Naam naam…
“Jaldi chal yaar, koi tumhein bulane aaya hai.”
Naam university ke khel ke maidan mein pichlay 1 ghantay se pur-zor mehnat karke apne jism ko pasinay mein nahla chuka 6 foot 3 inch ka yeh gabru naujawan apne aap mein mast tha jab us ka aik dost aaya aur usay yeh paigham diya۔
Apne dost ko yun haanktay dekh kar us naujawan ne bhi maamlay ki nazakat ko samajhtay huay bina waqt ganwaye apna towel uthaya aur pasina ponchtay huay us dost ke saath hi chal diya۔۔۔
Is dour mein jahan aam tor par log shalwar qameez mein hotay thay, yeh larka aik nihayat khoobsurat sports uniform mein tha۔۔ aur dekhne mein bhi kisi filmi hero ki tarah oonchay qad, goray rangat aur mazboot badan ke saath itni hi achi tehzeeb ka malik۔۔۔
Zulfein gardan tak lambi jo pasinay mein bheegi hui theen۔۔۔
Chehray par aik pal ke liye shikan to zaroor aayi magar aglay hi pal ghaib ho gayi۔
“Kon milnay aaya hai?”
Chaltay chaltay us ne bas itna hi poocha۔ Dono ab maidan se bahar aa gaye thay jahan university mein parhnay walay larkay larkiyan jo is rastay se aa ja rahay thay۔
help