• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy SURYA (chapter 3) [THE DARK WORLD][Completed]

jitutripathi00

Active Member
820
3,204
138
UPDATE - 9

bahi per Aadil ke liye ye kisi shok se kam nahi tha. Use yakeen nahi ho raha tha ki kaal ne surya ko ek black hole me daal diya hai. Or abhi vo aage kuch sochta usse pehle hi vo behosh ho gya. Kyuki uskamre me bhi ek gas leak ki gyi jisse vo behosh hogya.

Uske baad baha per kaal ke kuch log aate hai. Or un charo ko utha kar ek plane me daal dete hai or unhe mumbai ke liye ravana kar dete hai.

Kaal chahta to yaha in sabko maar bhi sakta tha. Lekin pata nahi usne aisa kyu nahi kiya. Sayad use in sabke jinda rehne me apna fayeda dikha hoga. Ya sayad vo keval surya ko hi maarna chahta hoga. Ab jo bhi ho ye to use hi pata tha.

Bahi surya ka plane bhi uske call ka intjaar karta raha lekin uski koi khabar nahi aai.

Bahi surya us black hole se kaafi dur aachuka tha. Or uska sarir dheere dheere sukhta ja raha tha. Lekin achhi baat ye thi ki vo abhi tak jinda tha. Kyuki kaal ki shaktiya jo uske andar thi or surya ka suit ye dono hi uski puri protection kar rahi thi. Lekin jab sarir ko oxigen hi nahi milegi to body kab tak jinda rahegi.

Lekin yaha kuch aisa hua jiski ummid to sayad kaal ko bhi nahi hogi.

Surya jis taraf behta hua ja raha tha.bahi per aage ek warm hole bana hua tha. Jo dheere dheere band ho raha tha. Lekin aamtour per dekhne se vo warm hole lag hi nahi raha tha. Aisa lag raha tha jaise sitaro ka koi samuh hai. Lekin asal me tha vo ek warm hole. Or sayad yaha kismat surya ke sath thi. Jo use itni aasani se marne nahi de sakti thi.

Isiliye us warmhole ke band hone se pehle hi surya ki body uske andar pahuch gyi. Or bijli ki Raftaar se kahi or ke liye travel karne lagi. Ab ye kaha le ja rahi thi surya ko pata nahi. Lekin itna tay tha ki surya ab bach hi jayega.

Bahi next day

Radha subah ek dum se surya ka naam tez chilla ke uth jaati hai. Sayad usne koi bura sapna dekha tha. Uska pura sarir is waqt paseene me bheega hua tha full AC me bhi. Usne jaldi hi apne aap ko normal kiya or pass hi rakha paani ke gilaas se pani piya. Or uth kar turant hi surya ko call kiya. Lekin uska phone not reachable aa raha tha jis bajah se uski tension or badti ja rahi thi. Isliye use jaldi hi Janna tha ki surya akhir hai kaha. Isliye sabse pehle vo fresh hone ke liye bathroom me ghus gyi. Or uske baad gyi seedhe base me. Or usne bade bhai se surya ke baare me puchha. Lekin unhe bhi uski koi jaankari nahi thi. Bahi Aarav ne Harry ko fir se start kar diya tha. Kyuki jab aadil surya ke sath us base per pahucha tha to usne pehla computer dekhte hi unke server me vo virus install kar diya tha. Jis bajah se Harry ne apne aap ko fir se voot karna start kar diya tha. Bahi ye baat Aarav ko bhi pata chal hi gyi thi. Isliye vo bhi Harry ki puri madad kar raha tha jaldi se voot hone me. Lekin jis system se kaal ne us black hole ko khola tha vo alag server se connect tha isliye us PC me us virus ka koi asar nahi hua. Or ye baat sayad kaal janta tha isliye usne alag server ko chuna us computer ke liye. Taaki uske kaam me koi rukavat na aaye.

Bahi.
Aadil Rony sunny or rishi ko ek sath hosh aata hai. Or jab vo uthte hai or aaspass dekhte hai to vo usi warehouse me the jaha surya ko Rony ka mobile mila tha.

Charo ka sir ghum raha tha. Or unhe kuch samajh me bhi nahi aaraha tha ki vo kaha hai. Tabhi aadil ko kal raat wala seen yaad aaya. Or use yaad aate hi usne jor se surya ka naam liya or use aaspass dhundne laga. Bahi per vo teeno bas aadil ko hi dekhe ja rahe the. Kyuki unhe to kuch samajh me hi nahi aaraha tha.

Rony- aadil kya hua tu itna ghabraya hua kyu hai. Kya hua surya ko.

Sunny- ha yaar hum us base se sahi salamat behoshi me khud Chalke to aaye nahi honge. Jarur bahi hame laya hoga un sabko khatm karke. Baise ye jagah konsi hai.

Tabhi rony ko yaad aata hai.

Rony- are ye to bahi warehouse lagta hai jaha vo log mujhe utha kar laaye the. Or maine 2 logo ke thobde tod diye the. Lekin uske baad kya hua pata nahi mujhe.

Bahi per Aadil ko jab surya nahi dikha to vo bahi per apna sir pakad kar baith gya. Or uski aankho se aasu bhi apne aap hi nikalne lage the. Or aadil ki aisi haalat dekhkar rony turant hi khada hua kyuki use bhi ab kuch gadbad lagne lagi thi.

Rony- kya hua tujhe tu ro kyu raha hai. Bata mujhe. Baha per kya hua. Surya theek hai na.

Aadil ne apne aap ko sambhala or bolna start kiya. Or jaise jaise uski baate aage badti ja rahi thi. Baise baise hi Rony ki aankho me khoon utarne laga tha or sunny or rishi ki haalat kharab hone lagi thi.

Aadil- me us kaal ko jinda nahi chhodunga usne surya ko black hole me daal diya hai. Or usme vo kab tak jinda rahega ye keh pana bhi muskil hai. Bhai pls kuch kar surya ko hame bapis lana hi hoga. Verna ham kya muh dikhayenge ghar per.

Tabhi Rony khada hua or kisi ko bina kuch bole bahar ki taraf bhagne laga. Bahi sunny or rishi uske peeche. Or aadil bahi baith ke apna sir peetne laga. Use kuch samajh me nahi aaraha tha ki vo kya kare or kya nahi.

Tabhi rishi bhagta hua aaya.

Rishi- abe uth vo rony ko pakad Verna vo akele hi baha chala jayega or kaal ne agar use bhi kuch kar diya to chal jaldi use rok abhi. Hame mil kar kuch karna hoga.

Ye sunte hi aadil jaldi se khada hua Bahar ki taraf bhaga jaha Rony ka namonishan tak nahi tha. Matlab vo tezi se bhaga hai.

Aadil- kaha gya vo.

Sunny- city ki taraf.

Aadil- tum log seedhe ghar pahuche mumbai wale me use leke bahi aata hu jaldi.

Ye kehke aadil ne apni Raftaar badai usi disha me jis taraf rony bhaga hai. Aadil samajh gya tha ki vo airport ki taraf hi jayega isliye usne shortcut liye bahut saare taaki usse pehle vo baha pahuch sake. Bahi rony or aadil ki speed se baaki log hairan the kyuki unhe baise to kuch dikh nahi raha tha lekin unki speed se nikal rahi tarange jo raste me thodi der ke liye ruk rahi thi or dusri baat un sabke bagal se jab donk speed se gujarte to insaan to chhodo ghar tak hil ja rahe the.

Bahi aadil ko Rony ab dikhne laga tha. Isliye usne der na karte hue turant hi rony ke bagal se usko leta hua ek side ko chala gya. Bahi rony ekdum se hairan sa reh gya ki use kisne side kar diya. Tabhi uski najar aadil per gyi.

Rony- chhod mujhe me us kaal ka aaj antim din bana kar hi rahunga. Saale ki himmat kaise hui surya ko black hole me daal ne ki. Chhod mujhe.

Aadil- bhai ruk ja tujhe surya ki kasam hai pls uski khatir ruk ja. Baha agar tu gya to vo sanki kaal tujhe fir se fasa lega or agar usne tere sath bhi baisa hi kuch kiya to hamara kya hoga. Ham use jarur marenge or aisi dardnaak mout denge ki agla janm lene se pehle so baar sochega. Lekin filhaal vo waqt nahi hai. Is waqt uski taqat kai guna bad gyi hai. Surya ke jaane se. Isliye hame pehle ghar walo ko sambhalna hoga. Vo sabhi toot jayenge ye baat sunke. Khas kar bache. Isliye tera unke pass hona is waqt jyada jaruri hai. Pls bhai ruk ja.

Bahi rony ab bilkul shant ho gya tha or uski aankho se aasuo ki dhara behne lagi thi. Aadil ne turant hi rony ko gale se laga liya or dono bhai foot foot kar rone lage. Aaj unhe ehsaas ho raha tha ki vo kitne kamjor hai jo apne bhai ko tak na bacha sake.

Uske baad aadil Rony ko baha se mumbai wale ghar per le gya jaha per sunny or rishi bhi pahuch gye the. Bahi sare bache sabko sahi salamat dekh kar bahut kush the. Lekin bado ke chehre ki kushi to jaise gayab ho gyi thi. Or ye baat sabhi ne notice ki

Samar- dad kya hua aap logo ke chehre itne latke hue kyu hai. Or surya chachu kaha hai.

Ashk- ha dad kaha hai. Aadil chachu aap bataiye.

Lekin kisi ke bhi muh se ek shabd bhi bahar nahi nikal raha tha. Jis bajah se tension badti hi ja rahi thi. Tabhi aadil ke phone per bade bhai ka call aaya.or mobile ki screen dekhte hi uske hath pair kampne lage. Isliye usne turant hi mob. Rony ko thama diya.

Or jaise hi rony ne screen per naam dekha to uska bhi gala sukhne laga. Lekin call to uthana hi tha isliye usne himmat karke call utha liya.

Bhai- kaha ho tum log kam se kam ek call to kar sakte ho. Hame kitni tension ho rahi thi pata hai.

Rony- sorry bhai vo abhi hi ham ghar pahuche hai mumbai wale.

Bhai- are rony tune call uthaya. Aadil kaha hai.

Rony- vo yahi hai. Or sunny or rishi bhi yahi hai. Ham sab safely yaha pahuch chuke hai.

Bhai- chalo ye badiya hua. Mujhe pura bharosa tha ki suri tum sabko le hi aayega. Baise hai kaha vo. Uska call bhi nahi lag raha hai. Usse kaho ki radha se baat karle. Use bahut chinta ho rahi hai uski. Sayad subah se koi bhayanak sapna dekh liya hai usne.

Ye sunte hi rony bhi thoda paresan ho gya.

Rony- bhai ek bahut badi gadbad ho gyi hai. Jo main kaise kahu mujhe samajh me nahi aaraha hai.

Bhai- aisa kya ho gya. Jisme tujhe itna sochna pad raha hai. Kya vo bhag gya jisne tum sabko uthaya tha. Koi nahi use jaldi hi bapis se dhund lenge. Kyuki Harry bhi ab bapis se voot ho gya hai. Ab vo hamse bach nahi sakega.

Rony- bhai problem kuch or hai. Or itni badi hai ki samajh me hi nahi aaraha ki kaise react kare.

Bhai- kya hua bata mujhe.

Rony- bhai pehle aap vada karo ki ghar me filhaal ye baat kisi ko nahi bataoge.

Ye kehte hue rony ek side ko chala gya taaki bache bhi na sun sake uski baat.

Or yahi baat sunkar bhai bhi Aarav se thoda dur ko ho gye.

Bhai- theek hai ab bata kya hua hai. Jise ghar walo ko batane se mana kar rahe ho tum.

Rony- bhai hua yu ki.

Fir rony ne bahi baat bhai ko bhi batai jo aadil ne use batai thi.

Jise sunne ke baad ek pal ko to veer ko bhi yakeen nahi hua ki ye kya bakwas hai.

Bhai- pagal ho gye ho kya. Aisa kaise sambhav hai.

Rony- bhai us kaal ne saare intjaam pehle se hi kar rakhe the. Vo sala pura future dekh ke aaya tha. Or usi hisaab se apne plan ko anjam tak pahuchaya usne. Surya ko pehle apne base tak bulaya or fir baha per use black hole me daal diya bina koi mouka diye. Or aisa kuch hoga ye to surya ne bhi nahi socha hoga. Verna vo baha se nikalne ka koi na koi rasta jarur nikaal leta. Per ab samajh me nahi aaraha hai ki ham kya kare. Or surya ka kya hua hoga. Ye bhi samajh me nahi aaraha hai. Jinda bhi hoga ya nahi pata nahi. Mujhe itna gussa araha hai apne aap per ki kya batau aapko.

Bahi veer ne jab saari bata bistaar se suni to uske bhi hosh udd gye. Use bhi samajh me nahi aaya ki vo kya kahe or kya nahi. Ek to use yakeen hi nahi ho raha tha ki surya itni aasani se haar gya

Rony- bhai ab aap hi koi rasta batao.

Bhai- filhaal to mujhe bhi kuch samajh me nahi aaraha hai ki ab kya kiya jaye. Or mujhe ye baat dad ko to batani hi padegi. Kyuki bahi ab koi solid hal nikaal sakte hai is situation ka. Tu filhaal bahi ruk or ha bacho ko mat batana Verna pata nahi vo kya karenge.

Rony- theek hai bhai.

Ye kehke call cut gya. Bahi bhai ko itni tension me dekh kar Aarav unke pass aaya. Or unse puchhne laga ki kya hua. To bhai ne unhe bhi saari baat bata di. Jise sunke uska bhi bheja ghumne laga. Bahi veer ne turant hi dad ko call kiya or unhe neeche base me aane ko kaha.

Thodi der me vo bhi aagye or unhone jab iske ware me suna to unka to hosla hi toot gya. Lekin vo jaante the ki agar is waqt vo toot Gye to baaki ghar walo ko sambhalna bahut muskil ho jayega. Isliye unhone apne aap ko turant hi sambhala. Or sochne lage ki is situation ka kaise saamna kiya jaye.

To be continue…………………..
Bahut shandaar update
 
Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,083
173

Atulye update mitr
 
Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,856
159
Nice update Bhai
Solid story h
Waiting for next
Atulye update mitr
Bahut shandaar update
Superb Update Bro...
Waiting For Next
Awesome update bro
behatrin update bro
to surya ko warmhole ne bacha liya
dekhte h aage kya hota h

Thanks bhai log apna sath banaye rakhne ke liye...

Aaj ka update post kar diya hai ummid hai pasand aayega sabhi ko..isme dekhiye ki surya us warm hole se kaha jata hai or baakio surya ko dhundne ke liye kya kya karte hai or surya kya karta hai janne ke liye sath bane rahe...

Keep supporting........
 
Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,856
159
Nice update
Superb Update bhai
Happy holi bro. And all friends
Nice updates bro
wish you happy holi
nice update
Bahot behtareen zaberdast shaandaar update bhai
Bahot khoob superb
Great work bro
:ban: :ban::ban::ban:

Thanks bhai log apna sath u hi banaye rakhe.

Aaj ka update post kar diya hai ummid hai pasand aayega sabhi ko. Isme dekhiye surya ka kya hota hai vo kaha pahuchta hai us warm hole se or vaki kya karte hai.

Keep supporting......
 
Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,856
159
Superb update with awesome writing skills bhai
To Surya warm hole me gya hai yha pr dekhte hai kya milta hai Surya ko
kaal ko marne ka tarika Ya main villan ko introduce karne ke sath kuchh nyi power and technology
Lagta hai kisi dusre grah me entry mar kr aayega Surya
Surya ke dad fir se koi nya experiment krenge avi logo ke liye Sayad
harry ko or bhi upgrade krna pdega Taki in future dobara uske sath aisa na ho

Happy Holi Bhai

Sahi kaha bhai. Surya jaha bhi pahuchega use baha per main villain ki jaankari milegi. Baaki rahi baat surya ke dad ke naye experiment karne ki to dekhte hai vo kuch karte hai bhi ya nahi. Janne ke liye sath bane rahe...

Keep supporting......
 
Top