… Tum khud sab jante ho fir bhi essa pareshan ho…
Sudiko: Saiyo par ya ladka gambhir hai aur saath hi iska mastiksh se bhi kisine ched chad kari hai…
Saiyo: Dekh raha hu vahi… Iski halat ka jimmedar bhi vahi hai jo na jaane kitna hi samaye se essa durlab logo ko apna shikar bana raha aur kabhi kisika samne bhi nahi aaya… Ek aur asadharan unhar rakhna vala ko usne apna shikar bana liya… Khair ghabrao mat ya baaki sabhi se behad achi halat mei hai aur isse kuch nahi hoga… Bus mei isse dhyan se nikalta hu tab tak tum baakiyo ka saath iska dimak se vo hissa nikal do jo avrodh ka kaam kar raha hai….
Sudiko: Jee Saiyo… Par kya baakiyo ki tarah ya bhi aage ka jeevan samanye hi jiyega… Fir kabhi
Saiyo: Ha Sudiko vaise toh aage ka jeevan mei ya fir kabhi jadu nahi kar sakega…Khudko apni seema se adhik shati pahucha chukka hai ya ladka…. Iski vo sabhi koshikaye jo iski indariyo ko jagrit karti vo humesha ka liya nasht ho gayi hai, jinhe parmeshwar ka alawa koi vapas sudhar nahi sakta hai jitna humara gyan hai…
Par iss ladka mei lalak hai aur kuch karna ki caha, essa mei agar ya khudko jadu se bahar kewal hathiyaro mei prashikshan le toh ya usmei behad uchayi hassil kar sakega par iss ilaz aur khudki halat jaane ka baad ya kitna khudko sambhal sakta hai ya uspar sabse adhik nirbhar karega….
Sudiko: Thik hai Saiyo…
Aur iska baad sabhi apne apne kaam mei lag gaye…. Ya inka liya pheli baar nahi ho raha tha…. Isse phele bhi essa kayi bacho ka dimak mei hona vali peeda aur usse unka sharir mei hua nuksaan ko ya dekh chukka tha… Jo peeda Shubham ko hoti thi ya peeda dimak mei kiya gaye badlav ka karan thi jisse kon anjam de raha tha koi nahi janta aur ya bhi nahi janta ki usse kaise pata chalta hai ki kiski kitni shamta hai jo janam se purv hi bacho ka vikas mei badha ban unka dimak ka saath ched chad kar deta hai… Kayi log usse dhund rahe hai par kabhi kisiko uska hona ka koi praman hi nahi mila aur iska chalta kayi logo na isse parmeshwar ki purv janam ki saja maan liya tha…
Khair karib 2 ghante se adhik ka samaye laga hoga Saiyo ko Shubham ko firse chetna mei laane mei aur itna samaye mei Sudiko aur uski team na apna kaam bhi purn kar liya tha… Jab Saiyo apne isthan se utha toh vo kamzori ka chalta ladkhada gaye jisse Sudiko na sahara diya…
Sudiko: Saiyo kya hua, isse phele toh tumhare saath essa kabhi nahi hua?
Saiyo: Ha Sudiko ya ladka baakiyo se behad khaas tha, isne behoshi mei bhi khudko iss kadar kendrit kiya tha ki iska charo taraf bana ghera ko todh pana mushkil nahi bulki na mumkin ho gaya tha… Isne meri urja bhi usmei khich li… Ya ladka kon hai aur kaha se aaya hai?
Sudiko: Saiyo mujhe nahi pata ya kaha se aaya hai par mei iska baare mei pura pata karta hu…
Saiyo: Ha mujhe jaana hai ya ladka aakhir kaha se aaya hai…
Sudiko: Thik hai… Aap yaha aram kara mei chalta hu…
Saiyo: Unhone ha mei garden hilayi aur fir khud uss ghane jungle ka bich mei kho gaye…
Idhar karib 2:30 ghante baad Sudiko aur unka saath baaki log bahar nikal… Sudiko ka saath vali team vapas laut gayi vahi ek aadmi ko Shubham ka dhyan rakhna chod diya tha… Sudiko bahar aakar Indra aur Rimo se mila…
Indra: Kaisa hai ab vo?
Sudiko: Mera saath aao… Hum yaha baat nahi kar sakta hai… Ya kahe kar Sudiko unhe ek dusre kamre mei le gaye.... Ya Sudiko ka kamra tha jo unhe Royal House mei aane jaane vale logo se milna ka liya diya gaya tha… Vaha unhone dono ko hi baithaya aur fir khud samne baith gaye…
Sudiko: Rimo mei tum dono se jhut nahi bolunga… Vo ladka thik hai aur uski jaan bach gayi hai…
Indra: Toh fir aap itna gambhir kyu hai, baat kuch aur bhi hai kya?
Sudiko: Ha Indra, vo ladka bach gaya hai jo ki aadhi baat hai, dusri baat ya hai ki vo fir kabhi jadu nahi kar sakega….
Indra aur Rimo: Kya par kyu?
Sudiko: Iska jawab du usse phele ek baat batao ya ladka kon hai aur kaha se aaya hai?
Rimo: Iska naam Shubham hai aur kaha se hai ya nahi pata, ha par itna pata hai ki isse lekar aane vala Triffor hai.
Indra: Ha aur ek baat jo mujhe samajh aayi vo ya ki ladka bilkul samanye haal mei jiya hai, logo ki baate sun lena aur bina kisiki baat ka jawab diya bus khudmei hi rahena… Jisse mera maana hai ki jaha bhi tha vaha akela hi tha, ya log hokar bhi akela hi tha…
Sudiko: Hmmm…
Indra: Sudiko par aapne bataya nahi ki usse kya hua hai aur kyu vo fir kabhi jaadu nahi kar sakega??
Sudiko: Indra tum dono se shayad suna hoga ki pichle kayi saalo se kuch bache sar mei hua tej dard ki vaha se apni jaan gawa chukka hai… Humari duniya mei logo na iss baat ko kayi tariko se joda hai par sach jo hai vo behad ghinona aur usse bhi jada dard bhara hai…
Rimo: Aap baat gol ghuma rahe hai Sudiko… Aap jante hai hum dono na behad kuch dekha hai islye aap apni baat siddha siddha kahe… Hum don sab kuch sehan kar sakta hai…
Sudiko: Thik hai Rimo toh tumhai saral bhasha aur siddha sabdo mei kaheta hu… Hum sabhi jaadu kar sakta hai kyunki humari koshikaye jo humare indriyo ko jagati hai vo humare dimak se judi hoti hai aur jab humara dimak shant awastha mei kisi ek mukaan tak pahuch jata hai toh humari koshikaye hi huma apni Indriyo ko sadna mei madat bhi karti hai… Essa mei yadi ek koshika ka sampark dimak se prathak ho jaaye ya vo koshika samapt ho jaye toh vo koshish karti hai khudko vapas banane ya sampark jodna ki…
Indra: Sudiko ya huma pata hai…
Sudiko: Ha janta hu ki tum dono ya baat ache se samajhta ho par jo mei kahe raha hu usse pura suno phele… Ha toh yadi koshika hi nahi rahe toh hum apna ya magic use nahi kar sakta hai thik essa hi Shubham ka saath hai... Uski samast koshikaye jo Indriyo aur dimak ko joda rakhti hai vo purn roop se samapt ho gayi hai aur sabse badi baat vo firse khudko kabhi bana nahi sakti hai…
Ab essa kyu hua toh uska karan bhi bata deta hu par ya baat khudtak hi rakhna… Uska janam ka samaye kisi na uska viksit hota sharir ka saath ched chad kari jiska chalta uska dimak mei ek essa rasayan paida hona laga jo dhyan mei baithna par uski koshikao ko hani pahuchata raheta tha aur jaise jaise tum adhik dhyan lagaoge vaise vaise vo tumhari koshikao mei failta jaayega jisse hona vala dard aam taur par logo ki jaan le leta hai par kyunki jin bacho ka ander ya paya jaata hai vo samanye istar se kahi adhik shakti shali hai jiska chalta unki turant maut toh nahi hoti par dard behad asahniya hota hai aur aakhir mei jab vo apni jid mei khudki Indriyo ko kholna ka sampurn prayas karta hai toh unki halat vaisi hi hoti hai jaisi Shubham ki thi ya kahu usse bhi buri… Pichle kayi saalo mei meine essa kayi bacho ka ilaj kiya hai par unn sabhi mei Shubham akela hi jinda bacha hai…
Sudiko ki baat ka baad Rimo aur Indra dono ka reaction behad shocking tha aur dono bus Sudiko ko hi dekh rahe tha…
Rimo: Sudiko yaani aap kahe rahe hai ki koi essa bhi hai jo janam lena se phele hi bache ki maut likh raha hai aur usse bhi upar sirf unn bacho ki jo aam logo se adhik shakti shali hona vala hai…Essa mei hum log usse pakadta kyu nahi aur usse badi baat usse kaisa pata chalta hai kaha kon janam lega essa?
Sudiko: Inn sawal ko jawab mei bus itna kahunga vo jo bhi hai behad chupa hua aur behad shaktishali hai… Aaj tak koi uska hona ka ek saboot nahi juta saka hai.... Khair ya baat khudtak hi rakhna varna log tumhai pagal kahega aur ha Shubham ko abhi agle kuch samaye yahi rahena hoga… Usse ek hafte se adhik samaye lag jaayega hosh aane mei…
Indra: Thik hai Sudiko aur vaise bhi ab vo jadu nahi kar sakta hai toh mujhe nahi lagta hai ki vo fir school lautega aur agar lauta bhi toh log usse vaha chain se rahena nahi dega…
Rimo: Ha par hum iska liya AS and Mariana ko inform kar deta hai… Final Decision unka hi hoga…
Sudiko: Mei samajh sakta hu, par ha agle ek week toh kamse kam mei usse yaha se nahi jaane de sakta hu… Uska baad agar tum log cahao toh usse lekar jaa sakte ho par uski condition kaisi hai ya dekhna padega…
Indra: Thik hai Sudiko… Thank You for the help…
Sudiko: Vo bus ha mei sar hila diya aur apni kursi par baith gaye…
Indra aur Rimo dono hi school pahuch gaye jaha pahuch unhone Mariana aur AS ko aaj ki hui samast ghatna ko likhit roop mei bhej diya… Jaha ya dono school pahuch apna kaam kar chukka tha vaha Sudiko ka apne kamre mei baithe kaafi gherayi se soch rahe tha… Ab ya janab soch kya rahe tha iska pata kewal inhe hi hai jiska jikar aage kabhi jarur karunga…
Triffor ko Indra aur Rima se khabar mil gayi thi jisse padhna ka baad vo bhaga bhaga AS ka pass gaya aur unhe sabhi kuch bata diya… AS bhi iss baat se pareshan hog aye kyunki unki calculation hi bigad gayi thi… AS na Triffor ko jaane ka liya kaha aur khud kisi soch mei kho gaye… Inhe sochna do hum inhe akela hi chod deta hai…
Inn sabhi se dhur ek behad ucha pahad par khada tha do shaks jaha inn dono ka alawa dhur dhur tak najar jaane par bhi kewal aur kewal vo baraf se dhaki safeed chadar hi najar aa rahi thi… Dono hi uss ucha pahad par khada niche dekh rahe tha jaha se niche dekhna par sabhi taraf kewal aur kewal baraf hi dikhayi de rahi thi…. Tabhi ek tej roshni niche se upar ki taraf badi aur dekhta hi dekhta vo roshni ussi pahad ki ek shila par lagi aur vo shila purn roop se nasht ho gayi… (Inhe abhi ka liya HA1 and HA2 hi likhunga….)
HA1: Ya kya tha, itne saalo mei pheli baar ya jagah kaapi hai?
HA2: Samajh toh mujhe bhi jada nahi hai iski… Mujhe toh ya samajh nahi aata ki sar par suraj nikala hai aur niche itni baraf jami hai… Ya kaisi jagah hai…
HA1: Meine Guruji se suna tha ki ya jagah ek tarah se chupa samrajya ka vo rasta hai jisse kholna ka adhikar iska utradhikari ka hai kewal…
HA2: Tum konsa samrajya ki baat kar rahe ho, ek min… Kahi tum uss duniya ka samrajya ki baat nahi kar rahe ho na jisse aaye logo na humara sab kuch barbad kar diya tha?
HA1: Vo bus ha mei apna sar hila deta hai…
HA2: Agar essi baat hai toh fir mei apne purn jeevan iss jagah ki suraksha mei laga dunga… Uss Rajkumar ki maut mera hi haatho hogi… Mei ek baar fir uss raste ko kholna nahi dunga kisiko bhi…
HA1: Tum jante ho hum kuch bhi karle par hum usse kabhi rok nahi sakega… Vo khudmei hi purn shakti hai…
HA2: Janta hu par fir bhi mei usse nahi jane dunga jab tak mei jinda hu…
Abhi dono bhai baat kar rahe tha ki ek awaj unhe sunayi di… Ya awaj unn dono ka piche se aa rahi thi… Ya kisi ladki ki awaj thi…
Awaj: Duniya mei jo janma hai vo marega hi marega… Tum dono jisse marna ki baat kar rahe ho vo shaktishali jarur hai, par agar sahi yojna se humla karo toh usse behad asani se maut de sakta ho…
HA2: Kon ho tum aur kya janti ho uska baare mei?
Awaj: Mei kon hu ya chodo aur kya janti hu toh ya samajhlo duniya mei vo khud mujhc jada apne baare mei nahi janta hai… Tum yadi sach mei usse marna cahata ho toh yaha se dakshin disha mei ek prachin Mayur Sabhyata ka samrajye ko dhundo aur vaha uski Pratiksha karo… Tumhai tumhara shikar mil jayega…
HA1: Aur tum humari madat kyu kar rahi ho?
Awaj: Tum raste ko khatam karna cahate ho usse mei bhi khatam karna cahati hu… Ya darwaja jiss duniya mei khulta hai uss duniya ka sampark iss duniya se thodna cahati hu…Ab ya mat kahena ki khud kyu nahi maar deti, kyunki agar meine usse mara toh uska jeevan purn nasht nahi hoga…. Usse vardan mila hai ki jab tak usse koi bahari duniya ka aadmi nahi marega uska jeevan kabhi khatam nahi hoga…
HA2: Par hum usse pehachanaga kaise??
Awaj: Jiss din vo vaha pahuchega uska hona ka pata tum dono lag jaayega aur usse marna ka liya jo hathiyar cahaiye vo bhi mil jayega…
Iska baad Awaj aana band ho gayi… Dono bhai kuch der tak sochta rahe aur uska baad HA1 na hi baat shuri kari…
HA1: Mujhe ya aurat kuch sahi nahi lagi? Hum ispar bharosa nahi kar sakta hai….
HA2: Hum sirf khudpar bharosa karega… Tum yaha rahekar iss jagah ki suraksha karoge aur mei Mayur samrajye ki khoj kar vaha uska intezar karunga… Jisse bhi phela mauka milega vahi upar humla karke usse maut de dega…
HA1: Par kya hum sahi kar rahe hai, kyunki huma uss Rajkumar ka baare mei kuch nahi pata hai… Huma toh ya bhi nahi pata hai ki vo acha hai ya bura… Essa mei usse siddha maut de dena sahi nahi hoga…
HA2: Vo acha nahi hai… Jiski sena itni kroor ho, jiska senapati logo ko maar kar khush hota ho essa Raja aur Rajkumar bhi vaisa hi hoga… Mei usse nahi chodunga cahaiye tum saath do ya na do aur ya kahe kar HA2 bhi gayab ho gaya….
HA1: Guruji hume sahi marg dikhana… Kahi hu kuch bhul na kar baithe, mujhe uss Rajkumar ki sachayi jaani hogi aur uss duniya ki bhi… Par kaha se shuru karu…
Abhi khudse hi sawal pucha tha usne ki usse apne samne ka najara badalta hua dikhayi diya… Jaha baraf hi baraf thi ab uska samne ek jungle jaisa dikh raha tha aur uss jungle mei bana ek mandir jo ki behad prachin lag raha tha... Do pal uski aankho ka samne vo drishya chala aur fir sab gayab… Sab phele jaisa ho gaya…
HA1: Ya drishya dikhna ka matlab hai mujhe iss prachin mandir ko dhundna hoga…. Jaruri mera sawal ka jawab uss mandir mei milega… Mujhe sirf ek garud ka nishaan dikha tha, lagta hai purani kitabo mei essi koi jagah dekhni padegi…