• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy SOLO LEVELING

Story aapko kaisi lagi ?

  • Bahut achi lagi .

    Votes: 310 93.9%
  • Thik thak hi hai .

    Votes: 20 6.1%

  • Total voters
    330

arish8299

Member
226
965
93
Ek baar firse kai sare questions ke sath lajwab update
Ye log kaun hai jo itne takatwar hai
 
  • Love
Reactions: Itachi_Uchiha

sorbobhuk

Well-Known Member
2,365
5,724
158
UPDATE NO - 140
( See off Japan )




Ab tak aapne dekha dosto ki kaise maine Japan me appear hue sare monster's ko maar dalta hu. Jiski news pure world me bhut hi teji se fail jati hai. Tabhi achanak se Shubham ko wapas India aana padta hai. Jaha uske papa final sleep me ja cuke the use is baat ka pata chlta hai. Fir uska waha se nikal jane ke baad mai waha pahuch kar uske papa Dilip ko Holy Water of life pila kar unhe thik kar deta hu.



AB AAGE.......


Ye sub karne ke baad mai, Aasman me dekhte hue kud se kehta hu " Thik hai. Mujhe bhi ab japan wapas nikal Jana cahiye aur waha ke bache hue kaam ko nipta Dena cahiye. "

Tabhi mujhe kuch dhyan aata hai aur mai disappointed hote hue kehta hu " Ohh !! Shitt !! "

Aur mai nirash is karan se tha....


{ [ SHADOW EXCHANGE LV. 2 ]
[ CLASS SPECIFIC SKILL ]
[ MANA ki jarurat nahi hai is skill ko use karne ke liye. ]
[ 1. User aur select kiye gaye Shadow Soldier ke bich location Exchange ho jayegi.
2. Is skill ko wapas fir se tabhi use kar skte hai jab 3hour ka cooldown khtam ho jayega.


Cooldown :- 1 hour 54 min 11 sec ] }

Mai is notification ko dekhte hue sochta hu " 2 hour abhi aur lagega cooldown hone me ? "
" Ab 2 hour Tak mai kya karunga ? "
" Ab jabki such me mere paas free time hai, mujhe thik se pata hi nhi hi ki mujhe kya karn chahiye. "
" Na hi mere paas koi aisa hai, jisko mai call karke bula saku. "

Tabhi mujhe achanak se Aayat se hui last mulakat ke time ki baat yaad aa jati hai. Jab mine usase puch th ki kya wo mujhe like karti hai. Aur jawab me usne haa kaha tha.

Lakin fir mai apne dimak se us baat ko nikl kar upar aasaman ki taraf dekhte hue kud se kehta hu " Thik hai .. "
" Chlo chal kar dekhte hai ki mujhe koi bina owner ke DENGEON mil pata hai kya ? "



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Christopher Reid House, USA

01 : 13 AM


Christopher Reid ke Ghar me is time bikul santi chhai hui thi. Ghar ke sare door locked the. Aur is time ghar me koi servent bhi maujud nhi tha. Sayad raat ke time wo aaram karne ke liye ghar ke hi paas bane hue chote chote ghro me chle jate the.
Christopher Reid bhi apne aalishan bedroom ke ek bhut hi costly aur aaramdayak bed par pet ke bal soya hua tha. Ki tbhi achanak se uski aakhe khul jati hai aur wo nind se jaag jata hai.

Nind se jagne ke baad Cristopher apne bedroom se ek mehnga night suit pehan kar bahar aa jata hai. Aur corridor se hote hue wo jab apne 1st floor ke Hall me aata hai to use kuch ajib lagta hai. Wo charo taraf najar ghum kar dekhta hi lekin use kuch bhi ajib nahi dikhyi deta hai.
Jisa aksar raat me hota tha waise hi almost sari lights off thi, sirf kuch main light's ko chor kar.

Christopher charo taraf dekhte hue apne man me ' Yaha to bikul santi chayi hui hai... '

Fir wo kuch aage badh kar wahi ek table ke upar rakhe ek wine ke phle se hi half bhare hue glass ko uthata hai aur chro taraf dhyan se dekhte hue us glass ko ekdam se niche gira deta hai.
Lakin abhi ek ajib baat hoti hai. Glass ke girne ke baad bhi waha par koi bhi aawaj nahi hoti hai. Jabki wo glass puri tarah se tut gaya hota hai.

Christopher gambhirta se sochte hue ' Abhi bhi koi shor nahi hua. Jabki mine to abhi glass ko niche gira kar tod bhi diya. '
' Aakhir yaha chal kya raha hai ? '

Yaha par Christopher ko koi bhi aawaj nahi sunayi deti hai. Cahe wo uske pairo ki hi aawaj kyu na ho. Use wo bhi sunayi nahi de raha tha.
Fir Cristopher waha se sidhiyo ke paas chala jat hai. Aur wah se dono floor ke charo taraf dekhte hue kehta hai " Kon hi waha ? "

Tab achanak se us time Cristopher ko American hunter association ke Deputy director ki baat yaad aati hai.

Deputy director " Agar tumhe kabhi bhi help ki jarurt ho. Please is no. Par call kar Lena. "
" Chairman Xabhi tumhari baat Rider se karwa denge. "

Itn keh kar Deputy director ne waha Xabhi ka card rakh diya aur wah se wo dono chal diye.


Cristopher ye sub yaad karte hi apne man me sochta hai ' Kya abhi jo ho raha hai, wo log isi ke hone ke bare me baat kar rahe the ? '


Ssssssssssss....

Tabhi sidhiyon ke niche ground floor par achanak se ek blue color ka light appear hot hi aur jb wo gayab hot hi to waha par ek aadmi khada dikhayi deta hai.
Wo acha khasa lamba lakin slim fit tha. Uske hair golden colour ke the. Usne koi alag hi tarah ke royal se kapde pehne hue the. Aur uske back par ek overcoat bhi tha jo ki white colour ka tha.

Jab wo appear hota hai Cristopher use hi chup chap dhyan se dekh rah hota hai.
Tbhi Cristopher ko apne piche se bhi 2 logo ke hone ka ahsas hota hai.
Wo dono abhi bhi andhera me hi the. Aur dhire dhire Cristopher ki taraf aa rahe hote hai.

Cristopher bina piche mude samne dekhte hue " Tum log kon ho ? "

Samne wala person ek smile krte hue " Agar human's ko bachane ki kosis karte hue, tum aise hi fight karte rahoge to, tum kuch bhi nahi bacha paoge. "
" Fragment of the brilliant light. "

Cristopher ye sun kar shocked hote hue kehta hai apne man me ' Monster's logo ki language !? '
( Fir us samne Wale person ko dekh kr keht hai ) " Aakhir tum ky bakwas kar rahe ho ? "

Ye sun kar wo person apni green colour ki glow hoti aakho ke sath ek smile karte hue Cristopher ko dekh kr use chup rehne k isara karte hue kehta hai " Ssssshhh..... "
" Mi tmse baat nahi kar raha hu. "
" Mai tmse jude us upar Wale se baat kar Raha hu. "

Cristopher jo ki ab tak kuch sidhiyan se utar kar bich me aa cuka tha. Wo person ab uske just samne sidhiyon ke end par tha. Aur baki ke 1st floor ke dono log sidhiyo ke suruaat me the.

Cristopher apne aura ko halka halka release karte hue " Mujhe kuch khrab karne par majbur mat karo. "

Fir wo apne aura ko puri tarah se release karke apne asli roop me aa jata hai. Jisme uske body se halki halki aag ki lpaten nikalne lagti hai. Jisase wo night suit wahi jal kar rakh ho jata hai. Uske hair bhi aise lag rahe the, jaise waha hair nahi balki aag ki lpaten jal rahi ho. Uska face puri tarah se change ho cuk tha. Uska sir upar aur left right dono side ulta arrow ke type nikl cuk tha. Jise dekh kar aisa lag raha tha jise usne koi ajib cap phni ho. Sath hi me uski dono aakhe marge ho kar ek ho cuki thi. Lekin wo uske dono aakho ke area ko cover kiye hue thi. Usase silver glow nikal Raha tha.

Apne asli roop me aane ke baad Cristopher kehta hai " Mai to Kam se Kam tmse hi baat kar Raha hu. Ha tum jo niche khade ho. "

Cristopher ke piche is time koi ur nahi ek man aur ek woman khade the.
Jo man tha wo koi aur nahi Jeju Island ke last me appear hua wo bodybuilder hi tha. Aur woman bhi kisi beautiful Ghost se kam nahi lag rahi thi.
Dono Cristopher ke taraf halke surprise se dekh rahe the.

Man " Spritual body manifestation ? "

Woman " Wo bhi ek kamjor human dwara ? "

Wahi Cristopher jo ki ab apne actual roop me a cuk tha uska size bhi ab double ho cuk tha. Wo apne jagah se direct niche us person ki taraf jump lagate hue apne fire power ko release karte hue kehta hai " Ab tum sare monster's ka marne ka samay aa gaya hai. "

Uske fire power ki strength itni thi ki uski sidhiyan buri tarah se tut jati hai.
Lakin fir bhi uske samne khada person abhi bhi smile krte hue aaram se apni jagah khad tha.

Ye dekh kr Cristopher apne fire power ki full strength ko release karte hue is baar uske upar attack kar deta hai.
Uska ye attack itna khatarnak tha ki uske pure Ghar se jaha taha se aag ki bhayanak lapte nikal rahi hoti hai. Uske Ghar ki roop bhi itne power ko sambhal nahi pati hai aur wo bhi puri tarah se tut jati hai. Aur waha se kuch kilometer upar tak Aasman me aag ki lpaten nikalne lagti hai.




~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~



{ [ STATUS ]

( Name : Rider )
( Job : Shadow Monarch )
( Tital : THE DEAMON HUNTUR +2 more )
----------------------------
( HP : 65,230 )
( MP : 115,160 )
( Level : 122 )
( Fatigue : 0 )
-------------------
( Strength : 292 )
( Agility : 305 )
( Sense : 277 )
( Stamina : 281 )
( Intelligence : 310 )
( AP : 0 )
-------------------
[ Physical damage reduction : 65 percent Equipped ] }



{ [ SKILLS ]
----------------------------------
[ PASSIVE SKILLS ]

1. Unknown Lev. Max
2. Tenacity Lev.1
3. Master of dagger Lev. Max

-----------------------------------
[ ACTIVE SKILLS ]

1. Quicksilver Lev. Max
2. Multilate Lev. Max
3. Bloodlust Lev.2
4. Dagger Rush Lev. Max
5. Stealth Lev.2
6. Ruler's Authority Lev. Max

-----------------------------------
[ CLASS SPECIFIC SKILLS]

1. Shadow Extraction Lev. 2
2. Shadow Storage Lev. 2
3. Monarch's Territory Lev. 2
4. Shadow Exchange Lev. 2 }



{ [ ITEM ]

Equipped Item's :-
1. Red Knight's Earrings ( S )
2. Deamon Monarch's Earrings ( S )
3. Deamon Monarch's Necklace ( S )
4. Deamon Monarch's Ring ( S )
5. Truth seeker's Top ( A )
6. Truth seeker's Pants ( A )
7. Truth seeker's Gloves ( A )

8. Truth seeker's Shoes ( A ) }


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

JAPAN


Kuch dino me mai Japan me sub kuch sahi kar deta hu. Aur waha par apna Sara Kam khatam karne ke baad mai ab wapas India jane ke liye ready ho gaya hota hu.
Agle din Mai car ke ek bade se kafile ke bich ek car ke back sit par bitha hua tha. Ye sub kuch japanese hunter association ke hi log the. Aur mere airport jane ke raste par rode ke dono side me mera sukriya karne ke liye Japan ki aam janta khadi ho kar mujhe see off kar rahi thi. Mai car ke ander baith kar bhi car ki window se ye sub bade aaram se dekh paa rah tha.
Bache, teenagers, young aur old, man aur women sare tarah ke hi log yaha dikhayi de rahe the.

Car me hi mere aage driver ke seat ke bagal me bitha hua japanese hunter association ka ek member mujhse kehta hai " Aaj yaha par ye sare log sirf is liye akatha hue hai quki wo dekhna cahte the ki aakhir unke country ko bachane wala hero kon hai. "
" Hame thik se pata to nhi hai. Lakin yaha lagbhag 100,000 se bhi jyada log honge. "

Mai ye sub dekhte hue apne man me sochta hu ' To aaj mera yaha aakhiri din aa hi gaya. '
' Kisne socha th mera aakhiri din yaha ais hoga !! '

Tabhi BERU mere mind me mujhse kehta hai " Mere King, aapke log aapko respect de rahe hai. "
" Mere hisab se aapko unke taraf apna hath bahar nikal kar hilana cahiye. "

Mai " Beru tum puri t
arah se tum Galt smjh rahe ho. "














Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Bahut badhiya update hai Bhai....
Waiting for next update
 

Rohit1988

Well-Known Member
2,351
7,224
158
Bhai ji kitna intejar karwate ho yaar
Itne din baad aaye ho fir bhi itna itejar
Yaar itna to mene apne school life me GF ka nahi kiya intejar jitna aapka kar raha hu
Yaar esa na karo please
 
  • Haha
Reactions: Itachi_Uchiha

Sanki Rajput

Abe jaa na bhosdk
5,745
14,488
174
बवाल अपडेट था!!
🔥 ⚡
 
  • Love
Reactions: Itachi_Uchiha
Top