Ye kahani ek aise insaan ki hai joki duniya mein aaye changes ke kaaran ek Hunter ban gaya parantu Hunter ban na shayad uske liye itna bhi faayde mand saabit nahi hua... Hunters ki sabhi classes (S,A,B,C,D,E) mein se Rider naamak is ladke ko E class mili aur hadh to ye thi ki E class mein bhi wo sabse weakest tha... Itna weak ki sabse low level ki raids mein hi shaamil hone ke bawajood wo kabhi ek monster ko chot tak nahi pahuncha saka, par khud har raid mein ghayal ho jaaya karta tha... Lekin us Rider se aaj ke Rider mein zameen aasman ka fark aa chuka hai... Us samay ka Weakest Hunter aaj Strongest Hunter ban ne ki raah par bakhoobi aage badh raha hai...
Rider ka character shuruaat se hi achha lagne lag gaya tha jab pata chala ki wo apni behen ki padhayi aur Maa ke ilaaj ke liye apni jaan daanv par laga raha tha... Aur ye uski achhi soch aur mehnat ka hi nateeja hai ki ab shayad wo apni Maa ko bhi theek kar sakta hai aur itna paisa kama chuka hai ki aasani se apni chhoti behen – Kavya ki College fees bhi pay kar sakta hai... Rider ke system ka level ab 97 par pahunch chuka hai aur aaj ki tareekh mein Rider ek normal S Rank Hunter se bhi zyada powerful ban chuka hai... Rider ki ab tak ki journey mein kuchh bohot hi important log aate to wahin kuchh negative subjects bhi dekhne ko mile hain...
Kavya... Yaani ki Rider ki chhoti behen, abhi tak Kavya ka zyada role raha nahi hai kahani mein par itna to kaha hi jaa sakta hai ki Kavya Rider ki zindagi mein shayad sanse important hai is waqt... Kavya bhi beshak apne bhai se bohot pyaar karti hogi, afterall apnon aur rishton ke naam par filhal to yahi dono hain ek – doosre ke paas... Kavya bhi hairaan hai Rider mein aaye sudden changes ke kaaran par saath hi khush bhi hai... Instant Dungeon mein jaane se pehle Rider ne Kavya ki security ka bhi intezam kar diya tha, waise mujhe nahi lagta ki uspar koyi hamla hua hoga... But haan, future mein Kavya par khatra ho sakta hai, jab Rider apne dushmano ki sankhya mein izafa karega... Saath hi ye bhi dekhna hoga ki kya Kavya ki bhi future mein awakening hogi? Yadi haan, to kya wo bhi apne Bhai ke hi raste par aage badhegi, Rider ne uski teacher ko to naa kaha tha, par kaun jaane Kavya ki kismat mein aage kya hone waala hai...
Aloknath yaani ki Rider ke father... Inka character bhi abhi tak zyada saamne aaya nahi hai... Parantu itne samay tak A Rank Dungeon mein guzara karna, trained hunters ko aasani se behosh kar dena aur fir Namit jaise ek S Rank Hunter ko bhi aasani se dhool chata dena... Saaf hai ki Aloknath bhi behad hi shaktishaali insaan/hunter hai... Sambhav hai ki Rider ki hi tarah Aloknath ke paas bhi System jaisi koyi power ho... Par sawaal ye hai ki Aloknath us Dungeon mein fansa kaise? Aur yadi fansa bhu to wo USA kaise pahunch gaya? Rider kya jaanta hai apne Pita ke baare mein, kya wo unki poori sachayi se avgat hai ya nahi... Kaafi sawaal hain Aloknath se jude jo aage chalkar suljhenge...
Rider ki Maa ke baare mein abhi details nahi mili hain par lagta hai ki Rider ki hi awakening ke kaaran wo hospital mein pahunchi thi (Jaisa ki Dilip – Shubham ke case mein hua)...
Baat ki jaaye abhi tak kahani mein aane waali important female characters ki jinmein se koyi ek shayad aage chalkar Rider ki heroine bhi ho sakti hai... Sabse pehla naam, Anjana ka hi hai, aur meri nazar mein Anjana se zyada perfect koyi aur ho hi nahi sakti Rider ke liye... Beshak Anjana sirf B Rank par hi hai, oopar se behad darpok bhi hai, aur ab to retirement bhi le chuki hai (le li hai ya Rider se jhooth kaha tha
)... Parantu fir bhi hum ye nahi bhool sakte ki jab Rider kamzor tha, tab sirf Anjana aur Rahul hi do aise the, jo use samajhte the aur uski care karte the... Abhi ke liye Rider ke mann mein to Anjana ke liye aisi koyi feeling dikhayi nahi deti but I'm sure ki Anjana beshak Rider ke liye kuchh to feel karti hai, pyaar naa sahi, par definitely dosti se kuchh badhkar...
Secondly, Aayat... Ab yadi power aur talent mein comparability dekhi jaaye to Aayat se behtar kaun hogi Rider ke liye? Haalanki, in dono ke beech aisa romantic angle hone ki koyi bhi hint abhi tak to nahi aayi hai, parantu ek baat confirm hai ki Aayat Rider ki taraf attract zaroor huyi hogi... Us A Rank Dungeon mein Rider ke kaarname dekhne ke baad, wo shayad kewal Rider ke hi baare mein sochti rahi hogi... Aise mein, dekhna ye hai ki aage chalkar kya Aayat ke andar kuchh aisi feelings panap sakti hain ya nahi... Btw. I feel ki jo guild Rider banane ki soch raha hai, Shubham ke saath milkar, usmein Aayat bhi join kar sakti hai...
Inke alawa to koyi aur ladki itne important role mein nazar nahi aayi hai... Parantu haan, Esil ke saath zaroor kuchh connection banta dikhayi diya hai Rider ka... I guess ki aage chalkar Esil aur uska Radir Clan Rider ke liye helpful saabit ho sakta hai... Jis khatre ki baar Esil kar rahi thi, us se shayad future mein Rider ka saamna hoga, aur tab Radir Clan, Esil aur Esil ke father bhi, Rider ki ladayi mein ek important role play kar sakte hain... Btw. Ab jab Rider ne Baran ko maar diya hai, to ye Instant Dungeon destroy nahi go jaayega? Aur ye Esil aur baaki monsters achanak se yahana pahunche kaise? Kya System ka hi kaam tha ye ya kisi aur ka?
Shubham... Iklauta aisa shakhs jo abhi tak Rider ka ek achha dost dikhayi diya hai... Rider se Shubham ko kitna lagaav hai ye isi se pata chalta hai ki apne Pita ko mana karke wo Rider ki guild ko join karna chahta hai... Waise Dilip yaani Rider ke pita ki soch achhi hai ek Guild banane ke pichhe parantu mujhe nahi lagta ki wo ismein kaamyab ho paayenge... Wo Aayat aur Ajay ko apni guild mein shaamil karna chahta hain, aur aisa hota mujhe to nazar nahi aa raha hai... Shubham, haan thoda sa zyada clumsy nature ka hai par fir bhi mann ka saaf hai... Btw. Shayad aage Naina yaani Shubham ki cousin ka bhi koyi role ho sakta hai... Shubham ka bhai bhi abhi tak kahani mein dikhayi nahi diya hai waise...
Rider ki Army mein abhi tak, Igris, Tank, Iron, Tusk aur saath hi High Orcs ke teen generals bhi shaamil ho chuke hain... Aur ab agla number shayad Wyvern Kaseillin ka hone waala hai... Agar in sabko power ke bases par order karna ho to, Tusk > Igris > Iron > Tank... Yahi order hona chahiye, Wyvern kitna powerful hai ye to aage hi pata chalega, par abhi to mujhe Tusk yaani High Orcs ka King, kahin na kahin Rider se bhi zyada powerful lagta hai, especially jabse uske paas wo Red Orb aaya hai... I don't think ki Rider ko us Orb ko auction karna chahiye, bohot important cheez saabit hogi wo aage Rider ke liye...
Is beech humne dekha ki Elves King Buraka ki shadow ko apni army mein shaami nahi kar paaya tha Rider... I think ki usne kaha tha ki uske dimaag mein koyi aawazen goonjti hain jo use Humans ko maarne ko uksati hain... Tusk ne bhi aisa hi kuchh kaha tha... Idhar Esil ne kaha tha ki jabse unki aankhen khuli hain tabse unhe sirf is jagah ko protect karne ka hi kaam mila hua hai... Kaun hai is sabke pichhe? USA se aaye us National Hunter ne kisi khatre ki baat ki thi, yahaan Esil ne bhi ek aise khatre ki baat ki jiske khilaaf shayad sabhi monsters bhi haar jaayen, dono ek hi hain ya alag hain... Secondly, in sab logon ko jo orders mil rahe hain, uske pichhe kaun hai? System? Ya koyi aur...
Ab agar baat ki jaaye ek important cheez ki to wo hai Indian S Rank Hunters... Media mein headline thi ki Rider India ka 10th S Rank Hunter hai... Lekin Xabhi apne mann mein soch raha tha ki Japanese deal ko manzoor karne par uske paas total 8 S Rank Hunters honge (Ajay aur Xabhi ko milakar)... Matlab yadi Rider ko bhi jod liya jaaye to bhi ginti 9 tak hi pahunchti hai... Arthat, ek aur aisa S Rank Hunter hai jiski baat Xabhi ne nahi ki... Kaun hoga wo? Kya Namit? Kyonki wo by birth Indian hai, ya fir Aloknath..?
Btw. Xabhi > Aayat > Anubhav = Sachin > Hari... Yahi order hona chahiye un sabhi S Rank Hunters ka jinka zikr abhi tak hua hai... Rider obviously ab in sabse zyada oopar pahunch chuka hai and I'm sure ki one on one combat mein inmein se koyi bhi Rider ko hara nahi sakta... Inke alawa bache do aur, to wo Knights aur Fame Guild ke Guild Master hone chahiye... But, I'm still curious about the 10th one...
Rahi baat Guilds ki to filhal, Hunters Guild India ki strongest Guild hai par kab tak? Dilip, Aayat ko seedha Guild Master ki position offer karne waala hai, iske alawa possible hai ki Rider ki bhavishya mein ban ne waali Guild bhi Aayat ko attract kare... Definitely, future mein Hunters Guild number 1 ki position ko banakar nahi rakh paayegi...
Hunters Guild ka leader Anubhav, bhale hi use The Ultimate Warrior kaha jaata ho, par asal mein mere hisaab se wo kewal India mein hi fourth position par aayega, after Rider, Aayat & Xabhi (kya pata wo unknown 10th bhi is se behtar ho)... But, abhi ke liye Anubhav aur Sachin (Master of White Tiger), dono hi ummeed chhod chuke hain ki Rider inki Guild kabhi join nahi karega... But White Tiger ka Manager, Manoj abhi bhi ek aur koshish karna chahta hai, dekhte hain iska proposal kya hoga Rider ke liye...
Ab yadi baat ki jaaye negative prospects ki to pehla naam Namit ka hi aata hai... Rider ne uske bhai Lalit ko maara tha aur usi ka hisaab lena chahta hai Namit... Parantu aaj ki tareekh mein Rider at least Namit se to zyada powerful ho hi gaya hai... Yaani Namit seedhe taur par koyi threat nahi hai Rider ke liye... But, Namit ka jo proposal aaya tha Hunter's Association Of India ko, uske pichhe definitely uska koyi plan hai taaki wo dono baap – bete se ek saath badla le sake... Dekhte hain iski zindagi ke kitne din bache hain abhi...
Second one is without a doubt : JEJU Island... S Rank Portal khula hai wahaan aur 4 saal se lagaatar prayas karne ke baad bhi us se koyi nijaat nahi mili hai... Ab Japanese Guild – “Draw Sword” ke Guild Master Ryuji Koto aur uski assistant Hanekawa ek proposal lekar aayen hain Hunter's Association Of India ke paas... Yahaan, Ryuji apna hi faayeda dekh raha hai kyonki ek National Level Hunter ban ne ke liye ek S Rank Portal ka safaya karna padta hai, aur is kaam ke liye wo Indian Hunters ko use karna chahta hai... I guess, ek sunahra mauka hoga ye Rider ke paas ek National Level Hunter ban ne ka... Beharhal, dekhte hain ki Xabhi Rider ko is mission ke liye convince kaise karenge, mere hisaab se to Rider aasani se maan jaayega...
Btw. Is Draw Sword Guild mein 11 S Rankers hain aur Japan mein total 21, par fir bhi ye Guild Asia ki best nahi hai... China ke Liu Zhiang ki Guild Asia ki best hai, to sochne waali baat hai ki uske paas kitne S Rankers honge... Definitely, future mein aur bhi bohot si strong Guilds saamne aayengi but Rider ko bhi is beech apni Guild ko behtar banate jaana hoga...
Kuchh supporting characters ki baat ki jaaye to pehla naam Rahul ka hi aata hai... Rahul ek A Rank Hunter hai par uske andar shayad us se bhi zyada talent hai... Ek haath se sword fight wo bhi itni achhi ki ek S Rank Hunter us se seekhne aaye (waise ye banda kaun tha jo Rahul se seekhne aaya tha)... Definitely, Rahul mein bhi kuchh khaas baat zaroor hai, dekhna ye hai ki kya Rahul ka koyi bada role hoga aage Rider ki journey mein... Iske saath hi Anurag joki Hunter's Association ke Monitoring Division ka Chief hai, wo bhi ek A Ranker hone ke bawajood ek S Ranker ko takkar dene laayak maaloom padta hai... I think in dono ka role agae aur bhi important ho sakta hai...
At last, Kirti joki Kavya ki friend hai... I hope usne apna decision badal liya hoga Hunter ban ne ka aur ab wo waapis apni padhayi par dhyaan degi... Btw. jis Holy Water Of Life se Rider ki Maa theek hone waali hai, uska last ingredient shayad Baran ko maarkar mil gaya hoga Rider ko, ab dekhna ye hai ki uski Maa theek ho paayegi ya nahi? Shubham ke Dad bhi similar problem mein padte dikhayi de rahe hain, unke satah kya hoga aage..?
I think abhi tak ki kahani ke important points mention kar paaya hun main, abhi ke liye shayad Rider ko apni Maa aur Behen par hi dhyan dena chahiye kyonki mujhe lagta hai ki kahin na kahin is progress ke kuchh nuksaan bhi use ho rahe hain... Aayat usmein Hunters ki smell nahi dhoond paayi, Buraka ke dimaga ki aawaz Rider ko human nahi maan rahi thi, aur Castle mein (Igris Fight), E Ranker Rider ki jo image powerful Rider ne dekhi thi, usne sacrifices ka zikr kiya tha... Rider ko bhi feel hua tha ki uske andar se jaise kuchh gaayab ho raha hai... Maybe Emotions..?
Bohot hi khubsurat kahani hai ye... Main Manga aur Anime ka utna fan nahi hun isliye pehle kabhi read nahi kiya hai ise... Sahi bataun to kabhi bhi System & related koyi bhi novel nahi read ki hai
... Par ye story sach mein kaafi badhiya lagi mujhe... Rider ki progress sahi dhang se dikhayi gayi hai, kahin bhi rush nahi kiya gaya aur storyline bhi behad mazboot hai... Sabhi characters ka description bhi badhiya dhang se hua hai aur isiliye unse familiar hona kaafi aasan tha...
Overall, a superb story men! All the Updates were fantastic... Waiting For Next One...