• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Soul Land

Kya mujhe aage likhna chahiye ya nahi

  • Yes

    Votes: 8 100.0%
  • No

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    8

King Lucifer

👑 Rσყαʅ Kιɳɠ 👑
Banned
185
651
94
Bhai Shandaar Update ky Sath Dmaka

Ik Request hai k Update size thorha brha karyn .

King Lucifer 😈
 

Luffy

Well-Known Member
7,017
29,128
218
Update 001 (A)

Heaven Dou Continent, South Heaven Empire, Nouding city, Holy Spirit Village.

Heaven Dou Continent, isme 2 Empire hai, ek South Heaven Empire ye sabse bada Empire hai dono mai se, aur south Heaven Empire iss liye kyun ki ye Heaven Dou Continent ke South ke side mai hai, aur dusra hai North Heaven Empire ye South Heaven Empire se thoda sa chota hai aur ye Heaven Dou Continent ke North ke side mai hai iss liye iska naam North Heaven Empire hai.

Nouding city, ye South Heaven Empire ke North ke side aur North Heaven Empire ke Sima (border line) ke paas ek bharpur city hai, ye North Heaven Empire ke Sima ke paas hai iss liye issi city mai dono Empire ka apas mai jyada taar byapar ho jata hai aur byapario (sellers) ka bhi faida (munafa/profit) ho jata hai.

Holy Spirit Village, iss ka naam sunke kessa lag raha hai, koi acha saktisali (powerful), bada village hoga, per yesa kuch nahi hai, ye Nouding city ke east ke side 300 gharo ka bana ek chota sa village hai. Iss village ke bahar bahut se jamin hai jisme kheti hoti hai aur usme uge anaj aur sabjiya Nouding city mai le jake bech dete thy Village wale. Aur iska naam ka bhi ek meaning hai, 100 saal pehle issi village ka ek person Soul Lord ko mastery kar liya tha aur wo akele hi pehla admi ban gaya tha jo iss stage tak ja paya tha issi liye sabhi Village wale usko holy spirit ke meherbani mante thy iss liye village ka naam Holy spirit Village rakh diya ye soch ke ki aage bhi iske jesa aur bhi unke village se masters niklenge.

Back to story.....

Abhi suraj ugne ke kagar pe thy, village ke ek side mai 100 meter unche pahad maujud hai, aaj bhi har din ki tarah ek 5-6 saal ladka wanha betha huya tha, iss age mai pahad chadna kitni muskil hota hoga per isske sath yessa kuch nahi hota tha, jaab ye pahad chadke upar aata hai to uske face pe thodi si bhi thakawat nahi dikhti thy ulta iske face pe ek alag si khusi jhalkti hai jo ki shabdo mai bayan nahi kiya ja sakta tha, aur ye sach bhi hai usko yanha aake ek alag si shanti aur khusi milti thy.

Ladka dikhne mai thoda sa genhua (wheat/badami) rang ka tha aur sath hi uske kale ghane saaf sutre baal aur shadharan se saaf kapde pehne huye tha.

Ladka pahad pe chadne ke baad wanhi uski choti pe beth gaya, uski dono ankhe purab (east) ki aur dekh rahi thy jaha se aab suraj nikalne laga tha aur akash mai dhire dhire roshni bikhar rahi thy, thodi der dekhne ke baad ankho ko band karke dhyaan karne laga gaya apna.

Thodi der baad achanak uski ankhe khul gayi aur uske ankhe khulne ke sath sath usne dekha ki uske aas paas ek purple colour sa dund sa ho gaya tha, jo ki uska qi tha, aur wo koi aam inshan apne khali ankho se dekh hi nahi sakta tha.

Purple dund ko dekhte huye, ladke ki spirit itni zyada kendrit thy ki usne apna sans bhi nahi chodi keval ek halki si dhimi sans li, ussi samaya us ladke ke dono ankhe bhi purple colour mai change ho gayi thy.

Wo purple dund jo uske charo taraf aur ankho ka colour wo zyada samaya tak nahi ruk saka, jaab suraj puri tarah se ugg ke apna kiran charo aur faila diya taab wo dund bhi puri tarah se gayab ho gayi, ya fir ye keh sakte hai ki wo aur dikh hi nahi rahi thy.

Tabhi ladke ne, internal turbid qi ki lambi si sans chod te huye, dhire se fir se apni ankhe band kar li, purple qi dhire dhire bikharne se pehle uske munh se silk ke ek bolt ki tarah bahar nikal gayi.

Bahut der tak fir se dhyaan bethe rehne ke baad ladke ne ek baar fir se apni ankhe kholi. Per iss baar uski ankho mai ek alag si surprise wale look thy, wo iss liye kyun ki ek alag tarah ke purple dund ke wajah se jo ki asal mai uska hi ek aur qi ki wajah si thy, jo dikhne mai light purple ki tarah dikh rahi thy. Ye gayab hone se pehle jyada time nahi raha per fir bhi wo existence hi alag tha.

Ek udas aah ke sath, ladke ne apne umar ke hisaab se kuch jyada hi gambhir expression dikhayi, usne apna sar ko hilate huye apne aap se;

"Abhi bhi asambhav (impossible) hai, mysterious Heaven skill abhi bhi first break down ko paar karne ke liye capable nahi hai. Pehle hi pure teen (3) mahine ho chuke hai, to ye result kyu ?, Yanha tak ki purple demon eye (jo purple colour ho gaya tha ankhe wo iski wajah se) jo pehle se purple qi per nirbhar (depend) thy, jisko kewal subha jaldi hi rise kiya ja sakta tha usne bhi behetar result dikhaya hai. Mystrious Heaven skill ke next stage ko mai break through hi nahi kar pa raha hun, aur uski sath hi mera mystrious jade hand ko bhi next stage mai break through nahi kar pa raha hun. Pehle stage se dusre stage mai aagar itne pareshani ho rahi hai to mysterious Heaven skill mai to kul 9 level hai wo hasil karne mai kitne muskil hongi ? Kya isiliye ye duniya meri duniya se alag hai ?"

Ye ladka, jo 5 saal pehle iss duniya mai janam leke aaya tha wo aur koi nahi Tang sect ka Tang San hi tha jisne apne aadarsho (ideal) ke liye Hell's peak se chalang lagaya tha. Jaab usse hosh aaya to usne garm sansani ke alawa, wo hilne dulne mai bhi kabil nahi tha. Lekin usko mrityu nahi aayi thy aur wo bahut jald iss duniya mai paida ho gaya.

Tang San ko ye kuch samajh nahi aaraha tha ki ye chal kya raha hai, yahi ki wo mara nahi tha lekin jo wo pehle tha wo bhi ab nahi tha.

Tang San ko iss duniya ki language sikhne ke liye lagbhag ek saal ki jarurat thy. Usse aab bhi yaad aata tha ki jis samaya wo paida hua tha, halaki wo taab bhi apne ankhe kholne aur dekhne ka kabil tha, usne ek admi ke dil dahla denee wali awaj suni thy 'mujhe mat chodo please wapas aajo, ye maat karo please' jaab wo iss duniya ka language sikha taab hi wo ye bate yaad kar liya tha aur usko samjh bhi gaya tha. Aur wo awaj nikal ne wala admi aur koi nhi Tang San ka iss duniya ka pita Tang Hao tha, aur uss samay iss duniya mai uski maa ki mout ho gayi thy.

Chahe bhagwan ya fir devil ke icha ke karan ya sadharan sayong ke karan, Tang Hao ne apne patni ki yaadon ke roop mai uss bache ka naam Tang San hi rakha. Issi wajah se uske umar ke aas paas ke village ke bache roj isko chidane ke liye jama ho jate thy. Fir bhi, Tang San puri tarah se khush tha, ho bhi kyu na akhir kar yahi wo naam tha jisse usne lagbhag 30 saal taak dusre duniya mai istemal kiya tha, aur yahi wo naam tha jise usko apne pichli duniya ki yaad rakhne mai madad karti thy warna wo to kaab ka bhul jana chahta tha wo saab bate.

Iss duniya mai aane ke baad se, Tang San ko suru mai dar Laga raha tha,lekin baad mai excitement ke saat sath present shanti ke sath bitne laga, kyun ki usne pehle se hi usko puri tarah se accept kar liya tha, jo usse god gift ki tarah lag rahi thy. Yanha iss duniya mai wo apna pichle janam ka sabse badi icha (wish) ko mehsus karne mai capable ho sakta tha.

Halaki wo iss duniya mai nanga hi aaya tha fir bhi Tang San ke paas sabse badi doulat thy; uski pichle janam ke yaddast. Tang sect ke secret book ke gyaan, bahut se hidden weapon ka gyaan aur bahut kuch jo usne Tang sect mai sikha tha, wo usse ek aur baar use karne ke liye iss duniya mai Tang San bilkul tayar tha aur apna Tang sect ko banane ke liye bhi.

Ye sabhi baate Tang San wanhi apne dhyaan mai se bahar aane ke baad soch raha tha, akhir mai apne aap se; aab samay ho gaya hai wapas ghar ki aur jane ka.

Tang San wo kehke Akash ki aur dekha, fir uska patla aur chote se sarir ko utha ke pahad ke niche ki aur badh gaya. Abhi agar koi dekhta Tang San ko yese pahad se niche utarte huye to wo jarur surprise ho jata, kyun ki uske har ek kadam mai wo 3 meter ki duri par kar raha tha, pahad ka ubad khabad jamin bhi usko rokne ke liye capable nahi thy aur na hi uske upar kisi bhi prakar ka kathinayi aarahi thy kyun ki wo sabhi badhao ka asani ke paar kar ke ja raha tha.

Tang sect ka saar (essence) kya tha ? Hidden weapon, poison aur lightness skill. Dono inner aur outer Tang sect ke bich sabse bada anter (difference) tha hidden weapon ka use karne ka tarika. Outer sect mechanism mai ruchi (priority) rakhte thy per inner sect genuine technique ko jyada tar ruchi (priority) rakhte thy. Poison ka use outer sect jyada karte thy, jabki inner sect mai hidden weapon ka gyan elders se directly apne inner sect disciple ko paas down hote thy, aur poison bahut kam hi hota tha, kyun ki unko jyada tar poison ka koi jyada jarurat hi nahi padti thy.


Nice update
 
  • Like
Reactions: SameerK and Rajs25

Ali is back

Member
447
1,732
138
Superb update bro mai ye series dekh chuka hu lekin aap behtreen likh rahe hai
Likhte rahe aap har ek pahlu ko sahi maine ma darsa
Rahe hain
 

Rajs25

New Member
52
118
33
Superb update bro mai ye series dekh chuka hu lekin aap behtreen likh rahe hai
Likhte rahe aap har ek pahlu ko sahi maine ma darsa
Rahe hain
Thank you bro
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Luffy and SameerK

King Lucifer

👑 Rσყαʅ Kιɳɠ 👑
Banned
185
651
94
Agla Update kab tak aay ga bro ???
Waiting for the next update ❤

King Lucifer 😈
 
Top