- 358
- 2,151
- 123
Update 7 Shocking Revelation
Rimo aur Indra turant hi Shubham ko Orion Rajya ka Royal Medical Division mei lekar pahuche jaha duniya jaha ka tamjham tha aur usse jada vaha maujood tha vo expert jinhe medicine aur medical duniya ki behad khasa jankari thi… Yaha vo log tha jo healers tha, jinki khubi healing thi aur unmei bhi vo jo apni iss shamta ko ek uchayi par leja chukka tha… Kuch essa bhi tha jo healer nahi tha par fir bhi unki sharir ki banawat ki samajh unn healers se bhi adhik thi jiska jariya healers ko kisi bhi sharir ko samajh uski uss pareshani se nijat dilane mei asani hoti thi…
Dono jab Shubham ko lekar vaha pahucha toh uss waqt uss department ka head vahi maujood tha jinhe insani sharir ki na sirf khubi aur kamzori ka behad acha gyaan tha bulki unka healing iss Rajye ka sabse uche paydan par tha… Rimo na turant hi Shubham ka sharir ko vaha maujood ek bed par rakh diya aur vahi Indra turant hi head ko lekar Shubham tak lekar pahuchi….
Indra: Doctor Sudiko (Head) iska sharir se khoon nikalna behosh hona ka baad bhi kam nahi hua hai….
Sudiko: Ary yaar ya kya halat kar rakhi hai iski… Itna khoon kaise nikal gaya… Itna kahe kar unhone usse haath lagaya toh unhe ek tej jhatka laga aur vo kuch kadam piche ho gaye…
Rimo: Kya hua Sudiko…
Sudiko: Ya mumkin nahi hai… Shit… Tum dono kuch der ka liya bahar baitho aur jab tak mei na kahu ander nahi aaoge aur Indra bahar jakar bolo mujhe ek team cahaiye…
Indra: Par baat kya hai??
Sudiko: Indra abhi sawal jawab mei iss ladka ki jaan jayegi… Please mujhe mera kaam karna do aur fir mei har sawal ka jawab dunga wada karta hu…
Rimo aur Indra na ek dusre ko dekha aur fir bahar nikal gaye aur bahar aakar Sudiko ka message bhi vahi de diya… Message milna ka saath hi vaha 5-6 log turant hi aa gaye aur sabhi siddha ander badh gaye… Bahar na koi ruka aur na kisina rokna ki koshish kari…
Vahi jiss kamre mei Shubham tha uss jagah ka darwaja bahar se band kar diya gaya tha aur do Royal guards uss jagah ka bahar tainat khada tha… Bahar se ander jana purn varjit kar diya gaya tha aur sirf yadi koi ander se aata toh hi jaa sakta tha vapas…
Vahi Indra aur Rimo ka bahar nikalta hi Sudiko na apne aankhe band kari aur dekhta hi dekhta vo pura kamra hi gayab ho gaya aur pahuch gaya ek alag hi jagah jaha charo taraf kewal paid hi paid tha aur unn paido ka bich bana tha chatano ka bed… Sudiko na usse vaha laita diya...
Usse vaha laitana ka turant baad hi vaha ek ek karke kayi log pahuch gaye, ya sabhi vahi tha jo bahar se ander aaye tha par inka bich ek shaks kewal essa tha jo yaha se nahi tha…. Uss aadmi ka sharir ek chatan ki tarah tha majboot aur utna hi ucha bhi... Karib 6ft 5inch jitna lamba raha hoga kamse kam… Jitna bada khud tha utna hi bade baal cehare aur sar par tha jo ki ab chandi sa ho chala tha… Balo se hi uss aadmi ki umar ka pata chal raha tha varna sharir mei kahi dhalav nahi tha…
Uss aadmi ko dekh Sudiko samaan mei jhuk gaya aur uski hi tarah baaki sabhi bhi jhuk gaye…
Sudiko: Saiyo huma isse bachana padega… Ya abhi bhi dhyan mei hi hai jabki behosh ho chukka hai… Iska sharir se khoon nikalna roka nahi hai par fir bhi khoon kam nahi hua hai...
Saiyo: Sudiko sabse phele toh tum khada ho jao aur gabhrana band karo… Tum khud sab jante ho fir bhi essa pareshan ho…
Sudiko: Saiyo par ya ladka gambhir hai aur saath hi iska mastiksh se bhi kisine ched chad kari hai…
Saiyo: Dekh raha hu vahi… Iski halat ka jimmedar bhi vahi hai jo na jaane kitna hi samaye se essa durlab logo ko apna shikar bana raha aur kabhi kisika samne bhi nahi aaya… Ek aur asadharan unhar rakhna vala ko usne apna shikar bana liya… Khair ghabrao mat ya baaki sabhi se behad achi halat mei hai aur isse kuch nahi hoga… Bus mei isse dhyan se nikalta hu tab tak tum baakiyo ka saath iska dimak se vo hissa nikal do jo avrodh ka kaam kar raha hai….
Sudiko: Jee Saiyo… Par kya baakiyo ki tarah ya bhi aage ka jeevan samanye hi jiyega… Fir kabhi
Saiyo: Ha Sudiko vaise toh aage ka jeevan mei ya fir kabhi jadu nahi kar sakega…Khudko apni seema se adhik shati pahucha chukka hai ya ladka…. Iski vo sabhi koshikaye jo iski indariyo ko jagrit karti vo humesha ka liya nasht ho gayi hai, jinhe parmeshwar ka alawa koi vapas sudhar nahi sakta hai jitna humara gyan hai…
Par iss ladka mei lalak hai aur kuch karna ki caha, essa mei agar ya khudko jadu se bahar kewal hathiyaro mei prashikshan le toh ya usmei behad uchayi hassil kar sakega par iss ilaz aur khudki halat jaane ka baad ya kitna khudko sambhal sakta hai ya uspar sabse adhik nirbhar karega….
Sudiko: Thik hai Saiyo…
Aur iska baad sabhi apne apne kaam mei lag gaye…. Ya inka liya pheli baar nahi ho raha tha…. Isse phele bhi essa kayi bacho ka dimak mei hona vali peeda aur usse unka sharir mei hua nuksaan ko ya dekh chukka tha… Jo peeda Shubham ko hoti thi ya peeda dimak mei kiya gaye badlav ka karan thi jisse kon anjam de raha tha koi nahi janta aur ya bhi nahi janta ki usse kaise pata chalta hai ki kiski kitni shamta hai jo janam se purv hi bacho ka vikas mei badha ban unka dimak ka saath ched chad kar deta hai… Kayi log usse dhund rahe hai par kabhi kisiko uska hona ka koi praman hi nahi mila aur iska chalta kayi logo na isse parmeshwar ki purv janam ki saja maan liya tha…
Khair karib 2 ghante se adhik ka samaye laga hoga Saiyo ko Shubham ko firse chetna mei laane mei aur itna samaye mei Sudiko aur uski team na apna kaam bhi purn kar liya tha… Jab Saiyo apne isthan se utha toh vo kamzori ka chalta ladkhada gaye jisse Sudiko na sahara diya…
Sudiko: Saiyo kya hua, isse phele toh tumhare saath essa kabhi nahi hua?
Saiyo: Ha Sudiko ya ladka baakiyo se behad khaas tha, isne behoshi mei bhi khudko iss kadar kendrit kiya tha ki iska charo taraf bana ghera ko todh pana mushkil nahi bulki na mumkin ho gaya tha… Isne meri urja bhi usmei khich li… Ya ladka kon hai aur kaha se aaya hai?
Sudiko: Saiyo mujhe nahi pata ya kaha se aaya hai par mei iska baare mei pura pata karta hu…
Saiyo: Ha mujhe jaana hai ya ladka aakhir kaha se aaya hai…
Sudiko: Thik hai… Aap yaha aram kara mei chalta hu…
Saiyo: Unhone ha mei garden hilayi aur fir khud uss ghane jungle ka bich mei kho gaye…
Idhar karib 2:30 ghante baad Sudiko aur unka saath baaki log bahar nikal… Sudiko ka saath vali team vapas laut gayi vahi ek aadmi ko Shubham ka dhyan rakhna chod diya tha… Sudiko bahar aakar Indra aur Rimo se mila…
Indra: Kaisa hai ab vo?
Sudiko: Mera saath aao… Hum yaha baat nahi kar sakta hai… Ya kahe kar Sudiko unhe ek dusre kamre mei le gaye.... Ya Sudiko ka kamra tha jo unhe Royal House mei aane jaane vale logo se milna ka liya diya gaya tha… Vaha unhone dono ko hi baithaya aur fir khud samne baith gaye…
Rimo: Sudiko baat kya hai, aap behad gambhir dikh rahe hai.... Shubham sahi hai na?
Sudiko: Rimo mei tum dono se jhut nahi bolunga… Vo ladka thik hai aur uski jaan bach gayi hai…
Indra: Toh fir aap itna gambhir kyu hai, baat kuch aur bhi hai kya?
Sudiko: Ha Indra, vo ladka bach gaya hai jo ki aadhi baat hai, dusri baat ya hai ki vo fir kabhi jadu nahi kar sakega….
Indra aur Rimo: Kya par kyu?
Sudiko: Iska jawab du usse phele ek baat batao ya ladka kon hai aur kaha se aaya hai?
Rimo: Iska naam Shubham hai aur kaha se hai ya nahi pata, ha par itna pata hai ki isse lekar aane vala Triffor hai.
Indra: Ha aur ek baat jo mujhe samajh aayi vo ya ki ladka bilkul samanye haal mei jiya hai, logo ki baate sun lena aur bina kisiki baat ka jawab diya bus khudmei hi rahena… Jisse mera maana hai ki jaha bhi tha vaha akela hi tha, ya log hokar bhi akela hi tha…
Sudiko: Hmmm…
Indra: Sudiko par aapne bataya nahi ki usse kya hua hai aur kyu vo fir kabhi jaadu nahi kar sakega??
Sudiko: Indra tum dono se shayad suna hoga ki pichle kayi saalo se kuch bache sar mei hua tej dard ki vaha se apni jaan gawa chukka hai… Humari duniya mei logo na iss baat ko kayi tariko se joda hai par sach jo hai vo behad ghinona aur usse bhi jada dard bhara hai…
Rimo: Aap baat gol ghuma rahe hai Sudiko… Aap jante hai hum dono na behad kuch dekha hai islye aap apni baat siddha siddha kahe… Hum don sab kuch sehan kar sakta hai…
Sudiko: Thik hai Rimo toh tumhai saral bhasha aur siddha sabdo mei kaheta hu… Hum sabhi jaadu kar sakta hai kyunki humari koshikaye jo humare indriyo ko jagati hai vo humare dimak se judi hoti hai aur jab humara dimak shant awastha mei kisi ek mukaan tak pahuch jata hai toh humari koshikaye hi huma apni Indriyo ko sadna mei madat bhi karti hai… Essa mei yadi ek koshika ka sampark dimak se prathak ho jaaye ya vo koshika samapt ho jaye toh vo koshish karti hai khudko vapas banane ya sampark jodna ki…
Indra: Sudiko ya huma pata hai…
Sudiko: Ha janta hu ki tum dono ya baat ache se samajhta ho par jo mei kahe raha hu usse pura suno phele… Ha toh yadi koshika hi nahi rahe toh hum apna ya magic use nahi kar sakta hai thik essa hi Shubham ka saath hai... Uski samast koshikaye jo Indriyo aur dimak ko joda rakhti hai vo purn roop se samapt ho gayi hai aur sabse badi baat vo firse khudko kabhi bana nahi sakti hai…
Ab essa kyu hua toh uska karan bhi bata deta hu par ya baat khudtak hi rakhna… Uska janam ka samaye kisi na uska viksit hota sharir ka saath ched chad kari jiska chalta uska dimak mei ek essa rasayan paida hona laga jo dhyan mei baithna par uski koshikao ko hani pahuchata raheta tha aur jaise jaise tum adhik dhyan lagaoge vaise vaise vo tumhari koshikao mei failta jaayega jisse hona vala dard aam taur par logo ki jaan le leta hai par kyunki jin bacho ka ander ya paya jaata hai vo samanye istar se kahi adhik shakti shali hai jiska chalta unki turant maut toh nahi hoti par dard behad asahniya hota hai aur aakhir mei jab vo apni jid mei khudki Indriyo ko kholna ka sampurn prayas karta hai toh unki halat vaisi hi hoti hai jaisi Shubham ki thi ya kahu usse bhi buri… Pichle kayi saalo mei meine essa kayi bacho ka ilaj kiya hai par unn sabhi mei Shubham akela hi jinda bacha hai…
Sudiko ki baat ka baad Rimo aur Indra dono ka reaction behad shocking tha aur dono bus Sudiko ko hi dekh rahe tha…
Rimo: Sudiko yaani aap kahe rahe hai ki koi essa bhi hai jo janam lena se phele hi bache ki maut likh raha hai aur usse bhi upar sirf unn bacho ki jo aam logo se adhik shakti shali hona vala hai…Essa mei hum log usse pakadta kyu nahi aur usse badi baat usse kaisa pata chalta hai kaha kon janam lega essa?
Sudiko: Inn sawal ko jawab mei bus itna kahunga vo jo bhi hai behad chupa hua aur behad shaktishali hai… Aaj tak koi uska hona ka ek saboot nahi juta saka hai.... Khair ya baat khudtak hi rakhna varna log tumhai pagal kahega aur ha Shubham ko abhi agle kuch samaye yahi rahena hoga… Usse ek hafte se adhik samaye lag jaayega hosh aane mei…
Indra: Thik hai Sudiko aur vaise bhi ab vo jadu nahi kar sakta hai toh mujhe nahi lagta hai ki vo fir school lautega aur agar lauta bhi toh log usse vaha chain se rahena nahi dega…
Rimo: Ha par hum iska liya AS and Mariana ko inform kar deta hai… Final Decision unka hi hoga…
Sudiko: Mei samajh sakta hu, par ha agle ek week toh kamse kam mei usse yaha se nahi jaane de sakta hu… Uska baad agar tum log cahao toh usse lekar jaa sakte ho par uski condition kaisi hai ya dekhna padega…
Indra: Thik hai Sudiko… Thank You for the help…
Sudiko: Vo bus ha mei sar hila diya aur apni kursi par baith gaye…
Indra aur Rimo dono hi school pahuch gaye jaha pahuch unhone Mariana aur AS ko aaj ki hui samast ghatna ko likhit roop mei bhej diya… Jaha ya dono school pahuch apna kaam kar chukka tha vaha Sudiko ka apne kamre mei baithe kaafi gherayi se soch rahe tha… Ab ya janab soch kya rahe tha iska pata kewal inhe hi hai jiska jikar aage kabhi jarur karunga…
Triffor ko Indra aur Rima se khabar mil gayi thi jisse padhna ka baad vo bhaga bhaga AS ka pass gaya aur unhe sabhi kuch bata diya… AS bhi iss baat se pareshan hog aye kyunki unki calculation hi bigad gayi thi… AS na Triffor ko jaane ka liya kaha aur khud kisi soch mei kho gaye… Inhe sochna do hum inhe akela hi chod deta hai…
Inn sabhi se dhur ek behad ucha pahad par khada tha do shaks jaha inn dono ka alawa dhur dhur tak najar jaane par bhi kewal aur kewal vo baraf se dhaki safeed chadar hi najar aa rahi thi… Dono hi uss ucha pahad par khada niche dekh rahe tha jaha se niche dekhna par sabhi taraf kewal aur kewal baraf hi dikhayi de rahi thi…. Tabhi ek tej roshni niche se upar ki taraf badi aur dekhta hi dekhta vo roshni ussi pahad ki ek shila par lagi aur vo shila purn roop se nasht ho gayi… (Inhe abhi ka liya HA1 and HA2 hi likhunga….)
HA1: Ya kya tha, itne saalo mei pheli baar ya jagah kaapi hai?
HA2: Samajh toh mujhe bhi jada nahi hai iski… Mujhe toh ya samajh nahi aata ki sar par suraj nikala hai aur niche itni baraf jami hai… Ya kaisi jagah hai…
HA1: Meine Guruji se suna tha ki ya jagah ek tarah se chupa samrajya ka vo rasta hai jisse kholna ka adhikar iska utradhikari ka hai kewal…
HA2: Tum konsa samrajya ki baat kar rahe ho, ek min… Kahi tum uss duniya ka samrajya ki baat nahi kar rahe ho na jisse aaye logo na humara sab kuch barbad kar diya tha?
HA1: Vo bus ha mei apna sar hila deta hai…
HA2: Agar essi baat hai toh fir mei apne purn jeevan iss jagah ki suraksha mei laga dunga… Uss Rajkumar ki maut mera hi haatho hogi… Mei ek baar fir uss raste ko kholna nahi dunga kisiko bhi…
HA1: Tum jante ho hum kuch bhi karle par hum usse kabhi rok nahi sakega… Vo khudmei hi purn shakti hai…
HA2: Janta hu par fir bhi mei usse nahi jane dunga jab tak mei jinda hu…
Abhi dono bhai baat kar rahe tha ki ek awaj unhe sunayi di… Ya awaj unn dono ka piche se aa rahi thi… Ya kisi ladki ki awaj thi…
Awaj: Duniya mei jo janma hai vo marega hi marega… Tum dono jisse marna ki baat kar rahe ho vo shaktishali jarur hai, par agar sahi yojna se humla karo toh usse behad asani se maut de sakta ho…
HA2: Kon ho tum aur kya janti ho uska baare mei?
Awaj: Mei kon hu ya chodo aur kya janti hu toh ya samajhlo duniya mei vo khud mujhc jada apne baare mei nahi janta hai… Tum yadi sach mei usse marna cahata ho toh yaha se dakshin disha mei ek prachin Mayur Sabhyata ka samrajye ko dhundo aur vaha uski Pratiksha karo… Tumhai tumhara shikar mil jayega…
HA1: Aur tum humari madat kyu kar rahi ho?
Awaj: Tum raste ko khatam karna cahate ho usse mei bhi khatam karna cahati hu… Ya darwaja jiss duniya mei khulta hai uss duniya ka sampark iss duniya se thodna cahati hu…Ab ya mat kahena ki khud kyu nahi maar deti, kyunki agar meine usse mara toh uska jeevan purn nasht nahi hoga…. Usse vardan mila hai ki jab tak usse koi bahari duniya ka aadmi nahi marega uska jeevan kabhi khatam nahi hoga…
HA2: Par hum usse pehachanaga kaise??
Awaj: Jiss din vo vaha pahuchega uska hona ka pata tum dono lag jaayega aur usse marna ka liya jo hathiyar cahaiye vo bhi mil jayega…
Iska baad Awaj aana band ho gayi… Dono bhai kuch der tak sochta rahe aur uska baad HA1 na hi baat shuri kari…
HA1: Mujhe ya aurat kuch sahi nahi lagi? Hum ispar bharosa nahi kar sakta hai….
HA2: Hum sirf khudpar bharosa karega… Tum yaha rahekar iss jagah ki suraksha karoge aur mei Mayur samrajye ki khoj kar vaha uska intezar karunga… Jisse bhi phela mauka milega vahi upar humla karke usse maut de dega…
HA1: Par kya hum sahi kar rahe hai, kyunki huma uss Rajkumar ka baare mei kuch nahi pata hai… Huma toh ya bhi nahi pata hai ki vo acha hai ya bura… Essa mei usse siddha maut de dena sahi nahi hoga…
HA2: Vo acha nahi hai… Jiski sena itni kroor ho, jiska senapati logo ko maar kar khush hota ho essa Raja aur Rajkumar bhi vaisa hi hoga… Mei usse nahi chodunga cahaiye tum saath do ya na do aur ya kahe kar HA2 bhi gayab ho gaya….
HA1: Guruji hume sahi marg dikhana… Kahi hu kuch bhul na kar baithe, mujhe uss Rajkumar ki sachayi jaani hogi aur uss duniya ki bhi… Par kaha se shuru karu…
Abhi khudse hi sawal pucha tha usne ki usse apne samne ka najara badalta hua dikhayi diya… Jaha baraf hi baraf thi ab uska samne ek jungle jaisa dikh raha tha aur uss jungle mei bana ek mandir jo ki behad prachin lag raha tha... Do pal uski aankho ka samne vo drishya chala aur fir sab gayab… Sab phele jaisa ho gaya…
HA1: Ya drishya dikhna ka matlab hai mujhe iss prachin mandir ko dhundna hoga…. Jaruri mera sawal ka jawab uss mandir mei milega… Mujhe sirf ek garud ka nishaan dikha tha, lagta hai purani kitabo mei essi koi jagah dekhni padegi…
Yahi bol vo ladka vaha se nikal gaya…