• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Sting of the Scorpion (Sequel to Dark Seduction) - Completed

Indian Princess

The BDSM Queen
Staff member
Moderator
9,566
9,342
189
Update 1

Armaan gehri neend me so raha tha. Achanak raat ke sannate ko cheerta hua uska phone baja. Usne neend me hi phone uthaya to Pankhudi ki dari hui awaz uske kaanon mein padi.

"Armaan..." Pankhudi darr se kaanpti hui awaz mein boli, "Kuch gunde zabardasti mere ghar mein ghus aaye...woh mujhe apne saath le jaana chahte hai...Please meri madad karo!"

Pankhudi ki baat sunte hi Armaan ki neend ekdum se udd gayi aur woh apne bistar par uthke baitha. Uske seene mein uska dil zooron se dhadakne laga.

"Abhi tum kahan ho?" Armaan ne poocha.

"Main unse bachkar bedroom mein chupi hun," Pankhudi ne jawab diya, "Woh log kisi bhi waqt bedroom ka darwaza todkar andar aa jaenge. Mujhe bahot darr lag raha hai...Armaan please...help me..."

Armaan apna dimag daudane laga.

"Shaant ho jao Pankhudi," Armaan ne kaha, "Tumhe himmat se kaam lena hoga. Tumhara bedroom first floor par hai, tum khidki se bhaag sakti ho. Apne aas paas dekho, koi rassi ya dupatta, ya aisa kuch hai jiske sahare tum khidki se neeche utar sakti ho?"

Armaan ka dil bhi zor zor se dhadakne laga tha. Woh nahi chahta tha ki Pankhudi un gundon ke haath lage. Pankhudi ka call apne bluetooth earpiece se connect karte hue woh apni car ki taraf dauda. Usne car start kari aur bahot tez speed se Pankhudi ke ghar ke taraf chal pada.

"Haan," Pankhudi ne kaha, "Mera dupatta hai...main iske sahare..."

Achanak se bedroom ke darwaze par zor zor se dastak hone lagi. Pankhudi ki cheekh nikal gayi.

"Woh log aa rahe hai Armaan..." Pankhudi ne rote hue kaha.

"Darro mat Pankhudi," Armaan ne kaha, "Main bas pahunch hi raha hun. Tum khidki ki taraf bhago, jaldi!"

Achanak ek zor ki awaz aayi, dawaza tootne ki. Uske turant baad Armaan ko Pankhudi ki zor se cheekne ki awaz aayi. Uske dil mein maano kisi ne khanjar khop diya tha. Uske baad bas Pankhudi ki cheekhein sunai di, aur phir sannata chha gaya.

Armaan ne gaadi ki speed badhai aur uski gaadi lagbhag 200km/hr ki speed se chal rahi thi. Use apne aap par koi control nahi tha. Woh bas jald se jald Pankhudi ke ghar pahunchna chahta tha. Achanak uske saamne ek truck aaya aur woh apni gaadi control nahi kar paaya. Truck se takrate hi uski gaadi palat gayi. Uske sar par tez chot lagi aur uski aankhon ke saamne andhera chha gaya.

Armaan ki aankh khuli aur usne apne aap ko apne bedroom me paaya. Woh paseene se bheega hua tha, aur kaanp raha tha. Use ehsaas hua ki usne shayad ek darawna sapna dekha tha. Badi mushkil se usne apne aap ko sambhala. Kaanpte hue haathon se usne apna laptop uthaya, aur Pankhudi ke bedroom mein lage camere ki footage ko dekhne laga. Pankhudi chain se so rahi thi apne teddy bear ko apni baahon mein liye. Yeh wahi teddy bear tha jo Armaan ne use uske birthday par gift kiya tha. Pankhudi ko surakshit dekh kar Armaan ki jaan mein jaan aayi.

Woh raat bhar so nahi paaya. Usne ek cigarette jalai aur apne terrace par baitha, raat ke sitaron se bhare aasmaan ki taraf dekha hua cigarette pita raha. Uske chehre par ek junoon tha kisi bhi halat mein Pankhudi ko bachane ka. Woh maan nahi raha tha lekin use sach mein lagaav ho gaya tha us pyari ladki se.

Subah hote hi usne apne informer Raghav ko call kiya.

“Nishant Malhotra,” Armaan ne gambhir bhav ke saath kaha, “Kundali nikalo iski.”

“Sure,” Raghav ne kaha, “48 hours.”

********

Nishant bhi kayi dino se so nahi paaya tha. Apne bhai ki talaash mein din raat ek kar diye usne lekin Rihaan ka kuch pata nahi lag paa raha tha. Use Armaan par gehra shaq tha, lekin uske paas uske khilaaf koi saboot nahi tha. Jab aakhri baar woh Armaan se mila, usne Armaan ki aankhon mein ek aisa darr dekha ki use yakeen ho gaya tha ki Rihaan ke gayab hone ke peeche Armaan ka haath zaroor tha.

Shaam ko Nishant apne kamre mein drink kar raha tha. Uska cousin Anvit uske liye drink bana raha tha. Nishant ne apni jeb se cocaine ka ek packet nikalkar use table par failakar, apne credit card se liney banane laga.

Phir woh ek ek line ko snort karne laga.

“Go easy, bhai,” Anvit ne kaha, “Yun roz roz drugs lena theek baat nahi hai.”

“Saale madarchod,” Nishant ne gusse se kaha, “Tujhe kitni baar kaha hai maine bhai mat bola kar mujhe. Bhai nahi hai tu mera. Mera bhai sirf Rihaan hai.”

“I am sorry,” Anvit ne kaha, “Main samajh sakta hun...”

“Kya samajhta hai tu? Tera koi hoga duniya mein to samjhega na!” Nishant ke kaha, “Saale gutter ke keede, jis accident mein tere maa baap mare, usme tu kyu nahi mar gaya? Papa ko taras aaya tujhpe isiliye paala hai tujhe, lekin teri aukaat is ghar ke paltu janwar jitni hi hai, mujhe dobara bhai bola na to zubaan kaat dunga. Tujhe drink banane ke liye bulaya tha idhar, to chup chaap drink bana. Jyada muh chodne ki zaroorat nahi hai. Aur aaj se tu mujhe Sir kehkar bulayega, aayi baat samajh mein?”

“I am sorry,” Anvit ne sar jhukakar kaha, "Sir."

"You better be sorry!" Nishant ne kadwe swar me kaha, "Bloody son of a bitch!"

Anvit bas sar jhukakar khada raha. Woh Nishant ke pita Rajvardhan ji ke sautele bhai ka beta tha. Ek car accident me uske maa baap guzar gaye to Rajvardhan ji ne use goad liya tha. Lekin Rihaan aur Nishant ne use kabhi apna nahi maana. Uske saath naukaron se bhi bura bartaav kiya jaata tha.

“Ab sun,” Nishant ne kaha, “Armaan Mathur ke saare sarkari projects ki funding rukwa de. Saala raaste par aa jayega, tab jaake muh kholega.”

“Sir,” Anvit ne aapati jatate hue kaha, “Aapko nahi lagta itna bada faisla lene se pehle ek baar Rajvardhan ji se pooch lena chahiye?”

“Ab tu mujhe sikhaega mujhe apne faisle kaise lene hai?” Nishant ne ek shaitaani muskaan ke saath kaha, “Kitni jaldi apni aukaat bhool jaata hai be tu? Chal ab tujhe acche se samjhata hun.”

Nishant cocaine ke nashe mein dhut tha aur jaanwaron ki tarah bartav kar raha tha. Anvit bas dara sehmna khada tha. Nishant uska collar pakadkar use apne saamne ghunte bar bitha diya.

“Chal mera joota chaat,” Nishant ne use jaleel karte hue kaha.

Anvit ke aakhon mein aansu aa gaye. “Please, Sir, I am sorry,” usne kaha.

“Chal chal, time waste mat kar,” Nishant ne apni gun nikal kar Anvit ki kanpatti par rakte hue kaha, "Mere paaltu kutte ki tarah mera joota chaat."

Nishant ne apni pistol Anvit ke sar par lagayi. Anvit samajh gaya tha ki agar usne Nishant ki baat nahi maani to woh use jaan se maar dega. Rajvardhan ji bhi videsh gaye hue tha, uski madad karne wala koi nahi tha.

Anvit majboori mein Nishant ke joote chaatne laga aur Nishant use jaleel karne ke liye uska video bhi banane laga. Anvit ke aankhon se aansu nikal aaye.

“Jo kaam bola tha woh yaad hai na?” Nishant ne kaha, “Armaan ko ek footi kaudi aur nahi milni chahiye sarkari fund se.”

“Ji, Sir,” Anvit ne, jhuke hue sar se jawab diya.

“Aur mere informer Shadab se bol ki us haram ke jane Armaan par 24 ghante nazar rakhe, kahan jaata hai, kis se milta hai, saari report chahiye mujhe,” Nishant gusse bhari aankhon se bola, “Mere bhai ko gayab karke woh soch raha hai ki woh bach jayega, woh haal karunga saale ka jo usne kabhi socha bhi nahi hoga.”

***********************

Armaan agle din hamesha ki tarah apne office pahuncha.

Eshani knock karke andar aayi. Uske haath mein ek badi si file thi aur woh bahot pareshaan lag rahi thi.

“Yes, Eshani?” Armaan ki poocha.

“We are in trouble Sir,” Eshani ne woh file Armaan ke desk par rakhte hue kaha, “In saare projects ki funding rukwa di gayi hai.”

Armaan se gambhir bhav se file dekhne laga.

“Aur...” Eshani ne hichkichate hue kaha, “Humari company par ilzaam lagaya gaya hai ki humne sarkari zameen gair kaanoni tareeke se hathiyakar apne construction projects ke liye istemaal kari hai. Inquiry baithi hai humare kayi projects par. Doshi paayi jaane par demolition ka order hai aur aap par kaanoni karawayi bhi ho sakti hai.”

Armaan ne shaanti se Eshani ki baat suni.

“Rajvardhan ji se meri baat karwao,” Armaan ne order diya.

“Maine unke office mein contact kiya tha Sir,” Eshani ne kaha, “Woh videsh gaye hue hai. Haal hi mein unhe lung cancer diagnose hua hai aur woh videsh treatement karane gaye hai. Usne baat nahi ho payegi kuch dino tak.”

“Theek hai,” Armaan ne kaha, “Dhyaan rakhna funding rukne ki khabar media mein na faile, stock prices gir jayenge company ke.”

Eshani ne haan mein sar hilaya aur cabin se bahar chali gayi.

Armaan samajh gaya ki yeh sab Nishant ne karwaya hai. Apne pita ki gairmaujoodgi mein saari power akele Nishant ke haath mein thi.

Armaan ne ek gehri saans li aur sochne laga ki Nishant se kaise nipta jaye.

*********

Shaam ko Aarav aur Armaan saath baithkar drink kar rahe the.

“Haath dhoke peeche pada hai suar saala,” Armaan ne kaha, “Funding rukwa di, illegal land encroachment ka ilzaam lagawa kar inquiry bitha di hai. Kaam band karwa rakha hai harami ne!”

“Tumhe barbaad karne par tula hua hai, huh?” Aarav ne whiskey ke ghoont lete hue kaha.

“Bahot nuksaan kiya hai mera saale ne,” Armaan ne kaha, “Ek ek pai wasool kar rahunga uske baap se.”

“Takleef hui hai bechare ho,” Aarav ne muskurate hue kaha, “Bhai gayab hua hai uska. Tum aur expect bhi kya kar rahe the?”

Armaan ne gehri saans li.

“Pankhudi kaisi hai?” Aarav ne poocha, “Mile the us se dobara?”

“Us se milne ya baat karne ka matlab hai usko khatre mein daalna,” Armaan ne kaha, “I am sure Nishant ne apne aadmi laga rakhe honge mujhe par nazar rakhne ke liye, yen jaan ne ke liye ki main kahan jaata hun aur kis se milta hun. Is samay mera Pankhudi se door rehna hi theek hai.”

“Good decision,” Aarav ne kaha, “It is better to be alert. Yeh Nishant bahot hi ghatiya kism ka insaan malum hota hai. Us din jab party mein us waitress ko sabke saamne nanga kiya tha...”

Aarav ki baat sunte hi Armaan ke dimag mein kuch aaya. Usne apna phone uthakar Raghav ko call kiya.

“Jo kaam diya tha uska kya status hai?” Armaan ne poocha.

“Kuch aisi baatein pata chali hai Nishant ke baare mein jo main phone par batana uchit nahi samajhta,” Raghav ne kaha, “Kal aapse milne aaunga, aur saari information with proof de dunga.”

“Kuch mahine pehle Club Moonlight mein jo kaand hua tha uske baare mein jaante ho?” Armaan ne poocha.

“Uske baare mein kaun nahi jaanta Sir,” Raghav ne kaha, “Bechari ladki ko to barbaad kar diya Nishant ne.”

“Naam kya tha us ladki ka? Kahan rehti hai?” Armaan ne poocha.

“Ragini naam hai uska,” Raghav ne kaha, “Shareef ladki thi gareeb ghar ki. Bahot tragedy hui bechari ke saath. Us kaand ke baad to uska video viral ho gaya tha, to uska baap sharam ke maare mar gaya. Maa to pehle hi guzar chuki thi. Ab bas uska ek chota bhai hai jo Panchangi ke boarding school mein padhta hai. Usi ko padhane ke liye Ragini abhi ek free lancing massage services deti hai. Kayi log massage ke naam par sex services lete hai us se. Nishant bhi bula leta hai use kabhi kabar aur bahot jaleel karta hai. Ab samajh lijiye, Ragini ek tarah ki prostitute hi bankar reh gayi hai.”

“Mujhe Ragini ke contact details chahiye,” Armaan ne kaha, “Milna chahunga us se.”

Aarav samajh gaya ki Armaan kya soch raha hai. Woh Armaan ko dekh kar muskuraya.
 
Last edited:

parkas

Well-Known Member
26,787
59,839
303
Update 1

Armaan gehri neend me so raha tha. Achanak raat ke sannate ko cheerta hua uska phone baja. Usne neend me hi phone uthaya to Pankhudi ki dari hui awaz uske kaanon mein padi.

"Armaan..." Pankhudi darr se kaanpti hui awaz mein boli, "Kuch gunde zabardasti mere ghar mein ghus aaye...woh mujhe apne saath le jaana chahte hai...Please meri madad karo!"

Pankhudi ki baat sunte hi Armaan ki neend ekdum se udd gayi aur woh apne bistar par uthke baitha. Uske seene mein uska dil zooron se dhadakne laga.

"Abhi tum kahan ho?" Armaan ne poocha.

"Main unse bachkar bedroom mein chupi hun," Pankhudi ne jawab diya, "Woh log kisi bhi waqt bedroom ka darwaza todkar andar aa jaenge. Mujhe bahot darr lag raha hai...Armaan please...help me..."

Armaan apna dimag daudane laga.

"Shaant ho jao Pankhudi," Armaan ne kaha, "Tumhe himmat se kaam lena hoga. Tumhara bedroom first floor par hai, tum khidki se bhaag sakti ho. Apne aas paas dekho, koi rassi ya dupatta, ya aisa kuch hai jiske sahare tum khidki se neeche utar sakti ho?"

Armaan ka dil bhi zor zor se dhadakne laga tha. Woh nahi chahta tha ki Pankhudi un gundon ke haath lage. Pankhudi ka call apne bluetooth earpiece se connect karte hue woh apni car ki taraf dauda. Usne car start kari aur bahot tez speed se Pankhudi ke ghar ke taraf chal pada.

"Haan," Pankhudi ne kaha, "Mera dupatta hai...main iske sahare..."

Achanak se bedroom ke darwaze par zor zor se dastak hone lagi. Pankhudi ki cheekh nikal gayi.

"Woh log aa rahe hai Armaan..." Pankhudi ne rote hue kaha.

"Darro mat Pankhudi," Armaan ne kaha, "Main bas pahunch hi raha hun. Tum khidki ki taraf bhago, jaldi!"

Achanak ek zor ki awaz aayi, dawaza tootne ki. Uske turant baad Armaan ko Pankhudi ki zor se cheekne ki awaz aayi. Uske dil mein maano kisi ne khanjar khop diya tha. Uske baad bas Pankhudi ki cheekhein sunai di, aur phir sannata chha gaya.

Armaan ne gaadi ki speed badhai aur uski gaadi lagbhag 200km/hr ki speed se chal rahi thi. Use apne aap par koi control nahi tha. Woh bas jald se jald Pankhudi ke ghar pahunchna chahta tha. Achanak uske saamne ek truck aaya aur woh apni gaadi control nahi kar paaya. Truck se takrate hi uski gaadi palat gayi. Uske sar par tez chot lagi aur uski aankhon ke saamne andhera chha gaya.

Armaan ki aankh khuli aur usne apne aap ko apne bedroom me paaya. Woh paseene se bheega hua tha, aur kaanp raha tha. Use ehsaas hua ki usne shayad ek darawna sapna dekha tha. Badi mushkil se usne apne aap ko sambhala. Kaanpte hue haathon se usne apna laptop uthaya, aur Pankhudi ke bedroom mein lage camere ki footage ko dekhne laga. Pankhudi chain se so rahi thi apne teddy bear ko apni baahon mein liye. Yeh wahi teddy bear tha jo Armaan ne use uske birthday par gift kiya tha. Pankhudi ko surakshit dekh kar Armaan ki jaan mein jaan aayi.

Woh raat bhar so nahi paaya. Usne ek cigarette jalai aur apne terrace par baitha, raat ke sitaron se bhare aasmaan ki taraf dekha hua cigarette pita raha. Uske chehre par ek junoon tha kisi bhi halat mein Pankhudi ko bachane ka. Woh maan nahi raha tha lekin use sach mein lagaav ho gaya tha us pyari ladki se.

Subah hote hi usne apne informer Raghav ko call kiya.

“Nishant Malhotra,” Armaan ne gambhir bhav ke saath kaha, “Kundali nikalo iski.”

“Sure,” Raghav ne kaha, “48 hours.”

********

Nishant bhi kayi dino se so nahi paaya tha. Apne bhai ki talaash mein din raat ek kar diye usne lekin Rihaan ka kuch pata nahi lag paa raha tha. Use Armaan par gehra shaq tha, lekin uske paas uske khilaaf koi saboot nahi tha. Jab aakhri baar woh Armaan se mila, usne Armaan ki aankhon mein ek aisa darr dekha ki use yakeen ho gaya tha ki Rihaan ke gayab hone ke peeche Armaan ka haath zaroor tha.

Shaam ko Nishant apne kamre mein drink kar raha tha. Uska cousin Anvit uske liye drink bana raha tha. Nishant ne apni jeb se cocaine ka ek packet nikalkar use table par failakar, apne credit card se liney banane laga.

Phir woh ek ek line ko snort karne laga.

“Go easy, bhai,” Anvit ne kaha, “Yun roz roz drugs lena theek baat nahi hai.”

“Saale madarchod,” Nishant ne gusse se kaha, “Tujhe kitni baar kaha hai maine bhai mat bola kar mujhe. Bhai nahi hai tu mera. Mera bhai sirf Rihaan hai.”

“I am sorry,” Anvit ne kaha, “Main samajh sakta hun...”

“Kya samajhta hai tu? Tera koi hoga duniya mein to samjhega na!” Nishant ke kaha, “Saale gutter ke keede, jis accident mein tere maa baap mare, usme tu kyu nahi mar gaya? Papa ko taras aaya tujhpe isiliye paala hai tujhe, lekin teri aukaat is ghar ke paltu janwar jitni hi hai, mujhe dobara bhai bola na to zubaan kaat dunga. Tujhe drink banane ke liye bulaya tha idhar, to chup chaap drink bana. Jyada muh chodne ki zaroorat nahi hai.”

“I am sorry,” Anvit ne sar jhukakar kaha.

"You better be sorry!" Nishant ne kadwe swar me kaha, "Bloody son of a bitch!"

Anvit bas sar jhukakar khada raha. Woh Nishant ke pita Rajvardhan ji ke sautele bhai ka beta tha. Ek car accident me uske maa baap guzar gaye to Rajvardhan ji ne use goad liya tha. Lekin Rihaan aur Nishant ne use kabhi apna nahi maana. Uske saath naukaron se bhi bura bartaav kiya jaata tha.

“Ab sun,” Nishant ne kaha, “Armaan Mathur ke saare sarkari projects ki funding rukwa de. Saala raaste par aa jayega, tab jaake muh kholega.”

“Sir,” Anvit ne aapati jatate hue kaha, “Aapko nahi lagta itna bada faisla lene se pehle ek baar Rajvardhan ji se pooch lena chahiye?”

“Ab tu mujhe sikhaega mujhe apne faisle kaise lene hai?” Nishant ne ek shaitaani muskaan ke saath kaha, “Kitni jaldi apni aukaat bhool jaata hai be tu? Chal ab tujhe acche se samjhata hun.”

Nishant cocaine ke nashe mein dhut tha aur jaanwaron ki tarah bartav kar raha tha. Anvit bas dara sehmna khada tha. Nishant uska collar pakadkar use apne bathroom me le gaya.

“Chal toilet saaf kar,” Nishant ne use jaleel karte hue kaha.

Anvit ke aakhon mein aansu aa gaye. “Please, Sir, I am sorry,” usne kaha.

“Chal chal, kaam par lag ja,” Nishant ne apni gun nikalte hue kaha.

Anvit samajh gaya tha ki agar usne Nishant ki baat nahi maani to woh use jaan se maar dega. Rajvardhan ji bhi videsh gaye hue tha, uski madad karne wala koi nahi tha.

Anvit majboori mein toilet saaf karne laga aur Nishant use jaleel karne ke liye uska video bhi banane laga. Anvit ke aankhon se aansu nikal aaye.

“Jo kaam bola tha woh yaad hai na?” Nishant ne kaha, “Armaan ko ek footi kaudi aur nahi milni chahiye sarkari fund se.”

“Ji, Sir,” Anvit ne, jhuke hue sar se jawab diya.

“Aur mere informer Shadab se bol ki us haram ke jane Armaan par 24 ghante nazar rakhe, kahan jaata hai, kis se milta hai, saari report chahiye mujhe,” Nishant gusse bhari aankhon se bola, “Mere bhai ko gayab karke woh soch raha hai ki woh bach jayega, woh haal karunga saale ka jo usne kabhi socha bhi nahi hoga.”

***********************

Armaan agle din hamesha ki tarah apne office pahuncha.

Eshani knock karke andar aayi. Uske haath mein ek badi si file thi aur woh bahot pareshaan lag rahi thi.

“Yes, Eshani?” Armaan ki poocha.

“We are in trouble Sir,” Eshani ne woh file Armaan ke desk par rakhte hue kaha, “In saare projects ki funding rukwa di gayi hai.”

Armaan se gambhir bhav se file dekhne laga.

“Aur...” Eshani ne hichkichate hue kaha, “Humari company par ilzaam lagaya gaya hai ki humne sarkari zameen gair kaanoni tareeke se hathiyakar apne construction projects ke liye istemaal kari hai. Inquiry baithi hai humare kayi projects par. Doshi paayi jaane par demolition ka order hai aur aap par kaanoni karawayi bhi ho sakti hai.”

Armaan ne shaanti se Eshani ki baat suni.

“Rajvardhan ji se meri baat karwao,” Armaan ne order diya.

“Maine unke office mein contact kiya tha Sir,” Eshani ne kaha, “Woh videsh gaye hue hai. Haal hi mein unhe lung cancer diagnose hua hai aur woh videsh treatement karane gaye hai. Usne baat nahi ho payegi kuch dino tak.”

“Theek hai,” Armaan ne kaha, “Dhyaan rakhna funding rukne ki khabar media mein na faile, stock prices gir jayenge company ke.”

Eshani ne haan mein sar hilaya aur cabin se bahar chali gayi.

Armaan samajh gaya ki yeh sab Nishant ne karwaya hai. Apne pita ki gairmaujoodgi mein saari power akele Nishant ke haath mein thi.

Armaan ne ek gehri saans li aur sochne laga ki Nishant se kaise nipta jaye.

*********

Shaam ko Aarav aur Armaan saath baithkar drink kar rahe the.

“Haath dhoke peeche pada hai suar saala,” Armaan ne kaha, “Funding rukwa di, illegal land encroachment ka ilzaam lagawa kar inquiry bitha di hai.”

“Tumhe barbaad karne par tula hua hai, huh?” Aarav ne whiskey ke ghoont lete hue kaha.

“Bahot nuksaan kiya hai mera saale ne,” Armaan ne kaha, “Ek ek pai nahi wasooli to mera bhi naam Armaan nahi.”

“Takleef hui hai bechare ho,” Aarav ne muskurate hue kaha, “Bhai gayab hua hai uska. Tum aur expect bhi kya kar rahe the?”

Armaan ne gehri saans li.

“Pankhudi kaisi hai?” Aarav ne poocha, “Mile the us se dobara?”

“Us se milne ya baat karne ka matlab hai usko khatre mein daalna,” Armaan ne kaha, “I am sure Nishant ne apne aadmi laga rakhe honge mujhe par nazar rakhne ke liye, yen jaan ne ke liye ki main kahan jaata hun aur kis se milta hun. Is samay mera Pankhudi se door rehna hi theek hai.”

“Good decision,” Aarav ne kaha, “It is better to be alert. Yeh Nishant bahot hi ghatiya kism ka insaan malum hota hai. Us din jab party mein us waitress ko sabke saamne nanga kiya tha...”

Aarav ki baat sunte hi Armaan ke dimag mein kuch aaya. Usne apna phone uthakar Raghav ko call kiya.

“Jo kaam diya tha uska kya status hai?” Armaan ne poocha.

“Kuch aisi baatein pata chali hai Nishant ke baare mein jo main phone par batana uchit nahi samajhta,” Raghav ne kaha, “Kal aapse milne aaunga, aur saari information with proof de dunga.”

“Kuch mahine pehle Club Moonlight mein jo kaand hua tha uske baare mein jaante ho?” Armaan ne poocha.

“Uske baare mein kaun nahi jaanta Sir,” Raghav ne kaha, “Bechari ladki ko to barbaad kar diya Nishant ne.”

“Naam kya tha us ladki ka? Kahan rehti hai?” Armaan ne poocha.

“Ragini naam hai uska,” Raghav ne kaha, “Shareef ladki thi gareeb ghar ki. Bahot tragedy hui bechari ke saath. Us kaand ke baad to uska video viral ho gaya tha, to uska baap sharam ke maare mar gaya. Maa to pehle hi guzar chuki thi. Ab bas uska ek chota bhai hai jo Panchangi ke boarding school mein padhta hai. Usi ko padhane ke liye Ragini abhi ek free lancing massage services deti hai. Kayi log massage ke naam par sex services lete hai us se. Nishant bhi bula leta hai use kabhi kabar aur bahot jaleel karta hai. Ab samajh lijiye, Ragini ek tarah ki prostitute hi bankar reh gayi hai.”

“Mujhe Ragini ke contact details chahiye,” Armaan ne kaha, “Milna chahunga us se.”

Aarav samajh gaya ki Armaan kya soch raha hai. Woh Armaan ko dekh kar muskuraya.
Bahut hi badhiya update diya hai Indian Princess ji....
Nice and beautiful update....
 
9,976
41,733
218
" मकड़ी भी नहीं फंसती अपने बनाए जालों में ,
जितना आदमी उलझा है अपने बुने ख्यालों में । "

निशांत अपने भाई की गुमशुदगी से हैरान परेशान गलियों की खाक छान रहा है इसके लिए मैं उसकी प्रशंसा ही करूंगा । लेकिन जितना चरित्र अब तक उसका सामने आया है उसके लिए उसकी भरपूर बुराई भी करूंगा ।
अवनीत उसका सौतेला भाई है , इसके लिए कसुरवार अवनीत तो नहीं ! जिसकी वजह से वो सौतेला है , जबाबदेही उसकी होनी चाहिए ।
अपने बड़े भाई की तरह ही निशांत निष्ठुर और संवेदनहीन इंसान है । शायद एक और धरती का बोझ ।
ऐसे बोझ , जो बहुत ज्यादा शक्तिशाली होते हैं , उनके सर्वनाश करने के लिए कोई न कोई विभिषण पैदा हो ही जाता है ।
और मुझे विश्वास है इस भुमिका के लिए विधाता ने अवनीत का नाम सुनिश्चित कर दिया है ।

रागिनी के लिए मुझे बहुत ज्यादा दुःख हुआ । मुझे विश्वास है निशांत के कब्र पर आखिरी कील वही ठोकेगी ।

इस अपडेट में सबसे अच्छी बात थी , अरमान का पंखुड़ी को लेकर बहुत ज्यादा फिक्रमंद होना । सपनों तक में भी वो आने लगी थी । इसे ही तो प्रेम कहते हैं ।

बहुत ही खूबसूरत शुरुआत और बहुत बहुत बढ़िया अपडेट आई पी मैडम ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट ।
 
Last edited:

Death Kiñg

Active Member
1,396
7,031
144
Nishant somehow reminds me of Reyansh from the Meera Series, with the difference of power between them... Character wise both are similar, but Nishant is a bit of a maniac too... Nishant ko Rihaan ki naa laash mili hai aur naa hi uski maut ke baare mein wo jaanta hai, abhi Rihaan ke baare mein koyi bhi information naa hona Nishant ke paas, yahi sabse bada positive hai Armaan ke liye... Armaan & Nishant, this is somehow a Clash of the Titans... Jahaan Nishant ki aur se uska ghamand aur ego daanv par laga hai wahin Armaan ki aur se uski wo Mohabbat daanv par lagi hai, jise wo shayad abhi theek se mehsoos bhi nahi kar paaya hai...

Armaan pehle bhi married tha, ek beti bhi thi uski, but I don't think he loved his wife... Past ki jo jhalkiyan ya kahun ki wo Priya waala scene humne dekha, usmein saaf ho gaya tha ki Armaan apni biwi ko bhi brutally torture kiya karta tha, jaise wo anya ladkiyon ke saath kiya karta tha... Parantu, Pankhuri ke aane se Armaan mein changes aayen hain, ek Armaan jaisa insaan ek ladki ke liye itna pareshan ho gaya hai ki uski raaton ki neend udd chuki hai, is se bada saboot kya hoga is baat ka ki wo Pankhuri se pyaar karne laga hai... Pankhuri is the girl who has changed Armaan, and has changed him for good...

Idhar Aarav aur Raghav ke saath milkar Armaan Nishant ke khilaaf plot taiyaar karne mein laga hai jismein uske liye sabse important saabit ho sakti hai Ragini... Ragini ki kahani, jo kewal ek hi paragraph mein humne padhi, dil ko jhakjhor dene ke liye kaafi thi... Gareeb hona, sach mein is duniya mein sabse bada paap hai, jiska phal naa jaane kitne hi logon ko roz bhugatna padta hai... Ragini, Meera, Pankhuri, Naina.. Ye sabhi naam kaafi hain bataane ke liye ki gareeb aur kamzor ke saath kya kiya jaa sakta hai... Khair, Meera aur Pankh ko to at least pyaar ke roop mein sahara mil gaya tha ek nayi zindagi shuru karne ke liye but Ragini.. kewal ek prostitute bankar reh gayi...

I'm sure ki uske dil mein bhi aag to hogi hi nyaya paane ki, jis insaan ki wajah se uske Pita ki mrityu huyi, wo saari duniya ke saamne beizzat ho gayi, jiske kaaran wo shayad ab apne bhai se mil bhi naa paaye, use saza dena to chaahegi hi Ragini... Dekhte hain ki jab Armaan us se milega, tab kya hoga... Btw. Nishant ne Armaan ke pichhe apne aadmiyon ko laga diya hai, to Armaan ko saavdhani se Ragini se milna hoga, warna khabar Nishant tak bhi pahunch sakti hai...

Beharhal, Pankhuri, Dark Seduction ke ending scenes mein Armaan se dobara milne ke liye tadap rahi thi... Possible, that she might try to meet Armaan, ending up being in the notice of Nishant... So, dono taraf se shatranj ki chaalein shuru ho chuki hain... Jahaan Nishant ne Armaan ko business mein chot pahunchayi hai to wahin uske oopar nazar bhi rakh raha hai... Ab dekhna hai ki Armaan kaise uska saamna karega aur saath hi Pankh ko bhi protect karega... Anvit can be a weapon against Nishant too!

The starting of the story is beautiful... The first scene itself was the highlight of the update, your approach in narrating the “dark love-story” of Armaan & Pankh, has been special and that's what makes this Thriller Story, a quality Romantica too...

Outstanding Update & Waiting For Next...
 
Thanks Sanju ji :thanx:

Mujhe lagta hai aapko yeh story shayad juada pasand aaye because isme thrill and romance jyada hai, aur BDSM ekdum kam. :D

Matlab thoda bahot BDSM hai, uske bina to maine story likh hi nahi sakti :cmouth: , lekin prequel ke mukable bahot kam hai. :D
 
Thanks for your awesome comment :thanks:

You are right Nishant is like Reyansh, and psycho too.

There is something different in this story. I usually complete a story before posting. But this story I am writing uodate wise as and when Ideas come to my mind.

Lets hope this goes well. :D
 
Top