Update 49
Kayi din beet gaye anu ke pitaji ka sradh bhi ho gaya aur anu ke ma ko mere aur nisha ke bare me bhi bata diya pehle to thoda shock hui lekin phir beti ki khushi ko soch ke man gayi ..
Idhar rishi ne mila ke bande ko jiska naam rana tha jo ke ek maahur bahubali tha .. Usko ek raat mere ninja ne agwa kar liya aur farmhouse me le aaye ... Aaj mera aur uska mulakat hona tha .. Main farmhouse pahuch gaya sham ke 5 baj rahe the .. Rana mere samne tha koi 30 32 ki umar hogi normal hata karta insan tha ..
Main.. Rana yehi naam hai na tumhara ...
Rana .. Tum kon ho aur mujhe yaha kiu laye ho .. Tum mujhe nahi jante mera naam rana hai rana ...
Main.. Tabhi to tum yaha ho kiu ke tum rana ho .. Aab achhe bachhe ki tarah mere sawal ka jawab do ..
Rana.. Mila tumko nahi chodega ..tumhe pata nahi mere hath kitne lambe hai .. Uska itna hi kehna tha ek kil uske hath me gad gayi aur gadne wala koi aur nahi siha tha .. Siha aur gara ko rishi ne bulaya tha kabile se ... Rana dard se tadap raha tha chilla raha tha ...
Main.. Tumhare pass koi dusra chara nahi hai jinda rahna chahte ho to mere sawal ka sach sirf sach me jawab do ..
Rana.. Kaisa sawal ho kon tum .. Maine tumhe pehle kabhi nahi dekha ..
Main.. Aaj dekh lo .. Aur ha sawal main puchunga aur jawab tum doge ... Aaj se 2 mahine pehle tumne ek taxi driver ko Marne ke liye ek truck driver ko paise diye the kiu aur kiske kahne pe ...
Rana .. Tum kon ho... Wo aur kuch bolta ke uske dusre hath me bhi kil gad di gayi ..wo dard se bilak utha ..
Main.. Maine kaha tha na sirf jawab do koi sawal nahi wo bhi sach ...
Rana ki halat kharab thi dard se tadapte huye usne kaha ...
Rana.. Mla ke kehne pe maine ye kaam kiya hai....
Main.. Mla lekin kiu ek taxi driver se mla ki kya dusmani ho sakti hai ..
Rana... Dusmani mla ki nahi hai dusmani unke dost aur business partner sarkar mohanlal ki hai ..
Main.. Mohan Lal ye mohanlal kon hai ..
Rana.. Hariyana ke dakshini bhag me ek bahut bada khandan hai .. Lal khandan aur mohan Lal us khandan ka ek louta warish hai ..
Main.. Ye mohal lal ka kya dusmani thi taxi driver se ..
Rana .. Isbare me mujhe nahi pata lekin us taxi driver ko dhundne me hame pure 1 saal lage ..
Main.. Ek sal aisa kiu ..
Rana.. Kiu ke us ko dhundne ke liye hamare pass na to uski photo thi na hi koi nishani bas tha to ek blood sample jo sayad uske Kisi pariwar ka tha .. Humne pure sahar ko chhan Mara ek bhi hospital nahi choda akhir me hame wo mil hi gaya pure saal bhar ki mehnat ke bad dono ke DNA mach huye to hamne khabar mohan Lal ko di tab usne hame use Marne ki supari hai pure 10 cr ...
Main.. 10cr sirf ek taxi driver ko Marne ke liye .. Aur kya jante ho ..
Rana.. Bas mujhe aur kuch nahi pata sayad mla ko pata ho ..
Main.. Well jab tumhe aur kuch pata hai hi nahi tumhe aab aram karna chahiye ..aab tum aram karo itna keh ke Maine uski gardan pakad ghuma diya... Jisam tadapa thodi der lekin phir jaise shanti hi shanti cha gayi ..
Main.. Rishi isko bhi thikane laga do .. Aur jinga tumhe jo kaam diya tha uska kya hua ...
Jinga.. Abhi tak to unhone aisi koi bhi galat harkat nahi ki jo mujhe khatra lage lekin lagta hai jald hi aisa kuch hone wala hai .. Kal raat hotel Paradise ke room no 59 me koi khufiya meeting hone wali hai ..
Main.. Good job najar rakho mujhe pal pal ki khabar chahiye .. Rishi mla pe najar rakho use abhi kuch mat karna pehle pata karo ye mohan Lal kon hai kaha rahta hai uski puri kahani janm se Ab tak ki pata karo .. Lekin ka apne padhayi ka bhi dhayan rakhna aisa nahi ke kaam ke chakkar me padhayi piche Putti jaye ..
Rishi.. Ji bhai ..
Main.. Aur siha aur gara aap dono aaj se mere pita ke bodyguard ka kaam karenge saye me rahte huye .. Mujhe pura yakin hai kal ki meeting ho na ho unlogo ne mere pita ko kukshan pahuchne ke liye rakhi hai ..
Gara.. To phir unko pehle hi khatam kiu na kar di jaye ..
Main.. Kar sakta hu lekin mujhe janna hai wo log kitna gir sakte hai usi hisab se unko saza dunga .. Aur mujhe aur bhi gandagi ke bare me pata chalega un dono ke alawa agar koi aur bhi sanp hoga to bahar nikal aayega ...
Siha.. Hmm thik hai .. .. Main unko instruction dekar nikal gaya..
Idhar Germany mafia me khalbali mach gayi thi .. Do din me Germany ke top two mafia ki death ho gayi thi aur ek naye mafia leader ne pure mafia ko take over kar liya tha .. Wo tha Dr madhban .. Aab Germany ki mafia gang ka naya leader ek Indian scientists tha aur uske do general the ek ladka ek ladki ..
Mafia community ke pass koi dusra chara nahi tha Dr madhban ki baat man ne ke alawa .. Kiu ke unlogo ne dekha tha wo khofnak mout jo unke dono top ke leader ko mili thi ..
Dr madhban li reaserch Ab bhi incomplete thi lekin phirvi jo success mili thi uske madat se Germany aab uske kadmo me thi aab uski najar us desh pe thi jahase kabhi use Jana pada tha yani India ...
Raat ke khane pe discussion chal raha tha ..
Pitaji .. Beta rohan kya socha hai aab to sradh bhi nipat gaya hai to bolo kab ki engagement rakhe ..
Main.. Hmm engagement .. Is Monday ko rakh lijiye engagement plush registry .. Shadi ki bidhi hum kabhi aur pura kar lenge kiu ..
Nisha .. No way on Monday only engagement and registry OK then next Sunday mareage ceremony .. I can't wait for the ceremony ..
Ma.. Ha beta har ladki ke arman hote hai ..
Main.. Thik hai ma anu tum kya kehti ho kuch jaldi to nahi ho raha hai abhi abhi tumhare ..
Anu.. Nahi nahi pitaji to hamesha hamare sath yaado me rahenge.. Aab udas hoke unko dukhi nahi karungi .. Marriage ceremony jarur ho meri bhi ichha hai ..
Main.. I guess then no problem .. Pitaji aap ne sun liya na ..
Pitaji.. Thik hai arrangement karne ko bol deta hu .. Parso Monday ko engagement and registry .. Then Sunday marriage ..
Main.. OK .. Phir thodi aur hasimazak ke sath diner finish hua ..
Idhar Germany mafia headquarter me ..
Dr madhban .. Tum dono meri rachna ho tumse taqatwar koi nahi hoga .. Aab jao aur bata do Indian mafia ko aab unka waqt khatam aab unke din bhar gaye hai aab main araha hu ...
Ladka.. Yes doctor ..
Ladki.. Any special request doctor ..
Dr madhban .. Yeah I have one in mind .. Aab waha ja hi rahe ho to jara aisa kuch karna ke Delhi Parliament me hungama ho jaye. ..
Ladki.. Ok doctor .. Dono nikal pade India ki flight lekar ...