UPDATE NO - 148(B) post kar diya hai dosto.
Read nd enjoy it.
Nd aaj ab tak ke comments ka aaj reply mil jayega.
Read nd enjoy it.
Nd aaj ab tak ke comments ka aaj reply mil jayega.
UpdateUPDATE NO - 148(B) post kar diya hai dosto.
Read nd enjoy it.
Nd aaj ab tak ke comments ka aaj reply
Nice update and excellent storyUPDATE NO - 148(B)
AAB AAGE....
TAP... TAP..
Mai dhire dhire chalte hue apne seat ki taraf jane lagta hu. Tab meri taraf dekhte hue sare hunters aapas me khusur fusur karne lagte hai.
" To kya yahi wo Asian Huntur hai jisne Sandy Nirwana ko bikul Marne ki kagar tak pita ? "
" Haal hi me complete hue Tokyo Gate ke Raid me iska hi bahut bada yogdan raha hai. "
" Sandy Nirwana jo ki baki dusre Hunturs ke upar ek king ki tarah raaj karta hai, ko itni buri trah se harana jaise wo kuch ho hi nahi..... "
" Mujhe to ab bhi yakin nahi ho raha hai is baat par. "
Sare Hunturs aapas me aisi hi kai sari bate kiye ja rahe the. Aur unki bato ko ignore karte hue sabhi logo ke bich reserved kiye hue apne seat par j kar baith jata hu.
Tap... Tap...
Tabhi samne stage par Dr. Ka aprein pehne hue ek old man dhire dhire chalte hue aata Hai. Wo 70+ year ka ek old man tha jiske face par kafi sari jhuriya dikhayi pad Rahi thi. Usne apne aaakho par ek mota aur high lence wala chasma pehan rakha tha.
Wo podium par aa kar Mike ke samne khada ho jata hai. Jiske karan sabhi logo ka dhyan mere se hat kar samne stage ki taraf chala jata hai.
Dr. " Hello, Everyone mera name Dr. BELZER hai. "
" Mujhe is baat ka pakk yakin hai ki aap sabhi is baat se ache se wakif hai ki no. Of gate ab phle se kafi jyada generat ho rahe hai. "
" Sath hi me un gates se ab phle se bhi kafi jyada strong monster samne nikalkar aa rahe hai. "
" Lakin aap logo me se bahut se log ye baat nahi jante honge ki sky ke upar se unusual activities ko detect Kiya gaya hai. "
" Kafi bade paimane par is baat ko report Kiya gaya hai ki atmosphere me jo magical energy ka concentration absorb karne ki jo rate thi wo ab phle se kafi Guna badh gayi hai. "
" Lakin Maine in magical energy ko jo ki atmosphere me hi store ho Rahi hai ise ek alag name se bulana chahunga. "
" Jb tak hum ise bulane ke liye koi aur acha aur suitable name nahi dundh lete hai, kaisa rahega ki hum ise ' Magisphere ' keh kar pukare ? "
Click.....
Uske baad Dr. Apne hath me pakde hue ek remote ka button press karte hai aur unke piche laga hua bada sa LED screen chalu ho jata haim jaha pure world ka map bana hu tha. Aur usme jagah jagah red dot karke kuch points dikhayi de rahe the.
Dr " Kya aapko pata hai ye Magisphere filhal kai sari countries ke sly ke upar ikatha ho Rahi hai ? "
" Aur hmne observe Kiya hai ye sare total 9 places par hi ikatha ho rahe hai. "
" Aur un sare places me bhi Magisphere sbse jyada concentrated yaha is place par hai.... "
Iske baad Dr. Fir se apne hath me pakde hue remote ka ek button press karte hai. Aur screen change ho jat hai.
Dr. Screen ki taraf isara karte hue " Wo jagh hai, New Delhi, India. "
Ye sunte hi CONFRANCE me baithe sare hunters ka dhyan meri taraf jata hai. Aur sub apne sir ghum kar mujhe dekhne lagte hai.
" New Delhi.... "
" India ? "
Sabhi logo ke mere taraf aise ekdam achanak se dekhne ke bawjood bhi mai apni seat par santi se baitha samne screen ki taraf dekh Raha hota hu.
Tabhi wo Dr. Dubara kehta hai " Hunter Rider ki taraf aap logo ko aise dekhne ki koi jarurat nhi hai. "
" Agar ye sky ke upar ikatha ho rahe Magisphere ke liye jimmedar hote to wo ab tak kab ka Hunturs ke realm ko paar kr cuke hote. "
Wahi mai apni jagah baitha samne ke screen ko dekhte hue apne man me soch raha hot hu ' 9 places huh ...... '
' kahi ye no. Of Sovereign se kisi tarah releted to nhi hai ? '
Dr. " Jaisa ki aap sub jnte hai quki hum logo ko iske hone ke karan ka nahi pata hai, isliye hum isase abhi kaise nipte hme ye bhi nahi pata hai. To hum abhi iske bare me kuch nahi kar skte hai. "
" Halki, hum isase nipatne k tarik nhi jante hai iska matlb ye nahi hai ki hume Isase nipatna nhi hoga. Hme isase bachne ka trika khojna hi hoga. "
" Quki duniya ko sayad ek baar fir se ek bade badlaw se gujarna hoga. "
Tabhi stage par Huntur association ka president Devid Brennon aate hai aur wo dr. Ki taraf dekh kr puchte hai " Dr. Kya aapka presentation khtam ho gaya hai ? "
Dr. " Ji ha. "
President " To yaha se aage Mai kuch kehna cahunga. "
Uske baad Dr. Stage se utar kar chle jate hai aur podium par Mike ke samne aa kar president sbko dekhte hue kehte hai " Yaha aaye hue sare Hunturs logo se mujhe ek urgent announcement share karni hai. "
( Apni aakhe band karte hue ) " Mujhe bhut hi dukh ke sath aap logo ko batana pad Raha hai ki aaj se lagbhag 2 week phle Huntur Christopher Reid ki hatya ek agyat hatyaron ke group ke dwara kar di gayi hi. "
Ye news to confrence hall me kisi boom ki taraf pata har koi hunters apne agal bagal walo Hunturs se turant hi shocked ke sath kehne lagta hai.......
" National Level hunter Christopher Reid ki hatya ho gayi ? "
" Kya ye koi majak hai ? Nahi aisa nahi ho skt hai ! "
" National Level hunter ko sirf wahi maar skta hai jiske paas uske jitni ya usase jyada strength ho. "
" Ha bikul sahi kaha..... "
" Jisne kl Sandy ke sath fight Kiya tha agar wahi ladaka wo hatyara hua to.... ? "
Sare Hunturs ke bich kuch hi second me ye bate fail jati hai aur wo sare hunters ek baar fir se mud kr mere taraf dekhne lgte hai.
Aur ye dekh kar is baar mai apni aakho ko glow krne lgta hu.
Tabhi president ne remote se ek button press kiya aur screen par Christopher Reid ki Mari Hui body ki photo samne aa jati hai. Aur uske sath us time ke incidents ki aur bhi kuch photo sath me kuch video bhi screen par chlne lagta hai.
Fir president aage kehte hai " Christopher Reid ki news kal officially release kar diya jayega. "
President ki baat sun kar sub wapas se unki taraf dekhne lagte hai.
President " Please meri baat ka bina koi galt matlab nikale dhyan se suniye. "
" Ye wo aadmi hai jiske upar hum logo ko Shak hai. Hme lagta hai is crime ko isne hi anjam diya hai. "
Ye sun kar meri glow hoti aakhe ektak screen ko dekhne lagti hai aur tabhi screen par 2 photo dikhayi dete hai. Jo ki kisi aur ke nahi blki aloknath ke hi the. Ek unki missing hone se phle ki young age ki pic thi. Aur dusri pic unki last time pakde jane ke samay ki Li Hui thi.
President " Suspect S "
Screen par suspect S ki pic dekhne ke baad baki sare Hunturs apne man me sochne lagte hai....
'Iska matlb wo hatyara Hunter Rider nahi hai jisne kal Sandy se fight Kiya tha. '
Usi time Rider ke just aage ke row me aur aas paas baithe hue kuch hunters ke mind me screen par dikh rahe suspect S ki photo dekh kar ek aur baat aati hai ' Lakin is Asian man ka face.... Mujhe Aisa kyu lag raha hai ki iska face pata nahi kyu yaha mere bagal me baithe ladke se kahi na kahi milta julta hai. '
' Piche mat dekhna.... '
' Piche mat dekhna.... '
' Ye bas ek jaise lag rahe hai. '
' Ye bas ek jaise lag rahe hai. '
' Waise bhi sare Asians hme ekjaise hi lagte hai. '
' lakin mai ise mamle ko kaise bhi dekh lu.... '
Wahi mai apne jagah baitha apne dato ko bichte hue gusse aur narajagi me kehta hu ' Papa aap kyu ho .... '
Tabhi mujhe Dragon Kamish ki kahi hui baat yaad aati hai.
" Mere King, is duniya me total 4 human's hai jinhone Ruler's ki power ko udhar me liya hua hai. "
" Aap kud ko unse satark rakhna. "
Ye yaad aate hi Mai apne man me wapas se sochta hu ' Dengeons jo hai wo rulers logo ka ilaka hai. '
' Mujhe nahi pata ki Ruler's ne kyu mere papa ke roop me yaha ek monster bheja hai. '
' Sayad Dragon Kamish ne jo mujhse kaha tha iska usase kuch Lena Dena ho. '
Iske baad screen par Mere papa ki wo clip dikhayi jati hai jisme unhone pure Huntur association ki building ko uda Diya tha. Jaha Namit unke samne adhmari halat me pada hua tha.
Aur president aage kehte hai " Is aadmi ko U.S. ke ek dengoen ke ander se ek monster ke roop me paya gaya tha. Jo ki humans ki language bol sur smjha skta tha. "
" Hmne use pakad kar S Rank Huntur Namit se puchtach karne ki request ki thi quki wo Hindi janta tha. Lakin waha par.... "
" Usne Interogation ke bich me hi Huntur Namit ko buri tarah se pit Diya. "
" Aur Huntur association ke headquarter ko aag ke saagar me jalta hua chhod Diya. "
" Ye culprit itna powerful hai ki isne Scavenger Guild ke main force me kaam karne Wale Huntur Namit ko badi hi aasani se hara diya tha. "
" Strong aadmiyo ke uske jaisa kai sare monster, jo ki dengoen se bacha nikle ho... "
" Ho skta hai un sub ne mil kar Christopher Reid ko Target Kiya ho. "
" Hum Huntur association Wale abhi tak isi nishkarsh par pahunche hai. "
Tabhi mai dekhta hu ki screen par Huntur association headquarter ki jali hui building aur mere papa ke footage dikhayi jaye hai. Jo dekh kar achank se mere dimak me kuch aata hai. Aur wo dekh kr meri aakhe cmakne lagti hai.
Mai apne man me ' Wo, usase baat kar rahe hai ? '
" India me apne pair kabhi mat rakhna. "
" Mai ye apne bete ke liye nahi balki tumhare liye keh raha hu. "
" Warna Marne ke baad bhi tmko chain nahi milega. "
GREED mujhe unki kahi har ek baat turant hi batane lagta hai. Aur ye sun kar mere body se dark purple colour ki energy nikalne lagti hai. Aur mai bina koi reaction diye apne man me kehta hu ' GREED... ! '
GREED apna sir dar se juka kar " Jaisa aap soch rahe hai mere King sub bikul waisa hi hua tha. "
Mai apne man me soch raha tha ki Namit ne mere papa ke bare me Huntur association ko galat information de kar unhe fasa diya hai. Aur wo such hi nikla ye jaan kar mai apne man me aage sochta hu ' Isme koi Shak nahi hai.... Wo aadmi mere papa hi hai. '
President " Hum plan kar rahe hai ki world ke sare Guild se request Kiya Jaye ki Suspect S ko dundhne ki. "
" Aur usake milte hi turant hi hame wo log inform kare. "
Tabhi sare hunters logo me ek ek hunter apna hath upar karke kehta hai " Kya iska koi proof hai ki Suspect S ek human nahi hai ? "
President " Jo magical energy wo emission kar raha tha wo bikul kisi monster ke energy ko match kar Rahi thi. "
" Agla swal. "
Another Huntur " Aapne hme bataya ki usne Is baat ka dawa kiya tha ki wo ek human hai Jo ki bahut time phle ke mission ke dauran ek Dengeon ke ander kho gaya tha. "
" Kya usme jis hunter ke bare me bataya tha wo such me exist karta hai ? "
President " Ha ! Wo ek real person tha jiske bare me usne bataya tha. "
Another Huntur " To fir aap us hunter ki identity ko sbke samne kyu nahi bata rahe hai ? "
President " ahh....."
" Wo yaha present ek hunter se connected hai. "
" To isiliye humlogo ne faisla liya hai ki hum uski identity ko sbke samne reveal nahi karenge. "
" Koi aur swal ? "
Tabhi Liu Zhigang ekdam se kehta hai " Fir bhi aapko nahi lagta hai ki uski identity reveal kar dene se usko arrest karne me sbko kafi help milegi ? "
" Aapko aisa nahi lagta hai chief ? "
Are log Liu Zhigang ki taraf dekh kar apna sir haa me hilane lagte hai.
Liu Zhigang aage kehta hai " Mai is mamle ko ghuma fira kar na kehte hue direct puchta hu. "
" Kya us monster ka relation hunter Rider ke sath hai ? "
President phle Liu Zhigang ki taraf santi se kuch second dekhte hai fir wo niche dekhte hue aage kehta hai " Well, agar hunter Liu such me ye janana cahte hai to... "
" Mere khyal se hmare paas aur koi choice nahi hai. "
" Puch tach ke dauran Suspect S ne kud ki identity Hunter Rider ke pita ki batayi thi. "
" Aur hum hmari investigation ko is baat ko such maan kar aage badha rahe hai. "
Ek baar fir se sare logo me khusr pisir hone lagti hai.
Tabhi ek baar fir se Liu Zhigang is baar meri taraf dekh kr kehta hai " Hunter Rider agar wo Suspect S such me tmhare ghum hue pita nikalte hai.. "
" Aur baki sare hunters unka sikar karne ki kosis karenge to, aisi situation me tum kya karoge ? "
Mai bina piche liu Zhigang ki taraf mud samne ki taraf dekhte hue kehta hu " Hunters monsters ka sikar kare yahi ek sahi tarika hai. "
" Aur agar wo such me ek monster hai to mai kud unka sikar karunga. "
" Lakin agar wo such me ek monster nahi balki mere pita nikle.... "
" Mai simply Hunturs logo ka sikar karunga jo mere pita ka sikar karne ki kosis karenge. "
" Aisi situation me mai apni family ko protect karunga, bhle hi uske liye mujhe is world ke har ek Hunter ka dusman hi k
yu na banana pade. "
[ Note :- Like Target wahi 80 hai. ]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice updateUPDATE - 1
Delhi , India
Mera name RIDER hai aur mai Ak E-Rank HUNTER hu.
yadi aap meree thodee asaamaany strength aur regeneration ko najar andaaj karate hain to mujhe khud ko hunter kahana me bhee sharm lagta h .
Mai itta weak hu Jiske karan Hamesa hi mujhe bahut baar chote lagi hai aur kai baar to nearly death ka experience kiya h.
Ak aisa kaam jisme aapke life and death ke bich bs ak line ka anter ho use hunter kahte h , aur mai ye job is liye nahi karta qki ye mujhe pasand hai ....!
Mai badi muskil se apni bimar maa ke medical bills ko pay kr pata hu jo mujhe HUNTER GUILD pay krta h is kaam ke liye isi liye mai ye kaam krta hu .
Ak aam insan ke liye jiske paas koi particular talent na ho , aise me mere paas aur koi choice nahi h siway hunter banane ke.
Ak construction site in delhi....
Ak food truck khada tha aur uske aas paas bahut se log tea nd breakfast kr rahe the....
Food truck wala ak customer se ..
"Ye rahi tmhari tea nd good luck tmhare aaj ke raid ke liye."
Coustomer "thanks"
Tabhi piche se koi us coustomer ko aawaj deta h " hey Rohan ! "
" Bahut samay ho gaye tmse mile hue "
Rohan " are abhi tm yaha kya kar rahe ho ? Tmne to chor diya tha na tha na qki tm hunter nahi banana cahte the !! "
Abhi " actually meri wife 2nd time pregnant hai , ha ha..."
Rohan " sahi kaha raid ke jaisa kuch nahi h jaha aap apni kismat aajma skte ho "
Abhi " jindgi jina aasan nahi hai . Mujhe fikar hai ki ... Itna kafi time bita gaya h kahi mai piche na rah jau "
" Meri skill phle se hi khrab hai , aur ab to wo aur khrab ho gayi h itte time ke break ke karan jo maine liya h "
Tabhi samne se kuch aawaj aati h ...
" Rider tum aa gaye ! "
" Rider aane ke liye sukriya "
"Bahar thand hai na ? "
Rider " haha ... aisa kuch nahi h , mai aaj bhi tmhare sath hi rahunga "
Wo aadmi " Achi baat hai "
Tabhi Rohan riderko aawaj lagata hai ..
" rider tmne ab tk breakfast kiya ? "
Rider " haa Mr Rohan maine khaa liya , mere bare me fikar krne ke liye sukriya "
Itta kah kr rider aage nikal jata hai aur abhi use dekh kr Rohan se puchta hai..
"Kya ye ladka powerful hunter hai ? Har koi ise dekh kr bahut happy hai !"
Rohan " hehehehe.... Tm ise nahi jante qki jb tmne chora tha ye uske baad aaya hai . Iska nike name hai WORLD WEAKEST "
Abhi " kya duniya me sbse kamjor ? na ki sbse powerful!! "
Rohan " bro tabhi to aise logo ko hm S - Rank hunter kahte hai . Rider unmen sbse weak hai "
"Mera matlab hai ki wo itta weak hai ki wo E rank ke Dengoun se bhi hurt ho jata h "
Abhi " kya such me wo itta weak hai "
Rohan " haa !! Mere hisab se to wo hm sb me sbse weak hai "
Abhi " kya such me !!"
Rohan " ha iska mtlb hai humara Dengoun iske aane ke baad se weak ho gaya h "
Abhi " ahhh !! Aisa hai kya "
Rohan " hay ! Sayad wo hame sun skta hai hame. Is baat ko hm yahi khtam krte hai fu fu..."
(Ab Rider ke views se story )
Mai apne mn me 'mai suru se sb sun raha hu you old geezers '
Mai food truck ke paas chla jata hu usse bolta hu " kya mujhe ak cup coffee milegi ?"
Food truck wala " are hunter rider .. I m sorry , bs abhi kuch der phle hi sari coffee khtam ho gayi "
Mai bad feel karte hue sochta hu coffee bhi ni mili..
Food truck wala " I m really sorry rider coffee khtam hone ke liye "
Mai " koi baat nahi "
Aur m waha se aage chla jata hu .
Kuch der chalne ke baad ak ladki ki aawaj aati h " rider tmko fir se chot lag gayi !! "
Mai " ohh hi ! Aisa lagta h miss Anjana bhi raid me sath chl rahi h ?"
Anjana " of course , lakin problem ye nahi h ! Tmhare face pr fir se chot kaise lagi ?"
Mai " pata nahi .... Sayad tb laga hoga jb mai hunting kr raha hunga haha..."
Anjana " really..ab such such batao kya huaa tha. Kya tm hospital bhi gaye the ?"
Mai " ha mai gaya tha . Hm sb ak E rank dungeon me the aur mai akela hi jise chot lagi "
Anjana " huh ? Ye kaise ho gaya ?"
Mai " baki dusre hunter mere se higher ranked ke the to wo apne sath ak bhi healer nahi le gaye the "
Anjana " fir bhi wo bs is liye healer nahi le gaye qki unko lagta tha wo safe rahenge "
Mai " it's ok , ye sb is liye huaa qki mai weak hu , mujhe in sb ki aadat ho gayi h miss Anjana bhi ye baat janti h ,right ? "
" Well lagta h sb log gate ke ander jane ke liye ready h hme bhi chlna cahiye ..."
Anjana " ok "
Hm sb gate ke samne ikatha ho gaye the tabhi ak aadmi bich me ja kr sbke samne kahta hai " sun log suniye . Hm sb hunting pr jane ko taiyar aur khush hai , mai ye kahane ke liye qualified to nahi hu pr fhir bhi mai is raid ke liye party ka leader banane ko ready hu , isme aap me se kisi ko koi dikkat to nahi hai ?"
Rohan " Mr Rahul aap yaha present sb logo me sbse high rank wale h mujhe aapke leader bananese koi problem nahi hai "
Abhi " well Mr Rahul hame aap pr pura yakin hai . Mujhe bahut time ho gaya h aapke skills dekhe hue "
Baki sb log bhi Bolte hai
"Mai aapke leader banane se sahmat hu "
"Mai bhi "
" Meri bhi haa hai "
Mai " hamara dhyan rakhiyega Mr Rahul"
Rahul " all right to hm chlte hai Dungeon me "
Aur sb chl dete hai gate ke ander tb chlte chlte Mr Rahul mujhse kahte hai " Mr rider kosis karna hamare piche chot mt khaa jana "
Mai haste huee " haha okay"
Anjana " rider jldi chlo "
Mai " ha chlo "
Mai chlte huee kud se kahta hu 'mai aaj apna best karne ki kosis karunga '
aaj ke liye itta hi .
Bhai log 1st story hai to koi bhi problem ya suggestions ho comments krke jarur bataiyega . Bs aapka pyar milte rahe story jarur complete hogi enjoy story....