• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy SHUBHAM - EK Raskshak ya Bhakshak (Rebooted)

Rohit1988

Well-Known Member
2,264
7,205
158
Rohit bhai agr Shubham bhai ko jante ho to bolo kijldi update de . Kai din me ek update ata hai bss


Bhai ji me bhi aapki tarah ek reader
Mujhe bhi aap sab ki tarah Shubham bhai ka likhi ye story bahut pasand hai but me bhi Shubham bhai ke update ka intejar hi karta hu
Pata nahi Shubham bhai esa kyu karte hai apne chahne walo ke sath koi reply bhi nahi dete
Mahine me ek update ese kese chalega Shubham bhai
Week me 2 ya 3 update hi de do please 🙏
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,632
174
Update 8: Delta

After a week

Ek hafte baad Orion ka Royal Medical Department mei Shubham ko hosh aata hai, vo apne samne ka drishya ko dekhna aur samajhna ki koshish karta hai aur jaana cahata hai ki vo kaha hai aur kya ho raha hai… Vo apne bistar se uth kar baithne ki koshish karta hai toh uska movements ko dekh vaha maujood ek nurse turant Sudiko ko suchna de deti hai aur kuch hi der mei Sudiko Indra ka saath Shubham ka pass maujood tha….

Shubham ko Indra ko apne samne dekh khush bhi tha aur uska cehara dekh kar usse kuch ajeeb bhi mehsoos karna laga tha… Usse Indra ki aankho mei khushi nahi dikh rahi thi bulki uski aankho mei kuch essa tha jisse dekh Shubham ko halka halka ehsaas ho gaya tha ki kuch bura hua hai…

Sudiko: Ab kaisa mehsoos kar rahe ho tum?

Shubham: Sudiko ka sawal ko sun vo vapas hosh mei aaya aur uska dhyan Sudiko par gaya…. Usne Sudiko ko phele kabhi nahi dekha tha, islye vo usse dekhna laga par saath hi usne uska sawal ka jawab bhi diya…. Mei acha mehsoos kar raha hu…

Indra: Shubham ya hai Sudiko… Medical Practitioner….

Shubham: Vo usko dekh apne sir ha vali mudra mei hila deta hai aur fir saath hi sawal bhi puch hi leta hai… Sudiko mei fir kabse apni training shuru kar sakta hu, kyunki meri bimari ka koi ilaaz nahi hai jitna mujhe pata hai bus ya ek lakdi hai jo mera dard kam karna mei mujhe madat karti hai… Ya kahe kar vo apne pauch mei se ek lakdi ka tukda nikal leta hai aur vo Sudiko ko dikhata hai….

Sudiko: Vo usse vo tukda lekar usse dekhta hai aur fir saath hi usse smell bhi karta hai… Jaise hi lakdi ki khushbu unki naak mei jaati hai unki aankhe badi ho jaati hai aur vo aaschariya se Shubham ko dekhna lagta hai…

Sudiko: Ya tumhai kaha se mili?

Sudiko ka sawal ko sun Indra behad jada chakit thi kyunki duniya mei behad kam chije hai jinse Sudiko ko aaschariya hota ho kyunki sabhi ka kahena hai ki Sudiko na apne sadiyo ka jiwan mei behad kuch essa dekha hai jiski kalpana shayad ki logo na kari ho aur islye kisi bhi chij se unhe aaschariya karna namumkin hai….

Par aaj Indra na vo ajooba dekh liya tha, Sudiko aaschariya mei tha aur bade dhyan se Shubham ko dekh rahe tha jisse dekh Indra na jigyasa vash puch hi liya….

Indra: Ya kya hai Sudiko?

Sudiko: Unhone vo ladki ka tudka Indra ki taraf badha diya…. Ya ishara tha ki tum khud try karo shayad samajh jao….

Indra nab hi vo tukda apne haath mei liya aur usse apni naak ka pass lakar halka se smell kiya… Jaise hi usne smell kiya uski aankhe badi ho gayi aur usne turant hi uss lakdi ka tukda ko apni naak se dhur kar diya, ya fir ya kahena galat nahi hoga ki usne turant hi uss chij ko apne haath se faik hi diya….

Indra: Shubham tumhare pass ya chij kaha se aayi, janta ho isko rakhna ka kya anzam ho sakta hai?

Sudiko: Indra shant ho jao…. Usse iss lakdi ka tukda ka baare mei kuch pata nahi hai varna vo huma iski sachayi jaane ka baad kabhi nahi dikhata….

Sudiko: Shubham tumhai ya chij kaha se mili…?

Shubham: Mujhe nahi pata ki ya mujhe kisne di par yaha aane se phele jaha mei raheta tha vaha ek subha mera darwaja par ya mujhe padi mili jispar likha tha ki mera dard ki yahi ek dawa hai aur iska alawa mera illaj nahi ho sakta hai… Islye jab bhi mujhe sar mei tej dard hona lagta tha mei isse apne muh mei rakh leta tha…. Essa karna se mujhe kaafi aram milta tha….

Sudiko: Shubham ya ladki ka tukda jo tumhare pass hai ya aakhri hai ya aur bhi hai tumhare pass?

Shubham: Jee bus yahi ek tukda hai, par ya hai kya?

Sudiko: Iska naam hai Dardavli… Ya koi aam tukda nahi hai bulki yaha se kayi lakho kilometre dhur Trivana naam ki jagah par ek jungle hai jiska bicho bich ya ladki ka paid hai jiski khaal ka ya ek chota sa hissa hai par Trivana jungle mei jana aur iss lakdi ko vaha se lekar aana ya namumkin hai… Iss duniya mei essa koi nahi kar saka hai….

Itna hi nahi Dardavli koi samanye paid nahi hai, iska liya essa kaha jata hai ki purana samaye mei Trivana mei ek raja tha jo behad hi krur aur behad hi shakti shali tha…Uska pass kayi alag alag tarah ki shaktiya thi aur kuch usne behad kadi mehanat aur tapasya karke hassil ki thi par uski shaktiyo mei kuch shaitani shaktiya bhi shamil thi… Inn shaktiyo ko hassil kar uska dimak par shaitan ka kabza ho chala tha aur islye vo har samaye alag alag tarah se logo ko pratarit karna laga tha…

Essa hi logo ko apna gulam banana ka liya usne ek samaye paid par apni sidhiyo ka priyog kar usse ek shaitan mei badal diya jiska maksad logo ki bhavnao aur unhe dukh aur dard dena tha…. Vo logo ko itna kamzor kar deta tha ki fir log kabhi apni awaz nahi utha saka aur khushi khushi gulam banane ko tayar ho jaaye… Yadi ya ladki ka tukda tumne kisi dusra ko dikhaya hota toh vo tumhai ussi samaye maar deta, humari duniya mei iska istemal purn roop se mana hai…

Shubham: Par ya toh mera dard kam karta tha?

Sudiko: Nahi… Essa tumhai lagta tha kyunki vo tumhare dimak ko sun kar tumhare dimak ka sampark tumhare sharir se khatam kar deta tha jisse tumhai dard ka ehsaas nahi hota tha aur saath hi ya tumhare dard ko khatam karna ki jagah tumhari bimari ko chaar guna adhik tezi deta jiski vajah se jo kaam 4 ghanta mei hona vala hota tha vo maatr ek ghanta mei hi pura ho jata tha…

Ab baari Shubham ki thi… Vo phele Sudiko ko dekhta hai aur fir Indra ko jaise jaana caha raha ho ki ya sahi bol rahe hai…. Indra bhi ha mei apni garden hila deti hai….

Shubham: Mujhe nahi pata tha ki ya itni khatarnak chij hai, aap isse nasht kar dijiye…

Sudiko: Nahi… Jab ya humare pass maujood hai toh mei iske upar kuch test karna cahata hu… Mei dekhna cahata hu ki kya koi tarika hai jisse log iska asar se bach sakta hai…. Islye ya tukda mei rakh raha hu… Iska jikar ab tum dono hi ki kisi se nahi karna vala ho…

Indra aur Shubham dono hi sehamat ho gaye ek hi baar mei Sudiko ka vichar se par tabhi Shubham ek baar firse bol utha…

Shubham: Mei vapas school kab laut sakta hu?

Uska iss sawal se ek baar fir sabhi taraf khamoshi chaa gayi thi… Unn dono ka khamosh hona se Shubham ko galat ka aabhas ho gaya tha….

Indra: Shubham tum ab kabhi school nahi laut sakta ho… Tum ab ek aam insaan ho jiska pass koi shaktiya nahi hai aur na hi vo kabhi unhe firse jaga sakega…

Shubham: Ya sunkar vo bus Indra ko ghurna laga….

Sudiko: Shubham vo sahi bol rahi hai… Tumhare saath jo bhi hua hai uski vajah se tumhari kuch khoshikaye nasht ho chuki hai jiski vajah se tumhare dimak aur tumhari Indriyo ka bich ka sampark samapth ho chukka hai… Aam taur par kuch samaye mei koshikaye apne aap firse khudko paida kar khudko thik kar leti hai par tumhare case mei essa nahi ho sakta hai… Tumne Dardavli ka behad upyog kiya hai jiski vajah se tumhari koshikaye ab fir kabhi khudse khudko swasth nahi kar sakegi aur na hi koi bahar taqat tumhari koi madat kar sakegi…

Shubham: Itna sunta hi vo khamosh ho gaya aur uska sar niche jhuk gaya… Aankho se aasu nikalna laga tha…

Sudiko: Vo uska sar par haath rakh kar, shant ho jao Shubham aur khudko sambhalo… Essa nirash hona se jeevan mei kuch acha nahi hoga… Tumhai khudko majboot karke sabhi chijo ka samna karna hoga…

Shubham: Mei yaha se kab jaa sakta hu, kya aap logo mei se koi Triffor se kahe kar mujhe vapas meri duniya mei vapas bhej sakta hai…

Sudiko na Shubham ka sawal par Indra ko dekha jisne Na mei garden hila di thi…

Sudiko: Tum kaha raheta tha Shubham mujhe batao mei tumhai vaha bhejna ki koshish kar sakta hu…

Shubham: Mujhe nahi pata hai… Bus itna janta hu ki charo taraf jungle tha par vaha na koi janwar tha na koi insaan bus tha toh kewal mei akela aur mera saath dena vala ek swan isse jada mujhe kuch bhi nahi pata hai ki mei kaha se hu…. Meine Triffor ko bhi pucha tha par unhone kaha ki sahi samaye par vo mujhe bata dega… Kya aap essi koi jagah jante hai?

Sudiko: Unhone na mei apni garden hila di aur fir Indra ki taraf dekha jaise puch rahe ho ki ya kya bol raha hai?

Indra: Shubham ka apni jagah ka baare mei essa description dena usse bhi kuch khatka… Essi jagah toh usne na kabhi suni thi aur na hi kabhi dekhi thi…. Vo khud Sudiko ko dekh puch rahi thi ki kya koi essi jagah hai?

Shubham: Mei yaha se kab jaa sakta hu?

Sudiko: Shubham kuch din ka samaye do mujhe mei tumhari jagah ka pata karna ki koshish karta hu… Tabtak tum bhi aram karlo…

Shubham: Nahi… Mei bus aaj hi yaha se jana cahata hu…. Aap pareshan mat ho mei khudse hi vo jagah dhund lunga…

Itna kahe kar vo ek baar fir apni aankhe band karke bistar par lait gaya…. Sudiko aur Indra na kuch der usse dekha aur fir dono hi bahar aa gaye jaha Sudiko ka sawal shuru ho gaye tha…

Sudiko: Indra ya Shubham konsi jagah ka baare mei baat kar raha tha… Meine essi koi duniya nahi suni hai aaj tak… Mujhe sach sach batao ya ladka kon hai aur kaha se aaya hai?

Indra: Sudiko mujhe sach mei nahi malum ya ladka kon hai aur kaha se aaya hai… Bus itna janti hu ki isse school mei direct admission AS na diya hai jiska kahena par hi Triffor kaam karta hai…. Mujhe nahi pata ki Triffor isse kaha se laya hai….

Sudiko: AS… Indra mera ek kaam karo, AS ko mera message do aur usse bolo mei usse milna cahata hu….

Indra: Thik hai… Ya kahe kar vo chali gayi….

Uska jaate hi Sudiko apni chair par baith gaye aur kuch sochna laga…. Unka muh se bus baar baar agar kuch nikal raha tha toh vo tha AS ka naam aur kuch nahi…

Karib aadha din nikal jaane ka baad Shubham Orion ka medical department se nikal gaya aur bus kuch dhur idhar udhar ghumna ka baad vo Orion ki nagar seema se nikal kar jungle ki taraf badh gaya…. Jiss disha mei vo badha tha vaha kaafi jungle hona ka saath hi ucha pahad aur kuch nadiya bhi behati thi jo Orion ka logo ka jal ka mukhya istrodh bhi tha….



Waqt bitna laga, din haffte mei aur hafte mahino mei badal gaye… Orion nagar ki seema choda hua Shubham ko karib 6 mahina se bhi upar ka samaye ho gaya tha… Inn 6 mahino mei Shubham Orion ka jungle mei hi ghumta raha…. Usne behad si jagah dekhi aur kayi jagah toh jungle janwaro se samna bhi hua jaha se jaise taise karke apni jaan bachayi…. Kayi hafte aur ek baar karib do mahina ka samaye toh bus chupa hua hi raha apni chot ka karan…

Usse ya vishwas ho gaya tha ki vo Orion ka jungle mei kabhi nahi raha tha isse phele islye ab vo Orion ki rajye seema se nikal raha tha, usne ek aakhri baar ek ucha pahad se Orion ko dekha aur fir bus apne raste par chal diya, ek anjane safar par jiski jankari usse bilkul nahi thi….

Mahina badal kar saal mei tabdil ho gaye tha…. Orion ki seema choda 2 saal hona aaye tha iss bich vo kayi rajyo ki seema mei pravesh kar unka jungle mei ghuma par usse apni jagah ka pata kahi bhi nahi chala… Kabhi yadi kisi insaan se usne iska baare mei jana caha toh vo usse pagal hi kahe kar nikal deta tha… Inn do saalo mei bus ek hi chij achi hui ki usne khudko kuch hadtak nikhar liya tha aur ab vo chota mota janwaro ka shikar behad aasani se kar liya karta tha jiski vajah se uski chaku chalana ki kala mei bhi kuch kuch nikhar aa gaya tha….Essa hi ek raat vo ek ghana jungle ka bich ek pahad par bani ek gufa mei baitha tha…. Bahar barish tej thi aur uss gufa ki uchayi adhik thi jiski vajah se niche ka dekh sakna na mumkin tha…

Gufa mei ek kona mei aag jal rahi thi jispar vo kisi janwar ka maas paka raha tha… Uska kadpe bilkul ghila hogaye tha jisse usne jalti aage se thodi dhuri par hi sukha diya tha aur khud dusra kapde pehana uss aag ka aage baitha khudko uss agni ki garmahat dena ki koshish kar raha tha… Barish ki vajah se bahar behad thandak ho gayi thi… Kuch der mei jab maas pak gaya toh vo usse khane laga tha…

Maas khakar jab pait ki bukh shant hui tab usse kahi jakar kuch aram mila aur ussi gufa mei ek kona pakad kar lait gaya… Jamin par laita hua vo bus uss gufa ko hi dekha jaa raha tha aankho mei nind nahi thi aur na jaane vo kya soch raha tha usse bhi nahi pata tha… Vo bus gufa ki chat par hi dekha jaa raha tha iss baat se anzan ki uski gufa mei do log aa chukka hai jinka saath hi ek bhediya jaisa janwar bhi tha bus uski muh se awaz nahi nikal kar rahi thi bus vo apne shikar ko ghur raha tha aur behad chalak shikari ki tarah dheme aur sada kadmo se Shubham ka pass jaa raha tha…

Jaise jaise vo bhediya Shubham ka pass pahuch raha tha uski gand na Shubham ko hosh mei laa diya aur jaise hi bhediya apne muh mei uska sar dabochna ka liya hua na jaane kaha se Shubham na khanzar nikal uss bhediya ka sir mei ghusa diya... Taqat behad adhik thi uska humla mei jiski vajah se bhediya ka sar mei khanzar lagta hi vo khaznzar bina virodh ka uska sar mei jaa ghusa par iss prakriya mei uska haath par bhi bhediya ka dant lag gaye jaha se ab acha khasa khoon nikalne laga tha…

Shubham na apni najar uss bhediya se utha kar samne dekha toh uska samne do aadmi khada tha, jism par kaale kapde aur sharir pura Dhaka hua yaha tak ki muh bhi dikhayi nahi de raha tha bus dikhayi de raha tha toh unki aankhe aur unka honth jispar iss waqt behad hi shaitani hassi chayi hui thi…

Shubham unki najar ko dekh hi samajh gaya tha ki aaj uska saath kuch bura hona vala hai kyunki unn dono aadmiyo ki najar mei saaf dikh raha tha ki vo usse marna ka irada se hi aaye hai aur jo log ek bhediya ko saath laa sakta hai vo log jarur usse maar sakta hai vo bhi bina kisi koshish ka….

Shubham: Kon ho tum dono aur mujhe marna kyu cahata ho?

BA 1: Hum kon hai ya jaana jaruri nahi hai, par tum kyu mar rahe ho ya jaana jaruri hai...

BA 2: Huma log iss duniya mei Son of Death God kaheta hai kyunki hum logo ko marna ka hi kaam karta hai… Tumhai kyu maar rahe hai toh uska karan hai tumhai marna ki kimat mili hai huma aur tumhai yakeen nahi hoga par tumhai marna vala ko itna bada inaam milna vala hai jiski kalpana bhi koi nahi kar sakta tha…

Shuru mei toh huma laga tha tum behad taqatwar aur behad hi khatarnak ladaka hoga jiski maut ki kimat aam logo ki kimat se 100 guna hai par kuch din tumhara picha karke huma samajh aa gaya ki tum khaas toh chodo aam bhi nahi ho par hum ruk kar dekhna cahata tha ki kahi tum apni taqat chupa toh nahi rahe ho par pichle 2 saalo mei tumne kabhi jadu ka istemaal hi nahi kiya aur fir parso humne tumhari awaje suni jaha tum khudse hi kahe rahe tha ki tum jadu nahi kar sakta ho bus fir kyat ha hum samajh gaye shikar aasan hai aur mauka dekh tumhai khatam karna hai… Islye hum yaha hai tumhai marna ka liya…

Ab jaldi se apni icha bata do ki tum humare jadu se marna cahata ho ya fir hum tumhai apne hathiyaro se maar iss gufa se niche gira de… Jab jamin par pahuchoge toh janwaro ka khana ka kaam hi aaoge

BA 2 ki baat sun Shubham samajh gaya tha ki uska pass koi aur option nahi hai islye vo bina bola hi unn dono ki taraf badh gaya unpar humla karna ka liya…

Uska aage badhta hi BA2 bol utha….

BA2: Not bad… Tum ladna cahata ho iska matlab hua ki tum hathiyaro se hi marna cahata ho…. BA1 ya tumhara shikar hai mei side mei jakar iss pratiyogita ka anand leta hu…

Ya kahe kar vo apni jagah se gayab hokar Gufa mei side mei rakha hua ek bada pathar par baith gaya…. Vahi jaise hi Shubham BA 1 ka pass pahucha na jaane kaha se BA 1 na apne haath se ek ka baad ek 4 chaku tezi se Shubham ki taraf faik diya… Usne itni tezi se humla kiya tha ki Shubham ko na kuch dikha aur na samjha par agle hi pal dard ki tez chikho se vo puri Gufa bhar gayi…

BA 1 ka charo humla Shubham ka sharir par hua, jismei do uska dono kandho par laga aur do uska pairo mei jiski vajah se vo apni jagah hi gir gaya aur chaku ka humla se dard bhari chikh uska muh se nikal gayi… Uski essi halat dekh BA 2…

BA 2: Kya yaar phele humla toh usse karna deta, bilkul maza nahi aaya mujhe?

BA 1: Usne BA 2 ko dekha aur fir khud Shubham ka pass pahucha gaya aur uska bagal mei baith uska kandho mei ghusa apne chaku ko ek jhatka mei khich kar bahar nikal diya, jiski vajah se ek baar fir Shubham ki chikh uss gufa mei fail gayi… Sirf ek pal aur fir agle hi pal teji se usne uss chaku firse ussi jagah firse ghusa diya… Isse ek baar fir Shubham chikh utha…

Essa usne charo chaku ka saath kiya vo bhi karib 10 baar… Usse na jaane Shubham ki chikhe sunna mei maza aa raha tha… Kuch der essa hi uska saath karna ka baad usne Shubham ka pair mei ghusa chaku ko pakad uska sharir ko khichna shuru kar diya… Jaise jaise vo chaku se Shubham ka sharir ko khich raha tha vo chaku uska pair ko jaate hua niche ki taraf badh raha tha…

Khoon teji se behana laga tha aur dard itna ki pucho mat… Shubham ki chikh rukna ka naam nahi le rahi thi par itna adhik dard ka baad bhi vo behosh nahi hua, na jaane kyu uska dimak bhi usse jaise iss dukh ko nirantar mehsoos karwana cahata tha…

Vo usse lekar abhi gufa ka bahar aa gaya tha jaha se niche faikna par jinda milna kisika ka bhi mumkin nahi tha…

BA 1: Usne Shubham ka kandhe se chaku nikal iss baar uski shirt aage se faad di aur usse bolna laga… Janta hai itna dard sehana ka baad log khud hi mar jate hai par tum abhi tak jinda hai iska matlab tujhmei kuch khaas hai aur kyunki tu abhi tak jinda bach gaya hai islye mei tujhe marna valo ka naam bhi bata deta hu…

Ya kahe kar vo uska seema mei chaku rakh usse ghusana laga aur dhere dhere karta hua ek behad bada gola jo uska seena se hota hua pait par se hota hua firse seena par aakar khatam hua aur vaha se usne ek lakir uska ulta kandhe ki taraf khich di…

Isse bhi dil nahi bhara tha shayad islye vo uss gola ka bich mei firse chaku se likhna laga aur usne do akshar jaisa likha diya… Ya akshar tha DG (Death God) ... Iska baad usne kayi saare chota chota par behad ghera humla Shubham ka haatho aur baaki sharir par bhi kiya jiski vajah se uska khoon behad hi adhik tezi se behana laga tha…

BA 1: Huma Delta kaheta hai jiska baare mei iss duniya mei kewal kuch hi log jante hai ya fir aaj tu janta hai par fir kabhi tu kisiko bachana ka layak nahi rahega… Ya kahe kar vo usse utha kar Gufa se niche uchal deta hai…

BA 2: BA 1 se, aaj ka shikar sach mei behad hi aasan tha aur tumna dil bhar apni icha ko pura kar kiya…

BA 1: Ha… Kyunki meine kaha tha na ki ab ya mera aakhri shikar hai aajke baad mei sirf mota aur bada shikar karunga islye apni blood lust ko shant karna jaruri tha… Abse ya chota mota khoon mei nahi karna vala hu…

BA 2: Sahi kaha… Aaj ka inaam ka baad huma ya chota mota kaam karna ki jarurat hi nahi hai… Meine head quarters mei inform kar diya hai task complete ka… Islye inaam vo siddha humtak pahucha dega…


BA 1: Thik hai fir… Aaj raat hum yahi aram karta hai kyunki bahar barish behad tez hai aur kal subha hum fir ek baar aam logo ki duniya mei laut jayega…
Superb update bhai sandar jabarjast to shubham ko hosh me aane pr use pta chla ki Ab vo Kabhi bhi jadu nhi kr sakta hai or us lakdi ka sach bhi pta chla ki vo ek aisi dva hai jo dimag ko sunn kr deti hai or rog ko 4 guna jaldi se failati hai shubham ko yah sb pta lagne pr vo apne ghar vapas Jane kahta hai pr koi bhi uske ghar ka pta nhi janta to shubham medical centre se khud hi dhundhne nikal jata hai or Kai saal dhundhta hi rahta hai or ek din king of death ke 2 bande aakr use tadpa tadpa behad ghayal krke gufa se fek dete hai... Superb update bhai sandar jabarjast
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,632
174
Update 9: Shreshta The Saver

Ek chota sa talab jaha behati nadi se thoda paani aakar ikhata ho jaya karta tha aur baaki baha kar nikal jaya karta tha… Nadi ka chor par charo tarab sundar phool aur phalo ka paid laga hua tha jo uss jagah ko aur bhi prakarti ka pass hona ka ehsaas karwati thi…

Aur usse hi laga ek chota talab jaha jiska pass behad pathar tha aur uska karan tha ki ya talab ka istemaal rajye mei nichla kool ka log kiya karta tha jabki vo nadi ka istemaal uch kool ka log kiya karta tha, ya pratha iss rajye mei behad samaye se chali aa rahi hai aur logo ka dilo aur dimak mei ya pratha jaise ek pathar ki lakir jaisi hai jisse log caha kar bhi alag nahi hota tha....

Essa hi nichle kool ka ek ladka jiska naam tha Shrestha, umar jiski karib 18-19 saal rahi hogi, dikhna mei thik thak tha na jada patla aur na hi jada mota, rang halka sawla tha aur aankhe bhora rang ki…. Shreshta ka maa baap koi nahi tha aur vo iss duniya mei anath ho chala tha jab vo kewal 5 saal ka tha…

Har subha aur shyam vo apna kuch samaye iss talab ka kinare baith bitaya karta tha… Uska apna koi nahi tha aur jeevan akele jeena itna aasan bhi nahi… Vo aaj bhi yaha baitha bus iss talab mei chota chota pathar faik raha tha aur bus nadi kinare ka khubsurat drishya dekh raha tha…

Vo baitha hua bus apni duniya mei khoya hua tha ki achanak hi aasman mei bijali ka tej kadakna ki awaj sunayi di… Achanak hui iss awaz se har koi chauk gaya kyunki aasman mei iss waqt suraj maujood tha aur badalo ka koi namo nishaan nahi…

Bijali ki tez garjana ka turant baad hi essa laga jaise ki aasman ko kisi na fada ho aur usmei se kuch girta hua sabhi ko najar aa raha tha… Vo girna vali chij uss chota talab mei hi gir rahi thi…. Shuru mei toh kisiko nahi dikha ki vo kya tha par jaise jaise vo chij jamen ka karib aane lagi sabhi log dekh sak rahe tha ki jo gir rahi chij hai vo koi vastu nahi bulki koi insaan hai…

Aasman ki uchayi se vo insaan siddha paani mei jaa gira aur idhar vo paani mei gira aur dusri taraf nadi kinare maujood yuvtiyo ki chilane ki awaz sunayi di… Vo ya drishya dekh dar gayi thi aur issi vajah se vo log chikh padi, par Shreshta inse alag tha, usne jeevan mei behad kuch dekh liya tha aur islye jaise hi vo insaan paani mei gira usne bhi turant uss chota se talab mei chalang laga di uss insaan ko talab se bahar nikalne ka liya…

Kuch der lagi usse uss insaan ko dundhna mei par fir bhi usne usse dhund hi liya aur turant hi uss insaan ko lekar jamin ki satah ki taraf badh gaya… Paani ka bahar aakar usne jab uss insaan ko jamin par rakha toh uski halat dekh ek pal toh Shreshta bhi khud chauk gaya…

Sharir ka har hisse par ghera zakham tha jisse nirantar khoon nikal raha tha, sharir ki kuch hadiya puri tarah se tabah ho gayi thi aur kayi kayi jagah ghera jalna ka nishaan bhi maujood tha… Essi halat usne phele kabhi kisi insaan ki nahi dekhi thi… Usne iss baat par bhi gaur kiya ki itna sab ho jaane ka baad bhi uss insaan ki saas chal rahi thi par uski gati behad hi kam thi….

Usse dekh ya lag raha tha ki jada samaye nahi hai iss insaan ka pass, jaldi hi iski saas ruk jayegi… Shreshta ki jagah koi aur hota toh shayad ya baat sach bhi ho jati par Shreshta iss girti hardiya gati ko niyantaran mei kar sakta tha, usne essa phele bhi kayi baar kiya hai islye use apne haath ko uss insaan ka dil ka pass rakha aur apni aankhe band kar kuch der kuch bolta raha… Dhere Dhere uska haath se ek safeed roshni nikal kar uss insaan mei samane lagi aur dekhta hi dekhta nirantar girti hridya gati kuch kuch samanye hona lagi thi…

Shreshta janta tha ki uska ya jadu kuch hi der asar karega aur uske baad ek baar fir iss insaan ki hirdaye gati girna lagegi aur essa mei isko bacha pana namumkin ho jata, dusri baat nirantar nikalta khoon ki vajah se hirdaye ko khoon paryapt matra mei nahi mil raha tha… Sharir ka aur dusra ang bhi isse prabhavit ho rahe tha aur nirantar kam khota khoon ki vajah se hirdaye kabhi bhi ruk sakta tha…

Shreshta na jada samaye nahi gawaya aur turant hi usne apne magical beast ko bulaya aur uss insaan ko uspar bitha usse lekar vaha se nikal gaya… Karib 10 min nirantar aage badhna ka baad vo ek behad bada ghar ka samne ruka… Ya ghar rajye ka prasid chikitsak ka tha…. Aam taur par Shreshta aur uska jaise logo ka itna bada chikitsak tak aana namumkin tha par Shreshta ki baat alag thi kyunki vo yahi raheta hai aur mukhya chikitsak ki madat karta hai....

Usne uss ghar mei jakar turant hi uss insaan ko ek jagah litaya aur vaha maujood logo ko sabse phele uss insaan ki chote saaf aur uska rokna ka nirdesh dekar vo khud bhagta hua ek kamre se dusre mei aur dusre se teesra mei pahucha… Jab vo teesra kamre mei pahucha toh vaha pramukh chikitsak baithe kisi kitab ko padh rahe tha.....

Shreshta: Master…

Master (Pramukh Chikitsak): Shreshta meine tumhai itna sikha diya hai ki tum choti moti chija khudse sambhal sakta ho aur ya samaye mera padhna ka hai… Mei kuch behad jaruri padh raha hu…. Ya kahe kar unhone apni kitab niche ki Shreshta ko dekhna ka liya…

Uska sharir par maujood kapdo aur unn kapdo mei laga khoon ki matra ko dekh Master turant hi apni jagah se uth khada hua…

Master: Itna khoon kiska baha gaya hai humare rajye mei… Kis janwar na humla kiya?

Itna bolta hua vo khud hi bahar nikal chala tha aur uss kamre ki taraf kadam badha chukka tha jaha uss insaan ko rakha gaya tha…

Shreshta: Master ya humare rajye ka nahi hai aur na hi kisi dusra rajye ka....

Master: Toh kya aasman se gira hai?

Shreshta: Ha master…

Shreshta ki baat sun ek pal ka liya toh master ruk gaye par fir unka kadmo mei gati apne aap hi badh gayi aur vo turant hi uss kamre mei pahuch gaye jaha vo insaan maujood tha… Kamre mei pahuchta hi unhone sabse phele apne haath ghuma kar uss pura jagah ko hi badal diya aur usse ek jungle jaisa bana diya….

Master ka duwara turant pariwartan ko dekh Shreshta bhi chauk gaya kyunki uska master na uss kamre ko jiss jagah par pahucha diya tha vo jagah apne jeevan mei usne phele kewal do baar dekhi thi… Pheli baar jab rajye ka Maharaj kisi vish ki vajah se behad adhik prabhavit hua tha aur Master ka aane se phele unki halat bilkul essi ho gayi thi ki vo kabhi bhi maut ko gala laga lega aur dusri baar tab jab Rajkumari ki tabyat behad adhik bigad gayi thi.

Vo iss baat ko janta tha ki ya jagah uska master ki sabse kimti dharovar hai jisse unhone kitna hi saalo ki jatil mehanat aur parishram se banaya hai… Duniya ka liya uska Master kaise bhi ho par vo janta tha ki uska Master itna hunarmand hai ki vo kisi mara ko ek baar fir jeevit tak karne mei saksham hai…. Master humesha behad aram se kaam karna vala vyakti hai jinhe behad kam bato ka tanav hota tha par aaj unka cehara behad gambhir aur apne samne maujood shak ko dekh vo kuch tanav se bhi bhar gaye tha…

Master: Shreshta mujhe tumhari jarurat hai… Aaj tumhara sabse bada test hai aajtak meine tumhai jo bhi sikhaya hai usse amal mei lana ka waqt aa gaya hai aur yadi tum aaj pass ho gaye toh mei apna sampurn gyan aur apni sampurn dharowar tumhai saup dunga…

Shreshta jo phele hi aascharye ka bhav liya khada tha apne master ki ya baat sun kar toh uska muh khula rahe gaya aur aankhe bahar ko aane ko ho gayi… Master ki dharowar jiska matlab ya hua ki abhi vo jiss jungle jaisa aushadi ka ilaka mei maujood hai vo sampurn jagah uski aur yaha maujood aushadi bhi…

Vo ya baat ache se janta tha ki yaha maujood aushadi mei kayi essi jada aur paudha bhi tha jinki samajh bahari duniya ko nahi hai par unka fayda angina hai, vahi kuch essa paudha bhi tha jinki kewal ek pati ka liya log lakho mei dena ko bhi tayar ho jayega…

Kuch der vo aaschariya mei raha par uska baad khudko shant bhi kar liya kyunki vo samajh gaya tha ki Master agar sab kuch dena ko tayar hai toh iska matlab ya hua ki uska samne vala vyakti behad mehatvapurn hai aur saath hi aaj uski jarurat chota mota kaamo se behad adhik hai islye vo turant hi kaam karna mei lag gaya…

Master lagatar uss insaan ko bachana mei laga tha saath hi vo Shreshta ko bhi lagatar alag alag jadi butiyo ka prayog se kuch lap aur kuch kada banwa rahe tha… Dono na apne saath maujood kayi dusra saathiyo ki madat se behad jald hi uss insaan ka sharir se behana vala khoon ko rok diya tha aur uski turti hui hadiyo ko punah jodna ka liya patiya bhi bandh di thi…

Jab sab kuch purn ho gaya toh Shreshta apne Master ko dekhna laga…. Vo jana cahata tha ki vo pass hua ya fail…

Master: Abhi kaam pura nahi hua hai Shreshta…. Asli pariksha tumhari ab hai… Tumhai yaad hoga meine tumhai ek baar ek Grey Flower dikhaya tha…

Shreshta: Vo apni garden ha mei hilana laga… Vo uss phool ko kaise hi bhul sakta hai jiska liya uska master na ya kaha tha ki ya kewal ek hi phool hai iss duniya mei… Agla phool ka ugna aur viksit hona mei karib 3 shatapdi ka samaye lag jayega…

Master: Toh ab tumhai karna ya hai ki tumhai ek laip banana hai jo kuch essa hona cahaiye…. Iska baad unhone Shreshta ko laip banane ki sampurn vidi batayi aur ek nahi kayi dafa batayi bhi aur samjhayi bhi… Shreshta yaad rahe jo chij jiss matra mei kahi hai aur laip mei taap utna hi hona cahaiye na adhik aur na hi kam.... Yaad rahe agar halki bhi chuk hui toh humari mehanat barbad ho jayegi aur tumhare samne laita ya insaan fir kabhi jeevit nahi ho sakega…

Shreshta: Par master aap itna kimti phool ek anjan ka liya istemaal karna vala hai jabki iska liya aapko kitna bada uphaar mil sakta hai…

Master: Muskurata hua… Shreshta mei janta hu tumhare pass sawal behad hai par abhi mera pass jawab ka samaye nahi… Bus abhi tum iss laip par dhyan do agar tumne ya sahi se bana diya toh tumne meri purn vidya ko paa liya hai bus ya samajhlo…

Tumhare pass kewal aadha din hai iska liya kyunki aadhe din mei agar uss phool ko sahi laip ki matra mei nahi milaya gaya tohHA vo murjha jayega aur fir kabhi istemaal karna layak nahi rahega…

Shreshta: Apne master ki baat ko haa mei garden hila kar apne kaam par lag jata hai…

Dusri taraf Master bhi uss insaan ko ek pal dekh fir khud nikal jata hai uss phool ko lena ka liya…



Inse dhur pahado ka bich bana apne Guru ki ek choti si kutiya jiski jankar HA 1 and HA 2 ka alawa kisiko nahi thi… HA 2 yaha kabhi nahi aata tha Guruji ki mratyu ka baad kyunki usse kitabo mei ruche nahi thi aur yaha uska Guru na duniya bhar ki kitabo ka ek behad bada sangrahlaye banaya tha jaha iss duniya ki hi nahi bahar ki behad adhik jankar maujood thi…

HA 1: Apne Guru ki kutiya mei pahucha sabse phele vo apne Guru ki pratima ka samne apna sar jhuka unka abhivadan karta tha aur saath hi vahi kuch der baith apne man mei uth rahe har uthal puthal ka vivran bhi apne Guruji se karna lagta hai…

Aakhir mei vo apni jagah se utha hai aur uss kitab ko dhundna lagta hai jismei uska samrajye ki purn jankari maujood thi… Usne ya kitab phele bhi padhi thi par phele usne sirf apne rajya ka ithiyas ka kewal 1% jankari ko padha tha aur fir band kar diya tha par aaj vo apna purn samaye pura ithihas k samajhna mei laga raha tha… Vo kayi baar pustak ka pana palat kar uss mandir ki jaisi aakarati kahi dikh jaaye usse dhundna ki koshish bhi kar raha tha par usse essa kuch mila nahi…


Apne pass koi dusra rasta na dekh vo vahi baith gaya aur uss pura ithiyas padhna laga behad dhyan se… Vo kuch bhi miss nahi karna cahata tha aur islye vo sab kuch shuru se padh raha tha… Usse uss mandir ya fir uss anjan rajkumar ka baare mei jaana tha vo bhi uska bhai duwara kuch anhoni hona se phele…
To shubham us gufa se niche giraye Jane pr jamin pr na girkr kisi or hi duniya me aa kr talab me gir gya jaha use ek 18-19 saal ka shreshta ne talab se bahar nikal kr apne vaidh guru ji ke pass le gya unhone use Dekhte hi ek Behad antic phool ko ek behad jatil kadhe (laip) me milakr pilane (lgane) ke bare me shreshta ko btaya or ye bhi kaha ki Yadi Usne yah bna liya to vah apni sampurn dharohar use de denge vhi HA1 apne guru ji ke ekatrit pustkalay me apne rajya ke itihash ke bare me Padhne lagta hai...
Fabulous update bhai sandar jabarjast
 
Top